Jo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say wahee ki jati hai uss ki tabey daari keren (yaqeen mano) kay Allah tumharay her aik amal say ba-khabar hai
Kissi aadmi kay seenay mein Allah Taalaa ney do dil nahi rakhay aur apni jin biwiyon ko tum maa keh bethtay ho unhen Allah ney tumhari (sach much ki) maayen nahi banaya aur na tumharay ley paalak larkon ko (waqaee) tumharay betay banaya hai yeh to tumharay apnay mun ki baaten hain Allah Taalaa haq baat farmata hai aur woh (seedhi) raah sujhata hai
Lay palakon ko unn kay (haqeeqi) baapon ki taraf nisbat kerkay bulao Allah kay nazdeek poora insaf yeh hi hai. Phir agar tumhen unn kay (haqeeqi) baapon ka ilm hi na ho to woh tumharay deeni bhai aur dost hain tum say bhool chook mein jo kuch hojaye uss mein tum per koi gunah nahi albata gunah woh hai jiss ka tum irada dil say kero. Allah Taalaa bara hi bakhshney wala meharbaan hai
Payghumber momino per khud unn say bhi ziyada haq rakhney walay hain aur payghumber ki biwiyan momino ki maayen hain aur rishtay daar kitabullah ki roo say ba-nisbat doosray momino aur mohajiron kay aapas mein ziyada haq daar hain (haan) magar yeh kay tum apnay doston kay sath husn-e-salook kerna chahao. Yeh hukum kitab (elahee) mein likha hua hai
Jabkay hum ney tamam nabiyon say ehad liya aur (bil-khusoos) aap say aur nooh say aur ibrahim say aur musa say aur mariyam kay betay essa say aur hum ney unn say (pakka aur) pukhta ehad liya
Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya ussay yaad kero jabkay tumharay muqablay ko fojon per fojen aaen phir hum ney unn per tez-o-tund aandhi aur aisay lashker bhejay jinhen tum ney dekha hi nahi aur jo kuch tum kertay ho Allah Taalaa sab kuch dekhta hai
Jabkay (dushman) tumharay pass uper say aur neechay say charh aaye aur jabkay aankhen pathra gaen aur kalejay mun ko aagaye aur tum Allah Taalaa ki nisbat tarah tarah kay gumaan kerney lagay
Aur uss waqt munafiq aur woh log jin kay dilon mein (shak ka) rog tha kehney lagay Allah Taalaa aur uss kay rasool ney hum say mehaz dhoka faraib ka hi wada kiya tha
Inn hi ki aik jamaat ney haank lagaee kay aey madina walon! Tumharay liye thikana nahi chalo lot chalo aur inn ki aik aur jamaat yeh keh ker nabi say ijazat maangney lagi kay humaray ghar ghair mehfooz hain halankay woh (khullat huyey aur) ghair mehfooz na thay (lekin) unn ka pukhta iradah bhaag kharay honey ka tha
Aur agar madiney kay aitraaf say unn per (lashker) dakhil kiye jatay phir unn say fitna talab kiya jata to yeh zaroor issay barpa ker detay aur na lartay magar thori muddat
Poochiye! To kay agar Allah Taalaa tumhen koi buraee phonchana chahaye ye tum per koi fazal kerna chahaye to kaun hai jo tumhen bacha sakay (ya tum say rok sakay?) apnay liye b-juz Allah Taalaa kay na koi humayati payen gay na madadgar
Allah Taalaa tum mein say unhen (ba-khoobi) janta hai jo doosron ko roktay hain aur apnay bhai bando say kehtay hain kay humaray pass chalay aao. Au kabhi kabhi hi laraee mein aajatay hain
Tumhari madad mein (pooray) bakheel hain phir jab khof-o-dehshat ka moqa aajaye to aap enhen dekhen gay kay aap ki taraf nazar jama detay hain aur inn ki aankhen iss tarah ghoomti hain jaisay uss shaks ki jiss per maut ki ghashi taari ho. Phir jab khof jata rehta hai to tum per apni tez zabano say bari baaten banatay hain maal kay baray hi harees hain yeh eman laye hi nahi hain Allah Taalaa ney inn kay tamam aemaal nabood ker diye hain aur Allah Taalaa per yeh boht hi aasan hai
Samjhtay hain kay abb tak lashkar chalay aur agar fojen aajayen to tamannayen kertay hain kay kaash! Woh sehra mein badiya nashiniyon kay sath hotay kay tumhari khabren daryaft kiya kertay agar woh tum mein mojood hotay (to bhi kiya?) na lartay magar baraye naam
Yaqeenan tumharay liye rasool Allah mein umdah namoona (mojood) hai her uss shaks kay liye jo Allah Taalaa ki aur qayamat kay din ki tawakka rakhta hai aur ba-kasrat Allah Taalaa ki yaad kerta hai
Aur eman daron ney jab (kuffar kay) lashkaron ko dekha (bay saakhta) keh uthay! Kay enhin ka wada humen Allah Taalaa ney aur uss kay rasool ney diya tha aur Allah Taalaa aur uss kay rasool ney sach farmaya aur iss (cheez) ney unn kay eman mein aur shewa-e-faman bardari mein aur izafa ker diya
Momino mein (aisay) log bhi hain jinhon ney jo ehad Allah Taalaa say kiya tha unhen sacha ker dikhaya baaz ney to apna ehad poora ker diya aur baaz ( moqay kay) muntazir hain aur unhon ney koi tabdeeli nahi ki
Takay Allah Taalaa sahon ko unn ki sachaee ka badla dey aur agar chahaye to munafiqon ko saza dey ya unn ki toba qabool farmaye Allah Taalaa bara hi bakhshney wala boht hi meharbaan hai
Aur Allah Taalaa ney kafiron ko gussay mein bharay huyey hi (na murad) lota diya unhon ney koi faeeda nahi paya aur uss jang mein Allah Taalaa khud hi momino ko kafi hogaya Allah Taalaa bara hi qooaton wala aur ghalib hai
Aur jin ehal-e-kitab ney unn say saaz baaz kerli thi unhen (bhi) Allah Taalaa ney unn qilon say nikal diya aur unn kay dilo mein (bhi) rob bhar diya kay tum unn kay aik girho ko qatal ker rahey ho aur aik giroh ko qaidi bana rahey ho
Aur uss ney tumhen unn ki zamino ka aur unn kay gharbaar ka aur unn kay maal ka waris bana ker diya aur uss zamin ka bhi jiss ko tumharay qadmon ney ronda nahi Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Aey nabi! Apni biwiyon say keh do kay agar tum zindaganiy-e-duniya aur zeenat-e-duniya chahati ho to aao mein tumhen kuch dey dila doon aur tumhen achaee kay sath tukhsat ker doon
Aur agar tumhari murad Allah aur uss ka rasool aur aakhirat ka ghar hai to (yaqeen mano kay) tum mein say nek kaam kerney waliyon kay liye Allah Taalaa ney boht zabardast ajar rakh choray hain
Aey nabi ki biwiyo! Tum mein say jo bhi khulli bey hayaee (ka irtikab) keray gi ussay dohra dohra azab diya jayega aur Allah Taalaa key nazdeek yeh boht hi sehal (si baat) hai
Aur tum mein say jo koi Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardaari keray gi aur nek kaam keray gi hum ussay ajar (bhi) dohra den gay aur uss kay liye hum ney behtareen rozi tayyar ker rakhi hai
Aey nabi ki biwiyo! Tum aam aurton ki tarah nahi ho agar tum perhezgari ikhtiyar kero to naram lehjay say baat na kero kay jiss kay dil mein rog ho woh koi bura khayal keray aur haan qaeeday kay mutabiq kalam kero
Aur apnay gharon mein qarar say raho aur qadeem jahiliyat kay zamaney ki tarah apna banao ka izhar na kero aur namaz ada kerti raho aur zakat deti raho aur Allah aur uss kay rasool ki itaat guzari kero. Allah Taalaa yehi chahta hai kay aey nabi ki ghar waliyon! Tum say woh ( her qisam ki) gandagi ko door kerday aur tumhen khoob pak ker day
Aur tumharay gharon mein Allah ki jo aayaten aur rasool ki jo aahdees parhi jati hain unn ka zikar kerti raho yaqeenan Allah Taalaa lutf kerney wala khabar daar hai
Aur (dekho) kissi momin mard-o-aurat ko Allah aur uss kay rasool kay faislay kay baad apnay kissi amar ka koi ikhtiyar baqi nahi rehta (yaad rakho) Allah Taalaa aur uss kay rasool ki jo bhi na farmani keray ga woh sareeh gumrahee mein paray ga
(yaad rakho) jab kay tu uss shaks say keh raha tha jiss per Allah ney bhi inam kiya aur tu ney bhi kay tu apni biwi ko apnay pass rakh aur Allah say darr aur tu apnay dil mein woh baat chupaye huyey tha jissay Allah zahir kerney wala tha aur tu logo say khof khata tha halankay Allah Taalaa iss ka ziyada haq daar tha kay tu uss say daray pus jab kay zaid ney uss aurat say apni gharaz poori kerli hum ney ussay teray nikkah mein dey diya takay musalmano per apnay ley palakon ki biwiyon kay baray mein kissi tarah ki tangi na rahey jab kay woh apni gharaz unn say poori na ker len Allah ka (yeh) hukum to hoker hi rehney wala hai
Jo cheezen Allah Taalaa ney apnay nabi kay liye muqarrar ki hain unn mein nabi per koi haraj nahi (yehi) Allah ka dastoor unn mein bhi raha jo pehlay huyey aur Allah Taalaa kay kaam andazay per muqarrar kiye huyey hain
Yeh sab aisay thay kay Allah Taalaa key ehkaam phonchaya kertay thay aur Allah hi say dartay thay aur Allah kay siwa kissi say nahi dartay thay aur Allah Taalaa hisab leney kay liye kafi hai
(logo) tumharay mardo mein say kissi kay baap Muhammad (PBUH) nahi lekin aap Allah Taalaa kay rasool hain aur tamam nabiyon kay khatam kerney walay aur Allah Taalaa her cheez ka (ba-khoobi) jannay wala hai
Wohi hai jo tum per apni rehmaten bhejta hai aur uss kay farishtay (tumahray liye dua-e-rehmat kertay hain) takay woh tumhen andheron say ujalay ki taraf ley jaye aur Allah Taalaa momino per boht hi meharbaan hai
Aur kafiron aur munafiqon ka kehna na maniyey! Aur jo eeza (inn ki taraf say phonchay) uss ka khayal na kijiyey Allah per bharosa kiyey rahen aur kafi hai Allah Taalaa kaam bananay wala
Aey momin! Jab tum momin auraton say nikkah kero phir hath laganey say pehlay (hi) tallaq dey do to unn per tumahra koi haq iddat ka nahi jissay tum shumaar kero pus tum kuch na kuch enhen dey do aur bhalay tareeq per unhen rukhsat kerdo
Aey nabi hum ney teray liye teri woh biwiyan halal kerdi hain jinehn tum unn kay mehar day chuka hai aur woh londiyan bhi jo Allah Taalaa ney ghanimat mein tujhay di hain aur teray chacha ki larkiyan aur phophiyon ki betiyan aur teray mamo ki betiyan aur teri khalaon ki betiyan bhi jinhon ney teray sath hijrat ki hai aur woh ba-emaan aurat jo apna nafs nabi ko hiba ker day yeh uss soorat mein kay khud nabi bhi uss say nikkah kerna chahaye yeh khas tor per sirf teray liye hi hai aur momino kay liye hum issay ba-khoobi jantay hain jo hum ney inn per aur inn ki biwiyon aur londiyon kay baray mein (ehkaam) muqarrar ker rakhay hain yeh iss liye kay tujh per haraj waqey na ho Allah Taalaa boht bakhshney aur baray reham wala hai
Inn mein say jissay tu chahaye door rakh day aur jissay chahaye apnay pass rakh ley aur agar tu unn mein say bhi kissi ko apnay pass bula ley jinhen tu ney alag ker rakha tha to tujh per koi gunah nahi iss mein iss baat ki ziyada tawakka hai kay inn aurton ki aankhen thandi rahen aur woh ranjeedah na hon aur jo kuch bhi tu enhen dey dey iss per sab ki sab razi rahen tumahray dilon mein jo kuch hai ussay Allah (khoob) janta hai. Allah Taalaa bara hi ilm aur hilm wala hai
Iss kay baad aurten aap kay liye halal nahi aur na yeh (durust hai) kay inn kay badlay aur aurton say (nikkah keray) agarcheh unn ki soorat achi bhi lagti ho magar jo teri mamlooka hon. Aur Allah Taalaa her cheez ka (poora) nigehban hai
Aey eman walo! Jab tak tumhen ijazat na di jaye tum nabi kay gharon mein na jaya kero khaney kay liye aisay waqt mein kay uss kay pakney ka intizar kertay raho bulkay jab bulaya jaye jao aur jab kha chuko nikal kharay ho wahin baaton mein mashghool na hojaya kero. Nabi ko tumhari iss baat say takleef hoti hai. To woh lehaaz ker jatay hain aur Allah Taalaa (biyan-e-) haq mein kissi ka lehaaz nahi kerta jab tum nabi ki biwiyon say koi cheez talab kero to parday kay peechay say talab kero tumahray aur unn kay dilon kay liye kamil pakeezgi yehi hai na tumhen yeh jaeez hai kay tum rasool Allah ko takleef do aur na tumhen yeh halal hai kay aap kay baad kisi waqt bhi aap ki biwiyon say nikkah kero. (yaad rakho) Allah ka nazdeek yeh boht bara (gunah) hai
Unn aurton per koi gunah nahi kay woh apnay bapon aur apnay beton aur bhaiyon aur bhatijon aur bhanjon aur apni (mail jol ki) aurton aur milkiyat kay matehaton (londi, ghulam) kay samney hon. (aurton!) Allah say darti raho. Allah Taalaa yaqeenan her cheez per shahid hai
Allah Taalaa aur iss kay farishtay iss nabi per rehmat bhejtay hain. Aey eman walon! Tum (bhi) inn per durood bhejo aur khoob salam (bhi) bhejtay raha kero
Aur jo log momin mardon aur momin aurton ko ezza den baghair kissi jurum kay jo unn say sirzad hua ho woh (baray hi) bohtan aur sareeh gunah ka bojh uthatay hain
Aey nabi! Apni biwiyon say aur apni shabzadiyon say aur musalmano ki aurton say keh do kay woh apnay upper apni chadaren latka liya keren iss say boht jald unn ki shanakht hojaya keray gi phir na sataee jayen gi aur Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai
Agar (abb bhi) yeh munafiq aur woh jin kay dilon mein beemari hai aur woh log jo madiney mein ghalat afwahen uraney walay hain baaz na aayen to hum aap ko unn (ki tabahee) per musallat ker den gay phir to woh chand din hi aap kay sath iss (shehar) mein reh saken gay
Log aap say qayamat kay baray mein sawal kertay hain. Aap keh dijiye! kay iss ka ilm to Allah hi ko hai aap ko kiya khabar boht mimkin hai qayamat bilkul hi qareeb ho
Aey eman walo! Unn logon jaisay na bann jao jinhon ney musa ko takleef di pus jo baat unhon ney kahi thi Allah ney unhen uss say buri farma diya aur woh Allah ka nazdeek ba-izzat thay
Takay Allah Taalaa tumharay kaam sanwaar day aur tumharay gunah moaaf farma dey aur jo bhi Allah aur uss kay rasool ki farma bardari keray ga uss ney bari murad paali
Hum ney apni amanat ko aasmano per zamin per aur paharon per paish kiya pus sab ney iss ko uthaney say inkar ker diya aur iss say darr gaye (magar) insan ney issay utha liya woh bara hi zalim jahil hai
(yeh iss liye) kay Allah Taalaa munafiq mardon aurton aur mushrik mardon aurton ko saza dey aur momin mardon aurton ki toba qabool farmaye aur Allah Taalaa bara hi bakhsney wala aur meharbaan hai