Khabradaar! Allah Taalaa hi kay liye khalis ibadat kerna hai aur jin logon ney uss kay siwa auliya bana rakhay hain (aur kehtay hain) kay hum inn ki ibadat sirf iss liye kertay hain kay yeh (buzurg) Allah kay nazdeeki kay martabay tak humari rasaee kera den yeh log jiss baray mein ikhtilaf ker rahey hain iss ka (sacha) faisla Allah (khud) keray ga. Jhootay aur na-shukray (logon) ko Allah Taalaa raah nahi dikhata
Agar Allah Taalaa ka iradah aulad hi ka hota to apni makhlooq mein say jissay chahata chun leta. (lekin) woh to pak hai wo wohi Allah Taalaa hai yagana aur qooat wala
Nihayat achi tadbeer say uss ney aasmano aur zamin ko banaya woh raat ko din per aur din ko raat per lapet deta hai aur uss ney sooraj chaand ko kaam per laga rakha hai. Her aik muqarrara muddat tak chal raha hai yaqeen mano kay wohi zabardast aur gunahon ka bakhshney wala hai
Uss ney tum sab ko aik hi jaan say peda kiya hai phir ussi say uss ka jora peda kiya aur tumharay liye chopayon mein say (aath nar-o-madah)utaray woh tumhen tumhari maaon kay peton mein aik banawat kay baad doosri banawat per banata hai teen teen andheron mein yehi Allah Taalaa tumhara rab hai ussi kay liye badshahaat hai uss kay siwa koi mabood nahi phir tum kahan behak rahey ho
Agar tum na-shukri kero to (yaad rakho kay) Allah Taalaa tum (sab say) be-niyaz hai aur woh apnay bando ki na-shukri say khush nahi aur agar tum shukar kero to woh issay tumharay liye pasand keray ga aur koi kissi ka bojh nahi uthata phit tum sab ka lotna tumharay rab hi ki taraf hai. Tumhen woh batla dey ga jo tum kertay thay. Yaqeenan woh dilon tak ki baaton ka waqif hai
Aur insan ko jab kabhi koi takleef phonchti hai to woh khoob rujoo hoker apnay rab ko pukarta hai phir jab Allah Taalaa ussay apnay pass say nemat ata farma deta hai to woh iss say pehlay jo dua kerta tha (ussay) bhool jata hai aur Allah Taalaa kay shareek muqarrar kerney lagta hai jiss say (auron ko bhi) uss ki raah say behkaye aap keh dijiye! Kay apnay kufur ka faeedah kuch din aur utha lo (aakhir) tu dozakhiyon mein honey wala hai
Bhala jo shaks raaton kay auqaat sajjday aur qayaam ki halat mein (ibadat mein) guzaarta ho aakhirat say darta ho aur apnay rab ki rehmat ki umeed rakhta ho(aur jo iss kay bar-aks ho barbar ho saktay hain) batao to ilm walay aur be-ilm kiya barabar kay hain? Yaqeenan naseehat wohi hasil kertay hain jo aqalmand hon. (apnay rab ki taraf say)
Kehdo kay aey meray eman walay bando! Apnay rab say dartay raho jo iss duniya mein neki kertay hain unn kay liye nek badla hai aur Allah Taalaa ki zamin boht kushadah hai sabar kerney walon hi ko unn ka poora poora be-shumaar ajar diya jata hai
Tum uss kay siwa jiss ki chahao ibadat kertay raho keh dijiyey! Kay haqeeqi ziyan kaar woh hain jo apnay aap ko aur apnay ehal ko qayamat kay din nuksan mein daal den gay yad rekho kay khullam khulla nuksan yehi hai
Unehn neechay uper say aag kay (sholay misil)sayebaan (kay)dhaank rahey hongay. Yehi (azab) hai jin say Allah Taalaa apnay bando ko dara raha hai aey meray bando! Pus mujh say dartay raho
Aur jin logon ney taghoot ki ibadat say perhez kiya aur (hama-tan) Allah Taalaa ki taraf mutawajja rahey woh khushkhabri kay mustahiq hain meray bando ko khushkhabri suna dijiyey
Jo baat ko kaan laga ker suntay hain. Phir jo behtareen baat ho uss ki ittbaa kertay hain. Yehi hain jinhen Allah Taalaa ney hidayat ki hai aur yehi aqalmand bhi hain
Haan woh log jo apnay rab say dartay rahey unn kay liye bala khaney hain jinkay uper bhi banay banaye bala khaney hain (aur) unn kay neechay nehren beh rahi hain. Rab ka wada hai aur woh wada khilafi nahi kerta
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman say paani utaarta hai aur ussay zamin ki sooton mein phonchata hai phir issi kay zariyey mukhtalif qisam ki khetiyan ugata hai phit woh khushk hojati hain aur aap unhen zard rang dekhtay hain phir unhen reza reza ker deta hai iss mein aqalmando kay liye boht ziyadah naseehat hai
Kiya woh shaks jiss ka seena Allah Taalaa ney islam kay liye khol diya hai pus woh apnay perwerdigar ki taraf say aik noor per hai aur halaki hai unn per jin kay dil yaad-e-elahi say (asar nahi letay bulkay) sakht hogaye hain. Yeh log sareeh gumrahi mein (mubtila) hain
Allah Taalaa ney behtareen kalam nazil farmaya hai jo aisi kitab hai kay aapas mein milti julti aur baar baar dohraee hui aayaton ki hai jiss say unn logon kay rongtay kharay hojatay hain jo apnay rab ka khof rakhtay hain aakhir mein unn kay jisam aur dil Allah Taalaa kay zikar ki taraf naram hojatay hain yeh hai Allah Taalaa ki hidayat jiss kay zariyey jissay chahaye raah-e-raast per laga deta hai. Aur jissay Allah Taalaa hi raah bhula dey uss ka koi hadi nahi
Bhala jo shaks qayamat kay din kay bad-tareen azab ki sapar (dhaal) apnay mun ko banaye ga. (aisay) zalimon say kaha jayega kay apnay kiyey ka (wabal) chakho
Allah Taalaa misal biyan farma raha hai aik woh shaks jiss mien boht say bahum zidd rakhney walay saajhi hain aur doosra woh shaks jo sirf aik hi ka (ghulam) hai kiya yeh dono sift mein yaksan hain Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar log samajhtay nahi
Uss say barh ker zalim kon hai jo Allah Taalaa per jhoot bolay? Aur sacha deen jab uss kay pass aaye to ussay jhoota bataye? Kiya aisay kuffaar kay liye jahannum thikana nahi hai
Kiya Allah Taalaa apnay bandon kay liye kafi nahi? Yeh log aap ko Allah kay siwa auron say dara rahey hain aur jissay Allah gumrah ker day uss ki rehnumaee kerney wala koi nahi
Agar aap inn say poochen kay aasman-o-zamin ko kiss ney peda kiya hai? To yaqeenan woh yehi jawab den gay kay Allah ney. Aap inn kahiyey acha yeh to batao jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho agar Allah Taalaa mujhay nuksan phonchana chahye to kiya yeh uss kay nuksan ko hata saktay hain? Ya Allah Taalaa mujh per meharbani ka iradah keray to kiya yeh uss ki meharbani ko rok saktay hain? Aap keh den kay Allah mujhay kafi hai tawakkal kerney walay ussi per tawakkal kertay hain
Aap per hum ney haq kay sath yeh kitab logon kay liye nazil farmaee hai pus jo shaks rah-e-raast per aajaye uss kay apnay liye nafa hai aur jo gumrah hojaye uss ki gumrahee ka (wabal) ussi per hai aap unn kay zimay daar nahi
Allah hi roohon ko unn ki mot kay waqt aur jin ki mot nahi aai unhen unn ki neend kay waqt qabz ker leta hai phir jin per mot ka hukum lag chuka hai unhen to rok leta hai aur doosri (roohon) ko aik muqarrar waqt kay liye chor deta hai. Ghor kerney walon kay liye iss mein yaqeenan boht si nishaniyan hain
Kiya inn logon ney Allah Taalaa kay siwa (auron ko) sifarshi muqarrar ker rakha hai? Aap keh dijiye! Kay go woh kuch bhi ikhtiyar na raktay hon aur na aqal rakhtay hon
Jabb Allah akelay ka zikar kiya jaye to inn logon kay dil nafrat kerney lagtay hain jo aakhirat ka yaqeen nahi rakhtay aur jab uss kay siwa (aur ka ) zikar kiya jaye to unn kay dil khul ker khush ho jatay hain
Aap keh dijiye! Kay aey Allah ! Aasmano aur zamin kay peda kerney walay chupay khulay ka jannay walay tu hi apnay bandon mein inn umoor ka faisla farmaye ga jin mein who ulajh rahey thay
Agar zulm kerney walon kay pass woh sab kuch ho jo ruy-e-zamin per hai aur iss kay sath utna hi aur ho to bhi bad-tareen saza kay badlay mein qayamat kay din yeh sab kuch day den aur inn kay samney Allah ki taraf say woh zahir hoga jiss ka gumaan bhi enhen na tha
Insan ko jab koi takleef phonchti hai to humen pukarney lagta hai phir jab hum ussay apni taraf say koi nemat ata farma den to kehney lagta hai kay issay to mein mehaz apnay ilm ki waja say diya gaya hun bulkay yeh aazmaeesh hai lekin inn mein say aksar log bey-ilm hain
Phir unn ki tamam burayian unn per aa paren aur unn mein say bhi jo gunehgaar hain unn ki ki hui burayian bhi unn per aa paren gi yeh (humen) hara denay walay nahi
Kiya enhen yeh maloom nahi kay Allah Taalaa jiss kay liye chahye rozi kushadah ker deta hai aur tang (bhi) eman laney walon kay liye iss mein (bari bari) nishaniyan hain
(meri janib say) keh do kau aey meray bando! Jinhon ney apni jano per ziyadti ki hai tum Allah ki rehmat say na-umeed na hojao bil-yaqeen Allah Taalaa saray gunahon ko bakhash deta hai waqaee woh bari bakhsish bari rehmat wala hai
Tum (sab) apnay perwerdigar ki taraf jhuk paro aur uss ki hukum bardaari kiye jao iss say qabal kay tumharay pass azab aajaye aur phir tumhari madad na ki jaye
Aur pairwee kero uss behtareen cheez ki jo tumhari taraf tumharay perwerdigar ki taraf say nazil ki gaee hai iss say pehlay kay tum per achanak azab aajaye aur tumhen itla bhi na ho
(Aisa na ho kay) koi shaks kahey haaye afsos! Iss baat per kay mein ney Allah Taalaa kay haq mein kotahee ki bulkay mein to mazaq uraney walon mein hi raha
Aur jin logon ney Allah per jhoot bandha hai to aap dekhen gay kay qayamat kay din unn kay chehray siyah hogaye hongay kiya takabbur kerney walon ka thikana jahannum mein nahi
Aur jin logon ney perhezgari ki unhen Allah Taalaa unn ki kamyabi kay sath bacha ley ga unhen koi dukh choo bhi na sakay ga aur na woh kissi tarah ghumgeen hongay
Yaqeenan teri taraf bhi aur tujh say pehlay (kay tamam nabiyon) ki taraf bhi wahee ki gaee hai kay agar tu ney shirk kiya to bila shuba tera amal zaya hojayega aur bil-yaqeen tu ziyan kaaron mein say hojayega
Aur inn logon ney jaisi qadar Allah Taalaa ki kerni chahyey thi nahi ki sari zami qayamat kay din uss ki muthi mein hogi aur tamam aasman uss kay dahaney hath mein lapetay huyey hongay woh pak aur bartar hai her uss cheez say jissay log uss ka shareek banayen
Aur soor phoonk diya jayega pus aasmano aur zamin walay sab bey-hosh ho ker gir paren gay magar jissay Allah chahyey phit doobara soor phoonka jayega pus woh aik dum kharay hoker dekhney lag jayen gay
Aur zamin apney perwerdigar ka noor say jagmaga uthay gi naam-e-aemaal hazir kiyey jayen gay nabiyon aur gawahon ko ko laya jayega aur logon kay darmiyan haq haq faislay ker diyey jayen gay aur woh zulm na kiyey jayen gay
Kafiron kay ghol kay ghol jahannum ki taraf hankaye jayen gay jab woh uss kay pass phonch jayen gay uss kay darwazay unn kay liye khol diye jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say sawal keren gay kay kiya tumharay pass tum mein say rasool nahi aaye thay? Jo tum per tumharay rab ki aayaten parhtay thay aur tumhen uss din ki mulaqat say daratay thay? Yeh jawab den gay kay haan durust hai lekin azab ka hukum kafiron per sabit hogaya
Aur jo log apnay rab say dartay thay unn kay giroh kay giroh jannat ki taraf rawana kiyey jayen gay yahan tak kay jab uss kay pass aajayen gay aur darwazay khol diyey jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say kahen gay tum per salam ho tum khushaal raho tum iss mein hamesha kay liye chalay jao
Yeh kahen gay kay Allah ka shukar hai jiss ney hum say apna wada poora kiya aur hamen iss zamin ka waris bana diya kay jannat mein jahan chahyen muqam ker len pus amal kerney walon ka kiya hi acha badla hai
Aur tu farishton ko Allah kay arash kay ird-gird halqa bandhay huyey apnay rab ki hamd-o-tasbeeh kerta huyey dekhay ga aur inn mein insaf ka faisla kiya jayega aur keh diya jayega kay sari khoobi Allah hi kay liye hai jo tamam jahano ka palanhaar hai