Back to Languages

Urdu - Chapter 39 - Az-Zumar

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Az-Zumar 39:1

Iss kitab ka utaarna Allah Taalaa ghalib ba-hikmat ki taraf say hai

Verse 2 — Surah Az-Zumar 39:2

Yaqeenan hum ney iss kitab ko aap ki taraf haq kay sath nazil farmaya hai pus aap Allah hi ki ibadat keren ussi kay liye deen ko khalis kerti huyey

Verse 3 — Surah Az-Zumar 39:3

Khabradaar! Allah Taalaa hi kay liye khalis ibadat kerna hai aur jin logon ney uss kay siwa auliya bana rakhay hain (aur kehtay hain) kay hum inn ki ibadat sirf iss liye kertay hain kay yeh (buzurg) Allah kay nazdeeki kay martabay tak humari rasaee kera den yeh log jiss baray mein ikhtilaf ker rahey hain iss ka (sacha) faisla Allah (khud) keray ga. Jhootay aur na-shukray (logon) ko Allah Taalaa raah nahi dikhata

Verse 4 — Surah Az-Zumar 39:4

Agar Allah Taalaa ka iradah aulad hi ka hota to apni makhlooq mein say jissay chahata chun leta. (lekin) woh to pak hai wo wohi Allah Taalaa hai yagana aur qooat wala

Verse 5 — Surah Az-Zumar 39:5

Nihayat achi tadbeer say uss ney aasmano aur zamin ko banaya woh raat ko din per aur din ko raat per lapet deta hai aur uss ney sooraj chaand ko kaam per laga rakha hai. Her aik muqarrara muddat tak chal raha hai yaqeen mano kay wohi zabardast aur gunahon ka bakhshney wala hai

Verse 6 — Surah Az-Zumar 39:6

Uss ney tum sab ko aik hi jaan say peda kiya hai phir ussi say uss ka jora peda kiya aur tumharay liye chopayon mein say (aath nar-o-madah)utaray woh tumhen tumhari maaon kay peton mein aik banawat kay baad doosri banawat per banata hai teen teen andheron mein yehi Allah Taalaa tumhara rab hai ussi kay liye badshahaat hai uss kay siwa koi mabood nahi phir tum kahan behak rahey ho

Verse 7 — Surah Az-Zumar 39:7

Agar tum na-shukri kero to (yaad rakho kay) Allah Taalaa tum (sab say) be-niyaz hai aur woh apnay bando ki na-shukri say khush nahi aur agar tum shukar kero to woh issay tumharay liye pasand keray ga aur koi kissi ka bojh nahi uthata phit tum sab ka lotna tumharay rab hi ki taraf hai. Tumhen woh batla dey ga jo tum kertay thay. Yaqeenan woh dilon tak ki baaton ka waqif hai

Verse 8 — Surah Az-Zumar 39:8

Aur insan ko jab kabhi koi takleef phonchti hai to woh khoob rujoo hoker apnay rab ko pukarta hai phir jab Allah Taalaa ussay apnay pass say nemat ata farma deta hai to woh iss say pehlay jo dua kerta tha (ussay) bhool jata hai aur Allah Taalaa kay shareek muqarrar kerney lagta hai jiss say (auron ko bhi) uss ki raah say behkaye aap keh dijiye! Kay apnay kufur ka faeedah kuch din aur utha lo (aakhir) tu dozakhiyon mein honey wala hai

Verse 9 — Surah Az-Zumar 39:9

Bhala jo shaks raaton kay auqaat sajjday aur qayaam ki halat mein (ibadat mein) guzaarta ho aakhirat say darta ho aur apnay rab ki rehmat ki umeed rakhta ho(aur jo iss kay bar-aks ho barbar ho saktay hain) batao to ilm walay aur be-ilm kiya barabar kay hain? Yaqeenan naseehat wohi hasil kertay hain jo aqalmand hon. (apnay rab ki taraf say)

Verse 10 — Surah Az-Zumar 39:10

Kehdo kay aey meray eman walay bando! Apnay rab say dartay raho jo iss duniya mein neki kertay hain unn kay liye nek badla hai aur Allah Taalaa ki zamin boht kushadah hai sabar kerney walon hi ko unn ka poora poora be-shumaar ajar diya jata hai

Verse 11 — Surah Az-Zumar 39:11

Aap keh dijiye! Kay mujhay hukum diya gaya hai kay Allah Taalaa ki iss tarah ibadat keroon kay ussi kay liye ibadat ko khalis ker loon

Verse 12 — Surah Az-Zumar 39:12

Aur mujhay hukum diya gaya hai kay mein sab say pehla farmabardaar ban jaon

Verse 13 — Surah Az-Zumar 39:13

Keh dijiyey! Kay mujhay to apnay rab ki na-farmani kertay huyey baray din kay azab ka khof aata lagta hai

Verse 14 — Surah Az-Zumar 39:14

Keh dijiyey! Kay mein to khalis ker kay sirf apnay rab hi ki ibadat kerta hun

Verse 15 — Surah Az-Zumar 39:15

Tum uss kay siwa jiss ki chahao ibadat kertay raho keh dijiyey! Kay haqeeqi ziyan kaar woh hain jo apnay aap ko aur apnay ehal ko qayamat kay din nuksan mein daal den gay yad rekho kay khullam khulla nuksan yehi hai

Verse 16 — Surah Az-Zumar 39:16

Unehn neechay uper say aag kay (sholay misil)sayebaan (kay)dhaank rahey hongay. Yehi (azab) hai jin say Allah Taalaa apnay bando ko dara raha hai aey meray bando! Pus mujh say dartay raho

Verse 17 — Surah Az-Zumar 39:17

Aur jin logon ney taghoot ki ibadat say perhez kiya aur (hama-tan) Allah Taalaa ki taraf mutawajja rahey woh khushkhabri kay mustahiq hain meray bando ko khushkhabri suna dijiyey

Verse 18 — Surah Az-Zumar 39:18

Jo baat ko kaan laga ker suntay hain. Phir jo behtareen baat ho uss ki ittbaa kertay hain. Yehi hain jinhen Allah Taalaa ney hidayat ki hai aur yehi aqalmand bhi hain

Verse 19 — Surah Az-Zumar 39:19

Bhala jiss shaks per azab ki baat saabit ho chuki hai to kiya aap ussay jo dozakh mein hai chura saktay hain

Verse 20 — Surah Az-Zumar 39:20

Haan woh log jo apnay rab say dartay rahey unn kay liye bala khaney hain jinkay uper bhi banay banaye bala khaney hain (aur) unn kay neechay nehren beh rahi hain. Rab ka wada hai aur woh wada khilafi nahi kerta

Verse 21 — Surah Az-Zumar 39:21

Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman say paani utaarta hai aur ussay zamin ki sooton mein phonchata hai phir issi kay zariyey mukhtalif qisam ki khetiyan ugata hai phit woh khushk hojati hain aur aap unhen zard rang dekhtay hain phir unhen reza reza ker deta hai iss mein aqalmando kay liye boht ziyadah naseehat hai

Verse 22 — Surah Az-Zumar 39:22

Kiya woh shaks jiss ka seena Allah Taalaa ney islam kay liye khol diya hai pus woh apnay perwerdigar ki taraf say aik noor per hai aur halaki hai unn per jin kay dil yaad-e-elahi say (asar nahi letay bulkay) sakht hogaye hain. Yeh log sareeh gumrahi mein (mubtila) hain

Verse 23 — Surah Az-Zumar 39:23

Allah Taalaa ney behtareen kalam nazil farmaya hai jo aisi kitab hai kay aapas mein milti julti aur baar baar dohraee hui aayaton ki hai jiss say unn logon kay rongtay kharay hojatay hain jo apnay rab ka khof rakhtay hain aakhir mein unn kay jisam aur dil Allah Taalaa kay zikar ki taraf naram hojatay hain yeh hai Allah Taalaa ki hidayat jiss kay zariyey jissay chahaye raah-e-raast per laga deta hai. Aur jissay Allah Taalaa hi raah bhula dey uss ka koi hadi nahi

Verse 24 — Surah Az-Zumar 39:24

Bhala jo shaks qayamat kay din kay bad-tareen azab ki sapar (dhaal) apnay mun ko banaye ga. (aisay) zalimon say kaha jayega kay apnay kiyey ka (wabal) chakho

Verse 25 — Surah Az-Zumar 39:25

Inn say pehlay walon ney bhi jhutlaya phir unn per wahan say azab aa para jahan say unn ko khayal bhi na tha

Verse 26 — Surah Az-Zumar 39:26

Aur Allah Taalaa ney unhen zindagan-e-duniya mein ruswaee ka maza chakhaya aur abhi aakhirat ka to bara bhari azab hai kaash kay yeh log samajh len

Verse 27 — Surah Az-Zumar 39:27

Aur yaqeenan hum ney iss quran mein logon kay liye her qisam ki misalen biyan ker di hain kiya ajab kay woh naseehat hasil kerlen

Verse 28 — Surah Az-Zumar 39:28

Quran hai arabi mein jiss mein koi kuji nahi ho sakta hai kay woh perhezgari ikhtiyar ker len

Verse 29 — Surah Az-Zumar 39:29

Allah Taalaa misal biyan farma raha hai aik woh shaks jiss mien boht say bahum zidd rakhney walay saajhi hain aur doosra woh shaks jo sirf aik hi ka (ghulam) hai kiya yeh dono sift mein yaksan hain Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar log samajhtay nahi

Verse 30 — Surah Az-Zumar 39:30

Yaqeenan khud aap ko bhi mot aayegi aur yeh sab bhi marney walay hain

Verse 31 — Surah Az-Zumar 39:31

Phir tum sab kay sab qayamat kay din apnay rab kay samney jhagro gay

Verse 32 — Surah Az-Zumar 39:32

Uss say barh ker zalim kon hai jo Allah Taalaa per jhoot bolay? Aur sacha deen jab uss kay pass aaye to ussay jhoota bataye? Kiya aisay kuffaar kay liye jahannum thikana nahi hai

Verse 33 — Surah Az-Zumar 39:33

Aur jo sachay deen ko laye aur jiss ney iss ki tasdeeq ki yehi log paarsa hain

Verse 34 — Surah Az-Zumar 39:34

Unn kay liye unn kay rab kay pass (her) woh cheez hai jo yeh chahyen nek logon ka yeh hi badla hai

Verse 35 — Surah Az-Zumar 39:35

Takay Allah Taalaa unn say unn kay buray amalon ko door ker dey aur jo nek kaam unhon ney kiyey hain unn ka acha badla ata farmaye

Verse 36 — Surah Az-Zumar 39:36

Kiya Allah Taalaa apnay bandon kay liye kafi nahi? Yeh log aap ko Allah kay siwa auron say dara rahey hain aur jissay Allah gumrah ker day uss ki rehnumaee kerney wala koi nahi

Verse 37 — Surah Az-Zumar 39:37

Aur jissay woh hidayat day ussay koi gumrah kerney wala nahi kiya Allah Taalaa ghalib aur badla lenay wala nahi hai

Verse 38 — Surah Az-Zumar 39:38

Agar aap inn say poochen kay aasman-o-zamin ko kiss ney peda kiya hai? To yaqeenan woh yehi jawab den gay kay Allah ney. Aap inn kahiyey acha yeh to batao jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho agar Allah Taalaa mujhay nuksan phonchana chahye to kiya yeh uss kay nuksan ko hata saktay hain? Ya Allah Taalaa mujh per meharbani ka iradah keray to kiya yeh uss ki meharbani ko rok saktay hain? Aap keh den kay Allah mujhay kafi hai tawakkal kerney walay ussi per tawakkal kertay hain

Verse 39 — Surah Az-Zumar 39:39

Keh dijiye kay aey meri qom! Tum apni jagah per amal kiye jao mein bhi amal ker raha hun abhi abhi tum jaan lo gay

Verse 40 — Surah Az-Zumar 39:40

Kay kiss per ruswa kerney wala azab aata hai aur kiss per daeemi maar aur hameshgi ki saza hoti hai

Verse 41 — Surah Az-Zumar 39:41

Aap per hum ney haq kay sath yeh kitab logon kay liye nazil farmaee hai pus jo shaks rah-e-raast per aajaye uss kay apnay liye nafa hai aur jo gumrah hojaye uss ki gumrahee ka (wabal) ussi per hai aap unn kay zimay daar nahi

Verse 42 — Surah Az-Zumar 39:42

Allah hi roohon ko unn ki mot kay waqt aur jin ki mot nahi aai unhen unn ki neend kay waqt qabz ker leta hai phir jin per mot ka hukum lag chuka hai unhen to rok leta hai aur doosri (roohon) ko aik muqarrar waqt kay liye chor deta hai. Ghor kerney walon kay liye iss mein yaqeenan boht si nishaniyan hain

Verse 43 — Surah Az-Zumar 39:43

Kiya inn logon ney Allah Taalaa kay siwa (auron ko) sifarshi muqarrar ker rakha hai? Aap keh dijiye! Kay go woh kuch bhi ikhtiyar na raktay hon aur na aqal rakhtay hon

Verse 44 — Surah Az-Zumar 39:44

Keh dijiye! Kay tamam sifarish ka mukhtar Allah hi hai. Tamam aasmano aur zamin ka raaj ussi kay liye hai tum sab ussi k taraf pheray jao gay

Verse 45 — Surah Az-Zumar 39:45

Jabb Allah akelay ka zikar kiya jaye to inn logon kay dil nafrat kerney lagtay hain jo aakhirat ka yaqeen nahi rakhtay aur jab uss kay siwa (aur ka ) zikar kiya jaye to unn kay dil khul ker khush ho jatay hain

Verse 46 — Surah Az-Zumar 39:46

Aap keh dijiye! Kay aey Allah ! Aasmano aur zamin kay peda kerney walay chupay khulay ka jannay walay tu hi apnay bandon mein inn umoor ka faisla farmaye ga jin mein who ulajh rahey thay

Verse 47 — Surah Az-Zumar 39:47

Agar zulm kerney walon kay pass woh sab kuch ho jo ruy-e-zamin per hai aur iss kay sath utna hi aur ho to bhi bad-tareen saza kay badlay mein qayamat kay din yeh sab kuch day den aur inn kay samney Allah ki taraf say woh zahir hoga jiss ka gumaan bhi enhen na tha

Verse 48 — Surah Az-Zumar 39:48

Jo kuch enhon ney kiya tha uss ki buraiyan inn per khul paren gi aur jiss ka woh mazaq kertay thay woh enhen aa gheray ga

Verse 49 — Surah Az-Zumar 39:49

Insan ko jab koi takleef phonchti hai to humen pukarney lagta hai phir jab hum ussay apni taraf say koi nemat ata farma den to kehney lagta hai kay issay to mein mehaz apnay ilm ki waja say diya gaya hun bulkay yeh aazmaeesh hai lekin inn mein say aksar log bey-ilm hain

Verse 50 — Surah Az-Zumar 39:50

Inn say aglay bhi yehi baat keh chukay hain pus unn ki kaarawaee unn kay kuch kaam na aaee

Verse 51 — Surah Az-Zumar 39:51

Phir unn ki tamam burayian unn per aa paren aur unn mein say bhi jo gunehgaar hain unn ki ki hui burayian bhi unn per aa paren gi yeh (humen) hara denay walay nahi

Verse 52 — Surah Az-Zumar 39:52

Kiya enhen yeh maloom nahi kay Allah Taalaa jiss kay liye chahye rozi kushadah ker deta hai aur tang (bhi) eman laney walon kay liye iss mein (bari bari) nishaniyan hain

Verse 53 — Surah Az-Zumar 39:53

(meri janib say) keh do kau aey meray bando! Jinhon ney apni jano per ziyadti ki hai tum Allah ki rehmat say na-umeed na hojao bil-yaqeen Allah Taalaa saray gunahon ko bakhash deta hai waqaee woh bari bakhsish bari rehmat wala hai

Verse 54 — Surah Az-Zumar 39:54

Tum (sab) apnay perwerdigar ki taraf jhuk paro aur uss ki hukum bardaari kiye jao iss say qabal kay tumharay pass azab aajaye aur phir tumhari madad na ki jaye

Verse 55 — Surah Az-Zumar 39:55

Aur pairwee kero uss behtareen cheez ki jo tumhari taraf tumharay perwerdigar ki taraf say nazil ki gaee hai iss say pehlay kay tum per achanak azab aajaye aur tumhen itla bhi na ho

Verse 56 — Surah Az-Zumar 39:56

(Aisa na ho kay) koi shaks kahey haaye afsos! Iss baat per kay mein ney Allah Taalaa kay haq mein kotahee ki bulkay mein to mazaq uraney walon mein hi raha

Verse 57 — Surah Az-Zumar 39:57

Ya kehey kay agar Allah mujhay hidayat kerta to mein bhi paarsa logon mein hota

Verse 58 — Surah Az-Zumar 39:58

Ya azab ko dekh ker kahey kaash! Kay kissi tarah mera lot jana ho jata to mein bhi neko kaaro mein ho jata

Verse 59 — Surah Az-Zumar 39:59

Haan (haan) be-shak teray pass meri aayaten phonch chuki thin jinhen tu ney jhutlaya aur ghooroor takabbur kiya aur tu tha hi kafiron mein

Verse 60 — Surah Az-Zumar 39:60

Aur jin logon ney Allah per jhoot bandha hai to aap dekhen gay kay qayamat kay din unn kay chehray siyah hogaye hongay kiya takabbur kerney walon ka thikana jahannum mein nahi

Verse 61 — Surah Az-Zumar 39:61

Aur jin logon ney perhezgari ki unhen Allah Taalaa unn ki kamyabi kay sath bacha ley ga unhen koi dukh choo bhi na sakay ga aur na woh kissi tarah ghumgeen hongay

Verse 62 — Surah Az-Zumar 39:62

Allah her cheez ka peda kerney wala hai aur wohi her cheez per nigehbaan hai

Verse 63 — Surah Az-Zumar 39:63

Aasmano aur zamin ki kunjiyon ka malik wohi hai jin jin logon ney Allah ki aayaton ka inkar kiya wohi khasarah paney walay hain

Verse 64 — Surah Az-Zumar 39:64

Aap keh dijiye aey jahilo! Kiya tum mujh say Allah ka siwa auron ki ibadat ka kehtay ho

Verse 65 — Surah Az-Zumar 39:65

Yaqeenan teri taraf bhi aur tujh say pehlay (kay tamam nabiyon) ki taraf bhi wahee ki gaee hai kay agar tu ney shirk kiya to bila shuba tera amal zaya hojayega aur bil-yaqeen tu ziyan kaaron mein say hojayega

Verse 66 — Surah Az-Zumar 39:66

Bulkay tu Allah hi ki ibadat ker aur shukar kerney walon mein say hoja

Verse 67 — Surah Az-Zumar 39:67

Aur inn logon ney jaisi qadar Allah Taalaa ki kerni chahyey thi nahi ki sari zami qayamat kay din uss ki muthi mein hogi aur tamam aasman uss kay dahaney hath mein lapetay huyey hongay woh pak aur bartar hai her uss cheez say jissay log uss ka shareek banayen

Verse 68 — Surah Az-Zumar 39:68

Aur soor phoonk diya jayega pus aasmano aur zamin walay sab bey-hosh ho ker gir paren gay magar jissay Allah chahyey phit doobara soor phoonka jayega pus woh aik dum kharay hoker dekhney lag jayen gay

Verse 69 — Surah Az-Zumar 39:69

Aur zamin apney perwerdigar ka noor say jagmaga uthay gi naam-e-aemaal hazir kiyey jayen gay nabiyon aur gawahon ko ko laya jayega aur logon kay darmiyan haq haq faislay ker diyey jayen gay aur woh zulm na kiyey jayen gay

Verse 70 — Surah Az-Zumar 39:70

Aur jiss shaks ney jo kuch kiya hai bharpoor dey diya jayega jo kuch log ker rahey hain woh bakhoobi jannay wala hai

Verse 71 — Surah Az-Zumar 39:71

Kafiron kay ghol kay ghol jahannum ki taraf hankaye jayen gay jab woh uss kay pass phonch jayen gay uss kay darwazay unn kay liye khol diye jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say sawal keren gay kay kiya tumharay pass tum mein say rasool nahi aaye thay? Jo tum per tumharay rab ki aayaten parhtay thay aur tumhen uss din ki mulaqat say daratay thay? Yeh jawab den gay kay haan durust hai lekin azab ka hukum kafiron per sabit hogaya

Verse 72 — Surah Az-Zumar 39:72

Kaha jayega kay abb jahannum kay darwazon mein dakhil hojao jahan hamesha rahen gay pus sirkashon ka thikana boht hi bura hai

Verse 73 — Surah Az-Zumar 39:73

Aur jo log apnay rab say dartay thay unn kay giroh kay giroh jannat ki taraf rawana kiyey jayen gay yahan tak kay jab uss kay pass aajayen gay aur darwazay khol diyey jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say kahen gay tum per salam ho tum khushaal raho tum iss mein hamesha kay liye chalay jao

Verse 74 — Surah Az-Zumar 39:74

Yeh kahen gay kay Allah ka shukar hai jiss ney hum say apna wada poora kiya aur hamen iss zamin ka waris bana diya kay jannat mein jahan chahyen muqam ker len pus amal kerney walon ka kiya hi acha badla hai

Verse 75 — Surah Az-Zumar 39:75

Aur tu farishton ko Allah kay arash kay ird-gird halqa bandhay huyey apnay rab ki hamd-o-tasbeeh kerta huyey dekhay ga aur inn mein insaf ka faisla kiya jayega aur keh diya jayega kay sari khoobi Allah hi kay liye hai jo tamam jahano ka palanhaar hai