Qareeb hai aasman uper say phat paren aur tamam farishtay apnay rab ki paki tareef kay sath biyan ker rahey hain aur zamin walon kay liye istaghfar ker rahey hain. Khoob samajh rakho kay Allah Taalaa hi maaf farmaney wala rehmat wala hai
Issi tarah hum ney aap ki taraf arabi quran ki wahee ki hai takay aap makkah walon ko aur uss kay aas pass logon ko khabardar ker den aur jama honey kay din say jiss kay aanay mein koi shak nahi dara den. Aik giroh jannat mein hoga aur aik giroh jahannum mein hoga
Agar Allah Taalaa chahata to inn sab ko aik hi ummat ka bana deta lekin woh jissay chahata hai apni rehmat mein dakhil ker leta hai aur zalimon ka haami aur madadgar koi nahi
Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur kaar saaz bana liye hain (haqeeqatan) to Allah Taalaa hi kaar saaz hai wohi murdon ko zindah keray ga aur wohi her cheez per qadir hai
Aur jiss jiss cheez mein tumhara ikhtilaf ho uss ka faisla Allah Taalaa hi ki taraf hai yehi Allah mera rab hai jiss per mein ney bharosa ker rakha hai aur jiss ki taraf mein jhukta hun
Woh aasmano aur zamin ka peda kerney wala hai uss ney tumhray liye tumhari jins kay joray bana diyey hain. Aur chopayon kay joray banaye hain tumhen woh iss mein phela raha hai uss jesi koi cheez nahi woh sunnay aur dekhney wala hai
Allah Taalaa ney tumharay liye wohi deen muqarrar ker diya hai jiss kay qaeem kerney ka uss ney Nooh (alh-e-salam) ko hukum diya tha aur jo (ba-zariya wahee) hum ney teri taraf bhej di hai aur jiss ka takeedi hukum hum ney Ibrahim aur Musa aur Essa (alheem-us-salam) ko diya tha kay iss deen ko qaeem rakhna aur iss mein phoot na dalna jiss cheez ki taraf aap ehen bula rahey hain who to (inn) mushrikon per giran guzarti hai Allah Taalaa jissay chahata hai apna bargazeedah banata hai aur jo bhi uss ki taraf rujoo keray who uss ki sahih rehnumaee kerta hai
Unn logon ney apnay pass ilm aajaney kay baad hi ikhtilaf kiya (aur woh bhi) bahami zidd behas say aur agar aap kay rab ki baat aik waqt-e-muqarrara tak kay liye pehlay hi say qarar paagaee hui na hoti to yaqeenan unn ka faisla ho chuka hota aur jinn logon ko unn kay baad kitab di gaee hai woh bhi uss ki taraf say uljhan walay shak mein paray huye hain
Pus aap logon ko issi tarah bulatay rahen aur jo kuch aap say kaha gaya hai uss per mazbooti say jamm jayen aur inn ki khuwaishon per na chalen aur keh den kay Allah Taalaa ney jitni kitaben nazil farmaee hain mera unn per eman hai aur mujhay humkum diya gaya hai kay tum mein insaf kerta rahon. Humara aur tum sab ka perwerdigar Allah hi hai humaray aemaal humaray liye hain aur tumharay aemaal tumharay liye hain hum tum mein koi cut hujjati nahi Allah Taalaa hum (sab) ko jama keray ga aur ussi ki taraf lotna hai
Aur jo log Allah Taalaa ki baton mein jhagra daltay hain iss kay baad kay (makhlooq) ussay maan chuki unn ki cut hujjati Allah kay nazdeek batil hai aur unn per ghazab hai aur unn kay liye sakht azab hai
Iss ko jaldi unhen pari hai jo issay nahi mantay aur jo iss per yaqeen rakhtay hain woh to iss say darr rahey hain unhen iss kay haq honey ka poora ilm hai. Yad rakho jo log qayamat kay moamlay mein lar jhagar rahey hain woh door ki gumrahee mein paray huyey hain
Jiss ka iradah aakhirat ki kheti ka ho hum ussay uss ki kheti mein taraqqi den gay aur jo duniya ki kheti ki talab rakhta ho hum ussay uss mein say ho kuch dey den gay aisay shaks ka aakhirat mein koi hissa nahi
Kiya inn logon ney aisay (Allah kay) shareek (muqarrar ker rakhay) hain jinhon ney aisay ehkaam-e-deen muqarrar ker diyey hain jo Allah kay famaye huye nahi hain. Agar faislay kay din ka wada na hota to (abhi hi) inn mein faisla ker diya jata. Yaqeenan (inn) zalimon kay liye hi dard-naak azab hai
Aap dekhen gay kay yeh zalim apnay aemaal say darr rahey hongay jinn kay wabal inn per waqey honey walay hain aur jo log eman laye aur unhon ney nek aemaal kiyey woh bahishton kay baghaat mein hongay woh jo khuwaish keren apnay rab kay pass mojood payen gay yehi hai bara fazal
Yehi woh hai jiss ki bisharat Allah Taalaa apney bandon ko dey raha hai jo eman laye aur (sunnat kay mutabiq) nek aemaal kiyey to keh dijiyey! Kay mein iss per tum say koi badla nahi chahata magar mohabbat rishtaydaari ki jo shaks koi neki keray hum uss kay liye uss ki neki mein aur neki barha den gay be-shak Allah Taalaa boht bakhshney wala (aur) boht qadardaan hai
Kiya yeh kehtay hain kay (payghumber ney) Allah per khoot bandha hai agar Allah Taalaa chahye to aap kay dil per mohar laga day aur Allah Taalaa apni baton say jhoot ko mita deta hai aur sach ko sabit rakhta hai. Woh seenay ki baton ko jannay wala hai
Agar Allah Taalaa apnay (sab) bandon ki rozi faraakh ker deta to woh zamin mein fasad barpa ker detay lekin woh andazay kay sath jo kuch chahata hai nazil farmata hai woh apnay bandon say poora khabardar hai aur khoob dekhney wala hai
Aur uss ki nishaniyon mein say aasmano aur zamin ki pedaeesh hai aur inn mein jandaron ka phelana hai. Woh iss per bhi qadir hai kay jab chahye unhen jama ker day
Agar woh chahye to hawa band kerday aur yeh kashtiyan samnadaron per ruki reh jayen. Yaqeenan iss mein jer sabar kerney walay shukar guzar kay liye nishaniyan hain
To tumhen jo kuch diya gaya hai woh zindaganiy-e-duniya ka kuch yun hi sa asbab hai aur Allah kay pass jo hai woh iss say ba-darja behtar aur payedaar hai woh unn kay liye hai jo eman laye aur sirf apnay rab hi per bharosa rakhtay hain
Aur apnay rab kay farman ko qabool kertay hain aur unn ka (her) kaam aapas kay mashwaray say hota hai aur jo hum ney unhen dey rakha hai uss mein say (humaray naam per) detay hain
Aur baraee ka badla ussi jaisi buraee hai aur jo maaf ker dayaur islah kerley uss ka ajar Allah kay zimay hai (fil-waqey) Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta
Yeh raasta sirf unn logon per hai jo khud doosron per zulm keren aur zamin mein na haq fasad kertay phiren yehi log hain jinn kay liye dard-naak azab hai
Aur jissay Allah Taalaa behka dey uss ka iss kay baad koi chara saaz nahi aur tu dekhay ga kay zalim log azab ko dekh ker keh rahen hongay kay kiya wapis janey ki koi raah hai
Aur tu enhen dekhay ga kay woh (jahannum kay) samney la-kharay kiyey jayen gay maray zillat kay jhukay jarahen hongay aur kan-ankhiyon say dekh rahey hongay eman walay saaf kahen gay kay haqeeqi ziyan kaar woh hain jinhon ney aaj qayamat kay din apnay aap ko aur apnay ghar walon ko nuksan mein dal diya. Yaad rakho kay yaqeenan zalim log daaeemi azab mein hain
Apnay rab ka hukum maan lo iss say pehlay kay Allah ki janib say woh din aajaye jiss ka hut jana na-mumkin hai tumhen uss roz na koi panah ki jagah milay gi na chup ker anjan bann janey ki
Agar yeh mun pher len to hum ney aap ko inn per nigheybaan bana ker nahi bheja aap kay zimay to sirf paygham phoncha dena hai hum jab kabhi insan ko apni meharbani ka maza chakhatay hain to woh iss per itra jata hai aur agar unhen unn kay aemaal ki waja say koi museebat phonchti hai to be-shak insan bara hi na shukra hai
Aasmano ki aur zamin ki saltanat Allah Taalaa hi kay liye hai woh jo chahata hai peda kerta hai jiss ko chahata hai betyian deta hai aur jissay chahata hai betay deta hai
Na-mumkin hai kay kissi banday say Allah Taalaa kalam keray magar wahee kay zariyey ya parday kay peechay say ya kissi farishtay ko bhejay aur woh Allah ka hukum say jo woh chahaye wahee keray be-shak woh bartar hai hikmat wala hai
Aur iss tarah hum ney aap ki taraf apnay hukum say rooh ko utara hai aap iss say pehlay yeh bhi nahi jantay thay kay kitab aur eman kiya cheez hai? Lekin hum nay issay noor banaya iss kay zariyey say apnay bandon mein say jissay chahatay hain hidayat detay hain be-shak aap raah-e-raast ki rehnumaee ker rahey hain