Back to Languages

Urdu - Chapter 42 - Ash-Shura

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Ash-Shura 42:1

Verse 2 — Surah Ash-Shura 42:2

Verse 3 — Surah Ash-Shura 42:3

Allah Taalaa jo zabardast hai aur hikmat wala hai issi tarah teri taraf aur tujh say aglon ki taraf wahee bhejta raha

Verse 4 — Surah Ash-Shura 42:4

Aasmano ki (tamam) cheezen aur jo kuch zamin mein hai sab ussi ka hai woh bartar aur azeem-us-shan hai

Verse 5 — Surah Ash-Shura 42:5

Qareeb hai aasman uper say phat paren aur tamam farishtay apnay rab ki paki tareef kay sath biyan ker rahey hain aur zamin walon kay liye istaghfar ker rahey hain. Khoob samajh rakho kay Allah Taalaa hi maaf farmaney wala rehmat wala hai

Verse 6 — Surah Ash-Shura 42:6

Jinn logon ney uss kay siwa doosron ko kaar saaz bana liya hai Allah Taalaa unn per nigran hai aur aap unkay zimaydaar nahi hain

Verse 7 — Surah Ash-Shura 42:7

Issi tarah hum ney aap ki taraf arabi quran ki wahee ki hai takay aap makkah walon ko aur uss kay aas pass logon ko khabardar ker den aur jama honey kay din say jiss kay aanay mein koi shak nahi dara den. Aik giroh jannat mein hoga aur aik giroh jahannum mein hoga

Verse 8 — Surah Ash-Shura 42:8

Agar Allah Taalaa chahata to inn sab ko aik hi ummat ka bana deta lekin woh jissay chahata hai apni rehmat mein dakhil ker leta hai aur zalimon ka haami aur madadgar koi nahi

Verse 9 — Surah Ash-Shura 42:9

Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur kaar saaz bana liye hain (haqeeqatan) to Allah Taalaa hi kaar saaz hai wohi murdon ko zindah keray ga aur wohi her cheez per qadir hai

Verse 10 — Surah Ash-Shura 42:10

Aur jiss jiss cheez mein tumhara ikhtilaf ho uss ka faisla Allah Taalaa hi ki taraf hai yehi Allah mera rab hai jiss per mein ney bharosa ker rakha hai aur jiss ki taraf mein jhukta hun

Verse 11 — Surah Ash-Shura 42:11

Woh aasmano aur zamin ka peda kerney wala hai uss ney tumhray liye tumhari jins kay joray bana diyey hain. Aur chopayon kay joray banaye hain tumhen woh iss mein phela raha hai uss jesi koi cheez nahi woh sunnay aur dekhney wala hai

Verse 12 — Surah Ash-Shura 42:12

Aasmano aur zamin ki kunjiyan ussi ki hain jiss ki chahye rozi kushada ker day aur tang ker day yaqeenan woh her cheez jannay wala hai

Verse 13 — Surah Ash-Shura 42:13

Allah Taalaa ney tumharay liye wohi deen muqarrar ker diya hai jiss kay qaeem kerney ka uss ney Nooh (alh-e-salam) ko hukum diya tha aur jo (ba-zariya wahee) hum ney teri taraf bhej di hai aur jiss ka takeedi hukum hum ney Ibrahim aur Musa aur Essa (alheem-us-salam) ko diya tha kay iss deen ko qaeem rakhna aur iss mein phoot na dalna jiss cheez ki taraf aap ehen bula rahey hain who to (inn) mushrikon per giran guzarti hai Allah Taalaa jissay chahata hai apna bargazeedah banata hai aur jo bhi uss ki taraf rujoo keray who uss ki sahih rehnumaee kerta hai

Verse 14 — Surah Ash-Shura 42:14

Unn logon ney apnay pass ilm aajaney kay baad hi ikhtilaf kiya (aur woh bhi) bahami zidd behas say aur agar aap kay rab ki baat aik waqt-e-muqarrara tak kay liye pehlay hi say qarar paagaee hui na hoti to yaqeenan unn ka faisla ho chuka hota aur jinn logon ko unn kay baad kitab di gaee hai woh bhi uss ki taraf say uljhan walay shak mein paray huye hain

Verse 15 — Surah Ash-Shura 42:15

Pus aap logon ko issi tarah bulatay rahen aur jo kuch aap say kaha gaya hai uss per mazbooti say jamm jayen aur inn ki khuwaishon per na chalen aur keh den kay Allah Taalaa ney jitni kitaben nazil farmaee hain mera unn per eman hai aur mujhay humkum diya gaya hai kay tum mein insaf kerta rahon. Humara aur tum sab ka perwerdigar Allah hi hai humaray aemaal humaray liye hain aur tumharay aemaal tumharay liye hain hum tum mein koi cut hujjati nahi Allah Taalaa hum (sab) ko jama keray ga aur ussi ki taraf lotna hai

Verse 16 — Surah Ash-Shura 42:16

Aur jo log Allah Taalaa ki baton mein jhagra daltay hain iss kay baad kay (makhlooq) ussay maan chuki unn ki cut hujjati Allah kay nazdeek batil hai aur unn per ghazab hai aur unn kay liye sakht azab hai

Verse 17 — Surah Ash-Shura 42:17

Allah Taalaa ney haq kay sath kitab nazil farmaee hai aur tarazoo bhi (utari hai) aur aap ko kiya khabar shayad qayamat qareeb hi ho

Verse 18 — Surah Ash-Shura 42:18

Iss ko jaldi unhen pari hai jo issay nahi mantay aur jo iss per yaqeen rakhtay hain woh to iss say darr rahey hain unhen iss kay haq honey ka poora ilm hai. Yad rakho jo log qayamat kay moamlay mein lar jhagar rahey hain woh door ki gumrahee mein paray huyey hain

Verse 19 — Surah Ash-Shura 42:19

Allah Taalaa apnay bandon per bara hi lutf kerney wala hai jissay chahata hai kushada rozi deta hai aur woh bari taqat baray ghalbay wala hai

Verse 20 — Surah Ash-Shura 42:20

Jiss ka iradah aakhirat ki kheti ka ho hum ussay uss ki kheti mein taraqqi den gay aur jo duniya ki kheti ki talab rakhta ho hum ussay uss mein say ho kuch dey den gay aisay shaks ka aakhirat mein koi hissa nahi

Verse 21 — Surah Ash-Shura 42:21

Kiya inn logon ney aisay (Allah kay) shareek (muqarrar ker rakhay) hain jinhon ney aisay ehkaam-e-deen muqarrar ker diyey hain jo Allah kay famaye huye nahi hain. Agar faislay kay din ka wada na hota to (abhi hi) inn mein faisla ker diya jata. Yaqeenan (inn) zalimon kay liye hi dard-naak azab hai

Verse 22 — Surah Ash-Shura 42:22

Aap dekhen gay kay yeh zalim apnay aemaal say darr rahey hongay jinn kay wabal inn per waqey honey walay hain aur jo log eman laye aur unhon ney nek aemaal kiyey woh bahishton kay baghaat mein hongay woh jo khuwaish keren apnay rab kay pass mojood payen gay yehi hai bara fazal

Verse 23 — Surah Ash-Shura 42:23

Yehi woh hai jiss ki bisharat Allah Taalaa apney bandon ko dey raha hai jo eman laye aur (sunnat kay mutabiq) nek aemaal kiyey to keh dijiyey! Kay mein iss per tum say koi badla nahi chahata magar mohabbat rishtaydaari ki jo shaks koi neki keray hum uss kay liye uss ki neki mein aur neki barha den gay be-shak Allah Taalaa boht bakhshney wala (aur) boht qadardaan hai

Verse 24 — Surah Ash-Shura 42:24

Kiya yeh kehtay hain kay (payghumber ney) Allah per khoot bandha hai agar Allah Taalaa chahye to aap kay dil per mohar laga day aur Allah Taalaa apni baton say jhoot ko mita deta hai aur sach ko sabit rakhta hai. Woh seenay ki baton ko jannay wala hai

Verse 25 — Surah Ash-Shura 42:25

Wohi hai jo apnay bandon ki toba qabool farmata hai aur gunahon say darguzar farmata hai aur jo kuch tum ker rahey ho (sab) janta hai

Verse 26 — Surah Ash-Shura 42:26

eman walon aur neko kaar logon ki sunta hai aur unhen apnay fazal say aur barha ker deta hai aur kuffaar kay liye sakht azab hai

Verse 27 — Surah Ash-Shura 42:27

Agar Allah Taalaa apnay (sab) bandon ki rozi faraakh ker deta to woh zamin mein fasad barpa ker detay lekin woh andazay kay sath jo kuch chahata hai nazil farmata hai woh apnay bandon say poora khabardar hai aur khoob dekhney wala hai

Verse 28 — Surah Ash-Shura 42:28

Aur wohi hai jo logon kay na-umeed hojaney kay bad barish barsata hai aur apni rehmat phela deta hai. Wohi hai kaar saaz aur qabil-e-hamd-o-sana

Verse 29 — Surah Ash-Shura 42:29

Aur uss ki nishaniyon mein say aasmano aur zamin ki pedaeesh hai aur inn mein jandaron ka phelana hai. Woh iss per bhi qadir hai kay jab chahye unhen jama ker day

Verse 30 — Surah Ash-Shura 42:30

Tumhen jo kuch museebaten phonchti hai woh tumharay apnay hathon kay kartoot ka badla hai aur woh to boht si baton say darguzar farma deta hai

Verse 31 — Surah Ash-Shura 42:31

Aur tum humen zamin mein aajiz kerney walay nahi ho tumharay liye siwaye Allah Taalaa kay na koi kaar saaz hai na madadgar

Verse 32 — Surah Ash-Shura 42:32

Aur darya mein chalney wali paharon jaisi kashtiyan uss ki nishaniyon mein say hain

Verse 33 — Surah Ash-Shura 42:33

Agar woh chahye to hawa band kerday aur yeh kashtiyan samnadaron per ruki reh jayen. Yaqeenan iss mein jer sabar kerney walay shukar guzar kay liye nishaniyan hain

Verse 34 — Surah Ash-Shura 42:34

Ya enhen inn kay kartootton kay baees tabah kerday woh to boht si khataon say darguzar farmaya kerta hai

Verse 35 — Surah Ash-Shura 42:35

Aur takay jo log humari nishaniyon mein jhagartay hain woh maloom kerlen kay unn kay liye chutkara nahi

Verse 36 — Surah Ash-Shura 42:36

To tumhen jo kuch diya gaya hai woh zindaganiy-e-duniya ka kuch yun hi sa asbab hai aur Allah kay pass jo hai woh iss say ba-darja behtar aur payedaar hai woh unn kay liye hai jo eman laye aur sirf apnay rab hi per bharosa rakhtay hain

Verse 37 — Surah Ash-Shura 42:37

Aur kabeerah gunahon say aur be-hayaeeon say bachtay hain aur gussay kay waqt (bhi) maaf ker detay hain

Verse 38 — Surah Ash-Shura 42:38

Aur apnay rab kay farman ko qabool kertay hain aur unn ka (her) kaam aapas kay mashwaray say hota hai aur jo hum ney unhen dey rakha hai uss mein say (humaray naam per) detay hain

Verse 39 — Surah Ash-Shura 42:39

Aur jab unn per zulm-(o-ziyadti) hoto woh sirf badla ley letay hain

Verse 40 — Surah Ash-Shura 42:40

Aur baraee ka badla ussi jaisi buraee hai aur jo maaf ker dayaur islah kerley uss ka ajar Allah kay zimay hai (fil-waqey) Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta

Verse 41 — Surah Ash-Shura 42:41

Aur jo shaks apnay mazloom honay kay baad (barabar ka) badla ley ley to aisay logon per (ilzam ka) koi raasta nahi

Verse 42 — Surah Ash-Shura 42:42

Yeh raasta sirf unn logon per hai jo khud doosron per zulm keren aur zamin mein na haq fasad kertay phiren yehi log hain jinn kay liye dard-naak azab hai

Verse 43 — Surah Ash-Shura 42:43

Aur jo shaks sabar kerley aur maaf kerdey yaqeenan yeh bari himmat kay kaamon mein say (aik kaam) hai

Verse 44 — Surah Ash-Shura 42:44

Aur jissay Allah Taalaa behka dey uss ka iss kay baad koi chara saaz nahi aur tu dekhay ga kay zalim log azab ko dekh ker keh rahen hongay kay kiya wapis janey ki koi raah hai

Verse 45 — Surah Ash-Shura 42:45

Aur tu enhen dekhay ga kay woh (jahannum kay) samney la-kharay kiyey jayen gay maray zillat kay jhukay jarahen hongay aur kan-ankhiyon say dekh rahey hongay eman walay saaf kahen gay kay haqeeqi ziyan kaar woh hain jinhon ney aaj qayamat kay din apnay aap ko aur apnay ghar walon ko nuksan mein dal diya. Yaad rakho kay yaqeenan zalim log daaeemi azab mein hain

Verse 46 — Surah Ash-Shura 42:46

Unn kay koi madadgar nahi jo Allah Taalaa say alag unn ki madad ker saken aur jissay Allah gumrah kerdey uss kay liye koi raasta hi nahi

Verse 47 — Surah Ash-Shura 42:47

Apnay rab ka hukum maan lo iss say pehlay kay Allah ki janib say woh din aajaye jiss ka hut jana na-mumkin hai tumhen uss roz na koi panah ki jagah milay gi na chup ker anjan bann janey ki

Verse 48 — Surah Ash-Shura 42:48

Agar yeh mun pher len to hum ney aap ko inn per nigheybaan bana ker nahi bheja aap kay zimay to sirf paygham phoncha dena hai hum jab kabhi insan ko apni meharbani ka maza chakhatay hain to woh iss per itra jata hai aur agar unhen unn kay aemaal ki waja say koi museebat phonchti hai to be-shak insan bara hi na shukra hai

Verse 49 — Surah Ash-Shura 42:49

Aasmano ki aur zamin ki saltanat Allah Taalaa hi kay liye hai woh jo chahata hai peda kerta hai jiss ko chahata hai betyian deta hai aur jissay chahata hai betay deta hai

Verse 50 — Surah Ash-Shura 42:50

Ya enhen jama ker deta hai betay bhi aur betyian bhi aur jissay chahye baanjh ker deta hai woh baray ilm wala aur kamil qudrat wala hai

Verse 51 — Surah Ash-Shura 42:51

Na-mumkin hai kay kissi banday say Allah Taalaa kalam keray magar wahee kay zariyey ya parday kay peechay say ya kissi farishtay ko bhejay aur woh Allah ka hukum say jo woh chahaye wahee keray be-shak woh bartar hai hikmat wala hai

Verse 52 — Surah Ash-Shura 42:52

Aur iss tarah hum ney aap ki taraf apnay hukum say rooh ko utara hai aap iss say pehlay yeh bhi nahi jantay thay kay kitab aur eman kiya cheez hai? Lekin hum nay issay noor banaya iss kay zariyey say apnay bandon mein say jissay chahatay hain hidayat detay hain be-shak aap raah-e-raast ki rehnumaee ker rahey hain

Verse 53 — Surah Ash-Shura 42:53

Uss Allah ki raah ki jiss ki milkiyat mein aasmano aur zamin ki her cheez hai. Aagah raho sab kaam Allah Taalaa hi ki taraf lot-tay hain