Aur raat din kay badlaney mein aur jo kuch rozi Allah Taalaa aasman say nazil farma ker zamin ko usski mot kay baad zindah ker deta hai (iss mein aur hawaon kay badlney mein bhi unn logon kay liye jo awal rakhtay hain nishaniyan hain)
Jo aayaten Allah ki apnay samney parhi jati hui sunay phir bhi ghuroor kerta hua iss tarah ara rahey kay goya suni hi nahi to aisay logon ko dard-naak azab ki khabar (phoncha) dijiye
Unn kay peechay dozakh hai hai jo kuch unhon ney hasil kiya tha woh unhen kuch bhi nafa na dey ga aur na woh (kuch kaam aayengay) jinn ko unhon ney Allah kay siwa kaar saaz bana rakha tha unn kay liye bohat bara azab hai
Alla hi hai jiss ney tumharay liye darya ko taabey bana diya takay uss kay hukum say iss mein kashtiyan chalen aur tum uss ka fazal talash keroaur takay tum shukar baja lao
Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ko bhi uss ney apni taraf say tumharay liye tabey ker diya hai. Jo ghor keren yaqeenan woh iss mein boht si nishaniyan paa len gay
Aap eman walon say keh den kay woh inn logon say dar-guzar keren jo Allah kay dinon ki tawakka nahi rakhtay takay Allah Taalaa aik qom ko unn kay kartooton ka badla day
Jo neki keray ga woh apnay zatti bhalay kay liye aur jo buraee keray ga uss ka wabal ussi per hai phir tum sabb apnay perwerdigar ki taraf lotaye jaogay
Yaqeenan hum ney bani israeel ko kitab hakumat aur nabowat di thi aur hum ney unhen pakeezah (aur nafees) roziyan di thin aur unhen duniya walon per fazilat di thi
Aur hum ney unhen deen ki saaf saaf daleelen dein phir unhon ney apnay pass ilm kay phonch janey kay baad aapas ki zidd behas say hi ikhtilaf barpa ker dala yeh jinn jinn cheezon mein ikhtilaf ker rahey hain unn ka faisla qayamat walay din unn kay darmiyan (khud) tera rab keray ga
(Yad rakhen) kay yeh log hergiz Allah kay samney aap kay kuch kaam nahi aasaktay. (Samjh len kay) zalim log aapas mein aik doosray kay rafiq hotay hain aur perhezgaron ka kaar saaz Allah Taalaa hai
Kiya unn logon ka jo bura kaam kertay hain yeh guman hai kay hum unhen unn logon jaisa kerden gay jo eman laye aur nek kaam kiyey kay unn ka marna jeena yaksan hojaye bura hai woh faisla jo woh ker rahey hain
Aur aasmano aur zamin ko Allah ney boht adal kay sath peda kiya hai aur takay her shaks ko uss kay kiyey huye kaam ka poora badla diya jaye aur unn per zulm na kiya jaye
Kiya aap ney ussay bhi dekha? Jiss ney apni khuwaish-e-nafas ko apna mabood bana rakha hai aur bawajood samjh boojh kay Allah ney ussay gumrah ker diya hai aur uss kay kaan aur dil per mohar laga di hai aur uss ki aankh per bhi pardah daal diya hai abb aisay shaks ko Allah kay baad kon hidayat day sakta hai
Kiya abb bhi tum naseehat nahi pakartay. Unhon ney kaha humari zindagi to sirf duniya ki zindagi hi hai. Hum martay aur jeetay hain aur humen sirf zamana hi maar dalta hai (dar-asal) unhen iss ka kuch ilm hi nahi. Yeh to sirf (qayas aur) atkal say hi kaam ley rahey hain
Aur jabb inn kay samney humari wazeh aur roshan aayaton ki tilawat ki jati hai to inn kay pass iss qol kay siwa koi daleel nahi hoti kay agar tum sachay ho to humaray baap dadon ko lao
Aap keh dijiye! Allah hi tumhen zindah kerta hai phir tumhen maar dalta hai phir tumhen qayamat kay din jama keray ga jiss mein koi shak nahi lekin aksar log nahi samajhtay
Aur aap dekhen gay kay her ummat ghutnon kay bal giri hui hogi. Her giroh apnay naam-e-aemaal ki taraf bulaya jayega aaj tumhen apnay kiyey ka badla diya jayega
Lekin jinn logon ney kufur kiya to (mein unn say kahon ga) kiya meri aayaten tumhen sunaee nahi jati thin? Phir bhi tum takabbur kertay rahey aur tum thay hi gunehgar log
Aur jabb kabhi kaha jata kay Allah ka wada yaqeenan sacha hai aur qayamat kay aaney mein koi shak nahi to tum jawab detay thay kay hum nahi jantay qayamat kiya cheez hai? Humen kuch yun hi sa khayal hojata hai lekin humen yaqeen nahi
Aur keh diya gaya kay aaj hum tumhen bhula den gay jaisay kay tum ney apnay iss din say milney ko bhula diya tha tumhara thikana jahannum hai aur tumhara madadgar koi nahi
Yeh iss liye hain kay tum ney Allah Taalaa ki aayaton ki hansi uraee thi aur duniya ki zindagi ney tumhen dhokay mein daal rakha tha pus aaj kay din na to yeh (dozakh) say nikalen jayen gay aur na unn say uzar-o-maazrat qabool kiya jayega