Back to Languages

Urdu - Chapter 45 - Al-Jathiyah

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Jathiyah 45:1

Verse 2 — Surah Al-Jathiyah 45:2

Yeh kitab Allah ghalib hikmat walay ki taraf say nazil ki hui hai

Verse 3 — Surah Al-Jathiyah 45:3

Aasmano aur zamin mein emaandaron kay liye yaqeenan boht si nishaniyan hain

Verse 4 — Surah Al-Jathiyah 45:4

Aur khud tumhari pedaeesh mein aur inn janwaron ki pedaeesh mein jinehn woh phelata hai yaqeen rakhney wali qom kay liye boht si nishaniyan hain

Verse 5 — Surah Al-Jathiyah 45:5

Aur raat din kay badlaney mein aur jo kuch rozi Allah Taalaa aasman say nazil farma ker zamin ko usski mot kay baad zindah ker deta hai (iss mein aur hawaon kay badlney mein bhi unn logon kay liye jo awal rakhtay hain nishaniyan hain)

Verse 6 — Surah Al-Jathiyah 45:6

Yeh hain Allah ki aayaten jinhen hum aap ko raasti say suna rahey hain pus Allah Taalaa aur uss ki aayaton kay baad yeh kiss baat per eman layen gay

Verse 7 — Surah Al-Jathiyah 45:7

“Well” aur afsos hai her aik jhootay gunehgar per

Verse 8 — Surah Al-Jathiyah 45:8

Jo aayaten Allah ki apnay samney parhi jati hui sunay phir bhi ghuroor kerta hua iss tarah ara rahey kay goya suni hi nahi to aisay logon ko dard-naak azab ki khabar (phoncha) dijiye

Verse 9 — Surah Al-Jathiyah 45:9

Woh jabb humari aayaton mein say kissi aayat ki khabar paa leta hai to uss ki hansi urata hai yehi log hain jinn kay liye ruswaee ki maar hai

Verse 10 — Surah Al-Jathiyah 45:10

Unn kay peechay dozakh hai hai jo kuch unhon ney hasil kiya tha woh unhen kuch bhi nafa na dey ga aur na woh (kuch kaam aayengay) jinn ko unhon ney Allah kay siwa kaar saaz bana rakha tha unn kay liye bohat bara azab hai

Verse 11 — Surah Al-Jathiyah 45:11

Yeh (sirtapa) hidayat hai jinn logon ney apnay rab ki aayaton ko na mana unn kay liye bohat sakht dard-naak azab hai

Verse 12 — Surah Al-Jathiyah 45:12

Alla hi hai jiss ney tumharay liye darya ko taabey bana diya takay uss kay hukum say iss mein kashtiyan chalen aur tum uss ka fazal talash keroaur takay tum shukar baja lao

Verse 13 — Surah Al-Jathiyah 45:13

Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ko bhi uss ney apni taraf say tumharay liye tabey ker diya hai. Jo ghor keren yaqeenan woh iss mein boht si nishaniyan paa len gay

Verse 14 — Surah Al-Jathiyah 45:14

Aap eman walon say keh den kay woh inn logon say dar-guzar keren jo Allah kay dinon ki tawakka nahi rakhtay takay Allah Taalaa aik qom ko unn kay kartooton ka badla day

Verse 15 — Surah Al-Jathiyah 45:15

Jo neki keray ga woh apnay zatti bhalay kay liye aur jo buraee keray ga uss ka wabal ussi per hai phir tum sabb apnay perwerdigar ki taraf lotaye jaogay

Verse 16 — Surah Al-Jathiyah 45:16

Yaqeenan hum ney bani israeel ko kitab hakumat aur nabowat di thi aur hum ney unhen pakeezah (aur nafees) roziyan di thin aur unhen duniya walon per fazilat di thi

Verse 17 — Surah Al-Jathiyah 45:17

Aur hum ney unhen deen ki saaf saaf daleelen dein phir unhon ney apnay pass ilm kay phonch janey kay baad aapas ki zidd behas say hi ikhtilaf barpa ker dala yeh jinn jinn cheezon mein ikhtilaf ker rahey hain unn ka faisla qayamat walay din unn kay darmiyan (khud) tera rab keray ga

Verse 18 — Surah Al-Jathiyah 45:18

Phir hum ney aap ko deen ki (zahir) raah per qaeem ker diya ao aap issi per lagay rahen aur nadano ki khuwaishon ki perwee mein na paren

Verse 19 — Surah Al-Jathiyah 45:19

(Yad rakhen) kay yeh log hergiz Allah kay samney aap kay kuch kaam nahi aasaktay. (Samjh len kay) zalim log aapas mein aik doosray kay rafiq hotay hain aur perhezgaron ka kaar saaz Allah Taalaa hai

Verse 20 — Surah Al-Jathiyah 45:20

Yeh (quran) logon kay liye baseerat ki baaten aur hidayat-o-rehmat hai uss qom kay liye jo yaqeen rakhti hai

Verse 21 — Surah Al-Jathiyah 45:21

Kiya unn logon ka jo bura kaam kertay hain yeh guman hai kay hum unhen unn logon jaisa kerden gay jo eman laye aur nek kaam kiyey kay unn ka marna jeena yaksan hojaye bura hai woh faisla jo woh ker rahey hain

Verse 22 — Surah Al-Jathiyah 45:22

Aur aasmano aur zamin ko Allah ney boht adal kay sath peda kiya hai aur takay her shaks ko uss kay kiyey huye kaam ka poora badla diya jaye aur unn per zulm na kiya jaye

Verse 23 — Surah Al-Jathiyah 45:23

Kiya aap ney ussay bhi dekha? Jiss ney apni khuwaish-e-nafas ko apna mabood bana rakha hai aur bawajood samjh boojh kay Allah ney ussay gumrah ker diya hai aur uss kay kaan aur dil per mohar laga di hai aur uss ki aankh per bhi pardah daal diya hai abb aisay shaks ko Allah kay baad kon hidayat day sakta hai

Verse 24 — Surah Al-Jathiyah 45:24

Kiya abb bhi tum naseehat nahi pakartay. Unhon ney kaha humari zindagi to sirf duniya ki zindagi hi hai. Hum martay aur jeetay hain aur humen sirf zamana hi maar dalta hai (dar-asal) unhen iss ka kuch ilm hi nahi. Yeh to sirf (qayas aur) atkal say hi kaam ley rahey hain

Verse 25 — Surah Al-Jathiyah 45:25

Aur jabb inn kay samney humari wazeh aur roshan aayaton ki tilawat ki jati hai to inn kay pass iss qol kay siwa koi daleel nahi hoti kay agar tum sachay ho to humaray baap dadon ko lao

Verse 26 — Surah Al-Jathiyah 45:26

Aap keh dijiye! Allah hi tumhen zindah kerta hai phir tumhen maar dalta hai phir tumhen qayamat kay din jama keray ga jiss mein koi shak nahi lekin aksar log nahi samajhtay

Verse 27 — Surah Al-Jathiyah 45:27

Aur aasmano aur zamin ki badshahi Allah hi ki hai aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din ehl-e-batil baray nuksan mein paren gay

Verse 28 — Surah Al-Jathiyah 45:28

Aur aap dekhen gay kay her ummat ghutnon kay bal giri hui hogi. Her giroh apnay naam-e-aemaal ki taraf bulaya jayega aaj tumhen apnay kiyey ka badla diya jayega

Verse 29 — Surah Al-Jathiyah 45:29

Yeh hai humari kitab jo tumharay baray mein sach sach bol rahi hai hum tumharay aemaal likhwatay jatay thay

Verse 30 — Surah Al-Jathiyah 45:30

Pus lekin jo log eman layeaur unhon ney nek kaam kiyey to unko unka rab apni rehmat talay ley ley ga yehi sareeh kamyabi hai

Verse 31 — Surah Al-Jathiyah 45:31

Lekin jinn logon ney kufur kiya to (mein unn say kahon ga) kiya meri aayaten tumhen sunaee nahi jati thin? Phir bhi tum takabbur kertay rahey aur tum thay hi gunehgar log

Verse 32 — Surah Al-Jathiyah 45:32

Aur jabb kabhi kaha jata kay Allah ka wada yaqeenan sacha hai aur qayamat kay aaney mein koi shak nahi to tum jawab detay thay kay hum nahi jantay qayamat kiya cheez hai? Humen kuch yun hi sa khayal hojata hai lekin humen yaqeen nahi

Verse 33 — Surah Al-Jathiyah 45:33

Aur unn per apnay aemaal ki burayian khul gaeen aur jiss ka woh mazak ura rahey thay uss ney unhen gher liya

Verse 34 — Surah Al-Jathiyah 45:34

Aur keh diya gaya kay aaj hum tumhen bhula den gay jaisay kay tum ney apnay iss din say milney ko bhula diya tha tumhara thikana jahannum hai aur tumhara madadgar koi nahi

Verse 35 — Surah Al-Jathiyah 45:35

Yeh iss liye hain kay tum ney Allah Taalaa ki aayaton ki hansi uraee thi aur duniya ki zindagi ney tumhen dhokay mein daal rakha tha pus aaj kay din na to yeh (dozakh) say nikalen jayen gay aur na unn say uzar-o-maazrat qabool kiya jayega

Verse 36 — Surah Al-Jathiyah 45:36

Pus Allah ki tareef hai jo aasmano aur zamin aur tamam jahan ka palanhaar hai

Verse 37 — Surah Al-Jathiyah 45:37

Tamam (buzrugi aur) baraee aasmano aur zamin mein ussi ki hai aur wohi ghalib aur hikmat wala hai