Verse 1 — Surah At-Tur 52:1
Qasam hai toor ki
Verse 2 — Surah At-Tur 52:2
Aur likhi hui kitab ki
Verse 3 — Surah At-Tur 52:3
Jo jhilli kay khulay huye warq mein hai
Verse 4 — Surah At-Tur 52:4
Aur abad ghar ki
Verse 5 — Surah At-Tur 52:5
Aur unchi chat ki
Verse 6 — Surah At-Tur 52:6
Aur bharkaye huye samandar ki
Verse 7 — Surah At-Tur 52:7
Be-shak app kay rab ka azab hoker rehnay wala hai
Verse 8 — Surah At-Tur 52:8
Ussay koi rokney wala nahi
Verse 9 — Surah At-Tur 52:9
Jiss din aasman thar tharaney lagay ga
Verse 10 — Surah At-Tur 52:10
Aur pahaar chalney phirney lagen gey
Verse 11 — Surah At-Tur 52:11
uss din jhutlaney walon ki (poori) kharabi hai
Verse 12 — Surah At-Tur 52:12
Jo apni behuda goee mein uchal kood ker rahey hain
Verse 13 — Surah At-Tur 52:13
Jiss din woh dhakkay dey ker aatish jahannam ki taraf laye jayen gey
Verse 14 — Surah At-Tur 52:14
Yehi wohi aatish dozakh hai jissay tum jhoot batlatey thay
Verse 15 — Surah At-Tur 52:15
(Abb batao) kiya yeh jadoo hai? ya tum dekhtay hi nahi ho
Verse 16 — Surah At-Tur 52:16
Jao dozakh mein abb tumhara sabar kerna aur na kerna tumharay liye yaksan hai tumhein faqat tumharay kiye ka badla diya jayega
Verse 17 — Surah At-Tur 52:17
Yaqeenan perhezgar log jannaton mein aur nematon mein hain
Verse 18 — Surah At-Tur 52:18
Jo unhen unkay rab ney dey rakhi hain uss per khush khush hain aur unkay perwerdigar ney unhen jahannam kay azab say bhi bacha liya hai
Verse 19 — Surah At-Tur 52:19
Tum mazay say khatay peetay raho inn aemaal kay badlay jo tum kertay thay
Verse 20 — Surah At-Tur 52:20
Baraber bichay huye shandar takhtay per takkiye lagaye huye aur hum ney unkay nikkah bari bari aankhon wali(hooron) say kerdiye hain
Verse 21 — Surah At-Tur 52:21
Aur jo log eman laye aur unki olad ney bhi eman mein unki perwi ki hum unki olad ko unntak phoncha dengey aur unkay amal say hum kuch kum na keren gey.her shaks apney aemaal ka girwi hai
Verse 22 — Surah At-Tur 52:22
Hum unkay liye meway aur marghoob gosht ki rail pail kerden gey
Verse 23 — Surah At-Tur 52:23
(khush tabaee kay sath) aik doosray say jam (sharab) ki cheena jhapta keren gey jiss sharab kay suroor mein to beyhuda goee hogi na gunah
Verse 24 — Surah At-Tur 52:24
Aur unkay gird unkay no-umer ghulam chal phir rahey hongey goya kay woh moti thay ji dhakay rakhay thay
Verse 25 — Surah At-Tur 52:25
Aur aapas mein aik doosray ki taraf mutawajja hoker sawal kerengey
Verse 26 — Surah At-Tur 52:26
kahen gey iss say pehlay hum apney ghar walon kay dar miyan boht dara kertay thay
Verse 27 — Surah At-Tur 52:27
Pus Allah taalaa ney hum per bara ehsan kiya aur humen tez-o-tund garum hawaon kay azab say bacha liya
Verse 28 — Surah At-Tur 52:28
Hum iss say pehlay hi uss ki ibadat kiya kertay thay be-shak woh mohsin aur meharban hai
Verse 29 — Surah At-Tur 52:29
To aap samjhatay rahen kiyoh kay app apney rab kay fazal say na to kaahin hain na deewana
Verse 30 — Surah At-Tur 52:30
Kiya kafir yun kehtay hain kay yeh shaeer hai hum iss per zamaney kay hawadis (yani mot) ka intezar ker rahey hain
Verse 31 — Surah At-Tur 52:31
Keh dijiye! tum muntazir raho mein bhi tumharay sath intezar kernay walon mein hun
Verse 32 — Surah At-Tur 52:32
Kiya inki aqlen enhen yehi sikhati hain? ya yeh log hi sirkash hain
Verse 33 — Surah At-Tur 52:33
Kiya yeh kehtay hain kay iss nabi ney khud qharh liya hai waqya yeh hai kay woh eman nahi latey
Verse 34 — Surah At-Tur 52:34
Acha agar yeh sachay hain to bhala iss jaisi aik (hi) baat yeh (bhi) to ley aayen
Verse 35 — Surah At-Tur 52:35
Kiya yeh baghair kissi(peda kernay walay) kay khud ba khud peda hogaye hain? ya yeh khud peda kernay walay hain
Verse 36 — Surah At-Tur 52:36
Kiya inhon ney hi aasman aur zamin ko peda kiya hai? bulkay yeh yaqeen na kernay walay log hain
Verse 37 — Surah At-Tur 52:37
ya kiya inkay pass teray rab kay khazaney hain?ya (in khazanon kay) yeh darogha hain
Verse 38 — Surah At-Tur 52:38
Ya kiya inkay pass koi seerhi hai jiss per charh ker suntay hain?(agar aisa hai) to inka sunnay wala koi roshan daleel pesh keray
Verse 39 — Surah At-Tur 52:39
Kiya Allah ki to sab larkiyan hain aur tumharay han larkay hain
Verse 40 — Surah At-Tur 52:40
Kiya tu inn say koi ujrat talab kerta hai kay yeh uskay tawaan say bojhal ho rahey hain
Verse 41 — Surah At-Tur 52:41
Kiya inkay pass ilm-e-gheeib hai jissay yeh likh letay hain
Verse 42 — Surah At-Tur 52:42
Kiya yeh log koi fareb kerna chahtay hain? to yaqeen kerlen kay fareeb khordah kafir hi hain
Verse 43 — Surah At-Tur 52:43
Kiya Allah kay siwa inka koi mabood hai? (hergiz nahi) Allah taalaa inkay shirk say pak hai
Verse 44 — Surah At-Tur 52:44
Agar yeh log aasman kay kissi tukray ko girta hua dekhlen tab bhi yeh keh den key yeh teh-ba-teh badal hai
Verse 45 — Surah At-Tur 52:45
Tu enhen chor dey yahan tak kay enhen uss din say sabiqa paray jiss mein yeh beyhosh kerdiye jayen gey
Verse 46 — Surah At-Tur 52:46
Jiss din enhen inka makar kuch kaam na dey ga aur na woh madad kiye jayen gey
Verse 47 — Surah At-Tur 52:47
Be-shak zalimon kay liye iss kay ilawa aur azab bhi hain lekin inn logon mein say aksar bey-ilm hain
Verse 48 — Surah At-Tur 52:48
Tu apney rab kay hukum kay intezar kein sabar say kaam ley be-shak tu humari aankhon kay samney hai subah ko jab tu uthay apney rab ki paki aur hamd biyan ker
Verse 49 — Surah At-Tur 52:49
Aur raat ko bhi usski tasbeeh parh aur sitaron kay doobtay waqt bhi