Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 54 - Al-Qamar
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Qamar 54:1
Qayamat qareeb agaee aur chand phat gaya
Verse 2 — Surah Al-Qamar 54:2
Yeh agar koi mojzza dekhtay hain to mun pher letay hain aur kehdetay hain. kay yeh pehlay say chala aata hua jadoo hai
Verse 3 — Surah Al-Qamar 54:3
inhon ney jhutlaya aur apni khuwaishon ki pairwi ki aur her kaam theray huye waqt per muqarrar hai
Verse 4 — Surah Al-Qamar 54:4
yaqeenan inn kay pass woh khabren aa chuki hain jin mein dant dapat (ki naseehat) hai
Verse 5 — Surah Al-Qamar 54:5
Aur kamil aqal ki baat hai lekin in darawni baaton ney bhi kuch faeedah na diya
Verse 6 — Surah Al-Qamar 54:6
Pus (aey nabi) tum inn say aeyraaz kero jiss din aik pukarnay wala nagawaar cheez ki taraf pukaray ga
Verse 7 — Surah Al-Qamar 54:7
yeh jhuki aankhon qabron say iss tarah nikal kharay hongay kay goya woh phela hua taddi dal hai
Verse 8 — Surah Al-Qamar 54:8
Pukarnay walay ki taraf dortay hongay aur kafir kahengey yeh din to boht sakht hai
Verse 9 — Surah Al-Qamar 54:9
Inn say pehlay qom-e-nooh ney bhi humaray banday ko jhulaya tha aur deewana batla ker jhirak diya gaya tha
Verse 10 — Surah Al-Qamar 54:10
Pus uss ney apney rab say dua ki kay mein beybus hun tu meri madad ker
Verse 11 — Surah Al-Qamar 54:11
Pus hum ney aasman kay darwazon ko zor kay menh say khol diya
Verse 12 — Surah Al-Qamar 54:12
Aur zamin say chashmon ko jaari kerdiya pus uss kaam kay liye jo muqaddar kiya gaya tha (dono) paani jama hogaye
Verse 13 — Surah Al-Qamar 54:13
Aur hum ney issay takhton aur keelon wali (kashti) per sawar kerliya
Verse 14 — Surah Al-Qamar 54:14
Jo humari aankhon kay samnay chal rahi thi badla uss ki taraf say jiss ka kufur kiya gaya tha
Verse 15 — Surah Al-Qamar 54:15
Aur be-shak hum ney iss waqaey ko nishani bana ker baqi rakha pus koi hai naseehat hasil kerney wala
Verse 16 — Surah Al-Qamar 54:16
Batao mera azab aur meri daraney wali baaten kaisi rahen
Verse 17 — Surah Al-Qamar 54:17
Aur be-shak hum ney quran ko samajhney kay liye aasan kerdiya hai pus kiya koi naseehat hasil kerney wala hai
Verse 18 — Surah Al-Qamar 54:18
Qom-e-aad ney bhi jhutlaya pus kaisa hua mera azab aur meri daraney wali baten
Verse 19 — Surah Al-Qamar 54:19
Hum ney unn per tez-o-tund musalsal chalney wali hawa aik peham manhoos din mein bhej di
Verse 20 — Surah Al-Qamar 54:20
Jo logon ko utha utha ker dey patakhti thi goya kay woh jarr say katey huye khajoor kay taney hain
Verse 21 — Surah Al-Qamar 54:21
Pus kaisi rahi meri saza aur mera darana
Verse 22 — Surah Al-Qamar 54:22
Yaqeenan hum ney quran ko naseehat kay liye aasan kerdia hai pus kiya koi hai naseehat hasil kerney wala
Verse 23 — Surah Al-Qamar 54:23
Qom-e-samood ney daraney walon ko jhutlaya
Verse 24 — Surah Al-Qamar 54:24
Aur kehney lagay kiya humi mein say aik shaks ki hum farmanbardaari kerney lagen? tab to hum yaqeenan ghalati aur deewangi mein paray huye hongey
Verse 25 — Surah Al-Qamar 54:25
Kiya humaray sab kay darmiyan sirf issi per wahi utaari gaee nahi bulkay woh jhoota shekhi khor hai
Verse 26 — Surah Al-Qamar 54:26
Abb sab jaan lengey kal ko kay kon jhoota aur shekhi khor tha
Verse 27 — Surah Al-Qamar 54:27
Be-shak hum unki aazmaeesh kay liye untni bhejen gey pus (aey saleh) tu inka muntazir reh aur sabar ker
Verse 28 — Surah Al-Qamar 54:28
Han enhen khabar kerdey kay paani in mein taqseem shuda hai her aik apni baari per hazir hoga
Verse 29 — Surah Al-Qamar 54:29
Unhon ney apney sathi ko awaz di jiss ney (untni per) waar kiya aur (uss ki) kochen kaat den
Verse 30 — Surah Al-Qamar 54:30
Pus kiyon ker hua mera azab aur mera darana
Verse 31 — Surah Al-Qamar 54:31
Hum ney unn per aik cheekh bheji pus aisay hogaye jaisay baar bananay walay ki rondhi hui ghaas
Verse 32 — Surah Al-Qamar 54:32
Aur hum ney naseehat kay liye quran ko aasan kerdia hai pus kiya hai koi jo naseehat qabool keray
Verse 33 — Surah Al-Qamar 54:33
Qom-e-Loot ney bhi daraney walon ki takzeeb ki
Verse 34 — Surah Al-Qamar 54:34
Be-shak hum ney unn per pathar barsaney wali hawa bheji siwaye loot(alh-e-salam) kay ghar walon kay waqt nijat deydi
Verse 35 — Surah Al-Qamar 54:35
Apney ehsan say her her shukarguzaar ko hum issi tarah badla detay hain
Verse 36 — Surah Al-Qamar 54:36
Yaqeenan loot (alh-e-salam) ney unhen humari pakar say daraya tha lekinunhon ney daraney walon kay baray mein (shak-o-shuba aur) jhagra kiya
Verse 37 — Surah Al-Qamar 54:37
Aur inn loot (alh-e-salam) ko unkay mehmanon kay baray mein phuslaya pus hum ney unki aankhen andhi kerden (aur kehdia) mera azab aur mera darana chakho
Verse 38 — Surah Al-Qamar 54:38
Aur yaqeeni baat hai kay unhen subah saweray hi aik jagah pakarney walay muqarra azab ney ghaarat kerdia
Verse 39 — Surah Al-Qamar 54:39
Pus meray azab aur meray darawey ka maza chakho
Verse 40 — Surah Al-Qamar 54:40
Aur yaqeenan hum ney quran ko Pind-o-waaz kay liye aasan kerdia hai pus kiya koi hai naseehat pakarney wala
Verse 41 — Surah Al-Qamar 54:41
Aur firaoniyon kay pass bhi daraney walay aaye
Verse 42 — Surah Al-Qamar 54:42
Unhon ney humari tamamnishaniyan jhutlayen pus hum ney unhen baray ghalib qavi pakarney walay ki tarah pakar liya
Verse 43 — Surah Al-Qamar 54:43
(Aey qureshiyo!) kiya tumharay kafir inn kafiron say kuch behtar hain? ya tumharay liye agli kitabon mein chutkara likha hua hai
Verse 44 — Surah Al-Qamar 54:44
Ya yeh kehtay hain kay hum ghalba panay wali janat hain
Verse 45 — Surah Al-Qamar 54:45
Unqareeb yeh jamat shikast di jayegi aur peeth deyker bhagey gi
Verse 46 — Surah Al-Qamar 54:46
Bulkay qayamat ki ghari unkay waday kay waqt hai aur qayamat bari sakht aur kerwi cheez hai
Verse 47 — Surah Al-Qamar 54:47
Be-shak gunehgaar gumrahi mein aur azab mein hain
Verse 48 — Surah Al-Qamar 54:48
Jiss din woh apney mun kay bal aag mein ghaseetay jayen gey.(aur unn say kaha jayega) dozakh ki aag lagney kay mazay chakho
Verse 49 — Surah Al-Qamar 54:49
Be-shak hum ney her cheez ko aik (muqarra) andazay per peda kia hai
Verse 50 — Surah Al-Qamar 54:50
Aur humara hukum sirf aik dafa (ka aik kalma) hi hota hai jaisey aankh ka jhapakna
Verse 51 — Surah Al-Qamar 54:51
Aur hum ney tum jaisey bohteron ko halak kerdia hai pus koi hai naseehat lenay wala
Verse 52 — Surah Al-Qamar 54:52
Jo kuch enhon ney (aemaal) kiye hain sab naam-e-aemaal mein likhay huye hain
Verse 53 — Surah Al-Qamar 54:53
(Issi tarah) her choti bari baat bhi likhi hui hai
Verse 54 — Surah Al-Qamar 54:54
Yaqeenan humara darr rakhney walay jannaton aur neharon mein hongay
Verse 55 — Surah Al-Qamar 54:55
Raasti aur izzat ki bethak mein qudrat walay badshah kay pass