Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 56 - Al-Waqiah
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Waqiah 56:1
Jab Qayamat qaeem hojaye gi
Verse 2 — Surah Al-Waqiah 56:2
Jiss kay waqaye honay mein koi jhoot nahi
Verse 3 — Surah Al-Waqiah 56:3
Woh pust kernay wali aur buland kernay wali hogi
Verse 4 — Surah Al-Waqiah 56:4
Jab kay zameen zalzala kay sath hila di jayegi
Verse 5 — Surah Al-Waqiah 56:5
Aur pahar bilkul reza reza kerdiye jayen gey
Verse 6 — Surah Al-Waqiah 56:6
phir woh misil paragandah ghubaar kay hojayen gey
Verse 7 — Surah Al-Waqiah 56:7
Aur tum teen jamaton mein hojaogey
Verse 8 — Surah Al-Waqiah 56:8
pus dahanay hath walay kaisay achay hain dahanay hath walay
Verse 9 — Surah Al-Waqiah 56:9
Aur bayen hath walay kiya haal hai bayen hath walon ka
Verse 10 — Surah Al-Waqiah 56:10
Aur jo aagey walay hain woh to aagay walay hi hain
Verse 11 — Surah Al-Waqiah 56:11
Woh bilkul nazdeeki haasil kiye hain
Verse 12 — Surah Al-Waqiah 56:12
Nematon wali jannaton mein hain
Verse 13 — Surah Al-Waqiah 56:13
(Boht bara) giroh to aglay logon mein say hoga
Verse 14 — Surah Al-Waqiah 56:14
Aur thoray say pechlay. logon mein say
Verse 15 — Surah Al-Waqiah 56:15
yeh log sonay kay taaron say banay huye takhton per
Verse 16 — Surah Al-Waqiah 56:16
aik doosray kay samnay takiya lagaye bethay hongay
Verse 17 — Surah Al-Waqiah 56:17
Inn kay pass aisay larkay jo humesha(larkay hi) rahen gey aamdoraft keren gey
Verse 18 — Surah Al-Waqiah 56:18
Aabkhoray aur jug ley ker aur aisa jaam ley ker jo behti hui sharab say pur ho
Verse 19 — Surah Al-Waqiah 56:19
jiss say na sir mein dard ho na aqal mein fatoor aaye
Verse 20 — Surah Al-Waqiah 56:20
Aur aisay meway liye huye jo inki pasand kay hon
Verse 21 — Surah Al-Waqiah 56:21
Aur parindon kay gosht joenhein marghoob hon
Verse 22 — Surah Al-Waqiah 56:22
Aur bari bari aankhon wali hoorien
Verse 23 — Surah Al-Waqiah 56:23
Jo chupay huye motiyon ki tarah hain
Verse 24 — Surah Al-Waqiah 56:24
Yeh sila hai unkay aemaal kal
Verse 25 — Surah Al-Waqiah 56:25
Na wahan bakwas sunein gey aur na gunnah ki baat
Verse 26 — Surah Al-Waqiah 56:26
Sirf salam hi salam ki awaz hogi
Verse 27 — Surah Al-Waqiah 56:27
Aur dahanay hath walay kiya hi achay hain dahanay hath walay
Verse 28 — Surah Al-Waqiah 56:28
Woh baghair kanton ki bairiyon
Verse 29 — Surah Al-Waqiah 56:29
Aur teh ba teh keelon
Verse 30 — Surah Al-Waqiah 56:30
Aur lambay lambay sayon
Verse 31 — Surah Al-Waqiah 56:31
Aur behtay huye paaniyon
Verse 32 — Surah Al-Waqiah 56:32
Aur ba-kasrat phalon main
Verse 33 — Surah Al-Waqiah 56:33
Jo na khatam hon na rok liye jayen
Verse 34 — Surah Al-Waqiah 56:34
Aur unchay unchay farshon mein hongay
Verse 35 — Surah Al-Waqiah 56:35
Hum ney unn(Ki biwiyon ko) khaas tor per banaya hai
Verse 36 — Surah Al-Waqiah 56:36
Aur hum ney unhen kanwariyan banadiya hai
Verse 37 — Surah Al-Waqiah 56:37
Mohabbat waliyan aur hum umar hain
Verse 38 — Surah Al-Waqiah 56:38
Dayen hath walon kay liye hain
Verse 39 — Surah Al-Waqiah 56:39
jamm-e-ghafeer aglon main say
Verse 40 — Surah Al-Waqiah 56:40
Aur boht bari jamat hai pichlon main say
Verse 41 — Surah Al-Waqiah 56:41
Aur bayen hath walay kiya hai bayen hath walay
Verse 42 — Surah Al-Waqiah 56:42
Garum hawa aur garum paani mein (hongey)
Verse 43 — Surah Al-Waqiah 56:43
Aur siyah dhuyen kay saye mein
Verse 44 — Surah Al-Waqiah 56:44
Jo na thanda hai na farhat buksh
Verse 45 — Surah Al-Waqiah 56:45
Be-shak yeh log iss say pehlay boht nazon mein palay huye thay
Verse 46 — Surah Al-Waqiah 56:46
Aur baray baray gunahon per israr kertay thay
Verse 47 — Surah Al-Waqiah 56:47
Aur kehtay thay kay kiya jab hum mar jayengey aur mithi aur haddi hojayengey to kiya hum phir doobara utha kharay kiye jayeugey
Verse 48 — Surah Al-Waqiah 56:48
Aur kiya humaray aglay baap dada bhi
Verse 49 — Surah Al-Waqiah 56:49
Aap keydijiye kay yaqeenan sab aglay aur pichlay
Verse 50 — Surah Al-Waqiah 56:50
zaroor jama kiye jayegey aik muqarra din kay waqt
Verse 51 — Surah Al-Waqiah 56:51
Phir tum aey gumraho jhutlanay walon
Verse 52 — Surah Al-Waqiah 56:52
Albatta khanay walay ho thoher ka darakht
Verse 53 — Surah Al-Waqiah 56:53
Aur ussi say pet bharnay walay ho
Verse 54 — Surah Al-Waqiah 56:54
Phir uss per garum kholta paani peenay walay ho
Verse 55 — Surah Al-Waqiah 56:55
Phir peenay walay bhi piyasay unton ki tarah
Verse 56 — Surah Al-Waqiah 56:56
Qayamat kay din unki mehmaain yeh hai
Verse 57 — Surah Al-Waqiah 56:57
Hum hi ney tum sab ko peda kiya hai phir tum bawer nahi kertay
Verse 58 — Surah Al-Waqiah 56:58
Acha phir yeh to batlao kay jo mani tum tapkatay ho
Verse 59 — Surah Al-Waqiah 56:59
kiya uss ka (insane) tum banatay ho ya peda kernay walay hum hi hain
Verse 60 — Surah Al-Waqiah 56:60
Hum hi ney tum mein mot ko mutaeyen kerdiya hai.aur iss say haray huye nahi hain
Verse 61 — Surah Al-Waqiah 56:61
Kay tumhari jagah tum jaisay aur peda kerden. aur tumhen naye siray say uss aalam mein peda keren jiss say tum (bilkul) beykhabar ho
Verse 62 — Surah Al-Waqiah 56:62
Tumhen yaqeeni tor per pehli dafa ki pedaaeesh maloom hi hai phir kiyon ibrat hasil nahi kertay
Verse 63 — Surah Al-Waqiah 56:63
Acha phir yeh bhi batlao kay tum jo kuch botay ho
Verse 64 — Surah Al-Waqiah 56:64
Ussay tum hi ugatay ho ya hum uganay walay hain
Verse 65 — Surah Al-Waqiah 56:65
Agar hum chahyen to ussay reza reza ker dalen aur tum heyrat kay sath baten banatay hi reh jao
Verse 66 — Surah Al-Waqiah 56:66
Kay hum per to tawaan hi par gaya
Verse 67 — Surah Al-Waqiah 56:67
Bulkay hum bilkul mehroom hi reh gaye
Verse 68 — Surah Al-Waqiah 56:68
Acha yeh batao kay jiss pani ko tum peetay ho
Verse 69 — Surah Al-Waqiah 56:69
Ussay baadlon say bhi tum hi utartay ho ya hum barsatay hain
Verse 70 — Surah Al-Waqiah 56:70
Agar humari mansha hoto hum issay kerwa zehar kerden phir tum humari shukar guzari kiyon nahi kertay
Verse 71 — Surah Al-Waqiah 56:71
Acha zara yeh bhi batao kay jo aag tum sulgatay ho
Verse 72 — Surah Al-Waqiah 56:72
Iss kay darakht ko tum ney peda kiya hai ya hum uss kay peda kernay walay hain
Verse 73 — Surah Al-Waqiah 56:73
Hum ney issay sabab-e-naseehat aur musafiron kay faeeday ki cheez banaya hai
Verse 74 — Surah Al-Waqiah 56:74
Pus apney boht baray rab kay naam ki tasbeeh kiya kero
Verse 75 — Surah Al-Waqiah 56:75
Pus mein qasam khata hun sitaron kay girnay ki
Verse 76 — Surah Al-Waqiah 56:76
Aur agar tumhen ilm hoto yeh boht bari qasam hai
Verse 77 — Surah Al-Waqiah 56:77
Kay be-shak yeh quran boht bari izzat wala hai
Verse 78 — Surah Al-Waqiah 56:78
Jo aik mehfooz kitab mein darj hai
Verse 79 — Surah Al-Waqiah 56:79
Jissay sirf pak log hi chu saktay hain
Verse 80 — Surah Al-Waqiah 56:80
Yeh rabul aalameen ki taraf say utra hua hai
Verse 81 — Surah Al-Waqiah 56:81
Pus kiya tum aisa baat ko sirsari (aur mamooli) samajh rahe ho
Verse 82 — Surah Al-Waqiah 56:82
Aur apney hissay mein yehi letay ho kay jhutlatey phiro
Verse 83 — Surah Al-Waqiah 56:83
Pus jabkay rooh narkharay tak phonch jaye
Verse 84 — Surah Al-Waqiah 56:84
Aur tum uss waqt aankhon say dekhtay raho
Verse 85 — Surah Al-Waqiah 56:85
Hum uss shaks say banisbat tumharay boht ziyadah qareeb hotay hain lekin tum nahi dekh saktey
Verse 86 — Surah Al-Waqiah 56:86
Pus agar tum kissi kay zair-e-farman nahi
Verse 87 — Surah Al-Waqiah 56:87
Aur iss qol mein sachay hoto (zara) iss rooh ko to lotao
Verse 88 — Surah Al-Waqiah 56:88
Pus jo koi barah-e-elaahi say qareeb kiya hua hoga
Verse 89 — Surah Al-Waqiah 56:89
Ussay to rahat hai aur ghizayen hain aur aaram wali jannat hai
Verse 90 — Surah Al-Waqiah 56:90
Aur jo shaks dahanay walon mein say hai
Verse 91 — Surah Al-Waqiah 56:91
To bhi salamti hai teray liye kay tu dahanay walon mein say hai
Verse 92 — Surah Al-Waqiah 56:92
Lekin agar koi jhut lanay walon gumrahaon mein say hai
Verse 93 — Surah Al-Waqiah 56:93
To kholtay huye garum pani ki mehmaani hai
Verse 94 — Surah Al-Waqiah 56:94
Aur dozakh mein jana hai
Verse 95 — Surah Al-Waqiah 56:95
Yeh khabar sirasir haq aur qaton yaqeeni hai
Verse 96 — Surah Al-Waqiah 56:96
Pus tu apney azeem-ul-shaan perwerdigar ki tasbeeh ker