Wohi hai jiss ney na khuanda logon mein inn hi mein say aik rasool bheja jo enhen uss ki aayaten parh ker sunata hai aur inn ko pak kerta hai aur enhen kitab-o-hikmat sikhata hai. Yaqeenan yeh iss say pehlay khuli gumrahi mein thay
Jin logon ko toraat per amal kerney ka hukum diya gaya phir unhon ney uss per amal nahi kiya unn ki misal uss gadhay ki say hai jo boht si kitaben laaday ho. Allah ki baaton ko jhutlaney walon ki bari buri misal hai aur Allah (aisay) zalim qom ko hidayat nahi deta
Keh dijiye kay jiss maut say tum bhagtay phirtay ho woh to tumhen phonch ker rahey gi pohir tum sab chupay khulay kay jannay walay (Allah) ki taraf lotaye jao gay aur woh tumhen tumharay kiye huye tamam kaam batla dey ga
Aey woh logo jo eman laye ho! Jummay kay din namaz ki azan di jaye to tum Allah kay ziker kay taraf dor paro aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumharay haq mein boht hi behtar hai agar tum jantay ho
Aur jab koi soda biktay dekhen ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf dortay jatay hain aur aap ko khara hi chor detay hain aap keh dijiye kay Allah kay pass jo hai woh khel aur tijarat say behtar hai. Aur Allah Taalaa behtareen rozi rasan hai