Back to Languages

Urdu - Chapter 62 - Al-Jumuah

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Jumuah 62:1

(saari cheezen) jo aasmanon aur zamin mein hain Allah Taalaa ki paki biyan kerti hain (jo) badshah nihayat pak (hai) ghalib-o-ba hikmat

Verse 2 — Surah Al-Jumuah 62:2

Wohi hai jiss ney na khuanda logon mein inn hi mein say aik rasool bheja jo enhen uss ki aayaten parh ker sunata hai aur inn ko pak kerta hai aur enhen kitab-o-hikmat sikhata hai. Yaqeenan yeh iss say pehlay khuli gumrahi mein thay

Verse 3 — Surah Al-Jumuah 62:3

Aur doosron kay liye bhi unhi mein say jo abb tak inn say nahi milay aur wohi ghalib ba hikmat hai

Verse 4 — Surah Al-Jumuah 62:4

Yeh Allah ka fazal hai jissay chahaye apna fazal dey aur Allah Taalaa boht baray fazal ka maalik hai

Verse 5 — Surah Al-Jumuah 62:5

Jin logon ko toraat per amal kerney ka hukum diya gaya phir unhon ney uss per amal nahi kiya unn ki misal uss gadhay ki say hai jo boht si kitaben laaday ho. Allah ki baaton ko jhutlaney walon ki bari buri misal hai aur Allah (aisay) zalim qom ko hidayat nahi deta

Verse 6 — Surah Al-Jumuah 62:6

Keh dijiye kay aey yahudiyo! Agar tumhara daawa hai kay tum Allah kay dost ho doosray logon kay siwa to tum maut ki tamanna kero agar tum sachay ho

Verse 7 — Surah Al-Jumuah 62:7

Yeh kabhi bhi maut ki tamanna na keren gay ba waja unn aemaal kay jo apney aagay apney haathon bhej rakhay hain aur Allah zalimon ko khoob janta hai

Verse 8 — Surah Al-Jumuah 62:8

Keh dijiye kay jiss maut say tum bhagtay phirtay ho woh to tumhen phonch ker rahey gi pohir tum sab chupay khulay kay jannay walay (Allah) ki taraf lotaye jao gay aur woh tumhen tumharay kiye huye tamam kaam batla dey ga

Verse 9 — Surah Al-Jumuah 62:9

Aey woh logo jo eman laye ho! Jummay kay din namaz ki azan di jaye to tum Allah kay ziker kay taraf dor paro aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumharay haq mein boht hi behtar hai agar tum jantay ho

Verse 10 — Surah Al-Jumuah 62:10

Phir jab namaz ho chukay to zamin mein phel jao aur Allah ka fazal talash kero takay tum falah paa lo

Verse 11 — Surah Al-Jumuah 62:11

Aur jab koi soda biktay dekhen ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf dortay jatay hain aur aap ko khara hi chor detay hain aap keh dijiye kay Allah kay pass jo hai woh khel aur tijarat say behtar hai. Aur Allah Taalaa behtareen rozi rasan hai