Back to Languages

Urdu - Chapter 72 - Al-Jinn

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Jinn 72:1

Aey Muhammad (P.B.U.H)) aap keh dein kay mujhy wahi ki gai hay kay jinno ki ik jamat ney (quran)suna or kaha kay hum ney ajeeb quarn suna hay

Verse 2 — Surah Al-Jinn 72:2

Jo rah e rast ki tarf rahnumai kerta hay hum is per iman la chukay (ab)hum her giz kisi ko bhi apney rab ka sharek na banein gay

Verse 3 — Surah Al-Jinn 72:3

Aur beshak hamary rab ki shan bari buland hay aur na us ney kisi ko (apni) biwi banaya hay aur na beta

Verse 4 — Surah Al-Jinn 72:4

Aur yeh kay kehtay rahein hein hamary nadan logAllah kay bary mein bhat khilaf e haq batein

Verse 5 — Surah Al-Jinn 72:5

Aur hum to yehi samjhtay rahy kay namumkin hay kay insan aur jinnat Allah per jhoti batein lagaein

Verse 6 — Surah Al-Jinn 72:6

Baat yeh hay kay chand insan baaz jinnat say panah talab kertay thy jiss say jinnat apnai serkashi mein aur barh gay

Verse 7 — Surah Al-Jinn 72:7

Aur (insano)ney bhi tum jino ki tarah guman ker liya tha kay Allah kisi ko na bhyjay ga(ye kisi ko dobara zinda an kery ga)

Verse 8 — Surah Al-Jinn 72:8

Aur hum ney asman ko tatool ker dekha to ussy sakht chokidaron aur sakht sholon say pur paya

Verse 9 — Surah Al-Jinn 72:9

Iss say pehlay hum baatein suneinkay liye asman mein jagah jagah beth jaya kertay thy .jo bhi kan lagata hay wo ik sholay ko apni taak mein pata hay

Verse 10 — Surah Al-Jinn 72:10

Hum nahi jantay kay zameen walon kay sath kisi burai ka irada kiya gaya hay ya in kay rab ka irada in kay sath bhalai ka hay

Verse 11 — Surah Al-Jinn 72:11

Aur yeh kay(beshak)baaz to hum mein nekokar hein aur baaz iskay barakas bhi hein hum mukhtalif tareeqon say batay hoy hein

Verse 12 — Surah Al-Jinn 72:12

Aur hum ney samajh liya hay kay hum Allah Talah ko zameen mein hergiz aajiz nahi ker saktay aur na hum bhag ker issy hara saktay hein

Verse 13 — Surah Al-Jinn 72:13

Hum to hidayat ki bat suntay hi is per eman la chukay aur jo bhi apney rab per eman laye ga us say na kisi nuksan ka andesha hay na zulm-o-sitam ka

Verse 14 — Surah Al-Jinn 72:14

Han hum mein baaz to musalman hein baaz be-insaf hein pus jo farmaberdar hogay unhon ney to raah-e-raast ka qasad kiya

Verse 15 — Surah Al-Jinn 72:15

Aur jo zalim hein wo jahanum ka endhen bangay

Verse 16 — Surah Al-Jinn 72:16

Aur (aey Nabi yeh bhi khay do )kay log raaah e rast per seedhay rehtay to yaqeenan hum enhein both waffir pani pilatay

Verse 17 — Surah Al-Jinn 72:17

Takay hum iss munhein azmalein aur jo sahks apney perwedigar kay zikar say mun pherlay ga to Allah Talah ussay sakht azab mein mubtila kerdayga

Verse 18 — Surah Al-Jinn 72:18

Aur yeh kay mesjidein sirf Allah hi kay liye khass hein pus Allah Talah kay sath kissi aur ko na pukaro

Verse 19 — Surah Al-Jinn 72:19

Aur jab Allah ka banda uss ki ibadat kay liye khara hoa to qareeb tha kay wo bheer ki bheer ban ker uss per pal paren

Verse 20 — Surah Al-Jinn 72:20

Aap keh dijey kay mein to sirf apney rab hi ko pukarta hon aur iss kay sath kissi ko shareek nahi banata

Verse 21 — Surah Al-Jinn 72:21

Keh dijey kay mujhy tumhary kissi nuksan nafa ka ikhtiyar nahi

Verse 22 — Surah Al-Jinn 72:22

Kehdijey kay mujhy hergiz koi Allah say bacha nahi sakta aur mein hergiz uss kay siwa koi jay e panah bhi paa nahi sakta

Verse 23 — Surah Al-Jinn 72:23

Albata (mera kam) Allah ki baat aur iss kay peghamaat(logon ko)phuncha dena hia(abb)jo bhi Allah aur uss kay rasool kin a maanay ga uss kay liye jahanum ki aag hai jiss mein aisay log hamesha rahengay

Verse 24 — Surah Al-Jinn 72:24

(unki aankh na khulaygi)Yahan tak kay ussay dekhlen jiss ka unko wada diya jata hia pus unqareeb jaan lengay kay kiss ki jamat kum hai

Verse 25 — Surah Al-Jinn 72:25

Kehdijey kay mujhy maloom nahi kay jiss ka wada tum say kiya jata hai wo qareeb hia ya mera rab uss kay liye door ki muddat mukarrer keryga

Verse 26 — Surah Al-Jinn 72:26

Wo ghaib ka jannay wala hai aur apney ghaib per kisi ko mutlaa nahi kerta

Verse 27 — Surah Al-Jinn 72:27

Siwaey uss peyghamber kay jissay wo pasand kerley lekin usskay bhi aagay pechay pehraydar muqarrer kerdyta hai

Verse 28 — Surah Al-Jinn 72:28

Takay unkay apney rab kay paygham phoncha denay ka ilm hojaey.Allah talah ney unkay aas pass (ki tamam cheezon )ka ehaata ker rakha hai aur her cheez ki gintee ka shumaar ker rakha hai