Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 78 - An-Naba
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah An-Naba 78:1
Yeh log kis chez kay bary mein poch gach ker rahy hein
Verse 2 — Surah An-Naba 78:2
Us bari khabar kay mutaliq
Verse 3 — Surah An-Naba 78:3
Jiss kay bary mein yeh ikhtylaf ker rahay hein
Verse 4 — Surah An-Naba 78:4
Yaqenan yeh abhi jan lein gay
Verse 5 — Surah An-Naba 78:5
Phir bil yaqeen inhein buhat jald maloom hojaey ga
Verse 6 — Surah An-Naba 78:6
kiya hum nay zameen ko farsh nahi banaya
Verse 7 — Surah An-Naba 78:7
Aur paharon ko mikhein(nahi banaya)
Verse 8 — Surah An-Naba 78:8
Aur hum nay tumhein jora jora paida kiya
Verse 9 — Surah An-Naba 78:9
Aur hum nay tumhari nend ko aram ka sabab banaya
Verse 10 — Surah An-Naba 78:10
Aur rat ko hum nay parda banaya hay
Verse 11 — Surah An-Naba 78:11
Aur din ko hum nay waqat e rozgar banaya
Verse 12 — Surah An-Naba 78:12
Aur tumhary opper hum nay 7 masboot asman banaey
Verse 13 — Surah An-Naba 78:13
Aur ik chamkta howa roshan chiragh(soraj)paida kiya
Verse 14 — Surah An-Naba 78:14
Aur badlon say hum nay bakasrat bhyta hoa pani barsaya
Verse 15 — Surah An-Naba 78:15
Atky us say anaj or sabza ugaein
Verse 16 — Surah An-Naba 78:16
Aur ghanay bagh(bhi ugay)
Verse 17 — Surah An-Naba 78:17
be-shak faislay kay din ka waqat mukarer hay
Verse 18 — Surah An-Naba 78:18
Jiss din kay sor mein phonka jaey ga phir tum foj der foj chaly ao gay
Verse 19 — Surah An-Naba 78:19
Aur asman khol diaya jaey ga to is mein darwazy darwazy hojaein gay
Verse 20 — Surah An-Naba 78:20
Aur pahar chaly jaein gay pus wo sarab hojaein gay
Verse 21 — Surah An-Naba 78:21
Be-shak dozakh ghat mein hay
Verse 22 — Surah An-Naba 78:22
sarkashon ka thikana wohi hay
Verse 23 — Surah An-Naba 78:23
Is mein wo mudaton tak pary rahein gay
Verse 24 — Surah An-Naba 78:24
Na kabhi is mein khunki ka maza chakein gay na pani ka
Verse 25 — Surah An-Naba 78:25
Siwaey garm pani aur(beyti)peep kay
Verse 26 — Surah An-Naba 78:26
(Unko)pora pora badla milay ga
Verse 27 — Surah An-Naba 78:27
Unhein to hisab ki tawaqa hi na thi
Verse 28 — Surah An-Naba 78:28
Aur bebaki say hamari ayton ki takzeb kerty thy
Verse 29 — Surah An-Naba 78:29
Hum nay her ik chez ko likh ker shumar ker rakah hay
Verse 30 — Surah An-Naba 78:30
Ab tum(apnay kiey ka )maza chako hum tumhara azab bhi barhaty rahein gay
Verse 31 — Surah An-Naba 78:31
Yaqeenan perhezgar logon kay liey kamyabi hay
Verse 32 — Surah An-Naba 78:32
Baghat hein or angoor hay
Verse 33 — Surah An-Naba 78:33
Aur nojawan kunwari hum omer auratein hein
Verse 34 — Surah An-Naba 78:34
Aur chalkty hoy jam sharab hein
Verse 35 — Surah An-Naba 78:35
Wahan na to who byhoda batein sunein gay aur na jhoti batein sunein gay
Verse 36 — Surah An-Naba 78:36
(Unko) tery rab ki taraf say (unkay nek amal ka)yeh badla milay ga jo kafi inam hoga
Verse 37 — Surah An-Naba 78:37
(Is rab ki taraf say milay ga jo kay)asmano ka aur zameen ka aur jo kuch in kay dermiyan hay inka perwardigar hay aur bari bakhsish kernay wala hay kisi ko is say bat chet kerney ka ikhtyar nahi hoga
Verse 38 — Surah An-Naba 78:38
Jiss din roh or faristy safein bandh ker khary hongay to koi kalam na kersakay ga magar jis say rehman ijazat dayday aur wo thek bat zaban say nikalay
Verse 39 — Surah An-Naba 78:39
Yeh din haq hay ab jo chaeiy apnay rab kay pass (nek amal kerkay) thikana banalein
Verse 40 — Surah An-Naba 78:40
Hum nay tumhein unqareeb anay walay azab say dara diya(aur chokanna ker diya) hai. jis din insan apnay haton ki kamai ko dekh ly gaur kafir kahy ga kay kash!mein mitti hojata