Yeh log aap say ghanimaton ka hukum daryaft kertay hain aap farma dijiye! Kay yeh ghanimaten Allah ki hain aur rasool ki hain so tum Allah say daro aur apny bahumi taalluqaat ki ki islaah kero aur uss kay rasool ki ita’at kero agar tum eman walay ho
Bus eman walay to aisay hotay hain kay jab Allah Taalaa ka zikar aata hai to unn kay quloob darr jatay hain aur jab Allah ki aayaten unn ko parh ker sunaee jaatin hain hain to woh aayaten unn kay eman ko aur ziyada ker deti hain aur woh log apney rab per tawakkal kertay hain
Woh iss haq kay baray mein iss kay baad kay uss ka zahoor hogaya tha aap say iss tarah jhagar rahey thay kay goya koi unn ko maut ki taraf haankay liye jata hai aur woh dekh rahey hain
Aur tum log uss waqt ko yaad kero! Jab kay Allah tum say unn do jamaton mein say aik ka wada kerta tha kay woh tumharay haath aajaye gi aur tum iss tamanna mein thay kay ghair musallah jamat tumharay haath aajaye aur Allah Taalaa ko yeh manzoor tha kay apney ehkaam say haq ka haq hona sabit kerdey aur inn kafiron ki jarr kaat dey
Uss waqt ko yaad kero jab tum apney rab say faryad ker rahey thay phir Allah Taalaa ney tumhari sunn li kay mein tum ko aik hazat farishton say madad doon ga jo lagataar chalen aayen gay
Aur Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie ki kay bisharat ho aur takay tumharay dilon ko qarar ho jaye aur madad sirf Allah hi ki taraf say hai jo kay zabardast hikmat wala hai
Uss waqt ko yaad kero jab kay Allah tum per oongh taari ker raha tha apni taraf say chain denay kay liye aur tum per aasman say pani barsa raha tha kay iss pani kay zariye say tum ko pak ker dey aur tum say shetani waswasay ko dafa kerdey aur tumharay dilon ko mazboot kerdey aur tumharay paon jama dey
Uss waqt ko yaad kero jab kay aap ka rab farishton ko hukum deta tha kay mein tumhara sathi hun so tum eman walon ki himmar barhao mein abhi kuffaar kay dilon mein rob dalay deta hun so tum gardanon per maaro aur inn kay por por ko maaro
Yeh iss baat ki saza hai kay enhon ney Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat ki. Aur jo Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat kerta hai so be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai
Aur jo shaks unn say iss moqay per pusht pheray ga magar haan jo laraee kay liye paintra badalta ho ya jo (apni) jamat ki taraf panah lenay aata ho woh mustasna hai. Baqi aur jo aisa keray ga woh Allah kay ghazab mein aajaye ga. Aur uss ka thikana dozakh hoga woh boht hi buri jagah hai
So tum ney unhen qatal nahi kiya lekin Allah Taalaa ney unhen qatal kiya. Aur aap ney khaak ki muthi nahi phenki bulkay Allah Taalaa ney woh phenki aur takay musalmanon ko apni taraf say unn ki mehnat ka khoob ewaz dey bila shuba Allah Taalaa khoob sunnay wala khoob jannay wala hai
Agar tum log faisla chahatay ho to woh faisla tumharay samney aa mojood hua aur agar baaz ajao to yeh tumharay liye nihayat khoob hai aur agar tum phir wohi kaam kero gay to hum bhi phir wohi kaam keren gay aur tumhari jamiyat tumharay zara bhi kaam na aaye gi go kitni ziyada ho aur waqaee baat yeh hai kay Allah Taalaa eman walon kay sath hai
Aur agar Allah Taalaa inn mein koi khoobi dekhta to inn ko sunnay ki tofiq dey deta aur agar inn ko abb suna dey to zaroor roo gardani keren gay bey rukhi kertay huye
Aey eman walo! Tum Allah aur rasool kay kehney ko baja lao jabkay rasool tum ko tumhari zindagi bakhsh cheez ki taraf bulatay hon. Aur jaan rakho kay Allah Taalaa aadmi kay aur uss kay qalb kay darmiyan aarr bann jaya kerta hai aur bila shuba tum sab ko Allah hi kay pass jama hona hai
Aur tum aisay wabaal say bacho! Kay jo khaas ker sirf unhi logon per waqiya na hoga jo tum say inn gunhaon kay muratakib huye hain aur yeh jaan rakho kay Allah sakht saza denay wala hai
Aur uss halat ko yaad kero! Jab tum zamin mein qaleel thay kamzor shumar kiye jatay thay. Iss andeshay mein rehtay thay kay tum ko log noch khasot na len so Allah ney tum ko rehney ki jagah di aur tum ko apni nusrat say qooat di aur tum ko nafees nafees cheezen ata farmaeen takay tum shukar kero
Aur tum iss baat ko jaan rakho kay tumharay amwaal aur tumhari aulad aik imtehan ki cheez hai. Aur iss baat ko bhi jaan rakho kay Allah Taalaa kay pass bara bhari ajar hai
Aey eman walo! Agar tum Allah say dartay raho gay to Allah Taalaa tum ko aik faislay ki cheez dey ga aur tum say tumharay gunah door ker dey ga aur tum ko bakhsish dey ga aur Allah Taalaa baray fazal wala hai
Aur uss waqiye ka bhi zikar kijiye! Jabkay kafir log aap ki nisbat tadbeer soch rahey thay kay aap ko qaid ker len yaa aap ko qatal ker dalen yaa aap ko kharij-e-watan ker den aur woh to apni tadbeeren ker rahey thay aur Allah apni tadbeer ker raha tha aur sab say ziyada mustehkum tadbeer wala Allah hai
Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain to kehtay hain kay hum ney sunn liya agar hum chahayen to iss kay barabar hum bhi keh den yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say manqool chali aarahi hain
Aur jabkay inn logon ney kaha aey Allah ! Agar yeh quran aap ki taraf say waqaee hai to hum per aasman say pathar barsa ya hum per koi dard naak azab waqey kerdey
Aur Allah Taalaa aisa na keray ga inn mein aap kay hotay huye inn ko azab dey aur Allah inn ko azab na dey ga iss halat mein kay woh istaghfaar bhi kertay hon
Aur inn mein kiya baat hai kay inn ko Allah Taalaa saza na dey halankay woh log masjid-e-haram say roktay hain jabkay woh log iss masjid kay mutawalli nahi. Iss kay mutawalli to siwaye muttaqiyon kay aur ashkhaas nahi lekin inn mein aksar log ilm nahi rakhtay
Bila shak yeh kafir log apne maalon ko iss liye kharch ker rahey hain kay Allah ki raah say roken so yeh lo to apney maalon ko kharach kertay hi rahen gay phir woh maal inn kay haq mein baees-e-hasrat hojayen gay. Phir maghloob hojayen gay aur kafir logon ko dozakh ki taraf jama kiya jayega
Takay Allah Taalaa na pak ko pak say alag ker dey aur na pakon kay aik doosray say mila dey pus inn sab ko ikatha dher ker dey phir inn sab ko jahannum mein daal dey. Aisay log pooray khasaray mein hain
Aap inn kafiron say keh dijiye! Kay agar yeh log baaz aajayen to inn kay saray gunah jo pehlay ho chukay hain sab moaf ker diye jayen gay aur agar apni wohi aadat rakhen gay to (kuffaar) sabeyqeen kay haq mein qanoon nafiz ho chuka hai
Aur tum inn say iss hadd tak laro kay inn mein fasad aqeedah na rahey. Aur deen Allah hi ka hojaye phir agar yeh baaz aajayen to Allah Taalaa inn aemaal ko khoob dekhta hai
Jaan lo kay tum jiss qisam ki aur jo kuch ghanimat hasil kero uss mein say panchwa hissa Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat daron ka aur yateemon ka aur miskeenon ka aur musafiron ka agar tum Allah per eman laye ho aur uss cheez per jo hum ney apney banday per uss din utara hai jo din haq-o-baatil ki judaee ka tha jiss din do fojen bhirr gaee thin. Allah her cheez per qadir hai
Jabkay tumharay pass walay kinaray per thay aur woh door walay kinaray per thay aur qafila tum say neechay tha. Agar tum aapas mein waday kertay to yaqeenan tum waqt moyyen per phonchney mein mukhtalif hojatay. Lekin Allah ko to aik kaam ker hi daalna tha jo muqarrar ho chuka tha takay jo halak ho zaleel per (yani yaqeen jaan ker) halak ho aur zinda rahey woh bhi daleel per (haq pehchan ker) zinda rahey. Be-shak Allah boht sunnay wala khoob jannay wala hai
Jabkay Allah Taalaa ney tujhay teray khuwab mein unn ki taadaad kum dikhaee agar inn ki ziyadti dikhata to tum buzdil hojatay aur iss kaam kay baray mein aapas mein ikhtilaaf kertay lekin Allah Taalaa ney bacha liya woh dilon kay bhedon say khoob aagah hai
Jabkay uss ney ba-waqt-e-mulaqat unhen tumhari nighaon mein boht kum dikhaye aur tumhen unn ki nighaon mein kum dikhaye takay Allah Taalaa iss kaam ko anajm tak phoncha dey jo kerna hi tha aur sab kaam Allah hi ki taraf pheray jatay hain
Aur Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardari kertay raho aapas mein ikhtilaf na kero werna buzdil hojao gay aur tumhari hawa ukhar jaye gi aur sabar-o-sahaar rakho yaqeenan Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai
Unn logon jaisay na bano jo itratay huye aur logon mein khud numaee kertay huye apney gharon say chalay aur Allah ki raah say roktay thay jo kuch woh ker rahey hain Allah ussay gher lenay wala hai
Jabkay unn kay aemaal ko shetan zeenat daar dikha raha tha aur keh raha tha kay logon mein say koi bhi aaj tum per ghalib nahi aa sakta mein khud bhi tumhara himayati hun lekin jab donon jamaten namoo daar huen to apni aeriyon kay ball peechay hatt gaya aur kehnay laga mein tum say bari hun. Mein woh dekh raha hun jo tum nahi dekh rahey. Mein Allah say darta hun aur Allah Taalaa sakhta azab wala hai
Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala hai
Kaash kay tu dekhta jabkay farishtay kafiron ki rooh qabz kertay hain unn kay mun aur sareenon per maar maartay hain (aur kehtay hain) tum jalney ka maza chakho
Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya. Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai
Yeh iss liye kay Allah aisa nahi kay kissi qom per koi nemat inam farma ker phir badal dey jab tak kay woh khud apni uss halat ko na badal den jo kay unn ki apni thi aur yeh kay Allah sunnay wala hai
Misil halat firaoniyon kay aur unn say pehlay kay logon kay, kay unhon ney apney rab ki baaten jhutlaeen. Pus unn kay gunahon kay baees hum ney unhen barbaad kiya aur firaoniyon ko dobo diya. Yeh saray zalim thay
Aur agar tujhay kissi qom ki khayanat ka darr ho to barabari ki haalat mein unn ka ehad naama tor dey Allah Taalaa khayanat kerney walon ko pasand nahi farmata
Tum inn kay muqablay kay liye apni taqat bhar qooat ki tayyari kero aur ghoron ko tayyar rakhney ki kay iss say tum Allah kay dushmanon ko khof zada rakh sako aur inn kay siwa auron ko bhi jinhen tum nahi jantay Allah enhen khoob jaan raha hai jo kuch bhi Allah ki raah mein sarf kero gay woh tumhen poora poora diya jayega aur tumhara haq na maara jayega
Inn kay dilon mein bahumi ulfat bhi ussi ney dali hai. Zamin mein jo kuch hai agar sara ka sara bhi kharch ker dalta to bhi inn kay dil aapas mein na mila sakta. Yeh to Allah hi ney inn mein ulfat daal di hai woh ghalib hikmaton wala hai
Aey nabi! Eman walon ko jihad ka shoq dilao agar tum mein bees (20) bhi sabar kerney walay hongay to do so per ghalib rahey gay. Aur agar tum mein aik so hongay to aik hazar kafiron per ghalib rahen gay iss wastay kay woh bey samajh log hain
Acha abb Allah tumhara bojh halka kerta hai woh khoob janta hai kay tum mein na tawani hai pus agar tum mein say aik so sabar kerney walay hongay to woh do so per ghalib rahen gay aur agar tum mein aik hazar hongay to woh Allah kay hukum say do hazar per ghalib rahen gay Allah sabar kerney walon kay sath hai
Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai
Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah bakhshney wala meharban hai hi
Aur agar woh tujh say khayanat ka khayal keren to yeh to iss say pehlay khud Allah ki khayanat ker chukay hain aakhir iss ney enhen giriftar kera diya aur Allah ilm-o-hikmat wala hai
Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai
Jo log eman laye aur hijrat ki aur Allah ki raah mein jihad kiya aur jinhon ney panah di aur madad phonchaee. Yehi log sachay momin hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat ki rozi
Aur jo log iss kay baad eman laye aur hijrat ki aur tumharay sath hoker jihad kiya. Pus yeh log bhi tum mein say hi hain aur rishtay naatay walay inn mein say baaz baaz ziyada nazdeek hain Allah kay hukum mein be-shak Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai