Back to Languages

Urdu - Chapter 8 - Al-Anfal

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Anfal 8:1

Yeh log aap say ghanimaton ka hukum daryaft kertay hain aap farma dijiye! Kay yeh ghanimaten Allah ki hain aur rasool ki hain so tum Allah say daro aur apny bahumi taalluqaat ki ki islaah kero aur uss kay rasool ki ita’at kero agar tum eman walay ho

Verse 2 — Surah Al-Anfal 8:2

Bus eman walay to aisay hotay hain kay jab Allah Taalaa ka zikar aata hai to unn kay quloob darr jatay hain aur jab Allah ki aayaten unn ko parh ker sunaee jaatin hain hain to woh aayaten unn kay eman ko aur ziyada ker deti hain aur woh log apney rab per tawakkal kertay hain

Verse 3 — Surah Al-Anfal 8:3

Jo kay namaz ki pabandi kertay hain aur hum ney unn ko jo kuch diya hai woh uss mein say kharch kertay hain

Verse 4 — Surah Al-Anfal 8:4

Sachay eman walay yeh log hain inn kay liye baray darjay hain inn kay rab kay pass aur maghfirat aur izzat ki rozi hai

Verse 5 — Surah Al-Anfal 8:5

Jaisa kay aap kay rab ney aap kay ghar say haq kay sath aap ko rawana kiya aur musalmanon ki aik jamat iss ko giran samajhti thi

Verse 6 — Surah Al-Anfal 8:6

Woh iss haq kay baray mein iss kay baad kay uss ka zahoor hogaya tha aap say iss tarah jhagar rahey thay kay goya koi unn ko maut ki taraf haankay liye jata hai aur woh dekh rahey hain

Verse 7 — Surah Al-Anfal 8:7

Aur tum log uss waqt ko yaad kero! Jab kay Allah tum say unn do jamaton mein say aik ka wada kerta tha kay woh tumharay haath aajaye gi aur tum iss tamanna mein thay kay ghair musallah jamat tumharay haath aajaye aur Allah Taalaa ko yeh manzoor tha kay apney ehkaam say haq ka haq hona sabit kerdey aur inn kafiron ki jarr kaat dey

Verse 8 — Surah Al-Anfal 8:8

Takay haq ka haq hona aur baatil ka baatil hona sabit kerdey go yeh mujrim log na pasand hi keren

Verse 9 — Surah Al-Anfal 8:9

Uss waqt ko yaad kero jab tum apney rab say faryad ker rahey thay phir Allah Taalaa ney tumhari sunn li kay mein tum ko aik hazat farishton say madad doon ga jo lagataar chalen aayen gay

Verse 10 — Surah Al-Anfal 8:10

Aur Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie ki kay bisharat ho aur takay tumharay dilon ko qarar ho jaye aur madad sirf Allah hi ki taraf say hai jo kay zabardast hikmat wala hai

Verse 11 — Surah Al-Anfal 8:11

Uss waqt ko yaad kero jab kay Allah tum per oongh taari ker raha tha apni taraf say chain denay kay liye aur tum per aasman say pani barsa raha tha kay iss pani kay zariye say tum ko pak ker dey aur tum say shetani waswasay ko dafa kerdey aur tumharay dilon ko mazboot kerdey aur tumharay paon jama dey

Verse 12 — Surah Al-Anfal 8:12

Uss waqt ko yaad kero jab kay aap ka rab farishton ko hukum deta tha kay mein tumhara sathi hun so tum eman walon ki himmar barhao mein abhi kuffaar kay dilon mein rob dalay deta hun so tum gardanon per maaro aur inn kay por por ko maaro

Verse 13 — Surah Al-Anfal 8:13

Yeh iss baat ki saza hai kay enhon ney Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat ki. Aur jo Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat kerta hai so be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai

Verse 14 — Surah Al-Anfal 8:14

So yeh saza chakho aur jaan rakho kay kafiron kay liye jahannum ka aza muqarrar hi hai

Verse 15 — Surah Al-Anfal 8:15

Aey eman walo! Jab tum kafiron say doo badoo muqabil hojao to unn say pusht mat pherna

Verse 16 — Surah Al-Anfal 8:16

Aur jo shaks unn say iss moqay per pusht pheray ga magar haan jo laraee kay liye paintra badalta ho ya jo (apni) jamat ki taraf panah lenay aata ho woh mustasna hai. Baqi aur jo aisa keray ga woh Allah kay ghazab mein aajaye ga. Aur uss ka thikana dozakh hoga woh boht hi buri jagah hai

Verse 17 — Surah Al-Anfal 8:17

So tum ney unhen qatal nahi kiya lekin Allah Taalaa ney unhen qatal kiya. Aur aap ney khaak ki muthi nahi phenki bulkay Allah Taalaa ney woh phenki aur takay musalmanon ko apni taraf say unn ki mehnat ka khoob ewaz dey bila shuba Allah Taalaa khoob sunnay wala khoob jannay wala hai

Verse 18 — Surah Al-Anfal 8:18

(aik baat to) yeh hui aur (doosri baat yeh hai) Allah Taalaa ko kafiron ki tadbeer ko kamzor kerna tha

Verse 19 — Surah Al-Anfal 8:19

Agar tum log faisla chahatay ho to woh faisla tumharay samney aa mojood hua aur agar baaz ajao to yeh tumharay liye nihayat khoob hai aur agar tum phir wohi kaam kero gay to hum bhi phir wohi kaam keren gay aur tumhari jamiyat tumharay zara bhi kaam na aaye gi go kitni ziyada ho aur waqaee baat yeh hai kay Allah Taalaa eman walon kay sath hai

Verse 20 — Surah Al-Anfal 8:20

Aey eman walo! Allah ka aur uss kay rasool ka kaha mano aur uss (ka kaha mannay) say roo-gardani mat kero suntay jantay huye

Verse 21 — Surah Al-Anfal 8:21

Aur tum unn logon ki tarah mat hona jo dawa to kertay hain kay hum ney sunn liya halankay woh suntay (sunatay kuch) nahi

Verse 22 — Surah Al-Anfal 8:22

Be-shak bad tareen khaleeq Allah Taalaa kay nazdeek woh log hain jo behray hain goongay hain jo kay (zara) nahi samajhtay

Verse 23 — Surah Al-Anfal 8:23

Aur agar Allah Taalaa inn mein koi khoobi dekhta to inn ko sunnay ki tofiq dey deta aur agar inn ko abb suna dey to zaroor roo gardani keren gay bey rukhi kertay huye

Verse 24 — Surah Al-Anfal 8:24

Aey eman walo! Tum Allah aur rasool kay kehney ko baja lao jabkay rasool tum ko tumhari zindagi bakhsh cheez ki taraf bulatay hon. Aur jaan rakho kay Allah Taalaa aadmi kay aur uss kay qalb kay darmiyan aarr bann jaya kerta hai aur bila shuba tum sab ko Allah hi kay pass jama hona hai

Verse 25 — Surah Al-Anfal 8:25

Aur tum aisay wabaal say bacho! Kay jo khaas ker sirf unhi logon per waqiya na hoga jo tum say inn gunhaon kay muratakib huye hain aur yeh jaan rakho kay Allah sakht saza denay wala hai

Verse 26 — Surah Al-Anfal 8:26

Aur uss halat ko yaad kero! Jab tum zamin mein qaleel thay kamzor shumar kiye jatay thay. Iss andeshay mein rehtay thay kay tum ko log noch khasot na len so Allah ney tum ko rehney ki jagah di aur tum ko apni nusrat say qooat di aur tum ko nafees nafees cheezen ata farmaeen takay tum shukar kero

Verse 27 — Surah Al-Anfal 8:27

Aey eman walo! Tum Allah aur rasool (kay huqooq) mein jantay huye khayanat mat kero aur apni qaabil-e-hifazat cheezon mein khayanat na kero

Verse 28 — Surah Al-Anfal 8:28

Aur tum iss baat ko jaan rakho kay tumharay amwaal aur tumhari aulad aik imtehan ki cheez hai. Aur iss baat ko bhi jaan rakho kay Allah Taalaa kay pass bara bhari ajar hai

Verse 29 — Surah Al-Anfal 8:29

Aey eman walo! Agar tum Allah say dartay raho gay to Allah Taalaa tum ko aik faislay ki cheez dey ga aur tum say tumharay gunah door ker dey ga aur tum ko bakhsish dey ga aur Allah Taalaa baray fazal wala hai

Verse 30 — Surah Al-Anfal 8:30

Aur uss waqiye ka bhi zikar kijiye! Jabkay kafir log aap ki nisbat tadbeer soch rahey thay kay aap ko qaid ker len yaa aap ko qatal ker dalen yaa aap ko kharij-e-watan ker den aur woh to apni tadbeeren ker rahey thay aur Allah apni tadbeer ker raha tha aur sab say ziyada mustehkum tadbeer wala Allah hai

Verse 31 — Surah Al-Anfal 8:31

Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain to kehtay hain kay hum ney sunn liya agar hum chahayen to iss kay barabar hum bhi keh den yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say manqool chali aarahi hain

Verse 32 — Surah Al-Anfal 8:32

Aur jabkay inn logon ney kaha aey Allah ! Agar yeh quran aap ki taraf say waqaee hai to hum per aasman say pathar barsa ya hum per koi dard naak azab waqey kerdey

Verse 33 — Surah Al-Anfal 8:33

Aur Allah Taalaa aisa na keray ga inn mein aap kay hotay huye inn ko azab dey aur Allah inn ko azab na dey ga iss halat mein kay woh istaghfaar bhi kertay hon

Verse 34 — Surah Al-Anfal 8:34

Aur inn mein kiya baat hai kay inn ko Allah Taalaa saza na dey halankay woh log masjid-e-haram say roktay hain jabkay woh log iss masjid kay mutawalli nahi. Iss kay mutawalli to siwaye muttaqiyon kay aur ashkhaas nahi lekin inn mein aksar log ilm nahi rakhtay

Verse 35 — Surah Al-Anfal 8:35

Aur unn ki namaz kaaba kay sirf yeh thi seetiyan bajana aur taaliyan bajana. So apney kufur kay sabab iss azab ka maza chakho

Verse 36 — Surah Al-Anfal 8:36

Bila shak yeh kafir log apne maalon ko iss liye kharch ker rahey hain kay Allah ki raah say roken so yeh lo to apney maalon ko kharach kertay hi rahen gay phir woh maal inn kay haq mein baees-e-hasrat hojayen gay. Phir maghloob hojayen gay aur kafir logon ko dozakh ki taraf jama kiya jayega

Verse 37 — Surah Al-Anfal 8:37

Takay Allah Taalaa na pak ko pak say alag ker dey aur na pakon kay aik doosray say mila dey pus inn sab ko ikatha dher ker dey phir inn sab ko jahannum mein daal dey. Aisay log pooray khasaray mein hain

Verse 38 — Surah Al-Anfal 8:38

Aap inn kafiron say keh dijiye! Kay agar yeh log baaz aajayen to inn kay saray gunah jo pehlay ho chukay hain sab moaf ker diye jayen gay aur agar apni wohi aadat rakhen gay to (kuffaar) sabeyqeen kay haq mein qanoon nafiz ho chuka hai

Verse 39 — Surah Al-Anfal 8:39

Aur tum inn say iss hadd tak laro kay inn mein fasad aqeedah na rahey. Aur deen Allah hi ka hojaye phir agar yeh baaz aajayen to Allah Taalaa inn aemaal ko khoob dekhta hai

Verse 40 — Surah Al-Anfal 8:40

Aur agar roo gardaani keren to yaqeen rakhen kay Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai woh boht acha kaar saaz hai aur boht acha madadgar hai

Verse 41 — Surah Al-Anfal 8:41

Jaan lo kay tum jiss qisam ki aur jo kuch ghanimat hasil kero uss mein say panchwa hissa Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat daron ka aur yateemon ka aur miskeenon ka aur musafiron ka agar tum Allah per eman laye ho aur uss cheez per jo hum ney apney banday per uss din utara hai jo din haq-o-baatil ki judaee ka tha jiss din do fojen bhirr gaee thin. Allah her cheez per qadir hai

Verse 42 — Surah Al-Anfal 8:42

Jabkay tumharay pass walay kinaray per thay aur woh door walay kinaray per thay aur qafila tum say neechay tha. Agar tum aapas mein waday kertay to yaqeenan tum waqt moyyen per phonchney mein mukhtalif hojatay. Lekin Allah ko to aik kaam ker hi daalna tha jo muqarrar ho chuka tha takay jo halak ho zaleel per (yani yaqeen jaan ker) halak ho aur zinda rahey woh bhi daleel per (haq pehchan ker) zinda rahey. Be-shak Allah boht sunnay wala khoob jannay wala hai

Verse 43 — Surah Al-Anfal 8:43

Jabkay Allah Taalaa ney tujhay teray khuwab mein unn ki taadaad kum dikhaee agar inn ki ziyadti dikhata to tum buzdil hojatay aur iss kaam kay baray mein aapas mein ikhtilaaf kertay lekin Allah Taalaa ney bacha liya woh dilon kay bhedon say khoob aagah hai

Verse 44 — Surah Al-Anfal 8:44

Jabkay uss ney ba-waqt-e-mulaqat unhen tumhari nighaon mein boht kum dikhaye aur tumhen unn ki nighaon mein kum dikhaye takay Allah Taalaa iss kaam ko anajm tak phoncha dey jo kerna hi tha aur sab kaam Allah hi ki taraf pheray jatay hain

Verse 45 — Surah Al-Anfal 8:45

Aey eman walo! Jab tum kissi mukhalif foj say bhirr jao to sabit qadam raho aur ba kasrat Allah ko yaad kero takay tumhen kaamyabi hasil ho

Verse 46 — Surah Al-Anfal 8:46

Aur Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardari kertay raho aapas mein ikhtilaf na kero werna buzdil hojao gay aur tumhari hawa ukhar jaye gi aur sabar-o-sahaar rakho yaqeenan Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai

Verse 47 — Surah Al-Anfal 8:47

Unn logon jaisay na bano jo itratay huye aur logon mein khud numaee kertay huye apney gharon say chalay aur Allah ki raah say roktay thay jo kuch woh ker rahey hain Allah ussay gher lenay wala hai

Verse 48 — Surah Al-Anfal 8:48

Jabkay unn kay aemaal ko shetan zeenat daar dikha raha tha aur keh raha tha kay logon mein say koi bhi aaj tum per ghalib nahi aa sakta mein khud bhi tumhara himayati hun lekin jab donon jamaten namoo daar huen to apni aeriyon kay ball peechay hatt gaya aur kehnay laga mein tum say bari hun. Mein woh dekh raha hun jo tum nahi dekh rahey. Mein Allah say darta hun aur Allah Taalaa sakhta azab wala hai

Verse 49 — Surah Al-Anfal 8:49

Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala hai

Verse 50 — Surah Al-Anfal 8:50

Kaash kay tu dekhta jabkay farishtay kafiron ki rooh qabz kertay hain unn kay mun aur sareenon per maar maartay hain (aur kehtay hain) tum jalney ka maza chakho

Verse 51 — Surah Al-Anfal 8:51

Yeh ba-sabab unn kaamon kay jo tumharay haathon ney pehlay hi bhej rakha hai be-shak Allah apney bandon per zulm kerney wala nahi

Verse 52 — Surah Al-Anfal 8:52

Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya. Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai

Verse 53 — Surah Al-Anfal 8:53

Yeh iss liye kay Allah aisa nahi kay kissi qom per koi nemat inam farma ker phir badal dey jab tak kay woh khud apni uss halat ko na badal den jo kay unn ki apni thi aur yeh kay Allah sunnay wala hai

Verse 54 — Surah Al-Anfal 8:54

Misil halat firaoniyon kay aur unn say pehlay kay logon kay, kay unhon ney apney rab ki baaten jhutlaeen. Pus unn kay gunahon kay baees hum ney unhen barbaad kiya aur firaoniyon ko dobo diya. Yeh saray zalim thay

Verse 55 — Surah Al-Anfal 8:55

Tamam jaandaron say badtar Allah kay nazdik woh hain jo kufur keren phir woh eman na layen

Verse 56 — Surah Al-Anfal 8:56

Jin say aap ney ehad-o-paymaan ker liya phir bhi woh apney ehad-o-paymaan ko her martaba tor detay hain aur bilkul perhez nahi kertay

Verse 57 — Surah Al-Anfal 8:57

Pus jab kabhi tu laraee mein inn per ghalib aajaye enhen aisi maar maar kay inn kay pichlay bhi bhaag kharay hon ho sakta hai kay woh ibrat keren

Verse 58 — Surah Al-Anfal 8:58

Aur agar tujhay kissi qom ki khayanat ka darr ho to barabari ki haalat mein unn ka ehad naama tor dey Allah Taalaa khayanat kerney walon ko pasand nahi farmata

Verse 59 — Surah Al-Anfal 8:59

Kafir yeh khayal na keren kay woh bhaag niklay. Yaqeenan woh aajiz nahi ker saktay

Verse 60 — Surah Al-Anfal 8:60

Tum inn kay muqablay kay liye apni taqat bhar qooat ki tayyari kero aur ghoron ko tayyar rakhney ki kay iss say tum Allah kay dushmanon ko khof zada rakh sako aur inn kay siwa auron ko bhi jinhen tum nahi jantay Allah enhen khoob jaan raha hai jo kuch bhi Allah ki raah mein sarf kero gay woh tumhen poora poora diya jayega aur tumhara haq na maara jayega

Verse 61 — Surah Al-Anfal 8:61

Agar woh sulah ki taraf jhuken to tu bhi sulah ki taraf jhuk jaa aur Allah per bharosa rakh yaqeenan woh boht sunnay jannay wala hai

Verse 62 — Surah Al-Anfal 8:62

Agar woh tujh say dagha baazi kerna chahayen gay to Allah tujhay kafi hai ussi ney apni madad say aur mominon say teri taaeed ki hai

Verse 63 — Surah Al-Anfal 8:63

Inn kay dilon mein bahumi ulfat bhi ussi ney dali hai. Zamin mein jo kuch hai agar sara ka sara bhi kharch ker dalta to bhi inn kay dil aapas mein na mila sakta. Yeh to Allah hi ney inn mein ulfat daal di hai woh ghalib hikmaton wala hai

Verse 64 — Surah Al-Anfal 8:64

Aey nabi! Tujhay Allah kafi hai aur inn mominon ko jo teri pairwee ker rahey hain

Verse 65 — Surah Al-Anfal 8:65

Aey nabi! Eman walon ko jihad ka shoq dilao agar tum mein bees (20) bhi sabar kerney walay hongay to do so per ghalib rahey gay. Aur agar tum mein aik so hongay to aik hazar kafiron per ghalib rahen gay iss wastay kay woh bey samajh log hain

Verse 66 — Surah Al-Anfal 8:66

Acha abb Allah tumhara bojh halka kerta hai woh khoob janta hai kay tum mein na tawani hai pus agar tum mein say aik so sabar kerney walay hongay to woh do so per ghalib rahen gay aur agar tum mein aik hazar hongay to woh Allah kay hukum say do hazar per ghalib rahen gay Allah sabar kerney walon kay sath hai

Verse 67 — Surah Al-Anfal 8:67

Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai

Verse 68 — Surah Al-Anfal 8:68

Agar pehlay hi say Allah ki taraf say baat likhi hui na hoti to jo kuch tum ney liya hai iss baray mein tumhen koi bari saza hoti

Verse 69 — Surah Al-Anfal 8:69

Pus jo kuch halal aur pakeezah ghanimat tum ney hasil ki hai khoob khao piyo aur Allah say dartay raho yaqeenan Allah ghafoor-o-rahim hai

Verse 70 — Surah Al-Anfal 8:70

Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah bakhshney wala meharban hai hi

Verse 71 — Surah Al-Anfal 8:71

Aur agar woh tujh say khayanat ka khayal keren to yeh to iss say pehlay khud Allah ki khayanat ker chukay hain aakhir iss ney enhen giriftar kera diya aur Allah ilm-o-hikmat wala hai

Verse 72 — Surah Al-Anfal 8:72

Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai

Verse 73 — Surah Al-Anfal 8:73

Kafir aapas mein aik doosray kay rafiq hain agar tum ney aisa na kiya to mulk mein fitna hoga aur zabardast fasaad hojayega

Verse 74 — Surah Al-Anfal 8:74

Jo log eman laye aur hijrat ki aur Allah ki raah mein jihad kiya aur jinhon ney panah di aur madad phonchaee. Yehi log sachay momin hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat ki rozi

Verse 75 — Surah Al-Anfal 8:75

Aur jo log iss kay baad eman laye aur hijrat ki aur tumharay sath hoker jihad kiya. Pus yeh log bhi tum mein say hi hain aur rishtay naatay walay inn mein say baaz baaz ziyada nazdeek hain Allah kay hukum mein be-shak Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai