Urdu

Translation: urd-muhammadjunagar-la

Author: Muhammad Junagarhi

الفاتحہ

Surah 1

[1] Sab tareef Allah Taalaa kay liye hai jo tamam jahanon ka palney wala hai

[2] Bara meharban nihayat reham kerney wala

[3] Badlay kay din (yani qayamat) ka maalik hai

[4] Hum sirf teri hi ibadat kertay hain aur sirf tujh hi say madad chahatay hain

[5] Humen seedhi (aur sachi) raah dikha

[6] Unn logon ki raah jin per tu ney inaam kiya

[7] unn ka nahi jin per ghazab kiya gaya aur nagumrahon ka

البقرہ

Surah 2

[1] Alif laam meem

[2] Iss kitab (kay Allah ki kitab honey) mein koi shak nahi perhezgaron ko raah dikhaney wali hai

[3] Jo log ghaib per eman latay hain aur namaz ko qaeem rakhtay hain aur humaray diye huye (maal) mein say kharach kertay hain

[4] Aur jo log eman latay hain uss per jo aap ki taraf utara gaya aur jo aap say pehlay utara gaya aur woh aakhirat per bhi yaqeen rakhtay hain

[5] Yehi log apney rab ki taraf say hidayat per hain aur yehi log falah aur nijat paney walay hain

[6] Kafiron ko aap ka darana ya na darana barabar hai yeh log eman na layen gay

[7] Allah Taalaa ney inn kay dilon per aur inn kay kanon per mohar laga di hai aur inn ki aankhon per parda hai aur inn kay liye bara azab hai

[8] baaz log kehtay hain kay hum Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain lekin dar haqeeqat woh eman walay nahi hain

[9] Woh Allah Taalaa ko aur eman walon ko dhoka detay hain lekin dar-asal woh khud apney aap ko dhoka dey rahey hain magar samajhtay nahi

[10] Unn kay dilon mein beemari thi Allah Taalaa ney unhen beemari mein mazeed barha diya aur unn kay jhoot ki waja say unn kay liye dard naak azab hai

[11] Aur jab inn say kaha jata hai kay zamin mein fasaad na kero o jawab detay hain kay hum to sirf islaah kerney walay hain

[12] Khabardaar ho! yaqeenan yehi log fasaad kerney walay hain lekin shaoor (samajh) nahi rakhtay

[13] Aur jab inn say kaha jata hai kay aur logon (yani sahaba) ki tarah tum bhi eman lao to jawab detay hain kay kiya hum aisa eman layen jaisa bey waqoof laye hain khabardaar hojao! yaqeenan yehi bey waqoof hain lekin jantay nahi

[14] Aur jab eman walon say miltay hain to kehtay hain kay hum bhi eman walay hain aur jab apney baron kay pass jatay hain to kehtay hain kay hum to tumharay sath hain hum to inn say sirf mazaq kertay hain

[15] Allah Taalaa bhi inn say mazaq kerta hai aur enhen inn ki sirkashi aur behkaway mein aur barha deta hai

[16] Yeh woh log hain jinhon ney gumrahi ko hidayat kay badlay mein khareed liya pus na to inn ki tijarat ney inn ko faeeda phonchaya aur na yeh hidayat walay huye

[17] Inn ki misal uss shaks ki si hai jiss ney aag jalaee pus aas pass ki cheezen roshni mein aaee hi thin kay Allah unn kay noor ko ley gaya aur enhen andheron mein chor diya jo nahi dekhtay

[18] Behray goongay andhay hain. Pus woh nahi lottay

[19] Ya aasmani barsaat ki tarah jiss mein andheriyan aur garaj aur bijli ho maut ki darr say karakay ki waja say apni ungliyan apney kaanon mein daal letay hain. Aur Allah Taalaa kafiron ko gherney wala hai

[20] Qareeb hai kay bijli inn ki aankhen uchak ley jaye jab inn kay liye roshni kerti hai to chaltay phirtay hain aur jab inn per andhera kerti hai to kharay hojatay hain aur agar Allah Taalaa chahaye to inn kay kanon aur aankhon ko bey kaar kerdey. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai

[21] Aey logo! apney uss rab ki ibadat kero jiss ney tumhen aur tum say pehlay kay logon ko peda kiya yehi tumhara bachao hai

[22] Jiss ney tumharay liye zamin ko farash aur aasman ko chatt banaya aur aasman say pani utaar ker uss say phal peda ker kay tumhen rozi di khabardaar bawajood janney kay Allah kay shareek muqarrar na kero

[23] Hum ney jo kuch apney banday per utara hai uss mein agar tumhen shak ho aur tum sachay ho to iss jaisi aik surat to bana lao tumhen ikhtiyar hai kay Allah Taalaa kay siwa apney madadgaron ko bhi bula lo

[24] Pus agar tum ney na kiya aur tum hergiz nahi ker saktayto (issay sacha maan ker) uss aag say bacho jiss ka endhan insan aur pathar hain jo kafiron kay liye tayyar ki gaee hai

[25] Aur eman walon aur nek amal kerney walon ko unn jannaton ki khushkhabriyan do jin kay neechay nehren beh rahi hain. Jab kabhi woh phalon ka rizq diye jayen gay aur hum shakal laye jayen gay to kahen gay yeh wohi hain jo hum iss say pehlay diye gaye thay aur unn kay liye biwiyan hain saaf suthri aur unn jannaton mein hamesha rehney walay hain

[26] Yaqeenan Allah Taalaa kissi misal kay biyan kerney say nahi sharmata khuwa machar ki ho ya iss say bhi halki cheez ki. eman walay to issay apney rab ki janib say sahih samajhtay hain aur kuffaar kehtay hain kay iss misal say Allah Taalaa ney kiya murad li hai? iss kay zariye baishtar ko gumrah kerta hai aur aksar logon ko raah-e-raast per lata hai aur gumrah to sirf fasiqon ko hi kerta hai

[27] Jo log Allah Taalaa kay mazboot ehad ko tor detay hain aur Allah Taalaa ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai unhen kaattay aur zamin mein fasaad phelatay hain yehi log nuksan uthaney walay hain

[28] Tum Allah kay sath kaisay kufur kertay ho? Halankay tum murda thay uss ney tumhen zinda kiya phir tumhen maar dalay ga phir zinda keray ga phir ussi ki taraf lotaye jao gay

[29] Woh Allah jiss ney tumharay liye zamin ki tamam cheezon ko peda kiya phir aasman ki taraf qasad kiya aur unn ko theek thaak saat aasman banaya aur woh her cheez ko janta hai

[30] Aur jab teray rab ney farishton say kaha kay mein zamin mein khalifa bananey wala hun to unhon ney kaha aisay shaks ko kiyon khalifa peda kerta hai jo zamin mein fasaad keray aur khoon bahaye? Aur hum teri tasbeeh hamd aur pakeezgi biyan kerney wala hain. Allah Taalaa ney farmaya jo mein janta hun tum nahi jantay

[31] Aur Allah Taalaa ney aadam ko tamam naam sikha ker unn cheezon ko farishton kay samney paish kiya aur farmaya agar tum sachay ho to inn cheezon kay naam batao

[32] Unn sab ney kaha aey Allah ! Teri zaat pak hai hum to sirf utna hi ilm hai jitna tu ney humen sikha rakha hai pooray ilm-o-hikmat wala to tu hi hai

[33] Allah Taalaa ney (hazrat) aadam (alh-e-salam) say farmaya tum inn kay naam bata do. Jab unhon ney bata diye to to farmaya kay kiya mein ney tumhen (pehlay hi) na kaha tha kay zamin aur aasmanon ka ghaib mein hi janta hun aur meray ilm mein hai jo tum zahir ker rahey ho aur jo tum chupatay thay

[34] Aur jab hum ney farishton say kaha kay aadam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya. Uss ney inkar kiya aur takabbur kiya aur woh kafiron mein hogaya

[35] Aur hum ney keh diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho aur jahan kahin say chahao ba faraghat khao piyo lekin uss darakht kay qareeb na jana werna zalim hojao gay

[36] Lekin shetan ney unn ko behka ker wahan say nikwa hi diya aur hum ney keh diya kay utar jao! um aik doosray kay dushman ho aur aik waqt-e-muqarrara tak tumharay liye zamin mein theharna aur faeeda uthana hai

[37] (hazrat) aadam (alh-e-salam) ney apney rab say chand baaten seekh lin aur Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool farmaee be-shak wohi tauba qabool kerney wala aur reham kerney wala hai

[38] Hum ney kaha tum sab yahan say chalay jao jab kabhi tumharay pass meri hidayat phonchay to uss ki tabey daari kerney walon per koi khof-o-ghum nahi

[39] Aur jo inkar keren aur meri aayaton ko jhutlayen woh jahannumi hain aur hamesha ussi mein rahey gay

[40] Aey bani israeel! meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur meray ehad ko poora kero mein tumharay ehad ko poora keroon ga aur mujh say hi daro

[41] Aur uss kitab per eman lao jo mein ney tumhari kitabon ki tasdeeq mein nazil farmaee hai aur uss kay sath tum hi pehlay kafir na bano aur meri aayaton ko thori thori qeematon per na farokht kero aur sirf mujh hi say daro

[42] Aur haq ko baatil kay sath khalat malat na kero aur na haq ko chupao tumhen to khud iss ka ilm hai

[43] Aur namazon ko qaeem kero aur zakat do aur rukoo kerney walon kay sath rukoo kero

[44] Kiya logon ko bhalaiyon ka hukum kertay ho? Aur khud apney aap ko bhool jatay ho ba wajood yeh kay tum kitab parhtay ho kiya itni bhi tum mein samajh nahi

[45] Aur sabar aur namaz kay sath madad talab kero yeh cheezen shaaq hain magar darr rakhney walon per

[46] Jo jantay hain kay be-shak woh apney rab say mulaqat kerney walay aur yaqeenan woh ussi ki taraf lot ker janey walay hain

[47] Aey aulad-e-yaqoob! Meri uss nemat ko yaad kero jo mein ney tum per inam ki aur mein ney tumhen tamam jahanon per fazilat di

[48] Uss din say dartay raho jab koi kissi ko nafa na dey sakay ga aur na hi uss ki babat ki koi sifarish qabool hogi aur na koi badla uss kay ewaz liya jaye ga aur na woh madad kiye jayen gay

[49] Aur jab hum ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen bad tareen azab detay thay jo tumharay larkon ko maar daltay thay aur tumhari larkiyon ko chor detay thay uss nijat denay mein tumharay rab ki bari meharbani thi

[50] Aur jab hum ney tumharay liye dariya cheer (phaar) diya aur tumhen uss say paar ker diya aur firaoniyon ko tumhari nazron kay samney uss mein dobo diya

[51] Aur hum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) say chalees raaton ka wada kiya phir tum ney uss kay baad bachra poojna shuroo ker diya aur zalim bann gaye

[52] Lekin hum ney ba wajood iss kay phir tumhen moaf ker diya takay tum shukar kero

[53] Aur hum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) ko tumhari hidayat kay liye kitab aur moajzay ata farmaye

[54] Jab (hazrat) musa (alh-e-salam) ney apni qom say kaha kay aey meri qom! bachray ko mabood bana ker tum ney apni janon per zulm kiya hai abb tum apney peda kerney walay ki taraf rujoo kero apney ko aapas mein qatal kero tumhari behtri Allah Taalaa kay nazdeek issi mein hai to uss ney tumhari tauba qabool ki woh tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hai

[55] Aur (tum ussay bhi yaad kero) tum ney (hazrat) musa (alh-e-salam) say kaha tha kay jab tak hum apney rab ko apney samney na dekh len hergiz eman na layen gay (jiss ki gustakhi ki saza mein) tum per tumharay dekhtay huye bijli giri

[56] Phir iss liye kay tum shukar guzari kero iss maut kay baad bhi hum ney tumhen zinda ker diya

[57] Aur hum ney tum per badal ka saya kiya aur tum per mann-o-salwa utara (aur keh diya) kay humari di hui pakeeza cheezen khao aur unhon ney hum per zulm nahi kiya albatta woh khud apni janon per zulm kertay thay

[58] Aur hum ney tum say kaha uss basti mein jao aur jo kuch ja kahin say chahao ba faraghat khao piyo aur darwazay mein sajday kertay huye guzro aur zaban say hitta kaho hum tumhari khatayen moaf farma den gay aur neki kerney walon ko aur ziyada den gay

[59] Phir unn zalimon ney uss baat ko jo unn say kahi gaee thi badal daali hum ney bhi unn zalimon per unn kay fisq-o-nafarmani ki waja say aasmani azab nazil kiya

[60] Aur jab musa (alh-e-salam) ney apni qom kay liye pani maanga to hum ney kaha kay apni laathi pathar per maaro jiss say baara chashmey phoot niklay aur her giroh ney apna chashma pehchan liya (aur hum ney keh diya kay) Allah Taalaa ka rizq khao piyo aur zamin mein fasaad na kertay phiro

[61] Aur jab tum ney kah aey musa! hum say aik hi qisam kay khaney per sabar na hosakay ga iss liye apeny rab say dua kijiye kay woh humen zamin ki peda waar saag kakri gehon masoor aur piyaz dey aap ney farmaya behtar cheez kay badlay adna cheez kiyon talab kertay ho! acha shehar mein jao wahan tumhari chahat ki yeh sab cheezen milen gi. Unn per zillat aur miskeeni daal di gaee aur Allah ka ghazab ley ker woh lotay yeh iss liey kay woh Allah ki aayaton kay sath kufur kertay thay aur nabiyon ko na haq qatal kertay thay yeh unn ki na farmaniyon aur ziyadtiyon ka nateeja hai

[62] Musalman hon yahudi hon nasaara hon ya saabi hon jo koi bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray unn kay ajar un kay rab kay pass hain aur unn per na o koi khof hai na udasi

[63] Aur jab hum ney tum say wada liya aur tum per toor pahar laa khara ker diya (aur kaha) jo hum ney tumhen diya hai ussay mazbooti say thaam lo aur jo kuch iss mein hain ussay yaad kero takay tum bach sako

[64] Lekin tum iss kay baad bhi phir gaye phir agar Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat tum per na hoti to tum nuksan walay ho jatay

[65] Aur yaqeenan tumhen unn logon ka ilm bhi hai jo tum mein say haftay kay baray mein hadd say barh gaye aur hum ney bhi keh diya kay tum zaleel bandar bann jao

[66] Issay hum ney aglon pichlon kay liye ibrat ka sabab bana diya aur perhezgaron kay liye waaz-o-naseehat ka

[67] Aur (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jab apni qom say kaha kay Allah Taalaa tumhen aik gaaye zibah kerney ka hukum deta hai to unhon ney kaha hum say mazak kiyon kertay ho? Aap ney jawab diya kay mein aisa jahil honey say Allah ki panah pakarta hun

[68] Unhon ney kaha aey musa! dua kijiye kay Allah Taalaa humaray liye iss ki maahiyat biyan ker dey aap ney farmaya suno! woh gaaye na to bilkul burhiya ho na bacha bulkay darmiyani umar ki no jawan ho abb jo tumhen hukum diya gaya hai baja lao

[69] Woh phir kehnay lagay kay dua kijiye kay Allah Taalaa biyan keray uss ka rang kiya hai? Farmaya woh kehta hai kay woh gaaye zard rang ki hai chamkeela aur dekhney walon ko bhala lagney wala uss ka rang hai

[70] Woh kehney lagay apney rab say aur dua kijiye kay humen uss ki mazeed maahiyat batlaye iss qisam ki gaye to boht hain pata nahi chalta agar Allah ney chaha to hum hidayat walay hojayen gay

[71] Aap ney farmaya kay Allah ka farman hai kay woh gaaye kaam kerney wali zamin mein hal jootney wali aur kheton ko pani pilaney wali nahi woh tandrust aur bey daagh hai unhon ney kaha abb aap ney haq wazeh ker diya go woh hukum bardari kay qarib na thay lekin ussay mana aur gaaye zibah ker di

[72] Jab tum ney aik shaks ko qatal ker dala phir uss mein ikhtilaf kerney lagay aur tumhari posheedgi ko Allah Taalaa zahir kerney wala tha

[73] Hum ney kaha iss gaaye ka aik tukra maqtool kay jism ko laga do (woh ji utahay ga) issi tarah Allah Taalaa murdon ko zinda ker kay tumhen tumhari aqal mandi kay liye apni nishaniyan dikhata hai

[74] Phir iss kay baad tumharay dil pathar jaisay bulkay iss bhi ziyada sakhta hogaye baaz patharon say to nehren beh nikalti hain aur baaz phat jatay hain aur baaz Allah Taalaa kay darr say gir gir partay hain aur tum Allah Taalaa ko apney aemaal say ghafil na jano

[75] (musalmano!) kiya tumhari khuwaish hai kay yeh log eman daar bann jayen halankay inn mein aisay log bhi hain jo kalam ullah ko sunn ker aqal-o-ilm walay hotay huye phir bhi badal dala kertay hain

[76] Jab eman walon say miltay hain to apni eman daari zahir kertay hain aur jab aapas mein miltay hain to kehtay hain kay musalmanon ko kiyon woh baaten phonchatay ho jo Allah Taalaa ney tumhen sikhaee hain kiya jantay nahi kay yeh to Allah Taalaa kay pass tum per inn ki hujjat hojaye gi

[77] Kiya yeh nahi janatay kay Allah Taalaa inn ki posheedgi aur zahri daari sab ko janta hai

[78] Inn mein say baaz un parh aisay bhi hain kay jo kitab kay sirf zahiri alfaaz ko hi jantay hain aur sirf guman aur atkal hi per hain

[79] Unn logon kay liye well hai jo apni haathon ki likhi hui kitab ko Allah Taalaa ki taraf ki kehtay hain aur iss tarag duniya kamatay hain inn ki haathon ki likhaee ko aur inn ki kamaee ko well (halakat) aur afsos hai

[80] Yeh log kehtay hain kay hum to sirf chand roz jahannum mein rahen gay inn say kaho kay kiya tumharay pass Allah Taalaa ka koi parwana hai? Agar hai to yaqeenan Allah Taalaa apney waday kay khilaf nahi keray ga (hergiz nahi) bulkay tum to Allah kay zimmay woh baaten lagatay ho jinhen tum nahi jantay

[81] Yaqeenan jiss ney bhi buray kaam kiye aur uss ki na farmaniyon ney ussay gher liya woh hamesha kay liye jahannumi hai

[82] Aur jo log eman laye aur nek kaam keren woh jannati hain jo jannat mein hamesha rahen gay

[83] Aur jab hum ney bani israeel say wada liya kay tum Allah Taalaa kay siwa doosray ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath acha sulook kerna issi tarah qarabat daron yateemon aur miskeenon kay sath aur logon ko achi baaten kehna namazen qaeem rakhna aur zakat detay raha kerna lekin thoray say logon kay ilawa tum sab phir gaye aur mun mor liya

[84] Aur jab hum ney tum say wada liya kay aapas mein khoon na bahana (qatal na kerna) aur aapas walon ko jila watan na kerna tum ney iqrar kiya aur tum iss kay shahid banay

[85] Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kiya aur aapas kay aik firqay ko jila watan bhi kiya aur gunah aur ziyadti kay kaamon mein inn kay khilaf doosray ki taraf daari ki haan woh jab qaidi ho ker tumharay pass aaye to tum ney unn kay fidye diye lekin inn ka nikalna jo tum per haram tha (uss ka kuch khayal na kiya) kiya baaz ehkaam per eman rakhtay ho aur baaz kay sath kufur kertay ho? Tum mein say jo bhi aisa keray uss ki saza iss kay siwa kiya ho kay duniya mein ruswaee aur qayamat kay din sakht azab ki maar aur Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi

[86] Yeh woh log hai jinhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay khareed liya hai inn kay na to azab halkay hongay aur na inn ki madad ki jaye gi

[87] Hum ney (hazrat) musa ko kitab di aur inn kay peechay aur rasool bhejay aur hum ney (hazrat) essa ibn-e-marium ko roshan daleelen din aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed kerwaee. Lekin jab kabhi tumharay pass rasool woh cheez laye jo tumhari tabiyaton kay khilaf thi tum ney jhat say takabbur kiya pus baaz ko to jhutla diya aur baaz ko qatal bhi ker dala

[88] Yeh kehtay hain kay humaray dil ghilaaf walay hain nahi nahi bulkay inn kay kufur ki waja say enhen Allah Taalaa ney malaoon ker diya hai inn ka eman boht hi thora hai

[89] Aur inn kay pass jab Allah Taalaa ki kitab inn ki kitab ko sacha kerney wali aaee halankay pehlay yeh khud (iss kay zariye) kafiron per fatah chahatay thay to ba wajood aajaney aur ba wajood pehchan lenay kay phir kufur kerney lagay Allah Taalaa ki laanat ho kafirion per

[90] Boht buri hai woh cheez jiss kay badlay enhon ney apney aap ko baich dala woh inn kay kufur kerna hai. Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda cheez kay sath mehaz iss baat say jal ker kay Allah Taalaa ney apna fazal apney jiss banday per chaha nazil farmaya iss kay baees ye log ghazab per ghazab kay mustahiq hogaye aur inn kafiron kay liye ruswa kerney wala azab hai

[91] Aur jab inn say kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utari hui kitab per eman lao to keh detay hain kay jo hum per utari gaee uss per humara eman hai. Halankay iss kay baad wali kay sath jo inn ki kitab ki tasdeeq kerney wali hai kufur kertay hain acha inn say yeh to daryaft keren kay agar tumhara eman pehli kitabon per hai to phir tum ney aglay anbiya ko kiyon qatal kiya

[92] Tumharay pass to musa yehi daleelen ley ker aaye lekin phir bhi tum ney bachra pooja tum ho hi zalim

[93] Jab hum ney tum say wada liya aur tum per toor ko khara ker diya (aur keh diya) kay humari di hui cheez ko mazboot thaamo aur suno! To enhon ney kaha hum ney suna aur na famani ki aur inn kay dilon mein bachray ki mohabbat (goya) pila di gaee ba sabab inn kay kufur kay. Inn say keh dijiye kay tumhara eman tumhen bura hukum dey raha hai agar tum momin ho

[94] Aap keh dijiye kay agar aakhirat ka ghar sirf tumharay liye hai Allah kay nazdeek aur kissi kay liye nahi to aao apni sachaee kay saboot mein maut talab kero

[95] Lekin apney kartooton ko dekhtay huye kabhi bhi maut nahi maangen gay Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai

[96] Bulkay sab say ziyada duniya ki zindagi ka harees aey nabi! Aap enhin ko paayen gay. Yeh hirs-e-zindagi mein mushrikon say bhi ziyada hai inn mein say to her shaks aik aik hazar saal ki umar chahata hai go yeh umar diya jana bhi enhen azab say nahi chura sakta Allah Taalaa inn kay kaamon ko bakhoobi dekh raha hai

[97] (aey nabi!) aap keh dijiye kay jo jibraeel ka dushman ho jiss ney aap kay dil per paygham-e-baari taalaa utaara hai jo paygham inn kay pass ki kitab ki tasdeeq kerney wala aur mominon ko hidayat aur khushkhabri denay wala hai

[98] (To Allah bhi uss ka dushman hai) jo shaks Allah ka aur uss kay farishton aur uss kay rasoolon aur jibraeel aur mikaeel ka dushman ho aisay kafiron ka dushman khud Allah hai

[99] Aur yaqeenan hum ney aap ki taraf roshan daleelen bheji hain jin ka inkar siwaye bad kaaron kay koi nahi kerta

[100] Yeh log jab kabhi koi ehad kertay hain to inn kay aik na aik jamat issay tor deti hai bulkay inn mein say aksar eman say khali hain

[101] Jab kabhi inn kay pass Allah ka koi rasool inn ki kitab ki tasdeeq kerney wala aaya inn ehal-e-kitab kay aik firqay ney Allah ki kitab ko iss tarah peeth peechay daal diya goya jantay hi na thay

[102] Aur uss cheez kay peechay parr gaye jissay shayateen (hazrat) suleman ki hukoomat mein parhtay thay. Suleman ney to kufur na kiya tha bulkay yeh kufur shetanon ka tha woh logon ko jadoo sikhaya kertay thay aur babul mein haroot maroot do farishton per jo utaara gaya tha woh dono bhi kissi shaks ko uss waqt tak nahi sikhatay thay jab tak yeh na keh den kay hum to aik aazmaeesh hain tu kufur na ker phir log inn say woh seekhtay jiss say khawind-o-biwi mein judaee daal den aur dar-asal woh baghair Allah Taalaa ki marzi kay kissi ko koi nuksan nahi phoncha saktay yeh log woh seekhtay hain jo enhen nuksan phonchaye aur nafa na phoncha sakay aur woh bil yaqeen jantay hain kay iss key lenay walay ka aakhirat mein koi hissa nahi. Aur woh bad tareen cheez hai jiss kay badlay mein woh apney aap ko farokht ker rahey hain kaash kay yeh jantay hotay

[103] Agar yeh log sahib-e-eman mutaqqi bann jatay to Allah Taalaa ki taraf say behtareen sawab enehn milta agar yeh jantay hotay

[104] Aey eman walo! Tum nabi (PBUH ko) Raaeena na kaha kero un-zurna kaho yani humari taraf dekhiye aur suntay raha kero aur kafiron kay liye dard naak azab hai

[105] Na to ehal-e-kitab kay kafir aur na mushrikeen chahatay hain kay tum per tumharay rab ki koi bhalaee nazil ho (inn kay iss hasad say kiya hua) Allah Taalaa jissay chahaye apni rehmat-e-khusoosiyat say ata farmaye Allah Taalaa baray fazal wala hai

[106] Jiss aayat ko hum mansookh ker den ya bhula den iss say behtar ya iss jaisi aur latay hain kiya tu nahi janta kay Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[107] Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi

[108] Kiya tum apney rasool say yehi poochna chahatay ho jo iss say pehlay musa (alh-e-salam) poocha gaya tha? (suno) eman ko kufur say badalney wala seedhi raah say bhatak jata hai

[109] Inn ehal-e-kitab kay aksay log ba wajood haq wazeh ho janey kay mehaz hasad-o-bughz ki bina per tumhen bhi eman say hata dena chahatay hain tum bhi moad kero aur choro yahan tak kay Allah Taalaa apna hukum laye. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhta hai

[110] Tum namazen qaeem rakho aur zakat detay raha kero aur jo kuch bhalaee tum apney liye aagay bhejo gay sab kuch Allah kay pass paa lo gay be-shak Allah Taalaa tumharay aemaalon ko khoob dekh raha hai

[111] Yeh kehtay hain kay jannat mein yahud-o-nasaaraa kay siwa aur koi na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum sachay ho to koi daleel to paish kero

[112] Suno! Jo bhi apney aap ko khuloos kay sath Allah kay samney jhuka dey. Be-shak ussay uss ka rab poora badla dey ga iss per na to koi khof hoga na ghum aur udasi

[113] Yahud kehtay hain kay nasrani haq per nahi aur nasrani kehtay hain kay yahudi haq per nahi halankay yeh sab log toraat parhtay hain issi tarah inn hi jaisi baat bey ilm bhi kehtay hain. Qayamat kay din Allah inn kay iss ikhtilaf ka faisla inn kay darmiyan ker dey ga

[114] Uss shaks say barh ker zalim kaun hai jo Allah Taalaa ki masjidon mein Allah Taalaa kay zikar kiye janey ko rokay aur unn ki barbadi ki kosish keray aisay logon ko khof khatay huye hi iss mein jana chahaiye inn kay liye duniya mein bhi ruswaee hai aur aakhirat mein bhi bara azab hai

[115] Aur mashriq aur maghrib ka maalik Allah hi hai. Tum jidhar bhi mun kero udhar hi Allah ka mun hai Allah Taalaa kushadgi aur wusat wala aur baray ilm wala hai

[116] Yeh kehtay hain kay Allah Taalaa ki aulad hai (nahi bulkay) woh pak hai zamin-o-aasman ki tamam makhlooq uss ki milkiyat mein hai aur her aik uss ka farmanbardar hai

[117] Woh zamin aur aasmanon ka ibtida’an peda kerney wala hai woh jiss kaam ko kerna chahye keh deta hai kay hoja bus woh wahin hojata hai

[118] Issi tarah bey ilm logon ney bhi kaha kay khud Allah Taalaa hum say baaten kiyon nahi kerta ya humaray pass koi nishani kiyon nahi aati? Issi tarah aisi hi baat inn kay aglon ney bhi kahi thi unn kay aur inn kay dil yaksan hogaye. Hum ney to yaqeen kerney walon kay liye nishaniyan biyan ker den

[119] Hum ney aap ko haq kay sath khushkhabri denay wala aur daraney wala bana ker bheja hai aur jahannumiyon kay baray mein aap say pursish nahi hogi

[120] Aap say yahud-o-nasaaraa hergiz razi nahi hongay jab tak kay aap inn kay mazaahib kay tabey na bann jayen aap keh dijiye kay Allah ki hidayat hi hidayat hai aur agar aap ney apney pass ba wajood ilm aajaney kay phir inn ki khuwaishon ki pairwee ki to Allah kay pass aap ka na to koi wali hoga aur na madadgar

[121] Jinhen hum ney kitab di hai aur woh issay parhney kay haq kay sath parhtay hain woh iss kitab per bhi eman rakhtay hain aur jo iss kay sath kufur keray woh nuksan wala hai

[122] Aey aulad-e-yaqoob! Mein ney jo nematen tum per inam ki hain unhen yaad kero aur mein to tumhen tamam jahanon per fazilat dey rakhi thi

[123] Uss din say daro jiss din koi nafss kissi nafss ko kuch faeeda na phoncha sakay ga na kissi shaks say koi fidya qabool kiya jayega na ussay koi shifaat nafa dey gi na unn ki madad ki jayegi

[124] Jab ibrhim (alh-e-salam) ko unn kay rab ney kaee kaee baaton say aazmaya aur unhon ney sab ko poora ker diya to Allah ney farmaya mein tumhen logon ka imam bana doon ga araz kerney lagay aur meri aulad ko farmaya mera wada zalimon say nahi

[125] Hum ney bait-ullah ko logon kay liye sawab aur aman-o-aman ki jagah banaee tum muqam-e-ibrahim ko jaye namaz muqarrar ker lo hum ney ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) say wada liya kay tum meray ghar ko tawaf kerney walon aur aeytikaaf kerney walon aur rukoo sajda kerney walon kay pak saaf rakho

[126] Jab ibrahim ney kaha aey perwerdigar! Tu iss jagah ko aman wala shehar bana aur yahan kay bashindon ko jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhney walay hon phalon ki roziyan dey. Allah Taalaa ney farmaya: mein kafiron ko bhi thora faeeda doon ga phir unhen aag kay azab ki taraf bey bus ker doon ga yeh phonchney ki jagah buri hai

[127] Ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) kaaba ki bunyaden aur deewaren uthatay jatay thay aur kehtay jaa rahey thay kay humaray perwerdigar! Tu hum say qabool farma tu hi sunnay wala aur janney wala hai

[128] Aey humaray rab! Humen apne farmanbardar bana ley aur humari aulad mein say bhi aik jamat ko apni ita’at guzaar rakh aur humen apni ibadaten sikha aur humari tauba qabool farma tu tauba qabool farmaney wala aur reham-o-karam kerney wala hai

[129] Aey humaray rab! Inn mein inhi mein say rasool bhej jo inn kay pass teri aayaten parhay enhen kitab-o-hikmat sikhaye aur enhen pak keray yaqeena tu ghalbay wala aur hikmat wala hai

[130] Deen-e-ibrahim say wohi bey raghabti keray ga jo mehaz bey waqoof ho hum ney to ussay duniya mein bhi bar gazeedah kiya tha aur aakhirat mein bhi woh nekon kaaron mein say hai

[131] Jab kabhi bhi unhen unn kay rab ney kaha farmanbardar hoja unhon ney kaha mein ney rab-ul-aalameen ki farmanbardari

[132] Issi ki wasiyat ibrahim aur yaqoob ney apni aulad ko ki kay humaray bacho! Allah Taalaa ney tumharay liye iss deen ko pasand farma liya hai khabradar! Tum musalman hi marna

[133] Kiya (hazrat) yaqoob kay intiqal kay waqt tum mojood thay? Jab unhon ney apni aulad ko kaha kay meray baad tum kiss ki ibadat kero gay? To sab ney jawab diya kayk aap kay mabood ki aur aap kay aaba-o-ajdaad ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) kay mabood ki jo mabood aik hi hai aur hum ussi kay farmanbardar rahen gay

[134] Yeh jamat to guzar chuki jo unhon ney kaha woh unn kay liye hai aur jo tum kero gay woh tumharay liye hai. Unn kay aemaal kay baray mein tum nahi poochay jao gay

[135] Yeh kehtay hain kay yahud-o-nasaaraa bann jao to hidayat pao gay. Tum kaho bulkay sahih raah per millat-e-ibrahimi walay hain aur ibrahim khalis Allah kay paristaar thay aur mushrik na thay

[136] Aey musalmano! Tum sab kaho kay hum Allah per eman laye aur uss cheez per bhi jo humari taraf utari gaee aur jo cheez ibrahim ismail ishaq yaqoob (aleyhim-us-salam) aur inn ki aulad per utari gaee aur jo kuch Allah ki janib say musa aur essa (aleyhim-us-salam) aur doosray anbiya (aleyhim-us-salam) diye gaye. Hum inn say mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay hum Allah kay farmanbardar hain

[137] Agar woh tum jaisa eman layen to hidayat payen aur agar mun moren to woh sareeh ikhtilaf mein hain Allah Taalaa inn say un qarib aap ki kifayat keray ga aur woh khoob sunnay aur janney wala hai

[138] Allah ka rang ikhtiyar kero aur Allah Taalaa say acha rang kiss ka hoga? Hum to ussi ki ibadat kerney walay hain

[139] Aap keh dijiye kay kiya tum hum say Allah kay baray mein jhagartay ho jo humara aur tumhara rab hai humaray liye humaray aemaal hain aur tumharay liye tumharay aemaal hum to ussi kay liye mukhlis hain

[140] Kiya tum kehtay ho kay ibrahim aur ismail aur ishaq aur yaqoob (aleyhim-us-salam) aur unn ki aulad yahudi ya nasrani thay? Keh do kiya tum ziyada jantay ho ya Allah Taalaa? Allah kay pass shahdat chupney walay say ziyada zalim aur kaun hai? Aur Allah tumharay kaamon say ghafil nahi

[141] Yeh ummat hai jo guzar chuki jo unhon ney kiya unn kay liye hai aur jo tum ney kiya tumharay liye tum unn kay aemaal kay baray mein sawal na kiye jao gay

[142] Un qarib nadan log kahen gay kay jiss qabeelay per yeh thay iss say enhen kiss cheez na hataya? Aap keh dijiye kay mashriq-o-maghrib ka maalik Allah Taalaa hi hai woh jissay chahaye seedhi raah ki hidayat ker dey

[143] Hum ney issi tarah tumhen aadil ummat banaya hai takay tum logon per gawah hojao aur rasool (PBUH) tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay say thay ussay hum ney iss liye muqarrar kiya tha kay hum jaan len kay rasool ka sacha tabey daar kaun hai aur kaun hai jo apni aeyrhiyon kay ball palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen Allah ney hidayat di hai (unn per koi mushkil nahi) Allah Taalaa tumharay aemaal zaya na keray ga Allah Taalaa logon kay sath shafqat aur meharbani kerney wala hai

[144] Hum aap kay chehray ko baar baar aasman ki taraf uthtay uthtay huye dekh rahey hain abb hum aap ko uss qiblay ki janib mutawajja keren gay jiss say aap khush hojayen aap apna mun masjid-e-haram ki taraf pher len aur aap jahan kahin hon apna mun ussi taraf phera keren. Ehal-e-kitab ko iss baat kay Allah ki taraf say bar haq honey ka qataee ilm hai aur Allah Taalaa unn aemaal say ghafil nahi jo yeh kertay hain

[145] Aur aap agar cheh ehal-e-kitab ko tamam daleelen dey den lekin woh aap kay qiblay ki pairwi nahi keren gay aur na aap inn kay qiblay ko manney walay hain aur na yeh aapas mein aik doosray kay qiblay ko manney walay hain aur agar aap ba wajood yeh kay aap kay pass ilm aa chuka phir bhi inn ki khuwaishon kay peechay lag jayen to bil yaqeen aap bhi zalimon mein say hojayen

[146] Jinhen hum ney kitab di hai woh to issay aisa pehchantay hain jaisay koi apney bachon ko pehchaney inn kay aik jamat haq ko pehchan ker phri chupati hai

[147] Aap kay rab ki taraf say yeh sira sir haq hai khabardaar aap shak kerney walon mein say na hona

[148] Her shaks aik na aik tarf mutawajja horaha hai tum nekiyon ki taraf doro. Jahan kahin bhi tum hogay Allah tumhen ley aaye ga. Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[149] Aap jahan say niklay apna mun (namaz kay liye) masjid-e-haram ki taraf ker liya keren yehi haq hai aap kay rab ki taraf say jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi

[150] Aur jiss jagah say aap niklen apna mun masjid-e-haram ki taraf pher len aur jahan kahin tum ho apney chehray issi taraf kiya kero takay logon ki koi hujjat tum per baqi na reh jaye siwaye unn logon kay jinhon ney inn mein say zulm kiya hai tum inn say na daro mujh hi say daro aur takay mein apni nemat tum per poori keroon aur iss liye bhi kay tum raah-e-raast pao

[151] Jiss tarah hum ney tum mein tumhin mein say rasool bheja jo humari aayaten tumharay samney tilawat kerta hai aur tumhen kitab-o-hikmat aur woh cheezen sikhata hai jin say tum bey ilm nahi

[152] Iss liye tum mera ziker kero mein bhi tumhen yaad keroon ga meri shukar guzari kero aur na shukri say bacho

[153] Aey eman walo! Sabar aur namaz kay zariye madad chahao Allah Taalaa sabar kerney walon ka sath deta hai

[154] Aur Allah Taalaa ki raah kay shaheedon ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay

[155] Aur hum kissi na kissi tarah tumhari aazmaish zaroor keren gay dushman kay darr say bhook piyas say maal-o-jaan aur phalon ki kami say aur unn sabar kerney walon ko khushkhabri dey dijiye

[156] Jinhen jab koi musibat aati hai to keh diya kertay hain kay hum to khud Allah Taalaa ki milkiyat hain aur hum ussi ki taraf lotney walay hain

[157] Unn per unn kay rab ki nawazishen aur rehmaten hain aur yehi log hidayat yaafta hain

[158] Safa aur marwa Allah Taalaa ki nishaniyon mein say hain iss liye bait ullah ka hajj aur umrah kerney walay per inn ka tawaf ker lenay mein bhi koi gunah nahi apni khushi say bhalaee kerney walon ka Allah qadar daan hai aur unhen khoob janney wala hai

[159] Jo log humari utari hui daleelon aur hidayat ko chupatay hain ba wajood yeh kay hum ussay apni kitab mein logon kay liye biyan ker chukay hain unn logon per Allah ki aur tamam laanat kerney walon ki laanat hai

[160] Magar woh log jo tauba ker len aur islaah ker len aur biyan ker den to mein unn ki tauba qabool ker leta hun aur mein tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hun

[161] Yaqeenan jo kuffaar apney kufur mein hi marr jayen unn per Allah Taalaa ki farishton ki aur tamam logon ki laanat hai

[162] Jiss mein yeh hamesha rahen gay na unn say azab halka kiya jayega aur na unhen dheel di jaye gi

[163] Tum sab ka mabood aik hi mabood hai uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh boht reham kerney wala aur bara meharban hai

[164] Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain

[165] Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh ker (jaan len gay) kay tamam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala hai (to hergiz shirk na kertay)

[166] Jiss waqt paishwa log apney tabey daron say bey zaar hojayen gay aur azab ko apni aankhon say dekh len gay aur kul rishtay naatay toot jayen gay

[167] Aur tabey daar log kehney lagen gay kaash hum duniya ki taraf doobara jayen to hum bhi inn say aisay hi bey zaar hojayen jaisay yeh hum say hain issi tarah Allah Taalaa unhen unn kay aemaal dikhaye ga unn ko hasrat dilaney ko yeh hergiz jahannum say na niklen gay

[168] Logn! Zamin mein jitni bhi halal aur pakeezah cheezen hain unhen khao piyo aur shetani raah per na chalo woh tumhara khula hua dushman hai

[169] Woh tumhen sirf buraee aur bey hayaee ka aur Allah Taalaa per unn baaton kay kehnay ka hukum deta hai jin ka tumhen ilm nahi

[170] Aur inn say jab kabhi kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utari hui kitab ki tabeydari kero to jawab detay hain kay hum to iss tareeqay ki pairwi keren gay jiss per hum ney apney baap dadon ko paya go inn kay baap daday bey aqal aur gum kerda raahon mein hon

[171] Kuffaar ki misal unn janwaron ki tarah hai jo apney charwahey ki sirf pukar aur aawaz hi ko suntay hain (samajhtay nahi) woh behray goongay andhay hain enhan aqal nahi

[172] Aey eman walo! Jo pajeeza cheezen hum ney tumhen dey rakhi hain unhen khao piyo aur Allah Taalaa ka shukar kero agar tum khaas ussi ki ibadat kertay ho

[173] Tum per murda aur (baha hua) khoon aur sooar ka gosht aur her woh cheez jiss per Allah kay siwa doosron ka naam pukara gaya ho haram hai phir jo majboor hojaye aur hadd say barhney wala aur ziyadti kerney wala na ho uss per inn kay khaney mein koi gunah nahi Allah Taalaa baksish kerney wala meharban hai

[174] Be-shak jo log Allah Taalaa ki utari hui kitab chupatay hain ussay thori thori si qeemat per baichtay hain yaqeen mano kay yeh apney pet mein aag bhar rahey hain qayamat kay din Allah unn say baat bhi na keray ga na unhen pak keray ga bulkay unn kay liye dard naak azab hai

[175] Yeh woh log hain jinhon ney gumrahi ko hidayat kay badlay aur azab ko maghfirat kay badlay khareed liya hai yeh log aag ka azab kitan bardasht kerney walay hain

[176] Inn azabon ka baees yeh hi hai kay Allah Taalaa ney sachi kitab utari aur iss kitab mein ikhtilaf kerney walay yaqeenan door kay khilaf mein hain

[177] Sari achaee mashriq-o-maghrib ki taraf mun kerney mein hi nahi bulkay acha woh shaks hai jo Allah Taalaa per qayamat kay din per aur farishton per kitab ullah per aur nabiyon per eman rakhney wala ho jo maal say mohabbat kerney kay bawajood qarabat daron yateemon miskeenon musafiron aur sawal kerney walon ko dey ghulamon ko aazad keray namaz ki pabandi aur zakat ki adaeegi keray jab wada keray tab ussay poora keray tangdast dukh dard aur laraee kay waqt sabar keray yehi sachay log hain aur yehi perhezgar hain

[178] Aey eman walon! Tum per maqtoolon ka qisass lena farz kiya gaya hai aazad aazad kay badlay ghulam ghulam kay badlay aurat aurat kay badlay. Haan jiss kissi ko uss kay bhai kay badlay moafi dey di jaye ussay bhalaee ki ittaba kerni chahaiye aur aasani kay sath deeyat ada kerni chahaiye. Tumharay rab ki taraf say yeh takhfeef aur rehmat hai iss kay baad bhi jo sirkashi keray ussay dard naak azab hoga

[179] Aqal mandon! Qisass mein tumharay liye zindagi hai iss baees tum (qatal-e-na haq say) ruko gay

[180] Tum per farz ker diya gaya hai kay jab tum mein say koi marney lagay aur maal chor jata ho to apney maa baap aur qarabat daron kay liye achai kay sath waseeyat ker jaye perhezgaron per yeh haq aur sabit hai

[181] Abb jo shaks issay sunney kay baad badal dey uss ka gunah badlaney walay per hi hoga waqaee Allah Taalaa sunney wala janney wala hai

[182] Haan jo shaks waeeyat kerney walay ki janib daari ya gunah ki waseeyat ker denay say daray pus woh inn mein aapas mein islaah kera dey to uss per gunah nahi Allah Taalaa bakshney wala meharban hai

[183] Aey eman walo! Tum per rozay rakhna farz kiya gaya jiss tarah tum say pehlay logon per farz kiye gaye thay takay tum taqwa ikhtiyar kero

[184] Ginti kay chand hi din hain lekin tum mein say jo shaks beemar ho ya safar mein ho to woh aur dinon mein ginti ko poora ker ley aur iss ki taqat rakhney walay fidiye mein aik miskeen ko khana den phir jo shaks neki mein sabqat keray woh ussi kay liye behtar hai lekin tumharay haq mein behtareen kaam rozay rakhna hi hai agar tum ba ilm ho

[185] Maah-e-ramzan woh hai jiss mein quran utaara gaya jo logon ko hidayat kerney wala hai aur jiss mein hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain tum mein say jo shaks iss maheeney ko paye ussay roza rakhna chahaiye haan jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray dinon mein yeh ginti poori kerni chahaiye Allah Taalaa ka irada tumharay sath aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori ker lo aur Allah Taalaa ki di hui hidayat per uss ki baraiyan biyan kero aur uss ka shukar kero

[186] Jab meray banday meray baray mein aap say sawal keren to aap keh den kay mein boht hi qarib hun her pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai

[187] Rozay ki raaton mein apni biwiyon say milna tumharay liye halal kiya gaya woh tumhara libas hain aur tum unn kay libas ho tumhari posheeda khayanaton ka Allah Taalaa ko ilm hai uss ney tumhari tauba qabool farma ker tum say dar guzar farma liya abb tumhen inn say mubashirat ki aur Allah Taalaa ki likhi hui cheez ko talash kerney ki ijazat hai tum khatay peetay raho yahan tak kay subha ka safaid dhaga siyah dhagay say zahir hojaye. Phir raat tak rozay ko poora kero aur aurton say uss waqt mubashirat na kero jab kay tum masjidon mein aeytikaaf mein ho. Yeh Allah Taalaa ki hudood hain tum unn kay qarib bhi na jao. Issi tarah Allah Taalaa apni aayaten logon kay liye biyan farmata hai takay woh bachen

[188] Aur aik doosray ka maal na haq na khaya kero na hakimon ko rishwat phoncha ker kissi ka kuch maal zulm-o-sitam say apna liya kero halankay tum jantay ho

[189] Log aap say chaand kay baray mein sawal kertay hain aap keh dijiye kay yeh logon (ki ibadat) kay waqton aur hajj kay mausam kay liye hai (ehraam ki halat main) aur gharon kay peechay say tumhara aana kuch neki nahi bulkay neki wala woh hai jo muttaqi ho. Aur gharon mein to darwazon say aaya kero aur Allah say dartay raho takay tum kaamyaab hojao

[190] Laro Allah ki raah mein unn say jo tum say lartay hain aur ziyadti na kero Allah Taalaa ziyadti kerney walon ko pasand nahi fermata

[191] Enhen maaro jahan bhi pao aur enhen nikalo jahan say enhon ney tumhen nikala hai aur (suno) fitna qatal say ziyada sakht hai aur masjid-e-haram kay pass inn say laraee na kero jabtak kay yeh khu tum say na laren agar yeh tum say laren to tum bhi enhen maaro kafiron ka badla yehi hai

[192] Agar yeh baaz aajyen to Allah Taalaa bakshney wala meharban hai

[193] Inn say laro jabtak kay fitna na mitt jaye aur Allah Taalaa ka deen ghalib na aajaye agar yeh ruk jayen (to tum bhi ruk jao) ziyadti to sirf zalimon per hi hai

[194] Hurmat walay maheeney hurmat walay maheenon kay badlay hain aur hurmaten adlay badlay ki hain jo tum per ziyadti keray tum bhi ussi tarah ussi ki misil ziyadti kero jo tum per ki hai aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay Allah Taalaa perhezgaron kay sath hai

[195] Allah Taalaa ki raah mein kharach kero aur apney haathon halakat mein na paro aur sulook-o-ehsan kero Allah Taalaa ehsan kerney walon ko dost rakhta hai

[196] Hajj aur umray ko Allah Taalaa kay liye poora kero haan agar tum rok liye jao to jo qurbani mayyassar ho ussay ker daalo aur apney sir na mundwao jabtak kay qurbani qurban gaah tak na phonch jaye albatta tum mein say jo beemar ho ya uss kay sir mein koi takleef ho (jiss ki waja say sir munda ley) to uss per diya hai khuwa rozay rakh ley khuwa sadqa dey dey khuwa qurabi keray pus tum amann ki halat mein hojao to jo shaks umray say ley ker hajj tak tamatto keray pus ussay jo qurabni mayyassar ho ker dalay jissay taqat hi na ho to woh teen rozay to hajj kay dinon mein rakh ley aur saat wapsi mein yeh pooray das hogaye. Yeh hukum unn kay liye hai jo masjid-e-haram kay rehney walay na hon logo! Allah say dartay raho aur jaan lo kay Allah Taalaa sakht azab wala hai

[197] Hajj kay maheenay muqarrar hain iss liye jo shaks inn mein hajj lazim ker ley woh apni biwi say milaap kerney gunah kerney aur laraee kerney say bachta rahey tum jo neki kero gay uss say Allah Taalaa ba khabar hai aur apney sath safar kharach ley liya kero sab say behtar tosha Allah Taalaa ka darr hai aur aey aqal mando! Mujh say dartay raha kero

[198] Tum per apney rab ka fazal ka talash kerney mein koi gunah nahi jab tum arfaat say loto to to mash’ar-e-haram kay pass zikar-e-elahee kero aur uss ka zikar kero jaisay kay uss ney tumhen hidayat di halankay tum iss say pehlay raah bhoolay huye thay

[199] Phir tum uss jagah loto jiss jagah sab log lot’tay hain aur Allah Taalaa say talab-e-bakshish kertay raho yaqeenan Allah Taalaa bakshney wala meharban hai

[200] Phir jab tum arkaan-e-hajj ada ker chuko to Allah Taalaa ka zikar kero jiss tarah tum apney baap dadon ka zikar kiya kertay thay bulkay iss say bhi ziyada baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein dey. Aisay logon ka aakhirat mein koi hissa nahi

[201] Aur baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein neki dey aur aakhirat mein bhi bhalaee ata farma aur humen azab-e-jahannum say nujat dey

[202] Yeh woh log hain jin kay liye unn kay aemaal ka hissa hai aur Allah Taalaa jalad hisab lenay wala hai

[203] Aur Allah Taalaa ki yaad unn ginti kay chand dinon (ayyaam-e-tashreeq) mein kero do din ki jaldi kerney walay per bhi koi gunah nahi aur jo peechay reh jaye uss per bhi koi gunah nahi yeh perhezgar kay liye hai aur Allah Taalaa say dartay raho aur jaan rakho kay tum sab ussi ki taraf jama kiye jao gay

[204] Baaz logon ki dunyawi gharaz ki baaten aap ko khush ker deti hain aur woh apney dil ki baaton per Allah ko gawah kerta hai halankay dar asal woh zabardast jhagraloo hai

[205] Jab woh lot ker jata hai to zamin mein fasad phelaney ki aur kheti aur nasal ki barbadi ki koshish mein laga rehta hai aur Allah Taalaa fasad ko na pasand kerta hai

[206] Aur jab uss say kaha jaye kay Allah say darr to takabbur aur ta’assub ussay gunah per aamada ker deta hai aisay kay liye bus jahannum hi hai aur yaqeenan woh badtareen jagah hai

[207] Aur baaz log woh bhi hai jo Allah Taalaa ki raza mandi ki talab mein apni jaan tak baich detay daltay hain aur Allah Taalaa apney bandon per bari meharbani kerney wala hai

[208] Eman walo! Islam mein pooray pooray dakhil hojao aur shetan kay qadmon ki tabeydari na kero woh tumhara khula dushman hai

[209] Agar tum bawajoob tumharay daleel aajaney kay bhi phisal jao to jaan lo kay Allah Taalaa ghalbay wala aur hikmat wala hai

[210] Kiya logon ko iss baat ka intizar hai kay unn kay pass khud Allah Taalaa abar kay sayebanon mein aajaye aur farishtay bhi aur kaam inteha tak phoncha diya jaye Allah hi ki taraf tamam kaam lotaye jatay hain

[211] Bani israeel say poocho to kay hum ney unhen kiss qadar roshan nishaniyan ata farameen aur jo shaks Allah Taalaa ki nematon ko apney pass phonch janey kay baad badal dalay (woh jaan ley) kay Allah Taalaa sakht azabon wala hai

[212] Kafiron kay liye duniya ki zindagi khoob zeenat daar ki gaee hai woh eman walon say hansi mazaq kertay hain halankay perhezgar log qayamat kay din unn say aala hongay Allah Taalaa jisay chahata hai bey hisab rozi deta hai

[213] Dar-asal log aik hi giroh thay Allah Taalaa ney nabiyon ko khushkhabri denay aur daraney wala bana ker bheja aur unn kay sath sachi kitaben nazil farmaeen takay logon kay her ikhtilafi amar ka faisla hojaye. Aur sirf unhi logon ney jinhen kitab di gaee thi apney pass dalaeel aa chukney kay baad aapas kay bughz-o-aeynaad ki waja say iss mein ikhtilaf kiya iss liye Allah pak ney eman walon ki iss ikhtilaf mein bhi haq ki taraf apni mashiyat say rehbari ki aur Allah jiss ko chahaye seedhi raah ki taraf rehbari kerta hai

[214] Kiya tum yeh guman kiye bethay ho kay jannat mein chalay jao gay halankay abb tak tum per woh halaat nahi aaye jo tum say aglay logon per aaye thay. Unehn beemariyan aur musibaten phonchi aur woh yahan tak jhanjoray gaye kay rasool aur uss kay sath kay eman walay kehney lagay kay Allah ki madad kab aaye gi? Sun rakho kay Allah ki madad qarib hi hai

[215] Aap say poochtay hain kay woh kiya kharach keren? Aap keh dijiye kay jo maal tum kharach kero woh maa baap kay liye hai aur rishtay daron aur yateemon aur miskeenon aur musafiron kay liye hai aur tum jo kuch bhalaee kero gay Allah Taalaa to uss ka ilm hai

[216] Tum per jihad farz kiya gaya go woh tumhen dushwar maloom ho mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumharay liye bhali ho aur yeh bhi mumkin hai kay tum kissi cheez ko achi samjho halankay woh tumharay liye buri ho haqeeqi ilm Allah hi ko hai tum mehaz bey khabar ho

[217] Log aap say hurmat walay maheenon mein laraee ki babat sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn mein laraee kerna bara gunah hai lekin Allah ki raah say rokna uss kay sath kufur kerna aur masjid-e-haram say rokna aur wahan kay rehney walon ko wahan say nikalna Allah kay nazdeek uss say bhi bara gunah hai yeh fitna qatal say bhi bara gunah hai yeh log tum say laraee bhiraee kertay hi rahen gay yahan tak kay agar hosakay to tumhen tumharay deen say murtid ker den aur tum mein say jo log apney deen say palat jayen aur issi kufur ki halat mein maren unn kay aemaal-e-duyawi aur ukhrawi sab ghaarat hojayen gay. Yeh log jahannumi hongay aur hamesha hamesha jahannum mein hi rahen gay

[218] Alabatta eman laney walay hijrat kerney walay Allah ki raah mein jihad kerney walay hi rehmat-e-elahee kay umeedwar hain Allah Taalaa boht bakshney wala aur boht meharbani kerney wala hai

[219] Log aap say sharab aur juye ka masla poochtay hain aap keh dijiye inn dono mein boht bara gunah hai aur logon ko iss say dunyawi faeeda bhi hota hai lekin inn ka gunah unn kay nafay say boht ziyada hai. Aap say yeh bhi daryaft kertay hain kay kiya kuch kharach keren? To aap keh dijiye hajat say zaeed cheez, Allah Taalaa issi taraf apney ehkaam saaf saaf tumharay liye biyan farma raha hai takay tum soch samajh sako

[220] Duniya aur aakhirat kay umoor ko. Aur tujh say yateemon kay baray mein bhi sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn ki khair khuwahi behtar hai tum agar inn ka maal apney maal mein mila bhi lo to woh tumharay bhai hain bad niyat aur nek niyat her aik ko Allah khoob janta hai aur agar Allah chahata to tumhen mushaqqat mein daal deta yaqeenan Allah Taalaa ghalbay wala hikmat wala hai

[221] Aur shirk kerney wali aurton say tawaqt-e-kay woh eman na layen tum nikkah na kero eman walo londi bhi shiek kerney wali aazad aurat say boht behtar hai go tumhen mushrika hi achi lagti ho aur na shirk kerney walay mardon kay nikkah mein apni aurton ko do jab tak woh eman na layen eman wala ghulam aazad mushrik say behtar hai go mushrik tumhen acha lagay. Yeh log jahannum ki taraf bulatay hain aur Allah jannat ki taraf aur apni bakshish ki taraf apney hukum say bulata hai woh apni aayaten logon kay liye biyan farma raha hai takay woh naseehat hasil keren

[222] Aap say haiz kay baray mein sawal kertay hain keh dijiyewoh gandagi hai haiz halaton mein aurton say alag raho aur jab tak woh pak na hojayen unn kay qarib na jao han jab woh pak hojayen o unn kay pass jao jahan say Allah ney tumhen ijazat di hai Allah tauba kerney walon ko aur pak rehney walon ko pasand farmata hai

[223] Tumhari biwiyan tumhari khetiyan hain apni khetiyon mein jiss tarah chahao aao aur apney liye (nek aemaal) aagay bhejo aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay tum uss say milney walay ho aur eman walon ko khushkhabri suna dijiye

[224] Aur Allah Taalaa ko apni qasmon ka iss tarah nishana na banao kay bhalaee aur perhezgari aur logon kay darmiyan ki islaah ko chor betho aur Allah Taalaa sunney wala janney wala hai

[225] Allah Taalaa tumhen tumhari unn qasmon per na pakray ga jo pukhta na hon haan uss ki pakar uss cheez per hai jo tumharay dilon ka fail ho Allah Taalaa bakshney wala aur burdbaar hai

[226] Jo log apni biwiyon say (talluq na rakhney) qasmen khayen unn kay liye chaar maheeney ki iddat hai phir agar woh lot aayen to Allah Taalaa bhi bakshney wala meharban hai

[227] Aur agar tallaq ka hi qasad ker len to Allah Taalaa sunney wala janney wala hai

[228] Tallaq wali aurten apney aap ko teen haiz tak rokay rakhen unhen halal nahi kay Allah ney unn kay reham mein jo paida kiya ho ussay chupayen agar unhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman ho unn kay khawind iss muddat mein unhen lota lenay kay pooray haq daar hain agar unn ka irada islaah ka ho. Aur aurton kay bhi wesay hi haq hain jaisay unn per mardon kay hain achai kay sath. Haan mardon ko aurton per fazeelat hai aur Allah Taalaa ghalib hai aur hikmat wala hai

[229] Yeh tallaqen do martaba hain phir ya to achai say rokna ya umdagi kay sath chor dena aur tumhen halal nahi kay tum ney unhen jo dey diya hai uss mein say kuch bhi lo haan yeh aur baat hai kay dono ko Allah ki hudood qaeem na rakh sakney ka khof ho iss liye agar tumhen darr ho kay yeh dono Allah ki haden qaeem na rakh saken gay to aurat rehaee paney kay liye kuch dey dalay iss mein dono per gunah nahi yeh Allah ki hudood hain khabardar inn say aagay na barhna aur jo log Allah ki haddon say tajawuz ker jayen woh zalim hain

[230] Phir agar iss ko (teesri baar) tallaq dey dey to abb iss kay liye halal nahi jab tak kay woh aurat iss kay siwa doosray say nikkah na keray phir agar woh bhi tallaq dey dey to inn dono ko mail jol ker lenay mein koi gunah nahi ba shart-e-kay yeh jaan len kay Allah ki haddon ko qaeem rakh saken gay yeh Allah Taalaa ki hudood hain jinhen woh janney walon kay liye biyan farma raha hai

[231] Jab tum aurton ko tallaq do aur woh apni iddat khatam kerney per aayen to abb enehn achi tarah basao ya bhalaee kay sath alag ker do aur enhen takleef phonchaney ki gharaz say zulm-o-ziyadti kay liye na roko jo shaks aisa keray uss ney apni jaan per zulm kiya. Tum Allah kay ehkaam ko hansi khel na banao aur Allah kay ehsan jo tum per hai yaad kero aur jo kuch kiab-o-hikmat uss ney nazil farmaee hai jiss say tumehn naseehat ker raha hai ussay bhi. Aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay Allah Taalaa her cheez ko janta hai

[232] Aur jab tum apni aurton ko tallaq do aur woh apni iddat poori ker len o unhen unn kay khawindon say nikkah kerney say na roko jab kay woh aapas mein dastoor kay mutabiq raza mand hon. Yeh naseehat unhen ki jati hai jinhen tum mein say Allah Taalaa per aur qayamat kay din per yaqeen-o-eman ho iss mein tumhari behtareen safaee aur pakeezgi hai. Allah Taalaa janta hai aur tum nahi jantay

[233] Mayen apni aulad ko do saal kamil doodh pilayen jin ka irada doodh pilaney ki muddat bilkul poori kerney ka ho aur jin kay bachay hain unn kay zimmay unn ka roti kapra hai jo mutabiq dastoor kay ho. Her shaks utni hi takleef diya jata hai jitni uss ki taqat ho. Maa ko uss kay bachay ki waja say ya baap ko uss ki aulad ki waja say koi zarar na phonchaya jaye waris per bhi issi jaisi zimmay dari hai phir agar dono (yani maa baap) apni raza mandi aur bahumi mashwaray say doodh churana chayen to dono per kuch gunah nahi aur agar tumhara irada apni aulad ko doodh pilwaney ka ho to bhi tum per koi gunah nahi jab kay tum unn ko muabiq dastoor kay jo dena ho woh inn kay hawalay ker do Allah Taalaa say dartay raho aur jantay raho kay Allah Taalaa tumharay aemaal ki dekh bhaal ker raha hai

[234] Tum mein say jo log fot ho jayen aur biwiyan chor jayen woh aurten apney aap ko chaar maheeney aur das (din) iddat mein rakhen phir jab muddat khatam ker len to jo achai kay sath woh apney liye keren uss mein tum per koi gunah nahi aur Allah Taalaa tumharay her amal say khabardar hai

[235] Tum per iss mein koi gunah nahi kay tum isharatan kanayatan inn aurton say nikkah ki babat kaho ya apney dil mein posheeda irada kero Allah Taalaa ko ilm hai kay kay tum zaroor inn ko yaad kero gay lekin tum inn say posheeda waday na ker lo haan yeh aur baat hai kay tum bhali baat bola kero aur aqad nikkah jab tak kay iddat khatam na hojaye pukhta na kero jaan rakho kay Allah Taalaa ko tumharay dilon ki baaton ka bhi ilm hai tum uss say khof khatay raha kero aur yeh bhi jaan rakho kay Allah Taalaa bakshish aur hilm wala hai

[236] Agar tum aurton ko baghair haath lagaye aur baghair mehar muqarrar kiye tallaq dey do to bhi tum per koi gunah nahi haan unhen kuch na kuch faeeda do. Khushal apney andaz say aur tangdast apni taqat kay mutabiq dasatoor kay mutabiq acha faeeda dey. Bhalaee kerney walon per yeh lazim hai

[237] Aur agar tum aurton ko iss say pehlay tallaq dey do kay tum ney unhen haath lagaya ho aur tum ney unn ka mehar bhi muqarrar ker diya ho to muqarrar mehar ka aadha mehar dey do yeh aur baat hai kay woh khud moaf ker den ya woh shaks moaf ker dey jiss kay haath mein nikkah ki girah hai tumhara moaf ker dena taqwa say boht nazdeek hai aur aapas ki fazeelat aur buzrugi ko faramosh na kero yaqeenan Allah Taalaa tumharay aemaal ko dekh raha hai

[238] Namazon ki hifazat kero bilkhusoos darmiyan wali namaz ki aur Allah Taalaa kay liye ba adab kharay raha kero

[239] Agar tumhen khof ho to paidal hi sahih ya sawari hi sahih haan jab aman hojaye to Allah ka zikar kero jiss tarah ka uss ney tumhen uss baat ki taleem di jissay tum nahi jantay thay

[240] Jo log tum mein say fot hojayen aur biwiyan chor jayen woh waseeyat ker jayen kay unn ki biwiyan saal bhar tak faeeda uthayen unhen koi na nikalay haan agar woh khud nikal jayen to tum per iss mein koi gunah nahi jo woh apney liye achai say keren Allah Taalaa ghalib aur hakeem hai

[241] Tallaq waliyon ko achi tarah faeeda dena perhezgaron per lazim hai

[242] Allah Taalaa issi tarah apni aayaten tum per zahir ker raha farma raha hai takay tum samjho

[243] Kiya tum ney unhen nahi dekha jo hazaron ki tadaad mein thay aur maut kay darr kay maaray apney gharon say nikal kharay huye thay Allah Taalaa ney unhen farmaya marr jao phir unhen zinda ker diya be-shak Allah Taalaa logon per bara fazal wala hai lekin aksar log na shukray hain

[244] Allah ki raah mein jihad kero aur jaan lo kay Allah Taalaa sunta janta hai

[245] Aisa bhi koi hai jo Allah Taalaa ko acha qarz dey pus Allah Taalaa ussay boht barha charha ker ata farmaye Allah hi tangi aur kushadgi kerta hai aur tum sab ussi ki taraf lotaye jao gay

[246] Kiya aap ney (hazrat) musa kay baad wali bani israeel ki jamat ko nahi dekha jab kay unhon ney apney payghumbar say kaha kay kissi ko humara badshah bana dijiye takay hum Allah ki raah mein jihad keren. Payghumbar ney kaha mumkin hai jihad farz hojaney kay baad tum jihad na kero unhon ney kaha bhala hum Allah ki raah mein jihad kiyon na keren gay? Hum to apney gharon say ujaray gaye hain aur bachon say door ker diye gaye hain. Phir jab unn per jihad farz hua to siwaye thoray say logon kay sab phir gaye aur Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai

[247] Aur unhen unn kay nabi ney farmaya kay Allah Taalaa ney taloot ko tumahra badshah bana diya hai to kehney lagay bhala uss ki hum per hukoomat kaisay ho sakti hai? Uss say to boht ziyada haq daar badshaat kay hum hain uss ko to maali kushadgi bhi nahi di gaee. Nabi ney farmaya suno Allah Taalaa ney ussi ko tum per bar gazeedah kiya hai aur ussay ilmi aur jismani bartari bhi ata farmaee hai baat yeh hai kay Allah jisay chahaye apna mulk dey Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai

[248] Unn kay nabi ney unhen phir kaha kay uss ki badshaat ki zahiri nishani yeh hai kay tumharay pass woh sandooq aa jaye ga jiss mein tumharay rab ki taraf say dil jamaee aur aal-e-musa aur aal-e-haroon ka baqiya tarqa hai farishtay ussay utha ker layen gay. Yaqeenan yeh to tumharay liye khuli daleel hai agar tum eman laye ho

[249] Jab (hazrat) taloot lashkaron ko ley ker niklay to kaha suno Allah Taalaa tumhen aik nehar say aazmaney wala hai jiss ney uss mein say pani pi liya woh mera nahi aur jo ussay na chakhay woh mera hai haan yeh aur baat hai kay apney haath say aik chillo bhar ley. Lekin siwaye chand kay baqi sab ney woh pani pi liya (hazrat) taloot momineen samet jab nehar say guzar gaye to woh kehney lagay aaj to hum mein taqat nahi kay jaloot aur uss kay lashkaron say laren. Lekin Allah Taalaa ki mulaqat ka yaqeen rakhney walon ney kaha basa oqat choti aur thori si jamaten bari aur boht si jamaton per Allah kay hukum say ghalba paa leti hain Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai

[250] Jab unn ka jaloot aur uss kay lashkar say muqabla hua to unhon ney dua maangi kay aey perwerdigar humen sabar dey sabit qadmi dey aur qom-e-kuffaar per humari madad farma

[251] Chunacha Allah Taalaa kay hukum say unhon ney jalootiyon ko shikast dey di aur (hazrat) dawood (alh-e-salam) ko mamlikat-o-hikmat aur jitna kuch chaha ilm bhi ata farmaya. Agar Allah Taalaa baaz logon ko baaz say dafa na kerta to zamin mein fasad phel jata lekin Allah Taalaa duniya walon per bara fazal-o-karam kerney wala hai

[252] Yeh Allah Taalaa ki aayaten hain jinhen hum haqqaaniyat kay sath aap per parhtay hain bil yaqeen aap rasoolon mein say hain

[253] Yeh rasool hain jin mein say hum ney baaz ko baaz per fazilat di hai inn mein say baaz woh hain jin say Allah Taalaa ney baat cheet ki hai aur baaz kay darjay buland kiye hain aur hum ney essa bin marium ko moajzaat ata farmaye aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed ki. Agar Allah Taalaa chahata to unn kay baad aaney walay apney pass daleel aajaney kay baad hegiz aapas mein laraee bhiraee na kertay lekin unn logon ney ikhtilaf kiya inn mein say baaz to momin huye aur baaz kafir aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aapas mein na lartay lekin Allah Taalaa jo chahata hai kerta hai

[254] Aey eman walon hum ney tumhen dey rakha hai uss mein say kharach kertay raho iss say pehlay kay woh din aaye jiss mein na tijarat hai na dosti aur shifaat aur kafir hi zalim hain

[255] Allah Taalaa hi mabood-e-bar haq hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab kay thamney wala hai jissay na oongh aaye na neend uss ki milkiyat mein zamin aur aasmanon ki tamam cheezen hain. Kaun hai jo uss ki ijazat kay baghair uss kay samney shifaat ker sakay woh janta hai jo inn kay samney hai aur jo inn kay peechay hai aur woh iss kay ilm mein say kissi cheez ka ehaata nahi ker saktay magar jitna woh chahaye uss ki kursi ki wusat ney zamin-o-aasman ko gher rakha hai aur Allah Taalaa inn ki hifazat say na thakta na uktata hai woh to boht buland aur boht bara hai

[256] Deen kay baray mein koi zabardasti nahi hodayat zalalat say roshan ho chuki hai iss liye jo shaks Allah Taalaa kay siwa doosray maboodon ka inkar ker kay Allah Taalaa per eman laye uss ney mazboot karay ko thaam liya jo kabhi na tootay ga aur Allah Taalaa sunney wala janney wala hai

[257] Eman laney walon ka kaar saaz Allah Taalaa khud hai woh eunhen andheron say roshni ki taraf nikal ley jata hai aur kafiron kay auliya shayateen hain. Woh enhen roshni say nikal ker andheron ki taraf ley jatay hain yeh log jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay

[258] Kiya tu ney ussay nahi dekha jo saltanat paa ker ibrahim (alh-e-salam) say uss kay rab kay baray mein jhagar raha tha jab ibrahim (alh-e-salam) ney kaha mera rab to woh hai jo jilata aur maarta hai woh kehney laga mein bhi jilata aur maarta hun ibrahim (alh-e-salam) ney kaha Allah Taalaa sooraj ko mashriq ki taraf say ley aata hai tu issay maghrib ki janib say ley aa. Abb to woh kafir bhoncka reh gaya aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta

[259] Ya uss shaks ki manind kay jiss ka guzar uss basti per hua jo chatt kay bal ondhi pari hui thi woh kehney laga iss ki maut kay baad Allah Taalaa issay kiss tarah zinda keray ga? To Allah Taalaa ney ussay maar diya so saal kay liye phir ussay uthaya pooha kitni muddat tujh pe guzri? Kehney laga aik din ya din ka kuch hissa farmaya bulkay tu so saal tak raha phir abb tu apney khaney peenay ko dekh kay bilkul kharab nahi hua aur apney gadhay ko bhi dekh hum tujhay logon kay liye aik nishani banatay hain tu dekh kay hum haddiyon ko kiss tarah uthatay hain phir unn per gosht charhatay hain jab yeh sab zahir ho chuka to kehney laga mein janta hun kay Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[260] Aur jab ibrahim (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwerdigar! Mujhay dikha tu murdon ko kiss tarah zinda keray ga? (janab-e-bari taalaa ney) farmaya kiya tumhen eman nahi? Jawab diya eman to hai lekin meray dil ko taskeen hojayegi farmaya chaar parind lo unn kay tukray ker dalo phir her pahar per inn ka aik aik tukra rakh do phir enehn pukaro tumharay pass dortay huye aajayen gay aur jaan rakho kay Allah Taalaa ghalib hai hikmaton wala hai

[261] Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharach kertay hain uss ki misal uss daney jaisi hai jiss mein saat baliyan niklen aur her bali mein so daney hon aur Allah Taalaa jissay chahaye barha charha ker dey aur Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai

[262] Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharach kertay hain phir uss kay baad na to ehsan jatatay hain aur na ezza detay hain unn ka ajar unn kay rab kay pass hai unn per na to kuch khof hai na woh udas hongay

[263] Naram baat kehna aur moaf ker dena uss sadqay say behtar hai jiss kay baad ezza rasani ho aur Allah Taalaa bey niaz aur burdbaar hai

[264] Aey eman walon apni kheyraat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata

[265] Unn logon ki misal jo apna maal Allah Taalaa ki raza mandi ki talab mein dil ki khushi aur yaqeen kay sath kharach kertay hain uss baagh jaisi hai jo oonchi zamin per ho aur zor daar barish uss per barsay aur woh apna phal dugna laway aur agar uss per barish na bhi barsay o phuwar hi kafi hai aur Allah tumharay kaam dekh raha hai

[266] Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero

[267] Aey eman walo! Apni pakeeza kamaee mein say aur zamin mein say tumharay liye humari nikali hui cheezon mein kharach kero inn mein say buri cheezon kay kharach kerney ka qasad na kerna jissay tum khud lenay walay nahi ho haan agar aankhen band ker lo to aur jaan lo kay Allah Taalaa bey perwah aur khoobiyon wala hai

[268] Shetan tumhen faqeeri say dhamkata hai aur bey hayaee ka hukum deta hai aur Allah Taalaa tum say apni bakshish aur fazal ka wada kerta hai Allah Taalaa wusat wala aur ilm wala hai

[269] Woh jissay chahaye hikmat aur danaee deta hai aur jo shaks hikmat aur samajh diya jaye woh boht sari bhalaee diya gaya aur naseehat sirf aqal mand hi hasil kertay hain

[270] Tum jitna kuch kharach kero yani kheyraat aur jo kuch naza maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi

[271] Agar tum sadqay kheyraat ko zahir kero to woh bhi acha hai aur agar tum issay posheeda posheeda miskeenon ko dey do to yeh tumharay haq mein behtar hai Allah Taalaa tumharay gunahon ko mita dey ga aur Allah Taalaa tumharay tamam aemaal ki khabar rakhney wala hai

[272] Enhen hidayat per laa khara kerna teray zimmay nahi bulkay hidayat Allah Taalaa deta hai jissay chahata hai aur tum jo bhali cheez Allah ki raah mein do gay uss ka faeeda khud pao gay. Tumhen sirf Allah ki raza mandi ki talab kay liye hi kharach kerna chahaiye tum jo kuch maal kharach kero gay uss ka poora poora badla umhen diya jaye ga aur tumhara haq na maara jaye ga

[273] Sadqaat kay mustahiq sirf woh ghurba hain jo Allah ki raah mein rok diye gaye hain jo mulk mein chal phir nahi saktay nadan log inn ki bey sawali ki waja say enhen maal daar khayal kertay hain app inn kay chehray dekh ker qayafa say enhen pehchan len gay woh logon say chimat ker sawal nahi kertay tum jo kuch maal kharach kero to Allah Taalaa uss ka janney wala hai

[274] Jo log apney maalon ko raat din chupay khulay kharach kertay hain unn kay liye unn kay rab taalaa kay pass ajar hai aur na unhen khof hai aur na ghumgeeni

[275] Sood khor log na kharay hongay magar ussi tarah jiss tarah woh khara hota hai jissay shetan chu ker khabti bana dey yeh iss liye kay yeh kaha kertay thay kay tijarat bhi to sood hi ki tarah hai halankay Allah Taalaa ney tijarat ko halal kiya aur sood ko haram jo shaks apney pass aaee hui Allah Taalaa ki naseehat sunn ker ruk gaya uss kay liye woh hai jo guzra aur uss ka moamla Allah Taalaa ki taraf hai aur jo phir doobara (haram ki taraf) lota woh jahannumi hai aisay log hamesha hi uss mein rahen gay

[276] Allah Taalaa sood ko mitata aur sadqay ko barhata hai aur Allah Taalaa kissi na shukray aur gunehgar say mohabbat nahi kerta

[277] Be-shak jo log eman kay sath (sunnat kay mutabiq) nek kaam kertay hain namazon ko qaeem kertay aur zakat ada kertay hain unn ka ajar unn kay rab taalaa kay pass hai unn per na to koi khof hai na udasi aur ghum

[278] Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur jo sood baqi reh gaya hai woh chor do agar tum sach much eman walay ho

[279] Aur agar aisa nahi kertay to Allah Taalaa say aur uss kay rasool say larney kay liye tayyar hojao haan agar tauba kerlo to tumhara asal maal tumhara hi hai na tum zulm kero na tum per zulm kiya jaye

[280] Aur agar koi tangi wala ho to ussay aasani tak mohlat deni chahaiye aur sadqa kero to tumharya liye boht hi behtar hai agar tum mein ilm ho

[281] Aur uss din say daro jiss mein tum sab Allah ki taraf lotaye jao gay aur her shaks ko uss kay aemaal ka poora poora badla diya jayega aur unn per zulm nahi kiya jaye ga

[282] Aey eman walon! Jab tum aapas mein tum aik doosray say miyaad-e-muqarrar per qaraz ka moamla kero to issay likh liya kero aur likhney walay ko chahaiye kay tumhara aapas ka moamla adal say likhay kaaib ko chahaiye kay likhney say inkar na keray jaisay Allah Taalaa ney ussay sikhaya hai pus ussay bhi likh dena chahaiye aur jiss kay zimmay haq ho woh likhwaye aur apney Allah say daray jo uss ka rab hai aur haq mein say kuch ghataye nahi haan jiss shkas kay zimmay haq hai woh agar nadan ho ya kamzor ho ya likhwaney ki taqat na rakhta ho to uss ka wali adal kay sath likhwa dey aur apney mein say do mard gawah rakh lo agar do mard na hon to aik mard aur do aurten jinhen tum gawahon mein sy pasand ker lo takay aik ki bhool chook ko doosri yaad dila dey aur gawahon ko chahaiye kay woh jab bulayen jayen to inkar na keren aur qaraz ko jiss ko muddat muqarrar hai khuwa chota ho ya bara ho likhney mein kahili na kero Allah Taalaa key nazdeek yeh baat boht insaf wali hai aur gawahi ko bhi durust rakhney wali aur shak-o-shuba say bhi bachaney wali hai haan yeh aur baat hai kay woh moamla naqad tijarat ki shakal mein ho jo aapas mein tum lain dain ker rahey ho to tum per iss kay na likhney mein koi gunah nahi. Khareed-o-farokht kay waqt bhi gawah muqarrar ker liya kero aur (yaad rakho kay) na to likhney walay ko nuksan phonchaya jaye na gawah ko aur agar tum yeh kero to yeh tumhari khuli na farmani hai Allah Taalaa say daro Allah tumhen taleem dey raha hai aur Allah Taalaa her cheez ko khoob janney wala hai

[283] Aur agar tum safar mein ho aur likhney wala na pao to rehan qabzay mein rakh liya kero haan agar aapas mein aik doosray say mutmaeen ho to jissay amanat di gaee hai woh ussay ada ker dey aur Allah Taalaa say darat rahey jo uss ka rab hai aur gawahi ko na chupao aur jo issay chupa ley woh gunehgar dil wala hai aur jo kuch tum kertay ho ussay Allah Taalaa khoob janta hai

[284] Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa hi ki milkiyat hai. Tumharay dilon mein jo kuch hai ussay tum zahir kero ya chupao Allah Taalaa uss ka hisab tum say ley ga. Phir jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye saza dey aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[285] Rasool eman laya uss cheez pe jo uss per Allah Taalaa ki janib say utri aur momin bhi eman laye yeh sab Allah Taalaa aur uss kay farishton per aur uss ki kitabon per aur uss kay rasoolon per eman laye uss kay rasoolon mein say kissi mein hum tafareeq nahi kertay unhon ney keh diya kay hum ney suna aur itaat ki hum teri bakshish talab kertay hain aey humaray rab! Aur humen teri taraf hi lotna hai

[286] Allah Taalaa kissi jaan ko uss ki taqat say ziyada akleef nahi deta jo neki woh keray woh uss kay liye aur jo buraee woh keray woh uss per hai aey humaray rab! Agar hum bhool gaye hon ya khata ki ho to humen na pakarna aey humaray rab! Hum per woh bojh na daal jo hum say pehlay logon pe dala tha aey humaray rab! Hum per woh bojh na daal jiss ki humen taqat na ho aur hum say dar guzar farma! Aur humen baksh dey aur hum per reham ker! Tu hi humara maalik hai humen kafiron ki qom per ghalba ata farma

آل عمران

Surah 3

[1] Alif Laam meem

[2] Allah Taalaa woh hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab ka nigehban hai

[3] Jiss ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay toraat aur injeel ko utara tha

[4] Iss say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur quran bhi ussi ney utara jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Taalaa ghalib hai badla lenay wala hai

[5] Yaqeenan Allah Taalaa per zamin-o-aasman ki koi cheez posheeda nahi

[6] Woh maa kay pet mein tumhari soorten jiss tarah ki chahta hai banata hai. Uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh ghalib hai hikmat wala hai

[7] Wohi Allah Taalaa hai jiss ney tujh per kitab utari jiss mein wazeh mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai woh to iss ki mutashabeh aayaton kay peechay lag jatay hain fitney ki talab aur inn kay murad ki justujoo kay liye halankay inn ki haqeeqi murad ko siwaye Allah Taalaa kay koi nahi janta aur pukhta aur mazboor ilm walay yehi kehtay hain kay hum to inn per eman laa chukay yeh humaray rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf aqal mand hi hasil kertay hain

[8] Aey humaray rab! Humen hidayat denay kay baad humaray dil tehray na ker dey aur humen apney pass say rehmat ata farma yaqeena tu hi boht bari ata denay wala hai

[9] Aey humaray rab! Tu yaqeenan logon ko aik din jama kerney wala hai jiss kay aaney mein koi shak nahi yaqeenan Allah Taalaa wada khilafi nahi kerta

[10] Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulad Allah Taalaa (kay azab) say churaney mein kuch kaam na aayen gi yeh to jahannum ka endhan hi hain

[11] Jaisa aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay unhon ney humari aayaton ko jhutlaya phir Allah Taalaa ney bhi unhen unn kay gunahon per pakar liya aur Allah Taalaa sakht azab wala hai

[12] Kafiron say keh dijiye! Kay tum un-qarib maghloob kiye jao gay aur jahannum ki taraf jama kiye jao gay aur woh bura thikana hai

[13] Yaqeenan tumharay liye ibrat ki nishani thi unn do jamaton mein jo guth gaee thin aik jamat to Allah Taalaa ki raah mein larr rahi thi aur doosra giroh kafiron ka tha woh unhen apni aankhon say apney say dugna dekhtay thay aur Allah Taalaa jisay chahaye apni madad say qavi kerta hai. Yaqeenan iss mein aankhon walon kay liye bari ibrat hai

[14] Marghoob cheezon ki mohabbat logon kay liye muzayyen ker di gaee hai jaisay aurten aur betay aur soney aur chandi kay jama kiye huye khazaney aur nishandaar ghoray aur chopaye aur kheti yeh duniya ki zidagi ka saman hai aur lotney ka acha thikana to Allah Taalaa hi kay pass hai

[15] Aap keh dijiye! Kiya mein tumhen iss say boht hi behat cheez bataon? Taqwa walon kay liye unn kay rab taalaa kay pass jannaten hain jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur pakeeza biwiyan aur Allah Taalaa ki raza mandi hai sab banday Allah Taalaa ki nigah mein hain

[16] Jo kehtay hain kay aey humaray rab! Hum eman laa chukay iss liey humaray gunah moaf farma aur humen aag kay azab say bacha

[17] Jo sabar kerney walay aur sach bolney walay aur farmanbardari kerney walay aur Allah ki raah mein kharach kerney walay aur pichli raat ko baksish maangney walay hain

[18] Allah Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi

[19] Be-shak Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay wala hai

[20] Phir bhi agar yeh aap say jhagren to aap keh den kay mein aur meray tabey daaron ney Allah Taalaa kay samney apna sir tasleem khum ker diya hai aur ehal-e-kitab say aur un-parh logon say keh dijiye! Kay kiya tum bhi ita’at kertay ho? Pus agar yeh bhi tabye daar bann jayen to yaqeenan hidayat walay hain aur agar yeh roo gardani keren to aap per sirf phoncha dena hai aur Allah bandon ko khoob dekh bhaal raha hai

[21] Jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain aur na haq nabiyon ko qatal ker daaltay hain aur jo log adal-o-insaf ki baat kahen unhen bhi qatal ker daaltay hain to aey nabi! Enhen dard naak azab ki khabar dey dijiye

[22] Inn kay aemaal duniya-o-aakhirat mein ghaarat hain aur inn ka koi madadgar nahi

[23] Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen aik hissa kitab ki diya gaya hai woh apney aapas kay faislon kay liye Allah Taalaa ki kitab ki taraf bulaye jatay hain phir bhi aik jamat inn ki mun pher ker lot jati hai

[24] Iss ki waja inn ka yeh kehna hai kay humen to ginay chuney chand din hi aag jalaye gi inn ki ghari gharaee baaton ney enhen inn kay deen kay baray mein dhokay mein daal rakha hai

[25] Pus kiya haal hoga jabkay hum enhen uss din jama keren gay? Jiss kay aaney mein koi shak nahi aur her shaks apna apna kiya poora poora diya jayega aur inn per koi zulm na kiya jaye ga

[26] Aap keh dijiye aey Allah ! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai

[27] Tu hi raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein ley jata hai tu hi bey jaan say jaandar peda kerta hai aur tu jaandar say bey jaan peda kerta hai tu hi hai kay jissay chahata hai bey shumar rozi deta hai

[28] Mominon ko chahaiye kay eman walon ko chor ker kafiron ko apna dost na banayen aur jo aisa keray ga woh Allah Taalaa ki kissi himayat mein nahi magar yeh kay inn kay sharr say kissi tarah bachao maqsood ho aur Allah Taalaa khus tumhen apni zaat say dara raha hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lot jana hai

[29] Keh dijiye! Kay khuwa tum apney seenon ki baaten chupao khuwa zahir kero Allah Taalaa (bahar haal) janta hai aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab ussay maloom hai aur Allah Taalaa jer cheez per qadir hai

[30] Jiss din her nafss (shaks) apni ki hui nekiyon ko aur apni ki hui buraiyon ko mojood paa ley ga aarzoo keray ga kay kaash! Uss kay aur buraiyon kay darmiyan boht hi doori hoti. Allah Taalaa tumhen apni zaat say dara raha hai aur Allah Taalaa apney bandon per bara hi meharban hai

[31] Keh dijiye! Kay agar tum Allah Taalaa say mohabbat rakhtay ho to meri tabeydari kero khud Allah Taalaa tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai

[32] Keh dijiye! Kay Allah Taalaa aur rasool ki ita’at kero agar yeh mun pher len to be-shak Allah Taalaa kafiron say mohabbat nahi kerta

[33] Be-shak Allah Taalaa ney tamam jahaan kay logon mein say aadam (alh-e-salam) ko aur nooh (alh-e-salam) ko aur ibrahim (alh-e-salam) kay khandan aur imran kay khandanon ko muntakhib farma liya

[34] Kay yeh sab aapas mein aik doosray ki nasal say hain aur Allah Taalaa sunta janta hai

[35] Jab imran ki biwi ney kaha aey meray rab! Meray pet mein jo kuch hai ussay mein ney teray naam azad kerney ki nazar maani tu meri taraf say qabool farma! Yaqeenan tu khoob sunney wala aur poori tarah janney wala hai

[36] Jab bachi hui to kehney lagin kay perwerdigar! Mujhay to larki hui Allah Taalaa ko khoob maloom hai kay kiya aulad hui hai aur larka larki jaisa nahi mein ney uss ka naam marium rakha mein issay aur iss ki aulad ko shetan mardood say teri panah mein deti hun

[37] Pus issay uss kay perwerdigar ney achi tarah qabool farmaya aur ussay behtareen perwerish di. Uss ki khair khabar lenay wala zakariya (alh-e-salam) ko banaya jab kabhi zakariya (alh-e-salam) unn kay hujray mein jatay unn kay pass rozi rakhi hui patay woh poochtay aey marium! Yeh rozi tumharay pass kahan say aaee? Woh jawab detin kay yeh Allah Taalaa kay pass say hai be-shak Allah Taalaa jissay chahaye bey shumar rozi dey

[38] Ussi jagah zakariya (alh-e-salam) ney apney rab say dua ki kaha kay aey meray perwerdigar! Mujhay apney pass say pakeeza aulad ata farma be-shak tu dua ka sunney wala hai

[39] Pus farishton ney unhen aawaz di jabkay woh hujray mein kharay namaz parh rahey thay kay Allah Taalaa tujhay yahya ki yaqeeni khushkhabri deta hai jo Allah Taalaa kay kalmay ki tasdeeq kerney wala sardar zaabit nafss aur nabi hai nek logon mein say

[40] Kehney lagay aey meray rab! Meray haan bacha kaisay hoga? Mein bilkul boorha hogaya hun aur meri biwi baanjh hai farmaya issi tarah Allah jo chahaye kerta hai

[41] Kehney lagay perwerdigar! Meray liye iss ki koi nishani muqarrar ker dey farmaya nishani yeh hai kay teen din tak tu logon say baat na ker sakay ga sirf isharay say samjhaye ga tu apney rab kay zikar kasrat say ker aur subha-o-shaam ussi ki tasbeeh biyan kerta reh

[42] Aur jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa ney tujhay bar gazeedah ker liya aur tujhay pak ker diya aur saray jahaan ki aurton mein say tera intikhab ker liya

[43] Aey marium! Tu apney rab ki ita’at ker aur sajda ker aur rukoo kerney walon kay sath rukoo ker

[44] Yeh ghaib ki ghabron mein say hai jissay hum teri taraf wahee say phonchatay hain tu unn kay pass na tha jabkay woh apney qalam daal rahey thay kay marium ko inn mein say kaun paa ley ga? Aur na tu unn kay jhagray kay waqt unn kay pass tha

[45] Jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa tujhay apney aik kalmay ki khushkhabri deta hai jiss kay naam maseeh essa bin marium hai jo duniya aur aakhirat mein zee izzat hai aur woh meray muqarrabeen mein say hai

[46] Woh logon say apney gehwaray mein baaten keray ga aur adher umar mein bhi aur woh nek logon mein say hoga

[47] Kehney lagin ilahee mujhay larka kaisay hoga? Halankay mujhay to kissi insan ney haath bhi nahi lagaya farishtay ney kaha issi tarah Allah Taalaa jo chahaye peda kerta hai jab kabhi woh kissi kaam ko kerna chahata hai to sirf yeh keh deta hai kay ho ja! To woh ho jata hai

[48] Allah Taalaa ussay likhna aur hikmat aur toraat aur injeel sikhaya ga

[49] Aur woh bani isareel ki taraf rasool hoga kay mein tumharay pass tumharay rab ki nishani laya hun mein tumharay liye parinday ki shakal ki tarah mitti ka parinda banata hun phir uss mein phoonk maarta hun to woh Allah Taalaa kay hukum say parinda bann jata hai aur Allah Taalaa kay hukum say mein maadar zaad andhay ko aur korhi ko acha ker deta hun aur murdon ko zinda kerta hun aur jo kuch tum khao aur jo apney gharon mein zakheera kero mein tumhen bata deta hun iss mein tumharay liye bari nishani hai agar tum eman laney walay ho

[50] Aur mein toraat ki tasdeeq kerney wala hun jo meray samney hai aur mein iss liye aaya hun kay tum per baaz woh cheezen halal keroon jo tum per haram ker di gaeen hain aur mein tumharay pass tumharay rab ki nishani laya hun iss liye tum Allah Taalaa say daro aur meri farmanbardari kero

[51] Yaqeen maano! Mera aur tumhara rab Allah hi hai tum sab ussi ki ibadat kero yehi seedhi raah hai

[52] Maga jab hazrat essa (alh-e-salam) ney unn ka kufur mehsoos ker liya to kehney lagay Allah Taalaa ki raah mein meri madad kerney wala kaun kaun hai? Hawariyon ney jawab diya kay hum Allah Taalaa ki raah kay madadgar hain hum Allah Taalaa per eman laye aur aap gawah rahiye kay hum tabeydaar hain

[53] Aey humaray paalney walay mabood! Hum teri utari hui wahee per eman laye aur hum ney teray rasool ki ittaba ki pus tu humen gawahon mein likh ley

[54] Aur kafiron ney makar kiya aur Allah Taalaa ney bhi (makar) khufiya tadbeer ki aur Allah Taalaa sab khufiya tadbeer kerney walon say behtar hai

[55] Jab Allah Taalaa ney farmaya kay aey essa! Mein tujhay poora lenay wala hun aur tujhay apni janib uthaney wala hun aur tujhay kafiron say pak kerney wala hun aur teray tabeydaron ko kafiron kay upper ghalib kerney wala hun qayamat kay din tak phir tum sab ka lotna meri hi taraf hai mein hi tumharay aapas kay tamam tar ikhtilafaat ka faisla keroon ga

[56] Phir kafiron ko to mein duniya aur aakhirat mein sakhta tar azab doon ga aur unn ka koi madadgar na hoga

[57] Lekin eman walon aur nek aemaal logon ko Allah Taalaa unn ka sawab poora poora dey ga aur Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta

[58] Yeh jisay hum teray samney parh rahey hain aayaten hain aur hikmar wali naseehat hain

[59] Allah Taalaa kay nazdeek essa (alh-e-salam) ki misal hoo ba hoo aadam (alh-e-salam) ki misal hai jissay mitti say bana ker keh diya kay ho ja! Pus woh hogaya

[60] Teray rab ki taraf say haq yehi hai khabardar shak kerney walon mein say na hona

[61] Iss liye jo shaks aap kay pass iss ilm kay aajaney kay baad bhi aap say iss mein jhagray to aap keh den kay aao hum tum apney apney farzandon ko aur hum tum apni apni aurton ko aur hum tum khas apni apni janon ko bula len phir hum aajzi kay sath iltija keren aur jhooton per Allah ki laanat keren

[62] Yaqeenan sirf yehi sacha biyan hai aur koi mabood bar haq nahi ba-juz Allah Taalaa kay aur be-shak ghalib aur hikmat wala Allah Taalaa hi hai

[63] Phir bhi agar qabool na keren to Allah Taalaa bhi sahih tor per fasadiyon ko janney wala hai

[64] Aap keh dijiye kay aey ehal-e-kitab! Aisi insaf wali baat ki taraf aao jo hum mein tum mein barabar hai kay hum Allah Taalaa kay siwa kissi ki ibadat na keren na uss kay sath kissi ko shareek banayen na Allah Taalaa ko chor ker aapas mein aik doosray ko hi rab banayen. Pus agar woh mun pher len to tum keh do kay gawah raho hum to musalman hain

[65] Aey ehal-e-kitab! Tum ibrahim ki babat kiyon jhagartay ho halankay toraat-o-injeel to unn kay baad nazil ki gaeen kiya tum phir bhi nahi samjhtay

[66] Suno! Tum uss mein jhagar chukay jiss ka tumhen ilm tha phir abb iss baat mein kiyon jhagartay ho jiss ka tumhen ilm hi nahi? Aur Allah Taalaa janta hai aur tum nahi jantay

[67] Ibrahim to na yahudi thay na nasrani thay bulkay woh to yak tarfa (khalis) musalman thay woh mushrik bhi na thay

[68] Sab logon say ziyada ibrahim say nazdeek tar woh log hain jinhon ney unn ka kaha maana aur yeh nabi aur jo log eman laye mominon ka wali aur shahara Allah hi hai

[69] Ehal-e-kitab ki aik jamat chahati hai kay tumhen gumrah ker den dar-asal woh khud apney aap ko gumrah ker rahey hain aur samajhtay nahi

[70] Aey ehal-e-kitab tum (ba wajood qaeel honey kay phir bhi) daanista Allah ki aayaat ka kiyon kufur ker rahey ho

[71] Aey ehal-e-kitab! Ba wajood janney kay haq-o-baatil ko kiyon khalat malat ker rahey ho aur kiyon haq ko chupa rahey ho

[72] Aur ehal-e-kitab ki aik jamat ney kaha kay jo kuch eman walon per utara gaya hai uss per din charhay to eman lao aur shaam kay waqt kafir bann jao takay yeh log bhi palat jayen

[73] Aur siwaye tumharay deen per chalney walon kay aur kissi ka yaqeen na kero. Aap keh dijiye kay be-shak hidayat to Allah hi ki hidayat hai (aur yeh bhi kehtay hain kay iss baat ka bhi yaqeen na kero) kay koi uss jaisa diya jaye jaisa tum diye gaye ho ya yeh kay yeh tum say tumharay rab kay pass jhagra keren gay aap keh dijiye kay fazal to Allah Taalaa hi kay haath mein hai woh jissay chahaye ussay dey Allah Taalaa wusat wala aur janney wala hai

[74] Woh apni rehmat kay sath jissay chahaye makhsoos ker ley aur Allah Taalaa baray fazal wala hai

[75] Baaz ehal-e-kitab to aisay hain kay agar tu enhen khazaney ka amin bana dey to bhi woh tujhay wapis ker den aur inn mein say baaz aisay bhi hain kay agar tu enhen aik dinar bhi amanat dey to tujhay ada na keren. Haan yeh aur baat hai kay tu uss kay sir per hi khara rahey yeh iss liye kay enhon ney keh rakha hai kay hum per inn jahilon (ghair yahudiyon) kay haq ka koi gunah nahi yeh log ba wajood janney kay Allah Taalaa per jhoot kehtay hain

[76] Kiyon nahi (moakhiza hoga) albatta jo shaks apna qarar poora keray aur perhezgari keray to Allah Taalaa bhi aisay perhezgaron say mohabbat kerta hai

[77] Be-shak jo log Allah Taalaa kay ehad aur apni qasmon ko thori qeemat mein baich daaltay hain unn kay liye aakhirat mein koi hissa nahi Allah Taalaa na to unn say baat cheet keray ga na unn ki taraf qayamat kay din dekhay ga na unhen pak keray ga aur unn kay liye dard naak azab hai

[78] Yaqeenan inn mein aisa giroh bhi hai jo kitab parhtay huye apni zaban marorta hai takay tum ussay kitab hi ki ibarat khayal kero halankay kay dar-asal woh kitab mein say nahi aur yeh kehtay bhi hain kay woh Allah Taalaa ki taraf say hai halankay woh dar-asal Allah Taalaa ki taraf say nahi woh to daanista Allah Taalaa ki taraf jhoot boltay hain

[79] Kissi aisay insan ko jissay Allah Taalaa kitab-o-hikmat aur nabooat dey yeh laeeq nahi kay phir bhi woh logon say kahey kay tum Allah Taalaa ko chor ker meray banday bann jao bulkay woh to kahey ga kay tum sab rab kay ho jao tumharay kitab sikhaney kay baees aur tumharay kitab parhney kay sabab

[80] Aur yeh nahi (hosakta) kay woh tumhen fariston aur nabiyon ko rab bana lenay ka hukum keray kiya woh tumharay musalman honey kay baad bhi tumhen kufur ka hukum dey ga

[81] Jab Allah Taalaa ney nabiyon say ehad liya kay jo kuch mein tumhen kitab-o-hikmat doon phir tumharay pass woh rasool aaye jo tumharay pass ki cheez ko sach bataye to tumharay liye uss per eman lana aur uss ki madad kerna zaroori hai. Farmaya kay tum iss kay iqrari ho aur iss per mera zimma ley rahey ho? Sab ney kaha humen iqrar hai farmaya to abb gawah raho aur khud mein bhi tumharay sath gawahon mein hun

[82] Pus iss kay baad jo palat jayen woh yaqeenan pooray na farman hain

[83] Kiya woh Allah Taalaa kay deen kay siwa aur deen ki talash mein hain? Halankay tamam aasmanon walay aur sab zamin walay Allah Taalaa hi kay farmanbardar hain khushi say hon ya na khushi say sab ussi ki taraf lotaye jayen gay

[84] Aap keh dijiye kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch hum per utara gaya hai aur jo kuch ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) aur yaqoob (alh-e-salam) aur unn ki aulad per utara gaya aur jo kuch musa (alh-e-salam) aur essa (alh-e-salam) aur doosray anbiya Allah Taalaa ki taraf say diya gaye unn sab per eman laye hum inn mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay aur hum Allah Taalaa kay farmanbardar hain

[85] Jo shaks islam kay siwa aur deen talash keray uss ka deen qabool na kiya jayega aur woh aakhirat mein nuksan paney walon mein hoga

[86] Allah Taalaa unn logon ko kaisay hidayat dey ga jo apney eman laney aur rasool ko haqqaniyat ki gawahi denay aur apney pass roshan daleel aajaney kay baad kafir hojayen Allah Taalaa aisay bey insaf logon ko raah-e-raast per nahi laata

[87] Inn ki to yehi saza hai kay inn per Allah Taalaa ki aur farishton ki aur tamam logon ki laanat ho

[88] Jiss mein yeh hamesha paray rahen gay na to inn say azab halka kiya jayega na enhen mohlat di jaye gi

[89] Magar jo log iss kay baad tauba aur islaah ker len to be-shak Allah Taalaa bakshney wala meharban hai

[90] Be-shak jo log apney eman laney kay baad kufur keren phir kufur mein barh jayen unn ki tauba hergiz hergiz qabool na ki jaye gi yehi gumrah log hain

[91] Haan jo log kufur keren aur martay dum tak kafir rahen unn mein agar koi zamin bhar sona go fidiye mein hi ho to bhi hergiz qabool na kiya jayega yehi log hain jin kay liye takleef denay wala azab hai aur jin ka koi madadgar nahi

[92] Jab tak tum apni pasandeedah cheez say Allah Taalaa ki raah mein kharach na kero gay hergiz bhalaee na pao gay aur tum jo kharach kero ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai

[93] Toraat kay nuzool say pehlay (hazrat) yaqoob (alh-e-salam) ney jiss cheez ko apney upper haram ker liya tha uss kay siwa tamam khaney bani israeel per halal thay aap keh dijiye kay agar tum sachay ho to toraat ley aao aur parh sunao

[94] Iss kay baad bhi jo log Allah Taalaa per jhoot bohtan bandhen wohi zalim hain

[95] Keh dijiye kay Allah Taalaa sacha hai tum sab ibrahim hanif kay millat ki pairwi kero jo mushrik na thay

[96] Allah Taalaa ka pehla ghar jo logon kay liye muqarrar kiya gaya woh hai jo makkah (sharif) mein hai jo tamam duniya kay liye barkat-o-hidayat wala hai

[97] Jiss mein khuli khuli nishaniyan hain muqam-e-ibrahim hai iss mein jo aajaye aman wala hojata hai Allah Taalaa ney unn logon per jo uss ki taraf raah paa saktay hon uss ghar ka hajj farz ker diya hai. Aur jo koi kufur keray to Allah Taalaa (uss sau bulkay) tamam duniya say bey perwah hai

[98] Aap keh dijiye kay ehal-e-kitab tum Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kiyon kertay ho? Jo kuch tum kertay ho Allah Taalaa uss per gawah hai

[99] Inn ehal-e-kitab say kaho kay tum Allah Taalaa ki raah say logon ko kiyon roktay ho? Aur iss mein aib tatoltay ho halankay tum khud shahid ho Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi

[100] Aey eman walo! Agar tum ehal-e-kitab ki kissi jamat ki baaten maano gay to woh tumhen tumharay eman laney kay baad murtid kafir bana den gay

[101] (go yeh zahir hai kay) tum kaisay kufur ker saktay ho? Bawajood yeh kay tum per Allah Taalaa ki aayaten parhi jati hain aur tum mein rasool (PBUH) mojood hain. Jo shaks Allah Taalaa (kay deen) ko mazboot thaam ley to bila shuba ussay raah-e-raast dikha di gaee

[102] Aey eman walo! Allah Taalaa say daro jitna uss say darna chahaiye aur dekho martay dum tak musalman hi rehna

[103] Allah Taalaa ki rassi ko mill ker sab mazbooti say thaam lo aur phoot na dalo aur Allah Taalaa ki uss waqt ki nemta ko yaad kero jab tum aik doosray kay dushman thay to uss ney tumharay dilon mein ulfat daal di pus tum uss ki meharbani say bhai bhai hogaye aur tum aag kay garhay kay kinaray phonch chukay thay to uss ney tumhen bacha liya. Allah Taalaa issi tarah tumharay liye apni nishaniyan biyan kerta hai takay tum hidayat pao

[104] Tum mein say aik jamat aisi honi chahaiye jo bhalaee ki taraf bulaye aur nek kaamon ka hukum keray aur burray kaamon say rokay aur yehil log falah aur nijat paney walay hain

[105] Tum unn logon ki tarah na hojana jinhon ney apney pass roshan daleelen aajaney kay baad bhi tafarrqa daala aur ikhtilaf kiya enhin logon kay liye bara azab hai

[106] Jiss din baaz chehray safaid hongay aur baaz siyah, siyah chehray walon (say kaha jayega) kay kiya tum ney eman laney kay baad kufur kiya? Abb apney kufur ka azab chakho

[107] Aur safaid chehray walay Allah Taalaa ki rehmat mein dakhil hongay aur iss mein hamesha rahen gay

[108] Aey nabi! Hum inn haqqani aayaton ki tilawat aap per ker rahey hain aur Allah Taalaa ka irada logon per zulm kerney ka nahi

[109] Allah Taalaa hi kay liye hai jo kuch aasmanon aur zamin mein hai aur Allah Taalaa hi ki taraf tamam kaam lotaye jatay hain

[110] Tum behtareen ummat ho jo logon kay liye peda ki gaee ho kay tum nek baaton ka hukum kertay ho aur buri baaton say roktay ho aur Allah Taalaa per eman rakhtay ho agar ehal-e-kitab bhi eman latay to unn kay liye behtar hota unn mein eman walay bhi hain lekin aksar to fasiq hain

[111] Yeh tumhen sataney kay siwa aur ziyada kuch zarar nahi phoncha saktay agar laraee kay moqa aajaye to peeth mor len gay phir madad na kiye jayen gay

[112] Inn per her jagah zillat ki maar pari illa yeh kay Allah Taalaa ki ya logon ki panah mein hon yeh ghazab-e-elahee kay mustahiq hogaye aur inn per faqeeri daal di gaee yeh iss liye kay yeh log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay thay aur bey waja anbiya ko qatal kiya kertay thay yeh badla hai inn ki na farmaniyon aur ziyadtiyon ka

[113] Yeh saray kay saray yaksan nahi bulkay inn ehal-e-kitab mein aik jamat (haq per) qaeem rehney wali bhi hai jo raaton kay waqt bhi kalam ullah ki tilawat kertay hain aur sajday bhi kertay hain

[114] Yeh Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman bhi rakhtay hain bhalaiyon ka hukum kertay hain aur buraiyon say roktay hain aur bhalaee kay kaamon mein jaldi kertay hain. Yeh nek bakht logon mein say hain

[115] Yeh jo kuch bhi bhalaiyan keren unn ki na qadri na ki jaye gi aur Allah Taalaa perhezgaron ko khoob janta hai

[116] Kafiron ko unn kay maal aur unn ki aulad Allah kay haan kuch kaam na aayen gi yeh to jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay

[117] Yeh kuffaar jo kharach ikhraajaat keren uss ki misal yeh hai kay aik tund hawa chali jiss mein pala tha jo zalimon ki kheti per para aur ussay tehus nehus ker diya. Allah Taalaa ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay thay

[118] Aey eman walo! Tum apna dili dost eman walon kay siwa kissi ko na banao. (tum to) nahi dekhtay doosray log tumhari tabahi mein koi kasar utha nahi rakhtay woh to chahtay hain kay tum dukh mein paro inn ki adawat to khud inn ki zaban say zahir ho chuki hai aur jo inn kay seenon mein posheeda hai woh boht ziyada hai hum ney tumharay liye aayaten biyan ker den

[119] Agar aqal mand ho (to ghor kero) haan tum to enhen chahtay ho aur woh tum say mohabbat nahi rakhtay tum poori kitab ki mantay ho (woh nahi mantay phir mohabbat kaisi?) yeh tumharay samney to apney eman ka iqrar kertay hain lekin tanahi mein maaray gussay kay ungliyan chabatay hain kehdo kay apney gussay hi mein marr jao Allah Taalaa dilon kay raazon ko bakhoobi janta hai

[120] Tumhen agar bhalaee milay to yeh na khush hotay hain haan! Agar buraee phonchay to khush hotay hain tum agar sabar kero aur perhezgari kero to inn ka makar tumhen kuch nuksan na dey ga. Allah Taalaa ney inn kay aemaal ka ehata ker rakha hai

[121] Aey nabi! Uss waqt ko bhi yaad kero jab subha hi subha aap apney ghar say nikal ker musalmanon ko maidan-e-jang mein laraee kay morchon mein bitha rahey thay Allah Taalaa sunney janney wala hai

[122] Jab tumhari do jamaten pust himmati ka irada ker chuki thin Allah Taalaa unn ka wali aur madadgar hai. Aur ussi ki pak zaat per mominon ko bharosa rakhna chahaiye

[123] Jang-e-badar mein Allah Taalaa ney ain uss waqt tumhari madad farmaee thi jabkay tum nihayat giri hui halat mein thay iss liye Allah hi say daro!(na kiss aur say) takay tumhen shukar guzari ki tofiq ho

[124] (aur yeh shukar guzari baees-e-nusrat-o-imdad ho) jab aap momino ko tasalli dey rahey thay kiya aasman say teen hazar farishtay utaar ker Allah Taalaa ka tumhari madad kerna tumhen kafi na hoga

[125] Kiyon nahi bulkay agar tum sabar-o-perhezgari kero aur yeh log ussi dum tumharay pass aajayen to tumhara rab tumhari imdad paanch hazar farishton say keray ga jo nishandaar hongay

[126] Aur yeh to mehaz tumharay dil ki khuwaish aur itminan-e-qalb kay liye hai werna madad to Allah hi ki taraf say hai jo ghalib aur hikmaton wala hai

[127] (iss imdad-e-elahee ka maqsad yeh tha kay Allah ) kafiron ki aik jamat ko kaat dey ya unhen zaleel ker dalay aur (saray kay saray) nu murad ho ker wapis chalay jayen

[128] Aey payghumbar! Aap kay ikhtiyar mein kuch nahi Allah Taalaa chahaye to unn ki tauba qabool keray ya azab dey kiyon kay woh zalim hain

[129] Aasmanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai woh jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye azab keray Allah Taalaa bakshish kerney wala meharban hai

[130] Aey eman walo! Barha charha ker sood na khao aur Allah Taalaa say daro takay tumhen nijat milay

[131] Aur uss aag say daro jo kafiron kay liye tayyar ki gaee hai

[132] Aur Allah aur uss kay rasool ki farmanbardari kero takay tum per raham kiya jaye

[133] Aur apney rab ki bakshish ki taraf aur uss jannat ki taraf doro jiss ka araz aasamanon aur zamin kay barabar hai jo perhezgaron kay liye tayyar ki gaee hai

[134] Jo log aasani mein aur sakhti kay moqay per bhi Allah kay rastay mein kharach kertay hain gussa peenay walay aur logon say dar guzar kerney walay hain Allah Taalaa unn neko kaaron say mohabbat kerta hai

[135] Jab unn say koi na shaista kaam hojaye ya koi gunah ker bethen to foran Allah ka zikar aur apney gunahon kay liye istaghfaar kertay hain fil waqey Allah Taalaa kay siwa aur kaun gunahon ko baksh sakta hai? Aur woh log ba wajood ilm kay kissi buray kaam per arr nahi jatay

[136] Enhin kay badla unn kay rab ki taraf say maghfirat hai aur jannaten hain jin kay neechay nehren behti hain jin mein woh hamesha rahen gay inn nek kaamon kay kerney walon ka sawab kiya hi acha hai

[137] Tum say pehlay bhi aisay waqiyaat guzar chukay hain so zamin mein chal phir ker dekh lo kay (aasmani taleem kay) jhutlaney walon ka kiya anjam hua

[138] Aam logon kay liye to yeh (quran) biyan hai aur perhezgari kay liye hidayat-o-naseehat hai

[139] Tum na susti kero aur na ghumgeen ho tum hi ghalib raho gay agar tum eman daar ho

[140] Agar tum zakhmi huye ho to tumharay mukhalif log bhi to aisay hi zakhmi ho chukay hain hum inn dino ko logon kay darmiyan adaltay badaltay rehtay hain. (shikast-e-ohod) iss liye thi kay Allah Taalaa eman walon ko zahir ker dey aur tum mein say baaz ko shahdat ka darja ata farmaye Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta

[141] (yeh waja bhi thi) kay Allah Taalaa eman walon ko bilkul alag kerdey aur kafiron ko mita dey

[142] Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum jannat mein chalay jao gay halankay abb tak Allah Taalaa ney yeh zahir nahi kiya kay tum mein say jihad kerney walay kaun hain aur sabar kerney walay kaun hain

[143] Jang say pehlay to tum shahdat ki aarzoo mein thay abb issay apni aankhon say apney samney dekh liya

[144] (hazrat) Muhammad (PBUH) sirf rasool hi hain inn say pehlay boht say rasool ho chukay hain kiya agar inn ka intiqal hojaye ya yeh shaheed hojayen to tum islam say apni aeyrhiyon kay ball phir jaogay? Aur jo koi phir jaye apni aeyrhiyon per to hergiz Allah Taalaa ka kuch na bigaray ga un-qarib Allah Taalaa shukar guzaron ko nek badla dey ga

[145] Baghair Allah Taalaa kay hukum kay koi jaandaar nahi marr sakta muqarrar shuda waqt likha hua hai duniya ki chahat walon ko hum kuch duniya dey detay hain aur aakhirat ka sawab chahaney walon ko hum woh bhi den gay. Aue ehsan manney walon ko hum boht jald nek badla den gay

[146] Boht say nabiyon kay hum rakaab ho ker boht say Allah walay jihad ker chukay hain unhen bhi Allah ki raah mein takleefen phonchi lekin na to unhon ney himmat haari na sust rahey aur na dabay aur Allah sabar kerney walon ko (hi) chahata hai

[147] Woh yehi kehtay rahey kay aey perwerdigar! Humaray gunahon ko baksh dey aur hum say humaray kaamon mein jo bey jaa ziyadti hui hai ussay bhi moaf farma aur humen sabit qadmi ata farma aur humen kafiron ki qom per madad dey

[148] Allah Taalaa ney unehn duniya ka sawab bhi diya aur aakhirat kay sawab ki khoobi bhi ata farmaee aur Allah Taalaa nek logon say mohabbat kerta hai

[149] Aey eman walo! Agar tum kafiron ki baaten maano gay to woh tumhen tumhari aeyrhiyon kay ball palta den gay (yani tumhen murtid bana den gay) phir tum na murad ho jao gay

[150] Bulkay Allah hi tumhara mola hai aur woh behtareen madadgar hai

[151] Hum un-qarib kafiron kay dilon mein rob daal den gay iss waja say kay yeh Allah kay sath unn cheezon ko sharik kertay hain jiss ki koi daleel Allah ney nahi utaari inn ka thikana jahannum hai aur inn zalimon ki buri jagah hai

[152] Allah Taalaa ney tum say apna wada sacha ker dikhaya jabkay tum uss kay hukum say enhen kaat rahey thay. Yahan tak kay jab tum ney pust himmati ikhtiyar ki aur kaam mein jhagarney lagay aur na farmani ki uss kay baad uss ney tumhari chahat ki cheez tumhen dikha di tum mein say baaz duniya chahatay thay aur baaz ka irada aakhirat ka tha to phir uss ney tumhen unn say pher diya kay tum ko aazmaye aur yaqeenan uss ney tumhari laghzish say dar guzar farma diya aue eman walon per Allah baray fazal wala hai

[153] Jabkay tum charhay chalay jarahey thay aur kissi ki taraf tawajja tak nahi kertay thay aur Allah kay rasool tumhen tumharay peechay say aawazen dey rahey thay bus tumhen ghum per ghum phoncha takay tum fot shuda cheez per ghumgeen na ho aur na phonchney wali (takleef) per udas ho Allah Taalaa tumharay tamam aemaal say khabardaar hai

[154] Phir uss ney iss ghum kay baad tum per aman nazil farmaya aur tum mein say aik jamat ko aman ki neend aaney lagi. Haan kuch woh log bhi thay kay unhen apni janon ki pari hui thi woh Allah Taalaa kay sath na haq jahalat bhari bad gumani ker rahey thay aur kehtay thay kiya humen bhi kissi cheez ka ikhtiyar hai? Aap keh dijiye kay kaam kul ka kul Allah hi kay ikhtiyar mein hai yeh log apney dilon kay bhed aap ko nahi batatay kehtay hain kay agar humen kuch bhi ikhtiyar hota to yahan qatal na kiye jatay. Aap keh dijiye kay go tum apney gharon mein hotay phir bhi jin ki qismat mein qatal hona tha woh to maqtal ki taraf chal kharay hotay Allah Taalaa ko tumharay seenon ki andar ki cheez ka aazmana aur jo kuch tumharay dilon mein hai uss ko pak kerna tha aur Allah Taalaa seenon kay bhed say aagah hai

[155] Tum mein say jin logon ney uss din peeth dikhaee jiss din dono jamaton ki mudd bher hui thi yeh log apney baaz kartooton kay baees shetan kay phuslaney mein aagaye lakin yaqeen jano kay Allah Taalaa ney unhen moaf ker diya Allah Taalaa hai bakshney wala aur tahammul wala

[156] Aey eman walo! Tum unn logon ki tarah na ho jana jinhon ney kufur kiya aur apney bhaiyon kay haq mein jabkay woh safar mein hon ya jihad mein hon kaha kay agar yeh humaray pass hotay to na martay aur na maaray jatay iss ki waja yeh thi kay iss khayal ko Allah Taalaa unn ki dili hasrat ka sabab bana dey Allah Taalaa jilata aur maarta hai aur Allah tumharay amal ko dekh raha hai

[157] Qasam hai agar Allah Taalaa ki raah mein shaheed kiye jao ya apni maut maro to be-shak Allah Taalaa ki bakshish-o-rehmat uss say behtar hai jisay yeh jama ker rahey hain

[158] Bil yaqeen tum marr jao ya maar dalay jao jama to Allah Taalaa hi ki taraf kiye jao gay

[159] Allah Taalaa ki rehmat kay baees aap inn per naram dil hain aur agar aap bad zaban aur sakht dil hotay to yeh sab aap kay pass say chatt jatay so aap inn say dar guzar keren aur inn kay liye istaghfaar keren aur kaam ka mashwara inn say kiya keren phir jab aap ka pukhta irada hojaye to Allah Taalaa per bharosa keren be-shak Allah Taalaa tawakkal kerney walon say mohabbat kerta hai

[160] Agar Allah Taalaa tumhari madad keray to tum per koi ghalib nahi aa sakta aur agar woh tumhen chor dey to uss kay baad kaun hai jo tumhari madad keray? Emal walon ko Allah Taalaa per hi bharosa rakhan chahaiye

[161] Na mumkin hai kay nabi say khayanat hojaye her khayanat kerney wala khayanat ko liye huye qayamat kay din hazir hoga phir her shaks apney aemaal ka poora poora badla diya jayega aur woh zulm na kiye jayen gay

[162] Kiya pus woh shaks jo Allah Taalaa ki khushnoodi kay dar pay hain uss shaks jaisa hai jo Allah Taalaa ki narazgi ley ker lot’ta hai? Aur jiss ki jagah jahannum hai jo bad tareen jagah hai

[163] Allah Taalaa kay pass inn kay alag alag darjay hain aur inn kay tamam aemaal ko Allah bakhoobi dekh raha hai

[164] Be-shak musalmanon per Allah Taalaa ka bara ehsan hai kay inn hi mein say aik rasool inn mein bheja jo enhen uss ki aayaten parh ker sunata hai aur enhen pak kerta hai aur enhen kitab aur hikmat sikhata hai yaqeenan yeh sab iss say pehlay khuli gumrahi mein thay

[165] (kiya baat hai kay) kay jab tumhen aik aisi takleef phonchi kay tum iss jaisi do chand phonch chukay to yeh kehney lagay kay yeh kahan say aagaee? Aap keh dijiye kay yeh khud tumhari taraf say hai be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[166] Aur tumhen jo kuch uss din phoncha jiss din do jamaton mein mudd bher hui thi woh sab Allah kay hukum say tha aur iss liye kay Allah Taalaa eman walon ko zahiri tor per jaan ley

[167] Aur munafiqon bhi maloom kerley jin say kaha gaya kay aao Allah ki raah mein jihad kero ya kafiron ko hatao to woh kehney lagay kay agar hum laraee jantay hotay to zaroor sath detay woh uss din ba nisbat eman kay kufur say boht qarib thay apney mun say woh baaten banatay hain jo inn kay dilon mein nahi aur Allah Taalaa khoob janta hai jisay woh chupatay hain

[168] Yeh woh log hai jo khud bhi behtay rahey aur apney bhaiyon ki babat kaha kay agar woh bhi humari baat maan letay to qatal na kiye jatay. Keh dijiye! kay agar tum sachay ho to apni janon say maut ko hata do

[169] Jo log Allah ki raah mein shaheed kiye gaye hain unn ko hergiz murda na samjhen bulkay woh zinda hain apney rab kay pass say roziyan diye jatay hain

[170] Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai uss say boht khush hain aur khushiyan mana rahey hain unn logon ki babat jo abb tak unn say nahi milay unn kay peechay hain iss per kay unhen na koi khof hai aur na woh ghumgeen hongay

[171] Woh khush hotay hain Allah ki nemat aur fazal say aur iss say bhi kay Allah Taalaa eman walon kay ajar ko barbad nahi kerta

[172] Jin logon ney Allah aur uss kay rasool kay hukum ko qabool kiya iss kay baad kay unhen pooray zakham lag chukay thay inn mein say jinhon ney neki ki aur perezgari barti unn kay liye boht ziyada ajar hai

[173] Woh log kay jab inn say logon ney kaha kay kafiron ney tumharay muqabley mein lashkar jama ker liye hain tum unn say khof khao to iss baat ney unhen eman mein aur barha diya aur kehne lagay humen Allah kafi hai aur woh boht acha kaar saaz hai

[174] (nateeja yeh hua kay) Allah ki nemat-o-fazal kay sath yeh lotay enhen koi buraee na phonchi enhon ney Allah Taalaa ki raza mandi ki pairwi ki Allah boht baray fazal wala hai

[175] Yeh khabar denay wala sird shetan hi hai jo apney doston say darata hai tum inn kafiron say na daro aur mera khof rakho agar tum momin ho

[176] Kufur mein aagay barhney walay log tumhen ghum naak naa keren yaqeen maano kay yeh Allah Taalaa ka kuch na bigar saken gay Allah Taalaa ka irada hai kay inn ka liye aakhirat ka koi hissa ata na keray aur inn kay liye bara azab hai

[177] Kufur ko eman kay badlay khareedney walay hergiz hergiz Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay aur inn hi kay liye alam naak azab hai

[178] Kafir log humari di hui mohlat ko apney haq mein behtar na samjhen yeh mohlat to iss liye hai kay woh gunahon mein aur barh jayen inn hi kay liye zaleel kerney wala azab hai

[179] Jiss haal per tum ho ussi per Allah eman walon ko na chor dey ga jab tak kay pak aur na pak ko alag alag na ker dey aur na Allah Taalaa aisa hai kay tumhen ghaib say aagah ker dey bulkay Allah Taalaa apney rasoolon mein say jiss ka chahaye intikhab ker leta hai iss liye tum Allah Taalaa per aur uss kay rasoolon per eman rakho agar tum eman lao aur taqwa kero to tumharay liye bhari ajar hai

[180] Jinhen Allah Taalaa ney apney fazal say kuch dey rakha hai woh iss mein apni kanjoosi ko apney liye behtar khayal na keren bulkay woh inn kay liye nihayat bad tar hai un-qarib qayamat walay din yeh apni kanjoosi ki cheez kay toq daalay jayen gay aasmanon aur zamin ki meeras Allah Taalaa hi kay liye aur jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa aagah hai

[181] Yaqeenan Allah Taalaa ney unn logon ka qol bhi suna jinhon ney kaha kay Allah Taalaa faqir hai aur hum to toongar hain unn kay iss qol ko hum likh len gay. Aur inn ka anbiya ko bila waja qatal kerna bhi aur hum inn say kahen gay kay jalney wala azab chakho

[182] Yeh tumharay paish kerda aemaal ka badla hai aur Allah Taalaa apney bandon per zulm kerney wala nahi

[183] Yeh woh log hai jonhon ney kaha kay Allah Taalaa ney humen hukum diya hai kay kissi rasool ko na manen jab tak woh humaray pass aisi qurbani na laye jissay aag kha jaye. Aap keh dijiye kay agar um sachay ho to mujh say pehlay tumharay pass jo rasool deegar moajzon kay sath yeh bhi laye jissay tum keh rahey ho to phir tum ney unhen kiyon maar dala

[184] Phir bhi agar yeh log aap ko jhutlayen to aap say pehlay bhi boht say woh rasool jhutlaye gaye hain jo roshan daleelen aur munawar kitab ley ker aaye

[185] Her jaan maut ka maza chakhney wali hai aur qayamat kay din tum apney badlay pooray pooray diye jao gay pus jo shaks aag say hata diya jaye aur jannat mein dakhil ker diya jaye be-shak woh kaamyaab hogaya aur duniya ki zindagi to sirf dhokay ki jinss hai

[186] Yaqeenan tumharay maalon aur tumhari jaanon say tumhari aazmaish ki jaye gi aur yeh bhi yaqeen hai kay tumhen unn logon ki jo tum say pehlay kitab diye gaye aur mushrikon ki boht si dukh denay wali baaten bhi sunni paren gi aur agar tum sabar kerlo aur perhezgari ikhtiyar kero to yaqeenan yeh boht bari himmat ka kaam hai

[187] Aur Allah Taalaa ney jab ehal-e-kitab say ehad liya kay tum issay sab logon say zaroor biyan kero gay aur issay chupao gay nahi to phir bhi inn logon ney iss ehad ko apni peeth peechay daal diya aur issay boht kum qeemat per baich daala. Inn kay yeh beopaar boht bura hai

[188] Woh log jo apney kartooton per khush hain aur chahatay hain kay jo unhon ney nahi kiya uss per bhi unn ki tareef ki jayen aap unhen azab say chutkaray mein na samjhiye inn kay liye to dard naak azab hai

[189] Aasmanon aur zamin ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[190] Aasmanon aur zamin ki pedaish mein aur raat din kay hair pher mein yaqeenan aqal mandon kay liye nishaniyan hain

[191] Jo Allah Taalaa ka zikar kharay aur bethay aur apni kerwaton per letay huye kertay hain aur aasmanon-o-zamin ki pedaish mein ghor-o-fiker kertay hain aur kehtay hain aey humaray perwerdigar! Tu ney yeh bey faeeda nahi banaya tu pak hai pus humen aag kay azab say bacha ley

[192] Aey humaray palney walay! Tu jissay jahannum mein dalay yaqeenan tu ney ussay ruswa kiya aur zalimon ka madadgar koi nahi

[193] Aey humaray rab! Hum ney suna kay munadi kerney wala ba-aawaz buland eman ki taraf bula raha hai kay logo! Apney rab per eman lao pus hum eman laye. Ya elahee! Abb to humaray gunah moaf farma aur humari buraiyan hum say door ker dey aur humari maut nekon kay sath ker

[194] Aey humaray palney walay mabood! Humen woh dey jiss ka wada tu ney hum say apney rasoolon ki zabani kiya hai aur humen qayamat kay din ruswa na ker yaqeenan tu wada khilafi nahi kerta

[195] Pus unn kay rab ney unn ki dua qabool farma li kay tum say kissi kaam kerney walay kay kaam ko khuwa woh mard ho ya aurat mein hergiz zaya nahi kerta tum aapas mein aik doosray kay hum jinss ho iss liye woh log jinhon ney hijrat ki aur apney gharon say nikal diye gaye aur jinhen meri raah mein izza di gaee aur jinhon ney jihad kiya aur shaheed kiye gaye mein zaroor zaroor unn ki buraiyan unn say door kerdoon ga aur bil yaqeen unhen unn jannaton mein ley jaon ga jin key neechay nehren beh rahi han yeh hai sawab Allah Talaa ki taraf say aur Allah Taalaa hi kay pass behtareen sawab hai

[196] Tujhay kafiron ka shehron mein chalna phirna fareb mein na daal dey

[197] Yeh to boht hi thora faeeda hai iss kay baad unn ka thikana to jahannum hai aur woh buri jagah hai

[198] Lekin jo log apney rab say dartay rahey unn kay liye jannaten hain jin kay neechay nehren jari hain inn mein woh hamesha rahen gay yeh mehmani hai Allah ki taraf say aur nek kaaron kay liye jo kuch Allah Taalaa kay pass hai woh boht hi behtar hai

[199] Yaqeenan ehal-e-kitab mein say baaz aisay bhi hain jo Allah Taalaa per eman latay hain aur tumhari taraf jo utaata gaya hai aur unn ki janib jo nazil hua uss per bhi Allah Taalaa say dartay hain aur Allah Taalaa ki aayaton ko thori thori qeemat per baichtay bhi nahi inn ka badla inn kay rab kay pass hai yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai

[200] Aey eman walo! Tum sabit qadam raho aur aik doosray ko thamay rakho aur jihad kay liye tayyar raho aur Allah Taalaa say dartay raho takay tum murad ko phoncho

النساء

Surah 4

[1] Aey logo apney perwerdigar say daro jiss ney tumhen aik jaan say peda kiya aur ussi say uss ki biwi ko peda ker kay unn dono say boht say mard aur aurten phela den uss Allah say daro jiss kay naam per aik doosray say maangtay ho aur rishtay naatay toryney say bhi bacho be-shak Allah Taalaa tum per nigehbaan hai

[2] Aur yateemon ko unn kay maal dey do aur pak aur halal cheez kay badlay na pak aur haram cheez na lo aur apney maalon kay sath unn kay maal mila ker kha na jao be-shak yeh boht bara gunah hai

[3] Agar tumhen darr ho kay yateem larkiyon say nikkah ker kay tum insaf na rakh sako gay to aur aurton mein say jo bhi tumhen achi lagen tum unn say nikkah kerlo do do teen teen chaar chaar say lekin agar tumhen barabari na ker sakney ka khof ho to aik hi kafi hai ya tumhari milkiyat ki londi yeh ziyada qarib hai kay (aisa kerney say na insafi aur) aik taraf jhuk parney say bach jao

[4] Aur aurton ko unn kay mehar razi khushi dey do haan agar woh khud apni khushi say kuch mehar chor den to issay shoq say khush ho ker kha lo

[5] Bey aqal logon ko apna maal na dey do jiss maal ko Allah Taalaa ney tumhari guzraan kay qaeem rakhney ka zariya banaya hai haan unhen iss maal say khilao pilao pehnao orahao aur unhen maqooliyat say naram baat kaho

[6] Aur yateemon ko unn kay baligh ho janey tak sidhartay aur aazmatay raho phir agar inn mein tum hoshiyari aur husn-e-tadbeer pao to enhen inn kay maal sonp do aur inn kay baray ho janey kay darr say inn kay maalon ko jaldi jaldi fazool kharchiyon mein tabah na kerdo maal daron ko chahaiye kay (inn kay maal say) bachtay rahen haan miskeen mohtaj ho to dastoor kay mutabiq wajibi tor say kha ley phir jab enhen inn kay maal sonpo to gawah bana lo dar asal hisab lenay wala Allah Taalaa hi kafi hai

[7] Maa baap aur khawesh-o-aqarib kay tarkay mein mardon ka hissa bhi hai aur aurton ka bhi. (jo maal maa baap aur khawesh-o-aqarib chor maren) khuwa woh maal kum ho ya ziyada (uss mein) hissa muqarrar kiya hua hai

[8] Aur jab taqseem kay waqt qarabat daar aur yateem aur miskeen aajayen to tum uss mein say thor boht enhen bhi dey do aur inn sa narmi say bolo

[9] Aur chahaiye kay woh iss baat say daren kay agar woh khud apney peechay (nannhay nannhay) na tawan bachay chor jatay jin kay zaya ho janey ka andesha rehta hai (to unn ki chahat kiya hoti) pus Allah Taalaa say darr ker jachi tuli baat kaha kero

[10] Jo log na haq zulm say yateemon ka maal kha jatay hain woh apney pet mein aag hi bhar rahey hain aur un qarib woh dozakh mein jayen gay

[11] Allah Taalaa tumhen tumhari aulad kay baray mein hukum kerta hai kay aik larkay ka hissa do larkiyon kay barabar hai aur agar sirf larkiyan hi hon aur do say ziyada hon to unhen maal matrooka ka do tehaee milay ga. Aur agar aik hi larki ho to uss kay liye aadha hai aur mayyat kay maa baap mein say her aik kay liye uss kay choray huye maal ka chatha hissa hai agar iss (mayyat) ki aulad ho aur agar aulad na ho aur maa baap waris hotay hon to uss ki maa kay liye teesra hissa hai haan agar mayyat kay kaee bhai hon to phir uss ki maa ka chatha hissa hai. Yeh hissay uss wasiyat (ki takmeel) kay baad hain jo marney wala ker gaya ho ya aday-e-qarz kay baad tumharay baap hon ya tumharay betay tumhen nahi maloom kay unn mein say kaun tumhen nafa phonchaney mein ziyada qarib hai yeh hissay Allah Taalaa ki taraf say muqarrar kerda hain be-shak Allah Taalaa pooray ilm aur kaamil hikmaton wala hai

[12] Tumhari biwiyan jo kuch chor maren aur unn ki aulad na ho to aadhon aadh tumhara hai aur agar unn ki aulad ho to unn kay choray huye maal say tumharay liye chothaee hissa hai. Uss wasiyat ki adaayegi kay baad jo woh ker gaee hon ya qarz kay baad. Aur jo (tarka) tum chor jao uss mein unn kay liye aik chothaee hai agar tumhari aulad na ho aur agar tumhari aulad ho to phir unhen tumharay tarkay ka aathwan hissa milay ga uss wasiyat kay baad jo tum ker gaye ho aur qarz ki adaayegi kay baad. Aur jin ki meerass li jati hai woh mard ya aurat kalala ho yani uss ka baap beta na ho aur uss ka aik bhai ya aik behan ho to inn dono mein say her aik ka chatha hissa hai aur agar iss say ziyada hon to aik tehaee mein sab shareek hain uss wasiyat kay baad jo ki jaye aur qarz kay baad jabkay auron ka nuksan na kiya gaya ho yeh muqarrar kiya hua Allah Taalaa ki taraf say hai aur Allah Taalaa daana hai burdbaar

[13] Yeh hadden Allah Taalaa ki muqarrar ki hui hain aur jo Allah Taalaa ki aur uss kay rasool (PBUH) ki farmanbardari keray ga ussay Allah Taalaa jannaton mein ley jaye ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha rahen gay aur yeh boht bari kaamyaabi hai

[14] Aur jo shaks Allah Taalaa aur uss kay rasool (PBUH) ki na farmani keray aur uss ki muqarrara haddon say aagay niklay ussay woh jahannum mein daal dey ga jiss mein woh hamesha rahey ga aison hi kay liye ruswa kun azab hai

[15] Tumhari aurton mein say jo bey hayaee ka kaam keren unn per apney mein say chaar gawah talab kero agar woh gawahi den to inn aurton ko gharon mein qaid rakho yahan tak kay maut unn ki umaren poori ker dey ya Allah Taalaa unn kay liye koi aur raasta nikalay

[16] Tum say jo do fard aisa kaam ker len unhen ezza do agar woh tauba aur islaah ker len to unn say mun pher lo be-shak Allah Taalaa tauba kerney wala aur reham kerney wala hai

[17] Allah Taalaa sirf unhi logon ki tauba qabool farmata hai jo ba waja nadani koi buraee ker guzren phir jald uss sa baaz aajayen aur tauba keren to Allah Taalaa bhi unn ki tauba qabool kerta hai Allah Taalaa beray ilm wala hikmat wala hai

[18] Unn ki tauba nahi jo buraiyan kertay chalay jayen yahan tak kay jab inn mein say kissi kay pass maut aajaye to keh dey kay mein ney abb tauba ki aur unn ki tauba bhi qabool nahi jo kufur per hi marr jayen yehi log hain jin kay liye hum ney alam naak azab tayyar ker rakha hai

[19] Eman walo! Tumhen halal nahi kay zabardasti aurton ko virsay mein ley betho unhen iss liye rok na rakho kay jo tum ney unhen dey rakha hai uss mein say kuch ley lo haan yeh aur baat hai kay woh koi khuli buraee aur bey hayaee keren unn kay sath achay tareeqay say bod-o-baash rakho go tum unhen na pasand kero lekin boht mumkin hai kay tum kissi cheez ko bura jano aur Allah Taalaa iss mein boht hi bhalaee ker dey

[20] Aur agar tum aik biwi ki jagah doosri biwi kerna hi chahao aur inn mein say kissi ko tum ney khazana ka khazana hi dey rakha ho to bhi uss mein say kuch na lo kiya tum issay na haq aur khula gunah hotay huye bhi ley lo gay tum issay kaisay ley lo gay

[21] Halankay tum aik doosray say mill chukay ho aur inn aurton ney tum say mazboot ehad-o-paymaan ley rakh hai

[22] Aur unn aurton say nikkah na kero jin say tumharay baapon ney nikkah kiya hai magar jo guzar chuka hai yeh bey hayaee ka kaam aur bughz ka sabab hai aur bari buri raah hai

[23] Haram ki gaeen tum per tumhari maayen aur tumhari larkiyan tumhari behnen tumhari phoopiyan aur tumhari khalaayen aur bhai ki larkiyan aur behan ki larkiyan aur tumhari woh maayen jinhon ney tumhen doodh pilaya ho aur tumhari doodh sharik behnen aur tumhari saas aur tumhari woh perwerish kerda larkiyan jo tumhari godd mein hain tumhari unn aurton say jin say tum dakhool ker chukay ho haan agar tum ney unn say jamaa na kiya ho to tum oer koi gunah nahi aur tumharay salbi sagay beton ki biwiyan aur tumhara do behnon ka jama kerna haan jo guzar chuka so guzar chuka yaqeenan Allah Taalaa bakshney wala meharban hai

[24] Aur (haram ki gaeen) shoher wali aurten magar woh jo tumhari milkiyat mein aajayen Allah Taalaa ney yeh ehkaam tum per farz ker diye hain aur inn aurton kay siwa aur aurten tumharay liye halal ki gaeen kay apney maal kay mehar say tum inn say nikkah kerna chahao buray kaam say bachne kay liye na kay shewat rani kay liye iss liye jin say tum faeeda uthao unhen unn ka muqarrar kiya hua mehar dey do aur mehar muqarrar ho janey kay baad tum aapas ki raza mandi say jo tey ker lo uss mein tum per koi gunah nahi be-shak Allah Taalaa ilm wala hikmat wala hai

[25] Aur tum mein say jiss kissi ko aazad musalman aurton say nikkah kerney ki poori wus’at-o-taqat na ho to woh musalman londiyon say jin kay tum maalik ho (apna nikkah ker ley) Allah tumharay aemaal ko ba khoobi janney wala hai tum sab aapas mein aik hi to ho iss liye unn kay maalikon ki ijazat say unn say nikkah kerlo aur qaeeday kay mutabiq unn kay mehar unn ko do woh pak daaman hon na kay aelaaniya bad kaari kerney waliyan na khufia aashnaee kerney waliyan pus jab yeh londiyan nikkah mein aajayen phir agar woh bey hayaee ka kaam keren to unhen aadhi saza hai uss saza say jo aazad aurton ki hai. Kaneezon say nikkah ka yeh hukum tum mein say unn logon kay liye hai jinhen gunah aur takleef ka andesha ho aur tumhara zabt kerna boht behtar hai aur Allah Taalaa bara bakshney wala aur bari rehmat wala hai

[26] Allah Taalaa chahata hai kay tumharay wastay khoob khol ker biyan keray aur tumhen tum say pehlay kay (nek) logon ki raah per chalaye aur tumhari tauba qabool keray aur Allah Taalaa janney wala hikmat wala hai

[27] Aur Allah chahata hai kay tumhari tauba qabool keray aur jo log khuwaishaat kay pairoo hain woh chahtay hain kay tum iss say boht door hatt jao

[28] Allah chahta hai kay tum say takhfeef ker dey kiyon kay insan kamzor peda kiya gaya hai

[29] Aey eman walo! Apney aapas kay maal na jaeez tareeqay say mat khao magar yeh kay tumhari aapas ki raza mandi say ho khareed-o-farokht aur apney aap ko qatal na kero yaqeenan Allah Taalaa tum per nihayat meharban hai

[30] Aur jo shaks yeh (na farmaniyan) sirkashi aur zulm say keray ga to un qarib hum uss ko aag mein dakhil keren gay. Aur yeh Allah per aasan hai

[31] Agar tum unn baray gunahon say bachtay raho gay jin say tum ko mana kiya jata hai to hum tumharay chotay gunah door ker den gay aur izzat aur buzrugi ki jagah dakhil keren gay

[32] Aur uss cheez ki aarzoo na kero jiss kay baees Allah Taalaa ney tum mein say baaz ko baaz per buzrugi di hai. Mardon kay uss mein say hissa hai jo unhon ney kamaya aur aurton kay liye uss mein say hain jo unhon ney kamaya aur Allah Taalaa say uss ka fazal maango yaqeenan Allah her cheez ka janney wala hai

[33] Maa baap ya qarabat daar jo chor maren uss kay waris hum ney her shaks kay muqarrar ker diye hain aur jin say tum ney apney haathon mohaeeda kiya hai unhen unn ka hissa do haqeeqatan Allah Taalaa her cheez per hazir hai

[34] Mard aurton per haakim hain iss waja say kay Allah Taalaa ney aik ko doosray per fazilat di hai aur iss waja say kay mardon ney apney maal kharach kiye hain pus nek farman bardaar aurten khawind ki adam mojoodgi mein ba hifazat-e-elahee nigehdasht rakhen waliyan hain aur jin aurton ki na farmani aur bad dimaghi ka tumhen khof ho unhen naseehat kero aur unhen alag biostaron per chor do aur unhen maar ki saza do phir agar woh tabey daari keren to unn per koi raasta talash na kero be-shak Allah Taalaa bari bulandi aur baraee wala hai

[35] Agar tumhen miyan biwi kay darmiyan aapas ki ann bann ka khof ho to aik munsif mard walon mein say aur aik aurat kay ghar walon mein say muqarrar kero agar yeh dono sulah kerana chahayen gay to Allah dono mein milaap kera dey ga yaqeenan Allah Taalaa pooray ilm wala poori khabar wala hai

[36] Aur Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss kay sath kissi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan kero aur rishtay daron say aur yateemon say aur miskeenon say aur qarabat daar humsaya say aur ajnabi humsaya say aur pehloo kay sathi say aur raah kay musafir say aur unn say jin kay maalik tumharay haath hain (ghulam kaneez) yaqeenan Allah Taalaa takabbur kerney walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmata

[37] Jo log khud bakheeli kertay hain aur doosron ko bhi bakheeli kerney ko kehtay hain aur Allah Taalaa ney jo apna fazal unhen dey rakha hai ussay chupa letay hain hum ney unn kafiron kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi hai

[38] Aur jo log apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach kertay hain aur Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman nahi rakhtay aur jiss ka humnasheen aur sathi shetan ho woh bad tareen sathi hai

[39] Bhala unn ka kiya nuksan tha agar yeh Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman latay aur Allah Taalaa ney jo unhen dey rakha hai uss mein say kharach kertay Allah Taalaa unhen khoob janney wala hai

[40] Be-shak Allah Taalaa aik zarra barabar zulm nahi kerta aur agar neki ho to ussay doogni ker deta hai aur khaas apney pass say boht bara sawab deta hai

[41] Pus kiya haal hoga jiss waqt kay her ummat mein say aik gawah hum layen gay aur aap ko inn logon per gawah bana ker layen gay

[42] Jiss roz kafir aur rasool kay na farman aarzoo keren gay kay kaash! Enhen zamin kay sath humwaar ker diya jata aur Allah Taalaa say koi baat na chupa saken gay

[43] Aey eman walo! Jab tum nashay mein mast ho namaz kay qarib bhi na jao jab tak kay apni baat ko samajhney na lago aur janabat ki halat mein jab tak kay ghusul na kerlo haan agar raah chaltay guzar janey walay ho to aur baat hai aur agar tum beemar ho ya safar mein ho ya tum mein say koi qazay-e-haajat say aaya ho ya tum ney aurton say mubashirat ki ho aur tumhen pani na milay to pak mitti ka qasad kero aur apney mun aur apney haath mall lo. Be-shak Allah Taalaa moaf kerney wala bakshney wala hai

[44] Kiya tum ney unhen nahi dekha? Jinhen kitab ka kuch hissa diya gaya hai woh gumrahi khareedtay hain aur chahtay hain kay tum bhi raah say bhatak jao

[45] Allah Taalaa tumharay dushmanon ko khoob jannay wala hai aur Allah Taalaa ka dost hona kafi hai aur Allah Taalaa ka madadgar hona bus hai

[46] Baaz yahud kalmaat ko unn ki theek jagah say hair pher ker detay hain aur kehtay hain kay hum ney suna aur na farmani ki aur sunn iss kay baghair kay tu suna jaye aur humari riyayat ker! (lekin iss kay kehney mein) apni zaban ko paich detay hain aur deen mein taana detay hain aur agar yeh log kehtay kay hum ney suna aur hum ney farmanbardari ki aur aap suniye aur humen dekhiye to yeh inn kay liye boht behtar aur nihayat hi munasib tha lekin Allah Taalaa ney inn kay kufur ki waja say enhen laanat ki hai. Pus yeh boht hi kum eman latay hain

[47] Aey ehal-e-kitab! Jo kuch hum ney nazil farmaya hai jo uss ki bhi tasdeeq kerney wala hai jo tumharay pass hai iss per eman lao iss say pehlay hum chehray bigaar den aur enhen lota ker peeth ki taraf ker den ya inn per laanat bhejen jaisay hum ney haftay kay din walon per laanat ki aur hai Allah Taalaa ka kaam kiya gaya

[48] Yaqeenan Allah Taalaa apney sath sahreek kiye janey ko nahi bakshta aur iss kay siwa jissay chahaye baksh deta hai aur jo Allah Taalaa kay sath shareek muqarrar keray uss ney boht bara gunah aur bohtan bandha

[49] Kiya aap ney unhen nahi dekha jo apni pakeezgi aur sataeesh khud kertay hain? Bulkay Allah Taalaa jissay chahaye pakeeza kerta hai kissi per aik dhagay kay barabar zulm na kiya jaye ga

[50] Dekho yeh log Allah Taalaa per kiss tarah jhoot bandhtay hain aur yeh (harkat) sareeh gunah honey kay liye kafi hai

[51] Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen kitab ka kuch hissa mila hai? Jo butt ka aur baatil mabood ka aetiqaad rakhtay hain aur kafiron kay haq mein kehtay hain kay yeh log eman walon say ziyada raah-e-raast per hain

[52] Yehi woh log hain jinhen Allah Taalaa ney laanat ki hai aur jissay Allah Taalaa laanat kerdey tu uss ka koi madadgar na paye ga

[53] Kiya inn ka koi hissa saltanat mein hai? Agar aisa ho to phir yeh kissi ko aik khujoor ki guthli kay shigaaf kay barabar bhi kuch na den gay

[54] Ya yeh logon say hasad kertay hain iss per jo Allah Taalaa ney apney fazal say unhen diya hai pus hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab aur hikmat bhi di hai aur bari saltanat bhi ata farmaee hai

[55] Phir inn mein say baaz ney to iss kitab ko maana aur baaz iss say ruk gaye aur jahannum ka jalana kafi hai

[56] Jin logon ney humari aayaton say kufur kiya unhen hum yaqeenan aag mein daal den gay jab unn ki khaalen pakk jayen gi to hum inn kay siwa aur khaalen badal den gay takay woh azab chakhtay rahen yaqeenan Allah Taalaa ghalib hikmat wala hai

[57] Aur jo log eman laye aur shaista aemaal kiye hum un qarib unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay unn kay liye wahan saaf suthri biwiyan hongi aur hum unhen ghani chahaon (aur poori rahat) mein ley jayen gay

[58] Allah Taalaa tumhen takeedi hukum deta hai kay amanat walon ki amanaten unhen phonchao! Aur jab logon ka faisla kero to adal-o-insaf say faisla kero! Yaqeenan woh behtar cheez hai jiss ki naseehat tumhen Allah Taalaa ker raha hai. Be-shak Allah Taalaa sunta hai dekhta hai

[59] Aey eman walo! Farmanbardari kero Allah Taalaa ki aur farmanbardari kero rasool (PBUH) ki aur tum mein say ikhtiyar walon ki. Phir agar kissi cheez mein ikhtilaf kero to ussay lotao Allah Taalaa ki taraf aur rasool ki taraf agar tumhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman hai. Yeh boht behtar hai aur ba aetbaar anjam kay boht acha hai

[60] Kiya aap ney unhen nahi dekha? Jin ka daawa to yeh hai kay jo kuch aap per aur jo kuch aap say pehlay utara gaya hai uss per unn ka eman hai lekin woh apney faislay ghair ullah ki taraf ley jana chahtay hain halankay unhen hukum diya gaya hai kay shetan ka inkar keren shetan to yeh chahata hai unhen behka ker door daal dey

[61] Inn say jab kabhi kaha jaye kay Allah Taalaa kay nazil kerda kalaam ki aur rasoll lullah (PBUH) ki taraf aao to aap dekh len gay kay yeh munafiq aap say mun pher kay rukay jatay hain

[62] Phir kiya baat hai kay jab inn per inn kay kertoot kay baees koi musibat aa parti hai to phir yeh aap kay pass aa ker Allah Taalaa ki qasmen khatay hain kay humara irada to sirf bhalaee aur mail milaap hi ka tha

[63] Yeh woh log hain kay inn kay dilon ka bhed Allah Taalaa per bakhoobi roshan hai aap inn say chasham poshi kijiye enehn naseehat kertay rahiye aur enhen woh baat kahiye! Jo inn kay dilon mein ghar kerney wali ho

[64] Hum ney her her rasool ko sirf iss liye bheja kay Allah Taalaa kay hukum say uss ki farmanbardari ki jaye aur agar yeh log jab enhon ney apni janon per zulm kiya tha teray pass aajatay aur Allah Taalaa say istaghfaar kertay aur rasool bhi inn kay liye istaghfaar kertay to yaqeenan yeh log Allah Taalaa ko moaf kerney wala meharban patay

[65] So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len phir jo faisla aap inn mein ker den inn say apney dil mein kissi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen

[66] Aur agar hum inn per yeh farz ker detay kay apni janon ko qatal ker daalo! Ya apney gharon say nikal jao! To issay inn mein say boht hi kum log baja latay aur agar yeh wohi kerne jiss ki enhen naseehat ki jati hai to yaqeenan yehi inn kay liye behtar aur boht ziyada mazbooti wala ho

[67] Aur tab to enhen hum apney pass say bara sawab den

[68] Aur yaqeenan enhen raah-e-raast dikha den

[69] Aur jo bhi Allah Taalaa ki aur rasool (PBUH) ki farmanbardari keray woh unn logon kay sath hoga jin per Allah Taalaa ney inam kiya hai jaisay nabi aur siddique aur shaheed aur nek log yeh behtareen rafiq hain

[70] Yeh fazal Allah Taalaa ki taraf say hai aur kafi hai Allah Taalaa janney wala

[71] Aey musalmano! Apney bachao ka saman ley lo phir giroh giroh bann ker kooch kero ya sab kay sab ikhttay ho ker nikal kharay ho

[72] Aur yaqeenan tum mein baaz woh bhi hain jo pus-o-paish kertay hain phir agar tumhen koi nuksan hota hai wo woh kehtay hain kay Allah Taalaa ney mujh per bara fazal kiya kay mein inn kay sath mojood na tha

[73] Aur agar tumhen Allah Taalaa ka koi fazal mill jaye to iss tarah kay goya tum mein inn mein dost thi hi nahi kehtay hain kaash! Mein bhi inn kay humrah hota to bari kaamyaabi ko phonchta

[74] Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay

[75] Bhala kiya waja hai kay tum Allah ki raah mein aur inn na tawan mardon aurton aur nannhay nannhay bachon kay chutkaray kay liye jihad na kero? Jo yun duayen maang rahey hain kay aey humaray perwerdigar! Inn zalimon ki basti say humen nijat dey aur humaray pass khud apney pass say himayati muqarrar ker dey aur humaray liye khaas apney pass say madadgar bana

[76] Jo log eman laye hain woh to Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay hain aur jin logon ney kufur kiya hai woh Allah Taalaa kay siwa auron ki raah mein lartay hain. Pus tum shetan kay doston say jang kero! Yaqeen maano kay shetani heela (bilkul boda aur) sakht kamzor hai

[77] Kiya tum ney unhen nahi dekha jinhen hukum kiya gaya tha kay apney haathon ko rokay rakho aur namazen parhtay raho aur zakat ada kertay raho. Phir jab unhen jihad ka hukum diya gaya to ussi waqt unn ki aik jamat logon say iss qadar darney lagi jaisay Allah Taalaa ka darr ho bulkay iss say bhi ziyada aur kehney lagay aey humaray rab! Tu ney hum per jihad kiyon farz ker diya? Kiyon humen thori si zindagi aur na jeenay di? Aap keh dijiye kay duniya ki sood mandi to boht hi kum hai aur perhezgaron kay liye aakhirat hi behtar hai aur tum per aik dhagay kay barabar bhi sitam rawa na rakha jaye ga

[78] Tum jahan kahin bhi ho maut tumhen aa pakray gi go tum mazboor qilon mein ho aur gar enhen koi bhalaee milti hai to kehtay hain kay yeh Allah Taalaa ki taraf say hai aur agar koi buraee phonchti hai to to keh uthtay hain kay yeh teri taraf say hai. Enhen keh do kay yeh kuch Allah Taalaa ki taraf say hai. Enhen kiya hogaya hai kay koi baat samajhney kay bhi qarib nahi

[79] Tujhay jo bhalaee milti hai Allah Taalaa ki taraf say hai aur jo buraee phonchti hai woh teray apney nafss ki taraf say hai hum ney tujhay tamam logon ko payghaam phonchaney wala bana ker bheja hai aur Allah Taalaa gawah kafi hai

[80] Iss rasool (PBUH) ko jo ita’at keray ussi ney Allah Taalaa ki farmanbardari ki aur jo mun pher ley to hum ney aap ko kuch inn per nigehbaan bana ker nahi bheja

[81] Yeh kehtay to hain kay ita’at hai phir jab aap kay pass say uth ker bahir nikaltay hain to inn mein ki aik jamat jo baat aap ney ya uss ney kahi hai uss kay khilaf raaton ko mashwaray kerti hai inn ki raaton ki baat cheet Allah Taalaa likh raha hai to aap inn say mun pher len aur Allah per bharosa rakhen Allah Taalaa kafi kaar saaz hai

[82] Kiya yeh log quran mein ghor nahi kertay? Agar yeh Allah Taalaa kay siwa kissi aur ki taraf say hota to yaqeenan iss mein boht kuch ikhtilaf patay

[83] Jahan enhen koi khabar aman ya khof ki mili enhon ney ussay mashoor kerna shuroo ker diya halankay agar yeh log issay rasool (PBUH) kay aur apney mein say aisi baaton ki teh tak phonchney walon kay hawalay ker detay to iss ki haqeeqat woh log maloom ker letay jo nateeja akhaz kertay hain aur agar Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat tum per na hoti to maddoday chand kay ilawa tum sab shetan kay pairo kaar bann jatay

[84] Tu Allah Taalaa ki raah mein jihad kerta reh tujhay sirf teri zaat ki nisbat hukum diya jata hai haan eman walon ko raghbat dilata reh boht mumkin hai kay Allah Taalaa kafiron ki jang ko rok dey aur Allah Taalaa sakht qooat wala hai aur saza denay mein bhi sakht hai

[85] Jo shaks kissi neki ya bhalay kaam ki sifarish keray ussay bhi uss ka kuch hissa milay ga aur jo buraee aur badi ki sifarish keray uss kay liye uss mein say aik hissa hai aur Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai

[86] Aur jab tumhen salam kiya jaye to tum uss say acha jawab do ya unhi alfaaz ko lota do be-shak Allah Taalaa her cheez ka hisab lenay wala hai

[87] Allah woh hai jiss kay siwa koi mabood (bar haq) nahi woh tum sab ko yaqeenan qayamat kay din jama keray ga jiss kay (aaney) mein koi shak nahi Allah Taalaa say ziyada sachi baat wala aur kaun hoga

[88] Tumhen kiya hogaya hai? Kay munafiqon kay baray mein do giroh ho rahey ho? Unhen to unn kay aemaal ki waja say Allah Taalaa ney ondha ker diya hai. Abb kiya tum yeh mansoobay bandh rahey ho kay Allah Taalaa kay gumrah kiye huwon ko tum raah-e-raast per laa khara kero jissay Allah Taalaa raah bhula dey tu hergiz uss kay liye koi raah na paye ga

[89] Inn ki chahat to yeh kay jiss tarah kay kafir woh hain tum bhi unn ki tarah kufur kerney lago aur phir sab yaksan ho jao pus jab tak yeh islam ki khatir watan na choren inn mein say kissi ko haqeeqi dost na banao phir agar yeh mun pher len to enhen pakro aur qatal kero jahan bhi yeh haath lag jayen khabardaar! Inn mein say kissi ko apna rafiq aur madadgar na samajh bethna

[90] Siwaye unn kay jo uss qom say talluq rakhtay hon jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai ya jo tumharay pass iss halat mein aayen kay tum say jang kerney say bhi tang dil hain aur apni qom say bhi jang kerney say tang dil hain aur agar Allah Taalaa chahata to enhen tum per musallat ker deta aur woh yaqeenan tum say jang kertay pus agar yeh log tum say kinara kashi ikhtiyar ker len aur tum say laraee na keren aur tumhari janib sulah ka payghaam dalen to Allah Taalaa ney tumharay liye inn per koi raah laraee ki nahi ki

[91] Tum kuch aur logon ko aisa bhi pao gay jin ki (ba zahir) chahat hai kay tum say bhi aman mein rahen. Aur apni qom say bhi aman mein rahen (lekin) jab kabhi fitna angezi ki taraf lotaye jatay hain to ondhay mun iss mein daal diye jatay hain pus agar yeh log tum say kinara kashi na keren aur tum say sulah ka silsila jannbaee na keren aur apney haath na rok len to unhen pakro aur maar dalo jahan kahin bhi paa lo! Yehi woh hain jin per hum ney tumhen zahir hujjat inayat farmaee hai

[92] Kissi momin ko doosray momin ka qatal ker dena zaiba nahi magar ghalati say hojaye (to aur baat hai) jo shaks kissi musalman ko bila qasad maar dalay uss per aik musalman ghulam ki gardan aazad kerna aur maqtool kay azizon ko khoon baha phonchana hai haan yeh aur baat hai kay woh log bator sadqa moaf ker denaur maqtool agar tumhari dushman qom ka ho aur ho woh musalman to sirf aik momin ghulam ki gardan aazad kerni lazmi hai. Aur agar maqtool uss qom say ho kay tum mein aur unn mein ehad-o-paymaan hai to khoon baha lazim hai jo uss kay kunbay walon ko phonchaya jaye aur aik musalman ghulam ka aazad kerna bhi (zaroori hai) pus jo na paye uss kay zimmay do maheeney kay lagataar raozay hain Allah Taalaa say bakshwaney kay liye aur Allah Taalaa bakhoobi janney wala aur hikmat wala hai

[93] Aur jo koi kiss momin ko qasadan qatal ker dalay uss ki saza dozakh hai jiss mein woh hamesha rahey ga iss per Allah Taalaa ka ghazab hai issay Allah Taalaa ney laanat ki hai aur iss ka liye bara azab tayyar rakha hai

[94] Aey eman walo! Jab tum Allah ki raah mein jaa rahey ho to tehqeeq ker liya kero aur jo tum say salam-alaik keray tum ussay yeh na kehdo kay tu eman wala nahi. Tum dunyawi zindagi kay asbaab ki talash mein ho to Allah Taalaa kay pass boht si ghanimaten hain. Pehlay tum bhi aisay hi thay phir Allah Taalaa ney tum per ehsan kiya lehaza tum zaroor tehqeeq-o-tafteesh ker liya kero be-shak Allah Taalaa tumahray aemaal say ba khabar hai

[95] Apni janon aur maalon say Allah ki raah mein jihad kerney walay momin aur baghair uzur kay beth rehney walay momin barabar nahi apney maalon aur apni janon say jihad kerney walon ko beth rehney walon per Allah Taalaa ney darjon mein boht fazeelat dey rakhi ahi aur yun to Allah Taalaa ney her aik ko khoobi aur achai kay wada diya hai lekin mujahideen ko beth rehney walon per boht baray ajar ki fazeelat dey rakhi hai

[96] Apni taraf say martabay ki bhi aur baksish ki bhi aur rehmat ki bhi aur Allah Taalaa bakshish kerney wala aur reham kerney wala hai

[97] Jo log apni janon per zulm kerney walay hain jab farishtay unn ki rooh qabz kertay hain to poochtay hain tum kiss haal mein thay? Yeh jawab detay hain kay hum apni jagah kamzor aur maghloob thay. Farishtay kehtay hain kiya Allah Taalaa ki zamin kushada na thi kay tum hijrat ker jatay? Yehi log hain jin ka thikana dozakh hai aur woh phonchney ki buri jagah hai

[98] Magar jo mard aurten aur bachay bey bus hain jinhen na to kissi charaa-e-kaar ki taqat aur na kiss raastay ka ilm hai

[99] Boht mumkin hai kay Allah Taalaa unn say dar guzar keray Allah Taalaa dar guzar kerney wala aur moaf farmaney wala hai

[100] Jo koi Allah ki raah mein watan ko choray ga woh zamin mein boht si qayam ki jagahen bhi paye ga aur kushaadgi bhi aur jo koi apney ghar say Allah Taalaa aur uss kay rasool (PBUH) ki taraf nikal khara hua phir ussay maut ney aa pakra to bhi yaqeenan uss ka ajar Allah Taalaa kay zimmay sabit hogaya aur Allah Taalaa bara bakshney wala meharban hai

[101] Jab tum safar mein jaa rahey ho to tum per namazon kay qasar kerney mein koi gunah nahi agar tumhen darr ho kay kafir tumhen satayen gay yaqeenan kafir tumharay khulay dushman hain

[102] Jab tum inn mein ho aur inn kay liye namaz khari kero to chahaiye kay inn ki aik jamat tumharay sath apney hathyaar liye khari ho phir jab yeh sajda ker chuken to yeh hatt ker tumharay peechay aajayen aur woh doosti jamat jiss ney namaz nahi parhi woh aajaye aur teray sath namaz ada keray aur apna bachao aur apney hathyaar liye rahey kafir chahtay hain kay kissi tarah tum apney hathyaaron aur apney saman say bey khabar ho jao to woh tum per achanak dhaawa bol den haan apney hathyaar utaar rakhney mein uss waqt tum per koi gunah nahi jab kay tumhen takleef ho ya ba waja barish kay ya ba sabab beemar hojaney kay aur apney bachao ki cheezen sath liye raho. Yaqeenan Allah Taalaa ney munkiron kay liye zillat ki maar tayyar ker rakhi hai

[103] Phir jab tum namaz ada ker chuko to uthtay bethtay aur letay Allah Taalaa ka ziker kertay raho aur jab itminan pao to namaz qaeem kero! Yaqeenan namaz mominon per muqarrara waqton per farz hai

[104] Inn logon ka peecha kerney say haaray dil ho ker beth na raho! Agar tumhen bey aarami hoti hai to unhen bhi tumhari tarah bey aarami hoti hai aur tum Allah Taalaa say woh umeeden rakhtay ho jo umeeden unhen nahi aur Allah Taalaa daana aur hakim hai

[105] Yaqeenan hum ney tumhari taraf haq kay sath apni kitab nazil farmaee hai takay tum logon mein iss cheez kay mutabiq faisla kero jiss say Allah ney tum ko shanasa kiya hai aur khayanat kerney walon kay himayati na bano

[106] Aur Allah Taalaa say bakshish maango! Be-shak Allah Taalaa baksish kerney wala meharbani kerney wala hai

[107] Aur inn ki taraf say jhagra na kero jo khud apni hi khayanat kertay hain yaqeenan dagha baaz gunehgar Allah Taalaa ko acha nahi lagta

[108] Woh logon say to chup jatay hain (lekin) Allah Taalaa say nahi chup saktay woh raaton kay waqt jabkay Allah ki na pasndeedah baaton kay khufia mashwaray kertay hain uss waqt bhi Allah unn kay pass hota hai unn kay tamam aemaal ko woh gheray huye hai

[109] Haan to yeh ho tum log kay duniya mein tum ney inn ki himayat ki lekin Allah Taalaa kay samney qayamat kay din inn ki himayat kaun keray ga? Aur woh kaun hai jo inn ka wakeel bann ker khara ho sakay ga

[110] Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Allah Taalaa say istaghfaar keray to woh Allah ko bakshney wala meharbani kerney wala payega

[111] Aur jo gunah kerta hai uss ka bojh ussi per hai aur Allah bakhoobi janney wala aur poori hikmat wala hai

[112] Aur jo shaks koi gunah ya khata ker kay kissi bey gunah kay zimmay thop dey uss ney boht bara bohtaan uthaya aur khula gunah kiya

[113] Agar Allah Taalaa ka fazal-o-reham tujh per na hota to inn kay aik jamat to tujhay behkaney ka qasad ker hi liya tha magar dar asal yeh apney aap ko hi gumrah kertay hain yeh tera kuch nahi bigar saktay Allah Taalaa ney tujh per kitab-o-hikmat utari hai aur tujhay woh sikhaya hai jisay tu nahi janta tha aur Allah Taalaa ka tujh per bara bhari fazal hai

[114] Inn kay aksay khufia mashwaron mein koi khair nahi haan! Bhalaee uss kay mashwaray mein hai jo kheyraat kay ya nek baat ka ya logon mein sulah keraney ka hukum keray aur jo shaks sirf Allah Taalaa ki raza mandi hasil kerney kay iraday say yeh kaam keray ussay hum yaqeenan boht bara sawab den gay

[115] Jo shaks ba wajood raah-e-hidayat kay wazeh ho janey kay bhi rasool (PBUH) ka khilaf keray aur tamam mominon ki raah chor ker chalay hum ussay udhar hi mutawajja ker den gay jidhar woh khud mutawajja ho aur dozakh mein daal den gay woh phonchney ki boht hi buri jagah hai

[116] Ussay Allah Taalaa qatan na bakshay ga kay uss kay sath shareek muqarrar kiya jaye haan shirk kay ilawa gunah jiss kay chahaye moaf farma deta hai aur Allah kay sath sharik kerney wala boht door ki gumrahi mein jaa para

[117] Yeh to Allah Taalaa ko chor ker sirf aurton ko pukartay hain aur dar asal yeh sirf sirkash shetan ko poojtay hain

[118] Jissay Allah ney laanat ki hai aur uss ney baira utahaya hai kay teray bandon mein say mein muqarrar shuda hissa ley ker rahon ga

[119] Aur enhen raah say behkata rahon ga aur baatil umeeden dilata rahon ga aur enhen sikhaon ga kay janweron kay kaan cheer den aur inn say kahon ga kay Allah Taalaa ki banaee hui soorat ko bigar den suno! Jo shaks Allah ko chor ker shetan ko apna rafiq banaye ga woh sareeh nuksan mein doobay ga

[120] Woh inn say zabani waday kerta rahey ga aur sabz baagh dikhata rahey ga (magar yad rakho!) shetan kay jo waday inn say hain woh sirasir fareb kaariyan hain

[121] Yeh woh log hain jin ki jagah jahannum hai jahan say enhen chutkara na milay ga

[122] Aur jo eman laye aur bhalay kaam keren humen unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan yeh abad-al-abad rahen gay yeh hai Allah ka wada jo siasir sacha hai aur kaun hai jo apni baat mein Allah say ziyada sacha ho

[123] Haqeeqat-e-haal na to tumhari aarzoo kay mutabiq hai aur na ehal-e-kitab ki umeedon per moqoof hai jo bura keray ga uss ki saza paye ga aur kissi ko na paye ga jo uss ki himayat-o-madad Allah kay pass ker sakay

[124] Jo eman wala ho mard ho ya aurat aur woh nek aemaal keray yaqeenan aisay log jannat mein jayen gay aur khujoor ki guthli kay shigaf kay barabar bhi unn ka haq na maara jaye ga

[125] Ba-aetbaar deen kay uss say acha kaun hai? Jo apney ko Allah kay tabey ker dey aur ho bhi neko kaar sath hi yaksui walay ibrahim kay deen ki pairwee ker raha ho aur ibrahim (alh-e-salam) ko Allah ney apna dost bana liya hai

[126] Aasamanon aur zamin mein jo kuch hai sab Allah hi ka hai aur Allah Taalaa her cheez ko gherney wala hai

[127] Aap say aurton kay baray mein hukum daryaft kertay hain aap keh dijiye! Kay khud Allah unn kay baray mein hukum dey raha hai aur quran ki woh aayaten jo tum per inn yateem larkiyon kay baray mein parhi jati hain jinhen inn ka muqarrar haq tum nahi detay aur enhen apney nikkah mein laaney ki raghbat rakhtay ho aur kamzor bachon kay baray mein aur iss baray mein kay yateemon ki kaar guzari insaf kay sath kero. Tum jo nek kaam kero bey shuba Allah ussay poori tarah janney wala hai

[128] Agar kissi aurat ko apney shohar ki bad dimaghi aur bey perwahi ka khof ho to dono aapas mein jo sulah ker len uss mein kissi per koi gunah nahi. Sulah boht behtar cheez hai tama her her cheez mein shamil ker di gaee hai. Agar tum acha sulook kero aur perhezgari kero to tum jo ker rahey ho uss per Allah Taalaa poori tarah khabardaar hai

[129] Tum say yeh to kabhi na ho sakay ga kay apni tamam biwiyon mein her tarah adal kero go tum iss ki kitni hi khuwaish-o-kosish ker lo iss liye bilkul hi aik ki taraf maeel ho ker doosri ko udhar latakti hui na choro aur agar tum islaah kero aur taqwa ikhtiyar kero to be-shak Allah Taalaa bari maghfirat aur rehmat wala hai

[130] Aur agar miyan biwi huda hojayen to Allah Taalaa apni wusat say her aik ko bey niaz ker dey ga Allah Taalaa wusat wala hikmat wala hai

[131] Zamain-o-aasamanon ki her her cheez Allah Taalaa hi ki milkiyat mein hai aur waqaee hum ney unn logon ko jo tum say pehlay kitab diye gaye thay aur tum ko bhi yehi hukum kiya hai kay Allah say dartay raho aur agar tum kufur kero to yaad rakho kay Allah kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai aur Allah boht bey niaz aur tareef kiya gaya hai

[132] Allah kay ikthiyar mein hain aasmanon ki sab cheezen aur zamin ki bhi aur Allah kaar saaz kafi hai

[133] Agar ussay manzoor ho to aey logo! Woh tum sab ko ley jaye aur doosron ko ley aaye Allah Taalaa iss per poori qudrat rakhney wala hai

[134] Jo shaks duniya ka sawab chahta ho to (yaad rakho kay) Allah Taalaa kay pass to duniya aur aakhirat (dono) ka sawab mojood hai aur Allah Taalaa boht sunney wala aur khoob dekhney wala hai

[135] Aey eman walo! Adal-o-insaf per mazbooti say jamm janey walay aur khushnoodi-e-maula kay liye sachi gawahi denay walay bann jao go woh khud tumharay apney khilaf ho ya apney maa baap kay ya rishtay daar azizon kay woh shaks agar amir ho to aur faqir ho to dono kay sath Allah ko ziyada talluq hai iss liye tum khuwaish-e-nafss kay peechay parr ker insaf na chor dena aur gar tum ney kajj biyani ya pehloo tahi ki to jaan lo kay jo kuch tum kero gay Allah Taalaa poori tarah uss say ba khabar hai

[136] Aey eman walo! Allah Taalaa per uss kay rasool (PBUH) per aur uss kitab per jo uss ney apney rasool (PBUH) per utari hai aur unn kitabon per jo iss say pehlay uss ney nazil farmaee hain eman lao! Jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay farishton say aur uss ki kitabon say aur uss kay rasoolon say aur qayamat kay din say kufur keray woh to boht baray door ki gumrahi mein jaa para

[137] Jin logon ney eman qabool ker kay phir kufur kiya phir eman laa ker phir kufur kiya phir apney kufur mein barh gaye Allah Taalaa yaqeenan unhen na bakshay ga aur na unhen raah-e-hidayat sujhaye ga

[138] Munafiqon ko iss amar ki khabar phonca do kay unn kay liye dard naak azab yaqeeni hai

[139] Jin ki yeh halat hai kay musalmanon ko chor ker kafiron ko dost banatay phirtay hain kiya unn kay pass izzat ki talash mein jatay hain? (to yaad rakhen kay) izzat to sari ki sari Allah Taalaa kay qabzay mein hai

[140] Aur Allah Taalaa tumharay pass apni kitab mein yeh hukum utaar chuka hai kay tum jab kissi majlis walon ko Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kertay aur mazaq uratay huye suno to uss majmay mein unn kay sath na betho! Jab tak kay woh iss kay ilawa aur baaten na kerney lagen (werna) tum bhi uss waqt unhi jaisay ho yaqeenan Allah Taalaa tamam kafiron aur sab munafiqon ko jahannum mein jama kerney wala hai

[141] Yeh log tumharay anjam kaar ka intizar kertay rehtay hain phir agar tumhen Allah fatah dey to yeh kehtay hain kay kiya hum tumharay sathi nahi aur kafiron ko thora sa ghlba mill jaye to (unn say) kehtay hain kay hum tum per ghalib na aaney lagay thay aur kiya hum ney tumhen musalmanon kay haathon say na bachaya tha? Pus qayamat mein khud Allah Taalaa tumharay darmiyan faisla keray ga aur Allah Taalaa kafiron ko eman walon per hergiz raah na dey ga

[142] Be-shak munafiq Allah say chaal baziyan ker rahey hain aur woh enhen iss chaal bazi ka badla denay wala hai aur jab namaz ko kharay hotay hain to bari kaahili ki halat mein kharay hotay hain sirf logon ko dikhatay hain aur yaad-e-elahee to yun hi si baraye naam kertay hain

[143] Woh darmiyan mein hi moalliq dagmaga rahey hain na pooray unn ki taraf aur na sahih tor per unn ki taraf aur jisay Allah Taalaa gumrahi mein daal dey to tu uss kay liye koi raah na paye ga

[144] Aey eman walo! Mominon ko chor ker kafiron ko dost na banao kiya tum yeh chahtay ho kay apney upper Allah Taalaa ki saaf hujjat qaeem kerlo

[145] Munafiq to yaqeenan jahannum kay sab say neechay kay tabqay mein jayen gay na mumkin hai kay tu inn ka koi madadgar paa ley

[146] Haan jo tauba ker len aur islaah ker len aur Allah Taalaa per kaamil yaqeen rakhen aur khalid Allah hi kay liye deen daari keren to yeh log mominon kay sath hain Allah Taalaa mominon ko boht bara ajar dey ga

[147] Allah Taalaa tumhen saza dey ker kiya keray ga? Agar tum shukar guzari kertay raho aur ba eman raho Allah Taalaa boht qadar kerney wala aur poora ilm rakhney wala hai

[148] Buraee kay sath aawaz buland kerney ko Allah Taalaa pasand nahi farmata magar mazloom ko ijazat hai aur Allah Taalaa khoob sunta janta hai

[149] Agar tum kissi neki ko aelaaniya kero ya posheeda ya kiss buraee say dar guzar kero pus yaqeenan Allah Taalaa poori moafi kerney wala aur poori qudrat wala hai

[150] Jo log Allah kay sath aur uss kay payghumbar kay sath kufur kertay hain aur jo log yeh chahtay hain kay Allah aur uss kay rasool kay darmiyan farq keren aur jo log kehtay hain kay baaz nabiyon per to humara eman hai aur baaz per nahi aur chahtay hain kay iss kay aur uss kay bain bain koi raah nikalen

[151] Yaqeen mano kay yeh sab log asli kafir hain aur kafiron kay liye hum ney ehanat aamez saza tayyar ker rakhi hai

[152] Aur jo log Allah per aur uss kay tamam payghumbaron per eman latay hain aur inn mein say kissi mein farq nahi kertay yeh hain jinhen Allah unn kay poora sawab dey ga aur Allah bari maghfirat wala bari rehmat wala hai

[153] Aap say yeh ehal-e-kitab darkhuast kertay hain kay aap inn kay pass koi aasmani kitab layen hazrat musa (alh-e-salam) say to enhon ney iss say boht bari darkhuast ki thi kay humen khullam khula Allah Taalaa ko dikha dey pus inn kay iss zulm kay baees inn per karakay ki bijli aa pari phir bawajood yeh kay inn kay pass boht daleel phonch chuki thi enhon ney bachray ko apna mabood bana liya lekin hum ney yeh bhi moaf farma diya aur hum ney musa ko khula ghalba (aur sareeh daleel) inayat farmaee

[154] Aur inn ka qol lenay kay liye hum ney inn kay saron per toor pahaar laa khara ker diya aur enhen hukum diya kay sajda kertay huye darwazay mein jao aur yeh bhi farmaya kay haftay kay din mein tajawuz na kerna aur hum ney inn say sakht say sakht qol-o-qarar liye

[155] (yeh saza thi) ba sabab inn ki ehad shikni kay aur ehkaam-e-elahee kay sath kufur kerney kay aur Allah kay nabiyon ko na haq qatal ker daalney kay aur iss sabab say kay yun kehtay hain kay humaray dilon per ghilaf hai. Halankay dar asal inn kay kufur ki waja say inn kay dilon per Allah Taalaa ney mohar laga di hai iss liye yeh qadar-e-qaleel hi eman latay hain

[156] Aur inn kay kufur kay baees aur marium per boht bara bohtan bandhney kay baees

[157] Aur yun kehney kay baees kay hum ney Allah kay rasool maseeh essa bin marium ko qatal ker diya halankay na to enhon ney ussay qatal kiya na sooli charhaya bulkay inn kay liye unn (essa) ki shabeeh bana diya gaya tha. Yaqeen jano kay hazrat essa (alh-e-salam) kay baray mein ikhtilaf kerney walay unn kay baray mein shak mein hain unhen iss ka koi yaqeen nahi ba-juz takhmeeni baaton per amal kerney kay itna yaqeeni hai kay enhon ney unhen qatal nahi kiya

[158] Bulkay Allah Taalaa ney unhen apni taraf utha liya aur Allah bara zabardast aur poori hikmaton wala hai

[159] Ehal-e-kitab mein aik bhi aisa na bachay ga jo hazrat essa (alh-e-salam) ki maut say pehlay unn per eman na laa chukay aur qayamat kay din aap unn per gawah hongay

[160] Jo nafees cheez inn kay liye halal ki gaee thi woh hum ney inn per haram ker di inn kay zulm kay baees aur Allah Taalaa ki raah say aksar logon ko rokney kay baees

[161] Aur sood jiss say mana kiye gaye thay ussay lenay kay baees aur logon ka maal na haq maar khaney kay baees aur inn mein jo kuffaar hain hum ney unn kay liye alam naak azab mohiyya ker rakha hai

[162] Lekin inn mein say kaamil aur mazboot ilm walay hain aur eman walay hain jo uss per eman latay hain jo aap ki taraf utara gaya hai aur jo aap say pehlay utara gaya aur namzon ko qaeem rakhney walay hain aur zakat kay ada kerney walay hain aur Allah per aur qayamat kay din per eman rakhney walay hain yeh hain jinhen hum boht baray ajar ata farmayen gay

[163] Yaqeenan hum ney aap ki taraf issi tarah wahee ki hai jaisay kay nooh (alh-e-salam) aur inn kay baad walay nabiyon ki taraf ki aur hum ney wahee ki ibrahim aur isamail aur ishaq aur yaqoob aur unn ki aulad per aur essa aur ayub aur younus aur haroon aur suleman ki taraf. Aur hum ney dawood (alh-e-salam) ko zaboor ata farmaee

[164] Aur aap say pehlay kay boht say rasoolon kay waqiyaat hum ney aap say biyan kiye hain aur boht say rasoolon kay nahi bhi kiye aur musa (alh-e-salam) say Allah Taalaa ney saaf tor per kalaam kiya

[165] Hum ney enhen rasool banaya hai khushkhabriyan sunaney walay aur aagah kerney walay takay logon ki koi hujjat aur ilzam rasoolon kay bhejney kay baad Allah Taalaa per reh na jaye. Allah Taalaa bara ghalib aur bara hikmat wala hai

[166] Jo kuch aap ki taraf utara hai uss ki babat khud Allah Taalaa gawahi deta hai kay issay apney ilm say utara hai aur farishtay bhi gawahi detay hain aur Allah Taalaa bator gawah kafi hai

[167] Jin logon ney kufur kiya aur Allah Taalaa ki raah say auron ko roka woh yaqeenan gumrahi mein door nikal gay

[168] Jin logon ney kufur kiya aur zulm kiya unhen Allah Taalaa hergiz hergiz na bakshay ga aur na unhen koi raah dikhaye ga

[169] Ba-juz jahannum ki raah kay jiss mein woh hamesha hamesha paray rahen gay aur yeh Allah Taalaa per bilkul aasan hai

[170] Aey logo! Tumharay pass tumharya rab ki taraf say haq ley ker rasool aagaya hai pus tum eman lao takay tumharay liye behtri ho aur agar tum kafir hogaye to Allah hi ki hai her woh cheez jo aasmanon aur zamin mein hai aur Allah daana hai hikmat wala hai

[171] Aey ehal-e-kitab! Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao aur Allah per ba-juz haq kay aur kuch na kaho maseeh essa bin marium (alh-e-salam) to sirf Allah Taalaa kay rasool aur uss kay kalma (kunn say peda shuda) hain jisay marium (alh-e-salam) ki taraf daal diya tha aur uss kay pass ki rooh hain iss liye tum Allah ko aur uss kay sab rasoolon ko maano aur na kaho kay Allah teen hain iss say baaz aajao kay tumharay liye behtri hai Allah ibadat kay laeeq to sirf aik hi hai aur woh iss say pak hai kay uss ki aulad ho ussi kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Aur Allah kafi hai kaam bananey wala

[172] Maseeh (alh-e-salam) ko Allah ka banda honey mein ko nang-o-aar ya takabbur-o-inkar hergiz ho hi nahi sakta aur na muqarrab farishton ko uss ki bandagi say jo bhi dil churaye aur takabbur-o-inkar keray Allah Taalaa unn sab ko ikhatta apni taraf jama keray ga

[173] Pus jo log eman laye hain aur shaista aemaal kiye hain unn ko unn ka poora poora sawab inayat farmaye ga aur apney fazal say unhen aur ziyada dey ga aur jin logon ney nang-o-aar aur sikashi aur inkar kiya unhen alam naak azab dey ga aur woh apney liye siwaye Allah kay koi himayati aur imdad kerney wala na payen gay

[174] Aey logo tumharay pass tumharay rab ki taraf say sanad aur daleel aa phonchi aur hum ney tumhari janib wazeh aur saaf noor utaar diya hai

[175] Pus jo log Allah Taalaa per eman laye aur ussay mazboot pakar liya unhen to woh un-qarib apni rehmat mein ley ley ga aur unhen apni taraf ki raah-e-raast dikha dey ga

[176] Aap say fatwa poochtay hain aap keh dijiye kay Allah Taalaa (khud) tumhen kalala kay baray mein fatwa deta hai. Agar koi shaks marr jaye jiss ki aulad na ho aur aik behan ho to uss kay liye choray huye maal ka aadha hissa hai aur woh bhai uss behan ka waris hoga agar uss ki aulad na ho. Pus agar behnen do hon to unhen kul choray huye ka do tehaee milay ga. Aur agar koi shaks iss natay kay hain mard bhi aur aurten bhi to mard kay liye hissa hai misil do aurton kay Allah Taalaa tumharay liye biyan farma raha hai kay aisa na ho kay tum behak jao aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai

المائدہ

Surah 5

[1] Aey eman walo! Ehad-o-paymaan pooray kero tumharay liye maweshi chopaye halal kiye gaye hain ba-juz unn kay jin kay naam parh ker suna diye jayen gay magar halat-e-ehraam mein shikar ko halal jannay walay na banna yaqeenan Allah jo chahaye hukum kerta hai

[2] Aey eman walo! Allah Taalaa kay shaaeer ki bey hurmati na kero na adab walay maheenon ki na haram mein qurban honey walay aur pattay pehnaye gaye janwaron ki jo kaaba ko ja rahey hon aur na unn logon ki jo bait-ullah kay qasad say apney rab taalaa kay fazal aur uss ki raza joee ki niyat say ja rahey hon haan jab tum ehraam utaar dalo to shikar khel saktay ho jin logon ney tumhen masjid-e-haram say roka tha unn ki dushmani tumhen iss baat per aamaadah na keray kay tum hadd say guzar jao neki aur perhezgari mein aik doosray ki imdad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na kero aur Allah Taalaa say dartay raho be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai

[3] Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar! Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban hai

[4] Aap say daryaft kertay hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai

[5] Kul pakeezah cheezen aaj tumharay liye halal ki gaeen aur ehal-e-kitab ka zabeeha tumharay liye halal hai aur tumhara zabeeha unn kay liye halal hai aur pak daaman musalman aurten aur jo log tum say pehlay kitab diye gaye hain unn ki pak daaman aurten bhi halal hain jabkay tum unn kay mehar ada kero iss tarah kay tum unn say ba-qaeeda nikkah kero yeh nahi kay aelaaniya zinna kero ya posheedah bad kaari kero munkireen-e-eman kay aemaal zaya aur ikaarat hain aur aakhirat mein woh haarney walon mein say hain

[6] Aey eman walo! Jab tum namaz kay liye utho to apney mun ko aur apney haathon ko kohniyon samet dho lo aur apney siron ka masah kero aur apney paon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat mein ho to ghusul kerlo haan agar tum beemar ho ya safar ki halat mein ho ya tum mein say koi hajat zaroori say farigh ho ker aaya ho ya tum aurton say milay ho aur tumhen pani na milay to tum pak mitti say tayammum kerlo issay apney chehron per aur haathon per mall lo Allah Taalaa tum per kissi qisam ki tangi nahi daalna chahata bulkay uss ka irada tumhen pak kerney ka aur tumhen apni bharpoor nemat denay ka hai takay tum shukar ada kertay raho

[7] Tum per Allah Taalaa ki jo nematen nazil hui hain unhen yaad rakho aur uss kay uss ehad ka bhi jiss ka tum say mohida hua hai jabkay tum ney kaha hum ney suna aur maana aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa dilon ki baaton ka jannay wala hai

[8] Aey eman walo! Tum Allah ki khatir haq per qaeem hojao raasti aur insaf kay sath gawahi denay walay bann jao kissi qom ki adawat tumhen khilaf-e-adal per aamaada na ker dey adal kiya kero jo perhezgari kay ziyada qarib hai aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeen mano kay Allah Taalaa tumharay aemaal say ba khabar hai

[9] Allah Taalaa ka wada hai jo eman layen aur nek kaam keren unn kay liye wasee maghfirat aur boht bara ajar-o-sawab hai

[10] Aur jin logon ney kufur kiya aur humaray ehkaam ko jhutlaya woh dozakhi hain

[11] Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya hai ussay yaad kero jabkay aik qom ney tum per dast darazi kerni chahai to Allah Taalaa ney unn kay haathon ko tum tak phonchney say rok diya aur Allah Taalaa say dartay raho aur mominon ko Allah Taalaa hi per bharosa kerna chahaiye

[12] Aur Allah Taalaa ney bani israeel say ehad-o-paymaan liya aur unhi mein say baara sardar hum ney muqarrar farmaye aur Allah Taalaa ney farma diya kay yaqeenan mein tumharay sath hun agar tum namaz qaeem rakho gay aur zakat detay raho gay aur meray rasoolon ko maantay raho gay aur unn ki madad kertay raho gay aur Allah Taalaa ko behtar qarz detay raho gay to yaqeenan mein tumhari buraiyan tum say door rakhoon ga aur tumhen unn jannaton mein ley jaon ga jin kay neechay chashmay beh rahey hain abb iss ehas-o-paymaan kay baad bhi tum mein say jo inkari ho jaye woh yaqeenan raah-e-raast say bhatak gaya

[13] Phir unn ki ehad shikni ki waja say hum ney unn per apni laanat nazil farma di aur unn kay dil sakht ker diye kay woh kalaam ko uss ki jagah say badal daaltay hain aur jo kuch naseehat unhen ki gaee thi uss ka boht bara hissa bhula bethay unn ki aik na aik khayanat per tujhay itlaa milti hi rahey gi haan thoray say aisay nahi bhi hain pus tu unhen moaf kerta jaa aur dar guzar kerta reh be-shak Allah Taalaa ehsan kerney walon say mohabbat kerta hai

[14] Aur jo apney aap ko nasrani kehtay hain hum ney unn say bhi ehad-o-paymaan liya unhon ney bhi iss ka bara hissa faramosh ker diya jo unhen naseehat ki gaee thi to hum ney bhi unn kay aapas mein bughz-o-adawat daal di jo ta-qayamat rahey gi aur jo kuch yeh kertay thay un-qarib Allah Taalaa unhen sab bata dey ga

[15] Aey ehal-e-kitab! Tumhara pass humara rasool (PBUH) aa chuka hai jo tumahray samney kitab-ullah ki bakasrat aisi baaten zahir ker raha hai jinhen tum chupa rahey thay aur boht si baaton say dar guzar kerta hai tumharay pass Allah Taalaa ki taraf say noor aur wazeh kitab aa chuki hai

[16] Jiss kay zariye say Allah Taalaa unhen jo raza-e-rab kay darpay hon salamti ki raahen batlata hai aur apni tofiq say andheron say nikal ker noor ki taraf laata hai aur raah-e-raast ki taraf unn ki rehbari kerta hai

[17] Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[18] Yahud-o-nasaara kehtay hain kay hum Allah kay betay aur uss kay dost hain aap keh dijiye kay phir tumhen tumharay gunahon kay baees Allah kiyon saza deta hai? Nahi bulkay tum bhi uss ki makhlooq mein say aik insan ho woh jisay chahata hai bakhsh deta hai aur jisay chahata hai azab kerta hai zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez Allah Taalaa ki milkiyat hai aur ussi ki taraf lotna hai

[19] Aey ehal-e-kitab! Bil yaqeen humara rasool tumharay pass rasoolon ki aamad kay aik waqfay kay baad aa phoncha hai. Jo tumharay liye saaf saaf biyan ker raha hai takay tumhari yeh baat na reh jaye kay humaray pass to koi bhalaee buraee sunaney wala aaya hi nahi pus abb to yaqeenan khushkhabri sunaney wala aur aagah kerney wala aa phoncha aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[20] Aur yaad kero musa (alh-e-salam) ney apni qom say kaha aey meri qom kay logo! Allah Taalaa kay uss ehsan ka zikar kero kay uss ney tum mein say payghumbar banaye aur tumhen badshah bana diya aur tumhen woh diya jo tamam aalam mein kissi ko nahi diya

[21] Aey meri qom walo! Iss muqaddas zamin mein dakhil ho jao jo Allah Taalaa ney tumharay naam likh di hai aur apni pusht kay ball roo gardaani na kero kay phir nuksan mein jaa paro

[22] Unhon ney jawab diya kay aey musa wahan to zor aawar sirkash log hain aur jab tak woh wahan say na nikal jayen hum to hergiz wahan na jayen gay haan agar woh wahan say nikal jayen phir to hum (ba khushi) chalay jayen gay

[23] Do shakson ney jo khuda taras logon mein say thay jin per Allah Taalaa ka fazal tha kaha kay tum unn kay pass darwazay mein to phonch jao darwazay mein qadam rakhtay hi yaqeenan tum ghalib aajao gay aur agar tum momin ho to tumhen Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahaiye

[24] Qom ney jawab diya kay aey musa! Jab tak woh wahan hain tab tak hum hergiz wahan na jayen gay iss liye tum aur tumhara perwerdigar jaa ker dono hi larr bhiro hum yahin bethay huye hain

[25] Musa (alh-e-salam) kehney lagay elahee! Mujhay to ba-juz apney aur meray bhai kay kissi aur per koi ikhtiyar nahi pus tu hum mein aur inn na farmanon mein judaee ker dey

[26] Irshad hua kay abb zamin inn per chalees saal tak haram ker di gaee hai yeh khana badosh idhar udhar sir gardan phirtay rahen gay iss liye tum inn fasiqon kay baray mein ghumgeen na hona

[27] Aadam (alh-e-salam) kay dono beton ka khara khara haal bhi enhen suna do unn dono ney aik nazrana paish kiya inn mein say aik ki nazar qabool hogaee aur doosray ki maqbool na hui to woh kehney laga mein tujhay maar hi daalon ga uss ney kaha Allah Taalaa taqwa walon ka hi amal qabool kerta hai

[28] Go tu meray qatal kay liye dast darazi keray lekin mein teray qatal ki taraf hergiz apney haath na barhaon ga mein to Allah Taalaa perwerdigar-e-aalam say khof khata hun

[29] Mein to chahata hun kay tu mera gunah aur apney gunah apney sir rakh ley aur dozakhiyon mein shaamil hojaye zalimon ka yehi badla hai

[30] Pus ussay uss kay nafs nay apney bhai kay qatal per aamaada ker diya aur uss ney ussay qatal ker daala jiss say nuksan paney walon mein say hogaya

[31] Phir Allah Taalaa ney aik kawway ko bheja jo zamin khod raha tha takay ussay dikhaye kay woh kiss tarah apney bhai ki naash ko chupa dey woh kehnay laga haaye afsos! Kiya mein aisa kerney say bhi gaya guzra hogaya kay iss kawway ki tarah apney bhai ki laash ko dafna deta? Phir to (bara hi) pashemaan aur sharminda hogaya

[32] Issi waja say hum ney bani israeel per yeh likh diya kay jo shaks kissi ko baghair iss kay, kay woh kissi ka qatil ho ya zamin mein fasaad machaney wala ho qatal ker daalay to goya uss ney tamam logon ko qatal ker diya aur jo shaks kissi aik ki jaan bacha ley uss ney goya tamam logon ko zinda ker diya aur unn kay pass humara boht say rasool zahir daleelen ley ker aaye lekin phir uss kay baad bhi unn mein kay aksar log zamin mein zulm-o-ziyadti aur zabadasti kerney walay hi rahey

[33] Jo Allah Taalaa say aur uss kay rasool say laren aur zamin mein fasaad kertay phiren unn ki saza yehi hai kay woh qatal ker diye jayen ya sooli charha diya jayen ya unhen jila watan ker diya jaye yeh to hui inn ki dunyawi zillat aur khuwari aur aakhirat mein inn kay liye bara bhari azab hai

[34] Haan jo log iss say pehlay tauba ker len kay tum unn per qaboo paalo to yaqeen mano kay Allah Taalaa boht bari bakhsish aur reham-o-karam wala hai

[35] Musalmano! Allah Taalaa say dartay raho aur uss ka qurb talash kero aur uss ki raah mein jihad kero takay tumhara bhala ho

[36] Yaqeen mano kay kafiron kay liye agar woh sab kuch ho jo saari zamin mein hai bulkay issay kay misil aur bhi ho aur woh iss sab ko qayamat kay din azab kay badlay fidiye mein dena chahayen to bhi na mumkin hai kay inn ka fidya qabool ker liya jaye inn kay liye to dard naak azab hi hai

[37] Yeh chahayen gay kay dozakh mein say nikal jayen lekin yeh hergiz iss mein say na nikal saken gay inn kay liye to dawami azab hain

[38] Chori kerney walay aurat aur mard kay haath kaat diya kero. Yeh badla hai uss ka jo enhon ney kiya azab Allah ki taraf say aur Allah Taalaa qooat aur hikmat wala hai

[39] Jo shaks apney gunah kay baad tauba ker ley aur islaah ker ley to Allah Taalaa rehmat kay sath uss ki taraf lot’ta hai yaqeenan Allah Taalaa moaf farmaney wala meharbani kerney wala hai

[40] Kiya tujhay maloom nahi kay Allah Taalaa hi kay liye zamin-o-aasman ki badshahat hai? Jissay chahaye saza dey aur jissay chahaye moad ker dey Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[41] Aey rasool! Aap inn logon kay peechay na kurhiye jo kufur mein sabqat ker rahey hain khuwa woh inn (munfiqon) mein say hon jo zabani to eman ka dawa kertay hain lekin haqeeqatan unn kay dil ba eman nahi aur yahundiyon mein say kuch log aisay hain jo ghalat baaten sunnay kay aadi hain aur inn logon kay jasoos hain jo abb tak aap kay pass nahi aaye woh kalmaat kay asli moqay ko chor ker enhen mutaghayyur ker diya kertay hain kehtay hain kay agar tum yehi hukum diye jao to qabool ker lena aur agar yeh hukum na diye jao to alag thalag rehna aur jiss ka kharab kerna Allah ko manzoor ho to aap uss kay liye khudaee hidayat mein kissi cheez kay mukhtaar nahi. Allah Taalaa ka irada inn kay dilon ko pak kerney ka nahi inn kay liye duniya mein bhi bari zillat aur ruswaee hai aur aakhirat mein bhi inn kay liye bari sakht saza hai

[42] Yeh kaan laga laga ker jhoot kay sunnay walay aur ji bhar bhar ker haram kay khaney walay hain agar yeh tumharay pass aayen to tumhen ikhtiyar hai khuwa inn kay aapas ka faisla kero khuwa inn ko taal do agar tum inn say mun bhi phero gay to bhi yeh tum ko hergiz zarar nahi phoncha saktay aur agar tum faisla kero to inn mein adal-o-insaf kay sath faisla kero yaqeenan adal walon kay sath Allah mohabbat rakhta hai

[43] (tajjub ki baat hai kay) woh kaisay apney pass toraat hotay huye jiss mein ehkaam-e-elahee hain tum ko munsif banatay hain phir iss kay baad bhi phir jatay hain dar asal yeh eman-o-yaqeen walay hain hi nahi

[44] Hum ney toraat nazil farmaee hai jiss mein hidayat-o-noor hai yahudiyon mein issi toraat kay sath Allah Taalaa kay mannay walay anbiya (alheem-us-salam) aur ehal-ullah aur ulama faislay kertay thay kiyon kay unhen Allah ki iss kitab ki hifazat ka hukum diya gaya tha. Aur woh iss per iqrari gawah thay abb tumhen chahaiye kay logon say na darro aur sirf mera darr rakho meri aayaton ko thoray thoray mol per na becho jo log Allah ki utari hui wahee kay sath faislay na keren woh (pooray aur pukhta) kafir hain

[45] Aur hum ney yahudiyon kay zimmay toraat mein yeh baat muqarrar ker di thi kay jaan kay badlay jaan aur aankh kay badlay aankh aur naak kay badlay naak aur kaan kay badlay kaan aur daant kay badlay daant aur khaas zakhmon ka bhi badla hai phri jo shaks iss ko moaf ker dey to woh iss kay liye kuffara hai aur jo log Allah kay nazil kiye huye kay mutabiq hukum na keren wohi log zalim hain

[46] Aur hum ney unn kay peechay essa bin marium ko bheja jo apney say pehlay ki kitab yaani toraat ki tasdeeq kerney walay thay aur hum ney unhen injeel ata farmaee jiss mein noor aur hidayat thi aur woh apney say pehlay ki kitab toraat ki tasdeeq kerti thi aur woh sira sir hidayat-o-naseehat thi paarsa logon kay liye

[47] Aur injeel walon ko bhi chahaiye kay Allah Taalaa ney jo kuch injeel mein nazil farmaya hai ussi kay mutabiq hukum keren aur jo Allah Taalaa kay nazil kerda say hi hukum na keren woh (bad kaar) faasiq hain

[48] Aur hum ney aap ki taraf haq kay sath yeh kitab nazil farmaee hai jo apney say agli kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur inn ki mohafiz hai. Iss liye aap inn kay aapas kay moamlaat mein issi utari hui kitab kay sath hukum kijiye iss haq say hatt ker inn ki khuwaishon kay peechay na jaiye tum mein say her aik kay liye hum ney aik dastoor aur raah muqarrar ker di hai. Agar manzoor maula hota to tum sab ko aik hi ummat bana deta lekin uss ki chahat hai kay jo tumhen diya hai uss mein tumhen aazmaye tum nekiyon ki taraf jaldi kero tum sab ka rujoo Allah hi ki taraf hai phir woh tumhen her woh cheez bata dey ga jiss mein tum ikhtilaf kertay rehtay ho

[49] Aap inn kay moamlaat mein khuda ki nazil kerda wahee kay mutabiq hi hukum kijiye inn ki khuwaishon ki tabeydaari na kijiye aur inn say hoshiyaar rahiye kay kahin yeh aap ko Allah kay utaray huye kissi hukum say idhar udhar na keren agar yeh log mun pher len to yaqeen keren kay Allah ka irada yehi hai kay enhen inn kay baaz gunahon ki saza dey hi daalay aur aksar log na farmaan hi hotay hain

[50] Kiya yeh log phir say jaheeliyat kay faisla chahtay hain yaqeen rakhney walay logon kay liye Allah Taalaa say behtar faislay aur hukum kerney wala kaun ho sakta hai

[51] Aey eman walo! Tum yahud-o-nasaara ko dost na banao yeh to aapas mein hi aik doosray kay dost hain. Tum mein say jo bhi inn mein say kissi say dosti keray woh be-shak enhi mein say hai zalimon ko Allah Taalaa hergiz raah-e-raast nahi dikhata

[52] Aap dekhen gay jin kay dilon mein beemari hai woh dor dor ker inn mein ghuss rahey hain aur kehtay hain kay humen khatra hai aisa na ho kay koi haadsa hum per parr jaye boht mumkin hai kay Allah Taalaa fatah dey dey. Ya apney pass say koi aur cheez laye phir to yeh apney dilon mein chupaee hui baaton per (bey tarah) naadim honey lagen gay

[53] Aur eman walay kahen gay kiya yehi woh log hain jo baray mubalighay say Allah ki qasmen kha kha ker kehtay hain kay hum tumharay sath hain. Inn kay aemaal ghaarat huye aur yeh na kaam hogaye

[54] Aey eman walo! Tum mein say jo shaks apney deen say phir jaye to Allah Taalaa boht jald aisi qom ko laye ga jo Allah ki mehboob hogi aur woh bhi Allah say mohabbat rakhti hogi woh naram dil hongay musalmanon per aur sakht aur tez hongay kuffaar per Allah ki raah mein jihad keren gay aur kissi malamat kerney walay ki malamat ki perwah bhi na keren gay yeh hai Allah Taalaa ka fazal jissay chahaye dey Allah Taalaa bari wusat wala aur zabardast ilm wala hai

[55] (musalmano)! Tumhara dosat khud Allah hai aur uss ka rasool hai aur eman walay hain jo namazon ki pabandi kertay hain aur zakat ada kertay hain aur woh rukoo (khushoo-o-khuzoo) kerney walay hain

[56] Aur jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay rasool say aur musalmanon say dosti keray woh yaqeen manay kay Allah Taalaa ki jamat hi ghalib rahey gi

[57] Musalmano! Unn logon ko dost na banao jo tumharay deen ko hansi khel banaye huye hain (khuwa) woh unn mein say hon jo tum say pehlay kitab diye gaye ya kuffaar hon agar tum momin hoto Allah Taalaa say dartay raho

[58] Aur jab tum namaz kay liye pukartay ho wo woh issay hansi khel thehra letay hain. Yeh iss wastay kay bey aqal hain

[59] Aap keh dijiye kay aey yahudiyon aur nasraniyo! Tum hum say sirf iss waja say dusmaniyan ker rahey ho kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch humari janib nazil kiya gaya hai aur jo kuch iss say pehlay utara gaya hai uss per eman laye hain aur iss liye bhi kay tum mein aksar faasiq hain

[60] Keh dijiye kay kiya mein tumehn bataon? Kay iss say bhi ziyada bura ajar paaney wala Allah kay nazdeek kaun hai? Woh jiss per Allah Taalaa ney laanat ki aur uss per woh ghussa hua aur unn mein say baaz ko bandar aur sooar bana diya aur jinhon ney maboodaan-e-baatil ki parastish ki yehi log bad tar darjay walay hain aur yehi raah-e-raast say boht ziyada bhatakney walay hain

[61] Aur jab tumharay pass aatay hain to kehtay hain kay hum eman laye halankay woh kufur liye huye hi aaye thay aur iss kufur kay sath hi gaye bhi aur yeh jo kuch chupa rahey hain ussay Allah khoob janta hai

[62] Aap dekhen gay kay inn mein say aksar gunah kay kaamon ki taraf aur zulm-o-ziyadti ki taraf aur maal haram khaney ki taraf lapak rahey hain jo kuch yeh ker rahey hain woh nihayat buray kaam hain

[63] Enhen inn kay abid-o-aalim jhoot baaton kay kehney aur haram cheezon kay khaney say kiyon nahi roktay be-shak bura kaam hai jo yeh ker rahey hain

[64] Aur yahudiyon ney kaha Allah Taalaa kay haath bandhay huye hain aur inn kay iss qol ki waja say inn per laanat ki gaee bulkay Allah Taalaa kay dono haath khulay huye hain. Jiss tarah chahata hai kharach kerta hai aur jo kuch teri taraf teray rab ki janib say utara jata hai woh inn mein say aksar ko to sirkashi aur kufur mein barha deta hai aur hum ney inn mein aapas mein hi qayamat tak kay liye adawat aur bughz daal diya hai aur jab kabhi laraee ki aag ko bharkana chahatay hain to Allah Taalaa ussay bujha deta hai yeh mulk bhar mein shar-o-fasaad machatay phirtay hain aur Allah Taalaa fasaadiyon say mohabbat nahi kerta

[65] Aur agar yeh ehal-e-kitab eman latay aur taqwa ikhtiyar kertay to hum inn ki tamam burayian moaf farma detay aur zaroor enhen rahat-o-aaram ki jannaton mein ley jatay

[66] Aur agar yeh log toraat aur injeel aur inn ki janib jo kuch Allah Taalaa ki taraf say nazil farmaya gaya hai inn kay pooray paband rehtay to yeh log apney upper say aur neechay say roziyan patay aur khatay aik jamat to inn mein say darmiyana ravish ki hai baqi inn mein say boht say logon kay buray aemaal hain

[67] Aey rasool jo kuch bhi aap ki taraf aap kay rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ney Allah ki risalat ada nahi kiaur aap ko Allah Taalaa logon say bacha ley ga be-shak Allah Taalaa kafir logon ko hidayat nahi deta

[68] Aap keh dijiye kay ehal-e-kitab! Tum dar asal kissi cheez per nahi jab tak kay toraat aur injeel ko aur jo kuch tumhari taraf tumharay rab ki taraf say utara gaya hai qaeem na kerojo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say utra hai woh inn mein say bohton ko shararat aur inkaar mein aur bhi barhaye ga hi to aap inn kafiron per ghumgeen na hon

[69] Musalman yahudi sitara parast aur nasrani koi ho jo bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray woh mehaz bey khof rahey ga aur bilkul bey ghum hojaye ga

[70] Hum ney bil yaqeen bano israeel say ehad-o-paymaan liya aur unn ki taraf rasoolon ko bheja jab kabhi rasool unn kay pass woh ehkaam ley ker aaye jo unn ki apni mansha kay khilaf thay to unhon ney unn ki jamat ki takzeeb ki aur aik jamat ko qatal ker diya

[71] Aur yeh samajh bethay kay koi pakar na hogi pus andhay behray bann bethay phir Allah Taalaa ney unn ki tauba qabool ki iss kay baad bhi unn mein say aksar andhay behray hogaye. Allah Taalaa unn kay aemaal ko ba-khoobi dekhney wala hai

[72] Be-shak woh log kafir hogaye jin ka qol hai kay maseeh ibn-e-marium hi Allah hain halankay khud maseeh ney unn say kaha tha aey bani israeel! Allah hi ki ibadat kero jo mera aur tumhara sab ka rab hai yaqeen mano kay jo shaks Allah kay sath shareek kerta hai Allah Taalaa ney uss per jannat haram ker di hai uss ka thikana jahannum hi hai aur gunehgaron ki madad kerney wala koi nahi hoga

[73] Woh log bhi qatan kafir hogaye jinhon ney kaha Allah teen mein ka teesra hai dar asal so Allah Taalaa key koi mabood nahi. Agar yeh log apney iss qol say baaz na rahey to inn mein say jo kufur per rahen gay unhen alam naak azab zarror phonchay ga

[74] Yeh log kiyon Allah Taalaa ki taraf nahi jhuktay aur kiyon istaghfar nahi kertay? Allah Taalaa boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hai

[75] Maseeh ibn-e-marium siwa payghumbar honey kay aur kuch bhi nahi uss say pehlay bhi boht say payghumbar ho chukay hain unn ki walida aik raast baaz aurat thi dono maa betay khana khaya kertay thay aap dekhiye kay kiss tarah hum inn kay samney daleelen rakhtay hain phir ghor kijiye kay kiss tarah woh phiray jatay hain

[76] Aap keh dijiye kay kiya tum Allah kay siwa unn ki ibadat kertay ho jo na tumharay kiss nuksan kay maalik hain na kissi nafay kay Allah hi khoob sunnay aur poori tarah jannay wala hai

[77] Keh dijiye aey ehal-e-kitab! Apney deen mein na haq ghuloov aur ziyadti na kero aur unn logon ki nafsani khuwaishon perwi na kero jo pehlay say behak chukay hain aur bohton ko behka bhi chukay hain aur seedhi raah say hatt gaye hain

[78] Bani israeek kay kafiron per (hazrat) dawood (alh-e-salam) aur (hazrat) essa bin marium (alh-e-salam)ki zabani laanat ki gaee iss waja say kay woh na farmaniyan kertay thay aur hadd say aagay barh jatay thay

[79] Aapas mein aik doosray ko buray kaamon say jo woh kertay thay roktay na thay jo kuch bhi yeh kertay thay yaqeenan woh boht hi bura tha

[80] Inn mein say boht say logon ko aap dekhen gay kay woh kafiron say dostiyan kertay hain jo kuch enhon ney apney liye aagay bhej rakha hai woh boht bura hai kay Allah Taalaa inn say naraz hua aur woh hamesha jahannum mein rahen gay

[81] Agar enhen Allah Taalaa per aur nabi per aur jo nazil kiya gaya hai uss per eman hota to yeh kuffaar say dostiyan na kertay lekin inn mein kay aksar log faasiq hain

[82] Yaqeenan aap eman walon ka sab say ziyada dushman yahudiyon aur mushrikon ko payen gay aur eman walon say sab say ziyada dosti kay qareeb aap yaqeenan unhen payen gay jo apney aap ko nasaara kehtay hain yeh iss liye kay inn mein ulama aur ibadat kay liye gosha nasheen afraad paye jatay hain aur iss waja say kay woh takabbur nahi kertay

[83] Aur jab woh rasool ki taraf nazil kerda (kalaam) ko suntay hain to aap unn ki aankhen aansoo say behti hui dekhtay hain iss sabab say kay enhon ney haq pehchan liya woh kehtay hain kay aey humaray rab! Hum eman ley aaye pus tu hum ko bhi unn logon kay sath likh ley jo tasdeeq kertay hain

[84] Aur humaray pass konsa uzur hai kay hum Allah Taalaa per aur jo haq hum ko phoncha hai uss per eman na layen aur hum iss baat ki umeed rakhtay hain kay humara rab hum ko nek logon ki rafaqat mein dakhil ker dey ga

[85] Iss liye inn ko Allah Taalaa inn kay iss qol ki waja say aisay baagh dey ga jin kay neechay nehren jari hongi yeh inn mein hamesha hamesha rahen gay aur nek logon ka yehi badla hai

[86] Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaat ko jhutlatay rahey woh log dozakh walay hain

[87] Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo pakeezah cheezen tumharay wastay halal ki hain unn ko haram mat kero aur hadd say aagay mat niklo be-shak Allah Taalaa hadd say nikalney walon ko pasan nahi kerta

[88] Aur Allah Taalaa ney jo cheezen tum ko di hain unn mein say halal marghoob cheezen khao aur Allah Taalaa say daro jiss per tum eman rakhtay ho

[89] Allah Taalaa tumhari qasmon mein laghv qasam per tum say moaakhiza nahi farmata lekin moaakhiza uss per farmata hai kay tum jin qasmon ko mazboot ker do. Iss ka kaffaara das mohtajon kko khana dena hai osat darjay ka jo apney ghar walon ko khilatay ho ya unn ko kapra dena ya aik ghulam ya londi aazad kerna hai aur jiss ko maqdoor na ho to teen din kay rozay hain yeh tumhari qasmon ka kaffaara hai jabkay tum qasam kha lo aur apni qasmon ka khayal rakho1 issi tarah Allah Taalaa tumharay wastay apney ehkaam biyan farmata hai takay tum shukar kero

[90] Aey eman walo! Baat yehi hai kay sharab aur juaa aur thaan aur faal nikalney ka paansay kay teer yeh sab gandi baaten shetani kaam hain inn say bilkul alag raho takay tum falah yaab ho

[91] Shetan to yun chahata hai kay sharab aur juaey kay zariye say tumharay aapas mein adawat aur bughz waqey kera dey aur Allah Taalaa ki yaad say aur namaz say tum ko baaz rakhay so abb bhi baaz aajao

[92] Aur tum Allah Taalaa ki ita’at kertay raho aur rasool ki ita’at kertay raho aur ehtiyaat rakho. Agar aeyraaz kero gay to yeh jaan rakho kay humaray rasool kay zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai

[93] Aisay logon per jo kay eman rakhtay hon aur nek kaam kertay hon iss cheez mein koi gunah nahi jiss ko woh khatay peetay hon jabkay woh log taqwa rakhtay hon aur eman rakhtay hon aur nek kaam kertay hon phir perhezgari kertay hon aur khoob nek amal kertay hon Allah aisay neko kaaron say mohabbat rakhta hai

[94] Aey eman walo! Allah Taalaa qadray shikar say tumhara imtehan keray ga jin tak tumharay haath aur tumharay naizay phonch saken gay takay Allah Taalaa maloom ker ley kay kaun shaks iss say binn dekhay darta hai so jo shaks iss kay baad hadd say niklay ga uss kay wastay dard naak saza hai

[95] Aey eman walo! (wehshi) shikar ko qatal mat kero jabkay tum halat-e-ehraam mein ho. Aur jo shaks tum mein say iss ko jaan boojh ker qatal keray ga to uss per fidya wajib hoga jo kay masawi hoga uss janwar kay jiss ko iss ney qatal kiya hai jiss ka faisla tum mein say do moatbar shaks ker den khuwa woh fidya khaas chopayon mein say ho jo niaz kay tor per kaaba tak phonchaya jaye aur khuwa kaffaara masakeen ko dey diya jaye aur khuwa iss kay barabar rozay rakh liye jayen takay apney kiye ki shamat ka maza chakhay Allah Taalaa ney guzishat ko moaf ker diya aur jo shaks phir aisi hi herkat keray ga to Allah Taalaa intiqam ley ga aur Allah zabardast hai intiqam lenay wala

[96] Tumharay liye dariya ka shikar pakrna aur iss ka khana halal kiya gaya hai. Tumharay faeeday kay wastay aur musafiron kay wastay aur khushki ka shikar pakarna tumharay liye haram kiya gaya hai jab tak tum halat-e-ehraam mein raho aur Allah Taalaa say daro jiss kay pass jama kiye jao gay

[97] Allah ney kaaba ko jo kay adab ka makan hai logon kay qaeem rehney ka sabab qarar dey diya aur izzat walay maheeney ko bhi aur haram mein qurbani honey walay janwar ko bhi aur unn janwaron ko bhi jin kay galay mein pattay hon yeh iss liye takay tum iss baat ka yaqeen ker lo kay be-shak Allah tamam aasmanon aur zamin kay andar ki cheezon ka ilm rakhta hai aur be-shak Allah sab cheezon ko khoob janta hai

[98] Tum yaqeen jano kay Allah Taalaa saza bhi sakht denay wala hai aur Allah Taalaa bari maghfirat aur bari rehmat wala bhi hai

[99] Rasool kay zimmay to sirf phonchana hai. Aur Allah Taalaa sab janta hai jo kuch tum zahir kertay ho aur jo kuch tum posheedah rakhtay ho

[100] Aap farma dijiye kay na pak aur pak barabar nahi go aap ko na pak ki kasrat bhali lagti ho Allah Taalaa say dartay raho aey aqal mando! Takay tum kaamyaab ho

[101] Aey eman walo!aisi baaten mat poocho kay kay agar tum per zahir ker di jayen to tumhen na gawar ho aur agar tum zamaanaay-e-nuzool-e-quran mein inn baaton ko poocho gay to tum per zahir ker di jayen gi sawalaat-e-guzishta Allah ney moaf ker diye aur Allah bari maghfirat wala bara hilm wala hai

[102] Aisi baaten tum say pehlay aur logon ney bhi poochi thin phir inn baaton kay munkir hogaye

[103] Allah Taalaa ney na bahiyyra ko mashroo kiya hai aur na saaeeba ko na waseela ko aur na haam ko lekin jo log kafir hain woh Allah Taalaa per jhoot lagatay hain aur kasay kafir aqal nahi rakhtay

[104] Aur jab inn say kaha jata hai kay Allah Taalaa ney jo ehkaam nazil farmay hain unn ki taraf aur rasool ki taraf rujoo kero to kehtay hain hum ko wohi kafi hai jiss per hum ney apney baron ko paya kiya agar cheh inn kay baray na kuch samajh rakhtay hon aur na hidayat rakhtay hon

[105] Aey eman walo! Apni fiker kero jab tum raah-e-raast per chal rahey ho to jo shaks gumrah rahey uss say tumahara koi nuksan nahi. Allah hi kay pass tum sab ko jana hai phir woh tum sab ko batla dey ga jo kuch tum sab kertay thay

[106] Aey eman walo! Tumharay aapas mein do shaks ka gawah hona munasib hai jabkay tum mein say kissi ko maut aaney lagay aur waseeat kerney ka waqt ho woh do shaks aisay hon kay deen daar hon khuwa tum mein say hon ya ghair logon mein say do shaks hon agar tum kahin safar mein gaye ho aur tumhen maut aajaye agar tum ko shuba hoto inn dono ko baad namaz rok lo phir dono Allah ki qasmen khayen kay hum iss qasam kay ewaz koi nafa nahi lena chahatayagar cheh koi qarabat daar bhi ho aur Allah Taalaa ki baat ko hum posheedah keren gay hum iss halat mein sakht gunehgar hongay

[107] Phir gar iss ki itlaa ho kay woh dono gawah kissi gunah kay murtakib huye hain to inn logon mein say jin kay muqablay mein gunah ka irtakaab hua tha woh do shaks jo sab mein qareeb tar hain jahan woh dono kharay huye thay yeh dono kharay hon phir dono Allah ki qasam khayen kay bil yaqeen humari yeh qasam inn dono ki uss qasam say ziyada raast hai aur hum ney zara tajawuz nahi kiya hum iss halat mein sakht zalim hongay

[108] Yeh qareeb zariya hai iss amar ka kay woh log waqiya ko theek tor per zahir keren ya iss baat say darr jayen kay inn say qasmen lenay kay baad qasmen ulti parr jayen gi aur Allah Taalaa say daro aur suno! Aur Allah Taalaa faasiq logon ko hidayat nahi kerta

[109] Jiss roz Allah Taalaa tamam payghumbaron ko jama keray ga phir irshad farmaye ga tum ko kiya jawab mila tha woh arz keren gay kay hum ko kuch khabar nahi tu hi be-shak posheedah baaton ko poora jannay wala hai

[110] Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay aey essa bin marium mera inam yaad kero jo tum per aur tumhari walida per hua hai jab mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di. Tum logon say kalaam kertay thay godd mein bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay tum meray hukum say gaaray say aik shakal banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay thay jiss say woh parind bann jata tha meray hukum say aur tum acha ker detay thay maadar zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker letay thay meray hukum say aur jab kay mein ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch bhi nahi

[111] Aur jabkay mein ney hawareen ko hukum diya kay tum mujh per aur meray rasool per eman laao unhon ney kaha hum eman laye aur aap shahid rahiye kay hum pooray farman bardaar hain

[112] Woh waqt yaad kay qabil hai jab kay hawariyon ney arz kiya kay essa bin marium! Kiya aap ka rab aisa ker sakta hai kay hum per aasman say aik khuwaan nazil farma dey? Aap ney farmaya Allah say daro agar tum eman laye ho

[113] Woh bolay kay hum yeh chahatay hain kay uss mein say khayen aur humaray dilon ko poora itminaan hojaye aur humaray yeh yaqeen aur barh jaye kay aap ney hum say sach bola hai aur hum gawahi denay walon mein say hojayen

[114] Essa ibn-e-marium ney dua ki kay aey Allah aey humaray perwerdigar! Hum per aasman say khana nazil farma! Kay woh humara liye yaani hum mein jo awwal hain aur jo baad kay hain sabb kay liye aik khushi ki baat ho jaye aur teri taraf say aik nishani hojaye aur tu hum ko rizq ata farma dey aur tu sab ata kerney walon say acha hai

[115] Haq Taalaa ney irshad farmaya kay mein woh khana tum logon per nazil kerney wala hun phir jo shaks tum mein say iss kay baad na haq shanasi keray ga to mein uss ko aisi saza doon ga kay woh saza duniya jahaan walon mein say kissi ko na doon ga

[116] Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon ka jannay wala tu hi hai

[117] Mein ney to inn say aur kuch nahi kaha magar sirf wohi jo tu ney mujh say kehney ko farmaya tha kay tum Allah ki bandagi ikhtiyar kero jo mera bhi rab hai aur tumhara bhi rab hai. Mein inn per gawah raah jab tak inn mein raah. Phir jab tu ney mujh ko utha liya to tu hi inn per mutlaa raha. Aur tu her cheez ki poori khabar rakhta hai

[118] Agar tu inn ko saza dey to yeh teray banday hain aur agar tu inn ko moaf farma dey to tu zabardast hai hikmat wala hai

[119] Allah irshad farmaye ga kay yeh woh din hai kay jo log sachay thay unn ka sacha hona unn kay kaam aayega unn ko baagh milen gay jin kay neechay nehren jari hongi jin mein woh hamesha hamesha ko rahen gay. Allah Taalaa inn say razi aur khush aur yeh Allah say razi aur khush hain yeh bari (bhaari) kamyaabi hai

[120] Allah hi ki hai saltanat aasmanon ki aur zamin ki aur unn cheezon ki jo inn mein mojood hain aur woh her sheh per poori qudrat rakhta hai

الانعام

Surah 6

[1] Tamam tareefen Allah hi kay laeeq hain jiss ney aasamanon aur zamin ko peda kiya aur tareekiyon aur noor ko banaya phir bhi kafir log (ghair Allah ko) apney rab kay barabar qarar detay hain

[2] Woh aisa hai jiss ney tum ko mitti say banaya phir aik waqt moyyen kiya aur (doosra) moyyen waqt khaas Allah hi kay nazdeek hai phir bhi tum shak rakhtay

[3] Aur wohi hai mabood-e-bar haq aasmanon mein bhi aur zamin mein bhi woh tumharay posheeda ehwaal ko bhi aur tumharay zahir ehwaal ko bhi janta hai aur tum jo kuch amal kertay ho uss ko bhi janta hai

[4] Aur inn kay pass koi nishani bhi unn kay rab ki nishaniyon mein say nahi aati magar woh iss say aeyraaz hi kertay hain

[5] Enhon ney iss sachi kitab ko bhi jhutlaya jabkay woh inn kay pass phonchi so jaldi hi inn ko khabar mill jayegi uss cheez ki jiss kay sath yeh istehzaa kiya kertay thay

[6] Kiya enhon ney dekha nahi kay hum inn say pehlay kitni jamaton ko halak ker chukay hain jin ko hum ney duniya mein aisi qooat di thi kay tum ko woh qooat nahi di aur hum ney unn per khoob barishen barsaeen aur hum ney unn kay neechay say nehren jari kin. Phir hum ney unn ko unn kay gunahon kay sabab halak ker daala aur unn kay baad doosri jamaton ko peda ker diya

[7] Aur agar hum kaghaz per likha hua koi navishta aap per nazil farmatay phir uss ko yeh log apney haathon say chu bhi letay tab bhi yeh kafir log yeh kehtay kay yeh kuch bhi nahi magar sareeh jadoo hai

[8] Aur yeh log yun kehtay hain kay inn kay pass koi farishta kiyon nahi utara gaya aur agar hum koi farishat bhej detay to sara qissa hi khatam ho jata. Phir inn ko zara mohlat na di jati

[9] Aur agar hum iss ko farishta tajveez kertay to hum uss ko aadmi hi banatay aur huamray iss fail say phir inn per wohi ashkaal hota jo abb ashkaal ker rahey hain

[10] Aur waqaee aap say pehlay jo payghumbar huye hain unn kay sath bhi istehzaa kiya gaya hai. Phir jin logon ney unn say mazaq kiya tha unn ko uss azab ney aa ghera jiss kay tamaskhur uratay thay

[11] Aap farma dijiye kay zara zamin mein chalo phiro phir dekh lo kay takzeeb kerney walon ka kiya anjam hua

[12] Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay

[13] Aur Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur din mein rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay wala hai

[14] Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona

[15] Aap keh dijiye kay mein agar apney rab ka kehna na manon to mein aik baray din kay azab say darta hun

[16] Jiss shaks say uss roz woh azab hata diya jaye to uss per Allah ney bara reham kiya aue yeh sareeh kaamyabi hai

[17] Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai

[18] Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai

[19] Aap kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye kaun hai aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah gawah hai aur meray pass yeh quran bator wahee kay bheja gaya hai takay mein iss quran kay zariye say tum ko aur jiss ko yeh quran phonchay unn sab ko daraon kiya tum sach much yehi gawahi do gay kay Allah Taalaa kay sath kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye kay mein to gawahee nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh to aik hi mabood hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun

[20] Jin logon ko hum ney kitab di hai woh log rasoolon ko pehchantay hain jiss tarah apney beton ko pehchantay hain. Jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay

[21] Aur uss say ziyada bey insaf kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot bandhay ya Allah ki aayaat ko jhoota batlaye aisay bey insafon ko kaamyabi na hogi

[22] Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jiss roz hum unn tamam khaleeq ko jama keren gay phir hum mushrikeen say kahen gay kay tumharay woh shurka jin kay mabood honey ka tum dawa kertay thay kahan gaye

[23] Phir unn kay shirk ka anjam iss kay siwa aur kuch bhi na hoga kay woh yun kahen gay kay qasam Allah ki apney perwerdigar ki hum mushrik na thay

[24] Zara dekho to enhon ney kiss tarah jhoot bola apni janon per aur jin cheezon ko woh jhoot moot tarasha kertay thay woh sab ghaeeb hogaye

[25] Aur inn mein baaz aisay hain kay aap ki taraf kaan lagatay hain aur hum ney inn kay dilon per parda daal rakha hai iss say kay woh iss ko samjhen aur inn kay kanon mein daat dey rakhi hai aur agar woh log tamam dalaeel ko dekh len to bhi inn per kabhi eman na layen yahan tak kay jab yeh log aap kay pass aatay hain to aap say khuwa ma-khuwa jhagartay hain yeh log jo kafir hain yun kehtay hain kay yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say chali aarahi hain

[26] Aur yeh log iss say doosron ko bhi roktay hain aur khud bhi iss say door door rehtay hain aur yeh log apney hi ko tabah ker rahey hain aur kuch khabar nahi raktay

[27] Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh dozakh kay pass kharay kiye jayen to kahen gay haaye kiya achi baat ho kay hum phir wapis bhej diye jayen aur agar aisa hojaye to hum apney rab ki aayaat ko jhoota na batlayen aur hum eman walon mein say hojayen

[28] Bulkay jiss cheez ko iss say qabal chupaya kertay thay woh inn kay samney aagaee hai aur gar yeh log phir wapis bhej diye jayen tab bhi yeh wohi kaam keren gay jiss say inn ko mana kiya gaya tha aur yaqeenan yeh bilkul jhootay hain

[29] Aur yeh kehtay hain kay sirf yeh dunyawi zindagi humari zindagi hai aur hum zinda na kiye jayen gay

[30] Aur agar aap uss waqt dekhen jab yeh apeny rab kay samey kharay kiye jayen gay. Allah farmaye ga kay kiya yeh amar waqaee nahi hai? Woh kahen gay be-shak qasam apney rab ki. Allah Taalaa farmaye ga to abb apney kufur kay ewaz azab chakho

[31] Be-shak khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah say milney ki takzeeb ki yahan tak kay jab woh moyyen waqt unn per dafatan aa phonchay ga kahen gay kay haaye afsos humari kotahi per jo iss kay baray mein hui aur halat inn ki yeh hogi kay woh apney baar apni peethon per laaday hongay khoob sunn lo kay buri hogi woh cheez jiss ko woh laaden gay

[32] Aur dunyawi zindagi to kuch bhi nahi ba-juz lahoo-o-laab kay. Aur daar-e-aakhirat mutaqqiyon kay liye behtar hai. Kiya tum sochtay samajhtay nahi ho

[33] Hum khoob jantay hain kay aap ko inn kay aqwaal maghmoom kertay hain so yeh log aap ko jhoota nahi kehtay lekin yeh zalim to Allah ki aayaton ka inkar kertay hain

[34] Aur boht say payghumbar jo aap say pehlay huye hain unn ki bhi takzeeb ki jaa chuki hai so unhon ney iss per sabar hi kiya unn ki takzeeb ki gaee unn ko ezza phonchaee gaeen yahan tak kay humari imdad unn ko phonchi aur Allah ki baaton ka koi badalney wala nahi aur aap kay pass baaz payghumbaron ki baaz khabren phonch chuki hain

[35] Aur agar aap ko inn ka aeyraaz giran guzarta hai to agar aap ko yeh qudrat hai kay zamin mein koi surang ya aasman mein koi seerhi dhoond lo phir koi moajza ley aao to kero aur agar Allah ko manzoor hota to inn sab ko raah-e-raast per jama ker deta so aap nadanon mein say na ho jaiye

[36] Wohi log qabool kertay hain jo suntay hain. Murdon ko Allah zinda ker kay uthaye ga phir sab Allah hi ki taraf laye jayen gay

[37] Aur yeh log kehtay hain kay inn per koi moajza kiyon nahi nazil kiya gaya inn kay rab ki taraf say aap farma dijiye kay Allah Taalaa ko bey shak poori qudrat hai iss per kay woh moajza nazil farma dey lekin inn mein aksar bey khabar hain

[38] Aur jitney qisam kay jaandaar zamin per chalney walay hain aur jitney qisam kay parind janwar hain kay apnay dono baazoo’on per urtay hain inn mein koi qisam aisi nahi kay jo kay tumhari tarah kay giroh na hon hum ney daftar mein koi cheez nahi chori phir sab apney perwerdigar kay pass jama kiye jayen gay

[39] Aur jo log humari aayaton ki takzeeb kertay hain woh to tarah tarah ki zulmaton mein behray goongay ho rahey hain Allah jiss ko chahaye bey raah ker dey aur woh jiss ko chahaye seedhi raah laga dey

[40] Aap kahiye kay apney haal to batlao kay agar tum per Allah ka koi azab aa paray ya tum per qayamat hi aa phonchay to kiya Allah kay siwa kissi aur ko pukaro gay. Agar tum sachay ho

[41] Bulkay khaas ussi ko pukaro gay phir jiss kay liye tum pukaro gay agar woh chahaye to uss ko hata bhi dey aur jin ko tum shareek thehratay ho unn sab ko bhool bhaal jao gay

[42] Aur hum ney aur ummaton ki taraf bhi jo kay aap say pehlay guzar chuki hain payghumbar bhejay thay so hum ney unn ko tangdasti aur beemari say pakra takay woh izhar-e-ijz ker saken

[43] So jab unn ko humari saza phonchi thi to unhon ney aajzi kiyon nahi ikhtiyar ki? Lekin unn kay quloob sakht hogaye aur shetan ney unn kay aemaal ko unn kay khayal mein aaraasta ker diya

[44] Phir jab woh log unn cheezon ko bhoolay rahey jin ki unn ko naseehat ki jati thi to hum ney unn per her cheez kay darwazay kushada ker diye yahan tak kay jab unn cheezon per jo kay unn ko mili thin woh khoob itra gaye hum ney unn ko dafatan pakar liya phir to woh bilkul mayyus hogaye

[45] Phir zalim logon ki jarr kat gaee aur Allah Taalaa ka shukar hai jo tamam aalam ka perwerdigar hai

[46] Aap kahiye kay yeh batlao agar Allah Taalaa tumhari sama’at aur basarat biluk ley ley aur tumhary dilon per mohar ker dey to Allah Taalaa kay siwa aur koi mabood hai kay yeh tum ko phir dey dey. Aap dekhiye to hum kiss tarah dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say paish ker rahey hain phir bhi yeh aeyraaz kertay hain

[47] Aap kahiye kay yeh batlao agar tum per Allah Taalaa ka azab aa paray khuwa achanak ya aelaaniya to kiya ba-juz zalim logon kay aur bhi koi halak kiya jaye ga

[48] Aur hum payghumbaron ko sirf iss wastay bheja kertay hain kay woh bisharat den aur darayen phir jo eman ley aaye aur durusti ker ley so unn logon per koi andesha nahi aur na woh maghmoom hongay

[49] Aur jo log humari aayaton ko jhoota batlayen unn ko azab phonchay ga ba-waja iss kay, kay woh na farmani kertay hain

[50] Aap keh dijiye kay na to mein tum say yeh kehta hun kay meray pass Allah kay khazaney hain aur na mein ghaib janta hun aur na mein tum say yeh kehta hun kay mein farishta hun. Mein to sirf jo kuch meray pass wahee aati hai uss ka ittabaa kerta hun aap kahiye kay andha aur beena kahin barabar ho sakta hai. So kiya tum ghor nahi kertay

[51] Aur aisay logon ko daraiye jo iss baat say andesha rakhtay hain kay apney rab kay pass aisi halat mein jama kiye jayen gay kay jitney ghair Allah hain na koi unn ka madadgar hoga aur na koi shafi hoga iss umeed per kay woh darr jayen

[52] Aur unn logon ko na nikaliye jo subha-o-shaam apney perwerdigar ki ibadat kertay hain khaas ussi ki raza ka qasad rakhtay hain. Unn ka hisab zara bhi aap kay mutalliq nahi aur aap ka hisab zara bhi unn kay mutalliq nahi kay aap unn ko nikal den. Werna aap zulm kerney walon mein say hojayen gay

[53] Aur issi tarah say hum ney baaz ko baaz kay zariye say aazmaeesh mein daal rakha hai takay yeh log kaha keren kiya yeh log hain kay hum sab mein say inn per Allah Taalaa ney fazal kiya hai. Kiya yeh baat nahi hai kay Allah Taalaa shukar guzaron ko khoob janta hai

[54] Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to (yun) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah (ki shaan hai kay woh) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai

[55] Issi tarah hum aayaat ki tafseel kertay rehtay hain aur takay mujrimeen ka tareeqa zahir hojaye

[56] Aap keh dijiye kay mujh ko iss say moomaniyat ki gaee hai kay unn ki ibadat keroon jin ko tum log Allah Taalaa ko chor ker pukartay ho. Aap keh dijiye kay mein tumhari khuwaishaat ki ittabaa na keroon kiyon kay iss halat mein to mein bey raah hojaoon ga aur raah-e-raast per chalney walon mei na rahoon ga

[57] Aap keh dijiye kay meray pass to aik daleel hai meray rab ki taraf say aur tum iss ki takzeeb kertay ho jiss cheez ki tum jald baazi ker rahey ho woh meray pass nahi. Hukum kissi ka nahi ba-juz Allah Taalaa kay Allah Taalaa waqaee baat ko batla deta hai aur sab say acha faisla kerney wala wohi hai

[58] Aap keh dijiye kay agar meray pass woh cheez hoti jiss ka tum taqaza ker rahey ho to mera aur tumhara bahumi qissa-e-faisal ho chuka hota aur zalimon ko Allah Taalaa khoob janta hai

[59] Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan (khazaney) inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain

[60] Aur woh aisa hai kay raat mein tumhari rooh ko (aik gona) qabz ker deta hai aur jo kuch tum din mein kertay ho uss ko janta hai phir tum ko jaga uthata hai takay miyaad-e-moyyen tamam ker di jaye phir ussi ki taraf tum ko jana hai phir tum ko batlaye ga jo kuch tum kiya kertay thay

[61] Aur wohi apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur tum per nigehdaasht rakhney wala bhejta hai yahan tak kay jab tum mein say kissi ko maut aa phonchti hai uss ki rooh humaray bhejay huye farishtay qabz ker letay hain aur woh zara kotahi nahi kertay

[62] Phir sab apney maalik-e-haqeeqi kay pass laye jayen gay. Khoob sunn lo faisla Allah hi ka hoga aur woh boht jald hisab ley ga

[63] Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko khushki aur darya ki zulmat say nijat deta hai. Tum uss ko pukartay ho girr girra ker aur chupkay chupkay kay agar tu hum ko inn say nijat dey dey to hum zaroor shukar kerney walon mein say ho jayen gay

[64] Aap keh dijiye kay Allah hi tum ko inn say nijat deta hai aur her ghum say tum phir bhi shirk kerney lagtay ho

[65] Aap kahiye kay iss per bhi wohi qadir hai kay tum per koi azab tumharay upper say bhej dey ya tumharay paon talay say ya kay tum ko giroh giroh ker kay sab ko bhira dey aur tumharay aik doosray ki laraee chakha dey. Aap dekhiye to sahi hum kiss tarah dalaeel mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain shayad woh samajh jayen

[66] Aur aap ki qom iss ki takzeeb kerti hai halankay woh yaqeeni hai. Aap keh dijiye kay mein tum per taaeenaat nahi kiya gaya hun

[67] Her khabar (kay waqoo) ka aik waqt hai aur jald hi tum ko maloom hojaye ga

[68] Aur jab aap unn logon ko dekhen jo humari aayaat mein aib joee ker rahey hain to inn logon say kinara kash hojayen yahan tak kay woh kissi aur baat mein lagg jayen aur agar aap ko shetan bhula dey to yaad aaney kay baad phir aisay zalim logon kay sath mat bethen

[69] Aur jo log perhezgar hain unn per inn ki baaz purs ka koi asar na phonchay ga aur lekin inn kay zimmay naseehat ker dena hai shayad woh bhi taqwa ikhtiyar keren

[70] Aur aisay logon say bilkul kinara kash rahen jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha hai aur dunyawi zindagi ney unhen dhokay mein daal rakha hai aur iss quran kay zariye say naseehat bhi kertay rahen takay koi shaks apney kirdaar kay sabab (iss tarah) na phans jaye kay koi ghair Allah uss ka na madagar ho aur na sifarshi aur yeh keyfiyar ho kay agar duniya bhar ka maawza bhi dey daalay tab bhi uss say na liya jaye. Aisay hi hain kay apney kirdaar kay sabab phans gaye unn kay liye nihayat tez garam pani peeney kay liye hoga aur dard naak saza hogi apney kufur kay sabab

[71] Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen

[72] Aur yeh kay namaz ki pabandi kero aur iss say daro aur wohi hai jiss kay pass tum jama kiye jao gay

[73] Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala

[74] Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jab ibrahim (alh-e-salam) ney apney baap aazar say farmaya kay kiya tu button ko mabood qarar deta hai? Be-shak mein tujh ko aur teri sari qom ko sareeh gumrahi mein dekhta hun

[75] Aur hum ney aisay hi tor per ibrahim (alh-e-salam) ko aasmanon aur zamin ki makhlooqaat dikhlaeen aur takay kaamil yaqeen kerney walon say hojayen

[76] Phir jab raat ki tareeki unn per cha gaee to unhon ney aik sitara dekha aap ney farmaya kay yeh mera rab hai magar jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay mein ghuroob ho janey walon say mohabbat nahi rakhta

[77] Phir jab chand ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai lekin jab woh ghuroob hogaya to aap ney farmaya kay agar mujh ko meray rab ney hidayat na ki to mein gumrah logon mein shamil ho jaon ga

[78] Phir jab aftab ko dekha chamakta hua to farmaya kay yeh mera rab hai yeh to sab say bara hai phir jab woh bhi ghuroob hogaya to aap ney farmaya be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun

[79] Mein apna rukh uss ki taraf kerta hun jiss ney aasman-o-zamin ko peda kiya yaksoo hoker aur mein shirk kerney walon mein say nahi hun

[80] Aur unn say unn ki qom ney hujjat kerna shuroo kiya aap ney farmaya kiya tum Allah kay moamlay mein mujh say hujjat kertay ho halankay uss ney mujhay tareeqa batla diya hai aur mein unn cheezon say jin ko tum Allah kay sath shareek banatay ho nahi darta haan agar mera perwerdigar hi koi amar chahaye mera perwerdigar her cheez ko apney ilm mein gheray huye hai kiya tum phir bhi khayal nahi kertay

[81] Aur mein inn cheezon say kaisay darron jin ko tum ney shareek banaya hai halankay tum iss baat say nahi dartay kay tum ney Allah kay sath aisi cheezon ko shareek thehraya hai jin per Allah Taalaa ney koi daleel nazil nahi farmaee so inn do jamaton mein say aman ka ziyada mustahiq kaun hai agar tum khabar rakhtay ho

[82] Jo log eman rakhtay hain aur apney eman ko shirk kay sath makhloot nahi kertay aison hi kay liye aman hai aur wohi raah-e-raast per chal rahey hain

[83] Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain. Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai

[84] Aur hum ney unn ko ishaq diya aur yaqoob her aik ko hum ney hidayat ki aur pehlay zamney mein hum ney nooh ko hodayat ki aur unn ki aulad mein say dawood ko aur suleman ko aur ayub ko aur yousuf ko aur musa ko aur haroon ko aur issi tarah hum nek kaam kerney walon ko jaza diya kertay hain

[85] Aur (naiz) zakriya ko aur yahya ko aur essa ko aur ilyas ko sab nek logon mein say thay

[86] Aur naiz ismail ko yasaa ko aur younus ko aur loot ko aur her aik ko tamam jahaan walon per hum ney fazeelat di

[87] Aur naiz inn kay kuch baap dadon ko aur kuch aulad ko aur kuch bhaiyon ko aur hum ney unn ko maqbool banaya aur hum ney unn ko raah-e-raast ki hidayat ki

[88] Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay

[89] Yeh log aisay thay kay hum ney unn ko kitab aur hikmat aur naboowat ata ki thi so agar yeh log naboowat ka inkar keren to hum ney iss kay liye aisay boht say log muqarrar ker diye hain jo iss kay munkir nahi hain

[90] Yehi log aisay thay jin ko Allah Taalaa ney hidayat ki thi so aap bhi inn hi kay tareeq per chaliye aap keh dijiye kay mein tum say iss per koi maawza nahi chahata yeh to sirf tamam jahaan walon kay wastay aik naseehat hai

[91] Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray. Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye

[92] Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain

[93] Aur uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per jhoot tohmar lagaye ya yun kahey kay mujh per wahee aati hai halankay uss kay pass kissi baat ki bhi wahee nahi aaee aur jo shaks yun kahey kay jaisa kalaam Allah ney nazil kiya hai ussi tarah ka mein bhi laata hun aur agar aap uss waqt dekhen jabkay yeh zalim log maut ko sakhtiyon mein hongay aur farishtay apney haath barha rahey hongay kay haan apni jaanen nikal lo. Aaj tum ko zillat ki saza di jaye gi iss sabab say kay tum Allah Taalaa kay zimmay jhooti baaten lagatay thay aur tum Allah Taalaa ki aayaat say takabbur kertay thay

[94] Aur tum humaray pass tanha tanha aagaye jiss tarah hum ney awwal baar tum ko peda kiya tha aur jo kuch hum ney tum ko diya tha uss ko apney peechay hi chor aaye aur hum to tumharay humrah tumharay inn shafaat kerney walon ko nahi dekhtay jin ki nisbat tum dawa rakhtay thay kay woh tumharay moamlay mein shareek hain. Waqaee tumharay aapas mein to qata talluq hogaya aur woh tumhara sab tum say gaya guzra hua

[95] Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho

[96] Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir hai baray ilm wala hai

[97] Aur woh aisay hai jiss ney sitaron ko peda kiya takay tum unn kay zariye say andheron mein khushki mein aur darya mein bhi raasta maloom ker sako. Be-shak hum ney dalaeel khoob khol khol ker biyan ker diye hain unn logon kay liye jo khabar rakhtay hain

[98] Aur woh aisa hai jiss ney tum ko aik shaks say peda kiya phir aik jagah ziyada rehney ki hai aur aik jagah chanday rehney ki be-shak hum ney dalaeel khoob khoob khol khol ker biyan ker diye unn logon kay liye jo samajh boojh rakhtay hain

[99] Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain

[100] Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain

[101] Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her cheez ko khoob janta hai

[102] Yeh hai Allah Taalaa tumhara rab! Uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi her cheez ka peda kerney wala hai to tum uss ki ibadat kero aur woh her cheez ka kaar saaz hai

[103] Uss ko to kissi ki nigah moheet nahi ho sakti aur woh sab nigahon ka moheet ho jata hai aur wohi bara bareek been ba khabar hai

[104] Abb bila shuba tumharay pass tumharay rab ki janib say haq beeni kay zaraye phonch chukay hain so jo shaks dekh ley ga woh apna faeeda keray ga aur jo shaks andha rahey ga woh apna nuksan keray ga aur mein tumhara nigaraan nahi hun

[105] Aur hum iss tor per dalaeel ko mukhtalif pehloo’on say biyan kertay hain takay yeh yun kahen kay aap ney kissi say parh liya hai aur takay hum iss ko danish mandon kay liye khoob zahir ker den

[106] Aap khud iss tareeq per chaltay rahiye jiss ki wahee aap kay rab ki taraf say aap kay pass aaee hai Allah Taalaa kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi aur mushrikeen ki taraf khayal na kijiye

[107] Aur agar Allah Taalaa ko manzoor hota to yeh shirk na kertay aur hum ney aap ko inn ka nigraan nahi banaya. Aur na aap inn per mukhtaar hain

[108] Aur gaali mat do unn ko jin ki yeh log Allah Taalaa ko chor ker ibadat kertay hain kiyon kay phir woh ba-raah-e-jahal hadd say guzar ker Allah Taalaa ki shaan mein gustakhi keren gay hum ney iss tarah her tareeqay walon ko unn ka amal marghoob bana rakha hai. Phir apney rab hi kay pass inn ko jana hai so woh inn ko batla dey ga jo kuch bhi woh kiya kertay thay

[109] Aur inn logon ney qasmon mein bara zor laga ker Allah Taalaa ki qasam khaee kay agar inn kay pass koi nishani aajaye to woh zaroor hi uss per eman ley aayen gay aap keh dijiye kay nishaniyan sab Allah kay qabzay mein hain aur tum ko iss ki kiya khabar kay woh nishaniyan jiss waqt aajayen gi yeh log tab bhi eman na layen gay

[110] Aur hum bhi inn kay dilon ko aur inn ki nigahon ko pher den gay jaisa kay yeh log iss per pehli dafa eman na laye aur hum inn ko inn ki sirkashi mein heyraan rehney den gay

[111] Aur agar hum inn kay pass farishton ko bhej detay aur inn say murday baaten kerney lagtay aur hum tamam mojodaat inn kay pass inn ki aankhon kay roo baroo laa ker jama ker detay hain tab bhi yeh log hergiz eman na latay haan agar Allah hi chahaye to aur baat hai lekin inn mein ziyada logo jahalat ki baaten kertay hain

[112] Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye

[113] Aur takay uss ki taraf unn logon kay quloob maeel hojayen jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aur takay uss ko pasand kerlen aur takay murtakib hojayen unn umoor kay jin kay woh murtakib hotay thay

[114] To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon

[115] Aap kay rab ka kalaam sachaee aur insaf kay aetabaar say kaamil hai iss kay kalaam ko koi badalney wala nahi aur woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai

[116] Aur duniya mein ziyada log aisay hain kay agar aap unn ka kehna mannay lagen to woh aap ko Allah ki raah say bey raah ker den woh mehaz bey asal khayalaat per chaltay hain aur bilkul qayassi baaten kertay hain

[117] Bil yaqeen aap ka rab unn ko khoob janta hai jo iss ki raah say bey raah ho jata hai. Aur woh unn ko bhi khoob janta hai jo uss ki raah per chaltay hain

[118] So jiss janwar per Allah ka naam liya jaye uss mein say khao! Agar tum uss kay ehkaam per eman rakhtay ho

[119] Aakhir kiya waja hai kay tum aisay janwar mein say na khao jiss per Allah ka naam liya gaya ho halankay Allah ney unn sab janwaron ki tafseel bata di hai jin ko tum per haram kiya hai magar woh bhi jab tum ko sakht zaroorat parr jaye to halal hai aur yeh yaqeeni baat hai kay boht say aadmi apney khayalaat per bila kissi sanad kay gumrah kertay hain. Iss mein koi shuba nahi kay Allah Taalaa hadd say nikal janey walon ko khoob janta hai

[120] Aur tum zahiri gunah ko bhi chor do aur baatini gunah ko chor do. Bila shuba jo log gunah ker rahey hain unn ko unn kay kiye ki un-qarib saza milay gi

[121] Aur aisay janwaron mein say mat khao jin per Allah ka naam na liya gaya ho aur yeh kaam na farmani ka hai aur yaqeenan shayateen apney doston kay dilon mein daaltay hain takay yeh tum say jidal keren aur agar tum inn logon ki ita’at kerney lago to yaqeenan tum mushrik hojao

[122] Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain

[123] Aur issi tarah hum ney her basti mein wahan kay raeeson hi ko jaraeem ka murtakib banaya takay woh log wahan fareb keren. Aure woh log apney hi sath fareb ker rahey hian aur inn ko zara khabar nahi

[124] Aur jab inn ko koi aayat phonchti hai to yun kehtay hain kay hum hergiz eman na layen gay jab tak kay hum ko bhi aisi hi cheez na di jaye jo Allah kay rasoolon ko di jati hai iss moqay ko to Allah hi khoob janta hai kay kahan woh apni payghumbari rakhay? Un-qarib inn logon ko jinhon ney jurm kiya hai Allah kay pass phonch ker zillat phonchay gi aur inn ki shararaton kay muqablay mein sazay-e-sakht

[125] So jiss shaks ko Allah Taalaa raastay per daalna chahaye uss key seenay ko islam kay liye kushada ker deta hai aur jiss ko bey raah rakhna chahaye uss kay seenay ko boht tang ker deta hai jaisay koi aasman mein charhta hai issi tarah Allah Taalaa eman na laney walo per na paki musallat ker deta hai

[126] Aur yehi teray rab kay seedha raasta hai. Hum ney naseehat hasil kerney walon kay wastay inn aayaton ko saaf saaf biyan ker diya

[127] Inn logon kay wastay inn kay rab kay pass salamti ka ghar hai aur Allah Taalaa inn say mohabbat rakhta hai inn kay aemaal kay waja say

[128] Aur jiss roz Allah Taalaa tamam khalaeeq ko jama keray ga (kahey ga) aey jamat jinnaat ki! Tum ney insanon mein say boht say apna liye jo insan inn kay sath talluq rakhney walay thay woh kahen gay aey humaray perwerdigar hum mein aik ney doosray say faeeda hasil kiya tha aur hum apni iss moyyen muddat tak aa phonchay jo tu ney humaray liye moyyen farmaee Allah farmaye ga kay tum sab ka thikana dozakh hai jiss mein hamesha raho gay haan agar Allah hi ko manzoor hoto doosri baat hai. Be-shak aap ka rab bari hikmat wala bara ilm wala hai

[129] Aur issi tarah hum baaz kuffaar ko baaz kay qarib rakhen gay unn kay aemaal kay sabab

[130] Aey jinnaat aur insanon ki jamat! Kiya tumharay pass tum mein say hi payghumbar nahi aaye thay jo tum say meray ehkaam biyan kertay aur tum ko iss aaj kay din ki khabar detay? Woh sab arz keren gay kay hum apney upper iqrar kertay hain aur inn ko dunyawi zindagi ney bhool mein dalay rakha aur yeh log iqrar kerney walay hongay kay woh kafir thay

[131] Yeh iss waja say hai kay aap ka rab kissi basti walon ko kufur kay sabab aisi halat mein halak nahi kerta kay uss basti kay rehney walay bey khabar hon

[132] Aur her aik kay liye unn kay aemaal kay sabab darjay milen gay aur aap ka rab inn kay aemaal say bey khabar nahi hai

[133] Aur aap ka rab bilkul ghani hai rehmat wala hai agar woh chahaye to tum sab ko utha ley aur tumharay baad jiss ko chahaye tumhari jagah aabad keray jaisa kay tum ko aik doosri qom ki nasal say peda kiya hai

[134] Jiss cheez ka tum say wada kiya jata hai woh be-shak aaney wali cheez hai aur tum aajiz nahi ker saktay

[135] Aap yeh farma dijiye kay aey meri qom ! Tum apni halat per amal kertay raho mein bhi amal ker raha hun so abb jald hi tum ko maloom hua jata hai kay iss aalam ka anjam kaar kiss kay liye naafay hoga. Yeh yaqeeni baat hai kay haq talfi kerney walon ko kabhi falah na hogi

[136] Aur Allah Taalaa ney jo kheti aur mawashi peda kiye hain inn logon ney inn mein say kuch hissa Allah ka muqarrar kiya aur ba-zom khud kehtay hain kay yeh to Allah ka hai aur yeh humaray maboodon ka hai phir jo cheez inn kay maboodon ki hoti hai woh to Allah ki taraf nahi phonchti aur jo cheez Allah ki hoti hai woh inn kay maboodon ki taraf phonch jati hai kiya bura faisla woh kertay hain

[137] Aur issi tarah boht say mushrikeen kay khayal mein unn kay maboodon ney unn ki aulad kay qatal kerney ko mustehsan bana rakha hai takay woh inn ko barbad keren aur takay inn kay deen ko inn per mushtaba ker den aur agar Allah ko manzoor hota to yeh aisa kaam na kertay to aap inn ko aur jo kuch ghalat baaten yeh bana rahey hain yun hi rehney dijiye

[138] Aur woh apney khayal per yeh bhi kehtay hain kay yeh kuch mawashi hain aue khet hain jin ka isteymaal her shaks ko jaeez nahi inn ko koi nahi kha sakta siwaye unn kay jin ko hum chahayen aur mawashi hain jin per sawari ya baar bardari haram ker di gaee aue kuch mawashi hain jin per yeh log Allah Taalaa ka naam nahi letay mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Abhi Allah Taalaa inn ko inn kay iftra ki saza diye deta hai

[139] Aur woh kehtay hain kay jo cheez inn mawashi kay pet mein hai woh khalis humaray mardon kay liye hai aur humari aurton per haram hai. Aur agar woh murda hai to iss mein sab barabar hain abhi Allah inn ko inn ki ghalat biyani ki saza diye deta hai bila shuba woh hikmat wala hai aur woh bara ilm wala hai

[140] Waqaee kharabi mein parr gaye woh log jinhon ney apni aulad ko mehaz barah-e-himaqat bila kiss sanad kay qatal ker dala aur jo cheez inn ko Allah ney khaney peeney ko di thin unn ko haram ker liya mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Be-shak yeh log gumrahi mein parr gaye aur kabhi raah-e-raast per chalney walay nahi huye

[141] Aur wohi hai jiss ney baghaat peda kiye woh bhi jo tattiyon per charhaye jatay hain aur woh bhi jo tattiyon per nahi charhaye jatay aur khujoor kay adrakht aur kheti jin mein khaney ki cheezen mukhatalif tor ki hoti hain aur zaitoon aur anaar jo bahum aik doosray kay mushabay bhi hotay hain aur aik doosray kay mushabay nahi bhi hotay inn sab kay phalon mein say khao jab woh nikal aaye aue iss mein jo haq wajib hai woh iss kay kaatney kay din diya kero aur hadd say mat guzro yaqeenan woh hadd say guzarney walon ko na pasand kerta hai

[142] Aur mawashi mein oonchay qad kay aur chotay qad kay (peda kiye) jo kuch Allah ney tum ko diya hai khao aur shetan kay qadam ba qadam mat chalo bila shak woh tumhara sareeh dushman hai

[143] (peda kiye) aath narr-o-maada yani bhair mein do qisam aur bakri mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Tum mujh ko kissi daleel say to batao agar sachay ho

[144] Aur oont mein do qisam aur gaye mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah Taalaa ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Kiya tum hazir thay jiss waqt Allah Taalaa ney tum ko iss ka hukum diya? To uss say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per bila daleel jhooti tohmat lagaye takay logon ko gumrah keray yaqeenan Allah Taalaa zalim logon ko raasta nahi dikhlata

[145] Aap keh dijiye kay jo kuch ehkaam ba-zariya wahee meray pass aaye hain unn mein to mein koi haram nahi pata kissi khaney walay kay liye jo uss ko khaye magar yeh kay woh murdaar ho ya khinzeer ka gosht ho kiyon kay woh bilkul na pak hai ya jo shirk ka zariya ho kay ghair Allah kay liye naamzad ker diya gaya ho. Phir jo shaks majboor hojaye ba-shart-e-kay na to taalib-e-lazzat ho aur na tajawuz kerney wala ho to waqaee aap ka rab ghafoor-ur-raheem hai

[146] Aur yahun per hum ney tamam nakhun walay janwar haram ker diye thay aur gaye aur bakri mein say inn dono ki charbiyan unn per hum ney haram ker di thin magar woh jo unn ki pusht per ya antriyon mein lagi ho ya jo haddi say milli ho. Unn ki shararat kay sabab hum ney unn ko yeh saza di aur hum yaqeenan sachay hain

[147] Phir agar yeh aap ko kaazib kahen to aap farma dijiye kay tumhara rab bara wasee rehmat wala hai aur iss ka azab mujrim logon say na talay ga

[148] Yeh mushrikeen (yun) kahen gay kay agar Allah Taalaa ko manzoor hota to na hum shirk kertay aur na humaray baap dada aur na hum kissi cheez ko haram keh saktay. Issi tarah jo log inn say pehlay ho chukay hain unhon ney bhi takzeeb ki thi yahan tak kay unhon ney humaray azab ka maza chakha. Aap kahiye kay kiya tumharay pass koi daleel hai to iss ko humaray roo baroo zahir kero. Tum log mehaz khayali baaton per chaltay ho aur tum bilkul atkal say baaten banatay ho

[149] Aap kahiye kay bus poori hujjat Allah hi ki rahi. Phir agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per ley aata

[150] Aap kahiye kay apney gawahon ko lao jo iss baat per shahadat den kay Allah ney inn cheezon ko haram ker diya hai phir agar woh gawahi dey den to aap iss ki shahadat na dijiye aur aisay logon kay baatil khayalaat ka ittabaa mat kijiye! Jo humari aayaton ki takzeeb kertay hain aur woh jo aakhirat per eman nahi rakhtay aur woh apney rab kay barabar doosron ko thehratay hain

[151] Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin (yani jin ki mukhalifat) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath ehsan kero aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero. Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain aur bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho

[152] Aur yateem kay maal kay pass na jao magar aisay tareeqay say jo kay mustehsan hai yahan tak kay woh apney sann rashd ko phonch jaye aur naap tol poori poori kero insaf kay sath hum kissi shaks ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay. Aur jab tum baat kero to insaf kero go woh shaks qarabat daar hi ho aur Allah Taalaa say jo ehad kiya uss ko poora kero inn ka Allah Taalaa ney tum ko takeedi hukum diya hai takay tum yaad rakho

[153] Aur yeh kay yeh deen mera raasta hai jo mustaqeem hai so iss raah per chalo aur doosri raahon per mat chalo kay woh raahen tum ko Allah ki raah say juda ker den gi. Iss ka tum ko Allah ney takeedi hukum diya hai takay tum perhezgari ikhtiyar kero

[154] Phir hum ney musa (alh-e-salam) ko kitab di thi jiss say achi tarah amal kerney walon per nemat poori ho aur sab ehkaam ki tafseel hojaye aur rehnumaee ho aur rehmat ho takay woh log apney rab kay milney per yaqeen layen

[155] Aue yeh kay aik kitab hai jiss ko hum ney bheja bari khair-o-barkat wali so iss ka ittabaa kero aur daro takay tum per rahmat ho

[156] Kahin tum log yeh na kaho kay kitab to sirf hum say pehlay jo do firqay thay unn per nazil hui thi aur hum unn kay parheny parhaney say bey khabar thay

[157] Ya yun na kaho kay agar hum per koi kitab nazil hoti to hum inn say bhi ziyada raah-e-raast per hotay. So abb tumharay pass tumhara rab kay pass say aik kitab wazeh aur rehnumaee ka zariya aur rehmat aa chuki hai. Abb iss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo humari inn aayaton ko jhoota bataye aur iss say rokay. Hum jald hi inn logon ko jo kay humari aayaton say roktay hain inn kay iss rokney kay sabab sakht saza den gay

[158] Kiya yeh log sirf iss amar kay muntazir hain kay inn kay pass farishtay aayen ya inn kay pass aap ka rab aaye ya aap kay rab ki koi (bari) nishani aaye? Jiss roz aap kay rab ki koi bari nishani aa phoncya gi kissi aisay shaks ka eman uss kay kaam na aaye ga jo pehlay say eman nahi rakhta. Ya uss ney apney eman mein koi nek amal na kiya ho. Aap farma dijiye kay tum muntazir raho hum bhi muntazir hain

[159] Be-shak jin logon ney apney deen ko juda juda ker diya aur giroh giroh bann gaye aap ka unn say koi talluq nahi bus unn ka moamla Allah Taalaa kay hawalay hai. Phir inn ko inn ka kiya hua jatla den gay

[160] Jo shaks nek kaam keray ga uss ko uss kay das gunah milen gay aur jo shaks bura kaam keray ga uss ko iss kay barabar hi saza milay gi aur inn logon per zulm nahi hoga

[161] Aap keh dijiye kay mujh ko meray rab ney aik seedha raasta bata diya hai kay woh aik deen mustehkum hai jo tareeqa hai ibrahim (alh-e-salam) ka jo Allah ki taraf raksoo thay. Aur woh shirk kerney walon mein say na thay

[162] Aap farma dijiye kay bil yaqeen meri namaz aur meri sari ibadat aur mera jeena aur mera marna yeh sab khalis Allah hi ka hai jo saray jahaan ka maalik hai

[163] Uss ka koi shareek nahi aur mujh ko issi ka hukum hua hai aur mein sab mannay walon mein say pehla hun

[164] Aap farma dijiya kay kiya mein Allah kay siwa kissi aur ko rab bananey kay liye talash keroon halankay woh maalik hai her cheez ka aur jo shaks bhi koi amal kerta hai woh ussi per rehta hai aur koi kissi doosray ka bojh na uthaye ga. Phir tum sab ko apney rab kay pass jana hoga. Phir woh tum ko jatlaye ga jiss jiss cheez mein tum ikhtilaf kertay thay

[165] Aur woh aisa hai jiss ney tum ko zamin mein khalifa banaya aur aik ka doosray per rutba barhaya takay tum ko aazmaye unn cheezon mein jo tum ko di hain. Bil yaqeen aap ka rab jald saza denay wala hai aur bil yaqeen woh waqaee bari maghfirat kerney wala meharbani kerney wala hai

الاعراف

Surah 7

[1] Alif-laam-meem-suaad

[2] Yeh aik kitab hai jo aap kay pass iss liye bheji gaee hai kay aap iss kay zariye say darayen so aap kay dil mein iss say bilkul tangi na ho aur naseehat hai eman walon kay liye

[3] Tum log uss ki ittabaa kero jo tumharay rab ki taraf say aaee hai aur Allah Taalaa ko chor ker mann gharat sir paraston ki ittabaa mat kero tum log boht hi kum naseehat pakartay ho

[4] Aur boht bastiyon ko hum ney tabah ker diya aur unn per humara azab raat kay waqt phonchaya aisi halat mein kay woh dophare kay waqt aaram mein thay

[5] So jiss waqt unn per humara azab aaya uss waqt unn kay mun say ba-juz iss kay aur koi baat na nikli kay waqaee hum zalim thay

[6] Phir hum unn logon say zaroor poochen gay jin kay pass payghumbar bhejay gaye thay aur hum payghumbaron say zaroor poochen gay

[7] Phir hum chunkay poori khabar rakhtay hain unn kay roo baroo biyan ker den gay. Aur hum kuch bey khabar na thay

[8] Aur uss roz wazan bhi bar haq hai phir jiss shaks ka palla bhari hoga so aisay log kaamyab hongay

[9] Aur jiss shaks ka palla halka hoga so yeh woh log hongay jinhon ney apna nuksan ker liya ba-sabab iss kay kay humari aayaton kay sath zulm kertay thay

[10] Aur be-shak hum ney tum ko zamin per rehney ki jagah di aur hum ney tumaharay liye iss mein samaan-e-rizq peda kiya tum log boht hi kum shukar kertay ho

[11] Aur hum ney tum ko peda kiya phri hum hi ney tumhari soorat banaee phir hum ney farishton say kaha aadam ko sajda kero so sab ney sajda kiya ba-juz iblees kay woh sajda kerney walon mein shamil na hua

[12] Haq Taalaa ney farmayato jo sajda nahi kerta to tujh ko iss say kaun amr-e-maaney hai jabkay mein tujh ko hukum dey chuka kehney laga mein iss say behtar hun aap ney mujh ko aag say peda kiya hai aur iss ko aap ney khaak say peda kiya hai

[13] Haq Taalaa ney farmaya tu aasman say utar tujh ko koi haq hasil nahi kay tu aasman mein reh ker takabbur keray so nikal bey shak to zaleelon mein say hai

[14] Uss ney kaha mujh ko mohlat dijiye qayamat kay din tak

[15] Allah Taalaa ney farmaya tujh ko mohlat di gaee

[16] Uss ney kaha ba-sabab iss kay, kay aap ney mujhay gumrah kiya hai mein qasam khata hun kay mein inn kay liye aap ki seedhi raah per bethon ga

[17] Phir inn per hamla keroon ga aur inn kay aagay say bhi aur inn kay peechay say bhi aur inn ki dhaani janib say bhi aur inn ki bayen janib say bhi aur aap inn mein say aksar ko shukar guzar na payiye ga

[18] Allah Taalaa ney farmaya kay yahan say zaleel-o-khuwar hoker nikal jaa jo shaks inn say mein tera kehna maney ga mein zaroor tum sab say jahannum ko bhar doon ga

[19] Aur hum ney hukum diya kay aey aadam! Tum aur tumhari biwi jannat mein raho. Phir jiss jagah say chahao dono khao aur uss darakht kay pass mat jao werna tum dono zalimon mein say hojao gay

[20] Phir shetan ney inn dono kay dilon mein waswasa dala takay inn ki sharamgahen jo aik doosray say posheeda thi dono kay roo baroo parda kerdey aur kehney laga kay tumharay rab ney tum dono ko iss darakht say aur kissi sabab say mana nahi farmaya magar mehaz iss waja say kay tum dono kahin farishtay hojao ya kahin hamesha zinda rehney walon mein say na hojao

[21] Aur inn dono kay roo baroo qasam kha li kay yaqeen janiye mein tum dono ka khair khuwa hun

[22] So inn dono ko fareb say neechay le aaya pus inn dono ney jab darakht ko chakha dono ki sharamgahen aik doosray kay roo baroo bey parda hogayen aur dono apney upper jannat kay pattay jor jor ker rakhne lagay aur inn kay rab ney inn ko pukara mein tum dono ko iss darakht say mana nahi ker chuka tha aur yeh na keh chuka kay shetan tumhara sareeh dushman hai

[23] Dono ney kaha aey humaray rab! Hum ney apna bara nuksan kiya aur agar tu humari maghfirat na keray ga aur hum per reham na keray ga wo waqaee hum nuksan paney walon mein say hojayen gay

[24] Haq Taalaa ney farmaya kay neechay aisi halat mein aajao kay tum bahum aik doosray kay dushman hogay aur tumharay wastay zamin mein rehney ki jagah hai aur nafa hasil kerna hai aik waqt tak

[25] Farmaya tum ko wahan hi zindagi basar kerna hai aur wahan hi marna hai aur issi mein phir nikalay jao gay

[26] Aey aadam (alh-e-salam) ki aulad hum ney tumharay liye libas peda kiya jo tumhari sharamgahon ko bhi chupata hai aur mojib-e-zeenat bhi hai aur taqway ka libas yeh iss say barh ker hai. Yeh Allah Taalaa ki nishaniyon mein say hai takay yeh log yaad rakhen

[27] Aey aulad-e-aadam! Shetan tum ko kissi kharabi mein na daal dey jaisa kay uss ney tumharay maa baap ko jannat say bahir kera diya aisi halat mein unn ka libas bhi utarwa diya takay woh inn ko inn ki sharamgahen dikhaye. Woh aur uss ka lashkar tum ko aisay tor per dekhta hai kay tum unn ko nahi dekhta ho. Hum ney shetanon ko unn hi logon ka dost banaya hai jo eman nahi latay

[28] Aur woh log koi fahash kaam kertay hain to kehtay hain hum ney apney baap dada ko issi tareeq per paya hai aur Allah ney bhi hum ko yehi bataya hai. Aap keh dijiye kay Allah fahash baat ki taleem nahi deta kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ko tum sanad nahi rakhtay

[29] Aap keh dijiye kay meray rab ney hukum diya hai insaf ka aur yeh kay tum her sajda kay waqt apna rukh seedha rakha kero aur Allah Taalaa ki ibadat iss tor per kero kay iss ibadat ko khalis Allah hi kay wastay rakho. Tum ko Allah ney jiss tarah shuroo mein peda kiya tha issi tarah tum doobara peda hogay

[30] Baaz logon ko Allah ney hidayat di hai aur baaz per gumrahi sabit hogaee hai. Inn logon ney Allah Taalaa ko chor ker shetanon ko dost bana liya hai aur khayal rakhtay hain kay woh raast per hain

[31] Aey aulad-e-aadam! Tum masjid ki her hazri kay waqt apna libas pehan liya kero. Aur khoob khao aur piyo aur hadd say mat niklo. Be-shak Allah hadd say nikal janey walon ko pasand nahi kerta

[32] Aap farmaiye kay Allah Taalaa kay peda kiye huye asbaab-e-zeenat ko jin ko uss ney apney bandon kay wastay banaya hai aur khaney peenay ki halal cheezon ko kiss shaks ney haram kiya hai? Aap keh dijiye kay yeh ashiya iss tor per kay qayamat kay roz khalis hongi ehal-e-eman kay liye dunyawi zindagi mein mominon kay liye bhi hain. Hum issi tarah tamam aayaat ko samajh daron kay wastay saaf saaf biyan kertay hain

[33] Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi

[34] Aur her giroh kay liye aik miyaad-e-moyyen hai so jiss waqt inn ki miyaad-e-moyyen aajayegi uss waqt aik sa’at na peechay hatt saken gay aur na aagay barh saken gay

[35] Aey aulad-e-aadam! Agar tumharay pass payghumbar aayen jo tum hi mein say hon jo meray ehkaam tum say biyan keren to jo shaks taqwa ikhtiyar keray aur durusti keray so inn logon per na kuch andesha hai aur na woh ghumgeen hongay

[36] Aur jo log humaray inn ehkaam ko jhutlayen aur inn say takabbur keren woh log dozakh walay hongay woh iss mein hamesha hamesha rahen gay

[37] So uss shaks say ziyada zalim kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot banadhay ya uss ki aayaton ko jhoota bataye inn logon kay naseeb ka jo kuch kitab say hai woh inn ko mill jayega yahan tak kay jab inn kay pass humaray bhejay huye farishtay inn ki jaan qabz kerney aayen gay to kahen gay woh kahan gaye jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay thay woh kahen gay kay hum say sab ghaeeb hogaye aur apney kafir honey ka iqrar keren gay

[38] Allah Taalaa farmaye ga jo firqay tum say pehlay guzar chukay hain jinnaat mein say bhi aur aadmiyon mein say bhi unn kay sath tum bhi dozakh mein jao. Jiss waqt bhi koi jamat dakhil hogi apni doosti jamat ko laanat keray gi yahan tak kay jab iss mein sab jama hojayen gay to pichlay log pehlay logon ki nisbat kahen gay kay humaray perwerdigar hum ko inn logon ney gumrah kiya tha so inn ko dozakh ka azab dugna dey. Allah Taala farmaye ga sab hi ka dugna hai lekin tum ko khabar nahi

[39] Aur pehlay log pichlay logon say kahen gay kay phir tum ko hum per koi foqiyat nahi so tum bhi apni kamaee kay badlay mein azab ka maza chakho

[40] Jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say takbbur kiya unn kay liye aasman kay darwazay na kholay jayen gay aur woh log kabhi jannat mein na jayengay jab tak oont sui kay nakay kay andar say na chala jaye aur hum mujrim logon ko aisi hi saza detay hain

[41] Unn kay liye aatish-e-dozakh ka bichona hoga aur unn kay upper (issi) ka ordhna hoga aur hum aisay zalimon ko aisi hi saza detay hain

[42] Aur jo log eman laye aur nek kaam kiye hum kissi shaks ko uss ki qudrat say ziyada kissi ka mukallaf nahi banatay wohi log jannat walay hain aur woh iss mein hamesha hamesha rahen gay

[43] Aur jo kuch inn kay dilon mein (keena) tha hum uss ko door ker den gay. Inn kay neechay nehren jari hongi. Aur woh log kahen gay kay Allah ka (lakh lakh) shukar hai jiss ney hum ko iss moqam tak phonchaya aur humari kabhi rasaee na hoti agar Allah Taalaa hum ko na pehchanta. Waqaee humaray rab kay payghumbar sachi baaten ley ker aaye thay. Aur inn say pukar ker kaha jayega iss jannata kay tum waris banaye gaye ho apney aemaal kay badlay

[44] Aue ehal-e-jannat ehal-e-dozakh ko pukaren gay kay hum say jo humaray rab ney wada farmaya tha hum ney to uss ko waqiyey kay mutabiq paya so tum say jo tumharay rab ney wada kiya tha tum ney bhi uss ko waqiyey kay mutabiq paya? Woh kahen gay haan phir aik pukarney wala dono kay darmiyan mein pukaray ga kay Allah ki maar ho inn zalimon per

[45] Jo Allah ki raah say aeyraaz kertay thay aur iss mein kuji talash kertay thay aur woh log aakhirat kay bhi munkir thay

[46] Aur inn dono kay darmiyan aik aarr hogi aur aeyraaf kay upper boht say aadmi hongay woh log her aik ko unn kay qayafa say pehchaney gay aue ehal-e-jannat ko pukar ker kahen gay asslam-o-alaikum! Abhi yeh ehal-e-aeyraaf jannat mein dakhil nahi huye hongay aur iss kay umeed waar hongay

[47] Aur jab inn ki nigahen ehal-e-dozakh ki taraf phiren gi to kahen gay aey humaray rab! Hum ko inn zalim logon kay sath shamil na ker

[48] Aur ehal-e-aeyraaf boht say aadmiyon ko jin ko unn kay qayafa say pehchanen gay pukaren gay kahen gay kay tumhari jamat aur tumhara apney ko bara samajhna tumharay kuch kaam na aaya

[49] Kiye yeh wohi hai jin ki nisbat tum qasmen kha kha ker kaha kertay thay kay Allah Taalaa inn per rehmat na keray ga inn ko yun hukum hoga kay jao jannat mein tum per na kuch khof hai aur na tum maghmoom hogay

[50] Aur dozakh walay jannat walon ko pukaren gay kay humaray upper thora pani hi daal do ya aur hi kuch dey do jo Allah ney tum ko dey rakha hai. Jannat walay kahen gay kay Allah Taalaa ney dono cheezon ki kafiron kay liye bandish ker di hai

[51] Jinhon ney apney deen ko khel tamasha bana rakha tha aur jin ko dunyawi zindagi dhokay mein daal rakha tha. So hum (bhi) aaj kay roz unn ka naam bhool jayengay jaisa kay woh iss din ko bhool gaye aur jaisa yeh humari aayaton ka inkar kertay thay

[52] Aur hum ney inn logon kay pass aik aisi kitab phoncha di hai jiss ko hum ney apney ilm-e-kaamil say boht wazeh ker kay biyan ker diya hai woh zariya-e-hidayat aur rehmat unn logon kay liye hai jo eman laye hain

[53] Inn logon ko aur kissi baat ka intizar nahi sirf iss kay akheet nateejay ka intizar hai jiss roz iss ka akheet nateeja paish aaye ga aur uss roz jo log iss ko pehlay say bhoolay huye thay yun kahen gay kay waqaee humaray rab kay payghumbar sachi sachi baaten laye thay so abb kiya koi humara sifarshi hai kay woh humari sifarish ker dey ya kiya hum phir wapis bhejay jaa saktay hain takay hum log unn aemaal kay jo hum kiya kertay thay bar khilaf doosray aemaal keren. Be-shak inn logon ney apney aap ko khasaray mein daal diya aur yeh jo jo baaten tarashtay thay sab gum hogaeen

[54] Be-shak tumhara rab Allah hi hai jiss ney sab aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda kiya hai phir arsh per qaeem hua. Woh shab say din ko aisay tor per chupa deta hai kay woh shab uss din ko jaldi aa leti hai aur sooraj aur chand aur doosray sitaron ko peda kiya aisay tor per kay sab uss kay hukum kay tabey hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khas hai khaliq hona aur haakim hona bari khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamam aalam ka perwerdigar hai

[55] Tum log apney perwerdigar say dua kiya kero girr gira kerkay bhi aur chupkay chupkay bhi. Waqaee Allah Taalaa unn logon ko na pasand kerta hai jo hadd say nikal jayen

[56] Aur duniya mein iss kay iss ki durusti kerdi gaee hai fasaad mat phelao aur tum Allah ki ibadat kero uss say dartay huye aur umeed waar rehtay huye. Be-shak Allah Taalaa ki rehmat nek kaam kerney walon kay nazdik hai

[57] Aur woh aisa hai kay apni baaraan-e-rehmat say pehlay hawaon ko bhejta hai kay woh khush ker deti hain yahan tak kay woh hawayen jab badlon ko utha leti hain to hum iss badal ko kissi khushk sir zamin ki taraf haank ley jatay hain phir iss badal say pani barsatay hain phir iss pani say her qisam kay phal nikaltay hain. Yun hi hum murdon ko nikal khara keren gay takay tum samjho

[58] Aur jo suthri sir zamin hoti hai uss ki peda waar to Allah kay hukum say khoob nikalti hai aur jo kaharab hai ussi ki peda waar boht kum nikalti hai issi tarah hum dalaeel ko tarah tarah say biyan kertay hain unn logon kay liye jo shukar kertay hain

[59] Hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn ki qom ki taraf bheja to unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi mabood honey kay qabil nahi mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai

[60] Unn ki qom kay baray logon ney kaha hum tum ko sareeh ghalati mein dekhtay hain

[61] Unhon ney farmaya kay aey meri qom! Mujh mein to zara bhi gumrahi nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka rasool hun

[62] Tum ko apney perwerdigar ka payghaam phonchata hun aur tumhari khair khuwaee kerta hun aur mein Allah ki taraf say unn umoor ki khabar rakhta hun jin ki tum ko khabar nahi

[63] Aur kiya tum iss baat say tajjub kertay ho kay tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay pass aik aisay shaks ki maarfat jo tumhari hi jinss ka hai koi naseehat ki baat aagaee takay woh shaks tum ko daraye aur takay tum darr jao aur takay tum per reham kiya jaye

[64] So woh log unn ki takzeeb hi kertay rahey to hum ney nooh (alh-e-salam) ko aur unn ko jo unn kay sath kashti mein thay bacha liya aur jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko hum ney gharq ker diya. Be-shal woh log andhay horahey thay

[65] Aur hum ney qom-e-aad ki taraf unn kay bhai hood (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumhara koi mabood nahi so kiya tum nahi dartay

[66] Unn ki qom mein jo baray log kafir thay unhon ney kaha hum tum ko kum aqali mein dekhtay hain. Aur hum be-shak tum ko jhootay logon mein samajhtay hain

[67] Unhon ney farmaya aey meri qom! Mujh mein zara bhi kum aqali nahi lekin mein perwerdigar-e-aalam ka bheja hua payghumbar hun

[68] Tum ko apney perwerdigar kay paygham phonchata hun aur mein tumhara amanatdaar aur khair khuwa hun

[69] Aur kiya tum iss baat say tajjub kertay ho kay tumharay perwerdigar ki taraf say tumharay pass aik aisay shaks ki maarfat jo tumhari hi jinss ka hai koi naseehat ki baat aagaee takay woh shaks tum ko daraye aur tum yeh halat yaad kero kay Allah ney tum ko qom-e-nooh kay baad ja nasheen banaya aur deel dol mein tum ko phelao ziyada diya so Allah ki nematon ko yaad kero takay tum ko falah ho

[70] Unhon ney kaha kiya aap humaray pass iss wastay aaye hain kay hum sirf Allah hi ki ibadat keren aur jin ko humaray baap dada poojtay thay unn ko chor den pus hum ko jiss azab ki dhamki detay ho uss ko humaray pass mangwa do agar tum sachay ho

[71] Unhon ney farmaya kay bus abb tum per Allah ki taraf say azab aur ghazab aaya hi chahata hai kiya tum mujh say aisay naamon kay baab mein jhagartay ho jin ko tum ney aur tumharay baap dadon ney thehra liya hai? Unn kay mabood honey ko Allah ney koi daleel nahi bheji. So tum muntazir raho mein bhi tumharay sath intizar ker raha hun

[72] Gharz hum ney unn ko aur unn kay sathiyon ko apni rehmat say bacha liya aur unn logon ki jarr kaat di jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha aur woh eman laney walay na thay

[73] Aur hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi tumhara mabood nahi. Tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say aik wazeh daleel aa chuki hai. Yeh oontni hai Allah ki jo tumharay liye daleel hai so iss ko chor do kay Allah Taalaa ki zamin mein khati phiray aur issko buraee kay sath haath bhi na lagana kay kahin tum ko dard naak azab aa pakray

[74] Aur tum yeh halat yaad kero kay Allah Taalaa ney tum ko aad kay baad janasheen banaya aur tum ko zamin per rehney ka thikana diya kay naram zamin per mehal banatay ho aur paharon ko taraash taraash ker unn mein ghar banatay ho so Allah Taalaa ki nematon ko yaad kero aur zamin mein fasaad mat phelao

[75] Unn ki qom mein jo mutakabbir sardar thay unhon ney gharib logon say jo kay inn mein say eman ley aaye thay poocha kiya tum ko iss baat ka yaqeen hai kay saleh (alh-e-salam) apney rab ki taraf say bhejay huye hain? Unhon ney kaha kay be-shak hum to iss per poora yaqeen rakhtay hain jo inn ko dey ker bheja gaya hai

[76] Woh mutakabbir log kehney lagay kay tum jiss baat per yaqeen laye ho hum to iss kay munkir hain

[77] Pus unhon ney uss oontni ko maar dala aur apney perwerdigar kay hukum say sirkashi ki aur kehney lagay kay aey saleh! Jiss ki aap hum ko dhamki detay thay uss ko mangwaiye agar aap payghumbar hain

[78] Pus unn ko zalzalay ney aa pakra aur woh apney gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye

[79] Uss waqt (saleh alh-e-salam) unn say mun mor ker chalay aur farmaney lagay aey meri qom! Mein to tum ko apney perwerdigar ka hukum phoncha diya tha aur mein ney tumhari khair khuwahi ki lekin tum log khair khuwahon ko pasand nahi kertay

[80] Aur hum ney loot (alh-e-salam) ko bheja jabkay unhon ney apni qom say farmaya tum aisa fahash kaam kertay ho jiss ko tum say pehlay kissi ney duniya jahaan walon mein say nahi kiya

[81] Tum mardon kay sath shewat rani kertay ho aurton ko chor ker bulkay tum to hadd hi say guzar gaye ho

[82] Aur unn ki qom say koi jawab na bann para ba-juz iss kay, kay aapas mein kehney lagay kay inn logon ko apni basti say nikal do. Yeh log baray pak saaf bantay hain

[83] So hum ney loot (alh-e-salam) ko aur unn kay ghar walon ko bacha liya ba-juz unn ki biwi kay, kay woh unn hi logon mein rahi jo azab mein reh gaye thay

[84] Aur hum ney unn per khaas tarah ka meenh barsaya pus dekho to sahi inn mujrimon ka anjam kaisa hua

[85] Aur hum ney madiyan ki taraf unn kay bhai shoaib (alh-e-salam) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero iss kay siwa koi tumhara mabood nahi tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say wazeh daleel aa chuki hai. Pus tum naap aur tol poora poora kiya kero aur logon ko unn ki cheezen kum kerkay mat do aur ruy-e-zamin mein iss kay baad kay iss ki durusti ker di gaee fasaad mat phelao yeh tumharay liye naafay hai agar tum tasdeeq kero

[86] Aur tum sarkaon per iss gharz say nahi betha kero kay Allah per eman laney walay ko dhamkiyan do aur Allah ki raah say roko aur iss mein kuji ki talash mein lagay raho. Aur uss halat ko yaad kero jabkay tum kum thay phir Allah ney tum ko ziyada ker diya aur dekho kay kaisa anjam hua fasaad kerney walon ka

[87] Aur agar tum say kuch log iss hukum per jiss ko dey ker mujh ko bheja gaya eman ley aaye hain aur kuch eman nahi laye hain to zara thehar jao! Yahan tak kay humaray darmiyan Allah faisla kiye deta hai aur woh sab faisla kerney walon say behtar hai

[88] Unn ki qom kay mutakabbir sardaron ney kaha aey shoaib! Hum aap ko aur jo aap kay humrah eman laye hain unn ko apni basti say nikal den gay illa yeh kay tum humaray mazhab mein phir aajao. Shoaib (alh-e-salam) ney jawab diya kay kiya hum tumharay mazhab mein aajayen go hum iss ko makrooh hi samajhtay hon

[89] Hum Allah Taalaa per bari jhooti tohmat laganey walay hojayen gay agar hum tumharay deen mein aajayen iss kay baad kay Allah Taalaa ney hum ko iss say nijat di aur hum say mumkin nahi kay tumharay mazhab mein phir aajayen lekin haan yeh kay Allah hi ney humara maalik hai muqaddar kiya ho. Humaray rab kay ilm her cheez per moheet hai hum Allah hi per bharosa rakhtay hain. Aey humaray perwerdigar! Humaray aur humari qom kay darmiyan haq kay moafiq faisla ker dey aur tu sab say acha faisla kerney wala hai

[90] Aur unn ki qom kay kafir sardaron ney kaha agar tum shoaib (alh-e-salam) ki raah per chalo gay to be-shak bara nuksan uthao gay

[91] Pus unn ko zalzalay ney aa pakra so woh apney gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye

[92] Jinhon ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi unn ki yeh halat hogaee jaisay inn gharon mein kabhi basay hi na thay. Jinhon ney shoaib (alh-e-salam) ki takzeeb ki thi wohi kahasaray mein parr gaye

[93] Uss waqt shoaib (alh-e-salam) unn say mun mor ker chalay aur farmaney lagay kay aey meri qom! Mein ney tum ko apney perwerdigar kay ehkaam phoncha diye thay aur mein ney tumhari khair khuwahi ki. Phir mein inn kafir logon per kiyon ranj keroon

[94] Aur hum ney kissi basti mein koi nabi nahi bheja kay wahan kay rehney walon ko hum ney sakhti aur takleef mein na pakra hota kay woh girr girayen

[95] Phir hum ney uss bad haali ki jagah khushaali badal di yahan tak kay unn ko khoob taraqqi hui aur kehney lagay kay humaray aaba-o-ajdaad ko bhi tangi aur rahat paish aaee thi to hum ne unn ko dafatan pkara liya aur unn ko khabar bhi na thi

[96] Aur agar unn bastiyon kay rehney walay eman ley aatay aur perhezgari ikhtiyar kertay to hum unn per aasman aur zamin ki barkaten khol detay lekin unhon ney takzeeb ki to hum ney unn kay aemaal ki waja say unn ko pakar liya

[97] Kiya phir bhi inn bastiyon kay rehney walay iss baat say bey fikar ho gaye hain kay unn per humara azab shab kay waqt aa paray jiss waqt woh sotay hon

[98] Aur kiya inn bastiyon kay rehney walay iss baat say bey fikar hogaye hain kay inn per humara azab din charhay aa paray jiss waqt kay woh apney khelon mein masghool hon

[99] Kiya pus woh Allah ki iss pakar say bey fikar hogaye. So Allah ki pakar say ba-juz unn kay jin ki shamat hi aagaee ho aur koi bey fikar nahi hota

[100] Aur kiya unn logon ko jo zamin kay waris huye wahan kay logon ki halakat kay baad (inn waqiyaat-e-mazkoor ney) yeh baat nahi batlaee kay agar hum chahayen to inn kay jurm kay sabab inn ko halak ker dalen aur hum inn kay dilon per band laga denpus woh na sunn saken

[101] Inn bastiyon kay kuch kuch qissay hum aap say biyan ker rahey hain aur inn sab kay pass unn kay payghumbar mojzaat ley ker aaye phir jiss cheez ko enhon ney ibtidaa mein jhoota keh diya yeh baat nahi hui kay phir iss ko maan letay Allah Taalaa issi tarah kafiron kay dilon per band laga deta hai

[102] Aur aksar logon mein hum ney wafay-e-ehad na rakha aur hum ney aksar logon ko bey hukum hi paya

[103] Phir inn kay baad hum ney musa (alh-e-salam) ko apney dalaeel dey ker firaon aur uss kay umraa kay pass bheja magar unn logon ney inn kay bilkul haq ada na kiya. So dekhiye unn mufisdon ka kiya anjam hua

[104] Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya kay aey firaon! Mein rabbul aalameen ki taraf say payghumbr hun

[105] Meray liye yehi shayaan hai kay ba-juz sach kay Allah ki taraf koi baat mansoob na keroonmein tumharay pass tumhara rab ki taraf say aik bari daleel bhi laya hun so tu bani israeel ko meray sath bhej dey

[106] Firaon ney kaha agar aap koi moajza ley ker aaye hain to iss ko abb paish kijiye! Agar aap sachay hain

[107] Pus aap ney apna asa daal diya so dafatan woh saaf aik azdaha bann gaya

[108] Aur apna haath bhair nikala so woh yakayak sab dekhney walon kay roo baroo boht hi chamkta hua hogaya

[109] Qom-e-firaon mein jo sardar log thay unhon ney kaha kay waqaee yeh shaks bara maahir jadoogar hai

[110] Yeh chahata hai kay tum ko tumhari sir zamin say bahir ker dey so tum log kiya mashwara detay ho

[111] Unhon ney kaha aap inn ko aur inn kay bhai ko mohlat dijiye aur shehron mein harkaaron ko bhej dijiye

[112] Kay woh sab maahir jadoogaron ko aap kay pass laa ker hazir ker den

[113] Aur woh jadoogar firaon kay pass hazir huye kehney lagay kay agar hum ghalib aaye to hum ko koi bara sila milay ga

[114] Firaon ney kaha kay haan aur tum muqarrab logon mein shamil hojao gay

[115] Unn saahiron ney araz kiya aey musa! Khuwa aap daaliye aur ya hum hi daalen

[116] (musa alh-e-salam) ney farmaya kay tum hi dalo pur jab unhon ney dala to logon ki nazar bandi ker di aur unn per haibat ghalib ker di aur aik tarah ka bara jadoo dikhlaya

[117] Aur hum ney (alh-e-salam) ko hukum diya kay apna asa daal dijiye! So asa ka daalna tha kay uss ney unn kay saray banay banaye khel ko nigalna shuroo kiya

[118] Pus haq zahir hogaya aur unhon ney jo kuch banaya tha sab jata raah

[119] Pus woh log uss moqay per haar gaye aur khoob zaleel hoker phiray

[120] Aur woh jo saahir thay sajday mein gir gaye

[121] Kehney lagay hum eman laye rabbul aalameen per

[122] Jo musa aur haroon ka bhi rab hai

[123] Firaon kehney laga tum musa per eman laye hobaghair iss kay kay mein tum ko ijazat doon? Be-shak yeh saazish thi jiss per tumhara amal daramad hua hai iss shehar mein takay tum sab iss shehar say yahan kay rehney walon ko bahir nikal do. So abb tum ko haqeeqat maloom hui jati hai

[124] Mein tumharay aik taraf kay haath aur doosri taraf kay paon kaaton ga. Phir tum sab ko sooli per latka doon ga

[125] Unhon ney jawab diya kay hum (marr ker) apney maalik hi kay pass jayen gay

[126] Aur tu ney hum mein konsa aib dekha hai ba-juz isskay kay hum apney rab per eman ley aaye jab woh humaray pass aaye. Aey humaray rab! Humaray upper sabar ka faizan farma aur humari jaan halat-e-islam per nikal

[127] Aur qom-e-fiaon kay sardaron ney kaha kay kiya aap musa (alh-e-salam) aur unn ki qom ko yun hi rehney den gay kay woh mulk mein fasaad kertay phiren aur woh aap ko aur aap kay maboodon ko tarak kiye rahen. Firaon ney kaha kay hum abhi inn logon kay beton ko qatal kerna shuroo ker den gay aur aurton ko zinda rehney den gay aur hum ko inn per her tarah ka zor hai

[128] Musa (alh-e-salam) ney apni qom say farmaya Allah Taalaa ka sahara hasil kero aur sabar kero yeh zamin Allah Taalaa ki hai apney bandon mein say jiss ko chahaye woh maalik bana dey aur akheer kaamyabi unhi ki hoti hai jo Allah say dartay hain

[129] Qom kay log kehney lagay kay hum to hamesha museebat hi mein rahey aap ki tashreef aawari say qabal bhi aur aap ki tashreef aawari kay baad bhi. Musa (alh-e-salam) ney farmaya kay boht jald Allah tumharay dushman ko halak ker dey ga aur bajaye unn kay tum ko iss sir zamin ka khalifa bana dey ga phir tumhara tarz-e-amal dekhay ga

[130] Aur hum ney firaon walon ko mubtila kiya qehat saali mein aur phalon ki kum peda waari mein takay woh naseehat qabool keren

[131] So jab inn per khushali aajati to kehtay kay yeh to humaray liye hona hi chahaiye aur agar inn ko koi bad haali paish aati to musa (alh-e-salam) aur unn kay sathiyon ki nahoosat batlatay. Yaad rakho kay inn nahoosat Allah Taalaa kay pass hai lekin inn kay aksar log nahi jantay

[132] Aur yun kehtay kaisi hi baat humaray samney lao kay inn kay zariye say hum per jadoo chalao jab bhi hum tumhari baat hergiz na maanen gay

[133] Phir hum ney unn per toofan bheja aur tiddiyan aur ghun ka keera aur mendak aur khoon kay yeh sab khulay khulay moajzay thay. So woh takabbur kertay rahey aur woh log kuch tha hi jaraeem paisha

[134] Aur jab unn per koi azab waqey hota to yun kehtay kay aey musa! Humaray liye apney rab say iss baat ki dua ker dijiye! Jiss ka uss ney aap say ehad ker rakha hai agar aap iss azab ko hum say hata den to hum zaroor zaroor aap kay kehney say eman ley aayen gay aur hum bani israeel ko bhi (raah ker kay) aap kay humrah ker den gay

[135] Phir jab unn sya iss azab ko aik khaas waqt tak kay uss tak unn ko phonchna tha hata detayto woh foran hi ehad shikni kerney lagtay

[136] Phir hum ney unn say badla liya yani unn ko darya mein gharq ker diya iss sabab say kay woh humari aayaton ko jhutlatay thay aur inn say bilkul hi ghaflat kertay thay

[137] Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay sab ko darhum barhum ker diya

[138] Aur hum ney bani israeel ko darya kay paar utaar diya. Pus unn logon ka aik qom per guzar hua jo apney chand button say lagay bethay thay kehney lagay aey musa! Humaray liye bhi aik mabood aisa hi muqarrar ker dijiye! Jaisay inn kay yeh mabood hain. Aap ney farmaya kay waqaee tum logon mein bari jahalat hai

[139] Yeh log jiss kaam mein lagay hain yeh tabah kiya jayega aur inn kay yeh kaam mehaz bey bunyad hai

[140] Farmaya kiya Allah Taalaa key siwa aur kissi ko tumhara mabood tajweez ker doon? Halankay uss ney tum ko tamam jahaan walon per foqiyat di hai

[141] Aur qoh waqt yaad kero jab hum ney tum ko firaon walon say bacha liya jo tum ko bari sakht takleef phonchatay thay. Tumharay beton ko qatal ker daaltay thay aur tumhari aurton ko zinda chor detay thay aur iss mein tumharay perwerdigar ki taraf say bari bhari aazmaeesh thi

[142] Aur hum ney musa (alh-e-salam) say tees raaton kay wada kiya aur dus raat mazeed say inn tees raaton ko poora kiya. So inn kay perwerdigar ka waqt pooray chalees raat ka hogaya. Aur musa (alh-e-salam) ney apney bhai haroon (alh-e-salam) say kaha kay meray baad inn kay intizam rakhna aur islah kertay rehna aur bad nazam logon ki raaye per amal mat kerna

[143] Aur jab musa (alh-e-salam) humaray waqt per aaye aur unn kay rab ney unn say baaten kin to arz kiya kay aey meray perwerdigar! Apna deedar mujh ko kera dijiye kay mein aik nazar aap ko dekh loon irshad hua kay tum mujh ko hergiz nahi dekh saktay lekin tum iss pahar ki taraf dekhtay raho woh agar apni jagah per bar qarar raha to tum bhi mujhay dekh sako gay. Pus jab unn kay rab ney pahar per tajalli farmaee to tajalli ney uss kay purkhachay ura diye aur musa (alh-e-salam) bey hosh ho ker girr paray. Phir jab hosh mein aaye to arz kiya be-shak aap ki zaat pak hai mein aap ki janab mein tauba kerta hun aur mein sab say pehlay aap per eman laney wala hun

[144] Irshad hua kay aey musa! Mein ney payghubari aur apni hum kalaami say aur logon per tum ko imtiaz diya hai to jo kuch tum ko mein ney ata kiya hai uss ko lo aur shukar kero

[145] Aur hum ney chand takhtiyon per her qisam ki naseehat aur her cheez ki tafseel unn ko likh ker di tum inn ko poori qooat say pakar lo aur apni qom ko hukum kero kay inn kay achay achay ehkaam per amal keren abb boht jald tum logon ko inn bey hukmon ka muqam dikhlata hun

[146] Mein aisay logon ko apney ehkaam say bar-gashta hi rakhon ga jo duniya mein takabbur kertay hain jiss ka unn ko koi haq hasil nahi aur agar tamam nishaniyan dekh len tab bhi woh inn per eman na layen aur agar hidayat ka raasta dekhen to iss ko apna tareeqa na banayen aur agar gumrahi ka raasta dekh len to iss ko apna tareeq bana len. Yeh iss sabab say hai kay enhon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say ghafil rahey

[147] Aur yeh log jinon ney humari aayaton ko aur qayamat kay paish aaney ko jhutlaya unn kay sab kaam ghaarat gaye. Inn ko wohi saza di jayegi jo kuch yeh kertay thay

[148] Aur musa (alh-e-salam) ki qom ney unn kay baad apney zewaron ka aik bachra mabood thehra liya jo kay aik qalib tha jiss mein aik aawaz thi. Kiya enhon ney yeh na dekha kay woh inn say baat nahi kerta tha aur na inn ko koi raah batlata tha uss ko enhon ney mabood qarar diya aur bari bey insafi ka kaam kiya

[149] Aur jab naadim huye aur maloom hua kay waqaee woh log gumrahi mein parr gaye to kehney lagay kay agar humara rab hum per reham na keray aur humara gunah moaf na keray to hum bilkul gaye guzray hojayen gay

[150] Aur jab musa (alh-e-salam) apni qom ki taraf wapis aaye gussay aur ranj mein bharay huye to farmaya kay tum ney meray baad yeh bari buri janasheeni ki? Kiya apney rab kay hukum say pehlay hi tum ney jald baazi ker li aur jaldi say takhtiyan aik taraf rakhin aur apney bhai kay sir pakar ker unn ko apni taraf ghaseetney lagay. Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye! Inn logon ney mujh ko bey haqeeqat samjha aur qareeb tha kay mujh ko qatal ker dalen to tum mujh per dushmanon ko mat hansao aur mujh ko inn zalimon kay zail mein mat shumar kero

[151] Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray rab! Meri khata moaf farma aur meray bhai ki bhi aur hum dono ko apni rehmat mein dakhil farma aur tu sab reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai

[152] Be-shak jin logon ney go sala parasti ki hai unn per boht jald unn kay rab ki taraf say ghazab aur zillat iss dunyawi zindagi hi mein paray gi aur hum iftra pardazon ko aisi hi saza diya kertay hain

[153] Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat kerney wala hai

[154] Aur jab musa (alh-e-salam) ka gussa farad hua to inn takhtiyon ko utha liya aur inn kay mazameen mein unn logon kay liye jo apney rab say dartay thay hidayat aur rehmat thi

[155] Aur musa (alh-e-salam) ney sattar aadmi apni qom mein say humaray waqt-e-moyyen kay liye muntakhib kiye so jab unn ko zalzalay ney aa pakra to musa (alh-e-salam) arz kerney lagay kay aey meray perwerdigar! Agar tujh ko yeh manzoor hota to iss say qabal hi inn ko aur mujh ko halak ker deta. Kiya tu hum mein say chand bey waqufon ki harkat per sab ko halak ker dey ga? Yeh waqiya teri taraf say mehaz aik imtehan hai aisay imtehanaat say jiss ko tu chahaye gumrahi mein daal dey aur jiss ko chahaye hidayat per qaeem rakhay. Tu hi to humara kaar saaz hai pus hum per maghfirat aur rehmat farma aur tu sab moafi denay walon say ziyada acha hai

[156] Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain

[157] Jo log aisay rasool nabi ummi ka ittabaa kertay hain jin ko woh log apney pass toraat-o-injeel mein likha hua patay hain. Woh inn ko nek baaton ka hukum farmatay hain aur buri baaton say mana kertay hain aur pakeezah cheezon ko halal batatay hain aur gandi cheezon ko inn per haram farmatay hain aur inn logon per jo bojh aur toq thay unn ko door kertay hain. So jo log iss nabi per eman latay hain aur inn ki himayat kertay hain aur inn ki madad kertay hain aur iss noor ka ittabaa kertay hain jo inn kay sath bheja gaya hai aisay log poori falah paney walay hain

[158] Aap keh dijiye kay aey logo! Mein tum sab ki taraf uss Allah Taalaa ka bheja hua hun jiss ki badshahi tamam aasmanon aur zamin mein hai uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi wohi zindagi deta hai aur wohi mot deta hai so Allah Taalaa per eman lao aur uss kay nabi ummi per jo kay Allah Taalaa per aur uss kay ehkaam per eman rakhtay hain aur inn ka ittabaa kero takay tum raah per aajao

[159] Aur qom-e-musa mein aik jamat aisi bhi hai jo haq kay mutabiq hidayat kerti hai aur issi kay mutabiq insaf bhi kerti hai

[160] Aur hum ney unn ko baara khaandanon mein taqseem ker kay sab ki alag alag jamat muqarrar ker di aur hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum diya jabkay unn ki qom ney unn say pani maanga kay apney asa ko falan pathar per maaro pus foran uss say baara chashmay phoot niklay. Her her shaks ney apney pani peenay ka moqa maloom ker liya aur hum ney unn per abar ko saya figan kiya aur unn ko mann-o-salwa (taran jabeen aur bateren) phonchaen khao nafees cheezon say jo hum ney tum ko di hain aur unhon ney humara koi nuksan nahi kiya lekin apna hi nuksan kertay thay

[161] Aur jab inn ko hukum diya gaya kay tum log iss aabadi mein jaa ker raho aur khao uss say jiss jagah tum raghbat kero aur zaban say yeh kehtay jana kay tauba hai aur jhukay jhukay darwazon mein dakhil hona hum tumhari khatayen moaf ker den gay. Jo log nek kaam keren gay unn ko mazeed baran aur den gay

[162] So badal daala inn zalimon ney aik aur kalma jo khilaf tha uss kalmay kay jiss ki inn say farmaeesh ki gaee thi iss per hum ney unn per aik aafat-e-samawi bheji iss waja say kay woh hukum ko zaya kertay thay

[163] Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo kay darya-e(-shor) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye! Jabkay woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey thay jabkay unn kay haftay kay roz to unn ki machliyan zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn ki iss tarah per aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay woh bey hukmi kiya kertay thay

[164] Aur jab kay unn mein say aik jamat ney yun kaha kay tum aisay logon ko kiyon naseehat kertay ho jin ko Allah bilkul halak kerney wala hai ya unn ko sakht saza denay wala hai? Unhon ney jawab diya kay tumharay rab kay roo baroo uzur kerney kay liye aur iss liye kay shayad yeh darr jayen

[165] So jab woh iss ko bhool gaye jo inn ko samjhaya jata tha to hum ney unn logon ko to bacha liya jo iss buri aadat say mana kiya kertay thay aur unn logon ko jo kay ziyadti kertay thay aik sakht azab mein pakar liya iss waja say kay woh bey hukmi kiya kertay thay

[166] Yani jab woh jiss kaam say unn ko mana kiya gaya tha uss mein hadd say nikal gaye to hum ney unn ko keh diya tum zaleel bandar bann jao

[167] Aur woh waqt yaad kerna chahaiye kay aap kay rab ney yeh baat batla di kay woh inn yahud per qayamat tak aisay shaks ko zaroor musallat kerta rahey ga jo inn ko sazay-e-shadeed ki takleef phonchata rahey ga bila shuba aap ka rab jaldi hi saza dey deta hai aur bila shuba woh waqaee bari maghfirat aur bari rehmat wala hai

[168] Aur hum ney duniya mein inn ki mukhtalif jamaten ker den. Baaz inn mein nek thay aur baaz inn mein aur tarah thay aur hum inn ko khushaliyon aur bad haliyon say aazmatay rahey kay shayad baaz aajayen

[169] Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay. Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum nahi samajhtay

[170] Aur jo log kitab kay paband hain aur namaz ki pabandi kertay hain hum aisay logon ko jo apni islah keren sawab zaya na keren gay

[171] Aur woh waqt bhi qabil-e-zikar hai jab hum ney pahar ko utha ker sayebaan ki tarah unn per moalliq ker diya aur inn ko yaqeen hogaya kay abb inn per gira aur kaha kay jo kitab hum ney tum ko di hai ussay mazbooti kay sath qabool kero aur yaad rakho jo ehkaam iss mein hain uss say tawaqqa hai kay tum mutaqqi bann jao

[172] Aur jab aap kay rab ney aulad-e-aadam ki pusht say unn ki aulad ko nikala aur unn say unn hi kay mutalliq iqrar liya kay kiya mein tumhara rab nahi hun? Sab ney jawab diya kiyon nahi! Hum sab gawah bantay hain. Takay tum log qayamat kay roz yun na kaho kay hum to iss say mehaz bey khabar thay

[173] Ya yun kaho kay pehlay pehlay shirk to humaray baron ney kiya aur hum unn kay baad unn ki nasal mein huye so kiya inn ghalat raah walon kay fail per tu hum ko halakat mein daal dey ga

[174] Hum issi tarah aayaat ko saaf saaf biyan kertay hain aur takay woh baaz ajayen

[175] Aur inn logon ko uss shaks ka haal parh ker sunaiye kay jiss ko hum ney apni aayaten den phir woh inn say bilkul hi nikal gaya phir shetan uss kay peechay lag gaya so woh gumrah logon mein shamil hogaya

[176] Aur agar hum chahatay to uss ko inn aayaton ki badolat buland martaba ker detay lekin woh to duniya ki taraf maeel hogaya aur apni nafsaani khuwaish ki pairwi kerney laga so uss ki halat kuttay ki si hogaee kay agar tu iss per hamla keray tab bhi haanpay ya uss ko chor dey tab bhi haanpay yehi halat unn logon ki hai jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya. So aap iss haal ko biyan ker dijiye shayad woh log kuch sochen

[177] Unn logon ki halat bhi buri halat hai jo humari aayaat ko jhutlatay hain aur woh apna nuksan kertay hain

[178] Jiss ko Allah hidayat kerta hai so hidayat paney wala wohi hota hai aur jiss ko woh gumrah kerdey so aisay hi log khasaray mein parney walay hain

[179] Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay. Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain

[180] Aur achay achay naam Allah hi kay liye hain so unn naamon say Allah hi ko mossom kiya kero aur aisay logon say talluq bhi na rakho jo uss kay naamon mein kuj ravi kertay hain unn logon ko unn kay kiye ki zaroor saza milay gi

[181] Aur humari makhlooq mein aik jamat aisi bhi hai jo haq kay moafiq hidayat kerti hai aur uss kay moafiq insaf bhi kerti hai

[182] Aur jo log humari aayaat ko jhutlatay hain hum unn ko ba-tadreej (girift mein) liye jarahey hain iss tor per kay unn ko khabar bhi nahi

[183] Aur unn ko mohlat deta hun be-shak meri tadbeer bari mazboot hai

[184] Kiya inn logon ney iss baat per ghor nahi kiya kay inn kay sathi ko zara bhi junoon nahi woh to sirf aik saaf saaf daraney walay hain

[185] Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad konsi baat per yeh log eman layen gay

[186] Jiss ko Allah Taalaa gumrah kerdey uss ko koi raah per nahi laa sakta. Aur Allah Taalaa unn ko unn ki gumrahi mein bhataktay huye chor deta hai

[187] Yeh log aap say qayamat kay mutalliq sawal kertay hain kay iss ka waqoo kabb hoga? Aap farma dijiye kay iss ka ilm sirf meray rab hi kay pass hai uss kay waqt per uss ko siwa Allah kay koi aur zahir na keray ga. Woh aasmanon aur zamin mein bara bhari (haadsa) hoga woh tum per mehaz achanak aa paray gi. Woh aap say iss tarah poochtay hain jaisay goya aap iss ki tehqiqaat ker chukay hain. Aap farma dijiye kay iss ka ilm khaas Allah hi kay pass hai lekin aksar log nahi jantay

[188] Aap farma dijiye kay mein khud apni zaat-e-khaas kay liye kissi nafay ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kissi zarar ka magar utna hi jitna Allah ney chaha ho aur agar mein ghaib ki baaten janta hota to mein boht say munafay hasil ker leta aur koi nuksan mujh ko na phonchta mein to mehaz daraney wala aur bisharat denay wala hun unn logon ko jo eman rakhtay hain

[189] Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney tum ko aik tan-e-wahid say peda kiya aur iss say uss ka jora banaya takay woh iss apney joray say unss hasil keray phir jab miyan ney biwi say qurbat ki to uss ko hamal reh gaya halka sa. So woh uss ko liye huye phirti rahi phri jab woh bojhal hogaee to dono miyan biwi Allah say jo unn ka maalik hai dua kerney lagay kay agar tu ney hum ko sahih saalim aulad dey di to hum khoob shukar guzari keren gay

[190] So jab Allah ney dono ko sahih saalim aulad dey di to Allah ki di hui cheez mein woh dono Allah kay shareek qarar denay lagay so Allah pak hai unn kay shirk say

[191] Kiya aison ko shareek thehratay hain jo kissi cheez ko peda na ker saken aur woh khud hi peda kiye gaye hon

[192] Aur woh inn ko kissi qisam ki madad nahi dey saktay aur woh khud bhi madad nahi ker saktay

[193] Aur agar tum inn ko koi baat batlaney ko pukaro to tumharay kehney per na chalen tumharay aetbaar say dono amar barabar hain khuwa tum inn ko pukaro ya tum khamosh raho

[194] Waqaee tum Allah ko chor ker jin ki ibadat kertay ho woh bhi tum hi jaisay banday hain so tum unn ko pukaro phir unn ko chahaiye kay tumhara kehna ker den agar tum sachay ho

[195] Kiya inn kay paon hain jin say woh chaltay hon ya unn kay haath hain jin say woh kissi cheez ko thaam saken ya unn ki aankhen hain jin say woh dekhtay hon ya unn kay kaan hain jin say woh suntay hain aap keh dijiye! Tum apney sab shurka ko bula lo phir meri zarar saani ki tadbeer kero phir mujh ko zara mohlat mat do

[196] Yaqeenan mera madadgar Allah Taalaa hai jiss ney yeh kitab nazil farmaee aur woh nek bandon ki madad kerta hai

[197] Aur tum jin logon ki Allah ko chor ker ibadat kertay ho woh tumhari kuch madad nahi ker saktay aur na woh apni madad ker saktay hain

[198] Aur agar inn ko koi baat batlaney ko pukaro to iss ko na sunen aur inn ko aap dekhtay hain kay goya woh aap ko dekh rahey hain aur woh kuch bhi nahi dekhtay

[199] Aap dar guzar ko ikhtiyar keren nek kaam ki taleem den aur jahilon say aik kinara hojayen

[200] Aur agar aap ko koi waswasa shetan ki taraf say aaney lagay to Allah ki panah maang liya kijiye bila shuba woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai

[201] Yaqeenan jo log khud taras hain jab unn ko koi khatra shetan ki taraf say aajata hai to woh yaad mein lag jatay hain so yakayak unn ki aankhen khul jati hain

[202] Aur jo shetan kay tabey hain woh inn ko gumrahi mein kheenchay ley jatay hain pus woh baaz nahi aatay

[203] Aur jab aap koi moajza inn kay samney zahir nahi kertay to woh log kehtay hain kay aap yeh moajza kiyon na laye? Aap farma dijiye! Kay mein uss ka ittabaa kerta hun jo mujh per meray rab ki taraf say hukum bheja gaya hai yeh goya bohr si daleelen hain tumharay rab ki taraf say aur hodayat aur rehmat hai unn logon kay liye jo eman rakhtay hain

[204] Aur jab quran parha jaya keray to iss ki taraf kaan laga diya kero aur khamosh raha kero umeed hai kay tum per rehmat ho

[205] Aur aey shaks! Apney rab ki yaad kiya ker apney dil mein aajzi kay sath aur khof kay sath aur zor ki aawaz ki nisbat kum aawaz kay sath subha aur shaam aur ehal-e-ghaflat mein say mat hona

[206] Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan kertay hain aur uss ko sajda kertay hain

الانفال

Surah 8

[1] Yeh log aap say ghanimaton ka hukum daryaft kertay hain aap farma dijiye! Kay yeh ghanimaten Allah ki hain aur rasool ki hain so tum Allah say daro aur apny bahumi taalluqaat ki ki islaah kero aur uss kay rasool ki ita’at kero agar tum eman walay ho

[2] Bus eman walay to aisay hotay hain kay jab Allah Taalaa ka zikar aata hai to unn kay quloob darr jatay hain aur jab Allah ki aayaten unn ko parh ker sunaee jaatin hain hain to woh aayaten unn kay eman ko aur ziyada ker deti hain aur woh log apney rab per tawakkal kertay hain

[3] Jo kay namaz ki pabandi kertay hain aur hum ney unn ko jo kuch diya hai woh uss mein say kharch kertay hain

[4] Sachay eman walay yeh log hain inn kay liye baray darjay hain inn kay rab kay pass aur maghfirat aur izzat ki rozi hai

[5] Jaisa kay aap kay rab ney aap kay ghar say haq kay sath aap ko rawana kiya aur musalmanon ki aik jamat iss ko giran samajhti thi

[6] Woh iss haq kay baray mein iss kay baad kay uss ka zahoor hogaya tha aap say iss tarah jhagar rahey thay kay goya koi unn ko maut ki taraf haankay liye jata hai aur woh dekh rahey hain

[7] Aur tum log uss waqt ko yaad kero! Jab kay Allah tum say unn do jamaton mein say aik ka wada kerta tha kay woh tumharay haath aajaye gi aur tum iss tamanna mein thay kay ghair musallah jamat tumharay haath aajaye aur Allah Taalaa ko yeh manzoor tha kay apney ehkaam say haq ka haq hona sabit kerdey aur inn kafiron ki jarr kaat dey

[8] Takay haq ka haq hona aur baatil ka baatil hona sabit kerdey go yeh mujrim log na pasand hi keren

[9] Uss waqt ko yaad kero jab tum apney rab say faryad ker rahey thay phir Allah Taalaa ney tumhari sunn li kay mein tum ko aik hazat farishton say madad doon ga jo lagataar chalen aayen gay

[10] Aur Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie ki kay bisharat ho aur takay tumharay dilon ko qarar ho jaye aur madad sirf Allah hi ki taraf say hai jo kay zabardast hikmat wala hai

[11] Uss waqt ko yaad kero jab kay Allah tum per oongh taari ker raha tha apni taraf say chain denay kay liye aur tum per aasman say pani barsa raha tha kay iss pani kay zariye say tum ko pak ker dey aur tum say shetani waswasay ko dafa kerdey aur tumharay dilon ko mazboot kerdey aur tumharay paon jama dey

[12] Uss waqt ko yaad kero jab kay aap ka rab farishton ko hukum deta tha kay mein tumhara sathi hun so tum eman walon ki himmar barhao mein abhi kuffaar kay dilon mein rob dalay deta hun so tum gardanon per maaro aur inn kay por por ko maaro

[13] Yeh iss baat ki saza hai kay enhon ney Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat ki. Aur jo Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat kerta hai so be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai

[14] So yeh saza chakho aur jaan rakho kay kafiron kay liye jahannum ka aza muqarrar hi hai

[15] Aey eman walo! Jab tum kafiron say doo badoo muqabil hojao to unn say pusht mat pherna

[16] Aur jo shaks unn say iss moqay per pusht pheray ga magar haan jo laraee kay liye paintra badalta ho ya jo (apni) jamat ki taraf panah lenay aata ho woh mustasna hai. Baqi aur jo aisa keray ga woh Allah kay ghazab mein aajaye ga. Aur uss ka thikana dozakh hoga woh boht hi buri jagah hai

[17] So tum ney unhen qatal nahi kiya lekin Allah Taalaa ney unhen qatal kiya. Aur aap ney khaak ki muthi nahi phenki bulkay Allah Taalaa ney woh phenki aur takay musalmanon ko apni taraf say unn ki mehnat ka khoob ewaz dey bila shuba Allah Taalaa khoob sunnay wala khoob jannay wala hai

[18] (aik baat to) yeh hui aur (doosri baat yeh hai) Allah Taalaa ko kafiron ki tadbeer ko kamzor kerna tha

[19] Agar tum log faisla chahatay ho to woh faisla tumharay samney aa mojood hua aur agar baaz ajao to yeh tumharay liye nihayat khoob hai aur agar tum phir wohi kaam kero gay to hum bhi phir wohi kaam keren gay aur tumhari jamiyat tumharay zara bhi kaam na aaye gi go kitni ziyada ho aur waqaee baat yeh hai kay Allah Taalaa eman walon kay sath hai

[20] Aey eman walo! Allah ka aur uss kay rasool ka kaha mano aur uss (ka kaha mannay) say roo-gardani mat kero suntay jantay huye

[21] Aur tum unn logon ki tarah mat hona jo dawa to kertay hain kay hum ney sunn liya halankay woh suntay (sunatay kuch) nahi

[22] Be-shak bad tareen khaleeq Allah Taalaa kay nazdeek woh log hain jo behray hain goongay hain jo kay (zara) nahi samajhtay

[23] Aur agar Allah Taalaa inn mein koi khoobi dekhta to inn ko sunnay ki tofiq dey deta aur agar inn ko abb suna dey to zaroor roo gardani keren gay bey rukhi kertay huye

[24] Aey eman walo! Tum Allah aur rasool kay kehney ko baja lao jabkay rasool tum ko tumhari zindagi bakhsh cheez ki taraf bulatay hon. Aur jaan rakho kay Allah Taalaa aadmi kay aur uss kay qalb kay darmiyan aarr bann jaya kerta hai aur bila shuba tum sab ko Allah hi kay pass jama hona hai

[25] Aur tum aisay wabaal say bacho! Kay jo khaas ker sirf unhi logon per waqiya na hoga jo tum say inn gunhaon kay muratakib huye hain aur yeh jaan rakho kay Allah sakht saza denay wala hai

[26] Aur uss halat ko yaad kero! Jab tum zamin mein qaleel thay kamzor shumar kiye jatay thay. Iss andeshay mein rehtay thay kay tum ko log noch khasot na len so Allah ney tum ko rehney ki jagah di aur tum ko apni nusrat say qooat di aur tum ko nafees nafees cheezen ata farmaeen takay tum shukar kero

[27] Aey eman walo! Tum Allah aur rasool (kay huqooq) mein jantay huye khayanat mat kero aur apni qaabil-e-hifazat cheezon mein khayanat na kero

[28] Aur tum iss baat ko jaan rakho kay tumharay amwaal aur tumhari aulad aik imtehan ki cheez hai. Aur iss baat ko bhi jaan rakho kay Allah Taalaa kay pass bara bhari ajar hai

[29] Aey eman walo! Agar tum Allah say dartay raho gay to Allah Taalaa tum ko aik faislay ki cheez dey ga aur tum say tumharay gunah door ker dey ga aur tum ko bakhsish dey ga aur Allah Taalaa baray fazal wala hai

[30] Aur uss waqiye ka bhi zikar kijiye! Jabkay kafir log aap ki nisbat tadbeer soch rahey thay kay aap ko qaid ker len yaa aap ko qatal ker dalen yaa aap ko kharij-e-watan ker den aur woh to apni tadbeeren ker rahey thay aur Allah apni tadbeer ker raha tha aur sab say ziyada mustehkum tadbeer wala Allah hai

[31] Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain to kehtay hain kay hum ney sunn liya agar hum chahayen to iss kay barabar hum bhi keh den yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say manqool chali aarahi hain

[32] Aur jabkay inn logon ney kaha aey Allah ! Agar yeh quran aap ki taraf say waqaee hai to hum per aasman say pathar barsa ya hum per koi dard naak azab waqey kerdey

[33] Aur Allah Taalaa aisa na keray ga inn mein aap kay hotay huye inn ko azab dey aur Allah inn ko azab na dey ga iss halat mein kay woh istaghfaar bhi kertay hon

[34] Aur inn mein kiya baat hai kay inn ko Allah Taalaa saza na dey halankay woh log masjid-e-haram say roktay hain jabkay woh log iss masjid kay mutawalli nahi. Iss kay mutawalli to siwaye muttaqiyon kay aur ashkhaas nahi lekin inn mein aksar log ilm nahi rakhtay

[35] Aur unn ki namaz kaaba kay sirf yeh thi seetiyan bajana aur taaliyan bajana. So apney kufur kay sabab iss azab ka maza chakho

[36] Bila shak yeh kafir log apne maalon ko iss liye kharch ker rahey hain kay Allah ki raah say roken so yeh lo to apney maalon ko kharach kertay hi rahen gay phir woh maal inn kay haq mein baees-e-hasrat hojayen gay. Phir maghloob hojayen gay aur kafir logon ko dozakh ki taraf jama kiya jayega

[37] Takay Allah Taalaa na pak ko pak say alag ker dey aur na pakon kay aik doosray say mila dey pus inn sab ko ikatha dher ker dey phir inn sab ko jahannum mein daal dey. Aisay log pooray khasaray mein hain

[38] Aap inn kafiron say keh dijiye! Kay agar yeh log baaz aajayen to inn kay saray gunah jo pehlay ho chukay hain sab moaf ker diye jayen gay aur agar apni wohi aadat rakhen gay to (kuffaar) sabeyqeen kay haq mein qanoon nafiz ho chuka hai

[39] Aur tum inn say iss hadd tak laro kay inn mein fasad aqeedah na rahey. Aur deen Allah hi ka hojaye phir agar yeh baaz aajayen to Allah Taalaa inn aemaal ko khoob dekhta hai

[40] Aur agar roo gardaani keren to yaqeen rakhen kay Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai woh boht acha kaar saaz hai aur boht acha madadgar hai

[41] Jaan lo kay tum jiss qisam ki aur jo kuch ghanimat hasil kero uss mein say panchwa hissa Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat daron ka aur yateemon ka aur miskeenon ka aur musafiron ka agar tum Allah per eman laye ho aur uss cheez per jo hum ney apney banday per uss din utara hai jo din haq-o-baatil ki judaee ka tha jiss din do fojen bhirr gaee thin. Allah her cheez per qadir hai

[42] Jabkay tumharay pass walay kinaray per thay aur woh door walay kinaray per thay aur qafila tum say neechay tha. Agar tum aapas mein waday kertay to yaqeenan tum waqt moyyen per phonchney mein mukhtalif hojatay. Lekin Allah ko to aik kaam ker hi daalna tha jo muqarrar ho chuka tha takay jo halak ho zaleel per (yani yaqeen jaan ker) halak ho aur zinda rahey woh bhi daleel per (haq pehchan ker) zinda rahey. Be-shak Allah boht sunnay wala khoob jannay wala hai

[43] Jabkay Allah Taalaa ney tujhay teray khuwab mein unn ki taadaad kum dikhaee agar inn ki ziyadti dikhata to tum buzdil hojatay aur iss kaam kay baray mein aapas mein ikhtilaaf kertay lekin Allah Taalaa ney bacha liya woh dilon kay bhedon say khoob aagah hai

[44] Jabkay uss ney ba-waqt-e-mulaqat unhen tumhari nighaon mein boht kum dikhaye aur tumhen unn ki nighaon mein kum dikhaye takay Allah Taalaa iss kaam ko anajm tak phoncha dey jo kerna hi tha aur sab kaam Allah hi ki taraf pheray jatay hain

[45] Aey eman walo! Jab tum kissi mukhalif foj say bhirr jao to sabit qadam raho aur ba kasrat Allah ko yaad kero takay tumhen kaamyabi hasil ho

[46] Aur Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardari kertay raho aapas mein ikhtilaf na kero werna buzdil hojao gay aur tumhari hawa ukhar jaye gi aur sabar-o-sahaar rakho yaqeenan Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai

[47] Unn logon jaisay na bano jo itratay huye aur logon mein khud numaee kertay huye apney gharon say chalay aur Allah ki raah say roktay thay jo kuch woh ker rahey hain Allah ussay gher lenay wala hai

[48] Jabkay unn kay aemaal ko shetan zeenat daar dikha raha tha aur keh raha tha kay logon mein say koi bhi aaj tum per ghalib nahi aa sakta mein khud bhi tumhara himayati hun lekin jab donon jamaten namoo daar huen to apni aeriyon kay ball peechay hatt gaya aur kehnay laga mein tum say bari hun. Mein woh dekh raha hun jo tum nahi dekh rahey. Mein Allah say darta hun aur Allah Taalaa sakhta azab wala hai

[49] Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala hai

[50] Kaash kay tu dekhta jabkay farishtay kafiron ki rooh qabz kertay hain unn kay mun aur sareenon per maar maartay hain (aur kehtay hain) tum jalney ka maza chakho

[51] Yeh ba-sabab unn kaamon kay jo tumharay haathon ney pehlay hi bhej rakha hai be-shak Allah apney bandon per zulm kerney wala nahi

[52] Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya. Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai

[53] Yeh iss liye kay Allah aisa nahi kay kissi qom per koi nemat inam farma ker phir badal dey jab tak kay woh khud apni uss halat ko na badal den jo kay unn ki apni thi aur yeh kay Allah sunnay wala hai

[54] Misil halat firaoniyon kay aur unn say pehlay kay logon kay, kay unhon ney apney rab ki baaten jhutlaeen. Pus unn kay gunahon kay baees hum ney unhen barbaad kiya aur firaoniyon ko dobo diya. Yeh saray zalim thay

[55] Tamam jaandaron say badtar Allah kay nazdik woh hain jo kufur keren phir woh eman na layen

[56] Jin say aap ney ehad-o-paymaan ker liya phir bhi woh apney ehad-o-paymaan ko her martaba tor detay hain aur bilkul perhez nahi kertay

[57] Pus jab kabhi tu laraee mein inn per ghalib aajaye enhen aisi maar maar kay inn kay pichlay bhi bhaag kharay hon ho sakta hai kay woh ibrat keren

[58] Aur agar tujhay kissi qom ki khayanat ka darr ho to barabari ki haalat mein unn ka ehad naama tor dey Allah Taalaa khayanat kerney walon ko pasand nahi farmata

[59] Kafir yeh khayal na keren kay woh bhaag niklay. Yaqeenan woh aajiz nahi ker saktay

[60] Tum inn kay muqablay kay liye apni taqat bhar qooat ki tayyari kero aur ghoron ko tayyar rakhney ki kay iss say tum Allah kay dushmanon ko khof zada rakh sako aur inn kay siwa auron ko bhi jinhen tum nahi jantay Allah enhen khoob jaan raha hai jo kuch bhi Allah ki raah mein sarf kero gay woh tumhen poora poora diya jayega aur tumhara haq na maara jayega

[61] Agar woh sulah ki taraf jhuken to tu bhi sulah ki taraf jhuk jaa aur Allah per bharosa rakh yaqeenan woh boht sunnay jannay wala hai

[62] Agar woh tujh say dagha baazi kerna chahayen gay to Allah tujhay kafi hai ussi ney apni madad say aur mominon say teri taaeed ki hai

[63] Inn kay dilon mein bahumi ulfat bhi ussi ney dali hai. Zamin mein jo kuch hai agar sara ka sara bhi kharch ker dalta to bhi inn kay dil aapas mein na mila sakta. Yeh to Allah hi ney inn mein ulfat daal di hai woh ghalib hikmaton wala hai

[64] Aey nabi! Tujhay Allah kafi hai aur inn mominon ko jo teri pairwee ker rahey hain

[65] Aey nabi! Eman walon ko jihad ka shoq dilao agar tum mein bees (20) bhi sabar kerney walay hongay to do so per ghalib rahey gay. Aur agar tum mein aik so hongay to aik hazar kafiron per ghalib rahen gay iss wastay kay woh bey samajh log hain

[66] Acha abb Allah tumhara bojh halka kerta hai woh khoob janta hai kay tum mein na tawani hai pus agar tum mein say aik so sabar kerney walay hongay to woh do so per ghalib rahen gay aur agar tum mein aik hazar hongay to woh Allah kay hukum say do hazar per ghalib rahen gay Allah sabar kerney walon kay sath hai

[67] Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai

[68] Agar pehlay hi say Allah ki taraf say baat likhi hui na hoti to jo kuch tum ney liya hai iss baray mein tumhen koi bari saza hoti

[69] Pus jo kuch halal aur pakeezah ghanimat tum ney hasil ki hai khoob khao piyo aur Allah say dartay raho yaqeenan Allah ghafoor-o-rahim hai

[70] Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah bakhshney wala meharban hai hi

[71] Aur agar woh tujh say khayanat ka khayal keren to yeh to iss say pehlay khud Allah ki khayanat ker chukay hain aakhir iss ney enhen giriftar kera diya aur Allah ilm-o-hikmat wala hai

[72] Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai

[73] Kafir aapas mein aik doosray kay rafiq hain agar tum ney aisa na kiya to mulk mein fitna hoga aur zabardast fasaad hojayega

[74] Jo log eman laye aur hijrat ki aur Allah ki raah mein jihad kiya aur jinhon ney panah di aur madad phonchaee. Yehi log sachay momin hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat ki rozi

[75] Aur jo log iss kay baad eman laye aur hijrat ki aur tumharay sath hoker jihad kiya. Pus yeh log bhi tum mein say hi hain aur rishtay naatay walay inn mein say baaz baaz ziyada nazdeek hain Allah kay hukum mein be-shak Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai

التوبہ

Surah 9

[1] Allah aur uss kay rasool ki janib say beyzaari ka ailaan hai unn mushrikon kay baray mein jinn say tum ney ehad-o-paymaan kiya tha

[2] Pus (aey mushriko!) tum mulk mein char maheenay tak to chal phir lo jaan lo kay tum Allah ko aajiz kerney walay nahi ho aur yeh (bhi yaad rahey) kay Allah kafiron ko ruswa kerney wala hai

[3] Allah aur uss kay rasool ki taraf say logon ko baray hajj kay din saaf itlaa hai kay Allah mushrikon say beyzaar hai aur uss ka rasool bhi agar abb bhi tum tauba kerlo to tumharay haq mein behtar hai aur agar tum roo gardaani kero to jaan lo kay tum Allah ko hara nahi saktay. Aur kafiron ko dukh ki maar ki khabar phonca dijiye

[4] Ba-juz unn mushrikon kay jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai aur unhon ney tumhen zara sa bhi nuksan nahi phonchaya na kissi ki tumharay khilaf madad ki hai to tum bhi unn kay mohaeeday ki muddat unn kay sath poori kero Allah Taalaa perhezgaron ko dost rakhta hai

[5] Phir hurmat walay maheenon kay guzartay hi mushrikon ko jahan pao qatal kero unhen giriftar kero unn ka mahasra kerlo aur unn ki taaq mein her ghaati mein ja betho haan agar woh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakar ada kerney lagen to tum unn ki rahen chor do. Yaqeenan Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai

[6] Agar mushrikon mein say koi tujh say panah talab keray to tu ussay panah dey dey yahan tak kay woh kalam Allah sunn ley phir ussay apni jaye amaan tak phoncha dey. Yeh iss liye kay yeh log bey ilm hain

[7] Mushrikon kay liye ehad Allah aur uss kay rasool kay nazdeek kaisay reh sakta hai siwaye unn kay jin say tum ney ehad-o-paymaan masjid-e-haram kay pass kiya hai jab tak woh log tum say wada nibhayen tum bhi unn say wafa daari kero Allah Taalaa muttaqiyon say mohabbat rakhta hai

[8] Unn kay wadon ka kiya aitbaar unn ka agar tum per ghalba hojaye to na yeh qarabat daari ka khayal keren na ehad-o-paymaan ka apni zabanon say to tumhen parcha rahey hain lekin unn kay dil nahi mantay inn mein say aksar to fasiq hain

[9] Enhon ney Allah ki aayaton ko boht kam qeematon mein baich diya aur uss ki raah say roka. Boht bura hai jo yeh ker rahey hain

[10] Yeh to kissi musalman kay haq main kissi rishtay daari ka ya ehad ka mutlaq lehaz nahi kertay yeh hain hi hadd say guzarney walay

[11] Abb bhi agar yeh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakat detay rahen to tumharay deeni bhai hain. Hum to jannay walon kay liye aayaten khol khol ker biyan ker rahey hain

[12] Agar yeh log ehad-o-paymaan kay baad bhi apni qasmon ko tor den aur tumharay deen mein taana zani keren to tum bhi unn sardaraan-e-kufur say bhir jao. Unn ki qasmen koi cheez nahi mumkin hai kay iss tarah woh baaz aajayen

[13] Tum inn logon ki sirkoobi kay liye kiyon tayyar nahi hotay jinhon ney apni qasmon ko tor diya aur payghumbar ko jila watan kerney ki fikar mein hain aur khud hi awwal baat unhon ney tum say cher ki hai. Kiya tum inn say dartay ho? Allah hi ziyada mustahiq hai kay tum uss ka darr rakho ba-shart-e-kay tum eman walay ho

[14] Inn say tum jang kero Allah Taalaa enhen tumharay hathon azab dey ga enhen zaleel-o-ruswa keray ga tumehn inn per madad dey ga aur musalmanon kay kalejay thanday keray ga

[15] Aur unn kay dil ka ghum-o-gussa door keray ga aur woh jiss ki taraf chahata hai rehmat say tawajja farmata hai. Allah khoob janta boojhta hikmat wala hai

[16] Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum chor diye jao gay halankay kay abb tak Allah ney tum mein unhen mumtaz nahi kiya jo mujahid hain aur jinhon ney Allah kay aur uss kay rasool kay aur mominon kay siwa kissi ko wali dost nahi banaya Allah khoob khabar daar hai jo tum ker rahey ho

[17] Laeeq nahi kay mushrik Allah Taalaa ki masjidon ko abad keren. Daran halanakay woh khud apney kufur kay aap hi gawah hain inn kay aemaal gharat-o-ikarat hain aur woh daeemi tor per jahannumi hain

[18] Allah ki masjidon ki ronaq-o-abadi to unn kay hissay mein hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain namazon kay paband hon zakat detay hon Allah key siwa kissi say na dartay hontawaqqa hai kay yehi log yaqeenan hidayat yafta hain

[19] Kiya tum ney hajiyon ko pani pila dena aur masjis-e-haram ki khidmat kerna iss kay barabar ker diya hai jo Allah per aur aakhirat kay din per eman laye aur Allah ki raah mein jihad kiya yeh Allah kay nazdik barabar kay nahi aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta

[20] Jo log eman laye hijrat ki Allah ki raah mein apney maal aur apni jaan say jihad kiya woh Allah kay haan boht baray martabay walay hain aur yehi log murab paney walay hain

[21] Enhen unn ka rab khushkhabri deta hai apni rehmat ki aur raza mandi ki aur jannaton ki inn kay liye wahan dawami nemat hai

[22] Wahan yeh hamesha rehney walay hain Allah kay pass yaqeenan boht baray sawab hain

[23] Aey eman walo! Apney baapon ko aur apney bhaiyon ko dost na banao agar woh kufur ko eman say ziyada aziz rakhen. Tum mein say jo bhi inn say mohabbat rakhay ga woh poora gunehgar zalim hai

[24] Aap keh dijiye kay agar tumharay baap aur tumharay larkay aur tumharay bhai aur tumhari biwiyan aur tumharay kunbay qabeelay aur tumharay kamaye huye maal aur woh tijarat jiss ki kami say tum dartay ho aur woh hawayliyan jinehn tum pasand kertay ho agar yeh tumhen Allah say aur uss kay rasool say aur uss ki raah mein jihad say bhi ziyada aziz hain to tum intizar kero Allah Taalaa apna azab ley aaye. Allah Taalaa fasiqon ko hidayat nahi deta

[25] Yaqeenan Allah Taalaa ney boht say maidanon mein tumhen fatah di hai aur hunain ki laraee walay din bhi jabkay tumhen apni kasrat per naaz hogaya tha lekin uss ney tumhen koi faeeda na diya bulkay zamin bawajood apni kushadgi kay tum per tang hogaee phir tum peeth pher ker murr gaye

[26] Phir Allah ney apni taraf ki taskeen apney nabi per aur mominon per utari aur apney woh lashkar bhejay jinhen tum dekh nahi rahey thay aur kafiron ko poori saza di. Inn kuffaar kay yehi badla tha

[27] Phir iss kay baad bhi jiss per chahaye Allah Taalaa apni rehmat ki tawajja farmaye ga Allah hi bakhsish-o-meharbani kerney wala hai

[28] Aey eman walo! Be-shak mushrik bilkul hi na pak hain woh iss saal kay baad masjid-e-haram kay pass bhi na phatakney payen agar tumhen muflisi ka khof hai to Allah tumhen dolat mand ker dey ga apney fazal say agar chahaye Allah ilm-o-hikmat wala hai

[29] Unn logon say laro jo Allah per aur qayamat kay din per eman nahi latay jo Allah aur uss kay rasool ki haram kerda shey ko haram nahi jantay na deen-e-haq ko qabool kertay hain unn logon mein say jinhen kitab di gaee hai yahan tak kay woh zaleel-o-khuwar hoker apney hath say jizya ada keren

[30] Yahood kehtay hain kay uzair Allah ka beta hai aur nasrani kehtay hain kay maseeh Allah ka beta hai yeh qol sirf unn kay mun ki baat hai. Aglay munkiron ki baat ki yeh bhi naqal kerney lagay Allah enehn ghaarat keray woh kaisay paltaye jatay hain

[31] Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna rab banaya hai aur marium kay betay maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say

[32] Woh chahatay hain kay Allah kay noor ko apne mun say bujha den aur Allah Taalaa inkari hai magar issi baat ka kay apna noor poora keray go kafir na khush hon

[33] Ussi ney apney rasool ko hidayat aur sachay deen kay sath bheja hai kay issay aur tamam mazhabon per ghalib ker dey agar cheh mushrik bura manen

[34] Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak azab ki khabar phoncha dijiye

[35] Jiss din iss khazaney ko aatish-e-dozakh mein tapaya jaye ga phir iss say unn ki payshaniyan aur pehloo aur peethen daaghi jayengi (unn say kaha jayega) yeh hai jisay tum ney apney liye khazana bana rakha tha. Pus apney khazanon ka maza chakho

[36] Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah mein baara ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab kay hain. Yehi durust deen hai tum inn maheenon mein apni janon per zulm na kero aur tum tamam mushrikon say jihad kero jaisay kay woh tum sab say lartay hain aur jaan rakho kay Allah Taalaa muttaqiyon kay sath hai

[37] Meheenon ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar ki Allah rehnumaee nahi farmata

[38] Aey eman walon tumhen kiya hogaya hai kay jab tum say kaha jata hai kay chalo Allah kay raastay mein kooch kero to tum zamin say lagay jatay ho. Kiya tum aakhirat kay ewaz duniya ki zindagani per hi reejh gaye ho. Suno! Duniya ki zindagi to aakhirat kay muqablay mein kuch yun hi si hai

[39] Agar tum ney kooch na kiya to tumhen Allah Taalaa dard naak saza dey ga aur tumharay siwa aur logon ko badal laye ga tum Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay aur Allah her cheez per qadir hai

[40] Agar tum inn (nabi PBUH) ki madad na kero yo Allah hi ney inn ki madad ki uss waqt jabkay enhen kafiron ney (dess say) nikal diya tha do mein say doosra jabkay woh dono ghaar mein thay jab yeh apney sathi say keh rahey thay kay ghum na ker Allah humaray sath hai pus janab-e-baari ney apni taraf say taskeen uss per nazil farma ker unn lashkaron say unn ki madad ki jinhen tum ney dekha hi nahi uss ney kafiron ki baat pust ker di aur buland-o-aziz to Allah ka kalma hi hai Allah ghalib hai hikmat wala hai

[41] Nikal kharay hojao hulkay phulkay ho to bhi aur bhari bharkum ho to bhi aur raah-e-rab mein apni maal-o-jaan say jihad kero yehi tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho

[42] Agar jald wasool honey wala maal-o-asbaab hota aur halka sa safar hota to yeh zaroor aap kay peechay ho letay lekin unn per doori aur daraz ki mushkil parr gaee. Abb ato yeh Allah ki qasmen khayen gay kay agar hum mein qooat-o-taqat hoti to hum yaqeenan aap kay sath nikaltay yeh apni janon ko khud hi halakat mein daal rahey hain inn kay jhootay honey ka sacha ilm Allah ko hai

[43] Allah tujhay moaf farma dey tu ney enhen kiyon ijazat dey di? Baghair iss kay, kay teray samney sachay log khul jayen aur tu jhootay logon ko bhi jaan ley

[44] Allah kay din per aur qayamat kay din per eman-o-yaqeen rakhney walay to maali aur jaani jihad say ruk rehney ki kabhi bhi tujh say ijazat talab nahi keren gay aur Allah Taalaa perhezgaron ko khoob janta hai

[45] Yeh ijazat to tujh say wohi talab kertay hain jinhen na Allah per eman hai na aakhirat kay din ka yaqeen hai jin kay dil shak mein paray huye hain aur woh apney shak mein hi sir-gardan hain

[46] Agar inn ka irada jihad kay liye nikalney ka hota to woh iss safar kay liye saman ki tayyari ker rakhtay lekin Allah ko inn ka uthna pasand hi na tha iss liye enhen harkat say hi rok diya aur keh diya gaya kay tum bethney walon kay sath bethay hi raho

[47] Agar yeh tum mein mill ker nikaltay bhi to tumharay liye siwaye fasad kay aur koi cheez na barhatay bulkay tumharay darmiyan khoob ghoray dora detay aur tum mein fitney dalney ki talash mein rehtay inn kay mannay walay khud tum mein mojood hain aur Allah inn zalimon ko khoob janta hai

[48] Yeh to iss say pehlay bhi fitnay ki talash kertay rahey hain aur teray liye kaamon ko ulat pulat kertay rahey hain yahan tak kay haq aa phoncha aur Allah ka hukum ghalib aagaya bawajood yeh kay woh na khushi mein hi rahey

[49] Inn mein say koi to kehta hai mujhay ijazat dijiye mujhay fitnay mein na daliye aagah raho woh to fitnay mein parr chukay hain aur yaqeenan dozakh kafiron ko gher leney wali hai

[50] Aap ko agar koi bhalaee mill jaye to unhen bura lagata hai aur koi buraee phonch jaye to yeh kehtay hain hum ney to apna moamla pehlay say hi durust ker liya tha phir to baray hi itratay huye lottay hain

[51] Aap keh dijiye kay humen siwaye Allah kay humaray haq mein likhay huye kay koi cheez phonch hi nahi sakti woh humara kaar saaz aur mola hai. Mominon ko to Allah ki zaat pak per hi bharosa kerna chahaiye

[52] Keh dijiye kay tum humaray baray mein jiss cheez ka intizar ker rahey ho woh do bhalaeeyon mein say aik hai aur hum tumharay haq mein iss ka intizar kertay hain kay ya to Allah Taalaa apney pass say koi saza tumhen dey ya humaray hathon say pus aik taraf tum muntazir raho doosri janib tumharay sath hum bhi muntazir hain

[53] Keh dijiye kay tum khushi ya na khushi kissi tarah bhi kharach kero qabool to hergiz na kiya jayega yaqeenan tum fasiq log ho

[54] Koi sabab unn kay kharach ki qabooliyat kay na honey ka iss kay siwa nahi kay yeh Allah aur uss kay rasool kay munkir hain aur bari kaahili say hi namaz ko aatay hain aur buray dil say hi kharach kertay hain

[55] Pus aap ko inn kay maal-o-aulad tajjub mein na daal den. Allah ki chahat yehi hai kay iss say enhen duniya ki zindagi mein hi saza dey aur inn kay kufur hi ki halat mein inn ki janen nikal jayen

[56] Yeh Allah ki qasam kha kha ker kehtay hain yeh tumhari jamat kay log hain halankay woh dar-asal tumharay nahi baat sirf itni hai kay yeh darpok log hain

[57] Agar yeh koi bachao ki jagah ya koi ghaar ya koi bhi sir ghusaney ki jagah paa len to abhi uss taraf lagam tor ker ultay bhaag chooten

[58] Inn mein woh bhi hain jo kheyraati maal ki taqseem kay baray mein aap per aib rakhtay hain agar enhen iss mein say mill jaye to khush hain aur agar iss mein say na mila to foran hi bigar kharen huye

[59] Agar yeh log Allah aur uss kay rasool kay diye huye per khush rehtay aut keh detay kay Allah humen kafi hai Allah humen apney fazal say dey ga aur uss ka rasool bhi hum to Allah ki zaat say hi tawaqqa rakheny walay hain

[60] Sadqay sirf faqeeron kay liye hain aur miskeenon kay liye aur inn kay wasool kerney walon kay liye aur unn kay liye jin kay dil parchaye jatay hon aur gardan churaney mein aur qaraz daron kay liye aur Allah ki raah mein aur raah ro musafiron kay liye farz hai Allah ki taraf say aur Allah ilm-o-hikmat wala hai

[61] Inn mein say woh bhi hain jo payghumbar ko ezza detay hain kehtay hain kay kaan ka kacha hai aap keh dijiye kay woh kaan tumharay bhalay kay liye hai woh Allah per eman rakha hai aur musalamanon ki baaton ka yaqeen kerta hai aur tum mein say jo ehal-e-eman hain yeh unn kay liye rehmat hai rasool Allah (PBUH) ko jo log ezze detay hain unn kay liye dukh ki maar hai

[62] Mehaz tumhen khush kerney kay liye tumharay samney Allah ki qasmen kha jatay hain halankey agar yeh eman daar hotay to Allah aur uss ka rasool raza mand kerney ka ziyada mustahiq thay

[63] Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala hai yeh zabardast ruswaee hai

[64] Mufiqon ko her waqt iss baat ka khutka laga rehta hai kay kahin musalmanon per koi surat na utray jo inn kay dilon ki baaten unhen batla dey. Keh dijiye kay tum mazaq uratay raho yaqeenan Allah Taalaa ussay zahir kerney wala hai jiss say tum darr dubak rahey ho

[65] Agar aap inn say poochen to saaf keh den gay kay hum to yun hi aapas mein hans bol rahey thay. Keh dijiye kay Allah ussi ki aayaten aur uss ka rasool hi tumharay hansi mazaq kay liye reh gaye hain

[66] Tum bahaney na banao yaqeenan tum apney eman kay baad bey eman hogaye agar hum tum mein say kuch logon say dar guzar bhi kerlen to kuch logon ko unn kay jurm ki sangeen saza bhi den gay

[67] Tamam munafiq mard-o-aurat aapas mein aik hi hain yeh buri baaton ka hukum detay hain aur bhali baaton say roktay hain aur apni muthi band rakhtay hain yeh Allah ko bhool gaye enhen bhula diya be-shak munafiq hi fasiq-o-ba-dkirdar hain

[68] Allah Taalaa inn munafiq mardon aurton aur kafiron say jahannum ki aag ka wada ker chuka hai jahan yeh hamesha rehney walay hain wohi enhen kafi hai inn per Allah ki phitkar hai aur inn hi kay liye daeemi azab hai

[69] Misil unn logon kay jo tum say pehlay thay tum mein say woh ziyada qooat walay thay aur ziyada maal-o-aulad walay thay pus woh apna deeni hissa barat gaye phir tum ney bhi apna hissa barat liya jaisay tum say pehlay kay log apney hissay say faeeda mand huye thay aur tum ney bhi issi tarah mazaqan behas ki jaisay kay unhon ney ki thi. Unn kay aemaal duniya aur aakhirat mein ghaarat hogaye yehi log nuksan paney walay hain

[70] Kiya enhen apney say pehlay logon ki khabren nahi phonchin qom-e-nooh aur aad aur samood aur qom-e-ibrajhim aur ehal-e-madiyen aur ehal-e-motafiqaat (ulti hui bastiyon kay rehney walay) ki unn kau pass unn kay payghumbar daleel ley ker phonchay Allah aisa na tha kay unn per zulm keray bulkay unhon ney khud hi apney upper zulm kiya

[71] Momin mard-o-aurat aapas mein aik doosray kay (madadgar-o-maavin aur) dost hain woh bhalaiyon ka hukum detay hain aur buraiyon say roktay hain namazon ko pabandi say baja latay hain zakat ada kertay hain Allah ki aur uss kay rasool ki baat maantay hain yehi log hain jin per Allah Taalaa both jald reham faramaye ga be-shak Allah ghalbay wala hikmat wala hai

[72] Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai

[73] Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad jari rakho aur inn per sakht hojao inn ki asli jagah dozakh hai jo nihayat bad tareen jagah hai

[74] Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati aur madadgar na khara hoga

[75] Inn mein woh bhi hain jinhon ney Allah say ehad kiya tha kay agar woh humen apney fazal say maal dey ga to hum zaroor sadqa-o-kheyraat keren gay aur neko kaaron mein hojayen gay

[76] Lekin jab Allah ney apney fazal say enhen diya to yeh iss mein bakheeli kerney lagay aur taal matol ker kay mun mor liya

[77] Pus iss ki saza mein Allah ney inn kay dilon mein nafaq daal diya Allah say milney kay dinon tak kiyon kay enhon ney Allah say kiye huye waday ka khilaf kiya aur kiyon kay jhoot boltay rahey

[78] Kiya woh nahi jantay kay Allah Taalaa ko unn kay dil ka bhed aur unn ki sirgoshi sab maloom hai aur Allah Taalaa ghaib ki tamam baaton say khabardaar hai

[79] Jo log inn musalmanon per taanaa zani kertay hain jo dil khol ker kheyraat kertay hain aur unn logon per jinhen siwaye apni mehnat mazdoori kay aur kuch mayyasar hi nahi pus yeh unn ka mazaq uratay hain Allah bhi inn say tamaskhur kerta hai enhi kay liye dard naak azab hai

[80] Inn kay liye istaghfaar ker ya na ker. Agar tu satter martaba bhi inn kay liye istaghfaar keray to bhi Allah enhen hergiz na bakhshay ga yeh iss liye kay enhon ney Allah say aur uss kay rasool say kufur kiya hai aisay fasiq logon ko rab karim hidayat nahi deta

[81] Peefchay reh janey walay log rasool Allah (PBUH) kay janey kay baad apney bethay rehney per khush hain enhon ney Allah ki raah mein apney maal aur apni janon say jihad kerna na pasand rakha aur enhon ney keh diya kay iss garmi mein mat niklo. Keh dijiye kay dozakh ki aag boht hi sakht garam hai kaash kay woh samajhtay hotay

[82] Pus enhen chahaiye kay boht kum hansen aur boht ziyada royen badlay mein uss kay jo yeh kertay hain

[83] Pus agar Allah Taalaa aap ko inn ki kissi jamat ki taraf lota ker wapis ley aaye phir yeh aap say maidan-e-jang mein nikalney ki ijazat talab keren to aap keh dijiye kay tum meray hergiz chal nahi saktay aur na meray sath tum dushmanon say laraee ker saktay ho. Tum ney pehli martaba hi beth rehney ko pasand kiya tha pus tum peechay reh janey walon mein hi bethay raho

[84] Inn mein say koi marr jaye to aap uss kay janazay ki hergiz namaz na parhen aur na uss ki qabar per kharay hon. Yeh Allah aur uss kay rasool kay munkir hain aur martay dum tak bad kaar bey ita’at rahen hain

[85] Aap ko inn kay maal-o-aulad kuch bhi bhalay na lagen! Allah ki chahat yehi hai kay enhen inn cheezon say dunyawi saza dey aur yeh apni janen nikalney tak kafir hi rahen

[86] Jab koi surat utari jati hai kay Allah per eman lao aur uss kay rasool kay sath mill ker jihad kero to inn mein say dolat mandon kay aik tabqa aap kay pass aaker yeh keh ker rukhsat ley leta hai kay humen to bethay rehney walon mein hi chor chor dijiye

[87] Yeh to khana nasheen aurton ka sath denay per reejh gaye aur inn kay dilon per mohar laga di gaee abb woh kuch samajh aqal nahi rakhtay

[88] Lekin khud rasool Allah (PBUH) aur iss kay sath kay eman walay apney maalon aur janon say jihad kertay hain yehi log bhalaiyon walay hain aur yehi log kaamyabi hasil kerney walay hain

[89] Enhi kay liye Allah ney woh jannaten tayyar ki hain jin kay neechay nehren jaari hain jin mein yeh hamesha rehney walay hain yehi boht bari kaamyabi hai

[90] Badiya nasheenon mein say uzur walay log hazir huye kay enhen rukhsat dey di jaye aur woh beth rahey jinhon ney Allah say aur uss kay rasool say jhooti baaten banaee thin, abb to inn mein jitney kuffaar hain enhen dukh denay wali maar phonch ker rahey gi

[91] Zaeefon aur beemaron per aur unn per jin kay pass kharach kerney ko kuch bhi nahi koi haraj nahi ba-shart-e-kay woh Allah aur uss kay rasool ki khair khuwaee kertay rahen aisay nek kaaron per ilzam ki koi raah nahi Allah Taalaa bari maghfirat-o-rehmat wala hai

[92] Haan unn per bhi koi haraj nahi jo aap kay pass aatay hain kay aap unhen sawari mohiyya ker den to aap jawab detay hain kay mein to tumahri sawari kay liye kuch bhi nahi pata to woh ranj-o-ghum say apni aakhon say aansoo bahatay huye lot jatay hain kay enhen kharach kerney kay liye kuch bhi mayyasar nahi

[93] Be-shak unhin logon per raah-e-ilzam hai jo bawajood dolat mand honey kay aap say ijazat talab kertay hain. Yeh khana nasheen aurton ka sath denay per khush hain aur inn kay dilon per mohar-e-khudawandi lagg chuki hai jiss say woh mehaz bey ilm hogaye hain

[94] Yeh log tumharay samney uzur paish keren gay jab tum inn kay pass wapis jaogay. Aap keh dijiye kay yeh uzur paish mat kero hum kabhi tum ko sacha na samjhen gay Allah Taalaa hum ko tumhari khabar dey chuka hai aur aaenda bhi Allah aur uss ka rasool tumhari kaar guzari dekh len gay phir aisay kay pass lotaye jaogay jo posheeda aur zahir sab ka jannay wala hai phir woh tum ko bata dey ga jo kuch tum kertay thay

[95] Haan woh abb tumharay samney Allah ki qasmen kha jayen gay jab tum unn kay pass wapis jaogay takay tum unn ko unn ki halat per chor do. So tum unn ko unn ki halat per chor do. Woh log bilkul ganday hain aur unn ka thikana dozakh hai unn kaamon kay badlay jinhen woh kiya kertay thay

[96] Yeh iss liye qasmen khayen gay kay tum inn say razi hojao to Allah Taalaa to aisay fasiq logon say razi nahi hota

[97] Dehati log kufur aur nifaq mein boht hi sakht hain aur unn ko aisa hona hi chahaiye kay unn ko inn kay ehkaam ka ilm na ho jo Allah Taalaa ney apney rasool per nazil farmaye hain aur Allah bara ilm wala bari hikmat wala hai

[98] Aur inn dehatiyon mein baaz aisay hain kay jo kuch kharach kertay hain uss ko jurmana samajhtay hain aur tum musalmanon kay wastay buray waqt kay muntazir rehtay hain bura waqt inn hi per parney wala hai aur Allah sunnay wala aur jannay wala hai

[99] Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai

[100] Aur jo mohajreen aur ansaar sabiq aur muqaddam hain aur jitney log ikhlaas kay sath unn kay pairo hain Allah unn sab say razi hua aur woh sab uss say razi huye aur Allah ney unn kay liye aisay baagh mohiyya ker rakhay hain jin kay neechay nehren jaari hongi jin mein hamesha rahen gay yeh bari kaamyabi hai

[101] Aur kuch tumharay gird-o-paish walon mein aur kuch madinay walon mein aisay munafiq hain kay nifaq per aray huye hain aap inn ko nahi jantay inn ko hum jantay hain hum inn ko dohri saza den gay phir woh baray bhari azab ki taraf bhejay jayen gay

[102] Aur kuch aur log hain jo apni khata kay iqrari hain jinhon ney milay julay amal kiye thay kuch bhalay aur kuch buray Allah say umeed hai kay unn ki toba qabool farmaye. Bila shuba Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai

[103] Aap inn kay maalon mein sadqa ley lijiye jiss kay zariye say aap inn ko pak saaf ker den aur inn kay liye dua kijiye bila shuba aap ki dua inn kay liye mojib-e-itminaan hai aur Allah Taalaa khoob sunta hai khoob janta hai

[104] Kiya inn ko yeh khabar nahi kay Allah hi apney bandon ki toba qabool kerta hai aur wohi sadqaat ko qabool farmata hai aur yeh kay Allah hi toba qabool kerney mein aur rehmat kerney mein kaamil hai

[105] Keh dijiye kay tum amal kiye jao tumharay amal Allah khud dekh ley ga aur uss ka rasool aur eman walay (bhi dekh len gay) aur zaroor tum ko aisay kay pass jana hai jo tamam chupi aur khuli cheezon ka jannay wala hai. So woh tum ko tumhara sab kiya hua batla dey ga

[106] Aur kuch aur log hain jin ka moamla Allah kay hukum aaney tak mulatawee hai unn ko saza dey ga ya unn ki toba qabool ker ley ga aur Allah khoob jannay wala hai bara hikmata wala hai

[107] Aur baaz aisay hain jinhon ney inn aghraaz kay liye masjid banaee hai kay zarrar phonchayen aur kufur ki baaten keren aur eman daron mein tafreeq dalen aur uss shaks kay qayam ka saman keren jo iss say pehlay say Allah aur rasool ka mukhalif hai aur qasmen kha jayen gay kay ba-juz bhalaee kay aur humari kuch neeyat nahi aur Allah gawah hai kay woh bilkul jhootay hain

[108] Aap iss mein kabhi kharay na hon. Albatta jiss masjid ki bunyaad awwal din say taqwa per rakhi gaee hai woh iss laeeq hai kay aap iss mein kharay hon iss mein aisay aadmi hain kay woh khoob pak honey ko pasand kertay hain aur Allah Taalaa khoob pak honey walon ko pasand kerta hai

[109] Phir aaya aisa shaks behtar hai jiss ney apni emaarat ki bunyaad Allah say darney per aur Allah ki khushnoodi per rakhi ho ya woh shaks kay jiss ney apni emaarat ki bunyaad kissi ghaati kay kinaray per jo kay girney hi ko ho rakhi ho phir woh iss ko ley ker aatish-e-dozakh mein girr paray aur Allah Taalaa aisay zalimon ko samajh hi nahi deta

[110] Inn ki yeh emaarat jo enhon ney banaee hai hamesha inn kay dilon mein shak ki bunyaad per (kaanta bann ker) khutakti rahey gi haan magar inn kay dil hi agar paash paash hojayen to khair aur Allah Taalaa bara ilm wala bari hikmat wala hai

[111] Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai

[112] Woh aisay hain jo tauba kerney walay ibadat kerney walay hamd kerney walay roza rakhney walay (yaa raah-e-haq mein safar kerney walay) rukoo aur sajda kerney walay nek baaton ki taleem kerney walay aur buri baaton say baaz rakhney walay aur Allah ki haddon ka khayal rakhney walay hain aur aisay momineen ko aap khushkhabri suna dijiye

[113] Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho janey kay baad kay yeh log dozakhi hain

[114] Aur ibrahim (alh-e-salam) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim (alh-e-salam) baray naram dil aur burd baar thay

[115] Aur Allah aisa nahi kerta kay kissi qom ko hidayat ker kay baad mein gumrah kerdey jab tak kay unn cheezon ko saaf saaf na batla dey jin say woh bachen be-shak Allah Taalaa her cheez ko khoob janta hai

[116] Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai

[117] Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai

[118] Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai

[119] Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur sachon kay sath raho

[120] Madinay kay rehney walon ko aur jo dehaati unn kay gird-o-paish mein hain unn ko yeh zaiba na tha kay rasool Allah ko chor ker peechay reh jayen aur na yeh kay apni jaan ko unn ki jaan say aziz samajhen yeh iss sabab say key inn ko Allah ki raah mein jo piyas lagi aur jo thakaan phonchi aur jo bhook lagi aur jo kissi aisi jagah chalay jo kuffaar kay liye mojib-e-ghaiz hua ho aur dushmanon ki jo kuch khabar li inn sab per inn kay naam (aik aik) nek kaam likh gaya. Yaqeenan Allah Taalaa mukhliseen ka ajar zaya nahi kerta

[121] Aur jo kuch chota bara enhon ney kharach kiya aur jitney maidan inn ko tey kerney paray yeh sab bhi inn kay naam likha gaya takay Allah Taalaa inn kay kaamon ka achay say acha badla dey

[122] Aur musalmanon ko yeh na chahaiye kay sab kay sab nikal kharay hon so aisa kiyon na kiya jaye kay inn ki her bari jamat mein say aik choti jamat jaya keray takay woh deen ki samajh boojh hasil keren aur takay yeh log apni qom ko jabkay woh inn kay pass aayen darayen takay woh darr jayen

[123] Aey eman walon! inn kuffaar say laro jo tumharay aas pass hain aur inn ko tumharay andar sakhti pana chahaiye aur yeh yaqeen rakho kay Allah Taalaa muttaqi logon kay sath hai

[124] Aur jab koi surat nazil ki jati hai to baaz munafiqeen kehtay hain kay iss surat ney tum mein say kiss kay eman ko ziyada kiya hai so log jo eman walay hain iss surat ney unn kay eman ko ziyada kiya hai aur woh khush horahey hain

[125] Aur jin kay dilon mein rog hai iss surat ney unn mein unn ki gandagi kay sath aur gandagi barha di aur woh halat-e-kufur hi mein marr gaye

[126] Aur kiya inn ko nahi dikhlaee deta kay yeh log her saal aik baar ya do baar kissi na kissi aafat mein phanstay rehtay hain phir bhi na toba kertay aur na naseehat qabool kertay hain

[127] Aur jab koi surat nazil ki jati hai to aik doosray ko dekhney lagtay hain kay tum ko koi dekhta to nahi phir chal detay hain Allah Taalaa ney inn ka dil pher diya hai iss waja say kay woh bey samajh log hain

[128] Tumharay pass aik aisay payghumber tashreef laye hain jo tumhari jinss mein say hain jin per tumhari takleef boht hi dushwaar guzarti hai jo tumhari bhalaee kay khuwan hain. Jo musalmanon per baray hi shafiq aur meharban hain

[129] Phir agar roo gardaani keren to aap keh dijiye kay meray liya Allah kafi hai iss kay siwa koi mabood nahi. Mein ney issi per bharosa kiya aur woh baray arsh ka maalik hai

یونس

Surah 10

[1] Alif-laam-raa ye pur hikmat kitab ki aayaten hain

[2] Kiya inn logon ko iss baat say tajjub hua kay hum ney inn mein say aik shaks kay pass wahee bhej di kay sab aadmiyon ko daraiye aur jo eman ley aaye unn ko yeh khushkhabri suniye kay inn kay rab kay pass inn ko poora ajar-o-martaba milay ga. Kafiron ney kaha yeh shaks to bila shuba sareeh jadoogar hai

[3] Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay

[4] Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki waja say

[5] Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney aftab ko chamakta hua banaya aur chand ko noorani banaya aur uss kay liye manzilen muqarrar kin takay tum barson ki ginti aur hisab maloom ker liya kero. Allah Taalaa ney yeh cheezen bey faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn ko saaf saaf batla raha hai jo danish rakhtay hain

[6] Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel hain jo Allah ka darr rakhtay hain

[7] Jin logon ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai aur woh dunyawi zindagi per razi hogaye hain aur iss mein ji laga bethay hain aur jo log humari aayaton say ghafil hain

[8] Aisay logon ka thikana unn kay aemaal ki waja say dozakh hai

[9] Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney nek kaam kiye unn ka rab unn ko unn kay eman kay sabab unn kay maqsad tak phoncha dey ga nemat kay baghon mein jin key neechay nehren jari hongi

[10] Unn kay mun say yeh baat niklay gi “ subhan Allah ” aur unn ka bahumi salam yeh hoga “Assalam-o-alaikum” aur unn ki akheer baat yeh hogi tamam tareefen Allah kay liye hain jo saray jahaan ka rab hai

[11] Aur agar Allah logon per jaldi say nuksan waaqay ker diya kerta jiss tarah woh faeeday kay liye jaldi machatay hain to unn ka wada kabhi ka poora ho chuka hota. So hum unn logon ko jin ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai unn kay haal per chor rakhtay hain kay apni sirkashi mein bhataktay rahen

[12] Aur jab insan ko koi takleef phonchti hai to hum ko pukarta hai letay bhi bethay bhi kharay bhi. Phir jab hum uss ki takleef uss say hata detay hain to woh aisa hojata hai kay goya uss ney apni takleef kay liye jo ussay phonchi thi kabhi humen pukara hi na tha inn hadd say guzarney walon kay aemaal ko unn kay liye issi tarah khushnuma bana diya gaya hai

[13] Aur hum ney tum say pehlay boht say girohon ko halak ker diya jabkay unhon ney zulm kiya halankay unn kay pass unn kay payghumber bhi dalaeel ley ker aaye aur woh aisay kab thay kay eman ley aatay? Hum mujrim logon ko aisi hi saza diya kertay hain

[14] Phir unn kay baad hum ney duniya mein bajaye unn kay tum ko janasheen kiya takay hum dekh len kay tum kiss tarah kaam kertay ho

[15] Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain jo bilkul saaf saaf hain to yeh log jin ko humaray pass aaney ki umeed nahi hai yun kehtay hain kay iss kay siwa koi doosra quran layiye ya iss mein kuch tarmeem ker dijiye. Aap keh dijiye kay mujhay yeh haq nahi kay mein apni taraf say iss mein tarmeem kerdoon bus mein to issi ki ittabaa keroon ga jo meray pass wahee kay zariye say phoncha hai agar mein apney rab ki na farmani keroon to mein aik baray din kay azab ka andesha rakhta hun

[16] Aap yun keh dijiye kay agar Allah ko manzoor hota to na to mein tum ko woh parh ker sunata aur na Allah Taalaa tum ko iss ki itlaa deta kiyon kay mein iss say pehlay to aik baray hissay umar tak mein tum mein reh chuka hun. Phir kiya tum aqal nahi rakhtay

[17] So uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah per jhoot bandhay ya uss ki aayaton ko jhoota batlaye yaqeenan aisay mujrimon ko aslan falah na hogi

[18] Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say

[19] Aur tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney ikhtilaf peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay rab ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho chuka hota

[20] Aur yeh log yun kehtay hain kay inn per inn kay rab ki janib say koi nishani kiyon nahi nazil hoti? So aap farma dijiye kay ghaib ki khabar sirf Allah ko hai so tum bhi muntazir raho mein bhi tumharay sath munatazir hun

[21] Aur jab hum logon ko iss amar kay baad kay inn per koi museebat parr chuki ho kissi nemat ka maza chakha detay hain to woh foran hi humari aayaton kay baray mein caalen chalney lagtay hain aap keh dijiye kay Allah chaal chalney mein tum say ziyada tez hai bil yaqeen humaray farishtay tumhari sab chaalon ko likh rahey hain

[22] Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay (buray) aa ghiray (ussa waqat) sab khalis aetiqaad ker kay Allah hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen

[23] Phri jab Allah Taalaa unn ko bacha leta hai to foran hi woh zamin mein na haq sirkashi kerney lagtay hain aey logo! Yeh tumhari sirkashi tumharay liye wabaal honey wali hai dunyawi zindagi kay (chand) faeeday hain phir humaray pass tum ko aana hai phir hum sab tumhara kiya hua tum ko batla den gay

[24] Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi hai jaisay hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin ki nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka poora hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee aur uss kay malikon ney samajh liya kay abb hum iss per bilkul qabiz ho chukay to din mein ya raat mein iss per humari taraf say koi hukum (azab) aa para so hum ney uss ko aisa saaf ker diya kay goya kal woh mojood hi na thay hum issi tarah aayat ko saaf saaf biyan kertay hainaisay logon kay liye jo sochtay hain

[25] Aur Allah Taalaa salamti kay ghar ki taraf tum ko bulata hai aur jiss ko chahata hai raah-e-raast per chalney ki tofiq deta hai

[26] Jin logon ney neki ki hai unn kay wastay khoobi hai aur mazeed baran bhi aur unn kay chehron per na siayahi chahaye gi aur na zillat yeh log jannat mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rehen gay

[27] Aur jin logon ney bad kaam kiye unn ki badi ki saza uss kay barabar milay gi aur unn ko zillat chahaye gi unn ko Allah Taalaa say koi na bacha sakay ga. Goya unn kay chehron per andheri raat kay parat kay parat lapet diye gaye hain. Yeh log dozakh mein rehney walay hain woh iss mein hamesha rahen gay

[28] Aur woh din bhi qabil-e-ziker hai jiss roz hum inn sab ko jama keren gay phir mushrikeen say kahen gay kay tum aur tumharay shareek apni jagah thehro phir hum inn kay aapas mein phoot daal den gay aur inn kay woh shurka kahen gay kay tum humari ibadat nahi kertay thay

[29] So humaray tumharya darmiyan Allah kafi hai gawah kay tor per kay hum ko tumhari ibadat ki khabar bhi na thi

[30] Uss muqam per her shaks apney aglay kiye huye kaamon ki jaanch ker ley ga aur yeh log Allah ki taraf jo inn ka malik-e-haqeeqi hai lotaye jayen gay aur jo kuch jhoot bandha kertay thay sab unn say ghaeeb hojayen gay

[31] Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko aasman aur zamin say rizq phonchata hai ya woh kaun hai jo kanon aur aankhon per poora ikhtiyar rakhta hai aur woh kaun hai jo zinda ko murda say nikalta hai aur murda ko zinda say nikalta hai aur woh kaun hai jo tamam kaamon ki tadbeeren kerta hai? Zaroor woh yehi kahen gay kay “Allah” to unn say kahiye phir kiyon nahi dartay

[32] So yeh hai Allah Taalaa jo tumahra rab haqeeqi hai. Phir haq kay baad aur kiya reh gaya ba-juz gumrahi kay phir kahan phiray jatay ho. Issi tarah aap kay rab ki yeh baat kay yeh eman na layen gay tamam fasiq logon kay haq mein sabit ho chuki hai

[33] Aap yun kahiye kay kiya tumharay shurka mein koi aisa hai jo pehli baar bhi peda keray phir doobara bhi peda keray? Aap keh dijiye kay Allah hi pehli baar peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga. Phir tum kahan phiray jatay ho

[34] Aap kahiye kay tumharay shurka mein koi aisa hai kay haq ka raasta batata ho? Aap keh dijiye kay Allah hi haq ka raasta batata hai. To phir aaya jo shaks haq ka raasta batata ho woh ziyada ittabaa kay laeeq hai ya woh shaks jiss ko baghair bataye khud hi raasta na soojhay? Pus tum ko kiya hogaya hai tum kaisay faislay kertay ho

[35] Aur inn mein say aksar log sirf gumaan per chal rahey hain. Yaqeenan gumaan haq (ki maarfat) mein kuch bhi kaam nahi dey sakta yeh jo kuch ker rahey hain yaqeenan Allah ko sab khabar hai

[36] Aur yeh quran aisa nahi hai kay Allah (ki wahee) kay baghair (apney hi say) gharr liya gaya ho. Bulkay yeh to (unn kitabon ki) tasdeeq kerney wala hai jo iss kay qabal (nazil) ho chuki hain aur kitab (ehkaam-e-zarooriya) ki tafseel biyan kerney wala hai iss mein koi baat shak ki nahi kay rab-ul-aalameen ki taraf say hai

[37] Kiya yeh log yun kehtay hain kay aap ney iss ko gharr liya hai? Aap keh dijiye kay phir tum iss ki misil aik hi surat lao aur jin jin ghair Allah ko bula sako bula lo agar sachay ho

[38] Bulkay aisi cheezon ki takzeeb kerney lagay jiss ko apney ehaat-e-ilmi mein nahi laye aur hanooz inn ko iss ka akheer nateeja nahi mila

[39] Jo log inn say pehlay huye hain issi tarah unhon ney bhi jhutlaya tha so dekh lijiye unn zalimon ka anjam kaisa hua

[40] Aur inn mein say baaz aisay hain jo iss per eman ley aayen gay aur baaz aisay hain kay iss per eman na layen gay. Aur aap ka rab mufisdon ko khoob janta hai

[41] Aur agar aap ko jhutlatay rahen to yeh keh dijiye kay meray liye mera amal aur tumhara liye tumhara amal tum meray amal say bari ho aur mein tumharay amal say bari hun

[42] Aur inn mein say baaz aisay hain jo aap ki taraf kaan lagaye bethay hain. Kiya aap behron ko sunatay hain go unn ko samajh bhi na ho

[43] Aur inn mein baaz aisay hain jo aap ko takk rahey hain. Phir kiya aap andhon ko raasta dikhlana chahatay hain go inn ko baseerat bhi na ho

[44] Yeh yaqeeni baat hai kay Allah logon per kuch zulm nahi kerta lekin log khud hi apni janon per zulm kertay hain

[45] Aur inn ko woh din yaad dulaiye jiss mein Allah inn ko (apney huzoor) jama keray ga (to inn ko aisa mehsoos hoga) kay goya woh (duniya mein) saray din ki aik aadh ghari rahey hongay aur aapas mein aik doosray ko pehchanney ko thehray hon. Waqaee khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah kay pass janey ko jhutlaya aur woh hudayat paney walay na thay

[46] Aur jiss ka inn say hum wada ker rahey hain uss mein say kuch thora sa agar hum aap ko dikhla den ya (unn kay zahoor say pehlay) hum aap ko wafat dey den so humaray pass to inn ko aana hi hai. Phir Allah inn kay sab afaal per gawah hai

[47] Aur her ummat kay liye aik rasool hai so jab unn kay woh rasool aa chukta hai unn ka faisla insaf kay sath kiya jata hai aur unn per zulm nahi kiya jata

[48] Aur yeh log kehtay hain kay yeh wada kab hoga? Agar tum sachay ho

[49] Aap farma dijiye kay mein apni zaat kay liye to kissi nafay ka aur kissi zarrar ka ikhtiyar rakhta hi nahi magar jitna Allah ko manzoor ho. Her ummat kay liye aik moyyen waqt hai jab unn ka woh moyyen waqt aa phonchta hai to aik ghari na peechay hatt saktay hain aur na aagay sirak saktay hain

[50] Aap farma dijiye kay yeh batlao kay agar tum per Allah ka azab raat ko aa paray ya din ko to azab mein konsi cheez aisi hai kay mujrim log iss ko jaldi maang rahey hain

[51] Kiya phir jab woh aa hi paray ga uss per eman lao gay. Haan abb mana! Halankay tum iss ki jaldi machaya kertay thay

[52] Phri zalimon say kaha jayega ka hamesha ka azab chakho. Tum ko to tumharay kiye ka hi badla mila hai

[53] Aur woh aap say daryaft kertay hain kay kiya azab waqaee sach hai? Aap farma dijiye kay haan qasam hai meray rab ki woh waqaee sach hai aur tum kissi taraf Allah ko aajiz nahi ker saktay

[54] Aur agar her jaan jiss ney zulm (shirk) kiya hai kay pass itna ho kay sari zamin bhar jaye tab bhi uss ko dey ker apni jaan bachaney lagay aur jab azab ko dekhen gay tp pasheymani ko posheeda rakhen gay. Aur inn ka faisla insaf kay sath hoga. Aur inn per zulm na hoga

[55] Yaad rakho kay jitni cheezen aasmanon aur zamin mein hain sab Allah hi kay mulk mein hain. Yaad rakho kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin boht say aadmi ilm nahi rakhtay

[56] Wohi jaan dalta hai aur wohi jaan nikalta hai aur tum sab ussi kay pass laye jaogay

[57] Aey logo! Tumharay pass tumhara rab ki taraf say aik aisi cheez aaee hai jo naseehat hai aur dilon mein jo rog hain unn kay liye shifa hai aur rehnumaee kerney wali hai aur rehmat hai eman walon kay liye

[58] Aap keh dijiye kay bus logon ko Allah key iss inam aur rehmat per khush hona chahaiye. Woh iss say ba-darjaha behtar hai jiss ko woh jama ker rahey hain

[59] Aap kahiye kay yeh to batao kay Allah ney tumharay liye jo kuch rizq bheja tha phri tum ney uss ka kuch hissa haram aur kuch halal qarar dey liya. Aap poochiye kay kiya tum ko Allah ney hukum diya tha ya Allah per iftra hi kertay ho

[60] Aur jo log Allah per jhoot iftrra bandhtay hain unn ka qayamat ki nisbat kiya gumaan hai? Waqaee logon per Allah Taalaa ka bara hi fazal hai lekin aksar aadmi shukar nahi kertay

[61] Aur aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh sab kitab-e-mubin mein hai

[62] Yaad rakho kay Allah kay doston per na koi andesha hai aur na woh ghumgeen hotay hain

[63] Yeh woh log hain jo eman laye aur (buraiyon say) perhez rakhtay hain

[64] Inn kay liye dunyawi zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi khushkhabri hai Allah Taalaa ki baaton mein kuch farq hua nahi kerta. Yeh bari kaamyabi hai

[65] Aur aap ko inn ki baaten ghum mein na daalen. Tamam tar ghalba Allah hi kay liye hai woh sunta janta hai

[66] Yaad rakho kay jitney kuch aasman mein hain aur jitney zamin mein hain yeh sab Allah hi kay hain aur jo log Allah ko chor ker doosray shurka ki ibadat ker rahey hain kiss cheez ki ittabaa ker rahey hain aur mehaz atkalen laga rahey hain

[67] Woh aisa hi hai jiss ney tumharay liye raat banaee takay tum iss mein aaram kero aur din bhi iss tor per banaya kay dekhney bhalney ka zariya hai tehqeeq iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo suntay hain

[68] Woh kehtay hain kay Allah aulad rakhta hai. Subhan Allah ! Who to kissi ka mohtaj nahi ussi ki milkiyat hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Tumharay pass iss per koi daleel nahi. Kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ka tum ilm nahi rakhtay

[69] Aap keh dijiye kay jo log Allah per jhoot iftra kertay hain woh kaamyab na hongay

[70] Yeh duniya mein thora sa aish hai phir humaray pass inn ko aana hai phir hum inn ko inn kay kufur kay badlay sakht azab chakhayen gay

[71] Aur aap inn ko nooh (alh-e-salam) ka qissa parh ker sunaiye jab kay unhon ney apni qom say farmaya kay aey meri qom! Agar tum ko mera rehna aur ehkaam-e-elahi ki naseehat kerna bhari maloom hota hai to mera to Allah hi per bharosa hai. Tum apni tadbeer maaye apney shurka kay pukhta kerlo phir tumhari tadbeer tumhari ghuttan ka baees nahi honi chahaiye. Aur phir meray sath ker guzro aur mujh ko mohlat na do

[72] Phir bhi agar tum aeyraaz hi kiye jao to mein ney tum say koi maawza to nahi maanga mera maawza to sirf Allah hi kay zimmay hai aur mujh ko hukum kiya gaya hai kay mein musalmanon mein say rahon

[73] So woh log inn ko jhutlatay rahey pus hum ney inn ko aur jo inn kay sath kashti mein thay unn ko nijat di aur unn ko janasheen banaya aur jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko gharq ker diya. So dekhna chahaiye kaisa anjam hua unn logon ka jo daraye jaa chukay thay

[74] Phir nooh (alh-e-salam) kay baad hum ney aur rasoolon ko unn ki qom ki taraf bheja so woh unn kay pass roshan daleelen ley ker aaye pus jiss cheez ko unhon ney awwal mein jhoota keh diya yeh na hua ka phir uss ko maan letay. Allah Taalaa issi tarah hadd say barhney walon kay dilon per band laga deta hai

[75] Phir inn payghumbaron kay baad hum ney musa (alh-e-salam) aur haroon (alh-e-salam) ko firaon aur uss kay sardaron kay pass apni nishaniyan dey ker bheja. So unhon ney takabbur kiya aur woh log mujrim qom thay

[76] Phir jab unn ko humaray pass say sahih daleel phonchi to woh log kehney lagay kay yaqeenan yeh sareeh jadoo hai

[77] Musa (alh-e-salam) ney farmaya kay kiya tum iss sahih daleel ki nisbat jabkay woh tumharay pass phonchi aisi baat kehtay ho kiya yeh jadoo hai halankay jadoogar kaamyab nahi hua keray

[78] Woh log kehney lagay kiya tum humaray pass iss liye aaye ho kay hum ko iss tareeqay say hata do jiss per hum ney apney baap dadon ko paya hai aur tum dono ko duniya mein baraee mill jaye aur hum tum dono ko kabhi na manen gay

[79] Aur firaon ney kaha meray pass tamam maahir jadoogaron ko hazir kero

[80] Phir jab jadoogar aaye to musa (alh-e-salam) ney unn say farmaya kay dalo jo kuch tum dalney walay ho

[81] So jab unhon ney dala to musa (alh-e-salam) ney farmaya kay yeh jo kuch tum laye ho jadoo hai. Yaqeeni baat hai kay Allah iss ko abhi darhum barhumkiye deta hai Allah aisay dasadiyon ka kaam bannay nahi deta

[82] Aur Allah Taalaa haq ko apney farmaan say sabit ker deta hai go mujrim kaisa hi na gawar samjhen

[83] Pus musa (alh-e-salam) per unn ki qom mein say sirf qadray qaleel aadmi eman laye woh bhi firaon say aur apney hukkaam say dartay dartay kay kahin unn ko takleef phonchaye uss mulk mein firaon tha bhi sirkash aur tha bhi woh insaf ki hadd say guzar janey walon mein

[84] Aur musa (alh-e-salam) ney farmaya aey meri qom! Agar tum Allah per eman rakhtay ho to ussi per tawakkal kero agar tum musalman ho

[85] Unhon ney arz kiya kay hum ney Allah hi per tawakkal kiya. Aey humaray perwerdigar! Hum ko inn zalimon kay liye fitna na bana

[86] Aur hum ko apni rehmat say inn kafir logon say nijat dey

[87] Aur hum ney musa (alh-e-salam) aur unn kay bhai kay pass wahee bheji kay tum dono apney unn logon kay liye misir mein ghar bar-qarar rakho aur tum sab apney enhi gharon ko namaz parhney ki jagah qarar dey lo aur namaz kay paband raho aur aap musalmanon ko bisharat dey den

[88] Aur musa (alh-e-salam) ney arz kiya aey humaray rab! Tu ney firaon ko aur uss kay sardaron ko saman-e-zeenat aur tarah tarah kay maal dunayawi zindagi mein diye. Aey humaray rab! (issi wastay diye hain kay) woh teri raah say gumrah keren. Aey humaray rab! Unn kay malon ko neest-o-nabood ker dey aur unn kay dilon ko sakht ker dey so yeh eman na laa payen yahan tak kay dard naak azab ko dekh len

[89] Haq Taalaa ney farmaya kay tum dono ki dua qabool ker li gaeeso tum sabit qadam raho aur unn logon ki raah na chalna jin ko ilm nahi

[90] Hum ney bani israeel ko darya say paar ker diya phir unn kay peechay peechay firaon apney lashkar kay sath zulm aur ziyadti kay iraday say chala yahan tak kay jab dobney laga to kehney laga mein eman lata hun kay jiss per bani israeel eman laye hain uss kay siwa koi mabood nahi aur mein musalman mein say hun

[91] (jawab diya gaya kay) abb eman lata hai? Aur pehlay sirkashi kerta raha aur mufsidon mein dakhil raha

[92] So aaj hum sirf teri laash ko nijat den gay takay tu unn kay liye nishan-e-ibrat ho jo teray baad hain aur haqeeqat yeh hai kay boht say aadmi humari nishaniyon say ghafil hain

[93] Aur hum ney bani israeel ko boht acha thikana rehney ko diya aur hum ney unhen pakeezah cheezen khaney ko den. So unhon ney ikhtilaf nahi kiya yahan tak kay unn kay pass ilm phonch gaya. Yaqeeni baat hai kay aap ka rab unn kay darmiyan qayamat kay din unn umoor mein faisla ker dey ga jinn mein woh ikhtilaf kertay thay

[94] Phir agar aap iss ki taraf say shak mein hon jiss ko hum ney aap kay pass bheja hai to aap unn logon say pooch dekhiye jo aap say pehlay kitabon ko parhtay hain. Be-shak aap kay pass aap kay rab ki taraf say sachi kitab aaee hai. Aap hergiz shak kerney walon mein say no hon

[95] Aur na unn logon mein say hon jinhon ney Allah Taalaa ki aayaton ko jhutalaya kahin aap khasara paaney walon mein say na hojayen

[96] Yaqeenan jin logon kay haq mein aap kay rab ki baat sabit ho chuki hai woh eman na layen gay

[97] Go inn kay pass tamam nishaniyan phonch jayen jab tak kay woh dard naak azab ko na dekh len

[98] Chunacha koi basti eman na laee kay eman lana uss ko nafey hota siwaye younus (alh-e-salam) ki qom kay. Jab woh eman ley aaye to hum ney ruswaee kay azab ko dunyawi zindagi mein unn per say taal diya aur unn ko aik waqt (khas) tak kay liye zindagi say faeeda uthaney (ka moqa) diya

[99] Aur agar aap ka rab chahata to tamam roy-e-zamin kay log sab kay sab eman latay to kiya aap logon per zabardasti ker saktay hain yahan tak kay woh momin hi ho jayen

[100] Halankay kissi shaks ka eman lana Allah kay hukum kay baghair mumkin nahi. Aur Allah Taalaa bey aqal logon per gandagi daal deta hai

[101] Aap keh dijiye kay tum ghor kero kay kiya kiya cheezen aasmanon mein aur zamin mein hain aur jo log eman nahi latay unn ko nishaniyan aur dhamkiyan kuch faeeda nahi phonchatin

[102] So woh log sirf unn logon kay say waqiyaat ka intizar ker rahey hain jo inn say pehlay guzr chukay hain. Aap farma dijiye kay acha to tum intizar mein raho mein bhi tumharay sath intizar kerney walon mein hun

[103] Phir hum apney payghumbaron ko aur eman walon ko bacha letay thay issi tarah humaray zimmay hai kay hum eman walon ko nijat diya kertay hain

[104] Aap keh dijiye kay aey logo! Tum meray deen ki taraf say shak mein ho to mein inn maboodon ki ibadat nahi kerta jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay ho lekin haan uss Allah ki ibadat kerta hun jo tumhari jaan qabz kerta hai. Aur mujh ko yeh hukum hua hai kay mein eman laney walon mein say hun

[105] Aur yeh kay apna rukh yaksoo hoker (iss) deen ki taraf ker lena aur kabhi mushrikon mein say na hona

[106] Aur Allah ko chor ker aisi cheez ki ibadat mat kerna jo tujh ko na koi nafa phoncha sakay aur na koi zarrar phoncha sakay. Phir agar aisa kiya to tum iss halat mein zalimon mein say ho jao gay

[107] Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai

[108] Aap keh dijiye kay aey logo! Tumharay pass haq tumharay rab ki taraf say phonch chuka hai iss liye jo shaks raah-e-raast per aajaye so woh apney wastay raah-e-raast per aaye ga aur jo shaks bey raah rahey ga uss ka bey raah hona ussi per paray ga aur mein tum per musallat nahi kiya gaya

[109] Aur aap uss ki ittabaa kertay rahiye jo kuch aap kay pass wahee bheji jati hai aur sabar kijiye yahan tak kay Allah faisla ker dey aur woh sab faisla kerney walon mein acha hai

ھود

Surah 11

[1] Alif-laam-raa yeh aik aisi kitab hai kay iss ki aayaten mohkum ki gaee hain phir saaf saaf biyan ki gaee hain aik hakeem ba khabar ki taraf say

[2] Yeh kay Allah kay siwa kissi ki ibadat mat kero mein tum ko Allah ki taraf say daraney wala aur bisharat denay wala hun

[3] Aur yeh kay tum apney gunah apney rab say moaf kerao phir ussi ki taraf mutawajja raho woh tum ko waqt-e-muqarrara tak acha saman (zindagi) dey ga aur her ziyada amal kerney walay ko ziyada sawab dey ga. Aur agar tum log aeyraaz kertay rahey to mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai

[4] Tum ko Allah hi kay pass jana hai aur woh her shey per poori qudrat rakhta hai

[5] Yaad rakho woh log apney seenon ko dohra kiye detay hain takay apni baaten (Allah) sau chupa saken. Yaad rakho kay woh log jiss waqt apney kapray lapettay hain woh uss waqt bhi sab janta hai jo kuch chupatay hain aur jo kuch woh zahir kertay hain. Bil yaqeen woh dion kay andar ki baaten janta hai

[6] Zamin per chlaney phirney walay jitney jaandaar hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain wohi unn kay rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay sonpay janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood hai

[7] Allah hi woh hai jiss ney cheh din mein aasman-o-zamin ko peda kiya aur uss ka arsh pani per tha takay woh tumhen aazmaye kay tum mein say achay amal wala kaun hai agar aap inn say kahen kay tum log marney kay baad utha kharay kiye jaogay to kafir log palat ker jawab den gay kay yeh to nira saaf saaf jadoo hi hai

[8] Aur agar hum inn say azab ko gini chuni muddat tak kay liye peechay daal den to yeh zarror pukar uthen gay kay azab ko kaun si cheez rokay huye hai suno! Jiss din woh inn kay pass aayega phir inn say talney wala nahi phir to jiss cheez ki hansi ura rahey thay woh enhen gher ley gi

[9] Agar hum insan ko apni kissi nemat ka zaeeqa chakha ker phir ussay iss say ley len to boht hi na umeed aur bara hi na shukra bann jata hai

[10] Aur agar hum ussay koi nemat chakhayen iss sakhti kay baad jo ussay phonch chuki thi wo woh kehney lagta hai kay bus buraiyan mujh say jati rahin yaqeenan woh bara hi itraney wala shekhi khor hai

[11] Siwaye unn kay jo sabar kertay hain aur nek kaamon mein lagay rehtay hain, enhi logon kay liye bakhsish bhi hai aur boht bara nek badla bhi

[12] Pus shayad kay aap iss wahee kay kissi hissay ko chor deney walay hain jo aap ki taraf nazil ki jati hai aur iss say aap ka dil tang hai sirf inn ki iss baat per kay iss per koi khazana kiyon nahi utra? Ya iss kay sath koi farishta hi aata sunn lijiye! Aap to sirf daraney walay hi hain aur her cheez ka zimmay daar Allah Taalaa hai

[13] Kiya yeh kehtay hain kay iss quran ko issi ney gharha hai jawab dijiye kay phir tum bhi issi ju misil das surten ghari hui ley aao aur Allah kay siwa jissay chahao apney sath bula bhi lo agar tum sachay ho

[14] Phir agar woh tumhari iss baat ko qabool na keren to tum yaqeen say jaan lo kay yeh quran Allah kay ilm kay sath utara gaya hai aur yeh kay Allah kay siwa koi mabood nahi pus kiya tum musalman hotay ho

[15] Jo shaks duniya ki zindagi aur iss ki zeenat per farifta hua chahata ho hum aison ko unn kay kul aemaal (ka badla) yahin bharpoor phoncha detay hain aur yahan enhen koi kami nahi ki jati

[16] Haan yehi woh log hain jin kay liye aakhirat mein siwaye aag kay aur kuch nahi aur jo kuch enhon ney yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur jo kuch inn kay aemaal thay sab barbad honey walay hain

[17] Kiya woh shaks jo apney rab kay pass ki daleel per ho aur uss kay sath Allah ki taraf gawah ho aur iss say pehlay musa ki kitab (gawah ho) jo paishwa aur rehmat hai (auron kay barabar ho sakta hai?). yehi log hain jo iss per eman rakhtay hain aur tamam firqon mein say jo bhi iss ka munkir ho uss kay aakhri waday ki jagah jahannum hai pus tu iss mein kissi qisam kay shubay mein na reh yaqeenan yeh teray rab ki janib say sirasir bar haq hai lekin aksat log eman laney walay nahi hotay

[18] Uss say barh ker zalim kaun hoga jo Allah per jhoot banadhay aur yeh log apney perwerdigar kay samney paish kiye jayen gay aur saray gawan kahen gay kay yeh woh log hain jinhon ney apney perwerdigar per jhoot bandha khabaradar ho kay Allah ki laanat hai zalimon per

[19] Jo Allah ki raah say roktay hain aur iss mein kuji talash ker letay hain. Yehi aakhirat kay munkir hain

[20] Na yeh log duniya mein Allah ko hara sakay aur na inn ka koi himayati Allah kay siwa hua inn kay liye azab dugna kiya jayega na yeh sunnay ki taqat rakhtay thay aur na yeh dekhtay hi thay

[21] Yehi hain jinhon ney apna nuksan aap ker liya aur woh sab kuch inn say kho gaya jo enhon ney gharr rakha tha

[22] Be-shak yehi log aakhirat mein ziyan kaar hongay

[23] Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek kiye aur apney paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat mein janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain

[24] Inn dono firqon ki misal andhay behray aur dekhney sunnay walay jaisi hai. Kiya yeh dono misal mein barabar hain? Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay

[25] Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja kay mein tumhen saaf saaf hoshiyar ker denay wala hun

[26] Kay tum sirf Allah hi ki ibadat kero mujhay to tum per dard naak din kay azab ka khof hai

[27] Uss ki qom kay kafiron kay sardaron ney jawab diya kay hum to tujhay apnye jaisa insan hi dekhtay hain aur teray tabeydaron ko bhi hum dekhtay hain kay yeh log wazeh tor per siwaye neech logon kay aur koi nahi jo bey sochay samajhay (tumhari pairwi ker rahey hain) hum to tumhari kissi qisam ki bartari apney upper nahi dekh rahey bulkay hum to tumhen jhoota samajh rahey hain

[28] Nooh ney kaha meri qom walo! Mujhay batao to agar mein apney rab ki taraf say kissi daleel per hua aur mujhay uss ney apney pass ki koi rehmat ata ki ho phir woh tumhari nigahon mein na aaee to kiya zabardasti mein ussay tumharay galay mandh doon halankay tum iss say bey zaar ho

[29] Meri qom walo! Mein tum say iss per koi maal nahi maangta. Mera sawab to sirf Allah Taalaa kay haan hai na mein eman walon ko apnay pass say nikal sakta hun unhen apney rab say milna hai lekin mein dekhta hun kay tum log jahalat ker rahey ho

[30] Meri qom kay logo! Agar mein inn mominon ko apney pass say nikal doon to Allah kay muqablay mein meri madad kaun ker sakta hai? Kiya tum kuch bhi naseehat nahi pakartay

[31] Mein tum say nahi kehta kay meray pass Allah kay khazaney hain (suno!) mein ghaib ka ilm bhi nahi rakhta na mein yeh kehta hun kay mein koi farishta hun na mera yeh qol hai kay jin per tumhari nigahen zillat say parr rahi hain unhen Allah Taalaa koi nemat dey ga hi nahi inn kay dil mein jo hai ussay Allah hi khoob janta hai agar mein aisi baat kahon to yaqeenan mera shumar zalimon mein ho jaye ga

[32] (Qom kay logon ney) kaha aey nooh! Tu ney hum say behas ker li. Abb tu jiss cheez say humen dhamka raha hai wohi humaray pass ley aa agar tu sachon mein hai

[33] Jawab diya kay ussay bhi Allah Taalaa hi laye ga agar woh chahaye aur haan tum ussay haraney walay nahi ho

[34] Tumhen meri khair khuaee kuch bhi nafa nahi dey sakti go mein kitni hi tumhari khair khuaee kiyon na chahaon ba-shart-e-kay Allah ka irada tumhen gumrah kerney ka ho wohi tum sab ka perwerdigar hai aur ussi ki taraf tum lotaye jaogay

[35] Kiye yeh kehtay hain kay issay khud issi nay gharr liya hai? To jawab dey kay agar mein ney issay gharr liya ho mera gunah mujh per hai aur mein unn gunhaon say bari hun jo tum ker rahey ho

[36] Nooh ki taraf wahee bheji gaee kay teri qom mein sa yjo eman laa chukay unn kay siwa aur koi abb eman laye ga hi nahi pus tu inn kay kaamon per ghumgeen na ho

[37] Aur aik kashti humari aankhon kay samney aur humari wahee say tayyar ker aur zalimon kay baray mein hum say koi baat cheet na ker woh pani mein dobo diye janey walay hain

[38] Woh (nooh) kashti bananey lagay unn ki qom kay jo sardar unn ka pass say guzartay woh unn ka mazaq uratay woh kehtay agar tum humara mazaq uratay ho to hum bhi tum per aik din hansen gay jaisay tum hum per hanstay ho

[39] Tumhen boht jald maloom hojaye ga kay kiss per azab aata hai jo ussay ruswa keray aur uss per hameshgi ki saza utar aaye

[40] Yahan tak kay jab humara hukum aa phoncha aur tanoor ubalney laga hum ney kaha kay iss kashti mein her qisam kay (jaandaron mein say) joray (yani) do (janwar aik nurr aur aik mada) sawar kera ley aur apney ghar kay logon ko bhi siwaye unn kay jin per pehlay say baat parr chuki hai aur sab eman walon ko bhi uss kay sath eman laney walay boht hi kum thay

[41] Nooh (alh-e-salam) ney kaha iss kashti mein beth jao Allah hi kay naam say iss ka chalna aur theharna hai yaqeenan mera rab bari bakhsish aur baray reham wala hai

[42] Woh kashti unhen paharon jaisi mojon mein ley ker jaa rahi thi aur nooh (alh-e-salam) ney apney larkay ko jo aik kinaray per tha pukar ker kaha aey meray piyaray bachay humaray sath sawar hoja aur kafiron mein shamil na reh

[43] Uss ney jawab diya kay mein to kissi baray pahar ki taraf panah mein aajaon ga jo mujhay pani say bacha ley ga nooh (alh-e-salam) ney kaha aaj Allah kay amar say bachaney wala koi nahi sirf wohi bachen gay jin per Allah ka reham hua. Ussi waqt unn dono kay darmiyan moj haeel hogaee aur woh dobney walon mein say ho gaya

[44] Farma diya gaya kay aey zamin apney pani ko nigal jaa aur aey aasman bus ker thum jaa ussi waqt pani sukha diya gaya aur kaam poora ker diya gaya aur kashti “jodi” naami pahar per jaa lagi aur farma diya gaya kay zalim logon per laanat nazil ho

[45] Nooh (alh-e-salam) ney apney perwerdigar ko pukara aur kaha kay meray rab mera beta to meray ghar walon mein say hai yaqeenan tera wada bilkul sacha hai aur tu tamam hakimon say behtar haakim hai

[46] Allah Taalaa ney farmaya aey nooh yaqeenan woh teray gharaney say nahi hai uss kay kaam bilkul hi na shaista hain tujhay hergiz woh cheez na maangni chahaiye jiss ka tujhay mutlaqan ilm na ho mein tujhay naseehat kerta hun kay tu jahilon mein say apna shumar keraney say baaz rahey

[47] Nooh ney kaha meray paalanhaar mein teri hi panah chahata hun uss baat say kay tujh say woh maangoon jiss ka mujhay ilm hi na ho agar tu mujhay na bakhshay ga aur tu mujh per reham na farmaye ga to mein khasara paaney walon mein hojaonga

[48] Farma diya gaya kay aey nooh! Humari janib say salamti aur unn barkaton kay sath utar jo tujh per hain aur teray sath ki boht si jamaton per aur boht si woh ummaten hongi jinhen hum faeeda to zaroor phonchayen gay lekin phir unhen humari taraf say dard naak azab phonchay ga

[49] Yeh khabren ghaib ki khabron mein say hain jin ki wahee hum aap ki taraf kertay hain enhen iss say pehlay aap jantay thay aur na aap ki qom iss liye aap sabar kertay rahiye yaqeen maniye kay anjam kaar perhezgaron kay liye hi hai

[50] Aur qom-e-aad ki taraf inn kay bhai hood ko bheja uss ney kaha meri qom walo! Allah hi ki ibadat kero uss kay siwa tumhara koi mabood nahi tum to sirf bohtaan bandh rahey ho

[51] Aey meri qom! Mein tum say iss ki koi ujrat nahi maangta mera ajar uss kay zimmay hai jiss ney mujhay peda kiya hai to kiya phir bhi tum aqal say kaam nahi letay

[52] Aey meri qom kay logo! Tum apney paalney walay say apni taqseeron ki moafi talab kero aur uss ki janib mein toba kero takay woh barasney walay badal tum per bhej dey aur tumahri taqat per aur taqat qooat barha dey aur tum jurum kertay huye roo gardani na kero

[53] Unhon ney kaha aey hood! Tu humaray pass koi daleel to laya nahi aur hum sirf teray kehney say apney maboodon ko chorney walay nahi aur na hum tujh per eman laney walay hain

[54] Bulkay hum to yehi kehtay hain kay tu humaray kissi mabood kay buray jhaptay mein aagaya hai. Uss ney jawab diya kay mein Allah ko gawah kerta hun aur tum bhi gawah raho kay mein to Allah kay siwa unn sab say bey zaar hun jinhen tum shareek bana rahey ho

[55] Acha tum sab mill ker meray khilaf chalen chal lo aur mujhay bilkul mohlat bhi na do

[56] Mera bharosa sirf Allah Taalaa per hi hai jo mera aur tum sab ka perwerdigar hai jitney bhi paon dharney walay hain sab ki payshani wohi thamay huye hai. Yaqeenan mera rab bilkul sahih raah per hai

[57] Pus agar tum roo garadani kero to kero mein to tumhen woh paygham phonch chuka jo dey ker mujhay tumhari taraf bheja gaya tha. Mera rab tumharya qaeem muqam aur logon ko ker dey ga aur tum uss ka kuch na bigar sakogay yaqeenan mera perwerdigar her cheez per nigehban hai

[58] Aur jab humara hukum aa phoncha to hum ney hood ko aur uss kay musalman sathiyon ko apni khas rehmat say nijat ata farmaee aur hum ney unn sab ko sakht azab say bacha liya

[59] Yeh thi qom-e-aad jinhon ney apney rab ki aayaton ka inkar kiya aur uss kay rasoolon ki na farmani ki aur her aik sirkash na farman kay hukum ki tabeydari ki

[60] Duniya mein bhi inn kay peechay laanat laga di gaee aur qayamat kay din bhi dekh lo qom-e-aad ney apney rab say kufur kiya hood ki qom aad per doori ho

[61] Aur qom-e-samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja uss ney kaha aey meri qom tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumahra koi mabood nahi ussi ney tumhen zamin say peda kiya hai aur ussi ney tumhen iss zamin mein basaya hai pus tum uss say moafi talab kero aur uss ki taraf rujoo kero. Be-shak mera rab qarib aur duaon ka qabool kerney wala hai

[62] Unhon ney kaha aey saleh! Iss say pehlay to hum tujh say boht kuch umeeden lagaye huye thay kiya tu humen unn ki ibadaton say rok raha hai jinki ibadat humaray baap dada kertay chalay aaye humen to iss deen mein heyran kun shaq hai jiss ki taraf tu humen bula raha hai

[63] Iss ney jawab diya kay aey meri qom kay logo! Zara batao to agar mein apney rab ki taraf say kissi mazboot daleel per hua aur uss ney mujhay apney pass ki rehmat ata ki ho phir agar mein ney uss ki na farmani ker li to kaun hai jo uss kay muqablay mein meri madad keray? Tum to mera nuksan hi barha rahey ho

[64] Aur aey meri qom walo! Yeh Allah ki bheji hui oontni hai jo tumhary liye aik moajza hai abb tum issay Allah ki zamin mein khati hui chor do aur issay kissi tarah ki eza na phonchao werna fori azab tumhen pakar ley ga

[65] Phir bhi inn logon ney iss oontni kay paon kaat dalay iss per saleh ney kaha acha tum apney gharon mein teen teen din tak to reh seh lo yeh wada jhoota nahi hai

[66] Phir jab humara farman aa phoncha hum ney saleh ko aur unn per eman laney walon ko apni rehmat say uss say bacha liya aur uss din ki ruswaee say bhi yaqeenan tera rab nihayat nihayat tawana aur ghalib hai

[67] Aur zlimon ko baray zor ki chinghar ney aa dabocha phir to woh apney gharon mein ondhay paray huye reh gaye

[68] Aisay kay goya woh wahan kabhi abad hi na thay aagah raho kay qom-e-samood ney apney rab say kufur kiya. Sunn lo! Inn samoodiyon per phitkaar hai

[69] Aur humaray bhejay huye payghaamber ibrahim kay pass khushkhabri ley ker phonchay aur salam kaha unhon ney bhi jawab-e-salam diya aur baghair kissi takheer kay gaye ka bhuna hua bachra ley aaye

[70] Abb jo dekha kay unn kay hath bhi uss ki taraf nahi phonch rahey to unn say ajnabiyat mehsoos ker kay dil hi dil mein unn say khof kerney lagay unhon ney kaha darro nahi hum to qom-e-loot ki taraf bhejay huye aaye hain

[71] Iss ki biwi jo khari hui thi woh hans pari to hum ney ussay ishaq ki aur ishaq kay peechay yaqoob ki khushkhabri di

[72] Woh kehney lagi haaye meri kum bakhti! Meray haan aulad kaisay hosakti hai mein khud burhiya aur yeh meray khawind bhi boht bari umar kay hain yeh to yaqeenan bari ajeeb baat hai

[73] Farishton ney kaha kiya tu Allah ki qudrat say tajjub ker rahi hai? Tum per aey iss ghar kay logo Allah ki rehmat aur uss ki barkat nazil hon be-shak Allah hamd-o-sana ka saza waar aur bari shaan wala hai

[74] Jab ibrahim ka darr khof jata raha aur ussay bisharat bhi phonch chuki to hum say qom-e-loot kay baray mein kehney sunnay lagay

[75] Yaqeenan ibrahim boht tahammul walay naram dil aur Allah ki janib jhukney walay thay

[76] Aey ibrahim! Iss khayal ko chor dijiye aap kay rab ka hukum aa phoncha hai aur unn per na taalay janey wala azab zaroor aaney wala hai

[77] Jab humaray bhejay huye farishtay loot kay pass phonchay to woh inn ki waja say boht ghumgeen hogaye aur dil hi dil mein kurhney lagay aur kehney lagay kay aaj ka din bari musibat ka din hai

[78] Aur uss ki qom dorti hui uss kay pass aa phonchi woh to pehlay hi say bad kaariyon mein mubtila thi loot (alh-e-salam) ney kaha aey qom kay logo! Yeh hain meri betiyan jo tumharay liye boht hi pakeeza hain Allah say daro aur mujhay meray mehamnon kay baray mein ruswa na kero. Kiya tum mein say aik bhi bhala aadmi nahi

[79] Unhon ney jawab diya kay tu bakhoobi janta hai kay humen to teri betiyon per koi haq nahi hai aur tu humari asli chahat say bakhoobi waqif hai

[80] Loot (alh-e-salam) ney kaha kaash kay mujh mein tum say muqabla kerney ki qooat hoti ya mein kissi zabardast ka aasra pakar pata

[81] Abb farishton ney kaha aey loot! Hum teray perwerdigar kay bhejay huye hain na mumkin hai kay yeh tujh tak phonch payen pus tu apney ghar walon ko ley ker kuch raat rahey nikal khara ho. Tum mein say kissi ko murr ker bhi na dekhna chahaiye ba-juz teri biwi kay iss liye kay ussay bhi wohi phonchney wala hai jo inn sab ko phonchay ga yaqeenan inn kay waday ka waqt subha ka hai kiya subha bilkul qarib nahi

[82] Phir jab humara hukum aa phoncha hum ney uss basti ko zair-o-zabar ker diya upper ka hissa neechay ker diya aur unn per kankreelay pathar barsaye jo teh ba teh thay

[83] Teray rab ki taraf say nishan daar thay aur woh inn zalimon say kuch door na thay

[84] Aur hum ney madiyan walon ki taraf unn kay bhai shoaib ko bhej a uss ney kaha aey meri qom! Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi aur tum naap tol mein bhi kami na kero mein to tumhen aasooda haal dekh raha hun aur mujhay tum per gherney walay din kay azab ka khof (bhi) hai

[85] Aey meri qom! Naap tol insaf kay sath poori poori kero logon ko unn ki cheezen kum na do aur zamin main fasad aur kharabi na machao

[86] Allah Taalaa ka halal kiya hua jo bach rahey tumharya liye boht hi behtar hai agar tum eman walay ho mein tum per kuch nigehban (aur darogha) nahi hun

[87] Unhon ney jawab diya kay aey shoaib! Kiya teri salaat tujhay yehi hukum deti hai kay hum apney baap dadon kay maboodon ko chor den tu to bara hi ba waqar aur nek chalan aadmi hai

[88] Kaha aey meri qom! Dekho to agar mein apney rab ki taraf say roshan daleel liye huye hon aur uss ney mujhay apney pass say behtareen rozi dey rakhi hai mera yeh irada bilkul nahi kay tumhara khilaf ker kay khud uss cheez ki taraf jhuk jaon jiss say tmhen rok raha hun meri irada to apni taqat bhar islaah kerney ka hi hai. Meri tofiq Allah hi ki madad say hai ussi per mera bharosa hai aur ussi ki taraf mein rujoo kerta hun

[89] Aur aey meri qom (kay logo!) kahin aisa na ho kay tum ko meri mukhalifat unn azabon ka mustahiq bana dey jo qom-e-nooh aur qom-e-hood aur qom-e-saleh ko phonchay hain. Aur qom-e-loot to tum say kuch door nahi

[90] Tum apney rab say istaghfaar kero aur uss ki taraf toba kero yaqeen mano kay mera rab bari meharbani wala aur boht mohabbat kerney wala hai

[91] Unhon ney kaha aey shoaib! Teri aksar baaten to humari samajh mein hi nahi aatin aur hum to tujhay apney andar boht kamzor patay hain agar teray qabeelay ka khayal na hota to hum to tujhay sangsaar ker detay aur hum tujhay koi heysiyat wali hasti nahi gintay

[92] Enhon ney jawab diya kay aey meri qom kay logo! Kiya tumharay nazdik meray qabeelay kay log Allah say bhi ziyada zee izzat hain tum ney ussay pas-e-pusht daal diya hai yaqeenan mera rab jo kuch tum ker rahey ho sab ko gheray huye hai

[93] Aey meri qom kay logo! Abb tum apni jagah amal kiye jao mein bhi amal ker raha hun tumhen un-qarib maloom hojayega kay kiss kay pass woh azab aata hai jo ussay ruswa ker dey aur kaun hai jo jhoota hai. Tum intizar kero mein bhi tumharay sath muntazir hun

[94] Jab humara hukum (azab) aa phoncha hum ney shoaib ko aur unn kay sath (tamam) mominon ko apni khas rehmat say nijat bakhshi aur zalimon ko sakht chinghar kay azab ney dhar dabocha jiss say woh apney gharon mein ondhay paray huye hogaye

[95] Goya kay woh inn gharon mein kabhi basay hi na thay aagah raho madiyan kay liye bhi waisi hi doori ho jaisi doori samood ko hui

[96] Aur yaqeenan hum ney musa ko apni aayaat aur roshan daleelon kay sath bheja tha

[97] Firaon aur uss kay sardaron ki taraf phir bhi unn logon ney firaon kay ehkaam ki pairwi ki aur firaon ka koi hukum durust tha hi nahi

[98] Woh to qayamat kay din apni qom ka paish roo ho ker unn sab ko dozakh mein jaa khara keray ga woh boht hi bura ghaat hai jiss per laa kharay kiye jayengay

[99] Unn per to iss duniya mein bhi laanat chipka di gaee aur qayamat kay din bhi bura inam hai jo diya gaya

[100] Bastiyon ki yeh baaz khabren jinhen hum teray samney biyan farma rahey hain inn mein say baaz to mojood hain aur baaz (ki faslen) kat gaee hain

[101] Hum ney unn per koi zulm nahi kiya bulkay khud unhon ney ho apney upper zulm kiya aur unhen unn kay maboodon ney koi faeeda na phonchaya jinhen woh Allah kay siwa pukartay thay jabkay teray perwerdigar ka hukum aa phoncha bulkay aur inn ka nuksan hi unhon ney barha diya

[102] Teray perwerdiar ki pakar ka yehi tareeqa hai jabkay woh bastiyon kay rehney walay zalimon ko pakarta hai beshak uss ki pakar dukh denay wali aur nihayat sakht hai

[103] Yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishan-e-ibrat hai jo qayamat kay azab say dartay hain. Woh din jiss mein sab log jama kiye jayen gay aur woh, woh din hai jiss mein sab hazir kiye jayen gay

[104] Issay hum jo multavi kertay hain woh sird aik muddat moyyen tak hai

[105] Jiss din woh aajayegi majal na hogi kay Allah ki ijazat kay baghair koi baat bhi kerley so inn mein koi bad bakht hoga aur koi nek bakht

[106] Lekin jo bad bakht huye woh dozakh mein hongay wahan cheekhen gay chillayen gay

[107] Woh wahin hamesha rehney walay hain jab tak aasman-o-zamin bar qarar rahen siwaye uss waqt kay jo tumhara rab chahaye yaqeenan tera rab jo kuch chahaye ker guzarta hai

[108] Lekin jo nek bakht kiye gaye woh jannat mein hongay jahan hamesha rahen gay jab tak aasman-o-zamin baqi rahey magar jo tera perwerdigar chahaye. Yeh bey inteha bakhsish hai

[109] Iss liye aap inn cheezon say shak-o-shuba mein na rahen jinhen yeh log pooj rahey hain inn ki pooja to iss tarah hai jiss tarah inn kay baap dadon ki iss say pehlay thi. Hum inn sab ko inn ka poora poora hissa baghair kissi kami kay denay walay hi hain

[110] Yaqeenan hum ney musa (alh-e-salam) ko kitab di. Phir iss mein ikhtilaf kiya gaya agar pehlay hi aap kay rab ki baat sadir na hogaee hoti to yaqeenan inn ka faisla ker diya jata enhen to iss mein sakht shuba hai

[111] Yaqeenan inn mein say her aik jab unn kay roo baroo jayega to aap ka rab ussay uss kay aemaal ka poora poora badla dey ga. Be-shak woh jo ker rahey hain unn say woh ba khabar hai

[112] Pus aap jamay rahiye jaisa kay aap ko hukum diya gaya hai aur woh log bhi jo aap kay sath toba ker chukay hain khabardaar tum hadd say na barhna Allah tumharay aemaal ka dekhney wala hai

[113] Dekho zalimon ki taraf hergiz na jhukna werna tumhen bhi (dozakh ki) aag lagg jayegi aur Allah kay siwa aur tumhara madadgar na khara ho sakay ga aur na tum madad diye jaogay

[114] Din kay dono siron mein namaz barpa rakh aur raat ki kaee sa’aton mein bhi yaqeenan nekiyan burayion ko door ker deti hain yeh naseehat hai naseehat pakarney walon kay liye

[115] Aap sabar kertay rahiye yaqeenan Allah Taalaa neki kerney walon ka ajar zaya nahi kerta

[116] Pus kiyon na tum say pehlay zamaney kay logon mein say aisay ehal-e-khair log huye jo zamin mein fasad phelaney say roktay siwaye unn chand kay jinhen hum ney unn mein say nijat di thi zalim log to uss cheez kay peechay parr gaye thay jiss mein unhen aasoodgi di gaee thi aur woh gunehgar thay

[117] Aap ka rab aisa nahi kay kissi basti ko zulm say halak ker dey aur wahan kay log neko kaar hon

[118] Agar aap ka perwerdigar chahata to sab logon ko aik hi raah per aik giroh ker deta. Woh to barabar ikhtilaf kerney walay hi rahen gay

[119] Ba-juz unn per jin per aap ka rab reham farmaye unhen to issi lie peda kiya hai aur aap kay rab ki yeh baat poori hai kay mein jahannum ko jinno aur insanon sab say pur keroon ga

[120] Rasoolon kay sab ehwaal hum aap kay samney aap kay dil ki taskeen kay liye biyan farma rahey hain. Aap kay pass iss surat mein bhi haq phonch chuka jo nasihat aur waaz hai mominon kay liye

[121] Eman na laney walon say keh dijiye kay tum apney tor per amal kiye jao hum bhi amal mein mashghool hain

[122] Aur tum bhi intizar kero aur hum bhi muntazir hain

[123] Zaminon aur aasmanon ka ilm-e-ghaib Allah Taalaa hi ko hai tamam moamlaat ka rujoo bhi ussi ki janib hai pus tujhay ussi ki ibadat kerni chahaiye aur ussi per bharosa rakhan chahaiye aur tum jo kuch kertay ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi

یوسف

Surah 12

[1] Alif-laam-raa yeh roshan kitab ki aayaten hain

[2] Yaqeenan hum ney iss quran ko arabi nazil farmaya hai kay tum samajh sako

[3] Hum aap kay samney behtareen biyan paish kertay hain iss waja say kay hum ney aap ki janib yeh quran wahee kay zariye nazil kiya hai aur yaqeenan aap iss say pehlay bey khabron mein say thay

[4] Jab kay yousuf ney apney baap say ziker kiya kay abba jaan mein ney giyara sitaron ko aur sooraj chand ko dekha kay woh sab mujhay sajda ker rahey hain

[5] Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha piyaray bachay! Apney iss khuwab ka ziker apney bhaiyon say na kerna. Aisa na ho kay woh teray sath koi fareb kaari keren shetan to insan ka khula dushman hai

[6] Aur issi tarah tujhay tera perwerdigar bargazeedah keray ga aur tujhay moamla fehmi (ya khuwabon ki tabeer) bhi sikhaye ga aur apni nemat tujhay bharpoor ata farmaye ga aur yaqoob kay ghar walon ko bhi jaisay kay uss ney iss say pehlay teray dada aur per-dada yani ibrahim-o-ishaq ko bhi bhar poor apni nemat di yaqeenan tera rab boht baray ilm wala aur zabardast hikmat wala hai

[7] Yaqeenan yousuf aur uss kay bhaiyon mein daryaft kerney walon kay liye (bari) nishaniyan hai

[8] Jabkay unhon ney kaha kay yousuf aur uss ka bhai ba-nisbat humaray baap ko boht ziyada piyaray hain halankay hum (taqatwar) jamat hain koi shak nahi kay humaray abba sareeh ghalati mein hain

[9] Yousuf ko to maar hi dalo yaa ussay kissi (na maloom) jagah phenk do kay tumharay walid ka rukh sirf tumhari taraf hi hojaye. Iss kay baad tum nek ho jana

[10] Inn mein say aik ney kaha yousuf ko qatal to na kero bulkay ussay kissi andhay koowen (ki teh) mein daal aao kay ussay koi (aata jata) qafila utha ley jaye agar tumhen kerne hi hai to yun kero

[11] Unhon ney kaha abba! Aakhir aap yousuf (alh-e-salam) kay baray mein hum per aitbaar kiyon nahi kertay hum to iss kay khair khua hain

[12] Kal aap zaroor issay humaray sath bhej dijiye kay khoob khaye piye aur khelay iss ki hifazat kay hum zimmay daar hain

[13] (yaqoob alh-e-salam ney) kay issay tumhara ley jana mujhay to sakht sadma dey ga aur mujhay yeh bhi khutka laga rahey ga kay tumhari ghaflat mein issay bheyriya kha jaye

[14] Unhon ney jawab diya kay hum jaisi (zor aawar) jamat ki mojoodgi mein bhi agar issay bheyriya kha jaye to hum bilkul nikammay hi huye

[15] Phir jab issay ley chalay aur sab ney mill ker thaan liya kay issay ghair abad gehray koowen ki teh mein phenk den hum ney yousuf (alh-e-salam) ki taraf wahee ki kay yaqeenan (waqt aaraha hai kay) tu enhen iss majray ki khabar iss haal mein dey ga kay woh jantay hi na hon

[16] Aur isha kay waqt (woh sab) apney baap kay pass rotay huye phonchay

[17] Aur kehney lagay kay abba jaan hum to aapas mein dor mein lagg gaye aur yousuf (alh-e-salam) ko hum ney asbaab kay pass chora pus ussay bheyriya kha gaya aap to humari baat nahi manen gay go hum bilkul sachay hi hon

[18] Aur yousuf kay kurtay ko jhoot moot kay khoon say khoon aalood bhi ker laye thay baap ney kaha yun nahi bulkay tum ney apney dil hi say aik baat bana li hai. Pus sabar hi behtar hai aur tumahri banaee hui baaton per Allah hi say madad ki talab hai

[19] Aur aik qafila aaya aur unhon ney apney pani laney walay ko bheja uss ney apna dol latkaya kehney laga waah waah khushi ki baat hai yeh to aik larka hai unhon ney issay maal-e-tijarat qarar dey ker chupa diya aur Allah Taalaa iss say ba khabar tha jo woh ker rahey thay

[20] Aur unhon ney issay boht hi halki qeemat per ginti kay chand dirhamon per hi baich dala woh to yousuf kay baray mein boht hi bey raghbat thay

[21] Misir walon mein say jiss ney ussay khareeda tha uss ney apni biwi say kaha issay boht izzat-o-ehtram kay sath rakho boht mumkin hai kay yeh humen faeeda phonchaye ya issay hum apna beta hi bana len yun to hum ney misir ki sir zamin yousuf ka qadam jama diya kay hum ussay khuwab ki tabeer ka kuch ilm sikha den. Allah apney iraday per ghalib hai lekin aksar log bey ilm hotay hain

[22] Aur jab (yousuf) pukhtagi ki umar ko phonch gaye hum ney ussay qooat-e-faisla aur ilm diya hum neko karon ko issi tarah badla detay hain

[23] Uss aurat ney jiss kay ghar mein yousuf thay yousuf ko behlana phuslana shuroo kiya kay woh apney nafs ki nigrani chor dey aur darwazay band ker kay kehney lagi lo aajao. Yousuf ney kaha Allah ki panah! Woh mera rab hai mujhay uss ney boht achi tarah rakha hai. Bey insafi kerney walon ka bhala nahi hota

[24] Uss aurat ney yousuf ki taraf qasad kiya aur yousuf uss ka qasad kertay agar woh apney perwerdigar ki daleel na dekhtay yun hi hua iss wastay kay hum uss say buraee aur bey hayaee door ker den. Be-shak woh humaray chunay huye bandon mein say tha

[25] Dono darwazay ki taraf doray aur uss aurat ney yousuf ka kurta peechay ki taraf say kheench ker phaar dala aur darwazay kay pass hi aurat ka shohar dono ko mill gaya to kehney lagi jo shaks teri biwi kay sath bura irada keray bus uss ki saza yehi hai kay ussay qaid ker diya jaye ya aur koi dard naak saza di jaye

[26] Yousuf ney kaha yeh aurat hi mujhay phusla rahi thi aur aurat kay qabeelay hi kay aik shaks ney gawahee di kay agar iss ka kurta aagay say phata hua ho to aurat sachi hai aur yousuf jhoot bolney walon mein say hai

[27] Aur agar iss ka kurat peechay ki janib say phaara gaya hai aur aurat jhooti hai aur yousuf sachon mein say hai

[28] Khawind ney jo dekha kay yousuf ka kurta peeth ki janob say phaara gaya hai to saaf keh diya kay yeh to tum aurton ki chaal baazi hai be-shak tumhari chaal baazi both bari hai

[29] Yousuf abb iss baat ko aati jati kero aur (aey aurat) tu apney gunah say toba ker be-shak tu gunehgaron mein say hai

[30] Aur shehar ki aurton mein charcha honey laga kay aziz ki biwi apney (jawan) ghulam ko apna matlab nikalney kay liye behlaney phuslaney mein lagi rehti hai inn kay dil mein yousuf ki mohabbat beth gaee hai humaray khayal mein to woh sarreh gumrahi mein hai

[31] Iss ney jab unn ki iss pur fareb gheebat ka haal suna to unhen bulwa bheja aur unn kay liye aik majlis muattab ki aur unn mein say her aik ko aik churi di. Aur kaha aey yousuf! Inn kay samney chalay aao inn aurton ney jab ussay dekha to boht bara jana aur apney hath kaat liye aur zaban say nikal gaya kay hasha-lillah! Yeh insan to hergiz nahi yeh to yaqeenan koi boht hi buzurg farishta hai

[32] Uss waqt aziz-e-misir ki biwi ney kaha yehi hain jin kay baray mein tum mujhay tanay dey rahi thin mein ney her chand iss say apna matlab hasil kerna chaha lekin yeh baal baal bacha raha aur jo kuch mein iss say keh rahi hun agar yeh na keray ga to yaqeenan yeh qaid ker diya jayega aur be-shak yeh boht hi bey izzat hoga

[33] Yousuf (alh-e-salam) ney dua ki kay aey meray perwerdigar! Jiss baat ki taraf yeh aurten mujhay bula rahi hain uss say to mujhay jail khana boht pasand hai agar tu ney inn ka fun fareb mujh say door na kiya to mein to inn ki taraf maeel hojaonga aur bilkul na danon mein ja milon ga

[34] Uss kay rab ney uss ki dua qabool kerli aur inn aurton kay dao paich uss say pher diye yaqeenan woh sunnay wala jannay wala hai

[35] Phir inn tamam nishaniyon ko dekh lenay kay baad unhen yehi maslehat maloom hui kay yousuf ko kuch muddat kay liye qaid khanay mein rakhen

[36] Uss kay sath do aur jawan bhi qaid khanay mein dakhil huye inn mein say aik ney kaha kay mein ney khuwab mein apney aap ko sharab nichortay dekha hai aur doosray ney kaha mein ney apney aap ko dekha hai kay mein apney sir per roti uthaye huye hun jisay parinday kha rahey hain humen aap iss ki tabeer batiye humen to aap khoobiyon walay shaks dikhaee detay hain

[37] Yousuf ney kaha tumhen jo khana diya jata hai uss kay tumharay pass phonchney say pehlay hi mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga. Yeh sab uss ilm ki badolat hai jo mujhay meray rab ney sikhaya hai mein ney unn logon ka mazhab chor diya hai jo Allah per eman nahi rakhtay aur aakhirat kay bhi munkir hain

[38] Mein apney baap dadon kay deen ka paband hun yani ibrahim-o-ishaq aur yaqoob kay deen ka humen hergiz yeh saza waar nahi kay hum Allah Taalaa kay sath kissi ko bhi shareek keren hum per aur tamam aur logon per Allah Taalaa ka yeh khas fazal hai lekin aksar log na shukri kertay hain

[39] Aey meray qiad khaney kay sathiyo! Kiya mutafarriq kaee aik perwerdigar behtar hain? Ya aik Allah zabardast taqatwar

[40] Uss kay siwa tum jin ko pooja paat ker rahey ho woh sab naam hi naam hain jo tum ney aur tumharay baap dadon ney khud hi gharr liye hain. Allah Taalaa ney inn ki koi daleel nazil nahi farmaee farman-rawaee sirf Allah Taalaa hi ki hai uss ka famaan hai kay rum sab siwaye uss kay kissi aur ki ibadat na kero yehi deen durust hai lekin aksar log nahi jantay

[41] Aey meray qaid khaney kay rafiqo! Tum dono mein say aik to apney badshah ko sharab pilaney per muqarrar hojayega lekin doosra sooli per charhaya jayega aur parinday uss ka sir noch noch khayen gay tum dono jiss kay baray mein tehqeeq ker rahey thay uss kaam ka faisla ker diya gaya

[42] Aur jiss ki nisbat yousuf ka guman tha kay inn dono mein say yeh choot jayega uss say kaha kay apney badshah say mera ziker bhi ker dena phir ussay shetan ney apney badshah say ziker kerna bhula diya aur yousuf ney kaee saal qaid khaney mein hi kaatay

[43] Badshah ney kaha mein ney khuwab mein dekha hai kay saat moti taza farba gayen hain jin ko saat laaghar dubli patli gayen kha rahi hain aur saat baliyan hain hari hari aur doosri saat bilkul khushk. Aey darbariyo! Meray iss khuwab ki tabeer batlao agar tum khuwab ki tabeer dey saktay ho

[44] Unhon ney jawab diya kay yeh to urtay uratay pareshan khuwab hain aur aisay shoreedah pareshan khuwabon ki tabeer jannay walay hum nahi

[45] Unn do qadiyon mein say jo raha hua tha ussay muddat kay baad yaad aagaya aur kehney laga mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga mujhay janay ki ijazat dijiye

[46] Aey yousuf! Aey boht baray sachay yousuf! Aap humen iss khuwab ki tabeer batlaiye kay saat moti taza gayen hain jinhen saat dubli patli gayen kha rahi hain aur saat bilkul sabz khoshay hain aur saat hi doosray bhi bilkul khushk hain takay mein wapis jaa ker unn logon say kahon kay woh sab jaan len

[47] Yousuf ney jawab diya kay tum saat saal tak pay dar pay lagataar hasb-e-aadat ghalla boya kerna aur fasal kaat ker ussay baaliyon samet hi rehney dena siwaye apney khaney ki thori si miqdaar kay

[48] Iss kay baad saat saal nihayat sakht qehat kay aayen gay woh iss ghallay ko kha jayen gay jo tum ney unn kay liye zakheera rakh chora tha siwaye uss thoray say kay jo tum rol rakhtay ho

[49] Iss kay baad jo saal aayega uss mein logon per khoob barish barsaee jayegi aur uss mein (sheera-e-angoor bhi) khoob nichoren gay

[50] Aur badshah ney kaha yousuf ko meray pass lao jab qasid yousuf kay pass phoncha to enhon ney kaha apney badshah kay pass wapis jaa aur uss say pooch kay unn aurton ka haqeeqi waqiya kiya hai jinhon ney apney hath kaat liye thay? Unn kay heelay ko (sahih tor per) jannay wala mera perwerdigar hi hai

[51] Badshah ney poocha aey aurto! Uss waqt ka sahih waqiya kiya hai jab tum dao fareb kerkay yousuf ko uss ki dili manshah say behkana chahati thi unhon ney saaf jawab diya kay maaz Allah hum ney yousuf mein koi buraee nahi paee phir to aziz ki biwi bhi bol uthi kay abb to sachi baat nithar aaee. Mein ney hi ussay warghalaya tha uss kay ji say aur yaqeenan woh sachon mein say hai

[52] (yousuf alh-e-salam ney kaha) yeh iss wastay kay (aziz) jaan ley kay mein ney uss ki peeth peechay uss ki khayanat nahi ki aur yeh bhi kay Allah dagha baazon kay hathkanday chalney nahi deta

[53] Mein apney nafs ki pakeezgi biyan nahi kerta. Be-shak nafs to buraee per ubharney wala hi hai magar yeh kay mera perwerdigar hi apna reham keray yaqeenan mera paalney wala bari bakhsish kerney wala aur boht meharbani farmaney wala hai

[54] Badshah ney kaha issay meray pass lao kay mein ussay apney khas kaamon kay liye muqarrar ker loon phir jab uss say baat cheet ki to kehney laga kay aap humaray haan aaj say zee izzat aur amant daar hain

[55] (Yousuf ney) kaha aap mujhay mulk kay khazano per muqarrar ker dijiye mein hifazat kerney wala aur ba khabar hun

[56] Issi tarah hum ney yousuf (alh-e-salam) ko mulk ka qabza dey diya. Kay woh jahan kahin chahaiye rahey sahey hum jisay chahayen apni rehmat phoncha detay hain. Hum neko kaaron ka sawab zaya nahi kertay

[57] Yaqeenan eman daron aur perhezgaron ka ukhrawi ajar boht hi behtar hai

[58] Yousuf kay bhai aaye aur yousuf kay pass gaye to uss ney unhen pehchan liya aur unhon ney ussay na pehchana

[59] Jab unhen unn ka asbaab muhayya ker diya to kaha kay tum meray pass apney uss bhai ko bhi lana j tumharay baap say hai kiya tum ney nahi dekha kay mein poora naap ker deta hun aur mein hun bhi behtareen maizbaani kerney walon mein

[60] Pus agar tum ussay ley ker pass na aaye to meri taraf say tumhen koi naap bhi na milay bulkay tum meray qarib bhi na phatakna

[61] Unhon ney kaha acha hum uss kay baap ko uss ki babat phuslayen gay aur poori kosish keren gay

[62] Apney khidmat garon say kaha kay inn ki poonji enhi ki boriyon mein rakh do kay jab lot ker apney ehal-o-ayal mein jayen aur poonjiyon ko pehchan len to boht mumkin hai kay yeh phir lot ker aayen

[63] Jab yeh log lot ker apney walid kay pass gaye to kehney lagay kay hum say to ghallay ka naap rok liye gaya. Abb aap humaray sath humaray bhai ko bhejiye kay hum paymana bhar ker layen hum uss ki nigehbani kay zimmay daar hain

[64] (Yaqoob alh-e-salam) ney kaha mujhay to iss ki babat tumhara waisa hi aitbaar hai jaisa kay iss say pehlay iss kay bhai kay baray mein tha bus Allah hi behtareen hafiz hai aur woh sab meharbano say bara meharban hai

[65] Jab unhon ney apna asbaab khola to to apna sarmaya mojood paya jo unn ki janib lota diya gaya tha. Kehney lagay aey humaray baap humen aur kiya chahaiye. Dekhiye to yeh humara sarmaya bhi humen wapis lota diya gaya hai. Hum apney khaandan ko rasad laa den gay aur apney bhai ki nigrani bhi rakhen gay aur aik oont kay bojh ka ghalla ziyada layen gay. Yeh naap to boht aasan hai

[66] Yaqoob (alh-e-salam) ney kaha! Mein to issay hergiz hergiz tumharay sath nahi bhejon ga jabtak tum Allah ko beech mein rakh ker mujhay qol-o-qarar na do kay tum issay meray pass phoncha do gay siwaye uss aik soorat kay tum sab giriftaar ker liye jao. Jab enhon ney pakka qol-o-qarar dey diya to enhon ney kaha kay hum jo kuch kehtay hain Allah uss per nigehban hai

[67] Aur (yaqoob alh-e-salam) ney kaha aey meray bacho! Tum sab aik darwazay say na jana bulkay kaee juda juda darwazon mein say dakhil hona. Mein Allah ki taraf say aaney wali kissi cheez ko tum say nahi taal sakta. Hukum sirf Allah hi ka chalta hai. Mera kaamil bharosa ussi per hai aur her aik bharosa kerney walay ko ussi per bharosa kerna chahaiye

[68] Jab woh unhi raaston say jin ka hukum unn kay walid ney unhen diya tha gaye kuch na tha kay Allah ney jo baat muqarrar ker di hai woh iss say unhen zara bhi bacha ley. Magar yaqoob (alh-e-salam) kay dil mein aik khayal (peda hua) jissay uss ney poora ker liya bila shuba woh humaray sikhlaye huye ilm ka aalim tha lekin aksar log nahi jantay

[69] Yeh sab jab yousuf kay pass phonch gaye to uss ney apney bhai ko apney pass bitha liya aur kaha kay mein tera bhai (yousuf) hun pus yeh jo kuch kertay rahey uss ka kuch ranj na ker

[70] Phir jab unhen unn ka saman asbaab theek thaak ker kay diya to apney bhai kay asbaab mein pani ka piyala rakh diya. Phir aik aawaz denay walay ney pukar ker kaha aey qafilay walo! Tum log to chor ho

[71] Enhon ney unn ki taraf mun pher ker kaha kay tumhari cheez khoi gaee hai

[72] Jawab diya kay shahi paymana gumm hai jo issay ley aaye ussay aik oont kay bojh ka ghalla milay ga. Iss waday kay mein zaamin hun

[73] Enhon ney kaha Allah ki qasam! Tum ko khoob ilm hai kay hum mulk mein fasad phelaney kay liye nahi aaye aur na hum chor hain

[74] Enhon ney kaha acha chor ki kiya saza hai agar tum jhootay ho

[75] Jawab diya kay uss ki saza yehi hai kay jiss kay asbaab mein say paya jaye wohi uss ka badla hai. Hum to aisay zalimon ko yehi saza diya kertay hain

[76] Pus yousuf ney inn kay saman ki talash kerna shuroo ki apney bhai kay saman ki talashi say pehlay phir uss paymaney ko apnay bhai kay saman (zanbeel) say nikala. Hum ney yousuf kay liye issi tarah yeh tadbeer ki. Uss badshah kay qanoon ki roo say yeh apney bhai ko na ley sakta tha magar yeh kay Allah ko manzoor ho. Hum jiss kay chahayen darjay buland ker den her zee ilm per foqiyat rakhney wala doosra zee ilm mojood hai

[77] Enhon ney kaha kay agar iss ney chori ki (to koi tajjub ki baat nahi) iss ka bhai bhi pehlay chori ker chuka hai yousuf (alh-e-salam) ney iss baat ko apney dil mein rakh liya aur inn kay samney bilkul zahir na kiya. Kaha kay tum bad tar jagah mein ho aur jo tum biyan kertay ho ussay Allah hi khoob janta hai

[78] Enhon ney kaha aey aziz-e-misir! Iss kay walid boht bari umar kay bilkul boorhay shaks hain. Aap iss kay badlay hum mein say kissi ko ley lijiye. Hum dekhtay hain kay aap baray nek nafs hain

[79] Yousuf (alh-e-salam) ney kaha hum ney jiss kay pass apni cheez paee hai uss kay siwa doosray ki giriftari kerney say Allah ki panah chahatay hain aisa kerney say to hum yaqeenan na insafi kerney walay hojayen gay

[80] Jab yeh iss say mayus hogaye to tanahee mein beth ker mashwara kerney lagay. Inn mein jo sab say bara tha uss ney kaha tumhen maloom nahi kay tumharay walid ney tum say Allah ki qasam ley ker pukhta qol-o-qarar liya hai aur iss say pehlay yousuf kay baray mein tum kotahi ker chukay ho. Pus mein to iss sir zamin say na taloo ga jabtak walid shab khud mujhay ijazat na den ya Allah Taalaa meray iss moamlay ka faisla ker den wohi behtareen faisla kerney wala hai

[81] Tum sab walid shab ki khidmat mein wapis jao aur kaho kay abba ji! Aap kay shabzaday ney chori ki aur hum ney wohi gawahi di thi jo hum jantay thay. Hum kuch ghaib ki hifazat kerney walay na thay

[82] Aap uss shehar kay logon say daryaft farma len jahan hum thay aur uss qafilay say bhi pooch len jiss kay sath hum aaye hain aur yaqeenan hum bilkul sachay hain

[83] (Yaqoob alh-e-salam ney) kaha yeh to nahi bulkay tum ney apni taraf say baat bana li pus abb sabar hi behtar hai. Qarib hai kay Allah Taalaa inn sab ko meray pass hi phoncha dey. Wohi ilm-o-hikmat wala hai

[84] Phir unn say mun pher liya aur kaha haaye yousuf! Inn ki aankhen ba waja ranj-o-ghum kay safaid ho chuki thin aur woh ghum ko dabaye huye thay

[85] Beton ney kaha wallah! Aap hamesha yousuf ki yaad mein hi lagay rahen gay yahan tak kay ghul jayen ya khatam hi ho jayen

[86] Unhon ney kaha mein to apni pareshaniyon aur ranj ki faryad Allah hi say ker raha hun mujhay Allah ki taraf say woh baaten maloom hain jo tum nahi jantay

[87] Meray piyaray bacho! Tum jao aur yousuf (alh-e-salam) ki aur uss kay bhai ki poori talash kero aur Allah ki rehmat say na umeed na ho. Yaqeenan rab ki rehmat say na umeed wohi hotay hain jo kafir hotay hain

[88] Phir jab yeh log yousuf (alh-e-salam) kay pass phonchay to kehney lagay aey aziz! Hum ko aur humaray khaandan ko dukh phoncha hai. Hum haqeer poonji laye hain pus aap humen pooray ghallay ka naap dijiye aur hum per kheyraat kijiye Allah Taalaa kheyraat kerney walon ko badla deta hai

[89] Yousuf ney kaha kay jantay bhi ho kay tum ney yousuf aur uss kay bhai kay sath apni nadani ki halat mein kiya kiya

[90] Unhon ney kaha kiya (waqaee) tu hi yousuf (alh-e-salam) hai. Jawab diya kay haan mein yousuf (alh-e-salam) hun aur yeh mera bhai hai. Allah ney hum per fazal-o-karam kiya. Baat yeh hai kay jo bhi perhezgari aur sabar keray to Allah Taalaa kissi neko kaar ka ajar zaya nahi kerta

[91] Unhon ney kaha Allah ki qasam! Allah Taalaa ney tujhay hum per bartari di hai aur yeh bhi bilkul sach hai kay hum khata kaar thay

[92] Jawab diya aaj tum per koi malamat nahi. Allah tumhen bakhshay woh sab meharbano say bara meharban hai

[93] Mera yeh kurta tum ley jao aur issay meray walid kay mun per daal do kay woh dekhney lagen aur aajayen aur apney tamam khaandan ko meray pass ley aao

[94] Jab yeh qafila juda hua to unn kay walid ney kaha mujhay to yousuf ki khushboo aarahi hai agar tum mujhay sathyaya hua qarar na do

[95] Woh kehney lagay kay wallah apney issi puraney khabt mein mubtila hain

[96] Jab khushkhabri denay walay ney phonch ker unn kay mun per woh kurta dala ussi waqt woh phir say beena hogaye. Kaha! Kiya mein tum say na kaha kerta tha kay mein Allah ki taraf say woh baaten janta hun jo tum nahi jantay

[97] Enhon ney kaha abba ji! Aap humaray liye gunahon ki bakhsish talab kijiye be-shal hum qusoor waar hain

[98] Kaha acha mein jald hi tumharay liye apney perwerdigar say bakhsish maangoo ga woh boht bara bakhshney wala aur nihayat meharbani kerney wala hai

[99] Jab yeh sara gharana yousuf kay pass phonch gaya to yousuf ney apney maa baap ko apney pass jagah di aur kaha kay Allah ko manzoor hai to aap sab aman-o-amaan kay sath misir mein aao

[100] Aur apney takht per apney maa baap ko ooncha bithaya aur sab uss kay samney sajday mein girr gaye. Tab kaha kay abba ji! Yeh meray pehlay kay khuwab ki tabeer hai meray rab ney ussay sacha ker dikhaya uss ney meray sath bara ehsan kiya jab kay mujhay jail khaney say nikala aur aap logon ko sehra say ley aaya uss ikhtilaaf kay baad jo shetan ney mujh mein aur meray bhaiyon mein daal diya tha. Mera rab jo chahaye uss kay liye behtareen tadbeer kerney wala hai. Aur woh boht ilm-o-hikmat wala hai

[101] Aey meray perwerdigar! Tu ney mujhay mulk ata farmaya aur tu ney mujhay khuwab ki tabeer sikhlaee. Aey aasman-o-zamin kay peda kerney walay! Tu hi duniya aur aakhirat mein mera wali (dost) aur kaar saaz hai tu mujhay islam ki halat mein fot ker aur neko mein mila dey

[102] Yeh ghaib ki khabron mein say hai jiss ki hum aap ki taraf wahee ker rahey hain. Aap unn kay pass na thay jab kay unhon ney apni baat thaan li thi aur woh fareb kerney lagay thay

[103] Go aap laakh chahayen lekin aksar log eman daar na hongay

[104] Aap inn say iss per koi ujrat talab nahi ker rahey hain. Yeh to tamam duniya kay liye niri naseehat hi naseehat hai

[105] Aasmanon aur zamin mein bhot si nishaniyan hain. Jin say yeh mun moray guzr rahey jatay hain

[106] Inn mein say aksar log ba-wajood Allah per eman rakhney kay bhi mushrik hi hain

[107] Kiya woh iss baat say bey khof hogaye hain kay inn kay pass Allah kay azabon mein say koi aam azab aajaye ya inn per achanak qayamt toot paray aur woh bey khabar hi hon

[108] Aap keh dijiye kay meri raah yehi hai. Mein aur meray muttabeyeen Allah ki taraf bula rahey hain pooray yaqeen aur aetmaad kay sath. Aur Allah pak hai aur mein mushrikon mein nahi

[109] Aap say pehlay basti walon mein hum ney jitney rasool bhejay hain sab mard hi thay jinki taraf hum wahee nazil farmatay gaye. Kiya zamin mein chal phir ker enhon ney dekha nahi kay inn say pehlay kay logon ka kaisa kuch anjam hua? Yaqeenan aakhirat ka ghar perhezgaron kay liye boht hi behtar hai kiya phir bhi tum nahi samajhtay

[110] Yahan tak kay jab rasool na umeed honey lagay aur woh (qom kay log) khayal kerney lagay kay unhen jhoot kaha gaya foran hi humari madad unn kay pass aa phonchi jissay hum ney chaha ussay nijat di gaee. Baat yeh hai kay humara azab gunehgaron say wapis nahi kiya jata

[111] Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon kay liye

الرعد

Surah 13

[1] Alif –laam-meem-raa yeh quran ki aayaten hain aur jo kuch aap ki taraf aap kay rab ki janib say utara jata hai sab haq hai lekin aksar log eman nahi latay

[2] Allah woh hai jiss ney aasmanon ko baghair sutonon kay buland ker rakha hai kay tum ussay dekh rahey ho. Phir woh arsh per qarar pakray huye hai ussi ney sooraj aur chand ko ma-tehati mein laga rakha hai. Her aik miyad-e-moyyen per gasht ker raha hai wohi kaam ki tadbeer kerta hai woh apney nishanaat khol khol ker biyan ker raha hai kay tum apney rab ki mulaqat ka yaqeen kerlo

[3] Ussi ney zamin phela ker bicha di hai aur iss mein pahar aur nehren peda ker di hain. Aur iss mein her qisam kay phalon kay joray dohra dohray peda ker diye hain woh raat ko din say chupa deta hai. Yaqeenan ghor-o-fikar kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain

[4] Aur zamin mein mukhtalif tukray aik doosray say lagtay lagatay hain aur angooron kay baghaat hain aur khet hain aur khujooron kay darakht hain shaakh daar aur baaz aisay hain jo bey shaakh hain sab aik hi pani pilaye jatay hain. Phir bhi hum aik ko aik per phalon mein bartari detay hain iss mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain

[5] Agar tujhay tajjub ho to waqaee unn ka yeh kehna ajeeb hai kay kiya jab hum mitti hojayen gay to kiya hum naee pedaeesh mein hongay? Yehi woh log hain jnhon ney apney perwerdigar say kufur kiya. Yehi hain jin ki gardano mein toq hongay. Aur yehi hain jo jahannum kay rehney walay hain jo iss mein hamesha hamesh rahen gay

[6] Aur jo tujh say (saza ki talbi mein) jaldi ker rahey hain rahat say pehlay hi yaqeenan inn say pehlay sazayen (bator misal) guzar chuki hain aur be-shak tera rab albata bakhshney wala hai logon kay bey jaa zulm per bhi. Aur yeh bhi yaqeeni baat hai kay tera rab bari sakht saza deney wala bhi hai

[7] Aur kafir kehtay hain kay iss per iss kay rab ki taraf say koi nishani (moajzza) kiyon nahi utari gaee. Baat yeh hai kay aap to sirf aagah ker denay walay hain aur her qom kay liye hadi hai

[8] Mada apney shikam mein jo kuch rakhti hai ussay Allah bakhoobi janta hai aur pet ka ghatna barhna bhi her cheez uss kay pass andazay say hai

[9] Zahir-o-posheeda ka woh aalim hai (sab say) bara aur (sab say) buland-o-bala

[10] Tum mein say kissi ka pani baat ko chupa ker kehna aur ba-aawaz-e-buland ussay kehna aur jo raat ko chupa ho aur jo din mein chal raha ho sab Allah per barabar-o-yaksan hain

[11] Uss kay pehray daar insan kay aagay peechay muqarrar hain jo Allah kay hukum say iss ki nigehbani kertay hain. Kissi qom ki halat Allah Taalaa nahi badalta jabtak kay woh khud ussay na badlen jo unn kay dilon mein hai. Allah Taalaa jab kissi qom ki saza ka irada ker leta hai to woh badla nahi kerta aur siwaye uss kay koi bhi unn ka kaar saaz nahi

[12] Woh Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhari baadlon ko peda kerta hai

[13] Garj iss ki tasbeeh-o-tareef kerti hai aur farishtay bhi iss kay khof say. Wohi aasman say bijliyan girata hai aur jiss per chahata hai uss per dalta hai kuffaar Allah ki babat larr jhagar rahey hain aur Allah sakht qooat wala hai

[14] Ussi ko pukarna haq hai. Jo log auron ko iss kay siwa pukartay hain woh unn (ki pukar) ka kuch bhi jawab nahi detay magar jaisay koi shaks apney dono hath pani ki taraf phelaye huye ho kay uss kay mun mein parr jaye halankay woh pani uss kay mun mein phonchney wala nahi inn munkiron ki jitni pukar hai sab gumrahi mein hai

[15] Allah hi kay liye zamin aur aasmanon ki sab makhlooq khushi aur na aur na khushi say sajda kerti hai aur unn kay saye bhi subha-o-shaam

[16] Aap poochiye kay asmanon aur zamin ka perwerdigar kaun hai? Keh dijiye! Allah . Keh dijiye! Kiya tum phir bhi iss kay siwa auron ko himayati bana rahey ho jo khud apni jaan kay bhi bhalay buray ka ikhtiyar nahi rakhtay. Keh dijiye kay kiya andha aur beena barabar hosakta hai? Ya kiya andheriyan aur roshni barabar hosakti hai. Kiya jinhen yeh Allah kay shareek thehra rahey hain unhon ney bhi Allah ki tarah makhlooq peda ki hai kay inn ki nazar mein pedaeesh mushtaba hogaee ho keh dijiye kay sirf Allah hi tamam cheezon ka khaliq hai who akela hai aur zabardast ghalib hai

[17] Ussi ney aasman say pani barsaya phir apni apni wusat kay mutabiq nalay beh niklay. Phir pani kay railay ney upper charhay jhaag ko utha liya aur uss cheez mein bhi jiss ko aag mein daal ker tapatay hain zewar ya saaz-o-saman kay liye issi tarah jay jhaag hain issi tarah Allah Taalaa haq-o-batil ki misal biyan farmata hai abb jhaag to nakara hoker chala jata hai lekin jo logon ko nafa denay wali cheez hai woh zamin mein thehri rehti hai Allah Taalaa issi tarah misalen biyan farmata hai

[18] Jin logon ney apney rab kay hukum ki baja aawri ki unn kay liye bhalee hai aur jin logon ney uss ki hukum bardari na ki agar unn kay liye zamin mein jo kuch hai sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi ho to woh sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin kay liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo boht buri jagah hai

[19] Kiya woh aik shaks jo yeh ilm rakhta ho kay aap ki taraf aap kay rab ki janib say jo utara gaya hai woh haq hai uss shaks jaisa ho sakta hai jo andha ho naseehat to woh qabool kertay hain jo aqal mand hon

[20] Jo Allah kay ehad (o-paymaan) ko poora kertay hain aur qol-o-qarar ko tortay nahi

[21] Aur Allah ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai woh ussay jortay hain aur woh apney perwerdigar say dartay hain aur hisab ki sakhti ka andesha rakhtay hain

[22] Aur woh apney rab ki raza mandi ki talab kay liye sabar kertay hain aur namazon ko barabar qaeem rakhtay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai ussay chuppay khulay kharach kertay hain aur buraee ko bhi bhalee say taaltay hain inn hi kay liye aaqibat ka ghar hai

[23] Hamesha rehnay kay baghaat jahan yeh khud jayen gay aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur auladon mein say bhi jo neko kaar hongay inn kay pass farishtay her her darwazay say aayen gay

[24] Kahen gay tum per salamti ho sabar kay badlay kiya hi acha (badla) hai iss daar-e-aakhirat ka

[25] Aur jo Allah kay ehad ko uss ki mazbooti kay baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney ka Allah ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein fasad phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye bura ghar hai

[26] Allah Taalaa jiss ki rozi chahata hai barhata hai aur ghatata hai yeh to duniya ki zindagi mein mast hogaye halankay duniya aakhirat kay muqablay mein nihayat (haqeer) poonji hai

[27] Kafir kehtay hain kay iss per koi nishani (moajzza) kiyon nahi nazil nahi kiya gaya? Jawab dey dijiye kay jisay Allah gumrah kerna chahaye ker deta hai aur jo uss ki taraf jhukay ussay raasta dikha deta hai

[28] Jo log eman laye unn kay dil Allah kay zikar say itminan hasil kertay hain. Yaad rakho Allah kay zikar say hi dilon ko tasalli hasil hoti hai

[29] Jo log eman laye aur jinhon ney nek kaam bhi kiye unn kay liye khushali hai aur behtareen thikana

[30] Issi tarah hum ney aap ko iss ummat mein bheja hai jiss say pehlay boht si ummaten guzar chuki hain kay aap enhen humari taraf say jo wahee aap per utri hai parh ker sunaiye yeh Allah rehman kay munkir hain aap keh dijiye kay mera paalney wala to wohi hai uss kay siwa dar-haqeeqat koi bhi laeeq-e-ibadat nahi ussi kay upper mera bharosa hai aur ussi ki janib mera rujoo hai

[31] Agar (bil farz) kissi quran (aasmani kitab) kay zariye pahar chala diye jatay ya zamin tukray tukray ker di jati ya murdon say baaten kerwa di jatin (phir bhi woh eman na latay) baat yeh hai kay sab kaam Allah kay hath mein hai to kiya eman walon ko iss baat per dil jamaee nahi kay agar Allah Taalaa chahaye to tamam logon ko hidayat dey dey. Kuffaar ko to inn kay kufur kay badlay hamesha hi koi na koi sakht saza phonchti rahey gi ya inn kay makano kay qarib nazil hoti rahey gi ta-waqt-e-kay wada-e-elahi aa phonchay. Yaqeenan Allah Taalaa wada khilafi nahi kerta

[32] Yaqeenan aap say pehlay kay payghumber ka mazaq uraya gaya tha aur mein ney bhi kafiron ko dheel di thi phir unhen pakar liya tha pur mera azab kaisa raha

[33] Aaya woh Allah jo nigehbani kerney wala hai her shaks ki uss kay kiye huye aemaal per inn logon ney Allah kay shareek thehraye hain keh dijiye zara unn kay naam to lo kiya tum Allah ko woh baten batatay ho jo woh zamin mein janta hi nahi ya sirf oopri oopri baaten bata rahey ho baat asal yeh hai kay kufur kerney walon kay liye unn kay makar saja diye gaye hain aur woh sahih raah say rok diye gaye hain aur jiss ko Allah gumrah ker dey uss ko raha dikhaney wala koi nahi

[34] Inn kay liye duniya ki zindagi mein bhi azab hai aur aakhirat ka azab to boht hi ziyada sakht hai enhen Allah kay ghazab say bachaney wala koi bhi nahi

[35] Uss jannat ki sift jiss ka wada perhezgaron ko diya gaya hai yeh hai kay uss key neechay nehren beh rahi hain. Uss ka mewa hameshgi wala hai aur uss ka saya bhi. Yeh hai anjam perhezgaron ka aur kafiron ka anjam kaar dozakh hai

[36] Jinhen hum ney kitab di hai woh to jo kuch aap per utara jata hai uss say khush hotay hain aur doosray fiqay iss ki baaz baaton say munkir hain. Aap ailaan ker dijiye kay mujhay to sirf yehi hukum diya gaya hai kay mein Allah ki ibadat keroon aur uss kay sath shareek na keroon mein ussi ki taraf bula raha hun aur ussi ki janib mera lotna hai

[37] Issi tarah hum ney iss quran ko arabi zaban ka farman utara hai. Agar app ney inn ki khuwaishon ki pairwi kerli iss kay baad kay aap kay pass ilm aa chuka hai to Allah (kay azabon) say aap ko koi himayati milay ga aur na bachaney wala

[38] Hum aap say pehlay bhi boht say rasool bhej chukay hain aur hum ney unn sab ko biwi bachon wala banaya tha kissi rasool say nahi hosakta kay koi nishani baghair Allah ki ijazat kay ley aaye her muqarrara waday ki aik likhat hai

[39] Allah jo chahaye mita dey aur jo chahaye sabit rakhay loh-e-mehfooz ussi kay pass hai

[40] Inn say kiye huye wadon mein say koi agar hum aap ko dikha den ya aap ko hum fot ker len to aap per to sirf phoncha dena hi hai. Hisab to humaray zimmay hi hai

[41] Kiya woh nahi dekhtay? Kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain Allah hukum kerta hai koi uss kay ehkaam peechay dalney wala nahi woh jald hisab leney wala hai

[42] Inn say pehlay logon ney bhi apni makkari mein kami na ki thi lekin tamam tadbeeren Allah hi ki hain jo shaks jo kuch ker raha hai Allah kay ilm mein hai. Kafiron ko abhi maloom hojaye ga kay (uss) jahaan ki saza kiss kay liye hai

[43] Yeh kafir kehtay hain kay aap Allah kay rasool nahi. Aap jawab dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah gawahi denay wala kafi hai aur woh jiss kay pass kitab ka ilm hai

ابراہیم

Surah 14

[1] Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab hum ney aap ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron say ujalay ki taraf layen inn kay perwerdigar kay hukum say zabardast aur tareefon walay Allah ki taraf

[2] Jiss Allah ka hai jo kuch aamano aur zamin mein hai.aur kafiron kay liye to sakht azab ki kharabi hai

[3] Jo aakhirat kay muqablay mein dunyawi zindagi ko pasand rakhtay hain aur Allah ki raah say roktay hain aur iss mein terh pann peda kerna chahatay hain. Yehi log parli darjay ki gumrahi mein hain

[4] Hum ney her her nabi ko uss ki qomi zaban mein hi bheja hai takay unn kay samney wazahat say biyan ker dey. Abb Allah Taalaa jisay chahaye gumrah ker dey aur jisay chahaye raah dikha dey woh ghalba aur hikmat wala hai

[5] (yaad rakho jabkay) hum ney musa ko apni nishaniyan dey ker bheja kay tu apni qom ko andheron say roshni mein nikal aur enhen Allah kay ehsanaat yaad dila. Iss mein nishaniyan hain her aik sabar shukar kerney wlay kay liye

[6] Jiss waqt musa ney apni qom say kaha kay Allah kay woh ehsanaat yaad kero jo uss ney tum per kiye hain jabkay uss ney tumhen firaoniyon say nijat di jo tumhen baray dukh phonchatay thay. Tumharay larkon ko qatal kertay thay aut tumhari larkiyon ko zinda chortay thay iss mein tumharay rab ki taraf say tum per boht bari aamaeesh thi

[7] Aur jab tumharay perwerdigar ney tumhen aagah kerdiya kay agar tum shukar guzari kero gay to be-shak mein tumhen ziyada doon ga aur agar tum na shukri kero gay to yaqeenan mera azab boht sakht hai

[8] Musa (alh-e-salam) ney kaha kay agar tum sab aur ruy-e-zamin kay tamam insan Allah ki na shukri keren to bhi Allah bey niyaz aur tareefon wala hai

[9] Kiya tumharay pass tum say pehlay kay logon ki khabren nahi aaen? Yani qom-e-nooh ki aur aad-o-samood ki aur unn kay baad walon ki jinhen siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi janta unn kay pass unn kay rasool moajzzay laye lekin unhon ney apney hath apney mun mein daba liye aur saaf keh diya kay jo kuch tumhen dey ker bheja gaya hai hum uss kay munkir hain aur jiss cheez ki taraf tum humen bula rahey ho humen to iss mein bara bhari shuba hai

[10] Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish kero

[11] Unn kay payghumbaron ney unn say kaha yeh to sach hai kay hum tum jaisay hi insan hain lekin Allah Taalaa apney bandon mein say jiss per chahata hai apna fazal kerta hai. Allah kay hukum kay baghair humari majal nahi kay hum koi moajzza tumhen laa dikhayen aur eman walon ko sirf Allah Taalaa hi per bharosa rakhna chahiye

[12] Aakhir kiya waja hai kay hum Allah Taalaa per bharosa na rakhen jabkay ussi ney humen humari rahen sujhaee hain. Wallah jo ezayen tum humen do gay hum unn per sabar hi keren gay. Tawakkal kerney walon ko yehi laeeq hai kay Allah hi per tawakkal keren

[13] Kafiron ney apney rasoolon say kaha kay hum tumhen mulk badar ker den gay ya tum phir say humaray mazhab mein lot aao. To unn kay perwerdigar ney unn ki taraf waahee bheji kay hum inn zalimon ko hi ghaarat ker den gay

[14] Aur inn kay baad hum khud tumhen iss zamin mein basayen gay. Yeh hai unn kay liye jo meray samney kharay honey ka darr rakhen aur meri waeed say khofzada rahen

[15] Aur unhon ney faisla talab kiya aur tamam sirkash ziddi log na murad hogaye

[16] Uss kay samney dozakh hai jahan woh peep ka pani pilaya jaye ga

[17] Jisay ba mushkil ghoont ghoont piye ga. Phir bhi ussay galay say utaar na sakay ga aur ussay her jagah say maut aati dikhaee dey gi lekin woh marney wala nahi. Phir uss kay peechay bhi sakhta azab hai

[18] Unn logon ki misal jihon ney apney paalney walay say kufur kiya unn kay aemaal misil uss raakh kay hain jiss per tez hawa aandhi walay din chalay. Jo bhi unhon ney kiya uss mein say kissi cheez per qadir na hongay yehi door ki gumrahi hai

[19] Kiya tu ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin ko behtareen tedbeer kay sath peda kiya hai. Agar woh chahaye to tum sab ko fana ker dey aur naee makhlooq laye

[20] Allah per yeh kaam kuch bhi mushkil nahi

[21] Sab kay sab Allah kay samney roo-baroo kharay hongay uss waqt kamzor log baraee walon say kahen gay hum to tumharay tabeydaar thay to kiys tum Allah kay azabon mein say kuch azab hum say door ker sakney walay ho? Woh jawab den gay kay agar Allah humen hidayat deta to hum bhi zaroor tumhari rehnumaee kertay abb to hum per bey qarari kerna aur sabar kerna dono hi barabar hai humaray liye koi chutkara nahi

[22] Jab aur kaam ka faisla ker diya hayega to shetan kahey ga kay Allah ney to tumhen sacha wada diya tha aur mein ney tum say jo waday kiye thay unn ka khilaf kiya mera tum per koi dabao to tha hi nahi haan mein ney tumhen pukara aur tum ney meri maan li pus tum mujhay ilzam na lagao bulkay khud apney aap ko malamat kero na mein tumhara faryad rus aur na tum meri faryad ko phonchney walay mein to siray say manta hi nahi kay tum mujhay iss say pehlay Allah ka shareek mantay rahey yaqeenan zalimon kay liye dard naak azab hai

[23] Jo log eman laye aur nek amal kiye woh inn jannaton mein dakhil kiye jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan unhen hameshgi hogi apney rab kay hukum say. Jahan unn ka khair maqdam salam say hoga

[24] Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney pakeeza baat ki misal kiss tarah biyan farmaee misil aik pakeeza darakht kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan aasman mein hain

[25] Jo apney perwerdigar kay hukum say her waqt apney phal laata hai aur Allah Taalaa logon kay samney misalen biyan farmata hai takay woh nasheehat hasil keren

[26] Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaar liya gaya. Issay kuch sabaat to hai hi nahi

[27] Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur Allah jo chahaye ker guzray

[28] Kiya aap ney unn ki taraf nazar nahi daali jinhon ney Allah ki nemat kay badley na shukri ki aur apni qom ko halakat kay ghar mein laa utara

[29] Yani dozakh mein jiss mien yeh sab jayen gay jo bad tareen thikana hai

[30] Enhon ney Allah kay humsar bana liye kay logon ko Allah ki raah say behkayen. Aap keh dijiye kay khair mazay kerlo tumhari baaz gasht to aakhir jahannum hi hai

[31] Meray eman walay bandon say keh dijiye kay namazon ko qaeem rakhen aur jo kuch hum ney dey rakha hai uss mein say kuch na kuch posheeda aur zahir kharach kertay rahen iss say pehlay kay woh din aajaye jiss mein na kharid-o-farokht hogi na dosti aur mohabbat

[32] Allah woh hai jiss ney aasmanon aur zamin ko peda kiya hai aur aasmanon say barish barsa ker iss kay zariye say tumhari rozi kay liye phal nikaley hain aur kashtiyon ko tumharay bus mein ker diya hai kay daryaon mein uss kay hukum say chalen phiren. Ussi ney nadiyan aur nehren tumharay ikhtiyar mein ker di hain

[33] Ussi ney tumharay liye sooraj chand ko musakhar kerdiya hai kay barabar hi chal rahey hain aur raat din ko bhi tumharay kaam mein laga rakha hai

[34] Ussi ney tumhen tumhari mun mangi kul cheezon mein say dey rakha hai. Agar tum Allah kay ehsan ginna chahao to unhen pooray ginn bhi nahi saktay. Yaqeenan insan bara hi bey insaf aur na shukra hai

[35] (Ibrahim ki yeh dua bhi yaad kero) jab unhon ney kaha kay aey meray perwerdigar! Iss shehar ko aman wala bana dey aur mujhay aur meri aulad ko butt parasti say panah dey

[36] Aey meray paalney walay mabood! Enhon ney boht say logon ko raah say bhatka diya hai. Pus meri tabeydaari kerney wala mera hai aur jo meri na farmani keray to tu boht hi moaf aur karam kerney wala hai

[37] Aey humaray perwerdigar! Mein ney apni kuch aulad iss bey kheti ki wadi mein teray hurmat walay ghar kay pass basaee hai. Aey humaray perwerdigar! Yeh iss liye kay woh namaz qaeem rakhen pus to kuch logon kay dilon ko inn ki taraf maeel ker dey. Aur enhen phalon ki roiziyan inayat farma takay yeh shukar guzari keren

[38] Aey humaray perwerdigar! Tu khoob janta hai jo hum chupayen aur jo zahir keren. Zamin-o-aasman ki koi cheez Allah per posheeda nahi

[39] Allah ka shukar hai jiss ney mujhay iss burhapay mein ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) ata farmaye. Kuch shak nahi kay mera palanhaar Allah duaon ka sunnay wala hai

[40] Aey meray paalney walay! Mujhay namaz ka paband rakh aur meri aulad say bhi aey humaray rab meri dua qabool farma

[41] Aey humaray perwerdigar! Mujhay bakhsh dey aur meray maa baap ko bhi bakhsh aur digar momino ko bhi bakhsh jiss din hisab honey lagay

[42] Na insafon kay aemaal say Allah ko ghafil na samajh woh to enhen uss din tak mohlat diye huye hai jiss din aankhen phati ki phati reh jayen gi

[43] Woh apney sir upper uthaye dor bhaag ker rahey hongay khud apni taraf bhi inn ki nighayen na loten gi aur inn kay dil khali aur array huye hongay

[44] Logon ko uss din say hoshiyaar ker dey jab kay unn kay pass azab aajaye ga aur zalim kahen gay aey humaray rab humen boht thoray qarib kay waqt tak ki hi mohlat dey kay hum teri tableegh maan len aur teray payghumbaron ki tabeydaari mein lagg jayen. Kiya tum iss say pehlay bhi qasmen nahi kha rahey thay? Kay tumharay liye duniya say talna hi nahi

[45] Aur kiya tum inn logon kay gharon mein rehtay sehtay na thay jinhon ney apni jano per zulm kiya aur kiya tum per woh moamla khula nahi kay hum ney unn kay sath kaisa kuch kiya. Hum ney (to tumharay samjhaney ko) boht si misalen biyan ker di thin

[46] Yeh apni apni chalen chal rahey hain aur Allah ko inn ki tamam chalon ka ilm hai aur inn ki chalen aisi na thin kay unn say pahar apni jagah say tal jayen

[47] Aap hergiz yeh khayal na keren kay Allah apney nabiyon say wada khilafi keray ga Allah bara hi ghalib aur badla lenay wala hai

[48] Jiss din zamin iss zamin kay siwa aur hi badal dijayegi aur aasman bhi aur sab kay sab Allah wahid ghalbay walay kay roo-baroo hongay

[49] Aap uss din gunehgaron ko dekhen gay kay zanjeeron mein milay julay aik jagah jakray huye hongay

[50] Unn kay libad gandhak kay hongay aur aag unn kay chehron per bhi charhi hui hogi

[51] Yeh iss liye kay Allah Taalaa her shaks ko uss kay kiye huye aemaal ka badla dey be-shak Allah Taalaa ko hisab letay kuch dair nahi lagney ki

[52] Yeh quran tamam logon kay liye itlaa naama hai kay iss kay zariye say woh hoshiyaar ker diye jayen aur bakhoobhi maloom kerlen kay Allah aik hi mabood hai aur takay aqal mand log soch samajh len

الحجر

Surah 15

[1] Alif –laam-raa yeh kitab-e-elahi ki aayaten hain aur khullay aur roshan quran ki

[2] Woh bhi waqt hoga kay kafir apney musalman honey ki aarzoo keren gay

[3] Aap unhen khata nafa uthata aur (jhooti) umeedon mein masghool hota chor dijiye yeh khud abhi jaan len gay

[4] Kissi basti ko hum ney halak nahi kiya magar yeh kay uss kay liye muqarrar navishta tha

[5] Koi giroh apni maut say na aagay barhta hai na peechay rehta hai

[6] Enhon ney kaha aey woh shaks jiss per quran utara gaya hai yaqeenan tu to koi deewana hai

[7] Agar tu sacha hi hai to humaray pass farishton ko kiyon nahi laata

[8] Hum farishton ko haq kay sath hi utartay hain aur uss waqt woh mohlat diye gaye nahi hotay

[9] Hum ney iss quran ko nazil farmaya hai aur hum hi uss kay mohafiz hain

[10] Hum ney aap say pehlay agli ummaton mein bhi apney rasool (barabar) bhejay

[11] Aur (lekin) jo bhi rasool aata woh uss ka mazaq uratay

[12] Gunehgaron kay dilon mein hum issi tarah yehi racha diya kertay hain

[13] Woh iss per eman nahi latay aur yaqeenan aglon ka tareeqa guzra hua hai

[14] Aur agar hum inn per aasman ka darwaza khol bhi den aur yeh wahan charhney bhi lag jayen

[15] Tab bhi yehi kahen gay humari nazar bandi ker di gaee hai bulkay hum logon per jadoo ker diya gaya hai

[16] Yaqeenan hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon kay liye ussay saja diya gaya hai

[17] Aur issay her mardood shetan say mehfooz rakha hai

[18] Haan magar jo chori chuppay sunnay ki kosish keray uss kay peechay dehakta hua (khulla shola) lagta hai

[19] Aur zamin ko hum ney phela diya hai aur iss per (atal) pahar bana diye hain aur iss mein hum ney her cheez aik moyyan miqdar say uga di hai

[20] Aur issi mein hum ney tumhari roziyan bana di hain aur jinhen tum rozi denay walay nahi ho

[21] Aur jitni bhi cheezen hain unn sab kay khazaney humaray pass hain aur hum her cheez ko uss kay muqarrar andaz say utartay hain

[22] Aur hum bhejtay hain bojhal hawayen phir aasman say pani barsa ker woh tumhen pilatay hain aur tum iss ka zakheera kerney walay nahi ho

[23] Hum hi jilatay aur maartay hain aur hum hi (bil-aakhir) waris hain

[24] Aur tum mein say aagay barhney walay aur peechay hatney walay bhi humaray ilm mein hain

[25] Aap ka rab sab logon ko jama keray ga yaqeenan woh bari hikmaton wala baray ilm wala hai

[26] Yaqeenan hum ney insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda farmaya hai

[27] Aur iss say pehlay jinnat ko hum ney low wali aag say peda kiya

[28] Aur jab teray perwerdigar ney farishton say farmaya kay mein aik insan ko kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda kerney wala hun

[29] To jab mein ussay poora bana chukon aur iss mein apni rooh phoonk doon to tum sab iss kay liye sajday mein girr parna

[30] Chunacha tamamam farishton ney sab kay sab ney sajda ker liya

[31] Magar iblees kay. Kay uss ney sajda kerney walon mein shamooliyat kerney say (saaf) inkar kerdiya

[32] (Allah Taalaa ) ney farmaya aey iblees tujhay kiya hua kay tu sajda kerney walon mein shamil na hua

[33] Woh bola kay mein aisa nahi kay iss insan ko sajda keroon jissay tu ney kali aur sarhi hui khankhanati mitti say peda kiya hai

[34] Farmaya abb tu bahisht say bikal jaa kiyon kay tu raand-e-dargah hai

[35] Aur tujh per meri phitkaar hai qayamat kay din tak

[36] Kehney laga aey meray rab! Mujhay uss din tak dheel dey kay log doobara utha kharay kiye jayen

[37] Farmaya acha tu unn mein say hai jinhen mohlat milli hai

[38] Roz-e-muqarrara kay waqt tak ki

[39] (shetan ney) kaha aey meray rab! Chun kay tu ney mujhay gumraah kiya hai mujhay bhi qasam hai kay mein bhi zamin mein inn kay liye ma’asi ko muzayyan keroon ga aur inn sab ko behkaon ga

[40] Siwaye teray unn bandon kay jo muntakhib ker liye gaye hain

[41] Irshad hua kay haan yehi mujh tak phonchney ki seedhi raah hai

[42] Meray bandon per tujhay koi ghalba nahi lekin haan jo gumrah log teri pairwi keren

[43] Yaqeenan inn sab kay waday ki jagah jahannum hai

[44] Jiss kay saat darwazay hain, her darwazay kay liye inn ka bara hissa bata hua hai

[45] Perhezgaar jannati log baghon aur chashmon mein hongay

[46] (unn say kaha jayega) salamti aur aman kay sath iss mein dakhil hojao

[47] Unn kay dilon mein jo kuch ranjish-o-keena tha hum sab kuch nikal den gay woh bhai bhai banay huye aik doosray kay aamney samney takhton per behtay hongay

[48] Na to unhen wahan koi rakleef chu sakti hai aur na wahan say kabhi nikalen jayegay

[49] Meray bandon ko khabar dey do kay mein boht hi bakhshney wala aur bara hi meharban hun

[50] Aur sath hi meray azab bhi nihayat dard naak hain

[51] Enhen ibrahim kay mehmanon ka (bhi) haal suna do

[52] Kay jab unhon ney unn kay pass aaker salam kiya to unhon ney kaha kay hum ko tum say darr lagta hai

[53] Unhon ney kaha daro nahi hum tujhay aik saahib-e-ilm farzand ki bisharat detay hain

[54] Kaha kiya iss burhapay kay aajaney kay baad tum mujhay khushkhabri detay ho! Yeh khushkhabri tum kaisay dey rahey ho

[55] Unhon ney kaha hum aap ko bilkul sachi khushkhabri sunatay hain aap mayus logon mein shamil na hon

[56] Kiya apney rab taalaa ki rehmat say na umeed to sirf gumrah aur behkay huye log hi hotay hain

[57] Poocha kay Allah kay bhejay huye (farishto!) tumhara aisa kiya eham kaam hai

[58] Unhon ney jawab diya kay hum mujrim qom ki taraf bhejay gaye hain

[59] Magar khaandan-e-loot kay hum unn sab ko to zaroor bacha len gay

[60] Siwaye uss (loot) ki biwi kay kay hum ney ussay rukney aur baqi reh janey walon mein muqarrar ker diya hai

[61] Jab bhejay huye farishtay aal-e-loot kay pass phonchay

[62] To unhon (loot alh-e-salam) ney kaha tum log to kuch anjan say maloon horahey ho

[63] Unhon ney kaha nahi bulkay hum teray pass woh cheez laye hain jiss mein yeh log shak-o-shuba ker rahey thay

[64] Hum to teray pass (sareeh) haq laye hain aur hain bhi bilkul sachay

[65] Abb tu apney khaandan samet iss raat kay kissi hissay mein chal dey aur aap inn kay peechay rehna aur (khabardaar) tum mein say koi (peechay) murr ker bhi na dekhay aur jahan ka tumhen hukum kiya jaraha hai wahan chalay jana

[66] Aur hum ney uss ki taraf iss baat ka faisla ker diya kay subha hotay hotay inn logon ki jaren kaat di jayen gi

[67] Aur shehar walay khushiyan manatay huye aaye

[68] (loot alh-e-salam ney) kaha yeh log meray mehaman hain tum mujhay ruswa na kerna

[69] Allah Taalaa say daro aur mujhay ruswa na kero

[70] Woh bolay kiya hum ney tujhay duniya bhar (ki thekaydaari) say mana nahi ker rakha

[71] (loot alh-e-salam ney) kaha agar tumhen kerne hi hai to yeh meri bachiyan mojood hain

[72] Teri umar ki qasam ! woh to apni bad-masti mein sir gardan thay

[73] Pus sooraj nikaltay nikaltay unhen aik baray zor ki aawaz ney pakar liya

[74] Bil aakhir hum ney iss shehar ko upper talay kerdiya aur inn logon per kankar walay pathar barsaye

[75] Bila shuba basirat walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain

[76] Yeh basti aisi raah per hai jo barabar chalti rehti (aam guzargaah) hai

[77] Aur iss mein eman walon kay liye bari nishani hai

[78] Aeeka basti key rehney walay bhi baray zalim thay

[79] Jin say (aakhir) hum ney intiqam ley hi liya. Yeh dono shehar khullay (aam) raastay per hain

[80] Aur hijr walon ney bhi rasoolon ko jhutalaya

[81] Aur hum ney unn ko apni nishaniyan bhi ata farmaeen (lekin) tahum woh inn say roo gardani hi kertay rahey

[82] Yeh log paharon ko tarash tarash ker ghar banatay thay bey khof hoker

[83] Aakhir enhen bhi subha hotay hotay chinghaar ney aa dabocha

[84] Pus inn ki kissi tadbeer-o-amal ney unhen koi faeeda na diya

[85] Hum ney aasmanon aur zamin ko aur inn kay darmiyan ki sabb cheezon ko haq kay sath peda farmaya hai aur qayamat zaroor zaroor aaney wali hai. Pus tu husn-o-khoobi (aur achai) say dar guzar kerley

[86] Yaqeenan tera perwerdigar hi peda kerney wala aur jannay wala hai

[87] Yaqeenan hum ney aap ko saat aayaten dey rakhi hain kay dohraee jati hain aur azeem quran bhi dey rakha hai

[88] Aap hergiz apni nazren uss cheez ki taraf na dorayen jiss say hum ney inn mein say kaee qisam kay logon ko behra mand ker rakha hai na inn per aap afsos keren aur momino kay liye apney bazoo jhukaye rahen

[89] Aur keh dijiye kay mein to khullam khulla daraney wala hun

[90] Jaisay kay hum ney unn taqseem kerney walon per utara

[91] Jinhon ney iss kitab-e-elahi kay tukray tukray ker diye

[92] Qasam hai teray paalney walay ki! Hum unn sab say zaroor baaz purs keren gay

[93] Her uss cheez ki jo woh kertay thay

[94] Pus aap iss hukum ko jo aap ko kiya jaa raha hai khol ker suna dijiye! Aur mushrikon say mun pher lijiye

[95] Aap say jo log maskhra pann kertay hain unn ki saza kay liye hum kafi hain

[96] Jo Allah kay sath doosray mabood muqarrar kertay hain unhen un-qarib maloom hojayega

[97] Humen khoob ilm hai inn baaton say aap ka dil tang hota hai

[98] Aap apney perwerdigar ki tasbeeh aur hamd biyan kertay rahen aur sajda kerney walon mein shamil hojayen

[99] Aur apney rab ki ibadat kertay rahen yahan tak kay aap ko maut aajaye

النحل

Surah 16

[1] Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain

[2] Wohi farishton ko apni wahee dey ker apney hukum say apney bandon mein say jiss per chahata hai utarta hai kay tum logon ko aagah kerdo kay meray siwa aur koi mabood nahi pus tum mujh say daro

[3] Ussi ney aasmanon aur zamin ko haq kay sath peda kiya hai woh iss say bari hai jo mushrik kertay hain

[4] Uss ney insan ko nutfay say peda kiya phir woh sareeh jhagraloo bann betha

[5] Ussi ney chopaye peda kiye jin mein tumharay liye garmi kay libas hain aur bhi boht say nafay hain aur baaz tumharay khaney kay kaam aatay hain

[6] Aur inn mein tumhari ronaq bhi hai jab chara ker laao tab bhi aur jab charaney ley jao tab bhi

[7] Aur woh tumharay bojh unn shehron tak utha ley jatay hain jahan tum baghair aadhi jaan kiye phonch hi nahi saktay thay. Yaqeenan tumhara rab bara hi shafiq aur nihayat meharbaan hai

[8] Ghoron ko khacharon ko gadhon ko uss ney peda kiya kay tum unn ki sawari lo aur baees-e-zeenat bhi hain. Aur bhi woh aisi boht cheezen peda kerta hai jin ka tumhen ilm bhi nahi

[9] Aur Allah per seedhi raah ka bata dena hai aur baaz tairhi raahen hain aur agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per laga deta

[10] Wohi tumharay faeeday kay liye aasman say pani barsata hai jissay tum peetay bhi ho aur ussi say ugay huye darakhton ko tum apney janwaron ko charatay ho

[11] Issi say woh tumharay liye kheti aur zaitoon aur khujoor aur angoor aur her qisam kay phal ugata hai be-shak unn logon kay liye iss mein bari nishani hai jo ghor-o-fikar kertay hain

[12] Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain

[13] Aur bhi boht si cheezen tarah tarah kay rang roop ki uss ney tumharay liye zamin per phela rakhi hain. Be-shak naseehat qabool kerney walon kay liye iss mein bari bhari nishani hai

[14] Aur darya bhi ussi ney tumharay bus mein ker diye hain kay tum iss mein say (nikla hua) taza gosht khao aur iss mein say apney pehanney kay zaiwraat nikal sako aur tum dekhtay ho kay kashtiyan iss mein pani cheerti hui (chalti) hain aur iss liye bhi kay tum uss ka fazal talash kero aur hosakta hai kay tum shukar guzari bhi kero

[15] Aur uss ney zamin mein pahar gaar diye hain takay tumhen ley ker hilay na aur nehren aur raahen bana den takay tum manzil-e-maqsood ko phoncho

[16] Aur bhi boht si nishaniyan muqarrar farmaeen. Aur sitaron say bhi log raah hasil kertay hain

[17] To kiya woh jo peda kerta hai uss jaisa hai jo peda nahi ker sakta? Kiya tum bilkul nahi sochtay

[18] Aur agar tum Allah ki nematon ka shumar kerna chahao to tum ussay nahi ker saktay. Be-shak Allah bara bakhshney wala meharban hai

[19] Aur jo kuch tum chupao aur zahir kero Allah Taalaa sab kuch janta hai

[20] Aur jin jin ko yeh log Allah Taalaa kay siwa pukartay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye huye hain

[21] Murdey hain zinda nahi unhen to yeh bhi shaoor nahi kay kab uthayen jayen gay

[22] Tum sab ka mabood sirf Allah Taalaa akela hai aur aakhirat per eman na rakhney walon kay dil munkir hain aur woh khud takabbur say bharay huye hain

[23] Bey shak-o-shuba Allah Taalaa her uss cheez ko jissay woh log chupatay hain aur jissay zahir kertay hain bakhoobi janta hai. Woh ghuroor kerney walon ko pasand nahi farmata

[24] Inn say jab daryaft kiya jata hai kay tumharay perwerdigar ney kiya nazil farmaya hai? To jawab detay hain kay aglon ki kahaniyan hain

[25] Issi ka natija hoga kay qayamat kay din yeh log apney pooray bojh kay sath hi unn kay bojh kay bhi hissay daar hongay jinhen bey ilmi say gumraah kertay rahey. Dekho to kaisa bura bojh utha rahey hain

[26] Inn say pehlay kay logon ney bhi makar kiya tha (aakhir) Allah ney (unn kay mansoobon) ki emarton ko jaron say ukher diya aur unn (kay saron) per (unn ki) chaten upper say gir paren aur unn kay pass azab wahan say aagaya jahan ka unn ko weham-o-guman bhi na tha

[27] Phir qayamat walay din bhi Allah unn ko ruswa keray ga aur farmaye gay kay meray woh shareek kahan hain jin kay baray mein tum lartay jhagartay thay jinhen ilm diya gaya tha woh pukar uthen gay kay aaj to kafiron ko ruswaee aur buraee chimat gaee

[28] Woh jo apni jano per zulm kertay hain farishtay jab unn ki jaan qabz kerney lagatay hain uss waqt woh jhuk jatay hain kay hum buraee nahi kertay thay. Kiyon nahi? Allah Taalaa khoob jannay wala hai jo kuch tum kertay thay

[29] Pus abb to hameshgi kay tor per tum jahannum kay darwazon mein dakhil hojao pus kiya hi bura thikana hai ghuroor kerney walon ka

[30] Aur perhezgaron say poocha jata hai kay tumharya perwerdigar ney kiya nazil farmaya hai? Wo woh jawab detay hain kay achay say acha. Jin logon ney bhalee ki unn kay liye iss duniya mein bhalee hai aur yaqeenan aakhirat ka ghar to boht hi behtar hai aur kiya hi khoob perhezgaron ka ghar hai

[31] Hameshgi walay baghaat jahan woh jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jo kuch yeh talab keren gay wahan unn kay liye mojood hoga. Perhezgaron ko Allah Taalaa issi tarah badlay ata farmata hai

[32] Aur jin ki janen farishtay iss haal mein qabz kertay hain kay woh pak saaf hon kehtay hain kay tumharay liye salamti hi salamti hai jao jannat mein apney unn aemaal kay badlay jo tum kertay thay

[33] Kiya yeh issi baat ka intizar ke rahey hain kay inn kay pass farishtay aajayen ya teray rab ka hukum aajaye? Aisa hi unn logon ney bhi kiya tha jo inn say pehlay thay. Unn per Allah Taalaa ney koi zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay rahey

[34] Pus unn kay buray aemaal kay natijay unhen mill gaye aur jiss ki hansi uratay thay uss ney unn ko gher liya

[35] Mushrik logon ney kaha kay agar Allah Taalaa chahata to hum aur humaray baap daday uss kay siwa kissi aur ki ibadat hi na kertay na uss kay farman kay baghair kissi cheez ko haram kertay. Yehi fail inn say pehlay kay logon ka raha. To rasoolon per to sirf khullam khulla paygham phoncha dena hai

[36] Hum ney her ummat mein rasool bheja kay (logo!) sirf Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tamam maboodon say bacho. Pus baaz logon ko to Allah Taalaa ney hidayat di aur baaz per gumrahi sabit hogaee pus tum khud zamin mein chal phir ker dekh lo kay jhutlaney walon ka anjam kaisa kuch hua

[37] Go aap inn ki hidayat kay khuwaish mand rahey hain lekin Allah Taalaa ussa hidayat nahi deta jissay gumrah kerdey aur na unn ka koi madadgar hota hai

[38] Woh log bari sakht sakht qasmen kha kha ker kehtay hain kay murdon ko Allah Taalaa zinda nahi keray ga. Kiyon nahi zaroor zinda keray ga yeh to uss ka bar haq lazmi wada hai leki aksar log jantay nahi

[39] Iss liye bhi kay yeh log jiss cheez mein ikhtilaf kertay thay ussay Allah Taalaa saaf biyan kerdey aur iss liye bhi kay khud kafir apna jhoota hona jaan len

[40] Hum jab kissi cheez ka irada kertay hain to sirf humara yeh keh dena hota hai kay ho jaa pus woh hojati hai

[41] Jin logon ney zulm bardasht kerney kay baad Allah ki raah mein tark-e-watan kiya hai hum unhen behtar say behtar thikana duniya mein ata farmyen gay aur aakhirat ka sawab to boht hi bara hai kaash kay log iss say waqif hotay

[42] Woh jinhon ney daman-e-sabar na chora aur apney palney walay hi per bharosa kertay rahey

[43] Aap say pehlay bhi hum mardon ko hi bhejtay rahey jin ki janib wahee utara kertay thay pus agar tum nahi jantay to ehl-e-ilm say daryaft kerlo

[44] Daleelon aur kitabon kay sath yeh zikar (kitab) hum ney aap ki taraf utara hai kay logon ki janib jo nazil farmaya gaya hai aap ussay khol khol ker biyan ker den shayad kay woh ghoro-o-fikar keren

[45] Bad tareen dao paich kerney walay kiya iss baat say bey khof hogaye hain kay Allah Taalaa unhen zamin mein dhansa dey ya unn kay pass aisi jagah say azab aajaye jahan ka unhen weham-o-guman bhi na ho

[46] Ya unhen chaltay phirtay pakar ley. Yeh kissi soorat mein Allah Taalaa ko aajiz nahi ker saktay

[47] Ya unhen dara dhamka ker pakar ley pus yaqeenan tumhara perwerdigar aala shafqat aur intehaee reham wala hai

[48] Kiya enhon ney Allah ki makhlooq mein kissi ko bhi nahi dekha? Kay uss kay saye dayen bayen jhuk jhuk ker Allah Taalaa kay samney sir ba sujood hotay aur aajzi ka izhar kertay hain

[49] Yaqeenan aasman-o-zamin kay kul jandar aur tamam farishtay Allah Taalaa kay samney sajday kertay hain aur zara bhi takabbur nahi kertay

[50] Aur apney rab sau jo unn kay upper hai kapkapatay rehtay hain aur jo hukum mill jaye uss ki tameel kertay hain

[51] Allah Taalaa irshad farma chuka hai kay do mabood na banao. Mabood to sirf wohi akela hai pus tum sab mera hi darr khof rakho

[52] Aasmanon mein aur zamin mein jo kuch hai sab ussi ka hai aur ussi ki ibadat lazim hai kiya phir tum uss kay siwa auron say dartay ho

[53] Tumharay pass jitni bhi nematen hain sab ussi ki di hui hain abb bhi jab tumhen koi museebat paish aajaye to ussi ki taraf nala-o-faryad kertay ho

[54] Aur jahan uss ney woh museebat tum say dafa ker di tum mein say kuch log apney rab kay sath shirk kerney lag jatay hain

[55] Kay humari di hui nematon ki na shukri keren. Acha kuch faeeda utha lo aakhir kaar tumhen maloom ho hi jaye ga

[56] Aur jisay jantay boojhtay bhi nahi uss ka hissa humari di hui rozi mein say muqarrar kertay hain wallah tumharay iss bohtan ka sawal tum say zaroor hi kiya jayega

[57] Aur woh Allah subhana hu wa-Taalaa kay liye larkiyan muqarrar kertay hain aur apney liye woh jo apni khuwaish kay mutabiq ho

[58] Inn mein say jab kissi ko larki honey ki khabar di jaye to uss ka chehra seeha hojata hai aur dil hi dil mein ghutney lagta hai

[59] Iss buri khabar say logon say chupa chupa phirta hai. Sochta hai kay kiya iss zillat ko sath liye huye hi rahey ya issay mitti mein daba dey aah! Kiya hi buray faislay kertay hain

[60] Aakhirat per eman na rakhney walon ki hi buri misal hai Allah kay liye to boht hi buland sift hai woh bara hi ghalib aur ba hikmat hai

[61] Agar logon kay gunah per Allah Taalaa unn ki girift kerta to roy-e-zamin per aik jandar baqi na rehta lekin woh to enhen aik waqt muqarrara tal dheel deta hai jab inn ka woh waqt aajata hai to woh aik sa’at na peechay reh saktay hain aur na aagay barh saktay hain

[62] Aur woh apney liye jo jo na pasand rakhtay hain Allah kay liye sabit kertay hain aur inn ki zabanen jhooti baten biyan kerti hain kay inn kay liye khoobi hai. Nahi nahi dar-asal inn kay liye aag hai aur yeh dozakhiyon kay paish ro hain

[63] Wallah! hum ney tumjh say pehlay ki ummaton ki taraf bhi apney rasool bhejay lekin shetan ney unn kay aemaal-e-bad unn ki nighaon mein aaraasta ker diye woh shetan aaj bhi unn ka rafiq bana hua hai aur unn kay liye dard naak azab hai

[64] Iss kitab ko hum ney aap per iss liye utara hai kay aap inn kay liye her uss cheez ko wazeh kerden jiss mein woh ikhtilaf ker rahey hain aur yeh eman daron kay liye rehnumaee aur rehmat hai

[65] Aur Allah aasman say pani barsa ker iss say zamin ko uss ki maut kay bad zinda ker deta hai. Yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishani hai jo sunen

[66] Tumharay liye to chopayon mein bhi bari ibrat hai kay hum tumhen uss kay pait mein jo kuch hai ussi mein say gobar aur lahoo kay darmiyan say khalis doodh pilatay hain jo peenay walon kay liye sehta pachta hai

[67] Aur khujoor aur angoor kay darakhton kay phalon say tum sharab bana letay ho aur umdah rozi bhi. Jo log aqal rakhtay hain unn kay liye to iss mein boht bari nishani hai

[68] Aap kay rab ney shehad ki makhi kay dil mein yeh baat daal di kay paharon mein darakhton logon ki banaee hui unchi unchi tatiyon mein apney ghar (chattay) bana

[69] Aur her tarah kay meway kha aur apney rab ki aasan raahon mein chalti phirti reh inn kay pait say rang barang ka mashroob nikalta hai jiss kay rang mukhtalif hain aur jiss mein logon kay liye shifa hai ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht bari nishani hai

[70] Allah Taalaa ney hi tum sab ko peda kiya hai wohi phir tumhen fot keray ga tum mein aisay bhi hain jo bad tareen umar ki taraf lotaye jatay hain kay boht kuhc jannay boojhney kay baad bhi na janen. Be-shak Allah dana aur tawana hai

[71] Allah Taalaa hi ney tum mein say aik ko doosray per rozi mein ziyadti dey rakhi hai pus jinhen ziyadti di gaee hai woh apni rozi apney matehat ghulamon ko nahi detay kay woh aur yeh iss mein barabar hojayen to kiya yeh log Allah ki nematon kay munkir ho rahey hain

[72] Allah Taalaa ney tumharay liye tum mein say hi tumhari biwiyan peda kin aur tumhari biwiyon say tumharay liye tumharay betay aur potay peda kiye aur tumhen achi achi cheezen khaney ko den. Kiya phir bhi log baatil per eman layen ga? Aur Allah Taalaa ki nematon ki na shukri keren gay

[73] Aur woh Allah Taalaa kay siwa unn ki ibadat kertay hain jo aasmanon aur zamin say unhen kuch bhi to rozi nahi dey saktay aur na kuch qudrat rakhtay hain

[74] Pus Allah Taalaa kay liye misalen mat banao Allah Taalaa khoob janta hai aur tum nahi jantay

[75] Allah Taalaa aik misal biyan farmata hai kay aik ghulam hai doosray ki milkiyat ka jo kissi baat ka ikhtiyar nahi rakhta aur aik aur shaks hai jissay hum ney apney pass say maqool rozi dey rakhi hai. Kiya yeh sab barabar ho saktay hain? Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai bulkay inn mein say aksar nahi jantay

[76] Allah Taalaa aik aur misal biyan farmata hai do shakson ki jin mein say aik to goonga hai aur kissi cheez per ikhtiyar nahi rakhta bulkay woh apney malik per bojh hai kahin bhi ussay bhejay woh koi bhalaee nahi lata kiya yeh aur woh jo adal ka hukum deta hai aur hai bhi seedhi raah per barabar ho saktay hain

[77] Aasmanon aur zamin ka ghaib sirf Allah Taalaa hi ko maloom hai aur qayamat ka amar to aisa hi hai jaisay aankh ka jhapakna bulkay iss say bhi ziyada qarib. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[78] Allah Taalaa ney tumhen tumhari maaon kay peton say nikala hai kay uss waqt tum kuch bhi nahi jantay thay ussi ney tumharay kaan aur aankhen aur dil banaye kay tum shukar guzari kero

[79] Kiya inn logon ney parindon ko nahi dekha jo tabey farman ho ker fiza mein hain jinhen ba-juz Allah Taalaa kay koi aur thamay huye nahi be-shak iss mein eman laney walay logon kay liye bari nishaniyan hain

[80] Aur Allah Taalaa ney tumharay liye tumharay gharon mein sakoonat ki jagah bana di hai aur ussi ney tumharay liye chopayon ki khalon kay ghar bana diye hain jinhen tum halka phulka patay ho apney kooch kay din aur apney theharney kay din bhi aur unn ki oon aur roo’on aur baalon say bhi uss ney boht say saman aur aik waqt muqarrara tak kay liye faeeday ki cheezen banaeen

[81] Allah hi ney tumharay liye apni peda kerda cheezon mein say saye banaye hain aur ussi ney tumharay liye paharon mein ghaar banaye hain aur ussi ney tumharay liye kurtay banaye hain jo tumhen garmi say bachayen aur aisay kuraty bhi jo tumhen laraee kay waqt kaam aayen. Woh issi tarah apni poori poori nematen dey raha hai kay tum hukum bardaar bann jao

[82] Phir bhi agar yeh mun moray rahen to aap per sirf khol ker tableegh ker dena hi hai

[83] Yeh Allah ki nematen jantay pehchantay huye bhi unn kay munkie horahey hain bulkay inn mein say aksar na shukray hain

[84] Aur jiss din hum her ummat mein say gawah khara keren gay phir kafiron ko na ijazat di jaye gi aur na unn say toba kerney ko kaha jayega

[85] Aur jab yeh zalim azab dekh len gay phir na to unn say halka kiya jayega aur na woh dheel diye jayen gay

[86] Aur jab mushrikeen apney sharikon ko dekh len gay to kahen gay aey humaray perwerdigar! Yehi humaray woh shareek hain jinhen hum tujhay chor ker pukara kertay thay pus woh unhen jawab den gay kay tum bilkul hi jhootay ho

[87] Uss din woh sab (aajiz ho ker) Allah kay samney ita’at ka iqrar paish keren gay aur jo bohtan bazi kiya kertay thay woh sab unn say gumm hojayega

[88] Jinhon ney kufur kiya aur Allah ki raah say roka hum unhen azab per azab barhatay jayen gay yeh badla hoga unn ki fitna pardaziyon ka

[89] Aur jiss din hum her ummat mein unhi mein say unn kay muqablay mein gawah khara keren gay aur tujhay inn sab per gawah bana ker layen gay aur hum ney tujh per yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri say musalmanon kay liye

[90] Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil kero

[91] Aur Allah kay ehad ko poora kero jabkay tum aapas mein qol-o-qarar aur qasmon ko unn ki pukhtagi kay baad mat toro halankay tum Allah Taalaa ko apna zaamin thehra chukay ho tum jo kuch kertay ho Allah uss ko bakhoobi jaan raha hai

[92] Aur uss aurat ki tarah na hojao jiss ney apna soot mazboot kaatney kay baad tukray tukray ker kay tor dala kay tum apni qasmon ko aapas kay makar ka baees thehrao iss liye kay aik giroh doosray giroh say barha charha jaye. Baat sirf yehi hai kay iss ehad say Allah tumhen aazma raha hai. Yaqeenan Allah Taalaa tumharay liye qayamt kay din her uss cheez ko khol ker biyan ker dey ga jiss mein tum ikhtilaf ker rahey thay

[93] Agar Allah chahata to tum sab ko aik hi giroh bana deta lekin woh jisay chahaye gumrah kerta hai aur jisay chahaye hidayat deta hai yaqeenan tum jo kuch ker rahey ho uss kay baray mein baaz purs ki janey wali hai

[94] Aur tum apni qasmon ko aapas ki dagha baazi ka bahana na banao. Phir to tumharay qadam apni mazbooti kay baad dagmaga jayen gay aur tumhen sakht saza bardasht kerna paray gi kiyon kay tum ney Allah ki raah say rok diya aur tumhen bara sakht azab hoga

[95] Tum Allah kay ehad ko thoray mol kay badley na bech diya kero. Yaad rakho Allah kay pass ki cheez hi tumharay liye behtar hai ba-shart-e-kay tum mein ilm ho

[96] Tumharay pass jo kuch hai sab faani hai aur Allah Taalaa kay pass jo kuch hai baqi hai. Aur sabar kerney walon ko hum bhalay aemaal ka behtareen badla zaroor ata faramayen gay

[97] Jo shaks nek amal keray mard ho ya aurat lekin ba-eman ho to hum ussay yaqeenan nihayat behtar zindagi ata farmyen gay. Aur unn kay nek aemaal ka behtareen badla bhi unhen zaroor zaroor den gay

[98] Quran parhney kay waqt randay huye shetan say Allah ki panah talab kero

[99] Eman walon aur apney perwerdigar per bharosa rakhney walon per uss ka zor mutlaqan nahi chalta

[100] Haan iss ka ghalba unn per to yaqeenan hai jo issi say rafaqat keren aur issay Allah ka shareek thehrayen

[101] Aur jab hum kissi aayat ki jagah doosri aayat badal detay hain aur jo kuch Allah Taalaa nazil farmata hai ussay woh khoob janta hai to yeh kehtay hain kay tu to bohtan baaz hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar jantay hi nahi

[102] Keh dijiye kay issay aap kay rab ki taraf say jibraeel haq kay sath ley ker aaye hain takay eman walon ko Allah Taalaa istaqamat ata farmaye aur musalmanon ki rehnumaee aur bisharat ho jaye

[103] Humen bakhoobi ilm hai kay yeh kafir kehtay hain kay issay to aik aadmi sikhata hai uss ki zaban jiss ki taraf yeh nisbat ker rahey hain ajami hai aur yeh quran to saaf arabi mein hai

[104] Jo log Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi rakhtay unhen Allah ki taraf say bhi rehnumaee nahi hoti aur unn kay liye alam naak azab hain

[105] Jhoot iftra to wohi bandhtay hain jinhen Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi hota. Yehi log jhootay hain

[106] Jo shaks apney eman kay baad Allah say kufur keray ba-juz uss kay jiss per jabar kiya jaye aur uss ka dil eman per bar qarar ho magar jo log khullay dil say kufur keren to unn per Allah ka ghazab hai aur unhi kay liye boht bara azab hai

[107] Yeh iss liye kay enhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat per ziyada mehboob rakgha. Yaqeenan Allah Taalaa kafir logon ko raah-e-raast nahi dikhata

[108] Yeh woh log hain jin kay dilon per aur jin kay kanon per aur jin ki aankhon per Allah ney mohar laga di hai aur yehi log ghafil hain

[109] Kuch shak nahi kay yehi log aakhirat mein sakht nuksan uthaney walay hain

[110] Jin logon ney fitnon mein dalay janey kay baad hijrat ki phir jihad kiya aur sabar ka saboot diya be-shak tera perwerdigar inn baton kay baad unhen bakhshney wala aur meharbaniyan kerney wala hai

[111] Jis din her shaks apni zaat kay liye larta jhagarta aaye aur her shaks ko uss kay kiye huye aemaal ka poora badla diya jaye ga aur logon per (mutlaqan) zulm na kiya jaye ga

[112] Allah Taalaa uss basti ki misal biyan farmata hai jo pooray aman-o-itminan say thi uss ki rozi uss kay pass ba faraghat her jagah say chali aarahi thi. Phir uss ney Allah Taalaa ki nematon ka kufur kiya to Allah Taalaa ney ussay bhook aur darr ka maza chakhaya jo badla tha unn kay kartooton ka

[113] Unn kay pass unhin mein say rasool phoncha phir bhi unhon ney ussay jhutlaya pus unhen azab ney aa dabocha aur woh thay hi zalim

[114] Jo kuch halal aur pakeeza rozi Allah ney tumhen dey rakhi hai ussay khao aur Allah ki nemat ka shukar kero agar tum ussi ki ibadat kertay ho

[115] Tum per sirf murdaar aur khoon aur sooar ka gosht aur jiss cheez per Allah kay siwa doosray ka naam pukara jaye haram hain phir agar koi shaks bey bus ker diya jaye na woh khuwaish mand ho aur na hadd say guzrney wala ho to yaqeenan Allah bakhshney wala reham kerney wala hai

[116] Kissi cheez ko apni zaban say jhoot moot na keh diya kero kay yeh halal hai aue yeh haram hai kay Allah per jhoot bohtan bandh lo samjh lo kay Allah Taalaa per bohtan baazi kerney walay kaamyabi say mehroom hi rehtay hain

[117] Enhen boht mamooli faeeda milta hai aur inn kay liye dard naak azab hai

[118] Aur yahudiyon per hum ney jo kuch haram kiya tha ussay hum pehlay hi say aap ko suna chukay hain hum ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay rahey

[119] Jo koi jahalat say buray amal keray phir toba kerley aur islaah bhi kerley to phir aap ka rab bila shak-o-shuba bari bakhsish kerney wala aur nihayat hi meharban hai

[120] Be-shak ibrahim paishwa aur Allah Taalaa kay farmanbardaar aur yak tarfa muslim thay. Woh mushriko mein say na thay

[121] Allah Taalaa ki nematon kay shukar guzaar thay Allah ney unhen apna bar gazeedah ker liya tha aur uhen raah-e-raast sujha di thi

[122] Hum ney ussay duniya mein bhi behtri di thi aur be-shak woh aakhirat mein neko kaaron mein say hain

[123] Phir hum ney aap ki janib wahee bheji kay aap millat-e-ibrahim-e-hanif ki perwi keren jo mushrikon mein say na thay

[124] Haftay kay din ki azmat to sirf unn logon kay zimmay hi zaroori ki gaee thi jinhon ney uss mein ikhtilaf kiya tha baat yeh hai kay aap ka perwerdigar khud hi unn mein unn kay ikhtilaf ka faisla qayamat kay din keray ga

[125] Apney rab ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat kay sath bulaiye aur unn say behtareen teriqay say guftugoo kijiye yaqeenan aap ka rab apni raah say behakney walon ko bhi bakhoobi janta hai aur woh raah yafta logon say bhi poora waqif hai

[126] Aur agar badla lo bhi to bilkul utna hi jitna sadma tumhen phonchaya gaya ho aur agar sabar kerlo to be-shak sabiron kay liye yehi behtar hai

[127] Aap sabar keren baghair tofiq-e-elahi kay aap sabar ker hi nahi saktay aur inn kay haal per ranjeeda na hon aur jo makar-o-faraib yeh kertay rahey hain unn say tang dil na hon

[128] Yaqeen mano kay Allah Taalaa perhezgaron aur nek kaaron kay sath hai

بنی اسرائیل

Surah 17

[1] Pak hai woh Allah Taalaa jo apney bandey ko raat hi raat mein masjid-e-haram say masjid-e-aqsa tak ley gaya jiss kay aas pass hum ney barkat dey rakhi hai iss liye kay ussay apni qudrat kay baaz namoney deikhayen yaqeenan Allah Taalaa hi khoob sunnay dekhney wala hai

[2] Hum ney musa ko kitab di aur ussay bani israeel kay liye hidayat bana diya kay tum meray siwa kissi ko apna kaarsaaz na banana

[3] Aey unn logon ki aulad! Jinhen hum ney nooh kay sath sawar ker diya tha woh humara bara hi shukar guzaar banda tha

[4] Hum ney bano islraeel kay liye unn ki kitab mein saaf faisla ker diya tha kay tum zamin mein doobara fasad barpa kero gay aur tum bari zabardast ziyadtiyan kero gay

[5] Inn dono wadon mein say pehlay kay aatay hi hum ney tumharay muqabley per apney banday bhej diye jo baray hi larakay thay. Pus woh tumharay gharon kay andar tak phel gaye aur Allah ka yeh wada poora hona hi tha

[6] Phir hum ney unn per tumhara ghalba dey ker tumharay din pheray aur maal aur aulad say tumhari madad ki aur tumehn baray juthay wala bana diya

[7] Agar tum ney achay kaam kiye to khud apney hi faeeday kay liye aur agar tum ney buraiyan kin to bhi apney hi liye phir jab doosray waday ka waqt aaya (to hum ney doosray bandon ko bhej diya takay) woh tumharay chehray bigar den aur pehli dafa ki tarah phir ussi masjid mein ghuss jayen. Aur jiss jiss cheez per qaboo payen tor phor ker jarr say ukhar den

[8] Umeed hai kay tumhara rab tum per reham keray. Haan agar tum phir bhi wohi kerney lagay to hum bhi doobara aisa hi keren gay aur hum ney munkiron kay qaid khana jahannum ko bana rakha hai

[9] Yaqeenan yeh quran woh raasta dikhata hai jo boht hi seedha hai aue eman walon ko jo nek aemaal kertay hain iss baat ki khushkhabri deta hai kay unn kay liye boht bara ajar hai

[10] Aur yeh kay jo log aakhirat per yaqeen nahi rakhtay unn kay liye hum ney dardnaak azab tayyar ker rakha hai

[11] Aur insan buraee ki duayen mangney lagta hai bilkul iss ki apni bhalaee ki dua ki tarah insan hai hi bara jald baaz

[12] Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya hai

[13] Hum ney her insan ki buraee bhalaee ko uss kay galay laga diya hai aur baroz qayamat hum uss kay samney uss ka naam-e-aemaal nikalen gay jissay woh apney upper khulla hua paa ley ga

[14] Ley! Khus hi apni kitab aap parh ley. Aaj to tu aap hi apna khud hisab lenay ko kafi hai

[15] Jo raah-e-raast hasil kerley woh khud apney hi bhalay kay liye raah yafta hota hai aur jo bhatak jaye uss ka bojh ussi kay upper hai koi bojh wala kissi aur ka bojh apney upper na laaday ga aur humari sunnat nahi kay rasool bhejney say pehlay hi azab kerney lagen

[16] Aur jab hum kissi basti ki halakat ka irada ker letay hain to wahan kay khushaal logon ko (kuch) hukum detay hain aur woh uss basti mein khulli na-farmani kerney lagtay hain to unn per (azab) ki baat sabit hojati hai phir hum ussay tabah-o-barbad ker detay hain

[17] Hum ney nooh kay baad bhi boht si qomen halak kin aur tera rab apney bandon kay gunahon say kafi khabardaar aur khoob dekhney wala hai

[18] Jiss ka irada sirf iss jaldi wali duniya (fori faeeda) ka hi ho ussay hum yahan jiss qadar jiss kay liye chahayen sirdast detay hain bil aakhir uss kay liye jahannum muqarrar ker detay hain jahan woh burray halon dhutkara hua dakhil hoga

[19] Aur jiss ka irada aakhirat ka ho aur jaisi kosish uss kay liye honi chahaye woh kerta bhi ho aur woh baa eman bhi ho pus yehi log hain jin ki kosish ki Allah kay haan poori qadar daani ki jaye gi

[20] Her aik ko hum ba-hum phonchaye jatay hain enhen bhi aur unhen bhi teray perwerdigar kay inamaat mein say. Teray perwerdigar ki bakhsish ruki hui nahi hai

[21] Dekhlay kay inn mein aik ko aik per hum ney kiss tarah fazilat dey rakhi hai aur aakhirat to darjon mein aur bhi barh ker hai aur fazilat kay aetbaar say bhi boht bari hai

[22] Allah kay sath kissi aur ko mabood na thehra kay aakhirish tu buray halon bey kus hoker beht rahey ga

[23] Aur tera perwerdigar saaf saaf hukum dey chuka hai kay tum uss kay siwa kissi aur ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath ehsan kerna. Agar teri mojoodgi mein inn mein say aik ya yeh dono burhapay ko phonch jayen to unn kay aagay uff tak na kehna na unhen daant dapat kerna bulkay unn kay sath adab-o-ehtram say baat cheet kerna

[24] Aur aajzi aur mohabbat kay sath unn kay samney tawazo ka bazoo pust rakhay rakhna aur dua kertay rehna kay aey meray perwerdigar! Inn per waisa hi reham ker jaisa enhon ney meray bachpan mein meri perwerish ki hai

[25] Jo kuch tumharay dilon mein hai ussay tumhara rab bakhoobi janta hai agar tum nek ho to woh to tujoo kerney walon ko bakhshney wala hai

[26] Aur rishtay daaron ka aur miskeenon aur musafiron ka haq ada kertay raho aur israaf aur bey jaa kharch say bacho

[27] Bey jaa kharch kerney walay shetano kay bhai hain. Aur shetan apney perwerdigar ka bara hi na shukra hai

[28] Aur agar tujhay inn say mun pher lena paray apney rab ki iss rehmat ki justujoo mein jiss ki tu umeed rakhta hai to bhi tujhay chahiye kay umdagi aur narmi say unhen samjha dey

[29] Apna hath apni gardan say bandha hua na rakh aur na ussay bilkul hi khol dey kay phir malamat kiya hua dar manda beth jaye

[30] Yaqeenan tera rab jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur jiss kay liye chahaye tang. Yaqeenan woh apney bandon say baa khabar aur khoob dekhney wala hai

[31] Aur muflisi kay khof say apni aulado ko naa maar dalo unn ko aur tum ko hum rozi detay hain . yaqeenan inn ka qatal kerna kabeera gunah hai

[32] Khabrdaar zinna kay qareeb bhi na phatakna kiyon kay woh bari bey hayaee hai aur boht hi buri raah hai

[33] Aur kissi jaan ko jiss ka maarna Allah ney haram ker diya hai hergiz na haq qatal na kerna aur jo shaks mazloom honey ki soorat mein maar dala jaye hum ney uss kay waris ko taqat dey rakhi hai pus ussay chahiye kay maar dalney mein ziyadti na keray be-shak woh madad kiya gaya hai

[34] Aur yateem kay maal kay qareeb bhi na jao ba-juz uss tareeqay kay jo boht hi behtar ho yahan tak kay woh apni balooghat ko phonch jaye aur waday pooray kero kiyon kay qol-o-qarar ki baaz purs honey wali hai

[35] Aur jab naapney lago to bharpoor paymaney say naapo aur seedhi tarazoo say tola kero. Yehi behtar hai aur anjam kay lehaz say bhi boht acha hai

[36] Jiss baat ki tujhay khabar hi na ho uss kay peechay mat parr. Kiyon kaan aur aankh aur dil inn mein say her aik say pooch gooch ki janey wali hai

[37] Aur zamin mein akar ker na chal kay na to tu zamin ko phaar sakta hai aur na lambai mein paharon ko phonch sakta hai

[38] Inn sab kaamon ki buraee teray rab kay nazdeek (sakht) na pasand hai

[39] Yeh bhi munjmila uss wahee kay hai jo teri janib teray rab ney hikmat say utari hai tu Allah kay sath kissi aur ko mabood na banana kay malamat khorda aur raand-e-dargah hoker dozakh mein daal diya jaye

[40] Kiya beton kay liye to Allah ney tumhen chant liya aur khud apney liye farishton ko larkiyan bana lin? Be-shak tum boht bara bol bol rahey ho

[41] Hum ney to iss quran mein her her tarah biyan farma diya kay log samajh jayen lekin iss say enhen to nafrat hi barhti hai

[42] Keh dijiye! Kay Allah kay siwa aur mabood bhi hotay jaisay kay yeh log kehtay hain to zaroor woh abb tak malik-e-arsh ki janib raah dhoond nikaltay

[43] Jo kuch yeh kehtay hain iss say woh pak aur bala tar boht door aur boht buland hai

[44] Saton aasman aur zamin aur jo bhi inn mein hai ussi ki tasbeeh ker rahey hain. Aisi koi cheez nahi jo ussay pakeezgi aur tareef kay sath yaad na kerti ho.haan yeh sahih hai kay tum uss ki tasbeeh samajh nahi saktay. Woh bara burbaar aur bakhshney wala hai

[45] Tu jab quran parhta hai hum teray aur unn logon kay darmiyan jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aik posheeda hijab daal detay hain

[46] Aur inn kay dilon per hum ney pardey daal diye hain kay woh issay samjhen aur inn kay kano mein bojh aur jab tu sirf Allah hi ka zikar uss ki toheed kay sath iss quran mein kerta hai to woh roo gardani kertay peeth pher ker bhag kharay hotay hain

[47] Jiss gharz say woh log issay suntay hain unn (ki niyaton) say hum khoob aagah hain jab yeh aap ki taraf kaan lagaye huye hotay hain tab bhi aur yeh mashwara kertay hain tab bhi jab kay zalim kehtay hain kay tum uss ki tabeydaari mein lagay huye ho jin per jadoo ker diya gaya hai

[48] Dekhen to sahih aap kay liye kiya kiya misalen biyan kertay hain pus woh behak rahey hain. Abb to raah pana inn kay bus mein nahi raha

[49] Enhon ney kaha kay kiya jab hum haddiyan aur (mitti hoker) reza reza hojayen gay to kiya hum azz sir-e-no peda ker kay phir doobara utha kharay kerdiye jayen gay

[50] Jawab dijiye kay tum pathar bann jao ya loha

[51] Ya koi aur aisi khulqat jo tumharay dilon mein boht hi sakht maloom ho phir woh yeh poochen kay kaun hai jo doobara humari zindagi lotaye? Aap jawab dey den kay wohi Allah jiss ney tumhen awal martaba peda kiya iss per woh apney sir hila hila ker aap say daryaft keren gay kay acha yeh hai kab? To aap jawab dey den kay kiya ajab kay woh (sa’at) qareeb hi aan lagi ho

[52] Jiss din woh tumhen bulaye ga tum uss ki tareef kertay huye tameel-e-irshad kero gay aur gumaan kero gay kay tumhara rehna boht hi thora hai

[53] Aur meray bandon say keh dijiye kay woh boht hi achi baat mun say nikala keren kiyon kay shetan aapas mein fasad dalwata hai. Be-shak shetan insan ka khulla dushman hai

[54] Tumhara rab tum say ba-nisbat tumharay boht ziyada jannay wala hai woh agar chahaye to tum per reham ker dey ya agar woh chahaye tumhen azab dey. Hum ney aap ko inn ka zaimay daar thehra ker nahi bheja

[55] Aasamno-o-zamin mein jo bhi hai aap ka rab sab ko bakhoobi janta hai. Hum ney baaz payghumbaron ko baaz per behtari aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ney ata farmaee hai

[56] Keh dijiye kay Allah kay siwa jinhen tum mabood samajh rahey ho unhen pukaro lekin na to woh tum say kissi takleef ko door ker saktay hain aur na badal saktay hain

[57] Jinhen yeh log pukartay hain khud woh apney rab kay taqarrub ki justujoo mein rehtay hain kay inn mein say kaun ziyada nazdeek hojaye woh khud uss ki rehmat ki umeed rakhtay aur uss kay azab say khifzada rehtay hain (baat bhi yehi hai) kay teray rab ka azab darney ki cheez hi hai

[58] Jitni bhi bastiyan hain hum qayamat kay din say pehlay pehlay ya to unhen halak ker denay walay hain ya sakht tar azab denay walay hain. Yeh to kitab mein likha ja chuka hai

[59] Humen nishanaat (mojzaat) kay nazil kerney say rok sirf issi ki hai kay aglay log enhen jhutla chuken hain hum ney samoodiyon ko bator baseerat kay oontni di lekin unhon ney uss per zulm kiya hum to logon ko dhamkaney kay liye hi nishaniyan bhejtay hain

[60] Aur yaad kero jabkay hum ney aap say farma diya kay aap kay rab ney logon ko gher liya hai. Jo roya (any royat) hum ney aap ko dikhaee thi woh logon kay liye saaf aazmaeesh hi thi aur issi tarah woh darakht bhi jiss say quran mein izhar-e-nafrat kiya gaya hai. Hum unehn dara rahey hain lekin yeh unhen aur bari sirkashi mein barha raha hai

[61] Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney kaha kiya mein ussay sajda keroon jissay tu ney mitti say peda kiya hai

[62] Acha dekh ley issay tu ney mujh per buzrugi to di hai lekin agar mujhay bhi qayamat tak tu ney dheel di to mein iss ki aulad ko ba-juz boht thoray logon kay apney bus mein kerloon ga

[63] Irshad hua kay jaa inn mein say jo bhi tera tabeydaar hojayega to tum sab ki saza jahannum hai jo poora poora badla hai

[64] Inn mein say tu jissay bhi apni aawaz say behka sakay behka ley aur inn per apney sawar aur piyaday charha laa aur inn kay maal aur aulad mein say apna bhi sajha laga aur enhen jhootay waday dey ley. Inn say jitney bhi waday shetan kay hotay hain sab kay sab sirasir fareb hain

[65] Meray sachay bandon per tera koi qaboo aur bus nahi. Tera rab kaarsaazi kerney wala kafi hai

[66] Tera perwerdigar woh hai jo tumharay liye darya mein kashtiyan chalata hai takay tum uss ka fazal talash kero. Won tumharay upper boht hi meharbaan hai

[67] Aur samandaron mein musibat phonchtay hi jinhen tum pukartay thay sab gumm hojatay hain sirf wohi Allah baqi reh jata hai. Phir jab woh tumhen khushki ki taraf bacha laata hai to tum mun pher letay ho aur insan bara hi na shukra hai

[68] To kiya tum iss say bey khof hogaye ho kay tumhen khushki ki taraf (ley jaa ker zamin) mein dhansa dey ya tum per pathron ki aandhi bhej dey. Phir tum apney liye kissi nigehbaan ko na paa sako

[69] Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay Allah Taalaa phir tumhen doobara darya kay safar mein ley aaye aur tum per tez-o-tund hawaon kay jhonkay bhej dey aur tumharay kufur kay baees tumhen dobo dey. Phir tum apney liye hum per iss ka dawa (peecha) kerney wala kissi ko na pao

[70] Yaqeenan hum ney aulad-e-adam ko bari izzat di aur unhen khuski aur tari ki sawariyan din aur unhen pakeeza cheezon ki roziyan din aur apni boht si makhlooq per unhen fazilat ata farmaee

[71] Jiss din hum her jamat ko uss kay paishwa samet bulayen gay. Phir jin ka bhi aemaal nama dayen hath mein dey diya gaya woh to shoq say apna naam-e-aemaal parheny lagen gay aur dhagay kay barabar (zarra barabar) bhi zulm na kiye jayen gay

[72] Aur jo koi iss jahan mein andha raha woh aakhirat mein bhi andha aur raastay say boht hi bhatka hua rahey ga

[73] Yeh log aap ko iss wahee say jo hum ney aap per utari hai behkana chahtay hain kay aap iss kay siwa kuch aur hi humaray naam say ghar ghara len tab to aap ko yeh log apna wali dost bana letay

[74] Agar hum aap ko sabit qadam na rakhtay to boht mumkin tha kay inn ki taraf qadray qaleel maeel ho hi jatay

[75] Phir to hum bhi aap ko dohra azab duniya ka kertay aur dohra hi maut ka phir aap to apney liye humaray muqablay mein kissi ko madadgar bhi na patay

[76] Yeh to aap kay qadam iss sir zamin say ukharaney hi lagay thay kay aap ko iss say nikal den. Phir yeh bhi aap kay baad boht hi kum thehar patay

[77] Aisa hi dastoor unn ka tha jo aap say pehlay rasool hum ney bhejay aur aap humaray dastoor mein kabhi radd-o-badal na payen gay

[78] Namaz ko qaeem keren aftab kay dhalney say ley ker raat ki tareeki tak aur fajar ka quran parhna bhi yaqeenan fajar kay waqt ka quran parhna hazir kiya gaya hai

[79] Raat kay kuch hissay mein tahajjud ki namaz mein quran ki tilawat keren yeh ziyadti aap kay liye hai un-qarib aap ka rab aap ko muqam-e-mehmood mein khara keray ga

[80] Aur dua kiya keren kay aey meray perwerdigar mujhay jahan ley jaa achi tarah ley jaa aur jahan say nikal achi tarah nikal aur meray liye apney pass say ghalba aur imdad muqarrar farma dey

[81] Aur ailaan kerdey kay haq aa chuka aur na haq nabood hogaya. Yaqeenan baatil tha bhi nabood honey wala

[82] Yeh quran jo hum nazil ker rahey hain momino kay liye to sirasir shifa aur rehmat hai. Haan zalimon kay ba-juz nuksan kay aur koi ziyadti nahi hoti

[83] Aur insan per jab hum apna inam kertay hain to mun mor leta hai aur kerwat badal leta hai aur jab issay koi takleef phonchti hai to woh mayus ho jata hai

[84] Keh dijiye! Kay her shaks apney tareeqay per aamil hai jo poori hidayat kay raastay per hain unhen tumhara rab hi bakhoobi jannay wala hai

[85] Aur yeh log aap say rooh ki babat sawal kertay hain aap jawab dey dijiye kay rooh meray rab kay hukum say hai aur tumhen boht hi kum ilm diya gaya hai

[86] Aur agar hum chahayen to jo wahee aap ki taraf hum ney utari hai sab salb ker len phir aap ko iss kay liye humaray muqablay mein koi himayati mayassar na aa sakay

[87] Siwaye aap kay rab ki rehmat kay yaqeenan aap per uss ka bara hi fazal hai

[88] Keh dijiye kay agar tamam insan aur kul jinnat mill ker iss quran kay misil lana chahayen to inn sab say iss kay misil lana na mumkin hai qo woh (aapas mein) aik doosray kay madadgar bhi bann jayen

[89] Hum ney to iss quran mein logon kay samjhney kay liye her tarah say tamam misalen biyan ker di hain magar aksat log inkar say baaz nahi aatay

[90] Enhon ney kaha hum aap per hergiz eman laney kay nahi ta-waqt-e-kay aap humaray liye zamin say koi chashma jari na ker den

[91] Ya khud aap kay liye hi koi baagh ho khujooron aur anguron ka aur iss kay darmiyan aap boht si nehren jari ker dikhayen

[92] Ya aap aasman ko hum per tukray tukray ker kay gira den jaisa kay aap ka guman hai ya aap khud Allah Taalaa ko aur farishton ko humaray samney laa khara keren

[93] Ya aap kay apney liye koi soney ka ghar ho jaye ya aap aasman per charh jayen aur hum to aap kay charh janey ka bhi uss waqt tak hergiz yaqeen nahi keren gay jab tak aap hum per koi kitab na utaar layen jissay hum khud parh len aap jawab dey den kay mera perwerdigar pak hai mein to sirf aik insan hi hun jo rasool banaya gaya hun

[94] Logon kay pass hidayat phonch chukney kay baad eman say rokney wali sirf yehi cheez rahi kay unhon ney kaha kiya Allah ney aik insan ko hi rasool bana ker bheja

[95] Aap keh den kay agar zamin mein farishtay chaltay phirtay aur rehtay bastay hotay to hum bhi inn kay pass kissi aasmani farishtay ho ko rasool bana ker bhejtay

[96] Keh dijiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah Taalaa ka gawah hona kafi hai. Woh apney bandon say khoob aagah aur bakhoobi dekhney wala hai

[97] Allah jiss ki rehnumaee keray woh to hidayat yafta hai aur jissay woh raah say bhatka dey na mumkin hai kay tu uss ka madadgar uss kay siwa kissi aur ko paye aisay logon ko hum baroz qayamat ondhay mun hashar keren gay daran halankay woh andhay goongay aur behray hongay unn ka thikana jahannum hoga. Jab kabhi woh bujhney lagay gi hum unn per ussay aur bharka den gay

[98] Yeh sab humari aayaton say kufur kerney aur uss kehney ka badla hai kay kiya jab hum hadiyan aur rezay rezay hojayen gay phir hum naee pedaeesh mein utha kharay kiye jayen gay

[99] Kiya enhon ney iss baat per nazar nahi ki jiss Allah ney aasman-o-zamin ko peda kiya hai woh inn jaison ki pedaeesh per poora qadir hai ussi ney inn kay liye aik aisa waqt muqarrar ker rakha hai jo shak-o-shubay say yaksar khali hai lekin zalim log inkar kiye baghair rehtay hi nahi

[100] Keh dijiye kay agar bil farz tum meray rab ki rehmaton kay khazanon kay malik bann jatay to tum uss waqt bhi uss kay kharch ho janey kay khof say uss ko rokay rakhtay aur insan hai hi tang dil

[101] Hum ney musa ko no moajzzay bilkul saaf saaf ata farmaye tu khud hi bani isaeel say pooch ley kay jab woh inn kay pass phonchay to firaon bola kay aey musa! Meray khayal mein to tujh per jadoo ker diya gaya hai

[102] Musa ney jawab diya kay yeh to tujhay ilm ho chuka hai kay aasman-o-zamin kay perwerdigar hi ney yeh moajzzay dikhaney samjhaney ko nazil farmaye hain aey firaon! Mein to samajh raha hun kay tu yaqeenan barbad-o-halak kiya gaya hai

[103] Aakhri firaon ney pukhta irada ker liya kay unhen zamin say hi ukher dey to hum ney khud ussay aur uss kay tamam sathiyon ko gharq ker diya

[104] Iss ka baad hum ney bani isaraeel say farma diya kay iss sir zamin per tum raho saho haan jab aakhirat ka wada aaye ga hum tum sab ko samet aur lapet ker ley aayen gay

[105] Aur hum ney iss quran ko haq kay sath utara aur yeh bhi haq kay sath utra. Hum ney aap ko sirf khushkhabri sunaney wala aur daraney wala bana ker bheja hai

[106] Quran ko hum ney thora thora ker kay iss liye utara hai kay aap issay ba-mohlat logon ko sunayen aur hum ney khud bhi issay ba-tadreej nazil farmaya

[107] Keh dijiye! Tum iss per eman laao ya na laao jinehn iss say pehlay ilm diya gaya hai unn kay pass to jab bhi iss ki tilawat ki jati hai to woh thoriyon kay bal sajda mein gir partay hain

[108] Aur kehtay hain kay humara rab pak hai humaray rab ka wada bila shak-o-shuba poora ho ker rehney wala hi hai

[109] Woh apni thoriyon kay bal rotay huye sajday mein gir partay hain aur yeh quran unn ki aajzi aur khushoo aur khuzoo barha deta hai

[110] Keh dijiye kay Allah ko Allah keh ker pulkaro ya rehman keh ker jiss naam say bhi pukaro tamam achay naam ussi kay hain. Na to tu apni namaz boht buland aawaz say parh aur na bilkul posheeda balkay iss kay darmiyan ka raasta talash kerley

[111] Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh

الکھف

Surah 18

[1] Tamam tareefen ussi Allah kay liye saza waar hain jiss ney apney bandey per yeh quran utara aur iss mein koi kasar baqi na chori

[2] Bulkay her tarah say theek thaak rakha takay apney pass ki saza sakht saza say hoshiyar ker dey aur eman laney aur nek amal kerney walon ko khushkhabriyan suna dey kay unn kay liye behtareen badla hai

[3] Jiss mein woh hamesha hamesha rahen gay

[4] Aur unn logon ko bhi dara dey jo kehtay hain kay Allah Taalaa aulad rakhta hai

[5] Dar-haqeeqat na to khud unhen iss ka ilm hai na unn kay baap dadon ko. Yeh tohmat bari buri hai jo inn kay mun say nikal rahi hai woh nira jhoot bak rahey hain

[6] Pus agar yeh log iss baat per eman na layen to kiya aap inn kay peechay issi ranj mein apni jaan halak ker dalen gay

[7] Rooy-e-zamin per jo kuch hai hum ney ussay zamin ki ronaq ka baees banaya hai kay hum enhen aazma len kay inn mein say kaun nek aemaal wala hai

[8] Iss per jo kuch hai hum ussay aik humwaar saaf maidan ker dalney walay hain

[9] Kiya tu apney khayal mein ghaar aur katbay walon ko humari nishaniyon mein say koi boht ajeeb nishani samjha raha hai

[10] Unn chand no-jawano ney jab ghaar mein panah li to dua ki kay aey humaray perwerdigar! Humen apney pass say rehmat ata farma aur humaray kaam mein humaray liye raah yabi ko aasan ker dey

[11] Pus hum ney unn kay kano per ginti kay kaee saal tak issi ghaar mein pardey daal diye

[12] Phir hum ney unehn utha khara kiya kay hum yeh maloom ker len kay dono giroh mein say uss intehaee muddat ko jo unhon ney guzari kiss ney ziyada yaad rakhi hai

[13] Hum unn ka sahih waqiya teray samney biyan farma rahey hain. Yeh chand no-jawan apney rab per eman laye thay aur hum ney unn ki hodayat mein taraqqi di thi

[14] Hum ney unn kay dil mazboot ker diye thay jabkay yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara perwerdigar to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai na mumkin hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren agar aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi

[15] Yeh hai humari qom jiss ney iss kay siwa aur mabood bana rakhen hain. Inn ki khudaee ki yeh koi saaf daleel kiyon paish nahi kertay Allah per jhoot iftra bandhney walay say ziyada zalim kaun hai

[16] Jabkay tum unn say aur Allah kay unn kay maboodon say kinara kash hogaye to abb tum kissi ghaar mein jaa behto tumhara rab tum per apni rehmat phela dey ga aur tumharay liye tumharay kaam mein sahoolat mohiyya ker dey ga

[17] Aap dekhen gay kay aftab ba-waqt tuloo unn kay ghaar say dayne janob ko jhuk jata hai aur ba-waqt-e-ghuroob unn kay bayen janib katra jata hai aur woh iss ghaar ki kushada jaga mein hain. Yeh Allah ki nishaniyon mein say hai. Allah Taalaa jiss ki raahbari farmaye woh raah-e-raast per hai aur jissay woh gumraah ker dey na mumkin hai kay aap uss ka koi kaar saaz aur rehnuma paa saken

[18] Aap khayal kertay hain kay woh beydaar hain halankay woh soye huye thay khud hum hi unhen dayen bayen kerwaten dilaya kertay thay unn ka kutta bhi chokhat per apney hath paon phelaye huye tha. Agar aap jhank ker unhen dekhna chahatay to zaroor ultay paon bhag kharay hotay aur unn kay rob say aap per dehshat chah jati

[19] Issi tarah hum ney unhen jaga ker utha diya kay aapas meinpooch gooch kerlen. Aik kehney walay ney kaha kay kiyon bhaee tum kitney dair thehray rahey? Unhon ney jawab diya kay aik din ya aik din say bhi kum. Kehney lagay kay tumharay thehray rehney ka ilm ba-khoobi Allah Taalaa hi ko hai. Abb to tum apney mein say kissi ko apni yeh chandi dey ker shehar bhejo woh khoob dekh bhaal ley kay shehar ka kaun say khana pakeeza tar hai phir ussi mein say tumharay liye khaney kay liye ley aaye aur boht ehtiyat aur narmi barttay aur kissi ko tumhari khabar na honey dey

[20] Agar yeh kafir tum per ghalba paa len to tumhen sangsaar ker den gay ya tumhen phir apney deen mein lota len gay aur phir tum kabhi bhi kaamyaab na hosako gay

[21] Hum ney iss tarah logon ko unn kay haal say aagah ker diya kay woh jaan len kay Allah ka wada bilkul sacha hai aur qayamat mein koi shuba nahi. Jabkay woh apney amar mein aapas mein ikhtilaf ker rahey thay kehney lagay inn kay ghaar per aik emaarat bana lo. Unn ka rab hi unn kay haal ka ziyada aalim hai. Jin logon ney unn kay baray mein ghalba paya woh kehney lagay kay hum to inn kay aas pass masjod bana len gay

[22] Kuch log to kahen gay kay ashaab-e-kahaf teen thay aut chotha unn ka kuta tha. Kuch kahen gay kay panch thay aur chata unn ka kuta tha ghaib ki baton mein atkal (kay teer tukkay) chalatay hain kuch kahen gay woh saat hain aur aathwaa unn ka kuta hai. Aap keh dijiye kay mera perwerdigar unn ki tadaad ko ba-khoobi jannay wala hai unhen boht hi kum log jantay hain. Pus aap inn kay muqadmay mein sirf sirsari guftugoo hi keren aur inn mein say kissi say unn kay baray mein pooch gooch bhi na keren

[23] Aur hergiz hergiz kissi kaam yun na kehna kay mein issay kal keroon ga

[24] Magar sath hi inshaAllah keh lena. Aur jab bhi bhoolay apney perwerdigar ko yaad ker liya kerna aur kehtay rehna mujhay poosi umeed hai kay mera rab mujhay iss say bhi ziyada hidayat kay qareeb ki baat ki rehbari keray

[25] Woh log apney ghaar mein teen so saal tak rahey aur no saal aur ziyada guzaray

[26] Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi kerta

[27] Teri janib jo teray rab ki kitab wahee ki gaee hai ussay parhta reh uss ki baton ko koi badalney wala nahi tu uss kay siwa hergiz hergiz koi panah ki jagah na paye ga

[28] Aur apney aap ko unhin kay sath rakha ker jo apney perwerdigar ko subha shaam pukartay hain aur ussi kay chehray kay iraday rakhtay hain (raza mandi chahatay hain) khabardaar! Teri nigahen unn say na hatney payen kay dunyawi zindagi kay thaath kay iraday mein lag jaa. Dekh uss ka kehna na manna jiss kay dil ko hum ney apney zikar say ghafil ker diya hai aur jo apni khuwaishon kay peechay para hua hai aur jiss ka kaam hadd say guzar chuka hai

[29] Aur ailaan ker dey kay yeh sirasar bar-haq quran tumharay rab ki taraf say hai. Abb jo chahaye eman laye aur jo chahaye kufur keray. Zalimon kay liye hum ney woh aag tayyar ker rakhi hai jiss ki qanaten unhen gher len gi agar woh faryad rasi chahayen gay to unn ki faryad rasi uss pani say ki jayegi jo tel ki talchat jaisa hoga jo chehray bhoon dey ga bara hi bura pani hai aur bari buri aaram gaah (dozakh) hai

[30] Yaqeenan jo log eman layen aur nek aemaal keren to hum kissi nek amal kerney walay ka sawab zaya nahi kertay

[31] Unn kay liye hameshgi wali jannaten hain inn kay neechay nehren jari hongi wahan yeh soney kay kangan pehnayen jayen gay aur sabz rang kay narm-o-bareek aur motay resham kay libas pehnen gay wahan takhton kay upper takiye lagaye huye hongay. Kiya khoob badla hai aur kiss qadar umdah aaram gaah hai

[32] Aur enhen unn do shakson ki misal bhi suna dey jin mein say aik ko hum ney do baagh angooron kay dey rakhay thay aur jinhen khujooron kay darakhton say hum ney gher rakha tha aur dono kay darmiyan kheti laga rakhi thi

[33] Dono baagh apna phal khoob laye aur iss mein kissi tarah ki kami na ki aur hum ney inn baaghon kay darmiyan nehar jari ker rakhi thi

[34] Al-gharz uss kay pass meway thay aik din uss ney baton hi baton mein apney sathi say kaha kay mein tujh say ziyada maaldaar hun aur juthay kay aitbaar say bhi ziyada mazboot hun

[35] Aur yeh apney baagh mein gaya aur tha apni jaan per zulm kerney wala. Kehney laga kay mein khayal nahi ker sakta kay kissi waqt bhi yeh barbaad hojaye

[36] Aur na mein qayamat ko qaeem honey wali khayal kerta hun aur agar (bil farz) mein apney rab ki taraf lotaya bhi gaya to yaqeenan mein (uss lotney ki jagah) iss say bhi ziyada behtar paon ga

[37] Uss kay sathi ney uss say baten kertay huye kaha kay kiya to uss (mabood) say kufur kerta hai jiss ney tujhay mitti say peda kiya. Phir nutfay say phir tujhay poora aadmi bana diya

[38] Lekin mein to aqeedah rakhta hun kay wohi Allah mera perwerdigar hai mein apney rab kay sath kissi ko shareeq na keroon ga

[39] Tu ney apney baagh mein jatay waqt kiyon na kaha kay Allah ka chaha honey wala hai koi taqat nahi magar Allah ki madad say agar tu mujhay maal-o-aulad mein apney say kam dekh raha hai

[40] Boht mumkin hai kay mera rab mujhay teray iss baagh say bhi behtar dey aur iss per aasmani azab bhej dey to yeh chatyal aur chikna maidan bann jaye

[41] Ya iss ka pani neechay utar jaye aur teray bus mein na rahey kay tu issay dhoond laye

[42] Aur uss kay (saray) phal gher liye gaye pus woh apney uss kharach per jo uss ney iss mein kiya tha apney hath malney laga aur woh baagh to ondha ulta para tha aur (woh shaks) yeh keh raha tha kay kaash! Mein apney rab kay sath kissi ko bhi shareeq na kerta

[43] Uss ki himayat mein koi jamat na uthi kay Allah say uss ka bachao kerti aur na woh khud hi badla lenay wala bann saka

[44] Yahin say (sabit hai) kay ikhtiyaraat Allah bar-haq kay liye hain woh sawab denay aur anjam kay aitbaar say both hi behtar hai

[45] Inn kay samney duniya ki zindagi ki misal (bhi) biyan kero jaisay pani jisay hum aasman say utartay hain iss say zamin ka sabza mila jula (nikla) hai phir akhir kaar woh choora choora hojata hai jisay hawayen urayen liye phirti hain. Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[46] Maal-o-aulad to duniya ki hi zeenat hai aur (haan) albatta baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek azrooy-e-sawab aur (aaeenda ki) achi tawaqqa kay boht behtar hain

[47] Aur jiss din hum paharon ko chalayen gay aur zamin ko tu saaf khuli hui dekhay ga aur tamam logon ko hum ikhatta keren gay inn mein say aik ko bhi baqi na choren gay

[48] Aur sab kay sab teray rab kay samney saff basta hazir kiye jayen gay. Yaqeenan tum humaray pass ussi tarah aaye jiss tarah hum ney tumhen pehli martaba peda kiya tha lekin tum to issi khayal mein rahey kay hum hergiz tumharay liye koi waday ka waqt muqarrar keren gay bhi nahi

[49] Aur naam-e-aemaal samney rakh diye jayen gay. Pus tu dekhay ga kay gunhegar iss ki tehreer say khofzada horahey hongay aur keh rahey hongay haaye humari kharabi yeh kaisi kitab hai jiss ney koi chota bara baghair gheray kay baqi hi nahi chora aur jo kuch enhon ney kiya tha sab mojood payen gay aur tera rab kissi per zulm-o-sitam na keray ga

[50] Aur jab hum ney farishton ko hukum diya kay tum adam ko sajda kero to iblees kay siwa sab ney sajda kiya yeh jinnon mein say tha uss ney apney perwerdigar ki na-farmani ki kiya phir bhi tum ussay aur uss ki aulad ko mujhay chor ker apna dost bana rahey ho? Halankay woh tum sab ka dushman hai. Aisay zalimon ka kiya hi bura badal hai

[51] Mein ney enhen aasmanon-o-zamin ki pedaeesh kay waqt mojood nahi rakha tha aur na khud inn ki apni pedaeesh mein aur mein gumraah kerney walon ko apna madadgaar bananey wala bhi nahi

[52] Aur jiss woh farmaye ga kay tumharay khayal mein jo meray shareeq thay unhen pukaro! Yeh pukaren gay lekin unn mein say koi bhi jawab na dey ga hum unn kay darmiyan halakat ka saman ker den gay

[53] Aur gunehgar jahannum ko dekh ker samajh len gay kay woh issi mein jhonkay janey walay hain lekin uss say bachney ki jagah na payen gay

[54] Hum ney iss quran mein her her tareeqay say tamam ki tamam misalen logon kay liye biyan ker di hain lekin insan sab say ziyada jhagraloo hai

[55] Logon kay pass hidayat aa chukney ka baad unhen eman laney aur apney rab say isataghfaar kerney say sirf issi cheez ney roka kay aglay logon ka sa moamla unhen bhi paish aaye ye unn kay samney khullam khulla azab aa mojood hojaye

[56] Hum to apney rasoolon ko sirf iss liye bhejtay hain kay woh khushkhabriyan suna den aur dara den. Kafir log baatil kay saharay jhagartay hain aur (chahatay hain kay) iss say haq ko larkhara den enhon ney meri aayaton ko aur jis cheez say daraya jaye ussay mazaq bana dala hai

[57] Uss say barh ker zalim kaun hai? Jissay uss kay rab ki aayaton say naseehat ki jaye woh phir bhi mun moray rahey aur jo kuch uss kay hathon ney aagay bhej rakha hai ussay bhool jaye be-shak hum ney unn kay dilon per parday daal diye hain kay woh issay (na) samajhen aur unn kay kanon mein girani hai go tu unhen hidayat ki taraf bulata rahey lekin yeh kabhi bhi hidayat nahi paney kay

[58] Tera perwerdigar boht hi baskhsish wala aur meharbani wala hai woh agar inn kay aemaal ki saza mein pakray to be-shak enhen jald hi azab ker dey bulkay inn kay liye aik waday ki ghari muqarrar hai jiss say woh sirakney ki hergiz jagah nahi payen gay

[59] Yeh hain woh bastiyan jinhen hum ney unn kay mazalim ki bina per ghaarat ker diya aur inn ki tabahi ki bhi hum ney aik miyaad muqarrar ker rakhi thi

[60] Jabkay musa ney apney no-jawan say kaha kay mein to chalta hi rahoon ga yahan tak kay do dariyaon kay sangum per phonchon khua mujhay saal-ha-saal chalne paray

[61] Jab woh dono darya kay sangum per phonchay wahan apni machli bhool gaye jiss ney darya mein surang jaisa apna raasta bana liya

[62] Jab yeh dono wahan say aagay barhay to musa ney apney no-jawan say kaha laa humara khana dey humen to apney iss safar say sakht takleef uthani pari

[63] Uss ney jawab diya kay kiya aap ney dekha bhi? Jabkay hum pathar say take laga ker aaram ker rahey thay wahin mein machli bhool gaya tha dar-asal shetan ney hi mujhay bhula diya kay mein aap say iss ka zikar keroon. Uss machli ney aik anokhay tor per darya mein apna raasta bana liya

[64] Musa ney kaha yehi tha jiss ki talash mein hum thay chunacha wahin say apney qadmon kay nishan dhoondtay huye wapis lotay

[65] Pus humaray bandon mein say aik banday ko paya jissay hum ney apney pass ki khas rehmat ata farma rakhi thi aur ussay apney pass say khas ilm sikha rakha tha

[66] Iss say musa ney kaha kay mein aap ki tabeydaari keroon? Kay aap mujhay iss nek ilm ko sikha den jo aap ko sikhaya gaya hai

[67] Uss ney kaha aap meray sath hergiz sabar nahi ker saktay

[68] Aur jiss cheez ko aap ney apney ilm mein na liya ho uss per sabar ker bhi kaisay saktay hain

[69] Musa ney jawab diya kay inshaAllah aap mujhay sabar kerney wala payen gay aur kissi baat mein , mein aap ki na-farmani na keroon ga

[70] Uss ney kaha acha agar aap meray sath hi chalney per israr kertay hain to yaad rahey kissi cheez ki nisbat mujh say kuch na poochna jabtak kay mein khud uss ki nisbat koi tazkara na keroon

[71] Phir woh dono chalay yahan tak kay aik kashti mein sawar huye to uss ney kashti kay takhtay tor diye musa ney kaha kiya aap issay tor rahey hain takay kashti walon ko dobo den yeh to aap ney bari (khatarnaak) baat ker di

[72] Uss ney jawab diya kay mein ney to pehlay hi tujh say keh diya tha kay tu meray sath hergiz sabar na ker sakay ga

[73] Musa ney jawab diya kay meri bhool per mujhay na pakriye aur mujhay apney kaam mein tangi na daliye

[74] Phir dono chalay yahan tak kay aik larkay ko paya iss ney ussay maar dala musa ney kaha kay kiya aap ney aik pak jaan ko baghair kissi jaan kay ewaz maar dala? Be-shak aap ney to bari na pasandeedah harkat ki

[75] Woh kehney lagay kay mein ney tum say nahi kaha tha kay tum meray humraah reh ker hergiz sabar nahi ker saktay

[76] Musa (alh-e-salam) ney jawab diya agar abb iss kay baad mein aap say kissi cheez kay baray mein sawal keroon to be-shak aap mujhay apney sath na rakhna yaqeena aap meri taraf say (hadd) uzur ko phonch chukay

[77] Phir dono chalay aik gaaon walon kay pass aaker unn say khana talab kiya to unhon ney unn ki mehmandaari say saaf inkar ker diya dono ney wahan aik deewar paee jo gira hi chahati thi uss ney ussay theek aur durust ker diya musa (alh-e-salam) kehney lagay agar aap chahatay to iss per ujrat ley letay

[78] Uss ney kaha bus yeh judaee hai meray aur teray darmiyan abb mein tujhay inn baton ki asliyat bhi bata doon ga jiss per tujh say sabar na ho saka

[79] Kashti to chand miskeeno ki thi jo daya mein kaam kaaj kertay thay. Mein ney uss mein kuch tor phor kerney ka irada ker liya kiyon kay unn kay aagay aik badshah tha jo her aik (sahih saalim) kashti ko jabran zabt ler leta tha

[80] Aur uss larkay kay maa baap eman walay thay. Humen khof hua kay kahin yeh unhen apni sirkashi aur kufur say aajiz-o-pareshan na kerdey

[81] Iss liye hum ney chaha kay unhen unn ka perwerdigar iss kay badlay iss say behtar pakeezgi wala aur iss say ziyada mohabbat aur piyar wala bacha inayat farmaye

[82] Deewar ka qissa yeh hai kay iss shehar mein do yateem bachay hain jin ka khazana inn ki iss deewar kay neechay dafan hai inn ka baap bara nek shaks tha to teray rab ki chahat thi kay yeh dono yateem apni jawani ki umar mein aaker apna yeh khazana teray rab ki meharbani aur rehmat say nikal len mein ney apni raye say koi kaam nahi kiya yeh thi asal haqeeqat unn waqiyaat ki jin per aap say sabar na hosaka

[83] Aap say zulqarnain ka waqiya yeh log daryaft ker rahey hain aap keh dijiye kay mein unn ka thora sa haal tumhen parh ker sunata hun

[84] Hum ney ussay zamin mein qooat ata farmaee thi aur ussay her cheez kay saman bhi inayat ker diye thay

[85] Woh aik raah kay peechay laga

[86] Yahan tak kay sooraj doobney ki jagah phonch gaya aur ussay aik daldal kay chashmay mein ghuroob hota hua paya aur iss chashmay kay pass aik qom ko bhi paya hum ney farma diya kay aey zulqarnain! Ya to tu enhen takleef phonchaye ya inn kay baray mein tu koi behtareen ravish ikhtiyar keray

[87] Uss ney kaha jo zulm keray ga ussay to hum bhi abb saza den gay phir woh apney perwerdigar ki taraf lotaya jayega aur woh ussay sakht tar azab dey ga

[88] Haan jo eman laye aur nek aemaal keray uss kay liye to badlay mein bhalaee hai aur hum ussay apney kaam mein bhi aasani hi ka hukum den gay

[89] Phir woh aur raah kay peechay laga

[90] Yahan tak kay jab sooraj nikalney ki jagah tak phoncha to ussay aik aisi qom per nikalta hua paya kay unn kay liye hum ney uss say aur koi oat nahi banaee

[91] Waqiya aisa hi hai aur hum ney uss kay pass ki kul khabron ka ehaata ker rakha hai

[92] Woh phir aik safar kay saman mein laga

[93] Yahan tak kay jab do deewaron kay darmiyan phoncha unn dono kay paray uss ney aik aisi qom paee jo baat samjhney ka qareeb bhi na thi

[94] Unhon ney kaha aey zulqarnain! Yajoob majooj iss mulk mein (baray bhari) fasadi hain to kiya hum aap kay liye kuch kharch ka intizam ker den? (iss shart per kay) aap humaray aur unn kay darmiyan aik deewat bana den

[95] Uss ney jawab diya kay meray ikhtiyar mein meray perwerdigar ney jo dey rakha hai wohi behtar hai tum sirf qooat taqat say meri madad kero

[96] Mein tum mein aur inn mein mazboot hijab bana deta hun. Mujhay lohay ki chadaren laa do. Yahan tak kay jab inn dono paharon kay darmiyan deewar barabar kerdi to hukum diya kay aag tez jalao ta-waqt-e-kay lohay ki inn chadaron ko bilkul aag ker diyato farmaya meray pass laao iss per pighla hua tanbaa daal doon

[97] Pus to inn mein iss deewar kay upper charhney ki taqat thi aur na iss mein koi soorakh ker saktay thay

[98] Kaha yeh sab meray rab ki meharbani hai haan jab meray rab ka wada aayega to issay zamin boss ker dey ga be-shak meray rab ka wada sacha aur haq hai

[99] Uss din hum enhen aapas mein aik doosray mein gudd madd hotay huye chor den gay aur soor phoonk diya jayega pus sab ko ikhatha ker kay hum jama ker len gay

[100] Uss din hum jahannum ko (bhi) kafiron kay samney laa khara keren gay

[101] Jin ki aankhen meri yaad say pardey mein thi aur (amar haq) sunn bhi nahi saktay thay

[102] Kiya kafir yeh khayal kiye bethay hain? Kay meray siwa woh meray bandon ko apna himayati bana len gay? (Suno) hum ney to inn kuffaar ki mehmani kay liye jahannum ko tayyar ker rakha hai

[103] Keh dijiye kay agar (tum kaho to) mein tumhen bata doon kay ba-aetbaar aemaal sab say ziyada khasaray mein kaun hain

[104] Woh hain kay jinki dunyawi zindagi ki tamam tar kosishen bekar hogaeen aur woh issi gumaan mein rahey kay woh boht achay kaam ker rahey hain

[105] Yehi woh log hain jinhon ney apney perwerdigar ki aayaton aur uss ki mulaqat say kufur kiya iss liye unn kay aemaal ghaarat hogaye pus qayamat kay din hum unn ka koi wazan qaeem na keren gay

[106] Haal yeh hai kay inn ka badla jahannum hai kiyon kay enhon nay kufur kiya aur meri aayaton aur meray rasoolon ko mazaq mein uaraya

[107] Jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi achay kiye yaqeenan unn kay liye al-firdous kay baaghaat ki mehmani hai

[108] Jahan woh humesha raha keren gay jiss jagah ko badalney ka kabhi bhi unn ka irada hi na hoga

[109] Keh dijiye kay agar meray perwerdigar ki baton kay likhney kay liye samandar sihaee bann jayen to woh bhi meray rab ki baton kay khatam honey say pehlay hi khatam hojaye ga go hum issi jaisa aur bhi iss ki madad ko ley aayen

[110] Aap keh dijiye kay mein to tum jaisa hi aik insan hun. (haan) meri janib wahee ki jati hai kay sab ka mabood aik hi mabood hai to jisay bhi apney perwerdigar say milney ki aarzoo ho ussay chahaye kay nek aemaal keray aur apney perwerdigar ki ibadat mein kissi ko bhi shareeq na keray

مریم

Surah 19

[1] Kaaf haa yaa ain suaad

[2] Yeh hai teray perwerdigar ki uss meharbani ka zikar jo uss ney apney banday zakriya per ki thi

[3] Jabkay uss ney apney rab say chupkay chupkay dua ki thi

[4] Kay aey meray perwerdigar! Meri hadiyan kamzor hogaee hain aur sir burhapay ki waja say bharak utha hai lekin mein tujh say dua kerkay kabhi bhi mehroom nahi raha

[5] Mujhay apney marney kay baad apney qarabat daron ka darr hai meri biwi bhi baanjh hai pus tu mujhay apney pass say waris ata farma

[6] Jo mera bhi waris ho aur yaqoob (alh-e-salam) kay khandan ka bhi ja-nasheen aur meray rab! Tu ussay maqbool banda bana ley

[7] Aey zakriya! Hum tujhay aik bachay ki khushkhabri detay hain jiss kay naam yahya hai hum ney iss say pehlay iss ka hum naam bhi kissi ko nahi kiya

[8] Zakriya (alh-e-salam) kehney lagay aey meray rab! Meray haan larka kaisay hoga jabkay meri biwi baanjh aur mein khud burhapay kay intehaee zoaf ko phonch chuka hun

[9] Irshad hua kay wada issi tarah ho chuka teray rab ney farma diya hai kay mujh per to yeh bilkul aasan hai aur tu khud jabkay kuch na tha mein tujhay peda ker chuka hun

[10] Kehney lagay meray perwerdigar meray liye koi alamat muqarrar farma dey irshad hua kay teray liye alamat yeh hai kay bawajood bhala changa honey kay tu teen raaton tak kissi shaks say bol na sakay ga

[11] Abb zakriya (alh-e-salam) apney hujray say nikal ker apni qom kay pass aaker unhen ishara kertay hain kay tum subha-o-shaam Allah Taalaa ki tasbeeh biyan kero

[12] “Aey yahya! Meri kitab ko mazbooti say thaam ley” aur hum ney ussay larakpan hi say danaee ata farma di

[13] Aur apney pass say shafqat aur pakeezgi bhi woh perhezgar shaks tha

[14] Aur apney maa baap say nek salook kerney wala tha woh sirkash aur gunehgar na tha

[15] Uss per salam hai jiss din woh peda hua aur jiss din woh maray aur jiss din woh zinda kerkay uthaya jaye

[16] Iss kitab mein marium ka bhi waqiya biyan ker. Jabkay woh apney ghar kay logon say alehda hoker mashriqi janib aaeen

[17] Aur unn logon ki taraf say parda ker liya phir hum ney uss kay pass apni rooh (jibraeel alh-e-salam) ko bheja pus woh uss kay samney poora aadmi bann ker zahir hua

[18] Yeh kehney lagin mein tujh say rehman ki panah maangti hun agar tu kuch bhi Allah say darney wala hai

[19] Uss ney jawab diya kay mein to Allah ka bheja hua qasid hun tujhay aik pakeeza larka denay aaya hun

[20] Kehney lagin bhala meray haan bacha kaisay ho sakta hai? Mujhay to kissi insan ka hath tak nahi laga aur na mein badkaar hun

[21] Uss ney kaha baat to yehi hai lekin teray perwerdigar ka irshad hai kay woh mujh per boht hi aasan hai hum to ussay logon kay liye aik nishani bana den gay aur apni khaas rehmat yeh to aik tey shuda baat hai

[22] Pus woh hamal say hogaeen aur issi waja say woh yaksoo hoker aik door ki jaga chali gaeen

[23] Phir dard-e-zeh ussay aik khajoor kay tanay kay neechay ley aaya boli kaash! Mein iss say pehlay hi marr gaee hoti aur logon ki yaad say bhi bhooli bisri hojati

[24] Itney mein ussay neechay say hi awaz di kay aazardah khatir na ho teray rab ney teray paon talay aik chashma jari ker diya hai

[25] Aur iss khajoor kay tanay ko apni taraf hila yeh teray samney tar-o-taza pakki khajooren gira dey ga

[26] Abb chain say kha pi aur aankhen thandi rakh agar tujhay koi insan nazar parr jaye to keh dena kay mein ney Allah rehman kay naam ka roza maan rakha hai. Mein aaj kissi shaks say baat na keroon gi

[27] Abb hazrat essa (alh-e-salam) ko liye huye woh apni qom kay pass aaeen. Sab kehney lagay marium tu ney bari buri harkat ki

[28] Aey haroon ki behan! Na to tera baap bura aadmi tha aur na teri maa badkaar thi

[29] Marium ney apney bachay ki taraf ishara kiya. Sab kehnay lagay kay lo bhala hum goad kay bachay say baat kaisay keren

[30] Bcha bol utha kay mein Allah Taalaa ka banda hun. Uss ney mujhay kitab ata farmaee aur mujhay apna payghumber banaya hai

[31] Aur uss ney mujhay ba-barkat kiya hai jahan bhi mein hun uss ney mujhay namaz aur zakat ka hukum diya hai jab tak bhi mein zinda rahoon

[32] Aur uss ney mujhay apni walida ka khidmat guzaar banaya hai aur mujhay sirkash aur bad-bakht nahi kiya

[33] Aur mujh per meri pedaeesh kay din aur meri maut kay din aur jiss din kay mein doobara zinda khara kiya jaon ga salam hi salam hai

[34] Yeh hai sahih waiya essa bin marium (alh-e-salam) ka yehi hai woh haq baat jiss mein log shak-o-shuba mein mubtila hain

[35] Allah Taalaa kay liye aulad ka hona laeeq nahi woh to bilkul pak zaat hai woh to jab kissi kaam kay sir anjam denay ka irada kerta hai to ussay keh deta hai kay hoja woh ussi waqt ho jata hai

[36] Mera aur tum sab ka perwerdigar Allah Taalaa hi hai. Tum sab ussi ki ibadat kero yehi seedhi raah hai

[37] Phir yeh firqay aapas mein ikhtilaf kerney lagay pus kafiron kay liye “wail” hai aik baray (sakht) din ki hazri hai

[38] Kiya khoob dekhney sunnay walay hongay uss din jabkay humaray samney hazir hongay lekin aaj to yeh zalim log sareeh gumrahi mein paray huye hain

[39] To unhen uss ranj-o-afsos kay din ka darr suna dey jabkay kaam anjam ko phoncha diya jayega aur yeh log ghaflat aur bey emani mein hi reh jayengay

[40] Khud zamin kay aur tamam zamin walon kay waris hum hi hongay aur sab log humari hi taraf lota ker layen jayen gay

[41] Iss kitab mein ibrahim (alh-e-salam) ka qissa biyan ker be-shak woh baray sachaee walay payghumber thay

[42] Jabkay unhon ney apney baap say kaha kay abba jaan! Aap inn ki pooja paat kiyon ker rahey hain jo na sunen na dekhen? Na aap ko kuch bhi faeeda phoncha saken

[43] Meray meharban maa baap! Aap dekhiye meray pass woh ilm aaya hai jo aap kay pass aaya hi nahi to aap meri hi manen mein bilkul seedhi raah ki taraf aap ki rehbari keroon ga

[44] Meray abba jaan aap shetan ki parastish say baaz aajayen shetan to reham-o-karam walay Allah Taalaa ka bara hi na-farman hai

[45] Abba jaan! Mujhay khof laga hua hai kay kahin aap per koi azab-e-elahee na aa paray kay aap shetan kay sathi bann jayen

[46] Uss ney jawab diya kay aey ibrahim! Kiya tu humaray maboodon say roo gardani ker raha hai. Sunn agar tu baaz na aaya to mein tujhay pathron say maar dalon ga jaa aik muddat daraz tak mujh say alag reh

[47] Kaha acha tum per salam ho mein to apney perwerdigar say tumhari bakhsish ki dua kerta rahon ga woh mujh per hadd darja meharban hai

[48] Mein to tumhen bhi aur jin jin ko tum Allah Taalaa kay siwa pukartay ho unhen bhi sab ko chor raha hun. Sirf apney perwerdigar ko pukarta rahoon ga mujhay yaqeen hai kay mein apney perwerdigar say dua maang ker mehroom na rahoon ga

[49] Jab ibrahim (alh-e-salam) unn sab ko aur Allah kay siwa unn kay sab maboodon ko chor chukay to hum ney unhen ishaq (alh-e-salam) –o- yaqoob (alh-e-salam) ata farmaye aur dono ko nabi bana diya

[50] Aur inn sab ko hum ney apni boht si rehmaten ata farmaeen aur hum ney inn kay zikar-e-jamil ko buland darjay ka ker diya

[51] Iss quran mein musa (alh-e-salam) ka zikar bhi ker jo chuna hua rasool aur nabi tha

[52] Hum ney ussay toor kay dayen janib say nida ki aur raaz goee kertay huye ussay qareeb ker liya

[53] Aur apni khas meharbani say uss kay bhai ko nabi bana ker ata farmaya

[54] Iss kitab mein ismail (alh-e-salam) ka waqiya bhi biyan ker woh bara hi waday ka sacha tha aur tha bhi rasool aur nabi

[55] Woh apney ghar walon ko barabar namaz aur zakat ka hukum deta tha aur tha bhi apney perwerdigar ki baargaah mein pasandeedah aur maqbool

[56] Aur iss kitab mein idris (alh-e-salam) ka bhi zikar ker woh bhi nek kirdaar payghumber tha

[57] Hum ney ussay buland muqam per utha liya

[58] Yehi woh anbiya hain jin per Allah Taalaa ney fazal-o-karam kiya jo aulad-e-adam mein say hain aur unn logon ki nasal say hain jinhen hum ney nooh (alh-e-salam) kay sath kashti mein charha liya tha aur aulad ibrahim-o-yaqoob say aur humari taraf say raaha yafta aur humaray pasandeedah logon mein say. Inn kay samney jab Allah rehman ki aayaton ki tilawat ki jati thi yeh sajda kertay aur rotay girgiratay gir partay thay

[59] Phir inn kay baad aisay na khalaf peda huye kay unhon ney namaz zaya ker di aur nafsani khuwishon kay peechay parr gaye so unn ka nuksan unn kay aagay aayega

[60] Ba-juz unn kay jo toba ker len aur eman layen aur nek amal keren. Aisay log jannat mein jayen gay aur unn ki zara si bhi haq talfi na ki jayegi

[61] Humeshgi wali jannaton mein jin ka ghaeebana wada Allah meharban ney apney bandon say kiya hai. Be-shak uss ka wada poora honey wala hi hai

[62] Woh log wahan koi laghaw baat na sunen gay sirf salam hi salam sunen gay unn kay liye wahan subha shaam unn ka rizq hoga

[63] Yeh hai woh jannat jiss ka waris hum apney bandon mein say unhen banatay hain jo muttaqi hon

[64] Hum baghair teray rab kay hukum kay utar nahi saktay humaray aagay peechay aur inn kay darmiyan ki kul cheezen ussi ki milkiyat mein hain tera perwerdigar bhoolney wala nahi

[65] Aasmano ka zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ka rab wohi hai tu ussi ki bandagi ker aur uss ki ibadat per jamm ja. Kiya teray ilm mein uss ka hum naam hum palla koi aur bhi hai

[66] Insan kehta hai kay jab mein marr jaonga to kiya phir zinda ker kay nikala jaonga

[67] Kiya yeh insan itna bhi yaad nahi rakhta kay hum ney ussay iss say pehlay peda kiya halankay woh kuch bhi na tha

[68] Teray perwerdigar ki qasam! Hum unhen aur shetano ko jama ker kay zaroor zaroor jahannum kay ird gird ghutno kay bal giray huye hazir ker den gay

[69] Hum phir her her giroh say unhen alag nikal khara keren gay jo Allah rehman say boht akray akray phirtay thay

[70] Phir hum unhen bhi khoob jantay hain jo jahannum kay dakhlay kay ziyada sazawaar hain

[71] Tum say her aik wahan zaroor warid honey wala hai yeh teray perwerdigar kay zimmay qataee faisal shuda amar hai

[72] Phir hum perhezgaron ko to bacha len gay aur na-farmano ko ussi mein ghutno kay bal gira hua chor den gay

[73] Jab inn kay samney humari roshan aayaten tilwat ki jati hain to kafir musalamano say kehtay hain batao hum tum dono jamaton mein say kiss ka martaba ziyada hai? Aur kiss ki majlis shandaar hai

[74] Hum to inn say pehlay boht si jamaton ko ghaarat ker chukay hain jo saaz-o-saman aur naam-o-numood mein inn say barh charh ker thin

[75] Keh dijiye! Jo gumrahi mein hota Allah rehman uss ko khoob lambi mohlat deta hai yehan tak kay woh unn cheezon kay dekh len jin ka wada kiye jatay hain yaani azab ya qayamat ko uss waqt unn ko sahih tor per maloom ho jayega kay kaun buray martabay wala aur kiss ka jutha kamzor hai

[76] Aur hidayat yafta logon ko Allah Taalaa hidayat mein barhata hai aur baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek sawab kay lehaz say aur anjam kay lehaz say boht hi behtar hain

[77] Kiya tu ney ussay bhi dekha jiss ney humari aayaton say kufur kiya aur kaha kay mujhay to maal-o-aulad zaroor hi di jaye gi

[78] Kiya woh ghaib per mutla hai ya Allah ka koi wada ley chuka hai

[79] Hergiz nahi yeh jo bhi keh raha hai hum ussay zaroor likh len gay aur uss kay liye azab barhaye chalay jayen gay

[80] Yeh jin cheezon ko keh raha hai ussay hum iss kay baad ley len gay. Aur yeh to bilkul akela hi humaray samney hazir hoga

[81] Enhon ney Allah kay siwa doosray mabood bana rakhay hain kay woh inn kay liye baees-e-izzat hon

[82] Lekin aisa hergiz hona nahi. Woh to inn ki pooja say munkir honjayen gay aur ultay inn kay dushman bann jayen gay

[83] Kiya tu ney nahi dekha kay hum kafiron kay pass shetano ko bhejtay hain jo enhen khoob uksatay hain

[84] Tu inn kay baray mein jaldi na ker hum to khud hi inn kay liye muddat shumari ker rahey hain

[85] Jiss din hum perhezgaron ko Allah rehman ki taraf bator mehman kay jama keren gay

[86] Aur gunehgaron ko sakht piyas ki halat mein jahannum ki taraf haank ley jayen gay

[87] Kissi ko shifaat ka ikhtiyar na hoga siwaye unn kay jinhon ney Allah Taalaa ki taraf say koi qol-o-qarar ley liya hai

[88] Inn ka qol to yeh hai kay Allah rehman ney bhi aulad ikhtiyar ki hai

[89] Yaqeenan tum boht buri aur bhari cheez laye ho

[90] Qareeb hai kay iss qol ki waja say aasman phat jayen aur zamin shaq hojaye aur pahar rezay rezay hojayen

[91] Key woh rehman ki aulad sabit kerney bethay

[92] Shaan-e-rehman kay laeeq nahi kay woh aulad rakhay

[93] Aasman-o-zamin mein jo bhi hain sab kay sab Allah kay ghulam bann ker hi aaney walay hain

[94] Inn sab ko uss ney gher rakha hai aur sab ko poori tarah ginn bhi rakha hai

[95] Yeh saray kay saray qayamat kay din akelay uss kay pass hazir honey walay hain

[96] Be-shak jo eman laye hain aur jinhon ney shaeesta aemaal kiye hain unn kay liye Allah rehman mohabbat peda ker dey ga

[97] Hum ney iss quran ko teri zaban mein boht hi aasan ker diya hai kay tu iss kay zariye say perhezgaron ko khushkhabri dey aur jhagraloo logon ko dara dey

[98] Hum ney inn say pehlay boht si jamaten tabah ker di hain kiya inn mein say aik bhi aahat tu pata hai ya unn ki awaz ki bhanak bhi teray kaan mein parti hai

طٰہٰ

Surah 20

[1] Taahaa

[2] Hum ney yeh quran tujh per iss liye nahi utara kay tu mushaqqat mein parr jaye

[3] Bulkay uss ki naseehat kay liye jo Allah say darta hai

[4] Iss ka utarna uss ki taraf say hai jiss ney zamin ko aur buland aasmano ko peda kiya hai

[5] Jo rehman hai arsh per qaeem hai

[6] Jiss ki milkiyar aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan aur (kurra-e-khak) kay neechay ki her aik cheez per hai

[7] Agar tu unchi baat kahey to woh to her aik posheeda bulkay posheeda say posheeda tar cheez ko bhi ba-khoobi janta hai

[8] Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi behtareen naam ussi kay hain

[9] Tujhay musa (alh-e-salam) ka qissa bhi maloom hai

[10] Jabkay uss ney aag dekh ker apney ghar walon say kaha kay tum zara si dare thehar jao mujhay aag dikhaee di hai. Boht mumkin hai kay mein iss ka koi angara tumharay pass laon yaa aag kay pass say rastay ki itlaa paon

[11] Jab woh wahan phonchay to awaz di gaee aey musa

[12] Yaqeenan mein hi tera perwerdigar hun to tu apni jootiyan utar dey kiyon kay tu pak maidan-e-toowa mein hai

[13] Aur mein ney tujhay muntakhib ker liya hai abb jo wahee ki jaye ussay kaan laga ker sunn

[14] Be-shak mein hi Allah hun meray siwa ibadat kay laeeq aur koi nahi pus tu meri hi ibadat ker aur meri yaad kay liye namaz qaeem rakh

[15] Qayamat yaqeenan aaney wali hai jissay mein posheeda rakhna chahata hun takay her shaks ko woh badla diya jaye jo uss ney kosish ki ho

[16] Pus abb iss kay yaqeen say tujhay koi aisa shaks rok na dey jo iss per eman na rakhta ho aur apni khuawish kay peechay para ho werna tu halak ho jaye ga

[17] Aey musa terau iss dayen hath mein kiya hai

[18] Jawab diya kay yeh meri lathi hai jiss per mein take lagata hun aur jiss say mein apni bakriyon kay liye pattay jhaar liya kerta hun aur bhi iss mein mujhay boht faeeday hain

[19] Farmaya aey musa! Issay hath say neechay daal dey

[20] Daltay hi woh saanp bann ker dorney lagi

[21] Farmaya bey khof ho ker issay pakar ley hum issay ussi pehli si surat mein doobara laa den gay

[22] Aur apna hath apni baghal mein daal ley to woh safaid chamakta hua ho ker niklay ga lekin baghair kisi aib (aur rog) kay yeh doosra moajzza hai

[23] Yeh iss liye kay hum tujhay apni bari bari nishaniyan dikhana chahatay hain

[24] Abb tu firaon ki taraf jaa uss ney barri sirkashi macha rakhi hai

[25] Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwerdigar! Mera seena meray liye khol dey

[26] Aur meray kaam ko mujh per aasan ker dey

[27] Aur meri zaban ki girah bhi khol dey

[28] Takay log meri baat achi tarah samajh saken

[29] Aur mera qazir meray kunbay mein say ker dey

[30] Yani mera bhai haroon (alh-e-salam) ko

[31] Tu iss say meri kamar kuss dey

[32] Aur ussay mera shareek kaar ker dey

[33] Takay hum dono ba-kasrat teri tasbeeh biyan keren

[34] Aur ba-kasrat teri yaad keren

[35] Be-shak tu humen khoob dekhney bhalney wala hai

[36] Janab baari taalaa ney farmaya musa teray tamam sawalaat poora ker diye gaye

[37] Hum ney tujh per aik baar aur bhi bara ehsan kiya hai

[38] Jabkay hum ney teri maa ko woh elhaam kiya jiss ka zikar abb kiya jaa raha hai

[39] Kay tu ussay sandooq mein band ker kay darya mein chor dey pus darya ussay kinaray laa dalay ga aur mera aur khud uss ka dushman ussay ley ley ga aur mein ney apni taraf ki khaas mohabbat-o-maqbooliyat tujh per daal di. Takay teri perwerish meri aankhon kay samney ki jaye

[40] (yaad ker) jabkay teri behan chal rahi thi aur keh rahi thi kay agar tum kaho to mein ussay bata doon jo uss ki nigehbani keray iss tadbeer say hum ney tujhay phir teri maa kay pass phonchaya kay uss ki aankhen thandi rahen aur woh ghumgeen na ho. Aur tu ney aik shaks ko maar dala tha iss per hum ney tujhay ghum say bacha liya gharz hum ney tujhay achi tarah aazma liya. Phir tu kaee saal tak madiyan kay logon mein thehra raha phir taqdeer-e-elahee kay mutabiq aey musa! Tu aaya

[41] Aur mein ney tujhay khas apni zaat kay liye pasand farma liya

[42] Abb tu apney bhai samet meri nishaniyan humrah liye huye jaa aur khabdaar meray zikar mein susti na kerna

[43] Tum dono firaon kay pass jao uss ney bari sirkashi ki hai

[44] Ussay narmi say samjhao kay shayad woh samajh ley ya darr jaye

[45] Dono ney kaha aey humaray rab! Humen khof hai kay kahin firaon hum per koi ziyadti na keray ya apni sirkashi mein barh na jaye

[46] Jawab mila kay tum mutlaqan khof na kero mein tumharay sath hun aur sunta dekhta rahoon ga

[47] Tum iss kay pass jaa ker kaho kay hum teray perwerdigar kay payghumber hain tu humaray sath bani israeel ko bhej dey inn ki sazayen moqoof ker. Hum to teray pass teray rab ki taraf say nishani ley ker aaye hain aur salamti ussi kay liye hai jo hidayat ka paband ho jaye

[48] Humari taraf wahee ki gaee hai kay jo jhutlaye aur roo gardani keray uss kay liye azab hai

[49] Firaon ney poocha kay aey musa! Tum dono ka rab kaun hai

[50] Jawab diya kay humara rab woh hai jiss ney her aik ko uss ki khas surat shakal inayat farmaee phir raah sujha di

[51] Uss ney kaha acha yeh to batao aglay zamaney walon ka haal kiya hona hai

[52] Jawab diya kay inn ka ilm meray rab kay haan kitab mein mojood hai na to mera rab ghalati kerta hai na bhoolta hai

[53] Ussi ney tumharay liye zamin ko farash banaya hai aur iss mein tumharay chalney kay raastay banaye hain aur aasman say paani bhi wohi barsata hai phir iss barasaat ki waja say mukhtalif qisam ki paidawaar bhi hum hi peda kertay hain

[54] Tum khud khao aur apney chopayon ko bhi charao. Kuch shak nahi kay iss mein aqalmandon kay liye boht si nishaniyan hain

[55] Issi zamin mein hum ney tumhen peda kiya aur issi mein phir wapis lotayen gay aur iss say phir doobara tum sab ko nikal khara keren gay

[56] Hum ney ussay apni sab nishaniyan dikha den lekin phir bhi uss ney jhutalaya aur inkaar ker diya

[57] Kehney laga aey musa! Kiya tu iss liye aaya hai kay humen apnay jadoo kay zor say humaray mulk say bahir nikal dey

[58] Acha hum bhi teray muqablay mein issi jaisa jadoo zaroor layen gay pus humaray aur apnay darmiyan aik waday ka waqt muqarrar ker ley kay na hum iss ka khof keren aur na tu saaf maidan mein muqabla ho

[59] Musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay zeenat aur jashan kay din ka wada hai aur yeh kay log din charhay hi jama ho jayen

[60] Pus firaon lot gaya aur uss ney apnay hath kanday jama kiye phir aagaya

[61] Musa (alh-e-salam) ney unn say kaha tumhari shamat aa chuki Allah Taalaa per jhoot aur iftra na bandho kay woh tumhen azabon say maliya mait ker dey yaad rakho woh kabhi kaamyaab na hoga jiss ney jhooti baat ghari

[62] Pus yeh log aapas kay mashwaron mein mukhtalif raye ho gaye aur chup ker chupkay chupkay mashwara kerney lagay

[63] Kehney lagay yeh dono mehaz jadoogar hain aur inn ka pukhta irada hai kay apney jadoo kay zor say tumhen tumharay mulk say nikal bahir keren aur tumharay behtareen mazhab ko barbaad ker den

[64] To tum bhi apna koi dao utha na rakho phir saff bandi ker kay aao. Jo ghalib aagaya wohi bazi ley gaya

[65] Kehney lagay aey musa! Ya to tu pehlay daal ya hum pehlay dalney walay bann jayen

[66] Jawab diya kay nahi tum hi pehlay dalo. Abb to musa (alh-e-salam) ko yeh khayal guzrney laga kay unn ki rasiyan aur lakriyan unn kay jadoo kay zor say dor bhag rahi hain

[67] Pus musa (alh-e-salam) ney apney dil hi dil mein darr mehsoos kiya

[68] Hum ney farmay kuch khof na ker yaqeena tu hi ghalib aur bartar rahey ga

[69] Aur teray dayen hath mein jo hai ussay daal dey kay unn ki tamam karigari ko woh nigal jaye enhon ney jo kuch banaya hai yeh sirf jadoogaron kay kartab hain aur jadoogar kahin say bhi aaye kaamyab nahi hota

[70] Abb to tamam jadoogar sajday mein girr paray aur pukar uthay kay hum to haroon (alh-e-salam) aur musa (alh-e-salam) kay rab per eman laye

[71] Firaon kehnay laga kiya meri ijazat say pehlay hi tum iss per eman ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara buzrug hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai (sunn lo) mein tumharay hath paon ultay seedhay katwa ker tum sab ko khajoor kay tano mein sooli per latakwa doon ga aur tumhen poori tarah maloom hojaye ga kay hum mein say kiss ki maar ziyada sakht aur dairpaa hai

[72] Unhon ney jawab diya kay na-mumkin hai kay hum tujhay tarjeeh den inn daleelon per jo humaray samney aa chukin aur uss Allah per jiss ney humen peda kiya hai abb to jo kuch tu kerney wala hai ker guzar tu jo kuch bhi hukum chala sakta hai wo issi duniyawi zindagi mein hi hai

[73] Hum (iss umeed say) apney perwerdigar per eman laye kay woh humari khatayen moaf farma dey aur (khaas ker) kadoogari (ka gunah) jiss per tum ney humen majboor kiya hai Allah hi behtar aur hamesha baqi rehney wala hai

[74] Baat yehi hai kay jo bhi gunehagaar bann ker Allah Taalaa kay haan hazir hoga uss kay liye dozakh hai jahan na maut hogi na zindagi

[75] Aur jo bhi uss kay pass eman ki halat mein hazir hoga aur uss ney aemaal bhi nek kiye hongay uss kay liye buland-o-bala darjay hain

[76] Hameshgi wali jannaten jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha (hamesha) rahen gay. Yehi inaam hai her uss shaks ka jo pak hai

[77] Hum ney musa (alh-e-salam) ki taraf wahee nazil faramee kay tu raton raat meray bandon ko ley chal aur inn kay liye darya mein khushk raasta bana ley phir na tujhay kissi kay aa pakarney ka khatra hoga na darr

[78] Firaon ney apney lashkaron samet inn ka taaqqub kiya phir to darya inn sab per chah gaya jaisa kuch chah janey wala tha

[79] Firaon ney apni qom ko gumrahi mein daal diya aur seedha raasta na dikhaya

[80] Aey bani israeel! Dekho hum ney tumhen tumharay dushman say nijat di aur tum say koh-e-toor ki dayen taraf ka wada kiya aur tum per mann-o-salwa utara

[81] Tum humari di hui pakeeza rozi khao aur iss mein hadd say aagay na barho werna tum per mera ghazab nazil hoga aur jiss per mera ghazab nazil hojaye woh yaqeenan tabah hua

[82] Haan be-shak mein unhen bakhsh denay wala hun jo tauba keren eman layen nek amal keren aur raah-e-raast per bhi rahen

[83] Aey musa! Tujhay apni qom say (ghafil kerkay) kaun si cheez jaldi ley aaee

[84] Kaha kay woh log bhi meray peechay hi peechay hain aur mein ney aey rab! Teri taraf jaldi iss liye ki kay tu khush hojaye

[85] Farmaya! Hum ney teri qom ko teray peechay aazmaeesh mein daal diya aur unhen samri ney behka diya

[86] Pus musa (alh-e-salam) sakht ghazab naak hoker ranj kay sath wapis lotay aur kehnay lagay kay aey meri qom walo! Kiya tum say tumharay perwerdigar ney nek wada nahi kiya tha? Kiya iss ki muddat tumhen lambi maloom hui? Bulkay tumhara irada hi yeh hai kay tum per tumharay perwerdigar ka ghazab nazil ho? Kay tum ney meray waday ka khilaf kiya

[87] Unhon ney jawab diya kay hum ney apney ikhtiyar say aap kay sath waday ka khilaf nahi kiya. Bulkay hum per zewraat qom kay bojh laad diye gaye thay unhen hum ney daal diya aur issi tarah samri ney bhi daal diye

[88] Phir uss ney logon kay liye aik bachra nikal khara kiya yaani bachray ka butt jiss ki gaye ki si awaz bhi thi phir kehney lagay kay yehi tumhara bhi mabood hai aur musa ka bhi lekin musa bhool gaya hai

[89] Kiya yeh gumrah log yeh bhi nahi dekhtay kay woh to inn ki baat ka jawab bhi nahi dey sakta aur na inn kay kissi buray bhalay ka ikhtiyar rakhta hai

[90] Aur haroon (alh-e-salam) ney iss say pehlay hi inn say keh diya tha aey meri qom walo! Iss bachray say to sirf tumhari aazmaeesh ki gaee hai tumahra haqeeqi perwerdigar to Allah rehman hi hai pus tum sab meri tabey daari kero. Aur meri baat manray chalay jao

[91] Enhon ney jawab diya kay musa (alh-e-salam) ki wapsi tak to hum issi kay mujawar banay bethay rahen gay

[92] Musa (alh-e-salam) kehnay lagay aey musa haroon! Enhen gumrah hotay hua dekhtay huye tujhay kiss cheez ney roka tha

[93] Kay tu meray peechay na aaya. Kiya tu bhi meray farmaan ka na-farmaan bann betha

[94] Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye bhai! Meri darhi na pakar aur sir kay baal na kheench mujhay to sirf yeh khayal daaman geer hua kay kahin aap yeh (na) farmayen kay tu ney bani israeel mein tafarqa daal diya aur meri baar ka intezar na kiya

[95] Musa (alh-e-salam) ney poocha samri tera kiya moamla hai

[96] Uss ney jawab diya kay mujhay woh cheez dikhaee di jo enhen dikhaee na di to mein ney farstada-e-elahee kay naqsh-e-qadam say aik muthi bhar li ussay iss mein daal diya issi tarah meray dil ney yeh baat meray liye bhali bana di

[97] Kaha acha jaa duniya ki zindagi mein teri saza yehi hai kay tu kehta rehey kay mujhay na choona aur aik aur bhi wada teray sath hai jo tujh say hergiz na talay ga aur abb tu apney iss mabood ko bhi dekh lena jiss kay aetikaaf kiye huye tha kay hum issay jala ker darya mein raiza raiza ura den gay

[98] Asal baat yehi hai kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf Allah hi hai uss kay siwa koi parastish kay qabil nahi. Uss ka ilm tamam cheezon per hawi hai

[99] Issi tarah hum teray samney pehlay ki guzri hui waardaaten biyan farma rahen hain aur yaqeena hum tujhay apney pass say naseehat ata farma chukay hain

[100] Iss say jo mun pher ley ga woh yaqeenan qayamat kay din apna bhari bojh laday huye hoga

[101] Jiss mein hamesha hi rahey ga aur inn kay liye qayamat kay din (bara) bojh hai

[102] Jiss din soor phonka jayega aur gunehgaron ko hum uss din (dehshat ki waja say) neeli peeli aankhon kay sath gher layen gay

[103] Woh aapas mein chupkay chupkay keh rahey hongay kay hum to (duniya mein) sirf dus din hi rahey

[104] Jo kuch woh keh rahey hain uss ki haqeeqat say hum ba-khabar hain inn mein say sab say ziyada acha raah wala keh raha hoga kay tum to sirf aik hi din rahey

[105] Woh aap say paharon ki nisbat sawal kertay hain to aap keh den kay enhen mera rab raiza raiza ker kay ura dey ga

[106] Aur zamin ko bilkul humwaar saaf maidan kerkay chor dey ga

[107] Jiss mein to na kahin mor tor dekhay ga na oonch neech

[108] Jiss din log pukarney walay kay peechay chalen gay jiss mein koi kuji na hogi aur Allah rehman kay samney tamam aawazen pust hojayen gi siwaye khusur phusur kay tujhay kuch bhi sunaee na dey ga

[109] Uss din sifarish kuch kaam na aaye gi magar jisay rehman hukum dey aur uss ki baat ko pasand farmaye

[110] Jo kuch inn kay aagay peechay hai ussay Allah hi janta hai makhlooq ka ilm uss per hawi nahi hosakta

[111] Tamam chehray uss zinda aur qaeem daeem mudabbir Allah kay samney kamal aajzi say jhukay huye hongay yaqeenan woh barbaad hua jiss ney zulm laad liya

[112] Aur jo nek aemal keray aur eman wala bhi ho to na ussay bey insafi ka khutka hoga na haq talfi ka

[113] Issi tarah hum ney tujh per arabi quran nazil farmaya hai aur tarah tarah say iss mein darr ka biyan sunaya hai takay log perhezgaar bann jayen ya inn kay dil mein soch samajh to peda keray

[114] Pus Allah aali shaan wala sacha aur haqeeqi badshah hai. Tu quran parhney mein jaldi na ker uss say pehlay kay teri taraf jo wajee ki jati hai woh poori ki jaye haan yeh dua ker kay perwerdigar! Mera ilm barha

[115] Hum ney adam ko pehlay hi takeedy hukum dey diya tha lekin woh bhool gaya aur hum ney uss mein koi azum nahi paya

[116] Aur jab hum ney farishton say kaha kay adam (alh-e-salam) ko sajjda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney saaf inkar ker diya

[117] To hum ney kaha aey adam! Yeh tera aur teri biwi ka dushman hai (khayal rakhna) aisa na ho kay woh tum dono ko jannat say nikalwa dey key tu musibat mein par jaye

[118] Yahan to tujhay yeh aaram hai kay na tu bhooka hota hai na nanga

[119] Aur na tu yahan piayasa hota hai na dhoop say takleef uthata hai lekin shetan ney ussay waswasa dala kehney laga kay kiya mein tujhay daeemi zindagi ka darakht aur badshaat batlaon kay jo kabhi purani na ho

[120] Lekin shetan ney ussay waswasa dala kehney laga kay kiya mein tujhay daeemi zindagi ka darakht aur badshat batlaon kay jo kabhi purani na ho

[121] Chunacha inn dono ney uss darakht say kuch kha liya pus unn kay satar khul gaye aur bahisht kay pattay apney upper taankney lagay. Adam (alh-e-salam) ney apney rab ki na-farmani ki pus behak gaya

[122] Phir uss kay rab ney nawaza uss ki toba qabool ki aur uss ki rehnumaee ki

[123] Farmaya tum dono yahan say utar jao tum aapas mein aik doosray kay dushman ho abb tumharay pass jab kabhi meri taraf say hidayat phonchay to jo meri hidayat ki pairwee keray na to woh behkay ga na takleef mein paray ga

[124] Aur (haan) jo meri yaad say roo gardani keray ga uss ki zindagi tangi mein rahey gi aur hum ussay baroz qayamat andha ker kay uthayen gay

[125] Woh kahey ga kay elahee! Mujhay tu ney andha bana ker kiyon uthaya? Halankay mein to dekhta bhalta tha

[126] (jawab milay ga kay) issi tarah hona chahye tha tu meri aaee hui aayaton ko bhool gaya to aaj tu bhi bhula diya jata hai

[127] Hum aisa hi badla her uss shaks ko diya kertay hain jo hadd say guzar jaye aur apney rab ki aayaton per eman na laye aur be-shak aakhirat ka azab nihayat hi sakht aur baqi rehney wala hai

[128] Kiya inn ki rehbari iss baat ney bhi nahi ki kay hum ney inn say pehlay boht si bastiyan halak ker di hain jin kay rehney sehney ki jaga yeh chal phir rahey hain. Yaqeenan iss mein aqal mandon kay liye boht si nishaniyan hain

[129] Agar teray rab ki baat pehlay hi say muqarrar shuda aur waqt moyyen kerda na hota to issi waqt azab aa chimatta

[130] Pus inn ki baton per sabar ker aur apney perwerdigar ki tasbeeh aur tareef biyan kerta reh sooraj nikalney say pehlay aur uss kay dobney say pehlay raat kay mukhtalif waqton mein bhi aur din kay hisson mein bhi tasbeeh kerta reh boht mumkin hai kay tu razi ho jaye

[131] Aur apni nighayen hergiz unn cheezon ki taraf na dorana jo hum ney inn mein say mukhtalif logon ko aaraeesh-e-duniya ki dey rakhi hain takay unhen iss mein aazma ley teray rab ka diya hua hi (boht) behtar aur boht baqi rehney wala hai

[132] Apney gharaney kay logon per namaz ki takeed rakh aur khud bhi iss per jama reh hum tujh say rozi nahi maangtay bulkay hum khud tujhay rozi detay hain aakhir mein bol bala perhezgari hi ka hai

[133] Enhon ney kaha kay yeh nabi humaray pass apney perwerdigar ki taraf say koi nishani kiyon nahi laya? Kiya inn kay pass agli kitabon ki wazeh daleel nahi phonchi

[134] Aur agar hum iss say pehlay hi enehn azab say halak ker detay to yaqeenan yeh keh uthtay kay aey humaray perwerdigar tu ney humaray pass apna rasool kiyon na bheja? Kay hum teri aayaton ki tabeydari kertay iss say pehlay kay hum zaleel-o-ruswa hotay

[135] Keh dijiye kay her aik anjam ka muntazir hai pus tum bhi intezar mein raho. Abhi abhi qata’an jaan lo gay kay raah-e-raast walay kaun hain aur kaun raah yafta hain

الانبیاء

Surah 21

[1] Logon kay hisab ka waqt qareeb aagaya phir bhi woh bey khabri mein mun pheray huye hain

[2] Inn kay pass inn kay rab ki taraf say jo bhi naee naee naseehat aati hai issay woh khel kood mein hi suntay hain

[3] Inn kay dil bilkul ghafil hain aur inn zalimon ney chupkay chupkay sirgoshiyan kin kay woh tum hi jesa insan hai phir kiya waja hai jo tum aankhon dekhtay jadoo mein aajatay ho

[4] Payghumber ney kaha mera perwerdigar her uss baat ko jo zamin-o-aasman mein hai ba-khoobi janta hai woh boht hi sunnay wala aur jannay wala hai

[5] Itna hi nahi bulkay yeh to kehtay hain kay yeh quran peraganda khuwabon ka majmooa hai bulkay iss ney az-khud issay ghar liya hai bulkay yeh shaeer hai werna humaray samney yeh koi aisi nishani latay jesay kay aglay payghumber bhejay gaye thay

[6] Inn say pehlay jitni bastiyan hum ney ujarin sab eman say khali thin. To kiya abb yeh eman layen gay

[7] Tujh say pehlay bhi jitney payghumber hum ney bhejay sabhi mard thay jin ki taraf hum wahee utartay thay pus tum ehal-e-kitab say pooch lo agar khud tumhen ilm na ho

[8] Hum ney inn kay aisay jism nahi banaye thay kay woh khana na khayen aur na woh hamesha rehney walay thay

[9] Phir hum ney unn say kiye huye sab waday sachay kiye unhen aur jin jin ko hum ney chaha nijat ata farmaee aur hadd say nikal janey walon ko gharat ker diya

[10] Yaqeenan hum ney tumhari janib kitab nazil farmaee hai jiss mein tumharay liye zikar hai kiya phir bhi tum aqal nahi rakhtay

[11] Aure boht si bastiyan hum ney tabah ker din jo zalim thin aur unn kay baad hum ney doosri qom ko peda ker diya

[12] Jab unhon ney humaray azab ka ehsas ker liya to lagay uss say bhagney

[13] Bhag dor na kero aur jahan tumhen aasoodgi di gaee thi wahin wapis loto aur apney makanaat ki taraf jao takay tum say sawal to ker liya jaye

[14] Kehney lagay haaye humari kharabi! Be-shak hum zalim thay

[15] Phir to unn ka yehi qol raha yahan tak kay hum ney unhen jarr say kati hui kheti aur bujhi pari aag (ki tarah) ker diya

[16] Hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki cheezon ko kheltay huye nahi banaya

[17] Agar hum yun hi khel tamashay ka irada kertay to to ussay apnay pass say hi bana letay agar hum kerney walay hi hotay

[18] Bulkay hum sach ko jhoot per phenk maartay hain pus sach jhoot ka sir tor deta hai aur woh ussi waqt nabood ho jata hai tum jo baten banatay ho woh tumharay liye baees-e-kharabi hain

[19] Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah ka hai aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi kertay hain aur na thaktay hain

[20] Woh din raat tasbeeh biyan kertay hain aur zara si bhi susti nahi kertay

[21] Kiya inn logon ney zamin (ki makhlooqaat mein) say jinhen mabood bana rakha hai woh zinda ker detay hain

[22] Agar aasman-o-zamin mein siwaye Allah Taalaa kay aur bhi mabood hotay to yeh dono darhum barhum ho jatay pus Allah Taalaa arsh ka rab her uss wasf say pak hai jo yeh mushrik biyan kertay hain

[23] Woh apney kaamon key liye (kissi kay aagay) jawab deh nahi aur sab (uss kay aagay) jawab deh hain

[24] Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur mabood bana rakhay hain inn say keh do laao apni daleel paish kero. Yeh hain meray sath walon ki kitab aur mujh say aglon ki daleel. Baat yeh hain kay inn mein kay aksar log haq ko nahi jantay issi waja say mun moray huye hain

[25] Tujh say pehlay bhi jo rasool hum ney bheja uss ki taraf yehi wahee nazil farmaee kay meray siwa koi mabood bar-haq nahi pus tum sab meri hi ibadat kero

[26] (Mushrik log) kehtay hain kay rehman aulad wala hai (ghalat hai) uss ki zaat pak hai bulkay woh sab uss kay ba-izzat banday hain

[27] Kiss baat mein Allah per paish dasti nahi kertay bulkay uss kay farmaan per kaar band hain

[28] Woh inn kay aagay peechay kay tamam umoor say waqif hai woh kissi ki bhi sifarish nahi kertay ba-juz unn kay jin say Allah khush ho woh to khud haibat-e-elahee say larzan-o-tarsan hain

[29] Inn mein say agar koi bhi keh day kay Allah kay siwa mein laeeq-e-ibadat hun to hum ussay dozakh ki saza den hum zalimon ko issi tarah saza detay hain

[30] Kiya kafir logon ney yeh nahi dekha kay aasman-o-zamin ba-hum milay julay thay phir hum ney unhen juda kiya aur her zinda cheez ko hum ney pani say peda kiya kiya yeh log phir bhi eman nahi latay

[31] Aur hum ney zamin mein pahar bana diye takay woh makhlooq ko hila na sakay aur hum ney iss mein kushada raahen bana den takay woh raasta hasil keren

[32] Aasman ko mehfooz chat bhi hum ney hi banaya hai. Lekin log iss ki qudrat kay namoono per dehan hi nahi dhartay

[33] Wohi Allah hai jiss ney raat aur din aur sooraj aur chand ko peda kiya hai. Inn mein say her aik apney apney madaar mein tertay phirtay hain

[34] Aap say pehlay kissi insan ko bhi hum ney hameshgi nahi di kiya agar aap marr gaye to woh hamesha kay liye reh jayen gay

[35] Her jaandaar mot ka maza chakhney wala hai. Hum ba-tareeq imtehan tum say her aik ko buraee bhalaee mein mubtila kertay hain aur tum sab humari hi taraf lotaye jaogay

[36] Yeh munkireen tujhay jab bhi dekhtay hain to tumhara mazaq hi uratay hain kay kiya yehi woh hai jo tumharay maboodon ka zikar buraee say kerta hai aur woh khud hi rehman ki yaad kay bilkul hi munkir hain

[37] Insan jald baaz makhlooq hai. Mein tumhen apni nishaniyan abhi abhi dikhaoon ga tum mujh say jald baazi na kero

[38] Kehtay hain kay agar sachay ho to bata do kay yeh wada kab hai

[39] Kaash! Yeh kafir jantay kay uss waqt na to yeh kafir aag ko apney chehron say hata saken gay aur na apni peethon say aur na unn ki madad ki jayegi

[40] (Haan haan!) waday ki ghari unn kay pass achanak aajayegi aur enhen hakka bakka ker dey gi phir na to yeh log ussay taal saken gay aur na zara si mohlat diye jayengay

[41] Aur tujh say pehlay rasoolon kay sath bhi hansi mazaq kiya gaya pus hansi kerney walon ko hi uss cheez ney gher liya jiss ki woh hansi uratay thay

[42] Inn say poochiye kay rehman say din aur raat tumhari hifazat kaun ker sakta hai? Baat yeh hai kay yeh log apnay rab kay zikar say phiray huye hain

[43] Kiya humaray siwa inn kay aur mabood hain jo enhen musibaton say bacha len. Koi bhi khud apni madad ki taqat nahi rakhta aur na koi humari taraf say rafaqat diya jata hai

[44] Bulkay hum ney enhen aur inn kay baap dadon ko zindagi kay saro saman diye yahan tak kay unn ki muddat-e-umar guzar gaee. Kiya woh nahi dekhtay kay hum zamin ko iss kay kinaron say ghatatay chalay aarahey hain abb kiya wohi ghalib hain?keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay unhen aagah kiya jaye

[45] Keh dijiye! Mein to tumhen Allah ki wahee kay zariye aagah ker raha hun magar behray log baat nahi suntay jabkay unhen aagah kiya jaye

[46] Agar enhen teray rab kay kissi azab ka jhonka bhi lag jaye to pukar uthen kay haye humari bad-bakhti! Yeqeenan hum gunehgar thay

[47] Qayamat kay din hum darmiyan mein laa rakhen gay theek theek tolney wali tarazoo ko. Phir kissi per kuch bhi zulm na kiya jayega. Aur agar aik raaee kay daney kay barabar bhi amal hoga hum ussay laa hazir keren gay aur hum kafi hain hisab kerney walay

[48] Yeh bilkul sach hai kay hum ney musa-o-haroon ko faislay kerney wali noorani aur perhezgaron kay liye waaz-o-naseehat wali kitab ata farmaee hai

[49] Woh log jo apney rab say bin dekhay khof khatay hain aur qayamat (kay tasawwur) say kaanptay rehtay hain

[50] Aur yeh naseehat-o-barkat wala quran bhi humin ney nazil farmaya hai kiya phir bhi tum iss kay munkir ho

[51] Yaqeenan hum ney iss say pehlay ibrahim ko iss ki samajh boojh bakhshi thi aur hum iss kay ehwaal say ba-khoobi waqif thay

[52] Jabkay uss ney apney baap say aur pani qom say kaha kay yeh moortiyan jin kay tum mujawar bann bethay ho kiya hain

[53] Sab ney jawab diya kay hum ney apnay baap dada ko enhi ki ibadat kertay huye paya

[54] Aap ney farmaya! Phir to tum aur tumharay baap dada sabhi yaqeenan khulli gumrahi mein mubtila rahey

[55] Kehnay lagay kiya aap humaray pass sach much haq laye hain ya yun hi mazaq ker rahey hain

[56] Aap ney farmaya nahi dar-haqeeqat tum sab ka perwerdigar to woh hai jo aasmano aur zamin ka malik hai jiss ney unehn peda kiya hai mein to issi baat ka gawah aur qaeel hun

[57] Aur Allah ki qasam mein tumharay inn maboodon kay sath jab tum alehda peeth pher ker chal do gay aik chaal chalon ga

[58] Pus uss ney unn sab kay tukray tukray ker diye haan sirf baray butt ko chor diya yeh bhi iss liye kay woh sab uss ki taraf hi loten

[59] Kehney lagay kay humaray khudaon kay sath yeh kiss ney kiya? Aisa shaks to yaqeenan zalimon mein say hai

[60] Bolay hum ney aik no-jawan ko innk a tazkara kertay huye suna tha jissay ibrahim (alh-e-salam) kaha jata hai

[61] Sab ney kaha acha ussay majmay mein logon ki nigahon kay samney lao takay sab dekhen

[62] Kehnay lagay! Aey ibrahim (alh-e-salam) kiya tu ney hi humaray khudaon kay sath yeh harkat ki hai

[63] Aap ney jawab diya bulkay iss kaam ko inn kay baray ney kiya hai tum apney khudaon say hi pooch lo agar yeh boltay chaltay hon

[64] Pus yeh log apney dilon mein qaeel hogaye aur kehney lagay waqaee zalim to tum hi ho

[65] Phir apney saron kay bal ondhay hogaye (aur kehnay lagay kay) yeh to tujhay bhi maloom hai kay yeh bolney chaalney walay nahi

[66] Allah kay khalil ney ussi waqt farmaya afsos! Kiya tum Allah kay ilawa unn ki ibadat kertay ho jo na tumhen kuch bhi nafa phoncha saken na nuksan

[67] Tuff hai tum per aur inn per jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho. Kiya tumhen itni si aqal bhi nahi

[68] Kehney lagay issay jala do aur apney khudaon ki madad kero agar tumhen kuch kerna hi hai

[69] Hum ney farma diya aey aag! Tu thandi parr jaa aur ibrahim (alh-e-salam) kay liye salamti (aur aaram ki cheez) bann jaa

[70] Go unhon ney ibrahim (alh-e-salam) ka bura chaha lekin hum ney unhen nakaam bana diya

[71] Aur hum ibrahim aur loot ko bacha ker uss zamin ki taraf ley chalay jiss mein hum ney tamam jahan walon kay liye barkat rakhi thi

[72] Aur hum ney ussay ishaq ata farmaya aur yaqoob iss per mazeed. Aur her aik ko hum ney saleh banaya

[73] Aur hum ney unehn paishwa bana diya kay humaray hukum say logon ki rehbari keren aur hum ney unn ki taraf nek kaamon kay kerney aur namazon kay qaeem rakhney aur zakat denay ki wahee (talqeen) ki aur woh sab kay sab humaray ibadat guzaar banday thay

[74] Hum ney loot (alh-e-salam) ko bhi hukum aur ilm diya aur ussay uss basti say nijat di jahan kay log ganday kaamon mein mubtila thay. Aur thay bhi woh bad-tareen gunehgaar

[75] Aur hum ney loot (alh-e-salam) ko apni rehmat mein dakhil ker liya bey shak woh neko kaar logon mein say tha

[76] Nooh kay uss waqt ko yaad kijiye jabkay uss ney iss say pehlay dua ki hum ney uss ki dua qabool farmaee aur ussay aur uss kay ghar walon ko baray karb say nijat di

[77] Aur jo log humari aayaton ko jhutla rahey thay unn kay muqablay mein hum ney uss ki madad ki yaqeenan woh buray log thay pus hum ney unn sab ko dobo diya

[78] Aur dawood (alh-e-salam) aur suleman (alh-e-salam) ko yaad kijiye jabkay woh khet kay moamlay mein faisla ker rahey thay kay kuch logon ki bakriyan raat ko iss mein char chug gaee thin aur unn kay faislay mein hum mojood thay

[79] Hum ney iss ka sahih faisla suleman ko samjha diya. Haan her aik ko hum ney hukum-o-ilm dey rakha tha aur dawood kay tabey hum ney pahar ker diye thay jo tasbeeh kertay thay aur parind bhi. Hum kerney walay hi thay

[80] Aur hum ney ussay tumharay liye libaas bananey ki kaari gari sikhaee takay laraee kay zarar say tumhara bachao ho. Kiya tum shukar guzar bano gay

[81] Hum ney tund-o-tez hawa ko suleman (alh-e-salam) kay tabey ker diya jo uss kay farmaan kay mutabiq uss zamin ki taraf chalti thi jahan hum ney barkat dey rakhi thi aur hum her cheez say ba-khabar aur dana hain

[82] Issi tarah say boht say shayateen bhi hum ney uss kay tabey kiye thay jo uss kay farmaan say ghotay lagatay thay aur iss kay siwa bhi boht say kaam kiya kertay thay inn kay nigehbaan hum hi thay

[83] Ayub (alh-e-salam) ki uss halat ko yaad kero jabkay uss ney apney perwerdigar ko pukara kay mujhay yeh beemari lag gaee hai aur tu reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai

[84] To hum ney uss ki sunn li aur jo dukh unhen tha ussay door ker diya aur uss ko ehal-o-ayaal ata farmaye bulkay unn kay sath waisay hi aur apni khaas meharbaani say takay sachay bandon kay liye sabab naseehat ho

[85] Aur ismail (alh-e-salam) aur idris (alh-e-salam) aur zulkifl (alh-e-salam) yeh sab sabir log thay

[86] Hum ney unhen apni rehmat mein dakhil ker liya. Yeh sab log nek thay

[87] Machli walay (hazrat younus alh-e-salam) ko yaad kero! Jabkay woh gussay say chal diya aur khayal kiya kay hum ussay na pakar saken gay. Bil-aakhir woh andheron kay andar say pukar utha kay elahee teray siwa koi mabood nahi tu pak hai be-shak mein zalimon mein say tha

[88] To hum ney uss ki pukar sunn li aur ussay ghum say nijat dey di aur hum eman walon ko issi tarah bacha liya kertay hain

[89] Aur zakariya (alh-e-salam) ko yaad kero jab uss ney apney rab say dua ki aey meray perwerdigar! Mujhay tanah na chor tu sab say behtar waris hai

[90] Hum ney uss ki dua ko qabool farma ker ussay yahya (alh-e-salam) ata farmaya aur unn ki biwi ko unn kay liye durust ker diya. Yeh buzrug log nek kaamon ki taraf jaldi kiya kertay thay aur humen lalach tama aur darr khof say pukartay thay. Aur humaray samney aajzi kerney walay thay

[91] Aur woh pak daman bibi jis ney apni asmat ki hifazat ki hum ney uss kay andar apni rooh say phoonk di aur khud unhen aur unn kay larkay ko tamam jahan kay liye nishani bana diya

[92] Yeh tumhari ummat hai jo haqeeqat mein aik hi ummat hai aur mein tum sab ka perwerdigar hun pus tum meri hi ibadat kero

[93] Magar logon ney aapas mein apney deen mein firqa bandiyan ker len sab kay sab humari hi taraf lotney walay hain

[94] Phir jo bhi nek kaam keray aur woh momin (bhi) ho to uss ki kosish ki bey qadri nahi ki jayegi. Hum to iss kay likhney walay hain

[95] Aur jis basti ko hum ney halak ker diya uss per lazim hai kay wahan kay log palat ker nahi aayen gay

[96] Yahan tak kay yajooj aur majooj khol diye jayen gay aur woh her bulandi say dortay huye aayen gay

[97] Aur sacha wada qareeb aa lagay ga uss waqt kafirion ki nigahen phati ki phati reh jayen gi kay haye afsos! Hum iss haal say ghafil thay bulkay fil-waqey hum qusoor waar thay

[98] Tum aur Allah kay siwa jin jin ki tum ibadat kertay ho sab dozakh ka endhan bano gay tum sab dozakh mein janey walay ho

[99] Agar yeh (sachay) mabood hotay to jahannum mein dakhil na hotay aur sab kay sab ussi mein hamesha rehnay walay hain

[100] Aur woh wahan chilla reahey hongay aur wahan kuch bhi na sunn saken gay

[101] Albatta bey-shak jin kay liye humari taraf say neki pehlay hi ther chuki hai. Woh sab jahannum say door hi rakhay jayen gay

[102] Woh to dozakh ki aahat tak na sunen gay aur pani mann bhati cheezon mein hamesha rehney walay hongay

[103] Woh bari ghabrahat (bhi) unhen ghumgeen na ker sakay gi aur farishtay unhen hathon haath len gay kay yehi tumhara woh din hai jiss kay tum wada diye jatay rahey

[104] Jiss din hum aasman ko yun lapet len gay jaisay toomaar mein auraaq lapet diye jatay hain jaisay kay hum ney awwal dafa pedaeesh ki thi issi tarah doobara keren gay. Yeh humarayu zimmay wada hai aur hum issay zaroor ker kay (hi) rahen gay

[105] Hum zaboor mein pind-o-naseehat kay baad yeh likh chukay hain kay zamin kay waris meray nek banday (hi) hongay

[106] Ibadat guzaar bandon kay liye to iss mein aik bara payghaam hai

[107] Aur hum ney aap ko tamam jahan walon kay rehmat bana ker hi bheja hai

[108] Keh dijiye! Meray pass to pus wahee ki jati hai kay tum sab ka mabood aik hi hai to kiya tum bhi uss ki farmanbardaari kerney walay ho

[109] Phir agar yeh mun mor len to keh dijiye kay mein ney tumhen yaksan tor per khabardaar ker diya hai. Mujhay ilm nahi kay jiss ka wada tum say kiya jaraha hai woh qareeb hai ya door

[110] Albatta Allah Taalaa to khulli aur zahir baat ko bhi janta hai aur jo tum chupatay ho ussay bhi janta hai

[111] Mujhay iss ka bhi ilm nahi mumkin hai yeh tumhari aazmaeesh ho aur aik muqarrara waqt tak ka faeeda (phonchana) hai

[112] Khud nabi ney kaha aey rab! Insaf kay sath faisla farma aur humara rab bara meharbaan hai jiss say madad talab ki jati hai unn baaton per jo tum biyan kertay ho

الحج

Surah 22

[1] Logo! Apnay perwerdigar say daro! Bilshuba qayamat ka zalzala boht hi bari cheez hai

[2] Jiss din tum ussay dekh lo gay her doodh pilaney wali apnay doodh peetay bachay ko bhool jayegi aur tamam hamal waliyon kay hamal girr jayen gay aur tu dekhay ga kay log madhosh dikhaee den gay halankay dar-haqeeqat who matwalay na hongay lekin Allah ka azab bara hi sakht hai

[3] Baaz log Allah kay baray mein batein banatay hain aur woh bhi bey ilmi kay sath aur her sirkash shetan ki pairwee kertay hain

[4] Jiss per (qazay-e-elahee) likh di gaee hai kay jo koi uss ki rafaqat keray ga woh ussay gumrah ker dey ga aur ussay aag kay azab ki taraf ley jayeg

[5] Logo agar tumhen marney kay baad ji uthney mein shak hai to socho hum ney tumhen mitti say peda kiya phir nutfay say phir khoon basta say phir gosht kay lothray say jo soorat diya gaya tha aur bey naqsha tha. Yeh hum tum per zahir ker detay hain aur hum jissay chahayen aik thehraye huye waqt tak reham-e-madir mein rakhtay hain phir tumhen bachpan ki halat mein duniya mein latay hain phir takay tum apni poori jawani ko phoncho tum mein say baaz to woh hain jo fot ker liye jatay hain aur baaz bey gharz umar ki taraf phir say lota diye jatay hain kay woh aik cheez say ba-khabar honey kay baad phir bey khabar hojaye. Tu dekhta hai kay zamin (banjar aur) khusk hai phir jab hum uss per barishen barsatay hain to woh ubharti hai aur phoolti hai aur her qisam ki ronaq daar nabataat ugati hai

[6] Yeh iss liye kay Allah hi haq hai aur wohi murdon ko jilata hai aur woh her her cheez per qudrat rakhney wala hai

[7] Aur yeh kay qayamat qata’an aaney wali hai jiss mein koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah Taalaa qabron walon ko doobara zinda farmaye ga

[8] Baaz log Allah kay baray mein baghari ilm kay aur baghair hidayat kay aur baghair roshan kitab kay jhagartay hain

[9] Jo apni pehloo morney wala bann ker iss liye kay Allah ki raah say behka dey ussay duniya mein bhi ruswaee hogi aur qayamat kay din bhi hum ussay jahannum mein jalney ka azab chakhayen gay

[10] Yeh unn aemaal ki waja say hai jo teray hathon ney aagay bhej rakhay thay. Yaqeen mano kay Allah Taalaa apnay bando per zulm kerney wala nahi

[11] Baaz log aisay bhi hain kay aik kinaray per (kharay) ho ker Allah ki ibadat kertay hain. Agar koi nafa mill gaya to dilchaspi leney lagtay hain aur agar koi aafat aagaee to ussi waqt mun pher letay hain enhon ney dono jahan ka nuksan utha liya. Waqaee yeh khulla nuksan hai

[12] Allah kay siwa unhen pukara kertay hain jo na unhen nuksan phoncha saken na nafa. Yehi to door daraz ki gumrahi hai

[13] Ussay pukartay hain jiss ka nuksan uss kay nafay say ziyada qareeb hai yaqeenan buray wali hain aur buray sathi

[14] eman aur nek aemaal walon ko Allah Taalaa lehren leti hui nehron wali jannaton mein ley jaye ga. Allah jo irada keray ussay ker kay rehta hai

[15] Jiss ka yeh khayal ho kay Allah Taalaa apnay rasool ki madad dono jahan mein na keray ga woh unchaee per aik rassa bandh ker (apnay halaq mein phanda daal ker apna gala ghont ley) phir dekh ley kay uss ki chalakkiyon say woh baat hat jati hai jo ussay tarpa rahi hai

[16] Hum ney issi tarah iss quran ko wazeh aayaton mein utara hai. Jissay Allah chahaye hidayat naseeb farmata hai

[17] Be-shak ehal-e-emaan aur yahoodi aur saabi aur nasrani aur majoosi aur mushtikeen inn sab kay darmiyan qayamat kay din khud Allah Taalaa faislay ker dey ga Allah Taalaa her her cheez per gawah hai

[18] Kiya tu nahi dekh raha kay Allah kay samney sajday mein hain sab aasmano walay aur sab zamino walay aur sooraj aur chand aur sitaray aur pahar aur darakht aur janwar aur boht say insan bhi. Haan boht say woh bhi hain jin per azab ka maqoola sabit ho chuka hai jisay rab zaleel ker dey ussay koi izzat deney wala nahi Allah jo chahata hai kerta hai

[19] Yeh dono apnay rab kay baray mein ikhtilaf kerney walay hain pus kafiron kay liye to aag kay kapray beywant ker katay jayen gay aur unn kay siron kay upper say sakht kholta hua pani bahaya jayega

[20] Jiss say unn kay pet ki sab cheezen aur khalen gala di jayen gi

[21] Aur unn ki saza kay liye lohay kay hathoray hain

[22] Yeh jab bhi wahan kay ghum say nikal bhagney ka irada keren gay wahin lota diye jayen gay aur (kaha jayega) jalney ka azab chakho

[23] eman walon aur nek kaam walon ko Allah Taalaa inn jannaton mein ley jayega jin kay darakhton talay say nehren lehren ley rahi hain jahan woh soney kay kanggan pehnaye jayen gay aur sachay moti bhi. Wahan unn ka libas khlis resham hoga

[24] Unn ko pakeeza baat ki rehnumaee kerdi gaee aur qabil-e-sadd tareef raah ki rehnumee kerdi gaee

[25] Jin logon ney kufur kiya aur Allah ki raah rokney lagay aur uss hurmat wali masjid say bhi jissay hum ney tamam logon kay liye masavi ker diya hai wahin kay rehney walay hon ya bahir kay hon jo bhi zulm kay sath wahan ilhaad ka irada keray hum ussay dard-naak azab chakhayen gay

[26] Aur jabkay hum ney ibrahim (alh-e-salam) ko kaba kay makan ki jagah muqarrar kerdi iss shart per kay meray sath kissi ko shareek na kerna aur meray ghar ko tawaf qayam rukoo sajda kerney walon kay liye pak saaf rakhna

[27] Aur logon mein hajj ki manadi ker dey log teray pass paa piyada bhi aayen gay aur dublay patley oonton per bhi door daraz ki tamam rahon say aayen gay

[28] Apnay faeeday hasil kerney ko aajyen aur unn muqarrara dino mein Allah ka naam yaad keren unn chopayon per jo paltoo hain pus tum aap bhi khao aur bhookay faqeeron ko bhi khilao

[29] Phir woh apna mail kuchail door keren aur apni nazren poori keren aur Allah kay qadeem ghar ka tawaf keren

[30] Yeh hai aur jo koi Allah ki hurmaton ki tazeem keray uss kay apnay liye uss kay rab kay pass behtari hai. Aur tumharay liye chopaye janwar halal ker diya gaye ba-juz unn kay jo tumharay samney biyan kiye gaye hain pus tumhen buton ki gandagi say bachtay rehna chahiye aur jhooti baat say bhi perhez kerna chahiye

[31] Allah ki toheed ko mantay huye uss kay sath kissi ko shareek na kertay huye. Suno! Allah kay sath shareek kerney wala goya aasman say gir para abb ya to ussay parinday uchak ley jayen gay ya hawa kissi door daraz ki jagah per phenk dey gi

[32] Yeh sunn liya abb aur suno! Allah ki nishaniyon ki jo izzat-o-hurmat keray uss kay dil ki perhezgari ki waja say yeh hai

[33] Inn mein tumharay liye aik muqarrara waqt tak faeeda hai phir inn kay halal honey ki jagah khan-e-kaaba hai

[34] Aur her ummat kay liye hum ney qurbani kay tareeqay muqarrar farmaye hain takay woh inn chopaye janwaron per Allah ka naam len jo Allah ney unhen dey rakhay hain. Samajh lo kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf aik hi hai tum ussi kay tabey farmaan ho jao aajzi kerney walon ko khuskhabri suna dijiye

[35] Unhen kay jab Allah ka zikar kiya jaye unn kay dil tharra jatay hain unhen jo buraee phonchay uss per sabar kertay hain namaz qaeem kerney walay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai woh uss mein say bhi detay rehtay hain

[36] Qurbani kay oont hum ney tumharay liye Allah Taalaa ki nishaniyan muqarrar ker di hain inn mein tumhen nafa hai. Pus unhen khara ker kay unn per Allah ka naam lo phir jab unn kay pehloo zamin say lag jayen ussay (khud bhi) khao aur miskeen sawal say rukney walon aur sawal kerney walon ko bhi khilao issi tarah hum ney chopayon ko tumharay ma-tehat ker diya hai kay tum shukar guzari kero

[37] Allah Taalaa ko qurbaniyon kay gosht nahi phonchtay na unn kay khoon bulkay ussay to tumharay dil ki perhezgari phonchti hai. Issi tarah Allah ney inn janwaron ko tumhara mutee ker diya hai kay tum uss ki rehnumaee kay shuriye mein uss ki baraiyan biyan kero aur nek logon ko khuskhabri suna dijiye

[38] Sunn rakho! Yaqeenan sachay momino kay duhmano ko khud Allah Taalaa hata deta hai. Koi khayanat kerney wala na shukra Allah Taalaa ko hergiz pasand nahi

[39] Jin (musalmano) say (kafir) jang ker rahey hain unhen bhi muqablay ki ijazat di jati hai kiyon kay woh mazloom hain. Be-shak unn ki madad per Allah qadir hai

[40] Yeh woh hain jinhen na-haq apnay gharon say nikala gaya sirf unn kay iss qol per ker humara perwerdigar faqat Allah hai. Agar Allah Taalaa logon ko aapas mein aik doosray say na hatata rehta to ibadat khaney aur girjay aur masjiden aur yahoodiyon kay maabad aur woh masjiden bhi dha di jaten jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor uss ki madad keray ga. Be-shak Allah Taalaa bari qooaton wala baray ghalbay wala hai

[41] Yeh woh log hain kay agar hum zamin mein inn kay paaon jama den to yeh poori pabandi say namazen qaeem keren aur zakaten den aur achay kaamon ka hukum keren aur burray kaamon say mana keren. Tamam kaamon ka anjam Allah kay ikhtiyar mein hai

[42] Agar yeh log aap ko jhutlayen (to koi tajjub ki baat nahi) to inn say pehlay nooh (alh-e-salam) ki qom aur aad aur samood

[43] Aur qom-e-ibrahim aur qom-e-loot

[44] Aur madiyan walay bhi apnay apnay nabiyon ko jhutla chukay hain. Musa (alh-e-salam) bhi jhutlaye ja chukay hain pus mein ney kafiron ko yun hi si mohlat di phir dhar dabaya phir mera azab kaisa hua

[45] Boht si bastiyan hain jinhen hum ney teh-o-bala kerdiya iss liye kay woh zalim thay pus woh apni chaton kay bal ondhi hui pari hain aur boht say abad koonwen beykaar paray hain aur boht say pakkay aur buland mehal weeran paray hain

[46] Kiya enhon ney zamin mein sair-o-sayyaahat nahi ki jo inn kay dil inn baton kay samajhney walay hotay ya kano say hi inn (waqeeyaat) ko sunn letay baat yeh hai kay sirf aankhen hi andhi nahi hotin bulkay woh dil andhay ho jatay hain jo seeno mein hain

[47] Aur azab ko aap say jaldi talab ker rahey hain Allah hergiz apna wada nahi talay ga. Haan albata aap kay rab kay nazdeek aik din tumhari ginti kay aitbar say aik hazar saal ka hai

[48] Boht si zulm kerney wali bastiyon ko mein ney dheel di phir aakhir unhen pakar liya aur meri hi taraf lot ker aana hai

[49] Ailaan kerdo kay logo! Mein tumhen khullam khulla chokanna kerney wala hi hun

[50] Pus jo eman laye hain aur jinhon ney nek amal kiye hain unn hi kay liye bakhsish hai aur izzat wali rozi

[51] Aur jo log humari nishaniyon ko pust kerney kay darpay rehtay hain wohi dozakhi hain

[52] Hum ney aap say pehlay jiss rasool aur nabi ko bheja uss kay sath yeh hua kay jab woh apnay dil mein koi aarzoo kerney laga shetan ney uss ki aarzoo mein kuch mila diya pus shetan ki milawat ko Allah Taalaa door ker deta hai phir apni baten pakki ker deta hai. Allah Taalaa dana aur ba-hikmat hai

[53] Yeh iss liye kay shetani milawat ko Allah Taalaa unn logon ki aazmaeesh ka zariya bana dey jin kay dilon mein beemari hai aur jin kay dil sakht hain. Be-shak zalim log gehri mukhalifat mein hain

[54] Aur iss liye bhi kay jinhen ilm ata farmaya gaya hai woh yaqeen kerlen kay yeh aap kay rab hi ki taraf say sirasir haq hi hai phir woh iss per eman layen aur unn kay dil uss ki taraf jhuk jayen. Yaqeenan Allah Taalaa eman daron ko raah-e-raast ki taraf rehbari kerney wala hi hai

[55] Kafir iss wahee-e-elahee mein hamesha shak-o-shuba hi kertay rahen gay hatta kay achanak unn kay saron per qayamat aajaye ya unn kay pass uss din ka azab aajaye jo manhoos hai

[56] Uss din sirf Allah hi ki badshaat hogi wohi unn mein faislay farmaye ga. eman aur nek amal walay to nematon say bhari jannaton mein hongay

[57] Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton ko jhutlaya unn kay liye zaleel kerney walay azab hain

[58] Aur jin logon ney raah-e-khuda mein tarq-e-watan kiya phir woh shaheed ker diye gaye ya apni maut marr gaye Allah Taalaa unhen behtareen rizq ata farmaye ga. Aur be-shak Allah Taalaa rozi denay walon mein sab say behtar hai

[59] Unhen Allah Taalaa aisi jagah phonchaye ga kay woh iss say razi ho jayen gay be-shak Allah Taalaa ilm aur burdbari wala hai

[60] Baat yehi hai aur jiss ney badla liya ussi kay barabar jo uss kay sath kiya gaya tha phir agar uss say ziyadti ki jaye to yaqeenan Allah Taalaa khud uss ki madad farmaye ga. Be-shak Allah darguzar kerney wala bakshney wala hai

[61] Yeh iss liye kay Allah raat ko din mein dakhil kerta hai aur din ko raat mein dakhil kerta hai aur be-shak Allah sunnay wala dekhney wala hai

[62] Yeh sab iss liye kay Allah hi haq hai aur uss kay siwa jisay bhi yeh pukartay hain woh batil hai aur be-shak Allah hi bulandi wlaa kibriyaee wala hai

[63] Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman say pani barsata hai pus zamin sirsabz ho jati hai. Be-shak Allah Taalaa meharban aur ba-khabar hai

[64] Aasman aur zamin mein jo kuch hai ussi ka hai aur yaqeenan Allah wohi hai bey niaz tareefon wala

[65] Kiya aap ney nahi dekha kay Allah hi ney zamin ki tamam cheezen tumharay liye musakkhar ker di hain aur uss kay farmaan say pani mein chalti hui kashtiyan bhi. Wohi aasaman ko thamay huye hai kay zamin per uss ki ijazat kay baghair girr na paray be-shak Allah Taalaa logon per shafqat-o-narmi kerney wala aur meharban hai

[66] Ussi ney tumhen zindagi bakhshi phir wohi tumhen maar daley ga phir wohi tumhen zinda keray ga be-shak insan albatta na shukra hai

[67] Her ummat kay liye hum ney ibadat ka aik tareeqa muqarrar ker diya hai jissay woh baja laney walay hain pus enhen iss amar mein aap say jhagra na kerna chahiye aap apnay perwerdigar ki taraf logon ko buliye. Yaqeenan aap theek hidayat per hi hain

[68] Phir bhi agar yeh log aap say ulajhney lagen to aap keh den kay tumhary aemaal say Allah ba-khoobi waqif hai

[69] Be-shak tumharay sab kay ikhtilaf ka faisla qayamat walay din Allah Taalaa aap keray ga

[70] Kiya aap ney nahi jana kay aasman-o-zamin ki her cheez Allah kay ilm mein hai. Yeh sab likhi hui kitab mein mehfooz hai. Allah Taalaa per to yeh amar bilkul aasan hai

[71] Aur yeh Allah kay siwa unn ki ibadat ker rahey hain jiss ki koi khudaee daleel nazil nahi hui na woh khud hi iss ka koi ilm rakhtay hain. Zalimon ka koi madadgar nahi

[72] Jab inn kay samney humaray kalaam ki khulli hui aayaton ki tilawat ki jati hai to aap kafiron kay chehron per na khushi kay saaf aasaar pehchan letay hain. Woh to qareeb hotay hain kay humari aayaten sunaney walon per hamla ker bethen keh dijiye kay kiya mein tumhen iss say bhi ziyada bad tar khabar doon. Woh aag hai jiss ka wada Allah ney kafiron say ker rakha hai aur woh boht hi buri jagah hai

[73] Logo! Aik misal biyan ki jarahi hai zara kaan laga ker suno! Allah kay siwa jin jin ko tum pukartay ho woh aik makkhi bhi to peda nahi ker saktay go saray kay saray hi jama ho jayen bulkay agar makkhi unn say koi cheez ley bhagay to yeh to ussay bhi uss say cheen nahi saktay bara boda hai talab kerney wala aur bara boda hai woh jiss say talab kiya jaraha hai

[74] Unhon ney Allah kay martabay kay mutabiq uss ki qadar jani hi nahi Allah Taalaa bara hi zor-o-qooat wala aur ghalib-o-zabardast hai

[75] Farishton mein say aur insano mein say payghaam phonchney walon ko Allah hi chaant leta hai be-shak Allah Taalaa sunnay wala dekhney wala hai

[76] Woh ba-khoobi janta hai jo kuch inn kay aagay hai aur jo kuch inn kay peechay hai aur Allah hi ki taraf sab kaam lotaye jatay hain

[77] Aey eman walo! Rukoo sajda ketay raho aur apnay perwerdigar ki ibadat mein lagay raho aur nek kaam kertay raho takay tum kaamyaab hojao

[78] Aur Allah ki raah mein wesa hi jihad kero jesay jihad ka haq hai ussi ney tumhen bargazeedah banaya hai aur tum per deen kay baray mein koi tangi nahi daali deen apnay baap ibrahim (alh-e-salam) ka qaeem rakho ussi Allah ney tumhara naam musalman rakha hai iss quran say pehlay aur iss mein bhi takay payghumbar tum per gawah hojaye aur tum tamam logon kay gawah bann jao. Pus tumhen chahiye kay namazen qaeen rakho aur zakat ada kertay raho aur Allah ko mazboor thaam lo wohi tumhara wali aur malik hai. Pus kiya hi acha malik hai aur kitna hi behtar madadgar hai

المومنون

Surah 23

[1] Yaqeenan eman walon ney falah hasil kerli

[2] Jo aoni namaz mein khusoo kertay hain

[3] Jo laghwiyaat say mun mor letay hain

[4] Jo zakat ada kerney walay hain

[5] Jo apni sharamghaon ki hifazat kerney walay hain

[6] Ba-juz apni biwiyon aur milkiyat ki londiyon kay yaqeenan yeh mala matiyon mein say nahi hain

[7] Jo iss kay siwa kuch aur chahayen wohi hadd say tajawuz ker janey walay hain

[8] Jo apni amanaton aur waday ki hifazat kerney walay hain

[9] Jo apni namazon ki nigehbani kertay hain

[10] Yehi waris hain

[11] Jo firdous kay waris hongay jahan woh hamesha rahen gay

[12] Yaqeenan hum ney insan ko mitti kay johar say peda kiya

[13] Phir ussay nutfa bana ker mehfooz jagah mein qarar dey diya

[14] Phir nutfay ko hum ney jama hua khoon bana diya phir uss khoon kay lothray ko gosht ka tukra ker diya. Phir gosht kay tukray ko haddiyan bana den phir haddiyon ko hum ney gosht pehna diya phir doosri banawat mein uss ko peda ker diya. Barkaton wala hai woh Allah jo sab say behtareen peda kerney wala hai

[15] Iss kay baad phir tum sab yaqeenan marr janey walay ho

[16] Phir qayamat kay din bila shuba tum sab uthaye jaogay

[17] Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain

[18] Hum aik sahih andaz say aasman say paani barsatay hain phir ussay zamin mein thehra detay hain aur hum uss kay ley janey per yaqeena qadir hain

[19] Issi pani kay zariyey say hum tumharay liye khajooron aur angooron kay baghaat peda ker detay hain kay tumharay liye inn mein boht say meway hotay hain enhi mein say tum khatay bhi ho

[20] Aru woh darakht jo toor-e-seena pahar say nikalta hai jo tel nikalta hai aur khaney walay kay liye salan hai

[21] Tumhray liye chopayon mein bhi boht bari bhari ibrat hai. inn kay peton mein say hum doodh pilatay hain aur bhi boht say nafay tumharay liye inn mein hain inn mein say baaz baaz ko tum khatay bhi ho

[22] Aur inn per aur kashtiyon per tum sawar keraye jatay ho

[23] Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja uss ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi kiya tum (uss say) nahi dartay

[24] Uss ki qom kay kafir sardaron ney saaf keh diya kay yeh to tum jesa hi insan hai yeh tum per fazeelat aur baraee hasil kerna chahata hai. Agar Allah hi ko manzoor hota to kissi farishtay ko utarta hum ney to issay apnay aglay baap dadon kay zamaney mein suna hi nahi

[25] Yaqeenan iss shaks ko junoon hai pus tum issay aik waqt-e-muqarrara tak dheel do

[26] Nooh (alh-e-salam) ney dua ki aey meray rab! Inn kay jhutlaney per tu meri madad farma

[27] To hum ney unn ki taraf wahee bheji kay tu humari aankhon kay samney humari wahee kay mutabiq aik kashti bana. Jab humara hukum aajaye aur tanoor ubal paray to tu her qisam ka aik aik jora iss mein rakh ley aur apnay ehal ko bhi magar inn mein say jin ki babat humari baat pehaly guzar chuki hai. Khabardar jin logon ney zulm kiya hai unn kay baray mein mujh say kuch kalaam na kerna woh to sab doboye jayen gay

[28] Jab tu aur teray sathi kashti per ba-itminaan betha jao to kehna sab tareef Allah kay liye hi hai jiss ney humen zalim logon say nijat ata farmaee

[29] Aur kehna kay aey meray rab! Mujhay ba-barkat utarna utaar aur tu hi behtar hai utarney walon mein

[30] Yaqeenan iss mein bari bari nishaniyan hain aur hum be-shak aazmaeesh kerney walay hain

[31] Inn kay baad hum ney aur bhi ummat peda ki

[32] Phir unn mein khud unn mein say (hi) rasool bhi bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi tum kiyon nahi dartay

[33] Aur sardaraan-e-qom ney jawab diya jo kufur kertay thay aur aakhirat ki mulaqat ko jhutlatay thay aur hum ney unhen dunyawi zindagi mein khushal ker rakha tha kay yeh to tum jesa hi insan hai tumhari hi khooraq yeh bhi khata hai aur tumharay peenay ka pani hi yeh bhi peeta hai

[34] Agar tum ney apnay jesay hi insan ki tabeydari kerli to be-shak tum sakht khasaray walay ho

[35] Kiya yeh tumhen iss baat ka wada kerta hai kay jab tum marr ker sirf khak aur haddi reh jaogay to tum phir zinda kiye jaogay

[36] Nahi nahi door aur boht door hai woh jiss ka tum wada diye jatay ho

[37] (zindagi) to sirf duniya ki zindagi hai hum martay jeetay rehtay hain aur yeh nahi kay hum phir uthaye jayen gay

[38] Yeh to bus aisa shaks hai jiss ney Allah per jhoot (bohtaan) bandh liya hai hum to iss per eman laney walay nahi hain

[39] Nabi ney dua ki kay perwerdigar! Inn kay jhutlaney per tu meri madad ker

[40] Jawab mila kay yeh to boht hi jald apnay kiye per pachtaney lagen gay

[41] Bil-aakhir adal kay taqazay kay mutabiq cheekh ney pakar liya aur hum ney unhen koora karkat ker dala pus zalimon kay liye doori ho

[42] Inn kay baad hum ney aur bhi boht si ummaten peda kin

[43] Na to koi ummat apnay waqt-e-muqarrara say aagey barhi aur na peechay rahi

[44] Phir hum ney lagataar rasool bhejay jab jab jiss ummat kay pass uss ka rasool aaya uss ney jhutlaya pus hum ney aik ko doosray kay peechay laga diya aur unhen afsana bana diya. Unn logon ko doori ho jo eman qabool nahi kertay

[45] Phir hum ney musa (alh-e-salam) ko aur uss kay bhai haroon (alh-e-salam) ko apni aayaton aur khulli daleel kay sath bheja

[46] Firaon aur uss kay lashkaron ki taraf pus unhon ney takabbur kiya aur thay hi woh sirkash log

[47] Kehney lagay kay kiya hum apnay jesay do shakhson per eman aayen? Halankay khud unn ki qom (bhi) humaray ma-tehat hai

[48] Pus unhon ney unn dono ko jhutlaya aakhir woh bhi halak shuda logon mein mill gaye

[49] Hum ney to musa (alh-e-salam) ko kitab (bhi) di kay log raah-e-raast per aajyen

[50] Hum ney ibn-e-marium aur uss ki walida ko aik nishani banaya aur unn dono ko buland saaf qarar wali aur jari pani wali jagah mein panah di

[51] Aey payghumbaron! Halal cheez khao aur nek amal kero tum jo kuch ker rahey ho uss say mein ba-khoobi waqif hun

[52] Yaqeenan tumhara yeh deen aik hi deen hai aur mein hi tum sab ka rab hun pus tum mujh say dartay raho

[53] Phir unhon ney khud (hi) apnay amar (deen) kay aapas mein tukray tukray ker liye her giroh jo kuch uss kay pass hai ussi per itra raha hai

[54] Pus aap (bhi) enhen unn ki ghaflat mein hi kuch muddat para rehney den

[55] Kiya yeh (yun) samajh bethay hain? Kay hum jo bhi inn kay maal-o-aulad barha rahey hain

[56] Woh inn kay liye bhalayion mein jaldi ker rahey hain (nahi nahi) bulkay yeh samajhtay hi nahi

[57] Yaqeenan jo log apnay rab ki haibat say dartay hain

[58] Aur jo apnay rab ki aayaton per eman rakhtay hain

[59] Aur jo apnay rab kay sath kissi ko shareek nahi kertay

[60] Aur jo log detay hain jo kuch detay hain aur unn kay dil kapkapatay hain kay woh apnay rab ki taraf lotney walay hain

[61] Yehi hain jo jaldi jaldi bhalaiyan hasil ker rahey hain aur yehi hain jo inn ki taraf dor janey walay hain

[62] Hum kissi nafs ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay aur humaray pass aisi kitab hai jo haq kay sath bolti hai inn kay upper kuch bhi zulm na kiya jayega

[63] Bulkay inn kay dil iss taraf say ghaflat mein hain aur inn kay liye iss kay siwa bhi boht say aemaal hain jinehn woh kerney walay hain

[64] Yahan tak kay jab hum ney inn kay asooda haal logon ko azab mein pakar liya to woh bilbilaney lagay

[65] Aaj mat bilbilao yaqeenan tum humaray muqabley per madad na kiye jao gay

[66] Meri aayaten tumharay samney parhi jati thin phir tum apni airhiyon kay bal ultay bhagtay thay

[67] Akartay eenthtay afsana goi kertay issay chor detay thay

[68] Kiya enhon ney iss baat mein ghor-o-fiker hi nahi kiya? Bulkay inn kay pass woh aaya jo inn kay aglay baap dadon kay pass nahi aaya tha

[69] Ya enhon ney apnay payghubar ko pehchana nahi kay iss kay munkir ho rahey hain

[70] Ya yeh kehtay hain issay junoon hai? Bulkey woh to inn kay pass haq laya hai. Haan inn mein aksar haq say chirney walay hain

[71] Agar haq hi inn ki khuwaishon ka pairo ho jaye to zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez darhum barhum hojaye. Haq to yeh hai kay hum ney enhen unn ki naseehat phoncha di hai lekin woh apni naseehat say mun morney walay hain

[72] Kiya aap inn say koi ujrat chahatay hain? Yaad rakhiye kay aap kay rab ki ujrat boht hi behtar hai aur woh sab say behtar rozi rasan hai

[73] Yaqeenan aap to enhen raah-e-raast ki taraf bula rahey hain

[74] Be-shak jo log aakhirat per yaqeen nahi rakhtay who seedhay rastay say murr janey walay hain

[75] Aur agar hum inn per raham farmayen aur inn ki takleef door ker den to yeh to apni apni sirkashi mein jamm ker aur behakney lagen

[76] Aur hum ney enhen azab mein bhi pakra ta-hum yeh log na to apnay perwerdigar kay samney jhukay aur na hi aajzi ikhtiyar ki

[77] Yahan tak kay jab hum ney inn per sakht azab ka darwaza khol diya to ussi waqt foran mayyus hogaye

[78] Woh Allah hai jiss ney tumharay liye kaan aur aankhen aur dil pehda kiye magar tum boht (hi) kum shukar kertay ho

[79] Aur wohi hai jiss ney tumhen peda ker kay zamin mein phela diya aur ussi ki taraf tum jama kiye jaogay

[80] Aur wohi hai jo jilata aur maarta hai aur raat din kay rad-o-badal ka mukhtar bhi wohi hai. Kiya tum ko samajh boojh nahi

[81] Bulkay inn logon ney bhi wesi hi baat kahi jo aglay kehtay chalay aaye

[82] Kay kiya jab hum marr ker mitti aur haddi hojayen gay kiya phir bhi hum zaroor uthaye jayen gay

[83] Hum say aur humaray baap dadon say pehlay hi say yeh wada hota chala aaya hai kuch nahi yeh to sirf aglay logon kay afsaney hain

[84] Poochiye to sahih kay zamin aur iss ki kul cheezen kiss ki hain? Batlao agar tum jantay ho

[85] Foran jawab den gay kay Allah ki keh dijiye kay phir tum naseehat kiyon nahi hasil kertay

[86] Daryaft kijiye kay saaton aasmano ka aur boht ba-azmat arsh ka rab kaun hai

[87] Woh log jawab den gay kay Allah hi hai. Keh dijiye! kay phir tum kiyon nahi dartay

[88] Poochiye kay tamam cheezon ka ikhtiyar kiss kay hath mein hai? Jo panah deta hai aur jiss kay muqablay mein koi panah nahi diya jata agar tum jantay ho to batla do

[89] Yehi jawab den gay kay Allah hi hai. Keh dijiye phir tum kidhar say jadoo ker diye jatay ho

[90] Haq yeh hai kay hum ney unhen haq phoncha diya hai aur yeh be-shak jhootay hain

[91] Na to Allah ney kissi ko beta banaya aur na uss kay sath aur koi mabood hai werna her mabood apni makhlooq ko liye liye phirta aur her aik doosray per charh dorta. Jo osaaf yeh batlatay hain unn say Allah pak (aur bey-niaz) hai

[92] Woh ghaeeb hazir ka jannay wala hai aur jo shirk yeh kertay hain uss say bala tar hai

[93] Aap dua keren kay aey meray perwerdigar! Agar tu mujhay woh dikhaye jiss ka wada enhen diya jaraha hai

[94] To aey rab! Tu mujhay inn zlimon kay giroh mein na kerna

[95] Hum jo kuch waday enhen dey rahey hain sab aap ko dikha denay per yaqeenan qadir hain

[96] Buraee ko iss tareeqay say door keren jo sirasir bhalaee wala ho jo kuch yeh biyan kertay hain hum ba-khoobi waqif hain

[97] Aur dua keren kay aey meray perwerdigar! Mein shetano kay waswason say teri panah chahata hun

[98] Aur aey rab! Mein teri panah chahata hun kay woh meray pass aajayen

[99] Yahan tak kay jab inn mein say kissi ko maut aaney lagti hai to kehta hai aey meray perwerdigar! Mujhay wapis lota dey

[100] Kay apni chori hui duniya mein jaa ker nek aemaal ker loon hergiz aisa nahi hoga yeh to sirf aik qol hai jiss ka yeh qaeel hai inn kay pas-e-pusht to aik hijab hai inn kay doobara ji uthney kay din tak

[101] Pus jab kay soor phoonk diya jayega uss din na to aapas kay rishtay hi rahen gay na aapas ki pooch gooch

[102] Jin ki tarazoo ka palla bhari hogaya woh to nijat walay hogaye

[103] Aur jin kay tarazoo ka palla halka hogaya yeh hain woh jinhon ney apna nuksan aap ker liya jo hamesha kay liye jahannum wasil huye

[104] Unn kay chehron ko aag jhulasti rahey gi aur woh wahan bad-shakal banay huye hongay

[105] Kiya meri aayaten tumharay samney tilawat nahi ki jati thin? Phir bhi tum enhen jhutlatay thay

[106] Kahen gay kay aey perwerdigar! Humari bad-bakhti hum per ghalib aagaee (waqaee) hum thay hi gumrah

[107] Aey humaray perwerdigar! Humen yahan say nijat dey agar abb hi hum aisa hi keren to be-shak hum zalim hain

[108] Allah Taalaa farmaye ga phitkaray huye yahin paray raho aur mujh say kalaam na kero

[109] Meray bando ki aik jamat thi jo barbar yehi kehti rahi kay aey humaray perwerdigar! Hum eman laa chukay hain tum humen bakhsh aur hum per reham farma to sab meharbano say ziyada meharbaan hai

[110] (lekin) tum enhen mazaq mein hi uratay rahey yahan tak kay (iss mashghalay ney) tum ko meri yaad (bhi) bhula di aur tum inn say mazaq hi kertay rahey

[111] Mein ney aaj enhen inn kay uss sabar ka badla dey diya hai kay woh khatir khua apni murad ko phonch chukay hain

[112] Allah Taalaa daryaft farmaye ga kay tum zamin mein ba-aitbar barson ki ginti kiss qadar rahey

[113] Woh kahen gay aik din ya aik din say bhi kum ginti ginnay walon say bhi pooch lijiye

[114] Allah Taalaa farmaye ga fil-waqey tum wahan boht hi kum rahey ho aey kaash! Tum issay pehaly hi say jaan letay

[115] Kiya tum yeh gumaan kiye huye ho kay hum ney tumhen yunhi beykaar peda kiya hai aur yeh kay tum humari taraf lotaye hi na jao gay

[116] Allah Taalaa sacha badshah hai woh bari bulandi wala hai uss ka siwa koi mabood nahi wohi buzurg arsh ka malik hai

[117] Jo shaks Allah kay sath kissi doosray mabood ko pukaray jiss ki koi daleel uss kay pass nahi pus uss ka hisab to uss kay rab kay upper hi hai. Be-shak kafir log nijat say mehroom hain

[118] Aur kaho kay aey meray rab! Tu bakhsh aur reham ker aur tu sab meharbano say behtar meharbani kerney wala hai

النور

Surah 24

[1] Yeh hai woh surat jo hum ney nazil farmaee hai aur muqarrar ker di hai aur jiss mein hum ney khulli aayaten (ehkaam) utaray hain takay tum yaad rakho

[2] Zina kaar aurat-o-mard mein say her aik ko so koray lagao. Inn per Allah ki shareeat ki hadd jari kertay huye tumhen hergiz tars na khana chahaye agar tumhen Allah per aur qayamat kay din per eman ho. Inn ki saza kay waqt musalmano ki aik jamatmojood honi chahaye

[3] Zaani mard ba-juz zaaniya ya mushrika aurat kay aur say nikah nahi kerta aur zina kaar aurat bhi bajuz zaani ya mushrik mard kay aur nikah nahi kerti aur eman walon per yeh haram ker diya gaya

[4] Jo log pak daman aurton per zina ki tohmat lagayen phir char gawah na paish ker saken to unhen assi koray lagao aur kabhi bhi unn ki gawahee qabool na kero. Yeh fasiq log hain

[5] Haan jo log iss kay baad toba aur islah ker len to Allah Taalaa bakshney wala aur meharbani kerney wala hai

[6] Jo log apni biwiyon per bad-kaari ki tohmat lagayen aur unn ka koi gawah ba-juz khud unn ki zaat kay na ho to aisay logon mein say her aik ka saboot yeh hai kay char martaba Allah ki qasam kha ker kahen kay woh sachon mein say hain

[7] Aur paanchwen martaba kahey kay uss per Allah ki lanat ho agar woh jhooton mein say ho

[8] Aur uss aurat say saza iss tarah door hosakti hai kay woh char martaba Allah ki qasam kha ker kahey kay yaqeenan iss ka mard jhoot bolney walon mein say hai

[9] Aur paanchwen dafa kahey kay uss per Allah Taalaa ka azab ho agar uss ka khawind sachon mein say ho

[10] Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota (to tum per mushaqqat utarti) aur Allah Taalaa toba qabool kerney wala ba-hikmat hai

[11] Jo log yeh boht bara bohtan bandh laye hain yeh bhi tum mein say hi aik giroh hai. Tum issay apnay liye bura na samjho bulkay yeh to tumharay haq mein behtar hai. Haan inn mein say her aik shaks per itna gunah hai jitna uss ney kamaya hai aur inn mein say jiss ney iss kay boht baray hissay ko sir anjam diya hai uss kay liye azab bhi boht hi bara hai

[12] Issay suntay hi momin mard-o-aurton ney apnay haq mein nek gumani kiyon na ki aur kiyon na keh diya kay yeh to khullam khulla sareeh bohtan hai

[13] Woh iss per char gawah kiyon na laye? Aur jab gawah nahi laye to yeh bohtan baaz log yaqeenan Allah kay nazdeek mehaz jhootay hain

[14] Agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per duniya aur aakhirat mein na hota to yaqeenan tum ney jiss baat kay charchay shuroo ker rakhay thay iss baray mein tumhen boht bara azab phonchta

[15] Jabkay tum issay apni zabano say naqal dar naqal kerney lagay aur apnay mun say woh baat nikalney lagay jiss ki tumhen mutlaq khabar na thi go tum issay halki baat samajhtay rahey lekin Allah Taalaa kay nazdeek woh boht bari baat thi

[16] Tum ney aisi baat ko suntay hi kiyon na keh diya kay humen aisi baat mun say nikalni bhi laeeq nahi. Ya-Allah! Tu pak hai yeh to boht bara bohtan hai aur tohmat hai

[17] Allah Taalaa tumhen naseehat kerta hai kay phir kabhi bhi aisa kaam na kerna agar tum sachay momin ho

[18] Allah Taalaa tumharay samney apni aayaten biyan farma raha hai aur Allah Taalaa ilm-o-hikmat wala hai

[19] Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay

[20] Agar tum per Allah Taalaa ka fazal aur uss ki rehmat na hoti aur yeh bhi kay Allah Taalaa bari shafqat rakhney wala meharban hai. (to tum per azab utar jata)

[21] eman walo! Shetan kay qadam-ba-qadam na chalo. Jo shaks shetani qadmon ki pairwee keray to woh to bey hayaee aur buray kaamon ka hi hukum keray ga. Aur agar Allah Taalaa ka fazal-o-karam tum per na hota to tum mein say koi bhi kabhi bhi pak saaf na hota. Lekin Allah Taalaa jissay pak kerna chahaye ker deta hai aur Allah sab sunnay wala sab jannay wala hai

[22] Tum mein say jo buzurgi aur kushadgi walay hain unhen apnay qarabat daron aur miskeeno aur mohajiron ko fi sabeelillah denay say qasam na kha leni chahaye bulkay moaf ker dena aur dar-guzar ker lena chahaye. Kiya tum nahi chahtay kay Allah Taalaa tumharay qasoor moaf farma dey? Allah qasooron ko moaf farmaney wala meharban hai

[23] Jo log pak daman bholi bhali ba-emaan aurton per tohmat lagatay hain woh duniya-o-aakhirat mein malaoon hain aur unn kay liye bara bhari azab hai

[24] Jabkay unn kay muqablay mein unn ki zabaney aur unn kay hath paon unn kay aemaal ki gawahee den gay

[25] Uss din Allah Taalaa unhen poora poora badla haq-o-insaf kay sath dey ga aur woh jaan len gay kay Allah Taalaa hi haq hai (aur wohi) zahir kerney wala hai

[26] Khabees aurten khabees mardon kay laeeq hain aur khabees mard khabees aurton kay laeeq hain aur pak aurten pak mardon kay laqeeq hain aur pak mard pak aurton kay laeeq hain. Aisay pak logon kay mutalliq jo kuch bakwas (bohtan baaz) ker rahey hain woh inn say bilkul bari hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat wali rozi

[27] Aey eman walo! Apnay gharon kay siwa aur gharon mein na jao jab tak kay ijazat na ley lo aur wahan kay rehney walon ko salam na kerlo yehi tumharay liye sara sir behtar hai takay tum naseehat hasil kero

[28] Agar wahan tumhen koi bhi na mill sakay to phir ijazat milay baghair andar na jao. Aur agar tum say lot janey ko kaha jaye to tum lot hi jao yehi baat tumharay liye pakeeza hai jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa khoob janta hai

[29] Haan ghair abad gharon mein jahan tumhara koi faeeda ya asbaab ho janey mein tum per koi gunah nahi. Tum jo kuch bhi zahir kertay ho aur jo chupatay ho Allah Taalaa sab kuch janta hai

[30] Musalman mardon say kaho apni nigahen neechi rakhen aur apni sharam gahon ki hifazat rakhen. Yeh hi unn kay liye pakeezgi hai log jo kuch keren Allah Taalaa sab say khabra daar hai

[31] Musalman aurton say kaho kay woh bhi apni nigahen neechi rakhen aur apni ismat mein farq na aaney den aur apni zeenat ko zahir na keren siwaye uss kay hi zahir hai aur apnay girbano per apni orhniyan dalay rahen aur apni aaraeesh ko kissi kay samney zahir na kerensiwaye apnay khawindo kay ya apnay walid kay ya apnay khusar kay ya apnay larkon kay ya apnay khawind kay larkon kay ya apnay bhaiyon kay ya apnay bhatijon kay ya apnay bhanjon kay ya apnay mail jol ki aurton kay ya ghulamon kay ya aisay naukar chaakar mardon kay jo shewat walay na hon ya aisay bachon kay jo aurton kay parday ki baaton kay baray mein mutlaa nahi.aur iss tarah zor zor say paon maar ker na chalen kay unn ki posheeda zeenat maloom ho jaye aey musalmano! Tum sab kay sab Allah ki janab mein toba kero takay tum nijat pao

[32] Tum mein say jo mard-o-aurat bey nikah kay hon unn ka nikah ker do aur apnay nek bakht ghulamon aur londiyon ka bhi agar woh muflis bhi hongay to Allah Taalaa unhen apnay fazal say ghani ker bana dey ga. Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai

[33] Aur unn logon ko pak daman rehna chahaye jo apna nikah kerney ka maqdoor nahi rakhtay yahan tak kay Allah Taalaa unhen apnay fazal say maal daar bana dey tumharay ghulamon mein say jo koi kuch tumhen dey ker azadi ki tehreer kerani chahaye to tum aisi tehreer unhen ker diya kero agar tum ko inn mein koi bhalaee nazar aati ho aur Allah ney jo maal tumhen dey rakha hai uss mein sya unhen bhi do tumhari jo londiyan pak daman rehna chahati hain unhen duniya ki zindagi kay faeeday ki gharaz say bad-kaari per majboor na kero aur jo unhen majboor ker dey to Allah Taalaa unn per jabar kay baad bakhsish denay wala aur meharbaani kerney wala hai

[34] Hum ney tumhari taraf khulli aur roshan aayaten utar di hain aur unn logon ki kahwaten jo tum say pehlay guzar chukay hain aur perhezgaron kay liye naseehat

[35] Allah noor hai aasmanon ka aur zamin ka uss kay noor ki misal misil aik taaq kay hai jiss mein chiragh ho aur chiragh seeshay ki qandeel mein ho aur seesha misil chamaktay huye roshan sitaray kay ho woh chiragh aik ba-barkat darakht zaitoon kay tel say jalaya jata ho jo darakht na mashriqi hai na maghribi khud woh tel qareeb hai kay aap hi roshni denay lagay agarcheh ussay aag na bhi chuye noor per noor hai Allah Taalaa apnay noor ki taraf rehnumaee kerta hai jissay chahaye logon (kay samjhaney) ko yeh misalen Allah Taalaa biyan farma raha hai aur Allah Taalaa her cheez kay haal say bakhoobi waqif hai

[36] Unn gharon mein jin kay buland kerney aur jin mein apnay naam ki yaad ka Allah Taalaa ney hukum diya hai wahan subha-o-shaam Allah Taalaa ki tasbeeh biyan kertay hain

[37] Aisay log jinhen tijarat aur khareed-o-farokht Allah kay zikar say aur namaz kay qaeem kerney aur zakat ada kerney say ghafil nahi kerti uss din say dartay hain jiss din boht say dil aur boht si aankhen ulat pulat hojyen gi

[38] Iss iraday say kay Allah unhen unn kay aemaal ka behtareen badla dey bulkay apnay fazal say aur kuch ziyadti ata faramye. Allah Taalaa jissay chahaye bey shumaar roziyan deta hai

[39] Aur kafiron kay aemaal misil uss chamakti hui rait kay hain jo chatyal maidan mein ho jissay piyasa shaks door say pani samjhta hai lekin jab uss kay pass phonchta hai to ussay kuch bhi nahi pata haan Allah ko apnay pass pata hai jo uss ka hisab poora poora chuka deta hai. Allah boht jald hisab ker denay wala hai

[40] Ya misil unn andheron kay hai jo nihayat gehray samandar ki teh mein hon jissay upper talay ki mojon ney dhaanp rakha ho phir upper say badal chaye huye hon. Al-gharz andheriyan hain jo upper talay pay dar pay hain. Jab apna hath nikalay to ussay bhi qareeb hai kay na dekh sakay aur (baat yeh hai kay) jissay Allah Taalaa hi noor na dey uss kay pass koi roshni nahi hoti

[41] Kiya aap ney nahi dekha kay aasmano aur zamin ki kul makhlooq aur par phelaye urney walay kul parind Allah ki tasbeeh mein masghool hain. Her aik ki namaz aur tasbeeh ussay maloom hai log jo kuch keren uss say Allah bakhoobi waqif hai

[42] Zamin-o-aasman ki badshaat Allah hi ki hai aur Allah Taalaa hi ki taraf lotna hai

[43] Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa badlon ko chalata hai phir unhen milata hai phir unhen teh ba teh ker deta hai phir aap dekhtay hain kay unn kay darmiyan mein say meenh barasta hai. Wohi aasman ki janib say olon kay pahar mein say olay barsata hai phir jinhen chahaye unn kay pass unhen barsaye aur jin say chahaye unn say enhen hata dey.Badal hi say nikalney wali bijli ki chamak aisi hoti hai kay goya abb aankhon ki roshni ley chali

[44] Allah Taalaa hi din aur raat ko rad-o-badal kerta rehta hai aankhon walon kay liye to iss mein yaqeenan bari bari ibraten hain

[45] Tamam kay tamam chalney phirney walay jaandaaron ko Allah Taalaa hi ney pani say peda kiya hai inn mein say baaz to apnay pet kay bal chaltay hain baaz do paon per chaltay hain. Baaz char paon per chaltay hain Allah Taalaa jo chahata hai peda kerta hai. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[46] Bila shak-o-shuba hum ney roshan aur wazeh aayaten utar di hain Allah Taalaa jissay chahaye seedhi raah dikha deta hai

[47] Aur kehtay hain kay hum Allah Taalaa aur rasool per eman laye aur faman bardaar huye phir unn mein say aik firqa iss kay baad bhi phir jata hai. Yeh eman walay hain (hi) nahi

[48] Jab yeh iss baat ki taraf bulaye jatay hain kay Allah aur iss ka rasool unn kay jharay chuka dey to bhi inn ki aik jamat mun morney wali bann jati hai

[49] Haan agar inhi ko haq phonchta ho to mutee-o-farma bardaar ho ker iss ki taraf chalay aatay hain

[50] Kiya inn kay dilon mein beemari hai? Ya yeh shak-o-shuba mein paray huye hain? Ya enhen iss baat ka darr hai kay Allah Taalaa aur uss ka rasool inn ki haq talfi na keren? Baat yeh hai kay yeh log khud hi baray zalim hain

[51] eman walon ka qol to yeh hai kay jab unhen iss liye bulaya jata hai kay Allah aur iss ka rasool inn mein faisal ker dey to woh kehtay hain kay hum ney suna aur maan liya. Yehi log kaamyaab honey walay hain

[52] Jo bhi Allah Taalaa ki uss kay rasool ki farman bardaari keren khof-e-elahee rakhen aur uss kay azabon say dartay rahen wohi nijat paney walay hain

[53] Bari pukhtagi kay sath Allah Taalaa ki qasmen kha kha ker kehtay hain kay aap ka hukum hotay hi nikal kharay hongay. Keh dijiy kay bus qasmen na khao (tumhari) ita’at ki haqeeqat maloom hai. Jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa uss say ba-khabar hai

[54] Keh dijiye kay Allah Taalaa ka hukum mano rasoolullah ki ita’at kero phir bhi agar tum ney roo gardani ki to rasool kay zimmay to sirf wohi hai jo iss per lazim ker diya gaya hai aur tum per iss ki jawab dahee hai jo tum per rakha gaya hai hidayat to tumhen ussi waqt milay gi jab rasool ki ma-tehati kero. Suno rasool kay zimmay to sirf saaf tor per phoncha dena hai

[55] Tum mein say unn logon say jo eman laye hain aur nek aemaal kiye hain Allah Taalaa wada farma chuka hai kay unhen zaroor zamin mein khalifa banaye ga jaisay kay unn logon ko khalifa banaya tha jo inn say pehlay thay aur yaqeenan inn kay liye inn kay iss deen ko mazbooti kay sath mohkum ker kay jama dey ga jissay unn kay liye woh pasand farma chuka hai aur inn kay iss khof-o-khatar ko woh aman-o-amaan mein badal dey ga woh meri ibadat keren gay meray sath kissi ko bhi shareek na therayen gay. Iss kay baad bhi jo log na-shukri aur kufur keren yaqeenan fasiq hain

[56] Namaz ki pabandi kero zakat ada kero aur Allah Taalaa kay rasool ki farman bardaari mein lagay raho takay tum per reham kiya jaye

[57] Yeh khayal kabhi bhi na kerna kay munkir log zamin mein (idhar udhar bhaag ker) humen hara denay walay hain inn ka asli thikana to jahannum hai jo yaqeenan boht hi bura thikana hai

[58] eman walo! Tum say tumhari milkiyat kay ghulamon ko aur unhen bhi jo tum mein say balooghat ko na phonchay hon (apnay aaney ki) teen waqton mein ijazat hasil kerni zaroori hai. Namaz-e-fajar say pehlay aur zohar kay waqt jab kay tum apnay kapray utar rakhtay ho aur isha ki namaz kay baad yeh teeno waqt tumhari (khilwat) aur parday kay hain. Inn waqton kay ma-siwa na to tum per koi gunah hai na unn per. Tum sab aapas mein aik doosray kay pass ba-kasrat aaney janey walay ho (hi) Allah iss tarah khol khol ker apnay ehkaam tum say biyan farma raha hai. Allah Taalaa pooray ilm aur kamil hikmat wala hai

[59] Aur tumharay bachay (bhi) jab balooghat ko phonch jayen to jiss tarah unn kay aglay log ijazat mangtay hain unhen bhi ijazat maang ker aana chahaye Allah Taalaa tum say issi tarah apni aayaten biyan farmata hai. Allah Taalaa hi ilm-o-hikmat wala hai

[60] Bari boorhi aurten jinhen nikah ki umeed (aur khuwaish hi) na rahi ho woh apnay agar apnay kapray utar rakhen to unn per koi gunah nahi ba-shart-e-kay woh apna banao singhaar zahir kerney waliyan na hon tahum inn say bhi ehtiyaat rakhen to inn kay liye boht afzal hai aur Allah Taalaa sunta janta hai

[61] Andhay per langray per beemar per aur khud tum per (mutlaqan) koi harj nahi kay tum apnay gharon say khalo ya apnay bapon kay gharon say ya apni maaon kay gharon say ya apnay bhiyon kay gharon say ya apni behno kay gharon say ya apnay chachaon kay gharon say ya apni phoophiyon kay gharon say ya apnay mamoo’on kay gharon say ya apni khalaon kay gharon say ya unn kay gharon say jin ki kunjiyon kay tum malik ho ya apnay doston kay gharon say. Tum per iss mein bhi koi gunah nahi kay tum sab sath beht ker khana khao ya alag alag. Pus jab tum gharon mein janey lago to apnay ghar walon ko salam ker liya kero duya-e-khair hai jo ba-barkat aur pakeeza hai Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda yun hi Allah Taalaa khol khol ker tum say apnay ehkaam biyan farma raha hai takay tum samajh lo

[62] Ba-emaan log to wohi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per yaqeen rakhtay hain aur jab aisay moamlay mein jiss mein logon kay jama honey ki zaroorat hoti hai nabi kay sath hotay hain to jab tak aap say ijazt na len kahin nahi jatay. Jo log aisay moqay per aap say ijazat ley letay hain haqeeqat mein yehi hain jo Allah Taalaa per aur uss kay rasool per eman laa chukay hain.pus jab aisay log aap say apnay kissi kaam kay liye ijazat talab keren to aap inn mein say jissay chahayen ijazat dey den aur inn kay liye Allah Taalaa say baksish ki dua mangen be-shak Allah bakshney wala meharbaan hai

[63] Tum Allah Taalaa kay nabi kay bulney ko aisa bulawa na kerlo jaisa kay aapas mein aik doosray ko hota hai. Tum mein say unhen Allah khoob janta hai jo nazar bacha ker chupkay say sirak jatay hain suno jo log hukum-e-rasool ki mukhlifat kertay hain unhen dartay rehna chahaye kay kahin unn per koi zabardast aafat na aa paray ya unhen dard-naak azab na phonchay

[64] Aagah hojao kay aasma-o-zamin mein jo kuch hai sab Allah Taalaa hi ka hai. Jiss ravish per tum ho woh issay bakhoobi janta hai aur jiss din yeh sab uss ki taraf lotaye jayen gay uss din inn ko inn kay kiye say woh khabardaar ker dey ga. Allah Taalaa sab kuch jannay wala hai

الفرقان

Surah 25

[1] Bohat ba-barkat hai woh Allah Taalaa jiss ney apnay banday per furqan utara takay woh tamam logon kay liye aagah kerney wala bann jaye

[2] Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai

[3] Inn logon ney Allah kay siwa jinhen apnay mabood thera rakhay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye jatay hain yeh to apni jaan kay nuksan nafay ka bhi ikhtiyar nahi rakhtay aur na maut-o-hayat kay aur na doobara ji uthney kay woh malik hain

[4] Aur kafiron ney kaha yeh to bus khud issi ka ghara gharaya jhoot hai jiss per aur logon ney bhi iss ki madad ki hai dar-asal yeh kafir baray hi zulm aur sir-ta-sir jhoot kay murtakib huye hain

[5] Aur yeh bhi kaha kay yeh to aglon kay afsaney hain jo iss ney likha rakhay hain bus wohi subha-o-shaam iss kay samney parhay jatay hain

[6] Keh dijiye kay issay to uss Allah ney utara hai jo aasman-o-zamin ki tamam posheeda baaton ko janta hai. Be-shak woh bara hi bakhshney wala meharbaan hai

[7] Aur enhon ney kaha yeh kaisa rasool hai kay khana khata hai aur bazaron mein chlta phirta hai iss kay pass koi farishta kiyon nahi bheja jata? Kay woh bhi iss kay sath ho ker daraney wala bann jata

[8] Ya iss kay pass koi khazana hi daal diya jata ya iss ka koi baagh hi hota jiss mein say yeh khata. Aur inn zalimon ney kaha kay tum aisay aadmi kay peechay ho liye ho jiss per jadoo ker diya gaya hai

[9] Khayal to kijiye! Kay yeh log aap ki nisbat kaisi kaisi baaten banatay hain. Pus jiss say khud hi behak rahey hain aur kissi tarah raah per nahi aa saktay

[10] Allah Taalaa to aisa ba-barkat hai kay agar chahaye to aap ko boht say aisay baghaat inayat farma dey jo inn kay kahey huye bagh say boht hi behar hon jin kay neechay nehren lehren ley rahi hon aur aap ko boht (pukhta) mehal bhi dey dey

[11] Baat yeh hai kay yeh log qayamat ko jhoot samajhtay hain aur qayamat kay jhutlaney walon kay liye hum ney bharakti hui aag tayyar ker rakhi hai

[12] Jab woh enhen door say dekhay gi to yeh uss ka gussay say bipharna aur dharna sunen gay

[13] Aur jab yeh jahannum ki kissi tang jagah mein mashken kus ker phenk diye jayengay to wahan apnay liye maut hi maut pukaren gay

[14] (inn say kaha jayega) aaj aik hi maut ko na pukaro bulkay boht si ammwaat ko pukaro

[15] Aap keh dijiye kay kiya yeh behtar hai ya woh hameshgi wali jannat jiss ka wada perhezgaron say kiya gaya hai jo inn ka badla hai aur inn kay lotney ki asli jagah hai

[16] Woh jo chahayen gay unn kay liye wahan mojood hoga hamesha rehney walay. Yeh to aap kay rab kay zimmay wada hai jo qabil-e-talab hai

[17] Aur jiss din Allah Taalaa enhen aur siwaye Allah kay jinhen yeh poojtay rahey unhen jama keray ga kay kiya meray inn bandon ko tum ney gumrah kiya ya yeh khud hi raah say gumm hogaye

[18] Woh jawab den gay kay tu pak zaat hai khud humen hi yeh zaiba na tha kay teray siwa auron ko apna kaar saaz banatay baat yeh hai kay tu ney enhen aur inn kay baap dadon ko aasoodgiyan ata farmaeen yahan tak kay woh naseehat bhula bethay yeh log thay hi halak honey walay

[19] To enhon ney to tumhen tumhari tamam baton mein jhutlaya abb na to tum mein azabon kay pherney ki taqat hai na madad kerney ki tum say jiss jiss ney zulm kiya hai hum ussay bara azab chakhayen gay

[20] Hum ney aap say pehlay jitnay rasool bhejay sab kay sab khana bhi khatay thay aur bazaron mein bhi chaltay phirtay thay aur hum ney tum say her aik ko doosray ki aazmaeesh ka zariya bana diya. Kiya tum sabar kero gay? Tera rab sab kuch dekhney wala hai

[21] Aur jinhen humari mulaqat ki tawaqqa nahi unhon ney kaha kay hum per farishtay kiyon nahi utaray jatay? Ya hum apni aankhon say apnay rab ko dekh letay? Inn logon ney apnay aap ko ho boht bara samajh rakha hai aur sakht sirkashi ker li hai

[22] Jiss din yeh farishton ko dekh len gay uss din inn gunehgaron ko koi khushi na hogi aur kahen gay yeh mehroom hi mehroom kiye gaye

[23] Aur enhon ney jo amal kiye thay hum ney unn ki taraf barh ker enhen paraganda zarron ki tarah ker diya

[24] Albatta uss din jannatiyon ka thikana behtar hoga aur khuwab gaah bhi umdah hogi

[25] Aur jiss din aasman badal samet phat jayega aur farishtay laga taar utaray jayengay

[26] Uss din sahih tor per mulk sirf rehman ka hi hoga aur yeh din kafiron per bara bhari hoga

[27] Aur uss din zalim shaks apnay hathon ko chaba chaba ker kahey ga haye kaash kaye mein ney rasool (PBUH) ki raah ikhtiyar ki hoti

[28] Haye afsos kaash kay mein ney falan ko dost na banaya hota

[29] Iss ney to mujhay iss kay baad gumrah ker diya kay naseehat meray pass aa phonci thi aur shetan to insan ko (waqt per) dagha denay wala hai

[30] Aur rasool kahey ga kay aey meray perwerdigar! Be-shak meri ummat ney iss quran ko chor rakha tha

[31] Aur iss tarah hum ney her nabi kay dushman baaz gunehgaron ko bana diya hai. Aur tera rab hi hidayat kerney wala aur madad kerney wala kafi hai

[32] Aur kafiron ney kaha kay iss per quran sara ka sara aik sath hi kiyon na utara gaya issi tarah hum ney (thora thora ker kay) utara takay iss say hum aap ka dil qavi rakhen hum ney issay thehar thehar ker hi parh sunaya hai

[33] Yeh aap kay pass jo koi misal layen gay hum uss ka sacha jawab aur umdah tojeeh aap ko bata den gay

[34] Jo log apnay mun kay bal jahannum ki taraf jama kiye jayengay. Wohi bad-tar makaan walay aur gumrah tar raastay walay hain

[35] Aur bila shuba hum ney musa ko kitab di aur unn kay humrah unn kay bhai haroon ko unn ka wazir bana diya

[36] Aur keh diya kay tum dono unn logon ki taraf jao jo humari aayaton ko jhutla rahey hain. Phir hum ney unhen bilkul hi paamaal ker diya

[37] Aur qom-e-nooh ney bhi jab rasoolon ko jhoota kaha to hum ney unhen gharaq ker diya aur logon kay liye unhen nishan-e-ibrat bana diya. Aur hum ney zalimon kay liye dard-naak azab mohiyya ker rakha hai

[38] Aur aadiyon aur samoodiyon aur koonwen walon ko aur unn kay darmiyan ki boht si ummaton ko (halak ker diya)

[39] Aur hum ney unn kay samney misalen biyan ken phir her aik bilkul tabah-o-barbaad ker diya

[40] Yeh log uss basti kay pass say bhi aatay jatay hain jin per buri tarah ki barish barsaee gaee kiya yeh phir bhi issay dekhtay nahi? Haqeeqat yeh hai kay enhen marr ker ji uthney ki umeed hi nahi

[41] Aur tumhen jab kabhi dekhtay hain to tum say maskhara pann kerney lagtay hain. Kay kiya yehi woh shaks hain jinehn Allah Taalaa ney rasool bana ker bheja hai

[42] (woh to kahiye) kay hum iss per jama rahey werna enhon ney to humen humaray maboodon say behka denay mein koi kasar nahi chori thi. Aur yeh jab azabon ko dekhen gay to enhen saaf maloom hojaye ga kay poori tarah raah say bhatka hua kaun tha

[43] Kiya aap ney ussay bhi dekha jo apni khwais-e-nafs ko apna mabood banaye huye hai kiya aap uss kay zimay daar ho saktay hain

[44] Kiya aap issi khayal mein hain kay inn mein say aksar suntay ya samajhtay hain. Woh to niray chopayon jaisay hain bulkay inn say bhi ziyada bhatkay huye

[45] Kiya aap ney nahi dekha kay aap kay rab ney saye ko kiss tarah phela diya hai? Agar chahata to issay thehra hua hi ker deta. Phir hum ney aftab ko issi per daleel banaya

[46] Phir hum ney ussay aahista aahista apni taraf khench liya

[47] Aur wohi hai jiss ney raat ko tumharay liye parda banaya aur neend ko rahat banaee aur din ko uth kharay honey ka waqt

[48] Aur wohi hai jo baaraan-e-rehmat say pehlay khush khabri denay wali hawaon ko bhejta hai aur hum aasman say pak pani barsatay hain

[49] Takay iss kay zariye say murda shehar ko zinda ker den aur issay hum apni makhlooqaat mein say boht say chopayon aur insano ko pilatay hain

[50] Aur be-shak hum ney issay unn kay darmiyan tarah tarah say biyan kiya takay woh naseehat hasil keren magar phir bhi aksar logon ney siwaye na-shukri kay mana nahi

[51] Agar hum chahatay to her her basti mein darney wala bhej detay

[52] Pus aap kafiron ka kehna na manen aur quran kay zariye inn say poori taqat say bara jihad keren

[53] Aur wohi hai jiss ney do samandar aapas mein mila rakhay hain yeh hai meetha aur mazedaar aur yeh hai khaari kerwa aur inn dono kay darmiyan aik hijab aur mazboot oot kerdi

[54] Woh hai jiss ney pani say insan ko peda kiya phir issay nasab wala aur susrali rishton wala ker diya. Bila shuba aap ka perwerdigar (her cheez per) qadir hai

[55] Yeh Allah ko chor ker unn ki ibadat kertay hain jo na to enhen koi nafa dey saken na koi nuksan phonca saken aur kafir to hay hi apna rab kay khilaf (shetan ki) madad kerney wala

[56] Hum ney to aap ko khush khabri aur darr sunaney wala (nabi) bana ker bheja hai

[57] Keh dijiye kay mein quran kay phonchaney per tum say koi badla nahi chahata magar jo shaks apnay rab ki taraf raah pakarna chahye

[58] Uss hamesha zinda rehnay walay Allah Taalaa per tawakkal keren jissay kabhi maut nahi aur uss ki tareef kay sath pakeezgi biyan kertay rahen woh apnay gunahon say kafi khabardaar hai

[59] Wohi hai jiss aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki sab cheezon ko cheh din mein peda ker diya hai phir arsh per mustawi hua woh rehman hai aap iss ka baray mein kissi khabar daar say pooch len

[60] Inn say jabb bhi kaha jata hai kay rehman ko sajda kero to jawab detay hain rehman hai kiya? Kiya hum ussay sajda keren jiss ka tu humen hukum dey raha hai aur iss (tableegh) ney unn ki nafrat mein mazeed izafa ker diya

[61] Ba-barkat hai woh jiss ney aasman mein burj banaye aur iss mein aftab banaya aur munawar mahtab bhi

[62] Aur ussi ney raat aur din ko aik doosray kay peechay aaney janey wala banaya uss shaks ki naseehat kay liye jo naseehat hasil kerney ya shukar guzari kerney ka irada rakhta ho

[63] Rehman kay (sachay) banday woh hain jo zamin per farotni kay sath chaltay hain aur jab bey ilm log inn say baten kerney lagtay hain to woh keh detay hain kay salam hai

[64] Aur jo apnay rab kay samney sajday aur qayam kertay huye raten guzar detay hain

[65] Aur jo yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Hum say dozakh ka azab paray hi paray rakh kiyon kay iss ka azab chimat janey wala hai

[66] Be-shak woh therney aur rehney kay lehaz say bad-tareen jagah hai

[67] Aur jo kharach kertay waqt bhi na to israaf kertay hain na bakheeli bulkay inn dono kay darmiyan motadil tareeqay per kharach kertay hain

[68] Aur Allah kay sath kissi doosray ko mabood nahi pukartay aur kissi aisay shaks ko jissay qatal kerna Allah Taalaa ney mana ker diya ho woh ba-juz haq kay qatal nahi kertay na woh zinah kay muratkib hotay hain aur jo koi yeh kaam keray woh apnay upper sakht wabaal laye ga

[69] Issay qayamat kay din dogra azab kiya jayega aur woh zillat-o-khuwari kay sath hamesha ussi mein rahey ga

[70] Siwaye unn logon kay jo tauba keren aur eman layen aur nek kaam keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay wala hai

[71] Aur jo shaks toba keray aur nek amal keray woh to (haqeeqatan) Allah Taalaa ki taraf sacha rujoo kerta hai

[72] Aur jo log jhooti gawahee nahi detay aur jab kissi laghaw cheez per unn ka guzar hota hai to sharafat say guzar jatay hain

[73] Aur jab enhen unn kay rab kay kalam ki aayaten sunaee jati hain to woh andhay behray ho ker inn per nahi girtay

[74] Aur yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu humen humari biwiyon aur aulad say aankhon ki thandak ata farma aur humen perhezgaron ka paishwa bana

[75] Yehi woh log hain jinhen unn kay sabar kay badlay jannat kay buland-o-bala khaney diye jayen gay jahan unhen dua salam phonchaya jayega

[76] Uss mein yeh hamesha rahen gay woh boht hi achi jagah aur umdah moqam hai

[77] Keh dijiye! agar tumhari dua iltija (pukarna) na hoti to mera rab tumhari mutlaq perwa na kerta tum to jhutla chukay abb un-qareeb iss ki saza tumhen chimat janey wali hogi

الشعراء

Surah 26

[1] Tuaa-seen-meem

[2] Yeh aayaten roshan kitab ki hain

[3] Inn kay eman na laaney per shayad aap to apni jaan kho den gay

[4] Agar hum chahatay to inn per aasman say koi aisi nishani utartay kay jiss kay samney inn ki gardaney khum ho jatin

[5] Aur inn kay pass rehman ki taraf say jo bhi naee naseehat aaee yeh uss say roo-gardani kerney walay bann gaye

[6] Inn logon ney jhutlaya hai abb inn kay pass jaldi say iss ki khabren aajyen gi jiss kay sath woh maskhara pann ker rahey hain

[7] Kiya enhon ney zamin per nazaren nahi daalen? Kay hum ney iss mein her tarah kay nafees joray kiss qadar ugaye hain

[8] Be-shak iss mein yaqeenan nishani hai aur inn mein kay aksar log momin nahi hain

[9] Aur tera rab yaqeenan wohi ghalib aur meharbaan hai

[10] Aur jabb aap kay rab ney musa (alh-e-salam) ko aawaz di kay tu zalim qom kay pass jaa

[11] Qom-e-firaon kay pass kiya woh perhezgari na keren gay

[12] Musa (alh-e-salam) ney kaha meray perwerdigar! Mujhay to khof hai kay kahin woh mujhay jhutla (na) den

[13] Aur mera seena tang horaha hai meri zaban chal nahi rahi pus tu haroon ki taraf bhi (wahee) bhej

[14] Aur unn ka meray aik qasoor ka (dawa) bhi hai mujhay darr hai kay kahin woh mujhay maar na dalen

[15] Janab-e-baari ney farmaya! Hergiz aisa na hoga tum dono humari nishaniyan ley ker jao hum khud sunnay walay tumharay sath hain

[16] Tum dono firaon kay pass ja ker kaho kay bila shuba hum rab-ul-aalamaeen kay bhejay huye hain

[17] Kay tu humaray sath bani israeel ko rawana ker dey

[18] Fairaon ney kaha kiya hum ney tujhay teray bachpan kay zamaney mein apnay haan nahi pala tha? Aur tu ney apni umar kay boht say saal hum mein nahi guzaray

[19] Phir tu apna woh kaam ker gaya jo ker gaya aur tu na shukro mein hai

[20] (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay mein ney uss kaam ko uss waqt kiya tha jabkay mein raah bhoolay huye logon mein say tha

[21] Phir tum say khof kha ker mein tum mein say bhaag gaya phir mujhay meray rab ney hukum-o-ilm ata farmaya aur mujhay apnay payghumbaron mein say ker diya

[22] Mujh per tera kiya yehi woh ehsan hai? Jissay tu jata raha hai kay tu ney bani israeel ko ghulam bana rakha hai

[23] Firaon ney kaha rab-ul-aalameen kiya cheez hai

[24] (hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh aasamano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum yaqeen rakhney walay ho

[25] Firaon ney apney ird-gird walon say kaha kay kiya tum sunn nahi rahey

[26] (hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya woh tumhara aur tumharay aglay baap dadon ka perwerdigar hai

[27] Firaon ney kaha (logo!) tumhara yeh rasool jo tumhari taraf bheja gaya hai yeh to yaqeenan deewana hai

[28] (hazrat) musa (alh-e-salam) ney farmaya! Wohi mashriq-o-maghrib ka aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon ka rab hai agar tum aqal rakhtay ho

[29] Firaon kehney laga sunn ley! Agar tu ney meray siwa kissi aur ko mabood banaya tu mein tujhay qaidiyon mein daal doon ga

[30] Musa (alh-e-salam) ney kaha agar cheh mein teray pass koi khulli cheez ley aaon

[31] Firaon ney kaha agar tum sachon mein say hai to issay paish ker

[32] Aap ney (ussi waqt) apni laathi daal di jo achanak khullam khulla (zabardast) azdaha bann gaee

[33] Aur apna hath khench nikala to woh bhi ussi waqt her dekhney walay ko safaid chamkeela nazar aaney laga

[34] Firaon apnay aas pass kay sardaron say kehney laga bhaee yeh to koi bara dana jadoogar hai

[35] Yeh to chahata hai kay apnay jadoo kay zor say tumhen tumhari sirzameen say nikal dey batao abb tum kiya hukum detay ho

[36] Unn sab ney kaha aap issay aur iss kay bhai ko mohlat dijiye aur tamam shehron mein harkaaray bhej dijiye

[37] Jo aap kay pass zee ilm jadoogaron ko ley aayen

[38] Phir aik muqarrara din kay waday per tamam jadoogar jama kiye gaye

[39] Aur aam logon say bhi keh diya gaya kay tum bhi majmay mein hazir hojao gay

[40] Takay agar jadoogar ghalib aajayen to hum unhi ki pairwee keren

[41] Jadoogar agar firaon say kehney lagay kay agar hum jeet gaye to humen kuch inam bhi milay ga

[42] Firaon ney kaha haan! (bari khushi say) bulkay aisi soorat mein tum meray khas darbari bann jao gay

[43] (hazrat) musa (alh-e-salam) ney jadoogaron say farmaya jo kuch tumhen dalna hai daal do

[44] Unhon ney apni rassiyan aur laathiyan daal den aur kehney lagay izzat firaon ki qasam! Hum yaqeenan ghalib hi rahen gay

[45] Abb (hazrat) musa (alh-e-salam) ney bhi apni laathi maidan mein daal di jiss ney ussi waqt unn kay jhoot moot kay kartab ko nigalna shuroo ker diya

[46] Yeh dekhtay hi jadoogar bay ikhtiyar sajday mein gir gaye

[47] Aur unhon ney saaf keh diya kay hum to Allah rab-ul-aalameen per eman laye

[48] Yani musa (alh-e-salam) aur haroon kay rab per

[49] Firaon ney kaha kay meri ijazat say pehlay tum iss per eman ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara (sardar) hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai so tumhen abhi abhi maloom ho jaye ga qasam hai mein abhi tumharay haath paon ultay tor per kaat doon ga aur tum sab ko sooli per latka doon ga

[50] Unhon ney kaha koi haraj nahi hum to apnay rab ki taraf lotney walay hain hi

[51] Iss bina per kay hum sab say pehlay eman walay banay hain humen umeed parti hai kay humara rab humari sab khatayen moaaf farma dey ga

[52] Aur hum ney musa ko wahee ki kay raaton raat meray bandon ko nikal ley chal tum sab peecha kiye jao gay

[53] Firaon ney shehron mein harkaaron ko bhej diya

[54] Kay yaqeenan yeh giroh boht hi kum tadaad mein hai

[55] Aur iss per yeh humen sakht gazab-naak ker rahey hain

[56] Aur yaqeenan hum bari jamaat hain inn say chokanna rehnay walay

[57] Bil-aakhir hum ney enhen baghaat say aur chashmon say

[58] Aur khazano say. Aur achay achay muqamaat say nikal bahir kiya

[59] Issi tarah hua aur hum ney unn (tamam) cheezon ka waris bani israeel ko bana diya

[60] Pus fiaroni sooraj nikaltay hi unn kay taaqqub mein niklay

[61] Pus jab dono ney aik doosray ko dekh liya to musa kay saathiyon ney kaha hum to yaqeenan pakar liye gaye

[62] Musa ney kaha hergiz nahi. Yaqeen mano mera rab meray sath hai jo zaroor mujhay raah dikhaye ga

[63] Hum ney musa ki taraf wahee bheji kay darya per apni laathi maar pus ussi waqt darya phat gaya aur her aik hissa paani ka misil baray pahar kay hogaya

[64] Aur hum ney ussi jagah doosron ko nazdeek laa khara ker diya

[65] Aur musa (alh-e-salam) ko aur uss kay tamam saathiyon ko nijat dey di

[66] Phir aur sab doosron ko dobo diya

[67] Yaqeenan iss mein bari ibrat hai aur inn mein kay aksar log eman walay nahi

[68] Aur be-shak aap ka rab bara hi ghalib aur meharbaan hai

[69] Enhen ibrahim (alh-e-salam) ka waqiya bhi suna do

[70] Jabkay unhon ney apnay baap aur pani qom say farmaya kay tum kiss ki ibadat kertay ho

[71] Unhon ney jawab diya kay ibadat kertay hain buton ki hum to barbar inn kay mujawar bann bethay hain

[72] Aap ney farmaya jab tum enhen pukartay ho to kiya woh suntay bhi hain

[73] Ya tumhen nafa nuksan bhi phoncha saktay hain

[74] Unhon ney kaha yeh (hum kuch nahi jantay) hum ney to apnay baap dadon ko issi tarah kertay paya

[75] Aap ney farmaya kuch khabar bhi hai jinhen tum pooj rahey ho

[76] Tum aur tumharay aglay baap dada woh sab meray dushman hain

[77] Ba-juz sachay Allah Taalaa kay jo tamam jahaan ka palanhaar hai

[78] Jiss ney mujhay peda kiya hai aur wohi meri rehbari farmata hai

[79] Wohi hai jo mujhay khilata pilata hai

[80] Aur jab mein beemar par jaon to mujhay shifa ata farmata hai

[81] Aur wohi mujhay maar dalay ga phir zinda ker dey ga

[82] Aur jiss say umeed bandhi hui hai kay woh roz-e-jaza mein meray gunahon ko bakhsh dey ga

[83] Aey meray rab! Mujhay qooat-e-faisla ata farma aur mujhay nek logon mein mila dey

[84] Aur mera ziker-e-khair pichlay logon mein bhi baqi rakh

[85] Mujhay nematon wali jannat kay warison mein say bana dey

[86] Aur meray baap ko bakhsh dey yaqeenan woh gumrahon mein say tha

[87] Aur jiss sin kay log doobara jilaye jayen mujhay ruswa na ker

[88] Jiss din kay maal aur aulad kuch kaam na aaye gi

[89] Lekin faeeday wala wohi hoga jo Allah Taalaa kay samney bay aib dil ley ker jaye

[90] Aur perhezgaron kay liye jannat bilkul nazdeek laa di jaye gi

[91] Aur gumrah logon kay liye jahannum zahir ker di jaye gi

[92] Aur unn say poocha jayega kay jin ki tum pooja kertay rahey woh kahan hain

[93] Jo Allah Taalaa kay siwa thay kiya woh tumhari madad kertay hain? Ya koi badla ley saktay hain

[94] Pus woh sab aur kul gumrah log jahannum mein ondhay mun daal diye jayen gay

[95] Aur iblees kay tamam kay tamam lashkar bhi wahan

[96] Aapas mein lartay jhagartay huye kahen gay

[97] Kay qasam Allah ki! Yaqeenan hum to khulli ghalati per thay

[98] Jabkay tumhen rab-ul-aalameen kay barabar samajh bethay thay

[99] Aur humen to siwa inn badkaaron kay kissi aur ney gumrah nahi kiya tha

[100] Abb to humara koi sifarshi bhi nahi

[101] Aur na koi (sacha) ghum khuwar dost

[102] Agar kaash kay humen aik martaba phir jana milta to hum pakkay sachay momin bann jatay

[103] Yeh majra yaqeena aik bari zabardast nishani hai inn mein say aksar log eman laney walay nahi

[104] Yaqeenan aap ka perwerdigar hi ghalib meharbaan hai

[105] Qom-e-nooh ney bhi nabiyon ko jhutlaya

[106] Jabkay unn kay bhai nooh (alh-e-salam) ney kaha kay kiya tumhen Allah ka khof nahi

[107] Suno! Mein tumhari taraf Allah ka amanat daar rasool hun

[108] Pus tumhen Allah say darna chahaye aur meri baat manni chahaye

[109] Mein tum say iss per koi ajar nahi chahata mera badla to sirf rab-ul-aalameen kay haan hai

[110] Pus tum Allah ka khof rakho aur meri farmanbardari kero

[111] Qom ney jawab diya kay kiya hum tujh per eman layen! Teri tabey daari to razeel logon ney ki hai

[112] Aap ney farmaya! Mujhay kiya khabar kay woh pehlay kiya kertay rahey

[113] Unn ka hisab to meray rab kay zimmay hai agar tumhen shaoor ho to

[114] Mein eman walon ko dhakkay denay wala nahi

[115] Mein to saaf tor per dara denay wala hun

[116] Unhon ney kaha aey nooh! Agar tu baaz na aaya to yaqeenan tujhay sangsaar ker diya jaye ga

[117] Aap ney kaha aey meray perwerdigar! Meri qom ney mujhay jhutla diya

[118] Pus tu mujh mein aur inn mein koi qataee faisla ker dey aur mujha aur meray ba-emaan saathiyon ko nijat dey

[119] Chunacha hum ney ussay aur uss kay saathiyon ko bhari hui kashti mein (sawar kera ker) nijat dey di

[120] Bad-e-azan baqi kay tamam logon ko hum ney dobo diya

[121] Yaqeenan iss mein boht bari ibrat hai. Unn mein say aksar log eman laney walay thay bhi nahi

[122] Aur be-shak aap ka perwerdigar albatta wohi hai zabardast reham kerney wala

[123] Aadiyon ney bhi rasoolon ko jhutlaya

[124] Jabkay unn say unn kay bhai hood ney kaha kay kiya tum dartay nahi

[125] Mein tumhara amanatdaar payghumbar hun

[126] Pus Allah say daro aur mera kaha mano

[127] Mein iss per tum say koi ujrat talab nahi kerta mera sawab to tamam jahaan kay perwerdigar kay pass hi hai

[128] Kiya tum aik aik teelay per bator khel tamasha yaadgar (emaarat) bana rahey ho

[129] Aur bari san’at walay (mazboot mehal tameer) ker rahey ho goya kay tum hamesha yahin raho gay

[130] Aur jab kissi per hath daaltay ho to sakhti aur zulm say pakartay ho

[131] Allah say daro aur meri pairwee kero

[132] Uss say daro jiss ney unn cheezon say tumhari imdad ki jinhen tum jantay ho

[133] Uss ney tumahri madad ki maal say aur aulad say

[134] Baghaat say aur chashmon say

[135] Mujhay to tumhari nisbat baray din kay azab ka andesha hai

[136] Unhon ney kaha kay aap waaz kehn ya waaz kehney walon mein na hon hum per yaksan hai

[137] Yeh to bus puraney logon ki aadat hai

[138] Aur hum hergiz azab nahi diye jayen gay

[139] Chunkay aadiyon ney hazrat hood ko jhutlaya iss liye hum ney unhen tabah ker diya yaqeenan iss mein nishani hai aur inn mein say aksar bey eman thay

[140] Be-shak aap ka rab wohi hai ghalib meharbaan

[141] Samoodiyon ney bhi payghumbaron ko jhutlaya

[142] Unn kay bhai saleh ney unn say farmaya kay kiya tum Allah say nahi dartay

[143] Mein tumhari taraf Allah ka amanatdaar payghumbar hun

[144] To tum Allah say daro aur mera kaha mano

[145] Mein iss per tum say koi ujrat nahi mangta meri ujrat to bus perwerdigar-e-aalam per hi hai

[146] Kiya inn cheezon mein jo yahan hain tum aman kay sath chor diye jao gay

[147] Yaani inn baghon aur inn chashmon

[148] Aur inn kheton aur inn khajooron kay baghon mein jin kay shagoofay naram-o-nazuk hain

[149] Aur tum paharon ko taraash taraash ker pur takalluf makannat bana rahey ho

[150] Pus Allah say daro aur meri ita’at kero

[151] Bey baak hadd say guzar janey walon ki ita’at say baaz aajao

[152] Jo mulk mein fasad phela rahey hain aur islah nahi kertay

[153] Woh bolay kay bus tu unn mein say hai jin per jadoo ker diya gaya hai

[154] Tu to hum jaisa insan hai. Agar tu sachon say hai to koi moajza ley aa

[155] Aap ney farmaya yeh hai oontni pani peenay ki aik bari iss ki aur aik muqarrar din ki bari pani peenay ki tumhari

[156] (khabardar!) issay buraee say hath na lagana werna aik baray bhari din ka azab tumhari girift ker ley ga

[157] Phir bhi enhon ney uss ki koonchen kaat daalen bus woh pasheymaan hogaye

[158] Aur azab ney unhen aa dabocha. Be-shak iss mein ibrat hai. Aur inn mein say aksar log momin na thay

[159] Aur be-shak aap ka rab bara zabardast aur meharbaan hai

[160] Qom-e-loot ney bhi nabiyon ko jhutlaya

[161] Unn say unn kay bhai loot (alh-e-salam) ney kaha kiya tum Allah ka khof nahi rakhtay

[162] Mein tumhari taraf amanatdaar rasool hun

[163] Pus tum Allah Taalaa say daro aur meri ita’at kero

[164] Mein tum say iss per koi badla nahi maangta mera ajar to sirf Allah Taalaa per hai jo tamam jahaan ka rab hai

[165] Kiya tamam jahaan walon mein say mardon kay sath shehwat raani kertay ho

[166] Aur tumahri jin aurton ko Allah Taalaa ney tumhara jora banaya hai unn ko chor detay ho bulkay tum ho hi hadd say guzar janey walay

[167] Unhon ney jawab diya kay aey loot! Agar tu baaz na aaya to yaqeenan nikal diya jayega

[168] Aap ney farmaya mein tumharay kaam say sakht na khush hun

[169] Meray perwerdigar! Mujhay aur meray gharaney ko iss (wabal) say bacha ley jo yeh kertay hain

[170] Pus hum ney ussay aur uss kay mutalaqqeen ko sab ko bacha liya

[171] Ba-juz aik burhiya kay kay woh peechay reh jaaney walon mein ho gaee

[172] Phir hum ney baqi aur sab ko halak ker diya

[173] Aur hum ney unn per aik khas qisam ka meenh barsaya pus boht hi bura meenh tha jo daraye gaye logon per barsa

[174] Yeh majra bhi sirasir ibrat hai. Inn mein say bhi aksat musalman na thay

[175] Be-shak tera perwerdigar wohi hai ghalbay wala meharbaani wala

[176] Aeeka walon ney bhi rasoolon ko jhutlaya

[177] Jabkay inn say shoaib (alh-e-salam) ney kaha kay kiya tumhen darr khof nahi

[178] Mein tumhari tarah amanatdaar rasool hun

[179] Allah ka khof khao aur meri farmanbardari kero

[180] Mein iss per tum say koi ujrat nahi chahata mera ajar tamam jahaano kay paalney walay kay pass hai

[181] Naap poora bhara kero kum denay walon mein shamooliyat na kero

[182] Aur seedhi sahih tarazoo say tola kero

[183] Logon ko unn ki cheezen kami say na do bey baki kay sath zamin mein fasad machatay na phiro

[184] Uss Allah ka khof rakho jiss ney khud tumhen aur agli makhlooq ko peda kiya hai

[185] Unhon ney kaha tu to unn mein say hai jin per jadoo ker diya jata hai

[186] Aur tu to hum hi jaisa aik insan hai aur hum to tujhay jhoot bolney walon mein say hi samajhtay hain

[187] Agar tum sachay logon mein say hai to hum per aasaman kay tukray gira dey

[188] Kaha kay mera rab khoob jannay wala hai jo kuch tum ker rahey ho

[189] Chunkay unhon nay issay jhutlaya to unhen saaibaan walay din kay azab ney pakar liya. Woh baray bhari din ka azab tha

[190] Yaqeena iss mein bari nishani hai aur inn mein kay aksar musalman na thay

[191] Aur yaqeenan tera perwerdigar albatta wohi hai ghalbay wala merharbani wala

[192] Aur be-shak-o-shuba yeh (quran) rab-ul-aalameen ka nazil farmaya hua hai

[193] Issay amanatdaar farishta ley ker aaya hai

[194] Aap kay dil per utra hai kay aap aagah ker denay walon mein say ho jayen

[195] Saaf arabi zaban mein

[196] Aglay nabiyon ki kitabon mein bhi iss quran ka tazkarah hai

[197] Kiya enhen yeh nishani kafi nahi kay haqqaniyat quran ko to bani-israeel kay ulamaa bhi jantay hain

[198] Aur agar hum issay kissi ajami shaks per nazil farmatay

[199] Pus woh inn kay samney iss ki tilawat kerta to yeh issay bawar kerney walay na hotay

[200] Issi tarah hum ney gunehgaron kay dilon mein iss inkar ko dakhil ker diya hai

[201] Woh jab tak dard-naal azabon ko mulahiza na kerlen eman na layen gay

[202] Pus woh azab unn ko na gahan aajaye ga unhen iss ka shaoor bhi na hoga

[203] Uss waqt kahen gay kiya humen kuch mohlat di jayegi

[204] Pus kiya yeh humaray azab ki jaldi macha rahey hain

[205] Acha yeh bhi batao kay agar hum ney enhen kaee saal bhi faeeda uthaney diya

[206] Phir enhen woh azab aa laga jin say yeh dhamkaye jatay thay

[207] To jo kuch bhi yeh barattay rahey iss mein say kuch bhi faeeda na phoncha sakay ga

[208] Hum ney kissi basti ko halak nahi kiya hai magar issi haal mein kay uss kay liye daraney walay thay

[209] Naseehat kay tor per aur hum zulm kerney walay nahi hain

[210] Iss quran ko shetan nahi laye

[211] Aur na woh iss qabil hain na unhen iss ki taqat hai

[212] Bulkay woh to sunnay say bhi mehroon ker diye gaye hain

[213] Pus tu Allah kay sath kissi aur mabood ko na pukar kay tu bhi saza paney walon mein say ho jaye

[214] Apnay qareebi rishtay walon ko dara dey

[215] Uss kay sath farotni say paisa aa jo bhi eman laaney wala ho ker teri tabey daari keray

[216] Agar yeh log teri na farmani keren to tu elaan ker dey kay mein inn kamon say beyzaar hun jo tum ker rahey ho

[217] Apna poora bharosa ghalib meharbaan Allah per rakh

[218] Jo tujhay dekhta rehta hai jabkay tu khara hota hai

[219] Aur sajda kerney walon kay darmiyan tera ghoomna phirna bhi

[220] Woh bara hi sunnay wala aur khoob jannay wala hai

[221] Kiya mein tumhen bataon kay shetan kiss per utartay hain

[222] Woh her aik jhootay gunehgaar per utartay hain

[223] (uchat’ti) hui suni sunaee phoncha detay hain aur inn mein say aksar jhootay hain

[224] Shaeeron ki pairwee woh kertay hain jo behkay huye hon

[225] Kiya aap ney nahi dekha kay shaeer aik aik bayabaan mein sir takratay phirtay hain

[226] Aur woh kehtay hain jo kertay nahi

[227] Siwaye unn kay jo eman laye aur nek amal kiye aur ba-kasrat Allah Taalaa ka ziker kiya aur apni mazloomi kay baad intiqam liya jinhon ney zulm kiya hai woh bhi abhi jaan len gay kay kiss kerwat ulat’tay hain

النمل

Surah 27

[1] Tua-Seen yeh aayaten hain quran ki (yani wazeh) aur roshan kitab ki

[2] Hidayat aur khushkhabri eman walon kay liye

[3] Jo namaz qaeem kertay hain aur zakat ada kertay hain aur aakhirat per yaqeen rakhtay hain

[4] Jo log qayamat per eman nahi latay hum ney unhen unn kay kartoot zeenat daar ker dikhaye hain pus woh bhataktay phirtay hain

[5] Yehi log hain jin kay liye bura azab hai aur aakhirat mein bhi woh sakht nuksan yaafta hain

[6] Be-shak aap ko Allah hakeem-o-aleem ki taraf say quran sikhaya ja raha hai

[7] (yaad hoga) jab musa (alh-e-salam) ney apnay ghar walon say kaha mein ney aag dekhi hai mein wahan say ya to koi khabar ley ker ya aag ka koi sulagta hua angara ley ker abhi tumharay pass aajaonga takay tum seenk taap kerlo

[8] Jab wahan phonchay to aawaz di gaee kay ba-barkat hai woh jo iss aag mein hai aur barkat diya gaya hai woh jo uss kay aas pass hai aur pak hai Allah jo tamam jahano ka palney wala hai

[9] Musa! Sunn baat yeh hai kay mein hi Allah hun ghalib ba-hikmat

[10] Tu apni laathi daal dey musa ney jab ussay hilta julta dekha iss tarah kay goya woh aik saanp hai to mun moray huye peeth pher ker bhagay aur palat ker bhi na dekha aey musa! Khof na kha meray huzoor mein payghumber dara nahi kertay

[11] Lekin jo log zulm keren phir uss kay ewaz neki keren uss buraee kay peechay to mein bhi bakshney wala meharbaan hun

[12] Aur apna hath apney girbaan mein daal woh safaid chamkeela hoker niklay ga baghair kissi aib kay tu no nishaniyan ley ker firaon aur uss ki qom ki taraf jaa yaqeenan woh bad-kaaron ka giroh hai

[13] Pus jab unn kay pass aankhen khol denay walay humaray moajzzay phonchay to woh kehney lagay yeh to sareeh jadoo hai

[14] Unhon ney inkar ker diya halankay unn kay dil yaqeen ker chukay thay sirf zulm aur takabbur ki bina per. Pus dekh lijiye kay inn fitna perdaaz logon ka anjam kaisa kuch hua

[15] Aur hum ney yaqeenan dawood aur suleman ko ilm dey rakha thaaur dono ney kaha tareef uss Allah kay liye hai jiss ney humen apnay boht say eman daar bandon per fazeelat ata farmaee hai

[16] Aur dawood kay waris suleman huye aur kehney lagay logo! Humen perindon ki boli sikhaee gaee hai aur hum sab kuch mein say diye gaye hain. Be-shak yeh bilkul khula hua fazal-e-elahee hai

[17] Suleman kay samney unn kay tamam lashkar jinnaat aur insan aur perind mein say jama kiye gaye (her her qisam ki) alag alag darja bandi kerdi gaee

[18] Jab woh chewuntiyon kay maidan mein phonchay to aik chewunti ney kaha aey chewuntiyon! Apnay apnay gharon mein ghus jao aisa na ho kay bey khabri mein suleman aur uss ka lashkar tumhen rond dalay

[19] Uss ki iss baat per suleman muskura ker hans diye aur dua kerney lagay kay aey perwerdigaar! Tu mujhay tofiq dey kay mein teri inn nematon ka shukar baja laaon jo tu ney mujh per inam ki hain aur meray maa baap per aur mein aisay nek amal kerta rahon jin say tu khush rahey mujhay apni rehmat say nek bandon mein shamil kerlay

[20] Aap ney paerindon ka jaeeza liya aur farmaney lagay yeh kiya baat hai kay mein hud hud ko nahi dekhta? Kiya waqaee woh ghair hazir hai

[21] Yaqeenan mein ussay sakht saza doon ga ya ussay zibah ker daloon ga ya meray samney koi sareeh daleel biyan keray

[22] Kuch ziyada dare na guzri thi kay aaker uss ney kaha mein aik aisi cheez ki khabar laya hun kay tujhay uss ki khabar hi nahi mein saba ki aik sachi khabar teray pass laya hun

[23] Mein ney dekha kay unn ki badshaat aik aurat ker rahi hai jissay her qisam ki cheez say kuch na kuch diya gaya hai aur uss ka takht bhi bari azmat wala hai

[24] Mein ney ussay aur uss ki qom ko Allah Taalaa ko chor ker sorraj ko sajda kertay huye paya shetan ney unn kay kaam unhen bhalay ker kay dikhla ker sahih raah say rok diya hai pus woh hidayat per nahi aatay

[25] Kay ussi Allah kay liye sajday keren jo aasmano aur zaminon ki posheeda cheezon ko bahir nikalata hai aur jo kuch tum chupatay ho aur zahir kertay ho woh sab kuch janta hai

[26] Uss kay siwa koi mabood bar-haq nahi wohi azmat walay arsh ka malik hai

[27] Suleman ney kaha abb hum dekhen gay kay tu ney sach kaha hai ya tu jhoota hai

[28] Meray iss khat ko ley ja ker unhen dey dey phir unn kay pass say hut aa aur dekh kay woh kiya jawab detay hain

[29] Woh kehney lagi aey sardaro! Meri taraf aik ba-wuqa’at khat daala gaya hai

[30] Jo suleman ki taraf say hai aur jo bakhsish kerney walay meharbaan Allah kay naam say shuroo hai

[31] Yeh kay tum meray samney sirkashi na kero aur musalman bann ker meray pass aajao

[32] Uss ney kaha aey meray sardaro! Tum meray iss moamlay mein mujhay mashwara do. Mein kissi amar ka qataee faisla jab tak tumhari mojoodgi aur raye na ho nahi kiya kerti

[33] Inn sab ney jawab diya kay hum taqat aur qooat walay sakht bhirney walay hain. Aagay aap ko ikhtiyar hai aap khud hi soch lijiye kay humen aap kiya kuch hukum farmati hain

[34] Uss ney kaha badshah jab kissi basti mein ghustay hain to ussay ujaar detay hain aur wahan kay ba-izzat logon ko zaleel ker detay hain. Aur yeh log bhi aisa hi keren gay

[35] Mein unhen aik hadiya bhejney wali hun phir dekh loon gi kay qasid kiya jawab ley ker lot’tay hain

[36] Pus jab qasid hazrat suleman kay pass phoncha to aap ney farmaya kiya tum maal say mujhay madad lena chahatay ho? Mujhay to meray rab ney iss say boht behtar dey rakha hai jo uss ney tumhen diya hai pus tum hi apnay tohfay say khush raho

[37] Jaa unn ki taraf wapis lot jaa hum unn (kay muqablay) per woh lashkar layen gay jin kay samney parney ki unn mein taqat nahi aur hum unhen zaleel-o-pust ker kay wahan say nikal bahir keren gay

[38] Aap ney farmaya aey sardaro! Tum mein koi hai jo unn kay musalman ho ker phonchney say pehlay hi uss ka takht mujhay laa dey

[39] Aik qavi hekal jinn kehney laga aap apni majlis say uthen uss say pehlay mein ussay aap kay pass laa deta hun yaqeen maniye kay mein iss per qadir hun aur hun bhi amanat daar

[40] Jiss kay pass kitab ka ilm tha woh bol utha kay aap palak jhapkayen uss say bhi pehlay mein ussay aap kay pass phoncha sakta hun. Jab aap ney ussay apnay pass mojood paya to farmaney lagay yehi meray rab ka fazal hai takay woh mujhay aazmaye kay mein shukar guzari kerta hun aur jo na shukri keray to mera perwerdigar (bay perwa aur buzurg) ghani aur kareem hai

[41] Hukum diya kay iss kay takht mein kuch pher badal kerdo takay maloom hojaye kay yeh raah paa leti hai ya unn mein say hoti hai jo raah nahi patay

[42] Phir jab woh aagaee to uss say kaha (daryaft kiya) gaya kay aisa hi tera (bhi) takht hai? Uss ney jawab diya kay yeh goya wohi hai humen iss say pehlay hi ilm diya gaya tha aur hum musalman thay

[43] Ussay unhon ney rok rakha tha jin ki woh Allah kay siwa perastish kerti rahi thi yaqeenan woh kafir logon mein say thi

[44] Uss say kaha gaya kay mehal mein chali jao jissay dekh ker yeh samajh ker kay yeh hoz hai uss ney apni pindliyan khol din farmay yeh to seeshay say mundhi hui emaarat hai kehnay lagi aey meray perwerdigar! Mein ney apnay aap per zulm kiya. Abb mein suleman kay sath Allah rab-ul-aalameen ki mootiy aur farmanbardaar banti hun

[45] Yaqeenan hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero phir bhi woh do fareeq bann ker aapas mein larney jhagarney lagay

[46] Aap ney farmaya aey meri qom kay logo! Tum neki say pehlay buraee ki jaldi kiyon macha rahey ho? Tum Allah Taalaa say istaghfaar kiyon nahi kertay takay tum per reham kiya jaye

[47] Woh kehnay lagay hum to teri aur teray sathiyon ki bad-shagooni ley rahey hain? Aap ney farmaya tumhari bad-shagooni Allah kay haan hai bulkay tum fitney mein paray huye log ho

[48] Uss shehar mein no sardar thay jo zamin mein fasad phelatay rehtay thay aur islaah nahi kertay thay

[49] Unhon ney aapas mein bari qasmen kha kha ker ehad kiya kay raat hi ko saleh aur uss kay ghar walon per hum chapa maaren gay aur uss kay warison say saaf keh den gay kay hum uss kay ehal ki halakat kay waqt mojood na thay aur hum bilkul sachay hain

[50] Unhon ney makar (khufiya tadbeer) aur hum ney bhi aur woh issay samajhtay hi na thay

[51] (abb) dekh ley unn kay makar ka anjam kaisa kuch hua Kay hum ney unn ko aur unn ki qom ko sab ko ghaarat ker diya

[52] Yeh hain unn kay makanaat jo unn kay zulm ki waja say ujray paray hain jo log ilm rakhtay hain unn kay liye iss mein bari nishani hai

[53] Hum ney unn ko jo eman laye thay aur perhezgaar thay baal baal bacha liya

[54] Aur loot ka (zikar ker) jabkay uss ney apni qom say kaha kay kiya bawajood dekhney bhalney kay phir bhi tum bad-kaari ker rahey ho

[55] Yeh kiya baat hai kay tum aurton ko chor ker mardon kay pass shewat say aatay ho? Haq yeh hai kay tum bari hi nadani ker rahey ho

[56] Qom ka jawab ba-juz iss kehnay kay aur kuch na tha kay aal-e-loot ko apnay shehar say shahar badar kerdo yeh to baray pak baaz bann rahey hain

[57] Pus hum ney ussay aur uss kay ehal ko ba-juz uss ki biwi kay sab ko bacha liya uss ka andaza to baqi reh janey walon mein hum laga hi chukay thay

[58] Aur unn per aik (khas qisam ki) barish barsa di pus unn dhamkaye huye logon per buri barish hui

[59] Tu keh dey kay tamam tareef Allah hi kay liye hai aur uss kay bar-gazeeda bandon per salam hai. Kiya Allah Taalaa behtar hai ya woh jinhen yeh log shareek thera rahey hain

[60] Bhala batao to? Kay aasamano ko aur zamin ko kiss ney peda kiya? Kiss ney aasman say barish barsaee? Phir uss say haray bharay ba-ronaq baghaat uga diye? Unn baghon kay darakhton ko tum hergiz na uga saktay kiya Allah kay sath aur koi mabood bhi hai? Bulkay yeh log hut jatay hain (seedhi raah say)

[61] Kiya woh jiss ney zamin ko qarar gaah banaya aur uss kay darmiyan nehren jari kerdin aur uss kay liye pahar banaye aur do samandaron kay darmiyan rok bana di kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai? Bulkay inn mein say aksar kuch jantay hi nahi

[62] Bay kus ki pukar ko jab kay woh pukaray kaun qabool ker kay sakhti ko door ker deta hai? Aur tumhen zamin ka khalfa banata hai kiya Allah Taalaa kay sath koi aur mabood hai? Tum boht kum naseehat-o-ibrat hasil kertay ho

[63] Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai

[64] Kiya woh jo makhlooq ki awwal dafa pedaeesh kerta hai phir ussay lotaye ga aur jo tumhen aasman aur zamin say roziyan dey raha hai kiya Allah kay sath koi aur mabood hai keh dijiye kay agar sachay hoto apni daleel lao

[65] Keh dijiye kay aasmano walon mein say zamin walon mein say siwaye Allah kay koi ghaib nahi janta unhen to yeh bhi nahi maloom kay kab utha kharay kiye jayen gay

[66] Bulkay aakhirat kay baray mein unn ka ilm khatam ho chuka hai bulkay yeh iss ki taraf say shak mein hain. Bulkay yeh iss say andhay hain

[67] Kafiron ney kaha kay kiya jab hum mitti ho jayen gay aur humaray baap dada bhi kiya hum phir nikalay jayen gay

[68] Hum aur humaray baap dadon ko boht pehlay say yeh waday diye jatay rahey. Kuch nahi yeh to sirf aglon kay afsaney hain

[69] Keh dijiye kay zamin mein chal phir ker zara dekho to sahi kay gunehgaron ka kaisa anjam hua

[70] Aap inn kay baray mein ghum na keren aur inn kay dao ghaat say tang dil na hon

[71] Kehtay hain kay yeh wada kab hai agar sachay ho to batla do

[72] Jawab dijiye! kay shayad baaz woh cheezen jin ki tum jaldi macha rahey ho tum say boht hi qareen hogaee hon

[73] Yaqeenan aap ka perwerdigar tamam logon per baray hi fazal wala hai lekin aksar log na-shukri kertay hain

[74] Be-shak aap ka rab unn cheezon ko bhi janta hai jinhen unn kay seenay chupa rahey hain aur jinhen zahir ker rahey hain

[75] Aasman-o-zamin ki koi posheeda cheez bhi aisi nahi jo roshan aur khulli kitab mein na ho

[76] Yaqeena yeh quran bani israeel kay samney unn aksar cheezon ka biyan ker raha hai jin mein yeh ikhtilaf kertay hain

[77] Aur yeh quran eman walon kay liye yaqeenan hidayat aur rehmat hai

[78] Aap ka rab unn kay darmiyan apnay hukum say sab faislay ker dey ga woh bara hi ghalib aur dana hai

[79] Pus aap yaqeenan Allah hi per bharosa rakhiye yaqeenan aap sachay aur khullay deen per hain

[80] Be-shak aap murdon ko nahi suna saktay hain aur na behron ko apni pukar suna saktay hain jabkay woh peeth pheray roo gardaan ja rahey hon

[81] Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hata ker rehnumaee ker saktay hain aap to sirf unhen suna saktay hain jo humari aayaton per eman laye hain phir woh farmanbardaar ho jatay hain

[82] Jab unn kay upper azab ka wada sabit hojaye ga hum zamin say unn kay liye aik janwar nikalen gay jo unn say batein kerta hoga kay log humari aayaton per yaqeen nahi kertay thay

[83] Aur jiss din her ummat mein say unn logon kay giroh ko jo humari aayaton ko jhutlatay thay gher ghaar ker layen gay phir woh sab kay sab alaga ker diye jayen gay

[84] Jab sab kay sab aa phonchen gay to Allah Taalaa farmaye ga kay tum ney meri aayaton ko bawajood yeh kay tumhen unn ka poora ilm na tha kiyon jhutlaya? Aur yeh bhi batlao kay tum kiya kuch kertay rahey

[85] Ba-sabab iss kay kay unhon ney zulm kiya tha unn per baat jum jayegi aur woh kuch na bol saken gay

[86] Kiya woh dekh nahi rahey hain kay hum ney raat ko iss liye banaya hai kay woh iss mein aaram hasil kerlen aur din ko hum ney dikhlaney wala banaya hai yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishaniyan hain jo emaan-o-yaqeen rakhtay hain

[87] Jiss din soor phooka jayega tum sab kay sab aasmanon walay aur zmain walay ghabra uthen gay magar jissay Allah Taalaa chahaye aur saray kay saray aajiz-o-pust ho ker uss kay samney hazir hongay

[88] Aur aap paharon ko dekh ker apni jagah jamay huye khayal kertay hain lekin woh bhi badal ki tarah urtay phiren gay yeh hai san’at Allah ki jiss ney her cheez ko mazboot banaya hai jo kuch tum kertay ho uss say woh ba-khabar hai

[89] Jo log nek amal layen gay unhen uss say behtar badla milay ga aur woh uss din ki ghabrahat say bey khof hongay

[90] Aur jo buraee ley ker aayen gay woh ondhay mun aag mein jhonk diye jayen gay. Sirf wohi badla diye jao gay jo tum kertay rahey

[91] Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein farmanbardaron mein say ho jaon

[92] Aur mein quran ki tilawat kerta rahon jo raah-e-raast per aajaye woh apnay nafay kay liye raah-e-raast per aayega. Aur jo behak jaye to keh dijiye! kay mein to sirf hoshiyaar kerney walon mein say hun

[93] Keh dijiye! kay tamam tareefen Allah hi ko saza waar hain woh un-qareeb apni nishaniyan dikhaye ga jinhen tum (khud) pehchan lo gay aur jo kuch tum kertay ho uss say aap ka rab ghafil nahi

القصص

Surah 28

[1] Tuaa-Seen-Meem

[2] Yeh aayaten hain roshan kitab ki

[3] Hum aap kay samney musa aur firaon ka sahih waqiya biyan kertay hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain

[4] Yaqeenan firaon ney zamin mein sirkashi ker rakhi thi aur wahan kay logon ko giroh giroh bana rakha tha aur unn mein say aik firqay ko kamzor ker rakha tha aur unn kay larkon ko to zibah ker dalta tha aur unn ki larkiyon ko zinda chor deta tha. Be-shak-o-shuba woh tha hi mufisdon mein say

[5] Phir humari chahat hui kay hum unn per karam farmayen jinhen zamin mein bey hadd kamzor ker diya gaya tha aur hum unhin ko paishwa aur (zamin) ka waris banayen

[6] Aur yeh bhi kay hum unhen zamin mein qudrat-o-ikhtiyar den aur firaon aur haamaan aur unn kay lashkeron ko woh dikhayen jiss say woh darr rahey hain

[7] Hum ney musa (alh-e-salam) ki maa ko wahee ki kay issay doodh pilati reh aur jab tujhay iss ki nisbat koi khof maloom hoto issay darya mein baha dena aur koi darr khof ya ranj ghum na kerna hum yaqeenan issay tumhari taraf lotaney walay hain aur issay apnay payghumbaron mein bananey walay hain

[8] Aakhir firaon kay logon ney iss bachay ko utha liya kay aakhir kaar yehi bacha inn ka dushman hua aur inn kay ranj ka baees bana kuch shak nahi kay firaon aur haamaan aur unn kay lashkar thay hi khata kaar

[9] Aur firaon ki biwi ney kaha kay yeh to teri aur meri aankhon ki thandak hai issay qatal na kero boht mumkin hai kay yeh humen koi faeeda phonchaye ya hum issay apna hi beta bana len aur yeh log shaoor hi na rakhtay thay

[10] Musa (alh-e-salam) ki walida ka dil bey qarar hogaya qareeb thin kay iss waqiyey ko zahir ker detin agar hum unn kay dil ko dharas na dey detay yeh iss liey kay woh yaqeen kerney walon mein rahey

[11] Musa (alh-e-salam) ki walida ney uss ki behan say kaha kay tu iss kay peechay peechay ja to woh ussay door hi door say dekhti rahi aur firaoniyon ko iss ka ilm bhi na hua

[12] Unn kay phonchney say pehlay hum ney musa (alh-e-salam) per daeeiyon ka doodh haram ker diya tha. Yeh kehnay lagi kay kiya mein tumhen aisa gharana bataon jo iss bachay ki tumharay liye perwerish keray aur hon bhi woh iss bachay kay khair khuwa

[13] Pus hum ney ussay uss ki maa ki taraf wapis phonchaya takay uss ki aankhen thandi rahen aur aazardah khatir na ho aur jaan ley kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin aksar log nahi jantay

[14] Aur jab musa (alh-e-salam) apni jawani ko phonch gaye aur pooray tawana hogaye hum ney unhen hikmat-o-ilm ata farmaya neki kerney walon ko hum issi tarah badla diya kertay hain

[15] Aur musa (alh-e-salam) aik aisay waqt shehar mein aaye jabkay shehar kay log ghaflat mein thay. Yahan do shakson ko lartay huyey paya yeh aik to uss kay rafiqon mein say tha aur yeh doosra uss kay dushmanon mein say uss ki qom walay ney uss kay khilaf jo uss kay dushmanon mein say tha uss say faryad ki jiss per musa (alh-e-salam) ney uss kay mukka mara jiss say woh marr gaya musa (alh-e-salam) kehnay lagay yeh to shetani kaam hai yaqeenan shetan dushman aur khullay tor per behkaney wala hai

[16] Phir dua kerney lagay aey perwerdigar! Mein ney khud apnay upper zulm kiya tu mujhay moaf farma dey Allah Taalaa ney ussay bakhsh diya woh bakhsish aur boht meharbani kerney wala hai

[17] Kehnay lagay aey meray rab! Jesay tu ney mujh per yeh karam farmaya mein bhi abb hergiz kissi gunehgar ka madadgar na bano ga

[18] Subah hi subah dartay andesha ki halat mein khabren lenay ko shehar mein gaye kay achanak wohi shaks jiss ney kal unn say madad talab ki thi unn say faryad ker raha hai. Musa (alh-e-salam) ney uss say kaha iss mein shak nahi tu to sareeh bey raah hai

[19] Phir jab uss kay aur apnay dushman ko pakarna chaha woh faryadi kehnay laga kay musa (alh-e-salam) kiya jissa tarah tu ney kal aik shaks ko qatal kiya hai mujhay bhi maar dalna chahata hai tu to mulk mein zalim-o-sirkash hona hi chahata hai aur tera yeh irada hi nahi kay milap kerney walon mein say ho

[20] Shehar kay parlay kinaray say aik shaks dorta hua aaya aur kehnay laga aey musa! Yahan kay sardar teray qatal ka mashwara ker rahey hain pus tu boht jald chala ja mujhay apna khair khuwa maan

[21] Pus musa (alh-e-salam) wahan say khofzada ho ker dekhtay bhaltay nikal kharay huyey kehnay lagay aey perwerdigar! Mujhay zlimon kay giroh say bacha ley

[22] Aur jab madiyan ki taraf mutawajja huyey to kehnay lagay mujhay umeed hai kay mera rab mujhay seedhi raah ley chalay ga

[23] Madiyan kay pani per jab aap phonchay to dekha kay logon ki aik jamat wahan pani pila rahi hai aur do aurten alag khari apnay (janwaron ko) rokti hui dikhaee den poocha kay tumhara kiya haal hai woh boleen kay jab tak yeh charwahey wapis na lot jayen hum pani nahi pilatin aur humaray walid boht bari umar kay boorhay hain

[24] Pus aap ney khud inn janwaron ko pani pila diya phir saye ki taraf hut aaye aur kehnay lagay aey perwerdigar! Tu jo kuch bhalaee meri taraf utaray mein uss ka mohtaj hun

[25] Itnay mein dono aurton mein say aik unn ki taraf sharam-o-haya say chalti hui aaee kehnay lagi kay meray baap aap ko bula rahey hain takay aap ney humaray (janwaron) ko jo pani pilaya hai uss ki ujrat den jab hazrat musa (alh-e-salam) unn kay pass phonchay aur unn say apna sara haal biyan kiya to woh kehnay lagay abb na darr tu ney zalim qom say nijat paee

[26] Unn dono mein say aik ney kaha abba ji! Aap enhen mazdoori per rakh lijiyey kiyon kay jinhen aap ujrat per rakhen unn mein say sab say behtar woh hai jo mazboot aur amanat daar ho

[27] Uss buzrug ney kaha mein apni inn dono larkiyon mein say aik ko aap kay nikkah mein dena chahata hun iss (mehar per) kay aap aath saal tak mera kaam kaaj keren. Haan agar aap dus saal pooray keren to yeh aap ki taraf say bator ehsan kay hai mein yeh hergiz nahi chahata kay aap ko kissi mushaqqat mein dalon Allah ko manzoor hai to aagay chal ker aap mujhay bhala aadmi payen gay

[28] Musa (lah-e-salam) ney kaha khair to yeh baat meray aur aap kay darmiyan pukhta hogaee mein inn dono muddaton mein say jissay poora keron mujh per koi ziyadti na ho hum yeh jo kuch ker rahey hain iss per Allah (gawah aur) kaar saaz hai

[29] Jab hazrat musa (alh-e-salam) ney muddat poori ker liaur apnay ghar walon ko ley ker chalay to koh-e-toor ki taraf aag dekhi. Apni biwi say kehnay lagay thero! Mein ney aag dekhi hai boht mumkin hai kay mein wahan say koi khabar laaon ya aag ka koi angara laon takay tum seenk lo

[30] Pus jab wahan phonchay to uss ba-barkat zamin kay maidan kay dayen kinaray kay darakht mein say awaz diyey gaye kay aey musa! Yaqeenan mein hi Allah hun saray jahano ka perwerdigar

[31] Aur yeh (bhi awaz aaee) kay apni laathi daal dey. Phir jab ussay dekha kay woh saanp ki tarah phan phana rahi hai to peeth pher ker wapis hogaye aur murr ker rukh bhi na kiya hum ney kaha aey musa! Aagay aa darr mat yaqeenan tu her tarah aman wala hai

[32] Apnay hath ko apnay girbaan mein daal woh baghair kisi qisam kay rog kay chamakta hua niklay ga bilkul safaid aur khof say (bachney kay liye) apnay bazoo apni taraf mila ley pus yeh dono moajzzay teray liye teray rab ki taraf say hain firaon aur uss ki jamat ki taraf yaqeenan woh sab kay sab bey hukum aur na farman log hain

[33] Musa (alh-e-salam) ney kaha perwerdigar! Mein ney unn ka aik aadmi qatal ker diya tha. Abb mujhay andesha hai kay woh mujhay bhi qatal ker daalen

[34] Aur mer bhai haroon (alh-e-salam) mujh say boht ziyada faseeh zaban wala hai tu ussay bhi mera madadgar bana ker meray sath bhej kay woh mujhay sacha manay mujhay to khof hai kay woh sab mujhay jhutla den gay

[35] Allah Taalaa ney farmaya kay hum teray bhai kay sath tera bazoo mazboot ker den gay aur tum dono ko ghalba den gay firaoni tum tak phonch hi na saken gay ba-sabab humari nishaniyon kay tum dono aur tumhari tabey daari kerney walay hi ghalib rahen gay

[36] Pus jab unn kay pass musa (alh-e-salam) humaray diyey huyey khullay moajzzay ley ker phonchay to woh kehnay lagay yeh to sirf ghara gharaya jadoo hai hum ney apnay aglay baap dadon kay zamaney mein kabhi yeh nahi suna

[37] Hazrat musa (alh-e-salam) kehnay lagay mera rab taalaa issay khoob janta hai jo uss kay pass ki hidayat ley ker aata hai aur jiss kay liye aakhirat ka (acha) anjam hota hai yaqeenan bey insafon ka bhala na hoga

[38] Firaon kehney laga aey darbariyo! Mein to apnay siwa kissi ko tumhara mabood nahi janta. Sunn aey haamaan! Tu meray liye mitti ko aag say pakwa phir meray liye aik mehal tameer ker to mein musa kay mabood ko jhank loon ussay mein to jhooton mein say hi gumaan ker raha hun

[39] Uss ney aur uss kay lashkar ney na-haq tareeqay per mulk mein takabbur kiya aur samajh liya kay woh humari janib lotaye hi na jayen gay

[40] Bil-aakhir hum ney ussay aur uss kay lashkaron ko pakar liya aur darya burd ker diya abb dekh ley kay unn gunehgaaron ka anjam kaisa kuch hua

[41] Aur hum ney unhen aisay imam bana diyey kay logon ko jahannum ki taraf bulayen aur roz-e-qayamat mutlaq madad na kiye jayen

[42] Aur hum ney iss duniya mein bhi unn kay peechay apni laanat laga di aur qayamat kay din bhi woh bad-haal logon mein say hongay

[43] Aur unn aglay zamaney walon ko halak kerney kay baad hum ney musa (alh-e-salam) ko aisi kitab inayat farmaee jo logon kay liye daleel aur hidayat-o-rehmat ho ker aaee thi takay woh naseehat hasil ker len

[44] Aur toot kay maghribi janib jab kay hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum ehkaam ki wahee phonchaee thi na to tu mojood tha aur na tu dekhney walon mein say tha

[45] Lekin hum ney boht si naslen peda kin jin per lambi muddaten guzar gayen aur na tu madiyan kay rehney walon mein say tha kay unn kay samney humari aayaton ki tilawat kerta bulkay hum hi rasoolon kay bhejney walay rahey

[46] Aur na tu toor ki taraf tha jab kay hum ney aawaz di bulkay yeh teray perwerdigar ki taraf say aik rehmat hai iss liye kay tu unn logon ko hoshiyaar ker dey jin kay pass tujh say pehlay koi daraney wala nahi phoncha kiya ajab kay woh naseehat hasil ker len

[47] Agar yeh baat na hoti kay enhen unn kay apnay hathon aagay bhejay huyey aemaal ki waja say koi naseehat phonchti to yeh keh uthtay kay aey humaray rab! Tu ney humari taraf koi rasool kiyon na bheja? Kay hum teri aayaton ki tabeydaari kertay aur eman walon mein say ho jatay

[48] Phir jab unn kay pass humari taraf say haq aa phoncha to kehtay hain kay yeh woh kiyon nahi diya gaya jesay diyey gaye thay musa (alh-e-salam) acha to kiya musa (alh-e-salam) ko jo kuch diya gaya tha uss kay sath logon ney kufur nahi kiya tha saaf kaha tha kay yeh dono jadoogar hain jo aik doosray kay madadgaar hain aur hum to inn sab kay munkir hain

[49] Kehdey agar sachay hoto tum bhi Allah kay pass say aisi kitab ley aao jo inn dono say ziyada hidayat wali ho mein ussi ki pairwee keroon ga

[50] Phir agar yeh teri na maney to tu yaqeen ker lay kay yeh sirf apni khuwaish ki pairwee ker rahey hain. Aur uss say barh ker behka hua kaun hai? Jo apni khuwaish kay peechay para hua ho baghair Allah ki rehnumaee kay be-shak Allah Taalaa zalim logon ko hidayat nahi deta

[51] Aur hum barabar pay dar pay logon kay liye apna kalaam bhejtay rahey takay woh naseehat hasil kerlen

[52] Jiss ko hum ney iss say pehlay kitab inayat farmaee woh to uss per bhi eman rakhtay hain

[53] Aur jab uss ki aayaten unn kay pass parhi jati hain to woh keh detay hain kay iss kay humaray rab ki taraf say haq honey per humara eman hai hum to iss say pehlay hi musalman hain

[54] Yeh apnay kiye huyey sabar kay badley dohra dohra ajar diye jayen gay. Yeh neki say badi ko taal detay hain aur hum ney enhen jo dey rakha hai iss mein say detay rehtay hain

[55] Aur jab bey huda baat kaan mein parti hai to uss say kinara ker letay hain aur keh detay hain kay humaray amal humaray liye aur tumharay amal tumharay liye tum per salam ho hum jahilon say (ulajhna) nahi chahatay

[56] Aap jissay chahayen hidayat nahi ker saktay bulkay Allah Taalaa hi jissay chahaye hidayat kerta hai. Hidayat walon say wohi khoob aagah hai

[57] Kehney lagay kay agar hum aap kay sath hoker hidayat kay tabey daar bann jayen to hum to apnay mulk say uchak liye jayen kiya hum ney unehn aman-o-amaan aur hurmat walay haram mein jagah nahi di? Jahan tamam cheezon kay phal khinchay chalay aatay hain jo humaray pass bator rizk kay hain lekin inn mein say aksar kuch nahi jantay

[58] Aur hum ney boht si woh bastiyan tabah kerdin jo apnay aish-o-ishrat mein itraney lagi thin yeh hain unn ki rehaeesh ki jaghen jo unn kay baad boht kum hi abad ki gaeen aur hum hi hain aakhir sab kuch kay waris

[59] Tera rab kissi aik basti ko bhi uss waqt tak halak nahi kerta jab tak kay unn ki kissi bari basti mein apna koi payghumbar nahi bhej dey jo unehn humari aayaten parh ker suna deyaur hum bastiyon ko ussi waqt halak kertay hain jabkay wahan walay zulm-o-sitam per kamar kass len

[60] Aur tumhen jo kuch diya gaya hai woh sirf zindag-e-duniya ka samaan aur ussi ki ronaq hai haan Allah kay pass jo hai woh boht hi behtar aur dairpaa hai. Kiya tum nahi samajhtay

[61] Kiya woh shaks jiss say hum ney nek wada kiya hai jissay woh qata’an paney wala hai misil uss shaks kay ho sakta hai? Jissay hum ney zindaganiy-e-duniya ki kuch yun hi si manfa’at dey di phir bil-aakhir woh qayamat kay roz pakra baandha hazir kiya jayega

[62] Aur jiss din Allah Taalaa unhen pukar ker farmaye ga kay tum jinehn apnay gumaan mein mera shareek thera rahey thay kahan hain

[63] Jin per baat aa chuki woh jawab den gay kay aey humaray perwerdigar! Yehi woh hain jinhen hum ney behka rakha tha hum ney enhen issi tarah behkaya jiss tarah hum behkay thay hum teri sarkar mein apni dast darazi kertay hain yeh humari ibadat nahi kertay thay

[64] Kaha jayega apnay shareekon ko bulao woh bulayen gay lekin woh jawab tak na den gay aur sab azab dekh len gay kaash yeh log hidayat paa letay

[65] Uss din unn ko bula ker poochay ga kay tum ney nabiyon ko kiya jawab diya

[66] Phir uss din unn ki tamam daleelen gumm hojayen gi aur aik doosray say sawal tak na keren gay

[67] Haan jo shaks tauba ker ley eman ley aaye aur nek kaam keray yaqeen hai kay woh nijat paaney walon mein say hojaye ga

[68] Aur aap ka rab jo chahata hai peda kerta hai aur jisay chahata hai chun leta hai inn mein say kissi ko koi ikhtiyar nahi Allah hi kay liye paki hai woh buland tar hai her uss cheez say kay log shareek kertay hain

[69] Unn kay seenay jo kuch chupatay aur jo kuch zahir kertay hain aap ka rab sab kuch janta hai

[70] Wohi Allah hai uss kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi duniya aur aakhirat mein ussi ki tareef hai. Ussi kay liye farman rawaqee hai aur ussi ki taraf tum sab pheray jao gay

[71] Keh dijiye! kay dekho to sahi agar Allah Taalaa tum per raat hi raat qayamat tak barabar ker dey to siwaye Allah kay kaun mabood hai jo tumharay pass din ki roshni laye? Kiya tum suntay nahi ho

[72] Poochiye! Kay yeh bhi batado kay agar Allah Taalaa tum per hamesha qayamat tak din hi din rakhay to bhi siwaye Allah Taalaa kay koi mabood hai jo tumharay pass raat ley aaye? Jiss mein tum aaraam hasil kero kiya tum dekh nahi rahey ho

[73] Ussi ney tumharay liye apnay fazal-o-karam say din raat muqarrar ker diye hain kay tum raat mein aaraam kero aur din mein uss ki bheji hui rozi talash kero yeh iss liye kay tum shukar ada kero

[74] Aur jiss din unhen pukar ker Allah Taalaa farmaye ga jinhen tum meray shareek khayal kertay thay woh kahan hain

[75] Aur hum her ummat mein say aik gawah alag ker len gay kay apni daleelen paish kero pus uss waqt jaan len gay kay haq Allah Taalaa ki taraf hai aur jo kuch iftra woh jortay thay sab unn kay pass say kho jaye ga

[76] Qaroon tha to qom-e-musa say lekin unn per zulm kerney laga tha hum ney ussay (iss qadar) khazaney dey rakhay thay kay kaee kaee taqatwar log ba mushkil uss ki kunjiyan utha saktay thay aik baar uss ki qom ney uss say kaha kay itra mat! Allah Taalaa itraney walon say mohabbat nahi rakhta

[77] Aur jo kuch Allah Taalaa ney tujhay dey rakha hai uss mein say aakhirat kay ghar ki talash bhi rakh aur apnay dunyawi hissay ko bhi na bhool aur jesay Allah ney teray sath ehsan kiya hai tu bhi acha salook ker aur mulk mein fasad ka khuwan na ho yaqeen maan kay Allah mufsidon ko na pasand rakhta hai

[78] Qaroon ney kaha yeh sab kuch mujhay meri apni samajh ki bina per hi diya gaya hai kiya issay abb tak yeh nahi maloom kay Allah Taalaa ney uss say pehlay boht si basti walon ko ghaarat ker diya jo uss say boht ziyada qooat walay aur boht bari jama poonji walay thay. Aur gunehgaaron say unn kay gunahon ki baaz purs aisay waqt nahi ki jati

[79] Pus qaroon poori aaraeesh kay sath apni qom kay majmay mein nikla to dunyawi zindagi kay matwalay kehney lagay kaash kay humen bhi kissi tarah woh mill jata jo qaroon ko diya gaya hai. Yeh to bara hi qismat ka dhani hai

[80] Zee ilm log unhen samjhaney lagay kay afsos! Behtar cheez to woh hai jo bator sawab unhen milay gi jo Allah per eman layen aur nek amal keren yeh baat unhi kay dil mein dali jati hai jo sabar-o-sahaar walay hon

[81] (aakhir kaar) hum ney ussay uss kay mehal samet zamin mein dhansa diya aur Allah kay siwa koi jamaat uss ki madad kay liye tayyar na hui na woh khud apnay bachaney walon mein say ho saka

[82] Aur jo log kal uss kay martabay per phonchney ki aarzoo mandiyan ker rahey thay woh aaj kehney lagay kay kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa hi apnay bandon mein say jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur tang bhi? Agar Allah Taalaa hum per fazal na kerta to humen bhi dhansa deta kiya dekhtay nahi ho kay na-shukron ko kabhi kaamyabi nahi hoti

[83] Aakhirat ka yeh bhala ghar hum unn hi kay liye muqarrar ker detay hain jo zamin mein unchaee baraee aur fakhar nahi kertay na fasad ki chahat rakhtay hain. Perhezgaron kay liye nihayat hi umdaa anjam hai

[84] Jo shaks neki laye ga uss uss say behtar milay ga aur jo buraee ley ker aaye ga to aisay bad-aemaali kernay walon ko unn kay unhi aemaal ka badla diya jaye ga jo woh kertay thay

[85] Jiss Allah ney aap per quran nazil farmaya hai woh doobara aap ko pehli jagah laaney wala hai keh dijiye! kay mera rab ussay bhi ba-khoobi janta hai jo hidayat laya hai aur uss bhi jo khulli gumrahee mein hai

[86] Aap ko kabhi iss ka khayal bhi na guzra tha kay aap ki taraf kitab nazil farmaee jaye gi lekin yeh aap kay rab i meharbaani say utra. Abb aap ko hergiz kafiron ka madadgaar na hona chahaye

[87] Khayal rakhiye kay yeh kufaar aap ko Allah Taalaa ki aayaton ki tableegh say rok na den iss kay baad kay yeh aap ki janib utari gaeen to apnay rab ki taraf bulatay rahen aur shirk kerney walon mein say na hon

[88] Allah Taalaa kay sath kissi aur mabood ko na pukarna ba-juz Allah Taalaa kay koi aur mabood nahi her cheez fana honey wali hai magar ussi ka mun. (aur zaat ) ussi kay liye farmanrawaee hai aur tum ussi ki taraf lotaye jaogay

العنکبوت

Surah 29

[1] Alif-Laam-Meem

[2] Kiya logon ney yeh guman ker rakha hai kay unn kay sirf iss daway per kay hum eman laye hain hum unhen baghair aazmaye huyey hi chor den gay

[3] Inn say aglon ko bhi hum ney khoob jancha. Yeqeenan Allah Taalaa unhen bhi jan ley ga jo sach kehtay hain aur unhen bhi maloom ker ley ga jo jhootay hain

[4] Kiya jo log burayiyan ker rahey hain unhon ney yeh samajh rakha hai kay woh humaray qaboo say bahir ho jayen gay yeh log kaisi buri tajweezen ker rahen hain

[5] Jisay Allah ki mulaqat ki umeed ho pus Allah ka theraya hua waqt yaqeenan aaney wala hai woh sab kuch sunnay wala sab kuch jannay wala hai

[6] Aur her aik kosish kerney wala apnay hi bhalay ki kosish kerta hai. Wesay to Allah Taalaa tamam jahaan walon say bey niyaz hai

[7] Aur jo log eman laye aur unhon ney mutabiq-e-sunnat kaam kiye hum unn kay tamam gunahon ko unn say door ker den gay aur unhen unn kay nek aemaal kay behtareen badlay den gay

[8] Hum ney her insan ko apnay maa baap kay sath acha salook kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh kosish keren kay aap meray sath ussay shareek ker len jiss ka aap ko ilm nahi to unn ka kehna na maniyey tum sab ka lotna meri hi taraf hai phir mein her uss cheez say jo tum kertay thay tumhen khabar doon ga

[9] Aur jin logon ney eman qabool kiya aur nek kaam kiye unhen mein apnay nek bandon mein shumar ker loon ga

[10] Aur baaz log aisay bhi hain jo zabani kehtay hain kay hum eman laye hain lekin jab Allah ki raah mein koi mushkil aan parti hai to logon ko ezza dahi ko Allah Taalaa kay azab ki tarah bana letay hain haan haan agar Allah ki madad aajaye to pukar uthtay hain kay hum to tumharay sathi hi hain kiya duniya jahaan kay seeno mein jo kuch hai usay Allah Taalaa janta nahi hai

[11] Jo log eman laye Allah unhen bhi zahir ker kay rahey ga aur munafiqon ko bhi zahir ker kay rahey ga

[12] Kafiron ney eman walon say kaha kay tum humari raah ki taby daari kero tumharay gunah hum utha len gay halankay woh inn kay gunahon mein say kuch bhi nahi uthaney walay yeh to mehaz jhootay hain

[13] Albatta yeh apnay bojh dho len gay aur apnay bojhon kay sath hi aur bojh bhi. Aur jo kuch iftra perdaziyan ker rahey hain unn sab ki babat unn say baaz purs ki jaye gi

[14] Aur hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn ki qom ki taraf bheja woh unn mein sarhay no so saal tak rahey phir to unhen toofan ney dhar pakra aur woh thay bhi zalim

[15] Phir hum ney unhen aur kashti walon ko nijat di aur iss waqey ko hum ney tamam jahaan kay liye ibrat ka nishan bana diya

[16] Aur ibrahim (alh-e-salam) ney bhi apni qom say farmaya kay Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss say dartay raho agar tum mein daanaaee hai to yehi tumharay liye behtar hai

[17] Tum to Allah Taalaa kay siwa buton ki pooja paat ker rahey ho aur jhooti baatein dil say gharh letay ho. Suno! Jin jin ki tum Allah Taalaa kay siwa pooja paat ker rahey ho woh to tumhari rozi kay malik nahi pus tumhen chahayey kay tum Allah Taalaa hi say roziyan talab kero aur ussi ki ibadat kero aur ussi ki shukar guzari kero aur ussi ki taraf tum lotaye jao gay

[18] Aur agar tum jhutlao to tum say pehlay ki ummaton ney bhi jhutlaya hai rasool kay zimmay to sirf saaf tor per phoncha dena hi hai

[19] Kiya enhon ney nahi dekha kay makhlooq ki ibtida kissa tarah Allah ney ki phir Allah iss ka aey-aada keray ga yeh to Allah Taalaa per boht hi aasan hai

[20] Keh dijiye! kay zamin mein chal phir ker dekho to sahi kay kiss tarah Allah Taalaa ney ibtida’an pedaeesh ki. Phir Allah Taalaa hi doosri naee pedaeesh keray ga Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[21] Jissay chahaye azab keray jiss per chahaye reham keray sab ussi ki taraf lotaye jao gay

[22] Tum na to zamin mein Allah Taalaa ko aajiz ker saktay ho na aasman mein Allah Taalaa kay siwa tumhara koi waali hai na madadgaar

[23] Jo log Allah Taalaa ki aayaton aur uss ki mulaqat ko bhulatay hain woh meri rehmat say na umeed ho jayen aur unn kay liye dard naak azab hai

[24] Unn ki qom ka jawab ba-juz iss kay kuch na tha kay kehney lagay kay issay maar dalo ya issay jala do. Aakhirish Allah ney unhen aag say bacha liya iss mein eman walay logon kay liye boht si nishaniyan hain

[25] (hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha kay tum ney jin buton ki parastish Allah kay siwa ki hai unhen tum ney apni aapas ki duniyawi dosti ki bina thera li hai tum sab qayamat kay din aik doosray say kufur kerney lago gay aur aik doosray per lanat kerney lago gay. Aur tumhara sab ka thikana dozakh hoga aur tumhara koi madadgaar na hoga

[26] Pus hazrat ibrahim (alh-e-salam) per hazrat loot (alh-e-salam) eman laye aur kehnay lagay kay mein apnay rab ki taraf hijrat kerney wala hun. Woh bara hi ghalib aur hakeem hai

[27] Aur hum ney unhen (ibrahim ko) ishaq-o-yaqoob (alheem-us-salam) ata kiye aur hum ney naboowat aur kitab unn ki aulad mein hi kerdi aur hum ney duniya mein bhi ussay sawab diya aur aakhirat mein to woh saleh logon mein say hai

[28] Aur hazrat loot (alh-e-salam) ka bhi ziker kero jabkay unhon ney apni qom say farmaya kay tum to iss bad-kaari per utar aaye ho jissay tum say pehlay duniya bhar mein say kissi ney nahi kiya

[29] Kiya tum mardon kay pass bad faylee kay liye aatay ho aur raastay band kertay ho aur apni aam majlison mein bey hayaeeyon ka kaam kertay ho? Iss kay jawab mein uss ki qom ney ba-juz iss kay aur kuch nahi kaha kay bus jaa agar sacha hai to humaray pass Allah ka azab ley aa

[30] Hazrat loot (alh-e-salam) ney dua ki kay perwerdigar! Iss mufsid qom per meri madad farma

[31] Aur jab humaray bhejay huyey farishtay hazrat ibrahim (alh-e-salam) kay pass bisharat ley ker phonchay kehnay lagay kay iss basti walon ko hum halak kerney walay hain yaqeenan yahan kay rehney walay gunehgaar hain

[32] (hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha iss mein to loot (alh-e-salam) hain farishton ney kaha yahan jo hain hum unhen ba-khoobi jantay hain. Loot (alh-e-salam) ko aur uss kay khandan ko siwaye uss ki biwi kay hum bacha len gay albatta woh aurat peechay reh janey walon mein say hai

[33] Phir jab humaray qasid loot (alh-e-salam) kay pass phonchay to woh inn ki waja say ghumgeen huyey aur dil hi dil mein ranj kerney lagay. Qasidon ney kaha aap na khof khayiey na aazarda hon hum aap ko maa aap kay mutallaqeen kay bacha len gay magar aap ki biwi kay woh azab kay liye baqi reh janey walon mein say hogi

[34] Hum iss basti walon per aasmani azab nazil kerney walay hain iss waja say kay yeh bey hukum ho rahey hain

[35] Albatta hum ney uss basti ko sareeh ibrat ki nishani bana diya unn logon kay liye jo aqal rakhtay hain

[36] Aur madiyan ki taraf hum ney unn kay bhai shoaib (alh-e-salam) ko bheja unhon ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero qayamat kay din ki tawaqqa rakho aur zamin mein fasad na kertay phiro

[37] Phir bhi unhon ney unhen jhutlaya aakhirish unhen zalzalay ney pakar liya aur woh apnay gharon mein bethay kay bethay murda ho ker reh gaye

[38] Aur hum ney aadiyon aur samoodiyon ko bhi gharat kiya jin kay baad makanaat tumharay samney zahir hain aur shetan ney unhen unn ki bad aemaaliyan aaraasta ker dikhaee thin aur unhen raah say rok diya tha bawajood yeh kay yeh aankhon walay aur hoshiyaar thay

[39] Aur qaroon aur firaon aur haamaan ko bhi unn kay pass hazrat musa (alh-e-salam) khulay khulay moajzzay ley ker aaye thay phir bhi unhon ney zamin mein takabbur kiya lekin hum say aagay barhney walay na ho sakay

[40] Phir to her aik ko hum ney uss kay gunah ka wabaal mein giriftar ker liya inn mein say baaz per hum ney pathron ka menh barsaya aur inn mein say baaz ko zor daar awaz sakht awaz ney daboch liya aur inn mein say baaz ko hum ney zamin mein dhansa diya aur inn mein say baaz ko hum ney dobo diya Allah Taalaa aisa nahi kay unn per zulm keray bulkay yehi log apni jano per zulm kertay thay

[41] Jin logon ney Allah Taalaa kay siwa aur kaar saaz muqarrar ker rakhay hain unn ki misaal makri ki si hai kay woh bhi aik ghar bana leti hai halankay tamam gharon say ziyada boda ghar makri ka ghar hi hai kaash! Woh jaan letay

[42] Allah Taalaa unn tamam cheezon ko janta hai jinhen woh uss kay siwa pukar rahey hain woh zabardast aur zee hikmat hai

[43] Hum inn misalon ko logon kay liye biyan farma rahey hain enhen sirf ilm walay hi samajhtay hain

[44] Allah Taalaa ney aasmano aur zamin ko masleyhat aur haq kay sath peda kiya hai eman walon kay liye to iss mein bari bhari daleel hai

[45] Jo kitab aap ki taraf wahee ki gaee hai ussay parhiyey aur namaz qaeem keren yaqeenan namaz bey hayaee aur buraee say rokti hai be-shak Allah ka ziker boht bari cheez hai tum jo kuch ker rahey ho uss say Allah khabardaar hai

[46] Aur ehal-kitab kay sath behas-o-mubahisa na kero magar iss tareeqay per jo umdah ho magar unn kay sath jo unn mein zalim hain aur saaf aeylaan kerdo kay humara to iss kitab per bhi eman hai jo hum per utari gaee hai aur iss per bhi jo tum per utari gaee hai humara tumhara mabood aik hi hai. Hum sab ussi kay hukum bardaar hain

[47] Aur hum ney issi tarah aap ki taraf apni kitab nazil farmaee hai pus jinhen hum ney kitab di hai woh iss per eman latay hain aur inn (mushrikeen) mein say baaz iss per eman rakhtay hain aur humari aayaton ka inkar sirf kafir hi kertay hain

[48] Iss say pehlay to aap koi kitab parhtay na thay aur na kissi kitab ko apnay hath say likhtay thay kay batil parast log shak-o-shuba mein partay

[49] Bulkay yeh (quran) to roshan aayaten hain jo ehal-e-ilm kay seeno mein mehfooz hain humari aayaton ka munkir ba-juz zalimon kay aur koi nahi

[50] Unhon ney kaha iss per kuch nishaniyan (moajzzaat) iss kay rab ki taraf say kiyon nahi utaray gaye. Aap keh dijiye kay nishaniyan to sab Allah Taalaa kay pass hain mein to sifr khullam khulla aagah ker denay wala hun

[51] Kiya enhen yeh kafi nahi? Kay hum ney aap per kitab nazil farma di jo inn per parhi ja rahi hai iss mein rehmat (bhi) hai aur naseehat (bhi) hai unn logon kay liye jo eman latay hain

[52] Keh dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah Taalaa gawah hona kafi hai woh aasman-o-zamin ki her cheez ka aalim hai jo log batil kay mannay walay aur Allah Taalaa say kufur kerney walay hain woh zabardast nuksan aur ghatay mein hain

[53] Yeh log aap say azab ki jaldi ker rahey hain. Agar meri taraf say muqarrar kiya hua waqt na hota to abhi tak inn kay pass azab aa chuka hota yeh yaqeeni baat hai kay achanak inn ki bey khabri mein inn kay pass azab aa phonchay ga

[54] Yeh azab ki jaldi macha rahey hain aur (tasalli rakhen) jahannum kafiron ko gher lenay wali hai

[55] Uss din unn kay upper talay say unhen azab dhaanp raha hoga aur Allah Taalaa farmaye ga kay abb apnay ( bad) aemaal ka maza chakho

[56] Aey meray eman walay bando! Meri zamin boht kushada hai so tum meri hi ibadat kero

[57] her jaandaar maut ka maza chakhney wala hai aur tum sab humari hi taraf lotaye jaogay

[58] Aur jo log eman laye aur nek kaam kiye unhen hum yaqeenan jannat kay unn bala khano mein jaga den gay jin kay neechay chashmen beh rahey hain jahan woh hamesha rahen gay kaam kerney walon ka kiya hi acha ajar hai

[59] Woh jinhon ney sabar kiya aur apnay rab taalaa per bharosa rakhtay hain

[60] Aur boht say janwar hain jo apni rozi uthaye nahi phirtay unn sab ko aur tumhen bhi Allah Taalaa hi rozi deta hai woh bara hi sunnay jannay wala hai

[61] Aur agar aap inn say daryaft keren kay zamin-o-aasman ka khaliq aur sooraj chand ko kaam mein laganey wala kaun hai? To inn ka jawab yehi hoga kay Allah Taalaa phir kidhar ultay jarahey hain

[62] Allah Taalaa apnay bandon mein say jissay chahaye farakh rozi deta hai aur jissay chahaye tang. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai

[63] Aur agar aap inn say sawal keren kay aasman say pani utaar ker zamin ko uss ki maut kay baad zinda kiss ney kiya? To yaqeenan inn ka jawab yehi hoga Allah Taalaa ney. Aap keh den kay her tareef Allah hi kay liye saza waar hai bulkay inn mein say aksar bey aqal hain

[64] Aur duniya ki yeh zindagani to mehaz khel tamasha hai albatta aakhirat kay ghar ki zindagi hi haqeeqi zindagi hai kaash! Yeh jantay hotay

[65] Pus yeh log jab kashti mein sawar hotay hain to Allah Taalaa hi ko pukartay hain uss kay liye ibadat ko khalis ker kay phir jab woh enhen khuski ki taraf bacha laata hai to ussi waqt shirk kerney lagtay hain

[66] Takay humari di hui nematon say mukartay rahen aur barattay rahen. Abhi abhi pata chal jayega

[67] Kiya yeh nahi dekhtay kay hum ney haram ko baa-aman bana diya hai halankay inn kay ird-gird say log uchak liye jatay hain kiya yeh batil per to yaqeen rakhtay hain aur Allah Taalaa ki nematon per na-shukri kertay hain

[68] Aur uss say bara zalim kaun hoga? Jo Allah Taalaa per jhoot bandhay ya jab haq uss kay pass aajaye woh ussay jhutlaye kiya aisay kafiron ka thikana jahannum mein na hoga

[69] Aur jo log humari raah mein mushaqqaten bardasht kertay hain hum unhen apni rahen zaroor dikha den gay. Yaqeenan Allah Taalaa neko kaaron ka sathi hai

الروم

Surah 30

[1] Alif-Laam-Meem

[2] Roomi maghloob hogaye hain

[3] Nazdeek ki zamin per aur woh maghloon honey kay baad un-qareeb ghalib aajayen gay

[4] Chand saal mein hi. Iss say pehlay aur iss kay baad bhi ikhtiyar Allah Taalaa hi ka hai. Uss roz musalman shaadmaan hongay

[5] Allah ki madad say woh jiss ki chahata hai madad kerta hai. Asal ghalin aur meharbaan wohi hai

[6] Allah ka wada hai Allah Taalaa apnay waday kay khilaf nahi kerta lekin aksar log nahi jantay

[7] Woh to (sirf) duniyawi zindagi kay zahir ko (hi) jantay hain aur aakhirat say to bilkul hi bay khabar hain

[8] Kiya inn logon ney apnay dil mein yeh ghor nahi kiya? Kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin aur inn kay darmiyan jo kuch hai sab ko behtareen qareeney say muqarrar waqt tak kay liye hi (peda) kiya hai haan aksar log yaqeenan apnay rab ki mulaqat kay munkir hain

[9] Kiya enhon ney zamin mein chal phir ker yeh nahi dekha kay inn say pehlay logon ka anjam kaisa (bura) hua? Woh inn say boht zada tawana (aur taqatwar) thay aur unhon ney (bhi) zamin boee joti thi aur inn say ziyada abad ki thi aur unn kay pass unkay rasool roshan dalaeel ley ker aaye thay. Yeh to na mumkin tha kayAllah Taalaa unn per zulm kerta lekin (dar asal) woh khud apni jano per zulm kertay thay

[10] Phir aakhrish bura kerney walon ka boht hi bura anjam hua iss liye kay woh Allah Taalaa ki aayaton ko jhutlatay thay aur inn ki hansi uratay thay

[11] Allah Taalaa hi makhlooq ki ibtida kerta hai phir wohi ussay doobara peda keray ga phir tum sab ussi ki taraf lotaye jaogay

[12] Aur jiss din qayamat qaeem hogi to gunehgaar heyrat zada reh jayen gay

[13] Aur inn kay tamam tar shareekon mein say aik bhi inn ka sifarshi na hoga aur (khud yeh bhi) apnay shareekon kay munkir ho jayen gay

[14] Aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din (jamaten) alag alag hojayen gi

[15] Jo eman laa ker nek aemaal kertay rahey woh to jannat mein khush-o-khurram ker diyey jayen gay

[16] Aur jinhon ney kufur kiya tha aur humari aayaton ko aur aakhirat ki mulaqat ko jhoota theraya tha woh sab azab mein pakar ker hazir rakhay jayen gay

[17] Pus Allah Taalaa ki tasbeeh parha kero jab kay tum shaam kero aur jab subah kero

[18] Tamam tareefon kay laeeq aasman-o-zamin mein sirf wohi hai teesray pehar bhi aur zohar kay waqt bhi (uss ki pakeezgi biyan kero)

[19] (wohi) zinda ko murda say aur murda ko zinda say nikalta hai. Aur wohi zamin ko uss ki maut kay baad zinda kerta hai issi tarah tum (bhi) nikalay jao gay

[20] Allah ki nishaniyon mein say hai kay uss ney tum ko mitti say peda kiya phir abb insan bann ker (chaltay phirtay) phel rahey ho

[21] Aur uss ki nishaniyon mein say hai kay tumhari hi jins say biwiyan peda ki takay tum inn say aaram pao uss ney tumharay darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kerdi yaqeenan ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain

[22] Uss (ki qudrat) ki nishaniyon mein say aasmano aur zamin ki pedaeesh aur tumhari zabano aur rangaton ka ikhtilaf (bhi) hai danish mando kay liye iss mein yaqeenan bari nishaniyan hain

[23] Aur (bhi) uss ki (qudrat ki) nishani tumhari raton aur din ki neend mein hai aur uss kay fazal (yani rozi) ko tumhara talash kerna bhi hai. Jo log (kaan laga ker) sunnay kay aadi hain unn kay liye iss mein boht si nishaniyan hain

[24] Aur uss ki nishaniyon mein say aik yeh (bhi) hai kay woh tumhen daraney aur umeedwaar bananay kay liye bijliyan dikhata hai aur aasman say barish barsata hai aur iss say murda zamin ko zinda ker deta hai iss mein (bhi) aqal mando kay liye boht si nishaniyan hain

[25] Uss ki aik nishani yeh bhi hai kay aasman-o-zamin ussi kay hukum say qaeem hain phir jab woh tumhen awaz dey ga sirf aik baar ki awaz kay sath hi tum sab zamin say nikal aao gay

[26] Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ussi ki milkiyat hai aur her aik ussi kay farman kay ma-tehat hai

[27] Wohi hai jo awwal baar makhlooq ko peda kerta hai phir ussay doobara peda keray ga aur yeh to uss per boht aasaan hai. Ussi ki behtareen aur aalaa sift hai aasmano aur zamin mein bhi aur wohi ghalbay wala hikmat wala hai

[28] Allah Taalaa ney tumharay liye aik misaal khud tumhari hi biyan farmaee jo kuch hum ney tumhen dey rakha hai kiya uss mein tumharay ghulamon mein say bhi koi tumhara shareek hai? Kiya tum aur woh iss mein barabar darjay kay ho? Aur tum inn ka aisa khatra rakhtay ho jaisa khud apno ka hum aqal rakhney walon kay liye issi tarah khol khol ker aayaten biyan ker detay hain

[29] Bulkay baat yeh hai kay yeh zalim to baghair ilm kay khuwaish parasti ker rahey hain ussay kaun raah dikhaye jissay Allah Taalaa raah say hata dey unn ka aik bhi madadgaar nahi

[30] Pus aap yeksoo hoker apna mun deen ki taraf mutawajja ker den. Allah Taalaa ki woh fitrat jiss per uss ney logon ko peda kiya hai Allah Taalaa kay banaye ko badlna nahi yehi seedah deen hai lekin aksar log nahi samajhtay

[31] (logo!) Allah Taalaa ki taraf rujoo ho ker uss say dartay raho aur namaz ko qaeem rakho aur mushrikeen mein say na ho jao

[32] Unn logon mein say jinhon ney apnay deen ko tukray tukray ker diya aur khud bhi giroh giroh hogaye her giroh uss cheez per jo uss kay pass hai magan hai

[33] Logon ko jab kabhi koi museebat phonchti hai to apnay rab ki taraf (poori tarah) rujoo ho ker duyayen kertay hain phir jab woh apni taraf say rehmat ka maza chakhata hai to unn mein say aik jamat apnay rab kay sath shirk kerney lagti hai

[34] Takay woh uss cheez ki na-shukri keren jo hum ney unhen di hai acha tum faeeda utha lo abhi abhi tumhen maloom hojaye ga

[35] Kiya hum ney unn per koi daleel nazil ki hai jo ussay biyan kerti hai jissay yeh Allah kay sath shareek ker rahey hain

[36] Aur jab hum logon ko rehmat ka maza chakhatay hain to woh khoob khush ho jatay hain aur agar unhen unn kay hathon kay kertoot ki waja say koi buraee phonchay to aik dum woh mehaz na-umeed ho jatay hain

[37] Kiya enhon ney yeh nahi dekha kay Allah Taalaa jissay chahaye kushada rozi deta hai aur jissay chahaye tang iss mein bhi unn logon kay liye jo eman latay hain nishaniyan hain

[38] Pus qarabat daar ko miskeen ko musafir ko her aik ko uss ka haq dijiye yeh unn kay liye behtar hai jo Allah Taalaa ka mun dekhna chahatay hon aisay hi log nijat paney walay hain

[39] Tum jo sood per detay ho kay logon kay maal mein barhta rahey woh Allah Taalaa kay haan nahi barhta. Aur jo kuch sadqa zakat tum Allah Taalaa ka mun dekhney (aur khushnoodi kay liye) do to aisay log hi hain apna do chand kerney walay

[40] Allah Taalaa woh hai jiss ney tumhen peda kiya phir rozi di phir maar dalay ga phir zinda ker dey ga batao tumharay shareeko mein say koi bhi aisa hai jo inn say kuch bhi ker sakta ho. Allah Taalaa kay liye paki aur bar tari hai her uss sharik say jo yeh log muqarrar kertay hain

[41] Khushki aur tari mein logon ki bad aemaaliyon kay baees fasad phel gaya. Iss liye kay unhen unn kay baaz kertooton ka phal Allah Taalaa chakha dey (boht) mumkin hai kay woh baaz aajayen

[42] Zamin mein chal phir ker dekho to sahi kay aglon ka anjam kiya hua. Jin mein aksar log mushrik thay

[43] Pus aap apna rukh uss sachay aur seedhay deen ki taraf hi rakhen qabal iss kay kay woh din aajaye jiss ka tal jana Allah Taalaa ki taraf say hai hi nahi uss din sab mutafarriq ho jayen gay

[44] Kufur kerney walon per unn kay kufur ka wabaal hoga aur nek kaam kerney walay apni hi aaram gaah sanwaar rahey hain

[45] Takay Allah Taalaa unhen apnay fazal say jaza dey jo eman laye aur nek aemaal kiyey woh kafiron ko dost nahi rakhta hai

[46] Uss ki nishaniyon mein say khushkhabriyan denay wali hawaon ko chalana bhi hai iss liye kay tumhen apni rehmat say lutf andoz keray aur iss liye kay uss kay hukum say kashtiyan chalen aur iss liye kay uss kay fazal ko tum dhondo aur iss liye kay tum shukar guzari kero

[47] Aur hum ney aap say pehlay bhi apnay rasoolon ko unn ki qom ki taraf bheja woh unn kay pass deleelen laye. Phir hum ney gunehgaaron say intiqam liya. Hum per momino ki madad kerna lazim hai

[48] Allah Taalaa hawayen chalata hai woh abar ko uthati hain phir Allah Taalaa apni mansha kay mutabiq ussay aasman mein phela deta hai aur uss kay tukray tukray ker deta hai phir aap dekhtay hain kay uss kay andar say qatray nikaltay hain aur jinhen Allah chahata hai unn bandon per qoh pani barsata hai to woh khush khush ho jatay hain

[49] Yaqeen manna kay barish unn per barasney say pehlay pehlay to woh na umeed ho rahey thay

[50] Pus aap rehmat-e-elahee kay aasaar dekhen kay zamin ki maut kay baad kiss tarah Allah Taalaa ussay zinda ker deta hai? Kuch shak nahi kay wohi murdon ko zinda kerney wala hai aur woh her her cheez per qadir hai

[51] Aur agar hum baad-e-tund chala den aur yeh log inhi kheton ko (mujahee hui) zard pari hui dekh len to phir iss kay baad na shukri kerney lagen

[52] Be-shak aap murdon ko nahi suna saktay aur na behron ko (apni) awaz suna saktay hain jab kay woh peeth pher ker murr gaye hon

[53] Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hidayat kerney walay hain aap to sirf unhi logon ko sunatay hain jo humari aayaton per eman rakhtay hain pus wohi itaat kerney walay hain

[54] Allah Taalaa wohi hai jiss ney tumhen kamzori ki halat mein peda kiya phir uss kamzori kay baad tawanaee di phir uss tawanaee kay baad kamzori aur burhapa diya jo chahata hai peda kerta hai woh sab say poora waqif aur sab per poora qadir hai

[55] Aur jiss din qayamat barpa ho jayegi gunehgaar log qasmen khayen gay kay (duniya mein) aik ghari kay siwa nahi theray issi tarah yeh behkay huyey hi rahey

[56] Aur jin logon ko ilm aur eman diya gaya woh jawab den gay kay tum to jaisa kitab-ul-llah mein hai yom-e-qayamat tak theray rahey. Aaj ka yeh din qayamat hi ka din hai lekin tum to yaqeen hi nahi mantay thay

[57] Pus uss din zalimo ko unn ka uzur bahana kuch kaam na aaye ga aur na unn say toba aur amal talab kiya jayega

[58] Be-shak hum ney iss quran mein logon kay samney kul misaalen biyan ker di hain. Aap inn kay pass koi bhi nishani laayen yeh kafir to yehi kahen gay kay tum (be-huda go) bilkul jhootay ho

[59] Allah Taalaa unn logon kay dilo per jo samajh nahi rakhtay yun hi mohar ker deta hai

[60] Pus aap sabar keren yaqeenan Allah ka wada sacha hai. Aap ko woh log halka (bey sabra) na keren jo yaqeen nahi rakhtay

لقمان

Surah 31

[1] Alif-laam-meem

[2] Yeh hikmat wali kitab ki aayaten hain

[3] Jo neko karon kay liye rehbar aur (sirasir) rehmat hai

[4] Jo log namaz qaeem kertay hain aur zakat ada kertay hain aur aakhirat per (kamil) yaqeen rakhtay hain

[5] Yehi log hain jo apnay rab ki taraf say hidayat per hain aur yehi log nijat paney walay hain

[6] Aur baaz log aisay bhi hain jo laghaw baaton ko mol letay hain kay bey-ilmi kay sath logon ko Allah ki raah say behkayen aur ussay hansi banayen yehi woh log hain jin kay liye ruswa kerney wala azab hai

[7] Jab iss kay samney humari aayaten tilawat ki jati hain to takabbur kerta hua iss tarah say mun pher leta hai goya uss ney suna hi nahi goya kay uss kay dono kano mein daat lagay huyey hain aap issay dardnaak azab ki khabar suna dijiye

[8] Be-shak jin logon ney eman qabool kiya aur kaam bhi nek (mutabiq sunnat) kiyey unn kay liye nematon wali jannaten hain

[9] Jahan woh humesha rahen gay. Allah ka sacha wada hai woh boht bari izzat-o-ghalbay wala aur kamil hikmat wala hai

[10] Ussi ney aasmano ko baghair sutoon kay peda kiya hai tum enhen dekh rahey ho aur iss ney zamin mein paharon ko daal diya takay woh tumhen junbish na dey sakay aur her tarah kay jandaar zamin mein phela diyey. Aur hum ney aasman say pani barsa ker zamin mein her qisam kay nafees joray uga diyey

[11] Yeh hai Allah ki makhlooq abb tum mujhay iss kay siwa doosray kisi ki makhlooq to dikhao (kuch nahi) bulkay yeh zalim khulli gumarhee mein hain

[12] Aur hum ney yaqeenan luqman ko hikmat di thi kay tu Allah Taalaa ka shukar ker her shukar kerney wala apnay hi nafay kay liye shukar kerta hai jo bhi na shukri keray woh jaan ley kay Allah Taalaa bey niyaz aur tareefon wala hai

[13] Aur jab kay luqman ney waaz kehtay huyey apnay larkay say farmaya kay meray piyaray bachay! Allah kay sath shareek na kerna be-shak shirk bara bhaari zulm hai

[14] Hum ney insan ko uss kay maa baap kay mutalliq naseehat ki hai uss ki maa ney dukh per dukh utha ker ussay hamal mein rakha aur uss ki doodh chraee do baras mein hai kay tu meri aur apnay maa baap ki shukar guzari ker (tum sab ko) meri hi taraf lot ker aana hai

[15] Aur agar woh dono tujh per iss baat ka dabao daalen kay tu meray sath shareek keray jiss ka tujhay ilm na ho to tu unn ka kehna na manna haan duniya mein unn kay sath achi tarah basar kerna aur uss ki raah chalna jo meri taraf jhuka hua ho tumhara sab ka lotna meri hi taraf hai tum jo kuch kertay ho iss say phir mein tumhen khabardaar ker doon ga

[16] Piayaray betay agar koi cheez raaee kay danay kay barabar ho phir woh (bhi) khua kissi chattaan mein ho ya aasmano mein ho ya zamin mein ho ussay Allah Taalaa zaroor laye ga Allah Taalaa boht bareek been aur khabrdaar hai

[17] Aey meray piyaray betay! Tu namaz qaeem rakhna achay kaamo ki naseehat kertay rehna buray kamon say mana kiya kerna aur jo museebat tum per aajaye sabar kerna (yaqeen maan) kay yeh baray takeedi kaamo mein say hai

[18] Logon kay samney apnay gaal na phula aur zamin per itra ker na chal. Kissi takabbur kerney walay shekhi khoray ko Allah Taalaa pasand nahi farmata

[19] Apni raftar mein miyana rawi ikhtiyar ker aur pani awaz past ker yaqeenan awazon mein sab say badtar awaz gadhon ki awaz hai

[20] Kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa ney zamin-o-aasman ki her cheez ko tumharay kaam mein laga rakha hai aur tumhen apni zahiri-o-baatni nematen bharpoor dey rakhi hain baaz log Allah kay baray mein baghair ilm kay aur baghair hidayat kay aur baghair roshan kitab kay jhagra kertay hain

[21] Aur jab unn say kaha jata hai kay Allah ki utari hui wahee ki tabey daari kero to kehtay hain kay hum ney to jiss tareeq per apnay baap dadon ko paya hai ussi ki tabey daari keren gay agar cheh shetan inn kay baron ko dozakh kay azab ki taraf bulata ho

[22] Aur jo (shaks) apnay aap ko Allah kay tabey ker dey aur ho bhi woh neko kaar yaqeenan uss ney mazboot kara thaam liya tamam kaamo ka anjam Allah ki taraf hai

[23] Kafiron kay kufur say aap ranjeedah na hon aakhir inn sab ka lotna humari janib hi hai phir hum inn ko batayen gay jo enhon ney kiya hai be-shak Allah seeno kay bhedon tak say waqif hai

[24] Hum enhen go kuch yun hi sa faeedah dey den lekin (bil-aakhir) hum enhen nihayat bey chaargi ki halat mein sakht azab ki taraf hanka ley jayen gay

[25] Agar aap inn say daryaft keren kay aasman-o-zamin ka khaliq kaun hai? To yeh zaroor jawab den gay kay Allah to keh dijiye kay sab tareef kay laeeq Allah hi hai lekin inn mein kay aksar bey ilm hain

[26] Aasmano mein aur zamin mein jo kuch hai woh sab Allah hi ka hai yaqeenan Allah Taalaa boht bara bey niyaz aur saza waar hamd-o-sana hai

[27] Roy-e-zamin kay (tamam) darkhton ki agar qalamen hojayen aur tamam samandaron ki seehaee ho aur inn kay baad sath samnadar aur hon tahum Allah kay kalmaat khatam nahi ho saktay be-shak Allah Taalaa ghalib aur ba-hikmat hai

[28] Tum sab ki pedaeesh aur marney kay baad jilana aisa hi hai jesay aik ji ka be-shak Allah Taalaa sunnay wala dekhney wala hai

[29] Kiya aap nahi dektay kay Allah Taalaa raat ko din mein aur din ko raat mein khapa deta hai sooraj chand ko ussi ney farma bardar ker rakha hai kay her aik muqarrara waqt tak chalta rahey Allah Taalaa her uss cheez say jo tum kertay ho khabardaar hai

[30] Yeh sab (intizamaat) iss waja say hain kay Allah Taalaa haq hai aur uss kay siwa jin jin ko log pukartay hain sab batil hain aur yaqeenan Allah Taalaa boht bulandiyon wala aur bati shaan wala hai

[31] Kiya tum iss per ghor nahi kertay kay dariya mein kashtiyan Allah kay fazal say chal rahi hain iss liye kay woh tumhen apni nishaniyan dikhaway yaqeenan iss mein her aik sabar shukar kerney walay kay liye boht si nishaniyan hain

[32] Aur jab unn per mojen saeebanon ki tarah chah jati hain to woh (nihayat) khuloos kay sath aeytiqaad kerkay Allah Taalaa hi ko pukartay hain. Phir jab woh (bari taalaa) unhen nijat dey ker khushki ki taraf phonchata hai to kuch inn mein say aeytidaal per rehtay hain aur humari aayaton ka inkar sirf wohi kertay hain jo bad-ehad aur na shukray hon

[33] Logo! Apnay rab say daro aur uss din ka khof kero jiss din baapo apnay betay ko koi nafa na phoncha sakay ga aur na beta apnay baap ka zara sa bhi nafa kerney wala hoga (yaad rakho) Allah ka wada sacha hai (dekho) tumehn duniya ki zindagi dhokay mein na dalay aur na dhokay baaz (shetan) tumehn dhokay mein daal dey

[34] Be-shak Allah Taalaa hi kay pass qayamat ka ilm hai wohi barish nazil farmata hai aur maa kay pet mein jo hai ussay janta hai. Koi (bhi) nahi janta kay kal kiya (kuch) keray ga? Na kissi ko yeh maloom hai kay kiss zamin mein maray ga (yaad rakho) Allah Taalaa ho pooray ilm wala aur sahih khabron wala hai

السجدہ

Surah 32

[1] Alif-laam-meem

[2] Bila shuba iss kitab ka utarna tamam jahano kay perwerdigar ki taraf say hai

[3] Kiya yeh kehtay hain kay iss ney issay gharh liya hai. ( nahi nahi) bulkay yeh teray rab Taalaa ki taraf say haq hai takay aap unhen darayen jin kay pass aap say pehlay koi daraney wala nahi aaya takay woh raah-e-raast per aajyen

[4] Allah Taalaa woh hai jiss ney aasmano-o- zamin ko aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ko cheh din mein pedah ker diya phir arsh per qaeem hua tumharay liye uss kay siwa koi madadgar aur sifarishi nahi. Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay

[5] Woh aasman say ley ker zamin tak (her) kaam ki tadbeer kerta hai phir (woh kaam) aik aisay din mein uss ki taraf charh jata hai jiss ka andaza tumhari ginti kay aik hazar saal kay barbar hai

[6] Yehi hai chupay khullay ka jannay wala zabardast ghalib boht hi meharban

[7] Jiss ney khoob banaee jo cheez bhi banaee aur insan ki banawat mitti say shuroo ki

[8] Phir uss ki nasal aik bey wuqat paani kay nichor say chalaee

[9] Jissay theek thaak ker kay apni rooh phonki ussi ney tumharay kaan aankhen aur dil banaye (iss per bhi) tum boht hi thora ehsan mantay ho

[10] Aur enhon ney kaha kiya jab hum zamin mein rul mill jayen gay kiya phir naee pedaeesh mein aajeyn gay? Bulkay (baat yeh hai) kay woh log apnay perwerdigar ki mulaqat kay munkir hain

[11] Keh dijiye! kay tumhen maut ka farishta fot keray ga jo tum per muqarrar kiya gaya hai phir tum sab apnay perwerdigar ki taraf lotaye jaogay

[12] Kaash kay aap dekhtay jab kay gunehgar log apnay rab Taalaa kay samney sir jhukaye huyey hongay kahen gay aey humaray rab! Hum ney dekh liya aur sunn liya abb tu humen wapis lota dey hum nek aemaal keren gay hum yaqeen kerney walay hain

[13] Agar hum chahtay to her shaks ko hidayat naseeb farma detay lekin meri yeh baat bilkul haq ho chuki hai kay mein zaroor zaroor jahannum ko insano aur jinno say pur kerdoon ga

[14] Abb tum apnay iss din ki mulaqat kay faramosh ker denay ka maza chakho hum ney bhi tumhen bhula diya aur apney kiye huye aemaal (ki shamat) say abdi azab ka maza chakho

[15] Humari aayaton per wohi eman latay hain jinhen jab kabhi inn say naseehat ki jati hai to woh sajday mein gir partay hain aur apnay rab ki hamd kay sath uss ki tasbeeh parhtay hain aur takabbur nahi kertay hain

[16] Inn ki kerwaten apnay bistaron say alag rehti hain apnay rab ko khof aur umeed kay sath pukartay hain aur jo kuch hum ney enhen dey rakha hai woh kharach kertay hain

[17] Koi nafs nahi janta jo kuch hum ney unn ki aankhon ki thandak unn kay liye posheeda ker rakhi hai jo kuch kertay thay yeh uss ka badla hai

[18] Kiya woh jo momin ho misil uss kay hai jo fasiq ho? Yeh barbar nahi ho saktay

[19] Jin logon ney eman qabool kiya aur nek aemaal bhi kiye unn kay liye humeshgi wali jannaten hain mehmandari hai unn kay aemaal kay badlay jo woh kertay thay

[20] Lekin jin logon ney hukum adooli ki unn ka thikana dozakh hai. Jab kabhi iss say bahir nikalna chahyen gay issi mein lota diyey jayen gay. Aur kah diya jayega kay apnay jhutlaney kay badlay aag ka azab chakho

[21] Bil-yaqeen hum enhen qareeb kay chotay say baaz azab iss baray azab kay siwa chakhayen gay takay woh lot aayen

[22] Uss say barh ker zalim kaun hai jissay Allah Taalaa ki aayaton say waaz kiya gaya phir bhi uss ney unn say mun pher liya (yaqeen mano) kay hum bhi gunehgaron say intiqam leney walay hain

[23] Be-shak hum ney musa ko kitab di pus aap ko hergiz uss ki mulaqat mein shak na kerna chahyey aur hum ney ussay bani israeel ki hidayat ka zariya banaya

[24] Aur jab unn logon ney sabar kiya to hum ney unn mein say aisay paishwa banaye jo humaray hukum say logon ko hidayat kertay thay aur woh humari aayaton per yaqeen rakhtay thay

[25] Aap ka rab inn (sab) kay darmiyan unn inn (tamam) baaton ka faisla qayamat kay din keray ga jin mein woh ikhtilaf ker rahey hain

[26] Kiya iss baat ney bhi enhen hidayat nahi di kay hum ney inn say pehlay boht si ummaton ko halak ker diya jin kay makano mein yeh chal phir rahey hain. Iss mein to (bari) bari nishaniyan hain. Kiya phir bhi yeh nahi sunntay

[27] Kiya yeh nahi dekhtay kay hum pani ko banjar (ghair abad) zamin ki taraf baha ker ley jatay hain phir iss say hum khetiyan nikaltay hain jissay inn kay chopaye aur yeh khud khatay hain kiya phir bhi yeh nahi dekhtay

[28] Aur kehtay hain kay yeh faisla kab hoga? Agar tum sachay ho (to batlao)

[29] Jawab dey do kay faislay walay din eman lana bey emaanon ko kuch kaam na aaye ga aur na unhen dheel di jayegi

[30] Abb aap inn ka khayal chor den aur muntazir rahen yeh bhi muntazir hain

الاحزاب

Surah 33

[1] Aey nabi Allah Taalaa say dartay rehna aur kafiron aur munafiqon ki baaton mein na aajana Allah Taalaa baray ilm wala aur bari hikmat wala hai

[2] Jo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say wahee ki jati hai uss ki tabey daari keren (yaqeen mano) kay Allah tumharay her aik amal say ba-khabar hai

[3] Aap Allah hi per tawakkal rakhen woh kaar saazi kay liye kafi hai

[4] Kissi aadmi kay seenay mein Allah Taalaa ney do dil nahi rakhay aur apni jin biwiyon ko tum maa keh bethtay ho unhen Allah ney tumhari (sach much ki) maayen nahi banaya aur na tumharay ley paalak larkon ko (waqaee) tumharay betay banaya hai yeh to tumharay apnay mun ki baaten hain Allah Taalaa haq baat farmata hai aur woh (seedhi) raah sujhata hai

[5] Lay palakon ko unn kay (haqeeqi) baapon ki taraf nisbat kerkay bulao Allah kay nazdeek poora insaf yeh hi hai. Phir agar tumhen unn kay (haqeeqi) baapon ka ilm hi na ho to woh tumharay deeni bhai aur dost hain tum say bhool chook mein jo kuch hojaye uss mein tum per koi gunah nahi albata gunah woh hai jiss ka tum irada dil say kero. Allah Taalaa bara hi bakhshney wala meharbaan hai

[6] Payghumber momino per khud unn say bhi ziyada haq rakhney walay hain aur payghumber ki biwiyan momino ki maayen hain aur rishtay daar kitabullah ki roo say ba-nisbat doosray momino aur mohajiron kay aapas mein ziyada haq daar hain (haan) magar yeh kay tum apnay doston kay sath husn-e-salook kerna chahao. Yeh hukum kitab (elahee) mein likha hua hai

[7] Jabkay hum ney tamam nabiyon say ehad liya aur (bil-khusoos) aap say aur nooh say aur ibrahim say aur musa say aur mariyam kay betay essa say aur hum ney unn say (pakka aur) pukhta ehad liya

[8] Takay Allah Taalaa sachon say unn ki sachaee kay baray mein daryaft farmaye aur kafiron kay liye hum ney alamnaak azab tayyar ker rakhay hain

[9] Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo ehsan tum per kiya ussay yaad kero jabkay tumharay muqablay ko fojon per fojen aaen phir hum ney unn per tez-o-tund aandhi aur aisay lashker bhejay jinhen tum ney dekha hi nahi aur jo kuch tum kertay ho Allah Taalaa sab kuch dekhta hai

[10] Jabkay (dushman) tumharay pass uper say aur neechay say charh aaye aur jabkay aankhen pathra gaen aur kalejay mun ko aagaye aur tum Allah Taalaa ki nisbat tarah tarah kay gumaan kerney lagay

[11] Yehi momin aazmaye gaye aur poori tarag woh jhanjhor diyey gaye

[12] Aur uss waqt munafiq aur woh log jin kay dilon mein (shak ka) rog tha kehney lagay Allah Taalaa aur uss kay rasool ney hum say mehaz dhoka faraib ka hi wada kiya tha

[13] Inn hi ki aik jamaat ney haank lagaee kay aey madina walon! Tumharay liye thikana nahi chalo lot chalo aur inn ki aik aur jamaat yeh keh ker nabi say ijazat maangney lagi kay humaray ghar ghair mehfooz hain halankay woh (khullat huyey aur) ghair mehfooz na thay (lekin) unn ka pukhta iradah bhaag kharay honey ka tha

[14] Aur agar madiney kay aitraaf say unn per (lashker) dakhil kiye jatay phir unn say fitna talab kiya jata to yeh zaroor issay barpa ker detay aur na lartay magar thori muddat

[15] Iss say pehlay to enhon ney Allah say ehad kiya tha kay peeth na pheren gay aur Allah Taalaa say kiye huyey waday ki baaz purs zaroor hogi

[16] Keh dijiye kay go tum maut say ya khof-e-qatal say bhago to yeh bhagna tumhen kuch bhi kaam na aaye ga aur uss waqt tum boht hi kum faeedah uthao gay

[17] Poochiye! To kay agar Allah Taalaa tumhen koi buraee phonchana chahaye ye tum per koi fazal kerna chahaye to kaun hai jo tumhen bacha sakay (ya tum say rok sakay?) apnay liye b-juz Allah Taalaa kay na koi humayati payen gay na madadgar

[18] Allah Taalaa tum mein say unhen (ba-khoobi) janta hai jo doosron ko roktay hain aur apnay bhai bando say kehtay hain kay humaray pass chalay aao. Au kabhi kabhi hi laraee mein aajatay hain

[19] Tumhari madad mein (pooray) bakheel hain phir jab khof-o-dehshat ka moqa aajaye to aap enhen dekhen gay kay aap ki taraf nazar jama detay hain aur inn ki aankhen iss tarah ghoomti hain jaisay uss shaks ki jiss per maut ki ghashi taari ho. Phir jab khof jata rehta hai to tum per apni tez zabano say bari baaten banatay hain maal kay baray hi harees hain yeh eman laye hi nahi hain Allah Taalaa ney inn kay tamam aemaal nabood ker diye hain aur Allah Taalaa per yeh boht hi aasan hai

[20] Samjhtay hain kay abb tak lashkar chalay aur agar fojen aajayen to tamannayen kertay hain kay kaash! Woh sehra mein badiya nashiniyon kay sath hotay kay tumhari khabren daryaft kiya kertay agar woh tum mein mojood hotay (to bhi kiya?) na lartay magar baraye naam

[21] Yaqeenan tumharay liye rasool Allah mein umdah namoona (mojood) hai her uss shaks kay liye jo Allah Taalaa ki aur qayamat kay din ki tawakka rakhta hai aur ba-kasrat Allah Taalaa ki yaad kerta hai

[22] Aur eman daron ney jab (kuffar kay) lashkaron ko dekha (bay saakhta) keh uthay! Kay enhin ka wada humen Allah Taalaa ney aur uss kay rasool ney diya tha aur Allah Taalaa aur uss kay rasool ney sach farmaya aur iss (cheez) ney unn kay eman mein aur shewa-e-faman bardari mein aur izafa ker diya

[23] Momino mein (aisay) log bhi hain jinhon ney jo ehad Allah Taalaa say kiya tha unhen sacha ker dikhaya baaz ney to apna ehad poora ker diya aur baaz ( moqay kay) muntazir hain aur unhon ney koi tabdeeli nahi ki

[24] Takay Allah Taalaa sahon ko unn ki sachaee ka badla dey aur agar chahaye to munafiqon ko saza dey ya unn ki toba qabool farmaye Allah Taalaa bara hi bakhshney wala boht hi meharbaan hai

[25] Aur Allah Taalaa ney kafiron ko gussay mein bharay huyey hi (na murad) lota diya unhon ney koi faeeda nahi paya aur uss jang mein Allah Taalaa khud hi momino ko kafi hogaya Allah Taalaa bara hi qooaton wala aur ghalib hai

[26] Aur jin ehal-e-kitab ney unn say saaz baaz kerli thi unhen (bhi) Allah Taalaa ney unn qilon say nikal diya aur unn kay dilo mein (bhi) rob bhar diya kay tum unn kay aik girho ko qatal ker rahey ho aur aik giroh ko qaidi bana rahey ho

[27] Aur uss ney tumhen unn ki zamino ka aur unn kay gharbaar ka aur unn kay maal ka waris bana ker diya aur uss zamin ka bhi jiss ko tumharay qadmon ney ronda nahi Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[28] Aey nabi! Apni biwiyon say keh do kay agar tum zindaganiy-e-duniya aur zeenat-e-duniya chahati ho to aao mein tumhen kuch dey dila doon aur tumhen achaee kay sath tukhsat ker doon

[29] Aur agar tumhari murad Allah aur uss ka rasool aur aakhirat ka ghar hai to (yaqeen mano kay) tum mein say nek kaam kerney waliyon kay liye Allah Taalaa ney boht zabardast ajar rakh choray hain

[30] Aey nabi ki biwiyo! Tum mein say jo bhi khulli bey hayaee (ka irtikab) keray gi ussay dohra dohra azab diya jayega aur Allah Taalaa key nazdeek yeh boht hi sehal (si baat) hai

[31] Aur tum mein say jo koi Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardaari keray gi aur nek kaam keray gi hum ussay ajar (bhi) dohra den gay aur uss kay liye hum ney behtareen rozi tayyar ker rakhi hai

[32] Aey nabi ki biwiyo! Tum aam aurton ki tarah nahi ho agar tum perhezgari ikhtiyar kero to naram lehjay say baat na kero kay jiss kay dil mein rog ho woh koi bura khayal keray aur haan qaeeday kay mutabiq kalam kero

[33] Aur apnay gharon mein qarar say raho aur qadeem jahiliyat kay zamaney ki tarah apna banao ka izhar na kero aur namaz ada kerti raho aur zakat deti raho aur Allah aur uss kay rasool ki itaat guzari kero. Allah Taalaa yehi chahta hai kay aey nabi ki ghar waliyon! Tum say woh ( her qisam ki) gandagi ko door kerday aur tumhen khoob pak ker day

[34] Aur tumharay gharon mein Allah ki jo aayaten aur rasool ki jo aahdees parhi jati hain unn ka zikar kerti raho yaqeenan Allah Taalaa lutf kerney wala khabar daar hai

[35] Bey shak musalman mard aur musalman aurten momin mard aur momin aurten farman bardaari kerney walay mard aur farman bardar aurten raast baaz mard aur raast baaz aurten aajzi kerney walay mard aur aajzi kerney wali aurten kheyraat kerney walay mard aur kheyraat kerney wali aurten rozay rakhney walay mard aur roza rakhney wali aurten apni sharamgah ki hifazat kerney walay mard aur hifazat kerney waliyan ba-kasrat Allah ka ziker kerney walay aur zikar kerney waliyan inn (sab kay) liye Allah Taalaa ney (wasee) maghfirat aur bara sawab tayyar ker rakha hai

[36] Aur (dekho) kissi momin mard-o-aurat ko Allah aur uss kay rasool kay faislay kay baad apnay kissi amar ka koi ikhtiyar baqi nahi rehta (yaad rakho) Allah Taalaa aur uss kay rasool ki jo bhi na farmani keray ga woh sareeh gumrahee mein paray ga

[37] (yaad rakho) jab kay tu uss shaks say keh raha tha jiss per Allah ney bhi inam kiya aur tu ney bhi kay tu apni biwi ko apnay pass rakh aur Allah say darr aur tu apnay dil mein woh baat chupaye huyey tha jissay Allah zahir kerney wala tha aur tu logo say khof khata tha halankay Allah Taalaa iss ka ziyada haq daar tha kay tu uss say daray pus jab kay zaid ney uss aurat say apni gharaz poori kerli hum ney ussay teray nikkah mein dey diya takay musalmano per apnay ley palakon ki biwiyon kay baray mein kissi tarah ki tangi na rahey jab kay woh apni gharaz unn say poori na ker len Allah ka (yeh) hukum to hoker hi rehney wala hai

[38] Jo cheezen Allah Taalaa ney apnay nabi kay liye muqarrar ki hain unn mein nabi per koi haraj nahi (yehi) Allah ka dastoor unn mein bhi raha jo pehlay huyey aur Allah Taalaa kay kaam andazay per muqarrar kiye huyey hain

[39] Yeh sab aisay thay kay Allah Taalaa key ehkaam phonchaya kertay thay aur Allah hi say dartay thay aur Allah kay siwa kissi say nahi dartay thay aur Allah Taalaa hisab leney kay liye kafi hai

[40] (logo) tumharay mardo mein say kissi kay baap Muhammad (PBUH) nahi lekin aap Allah Taalaa kay rasool hain aur tamam nabiyon kay khatam kerney walay aur Allah Taalaa her cheez ka (ba-khoobi) jannay wala hai

[41] Musalmano! Allah Taalaa ka zikar boht ziyada kero

[42] Aur subha-o-shaam uss ki pakeezgi biyan kero

[43] Wohi hai jo tum per apni rehmaten bhejta hai aur uss kay farishtay (tumahray liye dua-e-rehmat kertay hain) takay woh tumhen andheron say ujalay ki taraf ley jaye aur Allah Taalaa momino per boht hi meharbaan hai

[44] Jiss din yeh (Allah say) mulaqat keren gay inn ka tohfa salam hoga inn kay liye Allah Taalaa ney ba-izzat ajar tayyar ker rakha hai

[45] Aey nabi! Yaqeenan hum ney hi aap ko (rasool bana ker) gawahiyan denay wala khuskhabriyan sunanay wala aagah kerney wala bheja hai

[46] Aur Allah kay hukum say uss ki taraf bulaney wala aur roshan chiragh

[47] Aap momino ko khushkhabri suna dijiyey! Kay unn kay liye Allah ki taraf say boht bara fazal hai

[48] Aur kafiron aur munafiqon ka kehna na maniyey! Aur jo eeza (inn ki taraf say phonchay) uss ka khayal na kijiyey Allah per bharosa kiyey rahen aur kafi hai Allah Taalaa kaam bananay wala

[49] Aey momin! Jab tum momin auraton say nikkah kero phir hath laganey say pehlay (hi) tallaq dey do to unn per tumahra koi haq iddat ka nahi jissay tum shumaar kero pus tum kuch na kuch enhen dey do aur bhalay tareeq per unhen rukhsat kerdo

[50] Aey nabi hum ney teray liye teri woh biwiyan halal kerdi hain jinehn tum unn kay mehar day chuka hai aur woh londiyan bhi jo Allah Taalaa ney ghanimat mein tujhay di hain aur teray chacha ki larkiyan aur phophiyon ki betiyan aur teray mamo ki betiyan aur teri khalaon ki betiyan bhi jinhon ney teray sath hijrat ki hai aur woh ba-emaan aurat jo apna nafs nabi ko hiba ker day yeh uss soorat mein kay khud nabi bhi uss say nikkah kerna chahaye yeh khas tor per sirf teray liye hi hai aur momino kay liye hum issay ba-khoobi jantay hain jo hum ney inn per aur inn ki biwiyon aur londiyon kay baray mein (ehkaam) muqarrar ker rakhay hain yeh iss liye kay tujh per haraj waqey na ho Allah Taalaa boht bakhshney aur baray reham wala hai

[51] Inn mein say jissay tu chahaye door rakh day aur jissay chahaye apnay pass rakh ley aur agar tu unn mein say bhi kissi ko apnay pass bula ley jinhen tu ney alag ker rakha tha to tujh per koi gunah nahi iss mein iss baat ki ziyada tawakka hai kay inn aurton ki aankhen thandi rahen aur woh ranjeedah na hon aur jo kuch bhi tu enhen dey dey iss per sab ki sab razi rahen tumahray dilon mein jo kuch hai ussay Allah (khoob) janta hai. Allah Taalaa bara hi ilm aur hilm wala hai

[52] Iss kay baad aurten aap kay liye halal nahi aur na yeh (durust hai) kay inn kay badlay aur aurton say (nikkah keray) agarcheh unn ki soorat achi bhi lagti ho magar jo teri mamlooka hon. Aur Allah Taalaa her cheez ka (poora) nigehban hai

[53] Aey eman walo! Jab tak tumhen ijazat na di jaye tum nabi kay gharon mein na jaya kero khaney kay liye aisay waqt mein kay uss kay pakney ka intizar kertay raho bulkay jab bulaya jaye jao aur jab kha chuko nikal kharay ho wahin baaton mein mashghool na hojaya kero. Nabi ko tumhari iss baat say takleef hoti hai. To woh lehaaz ker jatay hain aur Allah Taalaa (biyan-e-) haq mein kissi ka lehaaz nahi kerta jab tum nabi ki biwiyon say koi cheez talab kero to parday kay peechay say talab kero tumahray aur unn kay dilon kay liye kamil pakeezgi yehi hai na tumhen yeh jaeez hai kay tum rasool Allah ko takleef do aur na tumhen yeh halal hai kay aap kay baad kisi waqt bhi aap ki biwiyon say nikkah kero. (yaad rakho) Allah ka nazdeek yeh boht bara (gunah) hai

[54] Tum kissi cheez ko zahir kero ya makhfi rakho Allah to her her cheez ka ba-khoobi ilm rakhney wala hai

[55] Unn aurton per koi gunah nahi kay woh apnay bapon aur apnay beton aur bhaiyon aur bhatijon aur bhanjon aur apni (mail jol ki) aurton aur milkiyat kay matehaton (londi, ghulam) kay samney hon. (aurton!) Allah say darti raho. Allah Taalaa yaqeenan her cheez per shahid hai

[56] Allah Taalaa aur iss kay farishtay iss nabi per rehmat bhejtay hain. Aey eman walon! Tum (bhi) inn per durood bhejo aur khoob salam (bhi) bhejtay raha kero

[57] Jo log Allah aur uss kay rasool ko ezza detay hain unn per duniya aur aakhirat mein Allah ki phitkaar hai aur unn kay liye nihayat ruswa kun azab hai

[58] Aur jo log momin mardon aur momin aurton ko ezza den baghair kissi jurum kay jo unn say sirzad hua ho woh (baray hi) bohtan aur sareeh gunah ka bojh uthatay hain

[59] Aey nabi! Apni biwiyon say aur apni shabzadiyon say aur musalmano ki aurton say keh do kay woh apnay upper apni chadaren latka liya keren iss say boht jald unn ki shanakht hojaya keray gi phir na sataee jayen gi aur Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai

[60] Agar (abb bhi) yeh munafiq aur woh jin kay dilon mein beemari hai aur woh log jo madiney mein ghalat afwahen uraney walay hain baaz na aayen to hum aap ko unn (ki tabahee) per musallat ker den gay phir to woh chand din hi aap kay sath iss (shehar) mein reh saken gay

[61] Inn per phitkaar barsaee gaee jahan bhi mill jayen pakray jayen aur khoob tukray tukray ker diyey jayen

[62] Inn say aglon mein bhi Allah ka yehi dastoor jari raha. Aur tu Allah kay dastoor mein hergiz radd-o-badal na paye ga

[63] Log aap say qayamat kay baray mein sawal kertay hain. Aap keh dijiye! kay iss ka ilm to Allah hi ko hai aap ko kiya khabar boht mimkin hai qayamat bilkul hi qareeb ho

[64] Allah Taalaa ney kafiron per laanat ki hai aur unn kay liye bharakti hui aag tayyar ker rakhi hai

[65] Jiss mein woh humesha humesh rahen gay. Woh koi haami aur madadgar na payen gay

[66] Uss din unn kay chehray aag mein ulat pulat kiye jayen gay (hasrat-o-afsos say) kahen gay kay kaash hum Allah Taalaa aur rasool ki itaat kertay

[67] Aur kahen gay aey humaray rab! Hum ney apnay sardaron aur apnay baron ki mani jinhon ney humen raah-e-raast say bhatka diya

[68] Perwerdigar tu enhen dugna azab dey aur inn per boht bari laanat nazil farma

[69] Aey eman walo! Unn logon jaisay na bann jao jinhon ney musa ko takleef di pus jo baat unhon ney kahi thi Allah ney unhen uss say buri farma diya aur woh Allah ka nazdeek ba-izzat thay

[70] Aey eman walon! Allah Taala say daro aur seedhi seedhi (sachi) baaten kiya kero

[71] Takay Allah Taalaa tumharay kaam sanwaar day aur tumharay gunah moaaf farma dey aur jo bhi Allah aur uss kay rasool ki farma bardari keray ga uss ney bari murad paali

[72] Hum ney apni amanat ko aasmano per zamin per aur paharon per paish kiya pus sab ney iss ko uthaney say inkar ker diya aur iss say darr gaye (magar) insan ney issay utha liya woh bara hi zalim jahil hai

[73] (yeh iss liye) kay Allah Taalaa munafiq mardon aurton aur mushrik mardon aurton ko saza dey aur momin mardon aurton ki toba qabool farmaye aur Allah Taalaa bara hi bakhsney wala aur meharbaan hai

سبا

Surah 34

[1] Tamam tareefen uss Allah kay liye sazawaar hain jiss ki milkiyat mein woh sab kuch hai jo aasmano aur zamin mein hai aakhirat mein bhi tareef ussi kay liye hai woh (bari) hikmaton wala aur (poora) khabardaar hai

[2] Jo zamin mein jaye aur jo iss say niklay woh aasman say utray aur jo charh ker uss mein jaye woh sab say ba-khabar hai. Aur woh meharbaan nihayat bakhsish wala hai

[3] Kuffaar kehtay hain hum per qayamat nahi aaye gi. Aap keh dijiyey! Kay mujhay meray rab ki qasam! Jo aalim-ul-ghaib hai kay woh yaqeenan tum per aaye gi Allah Taalaa say aik zarray kay barabar ki cheez bhi posheedah nahi na aasmano mein aur na zamin mein bulkay iss say bhi choti aur bari her cheez khuli kitab mein mojood hai

[4] Takay woh eman walon aur neko kaaron ko bhala badla ata farmaye yehi log hain jin kay liye maghfirat aur izzat ki rozi hai

[5] Aur humari aayaton ko neecha dikhaney ki jinhon ney kosish ki hai yeh woh log hain jin kay liye bad-tareen qisam ka dardnaak azab hai

[6] Aur jinhen ilm hai woh dekh len gay jo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say nazil hua hai woh (sarasir) haq hai aur Allah ghalib khoobiyon walay ki raah ki rehbari kerta hai

[7] Aur kafiron ney kaha (aao) hum tumhen aik aisa shaks batlayen jo tumhen yeh khabar phoncha raha hai kay jab tum bilkul hi reza reza hojao gay to phir say aik naee pedaeesh mein aao gay

[8] (hum nahi keh saktay) kay khud uss ney (hi) Allah per jhoot bandh liya hai ya ussay deewangi hai bulkay (haqeeqat yeh hai) kay aakhirat per yaqeen na rakhney walay hi azab mein aur door ki gumrahi mein hain

[9] Kiya pus woh apnay aagay peechay aasman-o-zamin ko nahi dekh rahey? Agar hum chahayen to enhen zamin mein dhansa den ya inn per aasman kay tukray gira den yaqeenan iss mein poori daleel hai her uss banday kay liye jo (dil say) mutawajja ho

[10] Aur hum ney dawood per apna fazal kiya aey paharo! Iss kay sath raghbat say tasbeeh parha kero aur parindon ko bhi (yehi hukum hai) aur hum ney iss kay liye loha naram ker diya

[11] Kay tu poori poori zirhen bana aur joron mein andaza rakh tum sab nek kaam kiya kero. (yaqeen mano) kay mein tumharay aemaal dekh raha hun

[12] Aur hum ney suleman kay liye hawa ko musakkhar ker diya kay subah ki manzil uss ki maheena bhar ki hoti thi aur shaam ki manzil bhi aur hum ney unn kay liye taanbay ka chashma baha diya. Aur uss kay rab kay hukum say baaz jinnat uss ki ma-tehati mein uss kay samney kaam kertay thay aur inn mein say jo bhi humaray hukum say sirtabi keray hum ussay bharakti hui aag kay azab ka maza chakhayen gay

[13] Jo kuch suleman chahatay woh jinnat tayyar ker detay maslan qilay aur mujassmay aur hozon kay barabar lagan aur choolhon per jami hui mazboot deygen aey aal-e-dawood iss kay shukriya mein nek amal kero meray bandon mein say shukar guzar banday kum hi hotay hain

[14] Phir jab hum ney unn per maut ka hukum bhej diya to unn ki khabar jinnat ko kissi ney na di siwaye ghunn kay keeray kay jo unn kay asa ko kha raha tha. Pus jab (suleman) gir paray uss waqt jinno ney jaan liya kay agar woh ghaib daan hotay to iss zillat kay azab mein mubtila na rehtay

[15] Qom-e-saba kay liye apni bastiyon mein (qudrat-e-elahee ki) nishani thi unn kay dayen bayen do baagh thay (hum ney unn ko hukum diya tha kay) apnay rab ki di hui rozi khao aur uss ka shukar ada kero yeh umdah shehar aur woh bakhshney wala rab hai

[16] Lekin unhon ney roo-gardani ki to hum ney unn per zor kay selab (ka paani) bhej diya aur hum ney unn kay (haray bharay) baaghon kay badlay do (aisay) baagh diye jo bad-maza mewon walay aur (ba-kasrat) jhao aur kuch bairi kay darakhton walay thay

[17] Hum ney unn ki na-shukri ka yeh badla unhen diya. Hum (aisi) sakht saza baray baray na-shukron hi ko detay hain

[18] Aur hum ney unn kay aur unn bastiyon kay darmiyan jin mein hum ney barkat dey rakhi thi chand bastiyan aur (abad) rakhi thin jo bar sir-e-raah zahir thin aur inn mein chalney ki manzilen muqarrar kerdi thin inn mein raton aur dino ko ba-aman-o-amaan chaltay phirtay thay

[19] Lekin unhon ney phir kaha kay aey humaray perwerdigar! Humaray safar door daraz ker day chunkay khud unhon ney apnay hathon apna bura kiya iss liye hum ney unhen (guzishta) fasano ki soorat mein ker diya aur unn kay tukray tukray ura diye bila shuba her aik sabar-o-shukar kerney walay kay liye iss (maajray) mein boht si ibraten hain

[20] Aur shetan ney unn kay baray mein apna guman sach ker dikhaya yeh log sab kay sab uss kay tabeydaar bann gaye siwaye momino ki aik jamaat kay

[21] Shetan ka unn per koi zor (aur dabao) na tha magar iss liye kay hum inn logon ko jo aakhirat per eman rakhtay hain zahir ker dein unn logon mein say jo iss say shak mein hain.aur aap ka rab (her) her cheez per nigehbaan hai

[22] Keh dijiyey! Kay Allah ka siwa jin jin ka tumhen gumaan hai (sab) ko pukar lo na unn mein say kissi ko aasmano aur zamino mein say aik zarray kay ikhtiyar hai na unn ka inn mein koi hissa hai na unn mein say koi Allah ka madadgar hai

[23] Shifaat (sifarish) bhi uss kay pass kuch nafa nahi deti ba-juz unn kay jin kay liye ijazat hojaye. Yahan tak kay jab inn kay dilo say ghabrahat door ker di jati hai to poochtay hain tumharay perwerdigar ney kiya farmaya jawab detay hain kay haq farmaya aur woh buland-o-bala aur boht bara hai

[24] Poochiye kay tumhen aasmano aur zamin say rozi kaun phonchata hai? (khud) jawab dijiye! Kay Allah Taalaa. (suno) hum ya tum. Ya to yaqeenan hodayat per hain ya khulli gumrahi mein hain

[25] Keh dijiye! Kay humaray kiye huye gunahon ki babat tum say koi sawal na kiya jayega na tumharay aemaal ki baaz purs hum say ki jayegi

[26] Enhen khabar dey dijiye kay hum sab ko humara rab jama kerkay phir hum mein sachay faislay kerdey ga. Woh faislay chukaney wala hai aur dana

[27] Keh dijiye! Kay acha mujhay bhi to unhen dikha do jinhen tum Allah ka shareek thera ker uss kay sath mila rahey ho aisa hergiz nahi bulkay wohi Allah hai ghalib ba-hikmat

[28] Hum ney aap ko tamam logon kay liye khushkhabriyan sunaney wala aur aur daraney wala bana ker bheja hai haan magar (yeh sahih hai) kay logon ki aksariyat bey ilm hai

[29] Poochtay hain kay woh wada hai kab? Sachay hoto bata do

[30] Jawab dijiye kay waday ka din theek moyyan hai jiss say aik sa’at na tum peechay hut saktay ho na aagay barh saktay ho

[31] Aur kafiro ney kaha kay hum hergiz na to iss quran ko manay na iss say pehlay ki kitabon ko! Aey dekhney walay kaash kay tu inn zalimon ko uss waqt dekhta jab kay yeh apnay rab kay samney kharay huyey aik doosray ko ilzam dey rahey hongay kamzor log baray logon say kahen gay agar tum na hotay to hum to momin hotay

[32] Yeh baray log inn kamzoron ko jawab den gay kay kiya tumharay pass hidayat aa chukney kay baad hum ney tumhen iss say roka tha? (nahi) bulkay tum (khud) hi mujrim thay

[33] (Iss kay jawab mein) yeh kamzor log inn mutakabbiron say kahen gay (nahi nahi) bulkay din raat makar-o-faraib say humen Allah kay sath kufur kerney aur uss kay shareek muqarrar kerney ka tumhara hukum dena humari bey emaani ka baees hua aur azab ko dekhtay hi sab ka sab dil mein pashemaan ho rahey hongay aur kafiron ki gardano mein hum toq daal den gay unhen sirf unn kay kiyey keraye aemaal ka badla diya jayega

[34] Aur hum ney to jiss basti mein jo bhi aagah kerney wala bheja wahan kay khushaal logon ney yehi kaha kay jiss cheez kay sath tum bhejay gaye ho hum uss kay sath kufur kerney walay hain

[35] Aur kaha hum maal-o-aulad mein boht barhay huyey hain yeh nahi hosakta kay hum azab diye jayen

[36] Keh dijiye! kay mera rab jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur tang bhi ker deta hai lekin aksar log nahi jantay

[37] Aur tumharay maal aur aulad aisay nahi kay tumhen humaray pass (martabon say) qareeb ker den haan jo eman layen aur nek amal keren unn kay liye unn kay aemaal ka dohra ajar hai aur woh nidar-o-bey-khof ho ker bala khano mein rahen gay

[38] Aur jo log humari aayaton kay muqablay ki tag-o-do mein lagay rehtay hain yehi hain jo azab mein pakar ker hazir rakhay jayen gay

[39] Keh dijiye! kay mera rab apnay bandon mein jiss kay liye chahaye rozi kushada kerta hai aur jiss kay liye chahata hai tang ker deta hai tum jo kuch bhi Allah ki raah mein kharach kero gay Allah uss ka (poora poora) badla dey ga aur woh sab say behtar rozi denay wala hai

[40] Aur inn sab ko Allah uss din jama kerkay farishton say daryaft farmaye ga kay kiya yeh log tumhari ibadat kertay thay

[41] Woh kahen gay teri zaat pak hai aur humara wali to tu hai na kay yeh bulkay yeh log jinno ki ibadat kiya kertay thay inn mein kay aksar ka unhi per eman tha

[42] Pus aaj tum mein say koi (bhi) kiss kay liye (bhi kissi qisam kay) nafa nuksan ka malik na hoga. Aur hum zalimo say keh den gay kay iss aag ka maza chakho jissay tum jhutlatay rahey

[43] Aur jab unn kay samney humari saaf saaf aayaten parhi jati hain to kehtay hain yeh aisa shaks hai jo tumehn tumharay baap dada kay maboodon say rok dena chahata hai (iss kay siwa koi baat nahi) aur kehtay hain kay yeh to ghara hua jhoot hai aur haq inn kay pass aa chuka phir bhi kafir yehi kehtay rahey kay yeh to khula hua jadoo hai

[44] Aur inn (makkah walon) ko na to hum ney kitaben dey rakhi hain jinhen yeh parhtay hon na inn kay pass aap say pehlay koi aagah kerney wala aaya

[45] Aur inn say pehlay kay logon ney bhi humari baaton ko jhutlaya tha aur unhen jo hum ney dey rakha tha yeh to uss kay daswen hissay ko bhi nahi phonchay pus unhon ney meray rasoolon ko jhutlaya (phir dekh kay) mera azab kaisa (sakht) tha

[46] Keh dijiye! kay mein tumhen sirf aik hi baat ki naseehat kerta hun kay tum Allah kay wastay (zidd chor ker) do do mill ker ya tanha kharay hoker socho to sahi tumharay iss rafiq ko koi janoon nahi woh to tumhen aik baray (sakht) azab kay aaney say pehlay daraney wala hai

[47] Keh dijiye! kay jo badla mein tum say maangon woh tumharay liye hai mera badla to Allah Taalaa hi kay zimmay hai. Woh her cheez say ba-khabar (aur mutlaa) hai

[48] Keh dijiye! kay mera rab haq (sachi wahee) nazil farmata hai woh her ghaib ka jannay wala hai

[49] Keh dijiye! kay haq aa chuka batil na to pehlay kuch ker saka hai aur na ker sakay ga

[50] Keh dijiye! kay agar mein behak jaon to meray behakney (ka wabaal) mujh per hi hai aur agar mein raahe-hidayat per hun to ba-sabab iss wahee kay jo mera perwerdigar mujhay kerta hai woh bara hu sunnay wala aur boht hi qareeb hai

[51] Aur agar aap (woh waqt) mulahiza keren jabkay yeh kuffaar ghabraye phiren gay phir nikal bhagney ki koi soorat na hogi aur qareeb ki jaga say giriftar ker liye jayen gay

[52] Uss waqt kahen gay kay hum iss quran per eman laye lekin iss qadar door jaga say (matlooba cheez) kaisay hath aa sakti hai

[53] Iss say pehlay to enhon ney iss say kufur kiya tha aur door daraz say binn dekhay hi phenktay rahey

[54] Inn ki chahaton aur inn kay darmiyan pardah haael ker diya gaya jaisa kay iss say pehlay bhi inn jaison kay sath kiya gaya woh bhi (inhi ki tarah) shak-o-taraddud mein (paray huyey) thay

فاطر

Surah 35

[1] Uss Allah kay liye tamam tareefen sazawaar hain jo (ibtida’an) aasmano aur zamin ka peda kerney wala aur do do teen teen char char paron walay farsihton ko apna payghumber (qasid) bananey wala hai makhlooq mein jo chahaye ziyadti kerta hai Allah Taalaa yaqeenan her cheez per qadir hai

[2] Allah Taalaa jo rehmat logon kay liye khol day so uss ka koi band kerney wala nahi aur jiss ko band kerday so uss kay baad iss ka koi jaari kerney wala nahi aur wohi ghalib hikmat wala hai

[3] Logo! Tum per jo inam Allah Taalaa ney kiye hain unhen yaad kero. Kiya Allah kay siwa aur koi bhi khaliq hai jo tumhen aasman aur zamin say rozi phonchaye? Uss ka siwa koi mabood nahi. Pus tum kahan ultay jatay ho

[4] Aur gar yeh aap ko jhutlayen to aap say pehlay kay tamam rasool bhi jhutlaye ja chukay hain. Tamam kaam Allah hi ki taraf lotaye jatay hain

[5] Logo! Allah Taalaa ka wada sacha hai tumhen zindaganiy-e-duniya dhokay mein na daal day aur na dhokay baaz shetan tumhen ghaflat mein daal day

[6] Yaad rakho! Shetan tumhara dushman hai tum ussay dushman jano woh to apnay giroh ko sirf iss liye hi bulata hai kay woh sab jahannum wasil hojayen

[7] Jo log kafir huyey unn kay liye sakht saza hai aur jo log eman laye aur nek aemaal kiye unn kay liye baksshish hai aur (boht) bara ajar hai

[8] Kiya pus woh shaks jiss kay liye uss kay burray aemaal muzayyan ker diye gaye hain pus woh unhen acha samajhta hai (kiya woh hidayat yaafta shaks jaisa hai) (yaqeen mano) kay Allah jissay chahaye gumraah kerta hai aur jissay chahaye raah-e-raast dikhata hai pus aap ko inn per ghum kha kha ker apni jaan halak mein na daalni chahayey yeh jo kuch ker rahey hain uss say yaqeenan Allah Taalaa ba-khoobi waqif hai

[9] Aur Allah hi hawayen chalata hai jo badlon ko uthati hain phir hum badlon ko khusk zamin ki taraf ley jatay hain aur iss say uss zamin ko uss ki maut kay baad zindah ker detay hain. Issi tarah soobara ji uthna (bhi) hai

[10] Jo shaks izzat hasil kerna chahata ho to Allah Taalaa hi ki sari izzat hai tamam tar suthray kalmaat ussi ki taraf charhtay hain aur nek aemaal unn ko buland kerta hai jo log buraeeyon kay dao ghaat mein lagay rehtay hain unn kay liye sakht tar azab hai aur unn ka yeh makar barbaad hojayega

[11] Logo! Allah Taalaa ney tumhen mitti say phir nutfa peda kiya hai phir tumhen joray joray (mard-o-aurat) banadiya hai aurton ka hamila hona aur bachon ka tawallud hona sab uss kay ilm say hi hai aur jo bari umar wala umar diya jaye aur jiss kissi ki umar ghatay woh sab kitab mein likha hua hai. Allah Taalaa per yeh baat bilkul aasan hai

[12] Aur barabar nahi do darya yeh meetha hai piyas bujhata peenay mein khusgawar aur yeh doosra khaari hai kerwa tum inn dono mein say taza gosht khatay ho aur woh zewraat nikaltay ho jinhen tum pehantay ho. Aur aap dekhtay hian kay bari bari kashtiyan pani ko cheerney pharney wali inn daryayon mein hain takay tum uss ka fazal dhondo aur takay tum uss ka shukar kero

[13] Woh raat ko din mein aur din ko raat mein dakhil kerta hai aur aftab aur mahtab ko ussi ney kaam mein laga diya hai. Her aik miyaad-e-moyyan per chal raha hai. Yehi hai Allah tum sab ka palney wala ussi ki saltanat hai. Jinhen tum iss kay siwa pukar rahey ho woh to khajoor ki guthli kay chilkay kay bhi malik nahi

[14] Agar tum enhen pukaro to woh tumhari pukar suntay hi nahi aur agar (bil-farz) sunn bhi len to faryad rasi nahi keren gay bulkay qayamat kay din tumharay iss shirk ka saaf inkar ker jayen gay. Aap ko koi bhi haq-taalaa jaisa khabardaar khabren na deyga

[15] Aey logo! Tum Allah kay mohtaj ho aur Allah bey niyaz khoobiyon wala hai

[16] Agar woh chahaye to tum ko fana ker dey aur aik naee makhlooq peda ker day

[17] Aur yeh baat Allah ko kuch mushkil nahi

[18] Koi bhi bojh uthaney wala doosray ka bojh nahi uthaye ga agar koi giran baar doosray ko apna bojh uthaney kay liye bulaye ga to woh uss mein say kuch bhi na uthaye ga go qarabat daar hi ho. Tu sirf unhi ko aagah ker sakta hai jo ghaeebana tor per apnay rab say dartay hain aur namazon ki pabandi kertay hain aur jo bhi pak hojaye woh apnay hi nafay kay liye pak hoga. Lotna Allah hi ki taraf hai

[19] Aur andha aur aankhon wala barabar nahi

[20] Aur na tareeki aur roshni

[21] Aur na chaaon aur na dhoop

[22] Aur zinday aur murday barabar nahi hosaktay Allah Taalaa jiss ko chahata hai suna deta hai aur aap unn logo ko nahi suna saktay jo qabron mein hain

[23] Aap to sirf daraney walay hain

[24] Hum ney hi aap ko haq day ker khushkhabri sunaney wala aur darr sunaney wala bana ker bheja hai aur koi ummat aisi nahi hui jiss mein koi darr sunaney wala na guzra ho

[25] Aur agar yeh log aap ko jhutla den to jo log inn say pehlay ho guzray hain unhon ney bhi jhutlaya tha unn kay pass bhi unn kay payghumber moajjzay aur saheefay aur roshan kitaben ley ker aaye thay

[26] Phir mein ney unn kafiron ko pakar liya so mera azab kaisa hua

[27] Kiya aap ney iss baat per nazar nahi ki kay Allah Taalaa ney aasman say pani utara phir hum ney iss kay zariyey say mukhtalif rangaton kay phal nikalay aur paharon kay mukhtalif hissay hain safaid aur surukh kay inn ki bhi rangaten mukhtalif hain aur boht gehray siyah

[28] Aur issi tarah aadmiyon aur janwaron aur chopayon mein bhi baaz aisay hain kay unn ki rangaten mukhtalif hain Allah say uss kay wohi banday dartay hain jo ilm rakhtay hain waqaee Allah Taalaa zabardast bara bakhsney wala hai

[29] Jo log kitabullah ki tilawat kertay hain aur namaz ki pabandi rakhtay hain aur jo kuch hum ney unn ko ata farmaya hai uss mein say posheedah aur ailaniya kharach kertay hain woh aisi tijarat kay umeedwaar hain jo kabhi khasaray mein na hogi

[30] Takay unn ko unki ujraten poori day aur unn ko apnay fazal say aur ziyadah day be-shak woh bara bakhsney wala qadardaan hai

[31] Aur yeh kitab jo hum ney aap kay pass wahee kay tor per bheji hai yeh bilkul theek hai jo kay apnay say pehli kitabon ki bhi tasdeeq kerti hai. Allah Taalaa apnay bandon ki poori khabar rakhney wala khoob dekhney wala hai

[32] Phir hum ney unn logon ko (iss) kitab ka waris banaya jin ko hum ney apnay bandon mein say pasand farmaya. Phir baazay to inn mein apni jano per zulm kerney walay hain aur baazay inn mein mutawassit darjay kay hain aur baazay inn mein Allah ki tofiq say nekiyon mein taraqqi kiye chalay jatay hain. Yeh bara fazal hai

[33] Woh baghaat mein humesha rehney kay jin mein yeh log dakhil hongay sonay kay kanggan aur moti pehnaye jawen gay. Aur poshak unn ki wahan resham ki ki hogi

[34] Aur kahen gay Allah ka lakh lakh shukar hai jiss ney hum say ghum door kiya. Be-shak humara parwerdigar bara bakhsney wala bara qadardaan hai

[35] Jiss ney hum ko apnay fazal say humesha rehney kay muqam mein la utara jahan na hum ko koi takleef phonchay gi aur na hum ko koi khastagi phonchay gi

[36] Aur jo log kafir hain unn kay liye dozakh ki aag hai na to unn ki qaza hi aaye gi kay marr hi jayen aur na dozakh ki azab hi unn say halka kiya jayega. Hum her kafir ko aisi hi saza detay hain

[37] Aur woh log iss mein chillayen gay aey humaray parwerdigar! Hum ko nikal ley hum achay kaam keren gay bar-khilaf unn kaamon kay jo kiya kertay thay (Allah kahey ga) kiya hum ney tum ko itni umar na di thi kay jiss ko samjhna hota woh samjh sakta aur tumharay pass daraney wala bhi phoncha tha so maza chakho kay (aisay) zalimon ka koi madadgaar nahi

[38] Be-shak Allah Taalaa jannay wala hai aasmano aur zamin ki posheedah cheezon ka be-shak wohi jannay wala hai seenon ki baaton ka

[39] Wohi aisa hai jiss ney tum ko zamin mein aabad kiya so jo shaks kufur keray ga uss kay kufur ka wabaal ussi per paray ga. Aur kafiron kay liye unn ka kufur unn kay perwerdigar kay nazdeek narazi hi barhaney ka baees hota hai aur kafiron kay liye unn ka kufur khasarah hi barhney ka baees hota hai

[40] Aap kahiye! Kay tum apnay qarardaad shareekon ka haal to batlao jin ko tum Allah kay siwa pooja kerta ho. Yani mujh ko yeh batlao kay unhon ney zamin mein say konsa (juzzv) banaya hai ya unn ka aasmano mein kuch saajha hai ya hum ney unn ko koi kitab di hai kay yeh uss ki daleel per qaeem hon bulkay yeh zalim aik doosray say niray dhokay ki baaton ka wada kertay aatay hain

[41] Yaqeeni baat hai kay Allah Taalaa aasmano aur zamin ko thamay huyey hai kay woh tal na jayen aur agar woh tal jayen to phir Allah kay siwa aur koi inn ko thaam bhi nahi sakta. Woh haleem ghafoor hai

[42] Aur inn kufaar ney bari zor daar qasam khaee thi kay inn kay pass agar koi daraney wala aaye to woh her aik ummat say ziyada hidayat qabool kerney walay hon. Phir jab inn kay pass aik payghumbar aa phonchay to bus inn ki nafrat hi mein izafa hua

[43] Duniya mein apnay ko bara samjhney ki waja say aur inn ki buri tadberon ki waja say aur buri tadbeeron ka wabaal inn tadbeer walon per hi parta hai so kiya yeh uss dastoor kay muntazir hain jo aglay logon kay sath hota raha hai. So aap Allah kay dastoor ko kabhi badalta hua na payen gay aur aap Allah kay dastoor ko kabhi muntaqil hota hua na payen gay

[44] Aur kiya yeh log zamin mein chalay phiray nahi jiss mein dekhtay bhaaltay kay jo log inn say pehlay ho guzray hain unn ka anjam kiya hua? Halankay woh qooat mein inn say barhay huyey thay aur Allah aisa nahi hai kay koi cheez uss ko hara day na aasmano mein aur na zamin mein woh baray ilm wala bari qudrat wala hai

[45] Aur agar Allah Taalaa logon per unn kay aemaal kay sabab darogeer farmaney lagta to roy-e-zamin per aik jaandaar ko na chorta lekin Allah Taalaa inn ko aik miyad-e-moyyan tak mohlat dey raha hai so jab inn ki woh miyad aa phonchay gi Allah Taalaa apnay bandon ko aap dekh ley ga

یٰس

Surah 36

[1] Yaseen

[2] Qasam hai quran ba-hikmat ki

[3] Kay be-shak aap payghumbaron mein hain

[4] Seedhay rastay per hain

[5] Yeh quran Allah zabardast meharban ki taraf say nazil kiya gaya hai

[6] Takay aap aisay logon ko darayen jin kay baap daday nahi daraye gaye thay so (issi waja say) yeh ghafil hain

[7] Inn mein say aksar logon per baat sabit hochuki hai so yeh log eman na layen gay

[8] Hum ney unn ki gardano mein toq daal diyey hain phir woh thoriyon tak hain jiss say unn kay sir uper ko ulat gaye hain

[9] Aur hum ney aik aarh unn kay samney ker di aur aik aarh unn kay peechay kerdi jiss say hum ney unn ko dhank diya so woh nahi dekh saktay

[10] Aur aap inn ko darayen ya na darayen dono barabar hain yeh eman nahi layen gay

[11] Bus aap to sirf aisay shaks ko dara saktay hain jo naseehat per chalay aur rehman say bey dekhay daray so aap uss ko maghfirat aur baq-waqar ajar ki khushkhabriyan suna dijiyey

[12] Be-shak hum murdon ko zindah keren gay aur hum likhtay jatay hain woh aemaal bhi jin ko log aagay bhejtay hain aur unn kay woh aemaal bhi jin ko peechay chor jatay hain aur hum ney her cheez ko aik wazeh kitab mein zabt ker rakha hai

[13] Aur aap inn kay samney aik misal (yani aik) basti walon ki misal (uss waqt ka) biyan kijiyey jabkay uss basti mein (kaee) rasool aaye

[14] Jab hum ney unn kay pass do ko bheja so unn logon ney (awwal) dono ko jhutlaya phir hum ney teesray say taeed ki so unn teeno ney kaha hum tumharay pass bhejay gaye hain

[15] Unn logon ney kaha kay tum to humari tarah mamooli aadmi ho aur rehman ney koi cheez nazil nahi ki. Tum nira jhoot boltay ho

[16] Unn (rasoolon) ney kaha humara perwerdigar janta hai kay be-shak hum tumharay pass bhejen gaye hain

[17] Aur humaray zimmay to sirf wazeh tor per phoncha dena hai

[18] Unhon ney kaha kay hum to tum ko manhoos samajhtay hain. Agar tum baaz na aaye to hum pathron say tumhara kaam tamam ker den gay aur tum ko humari taraf say sakht takleef phonchay gi

[19] Unn rasoolon ney kaha tumhari nahoosat tumharay sath hi lagi hui hai kiya iss ko nahoosat samajhtay ho kay tum ko naseehat ki jaye bulkay tum hadd say nikal janey walay log ho

[20] Aur aik shaks (uss) shehar kay aakhri hissay say dorta hua aaya kehney laga kay aey meri qom! Inn rasoolon ki raah per chalo

[21] Aisay logon ki raah per chalo jo tum say koi mawaza nahi mangtay aur woh raah-e-raast per hain

[22] Aur mujhay kiya hogaya hai kay mein uss ki ibadat na keroo jiss ney mujhay peda kiya aur tum sab ussi ki taraf lotaye jao gay

[23] Kiya mein ussay chor ker aison ko mabood banaoon kay agar (Allah) rehman mujhay koi nuksan phonchana chahaye to unn ki sifarish mujhay kuch bhi nafa na phoncha sakay aur na woh mujhay bacha saken

[24] Phir to mein yaqeenan khilli gumrahee mein hun

[25] Meri suno! Mein to (sachay dil say) tum sab kay rab per eman laa chuka

[26] (uss say) kaha gaya kay jannat mein chala jaa kehney laga kaash! Meri qom ko bhi ilm hojata

[27] Kay mujhay meray rab ney bakhsh diya aur mujhay ba-izzat logon mein sy ker diya

[28] Iss kay baad hum ney uss qom per aasman say koi lashkar na utara aur na iss tarah hum utara kertay hain

[29] Woh to sirf aik zor ki cheekh thi kay yakayak woh sab kay sab bujh bujha gaye

[30] (aisay) bando per afsos! Kabhi bhi koi rasool unn kay pass nahi aaya jiss ki hansi unhon ney na uraee ho

[31] Kiya unhon ney nahi dekha kay inn kay pehlay boht si qomon ko hum ney gharat ker diya kay woh unn ki taraf lot ker nahi aayen gay

[32] Aur nahi hai koi jamaat magar yeh kay woh jama hoker humaray samney hazir ki jayegi

[33] Aur inn kay liye aik nishani (khusk) zamin hai jiss ko hum ney zindah ker diya aur iss say ghalla nikala jiss mein say woh kahatay hain

[34] Aur hum ney iss mein khajooron kay aur angooron kay baghaat peda kerdiye aur jin mein hum ney chashmay bhi jari ker diye hain

[35] Takay (log) uss kay phal khayen aur iss ki inn kay hathon ney nahi banaya. Phir kiyon shukar guzari nahi kertay

[36] Woh pak zaat hai jiss ney her cheez kay joray peda kiye khua woh zamin ki ugaee hui cheezen hon khua khud unkay nafoos hon khua woh (cheezen) hon jinhen yeh jantay bhi nahi

[37] Aur inn kay liye aik nishani raat hai jiss say hum din ko kheench latay detay hain to yakayak andheray mein reh jatay hain

[38] Aur sooraj kay liye jo muqarrara raah hai woh ussi per chalta hai yeh hai muqarrar kerdah ghalib ba-ilm Allah Taalaa ka

[39] Aur chand ki hum ney manzilen muqarrar ker rahkhi hain yahan tak kay woh lot ker purani tehni ki tarah hojata hai

[40] Na aftab ki yeh majal hai kay chand ko pakray aur na raat din per aagay barh janey wali hai aur sab kay sab aasman mein tertay phirtay hain

[41] Aur inn kay liye aik nishani (yeh bhi) hai kay hum ney inn ki nasal ko bhari hui kashti mein sawar kiya

[42] Aur inn kay liye issi jaisi aur cheezen peda ken jin per yeh sawar hotay hain

[43] Aur agar hum chahatay to enhen dobo detay. Phir na to koi unn ka faryad rass hota na woh bachaye jayen

[44] Lekin hum apni taraf say rehmat kertay hain aur aik muddat tak kay liye unhen faeeday day rahey hain

[45] Aur inn say jab (kabhi) kaha jata hai kay aglay pichlay (gunahon) say bacho takay tum per reham kiya jaye

[46] Aur inn kay pass to inn kay rab ki nishaniyon mein say koi nishani aisi nahi aati jiss say yeh bey rukhi na barattay hon

[47] Aur inn say jab kaha jata hai kay Allah Taalaa kay diye huyey mein say kuch kharach kero to yeh kuffar eman walon ko jawab detay hain kay hum enhen kiyon khilayen? Jinhen agar Allah Taalaa chahata to khud khila pila deta tum to ho hi khulli gumrahi mein

[48] Woh kehtay hain kay yeh wada kab hoga sachay ho to batlao

[49] Enhen sirf aik sakht cheekh ka intezar hai jo enhen aa pakray gi aur yeh bahum laraee jhagray mein hi hongay

[50] Uss waqt na to yeh waseeyat ker saken gay aur na apnay ehal ki taraf lot saken gay

[51] To soor kay phoonkay jatay hi sab kay sab apni qabron say apnay perwerdigar ki taraf (tez tez) chalney lagen gay

[52] Kahen gay haye haye! Humen humari khuwab gahaon say kiss ney utha diya. Yehi hai jiss ka wada rehman ney diya tha aur rasoolon ney sach sach keh diya tha

[53] Yeh nahi hai magar aik cheekh kay yakayak saray kay saray humaray samney hazir ker diyey jayen gay

[54] Pus aaj kissi shaks per kuch bhi zulm na kiya jayega aur tumhen nahi badla diya jayega magar sirf unhi kamon ka jo tum kiya kertay thay

[55] Jannati log aaj kay din apnay (dilchasp)mashghalon mein hashash bashash hain

[56] Woh aur unn ki biwiyan sayon mein masheriyon per takiya lagaye bethay hongay

[57] Inn kay liye jannat mein her qisam kay meway hongay aur bhi jo kuch woh talab keren

[58] Meharbaan perwerdigar ki taraf say unhen salam kaha jayega

[59] Aey gunehgaron! Aaj tum alag hojao

[60] Aey aulad-e-adam! Kiya mein ney tum say qol-o-qarar nahi liya tha kay tum shetan ki ibadat na kerna woh to tumhara khulla dushman hai

[61] Aur meri hi ibadat kerna. Seedhi raah yehi hai

[62] Shetan ney to tum mein say boht sari makhlooq ko behka diya. Kiya tum aqal nahi raktay

[63] Yehi woh dozakh hai jiss ka tumhen wada diya jata tha

[64] Apnay kufur ka badla paney kay liye aaj iss mein dakhil hojao

[65] Hum aaj kay din inkay mun per mohar laga den gay aur inn kay hath hum say batein keren gay aur inn kay paaon gawaheeyian den gay unn kamon ki jo woh kertay thay

[66] Agar hum chahtay to inn ki aankhen bey noor ker detay phir yeh rastay ki taraf dortay phirtay lekin enhen kaisay dikhaee deta

[67] Aur agar hum chahatay to inn ki jaga hi per inn ki soorten masakh ker detay phir na woh chal phir saktay aur na lot saktay

[68] Aur jissay hum boorsha kertay hain ussay pedaeeshi halat ki taraf phir ulat detay hain kiya phir bhi woh nahi samajhtay

[69] Na to hum ney iss payghumber ko shair sikhaye aur na yeh iss kay laeeq hai. Woh to sirf naseehat aur wazeh quran hai

[70] Takay woh her uss shaks ko aagah kerday jo zindah hai aur kafiron per hujjat sabit hojaye

[71] Kiya woh nahi dekhtay kay hum ney apnay hathon banaee hui cheezon mein say unn kay liye chopaye (bhi) peda ker diye jin kay yeh malik hogaye hain

[72] Aur inn mawesheeyon ko hum ney unn ka tabey farman bana diya hai jin mein say baaz to inn ki sawariyan hain aur baaz ka gosht khatay hain

[73] Enhen unn say aur bhi boht faeeday hain aur peenay ki cheezen. Kiya phit (bhi) yeh shukar ada nahi keren gay

[74] Aur woh Allah kay siwa doosron ko mabood banatay hain takay woh madad kiye jayen

[75] (halankay) unn mein inn ki madad ki taqat hi nahi (lekin) phir bhi (musrikeen) unn kay liye hazir baash lashkari hain

[76] Pus aap ko inn ki baat ghumnaak na keray hum inn ki possheedah aur ailaniya sari baaton ko (ba-khoobi) jantay hain

[77] Kiya insan ko itna bhi maloom nahi kay hum ney ussay nutfay say peda kiya hai? Phir yakayak woh sarreh jhagraloo bann betha

[78] Aur uss ney humaray liye misal biyan ki aur apni (asal) pedaeesh ko bhool gaya kehney laga inn gali sarhi haddiyon ko kon zindah ker sakta hai

[79] Aap jawab dijiye! Kay enhen woh zindah keray ga jiss ney enhen awwal martaba peda kiya hai jo sab tarah ki pedaeesh ka ba-khoobi jannay wala hai

[80] Wohi jiss ney tumharay liye sabz darakht say aag peda kerdi jiss say tum yakayak aag sulgatay ho

[81] Jiss ney aasman aur zamin ko peda kiya hai kiya woh inn jeson kay peda kerney per qadir nahi be-shak qadir hai. Aur wohi to peda kerney wala dana (beena) hai

[82] Woh jab kisi cheez ka iradah kerta hai ussay itna farma dena (kafi hai) kay ho ja woh ussi waqt hojati hai

[83] Pus pak hai woh Allah jiss hath mein her cheez ki badshaat hai aur jiss ki taraf tum sab lotaye jaogay

الصّٰفّٰت

Surah 37

[1] Qasam hai saf bandhney walay (farishton ki)

[2] Phir poori tarah dantney walon ki

[3] Phir zikar-e-Allah ki tilawat kerney walon ki

[4] Yaqeenan tum sab ka mabood aik hi hai

[5] Aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon aur mashriqon ka rab wohi hai

[6] Hum ney aasman-e-duniya ko sitaron ki zeenat say aaraasta kiya

[7] Aur hifazat ki sirkash shetan say

[8] Aalam-e-bala kay farishton (ki baaton) ko sunnay kay liye woh kaan bhi nahi laga saktay bulkay her taraf say woh maaray jatay hain

[9] Bhaganey kay liye aur unn kay liye daeemi azab hai

[10] Magar jo koi aik aadh baat uchak lay bhagay to (foran hi) uss kay peechay dehakta hua shola lag jata hai

[11] Inn kafiron say poocho to kay aaya inn ka peda kerna ziyadah dushwaar hai ya (unn ka) jinhen hum ney (inn kay ilawa) peda kiya? Hum ney (insano) ko less daar mitti say peda kiya hai

[12] Bulkay tu tajjub ker raha hai aur yeh maskhara pan ker rahey hain

[13] Aur jab enhen naseehat ki jati hai yeh nahi mantay

[14] Aur jab kissi moajzzay ko dekhtay hain to mazaq uratay hain

[15] Aur kehtay hain kay yeh to bilkul khullam khulla jadoo hi hai

[16] Kiya jab hum mar jayen gay aur khak aur haddi hojayen gay phir kiya (sach much) hum uthaye jayen gay

[17] Kiya hum say pehlay kay humaray baap dada bhi

[18] Aap jawab dijiye! Kay haan haan aur tum zaleel (bhi) howo gay

[19] Woh to sirf aik zor ki jhirki hai kay yakayak yeh dekhney lagay gay

[20] Aur kahen gay kay haye humari kharabi yehi jaza (saza) ka din hai

[21] Yehi faislay ka din hai jissay tum jhutlatay rahey

[22] Zalimon ko aur unn kay humrahiyon ko aur (jin) jin ki woh Allah kay ilawa parastish kertay thay

[23] (inn sab ko) jama kerkay enhen dozakh ki raah dikha do

[24] Aur enhen theraklo (iss liye) kay inn say (zaroori) sawal kiyey janay walay hain

[25] Tumhen kiya hogaya hai kay (iss waqt) tum aik doosray ki madad nahi kertay

[26] Bulkay woh (sab kay sab) aaj farmanbardaar bann gaye

[27] Woh aik doosray ki taraf mutawajja hoker sawal-o-jawab kerney lagen gay

[28] Kahen gay kay tum to humaray pass humari dayen taraf say aatay thay

[29] Woh jawab den gay kay nahi bulkay tum hi eman daar na thay

[30] Aur kuch humara zor to tum per tha (hi) nahi. Bulkay tum (khud) sirkash log thay

[31] Abb to hum (sab) per humaray rab ki yeh baat sabit ho chuki kay hum (azab) chakhney walay hain

[32] Pus hum ney tumhen gumrah kiya hum to khud bhi gumrah hi thay

[33] So abb aaj kay din to (sab kay sab) azab mein shareek hain

[34] Hum gunehgaaro kay sath issi tarah kiya kertay hain

[35] Yeh woh (log) hain kay jab inn say kaha jata hai kay Allah kay siwa koi mabood nahi to yeh sirkashi kertay thay

[36] Aur kehtay thay kay kiya hum apnay maboodon ko aik deewaney shaeer ki baat per chor den

[37] (nahi nahi) bulkay (nabi) to haq (sacha deen) laye hain aur sab rasoolon ko sach jantay hain

[38] Yaqeenan tum dard-naak azab (ka maza) chakhney walay ho

[39] Tumhen ussi ka badla diya jayega jo tum kertay thay

[40] Magar Allah Taalaa kay khalis bargazeedah banday

[41] Unhin kay liye muqarrara rozi hai

[42] (her tarah kay) meway aur ba-izzat-o-ikraam hongay

[43] Nematon wali jannaton mein

[44] Takhton per aik doosray kay samney (bethay) hongay

[45] Jaari sharab kay jaam ka unn per dor chal raha hoga

[46] Jo saaf shaffaf peenay mein lazeez hogi

[47] Na uss say dard-e-sir ho aur na uss kay peenay say behken

[48] Aur unn kay pass neechi nazron bari bari aankhon wali (hooren) hongi

[49] Aisi jesay chupaye huyey anday

[50] (jannati) aik doosray ki taraf rukh kerkay poochen gay

[51] Unn mein say aik kehney wala kahe ga mera aik sathi tha

[52] Jo (mujh say) kaha kerta tha kay kiya tu (qayamat kay aaney ka) yaqeen kerney walon mein say hai

[53] Kiya jab kay hum mar ker mitti aur haddi hojayen gay kiya uss waqt hum jaza diyey janey walay hain

[54] Kahey ga tum chahtay ho kay jhaank ker dekh lo

[55] Jhaanktay hi ussay beechon beech jahannum mein (jalta hua) dekhay ga

[56] Kahey ga Wallah! Qareeb tha kay tu mujhay (bhi) barbaad ker day

[57] Agar meray rab ka ehsan na hota to mein bhi dizakh mein hazir kiyey janey walon mein hota

[58] Kiya (yeh sahih hai) kay hum marney walay hi nahi

[59] Ba-juz pehli aik mot kay aur na hum azab kiyey janey walay hain

[60] Phir to (zahir baat hai kay) yeh bari kaamyabi hai

[61] Aisi (kaamyabi) kay liye amal kernay walon ko amal kerna chahayey

[62] Kiya yeh mehmaani achi hai ya seendh (zaqoom) ka darakht

[63] Jissay hum ney zalimon kay liye sakht aazmaeesh bana rakha hai

[64] Be-shak woh darakht jahannum ki jarr mein say nikalta hai

[65] Jiss kay khoshay shetan kay siron jesay hotay hain

[66] (jahannumi) issi darakht mein say khayen gay aur issi say pet bharen gay

[67] Phir iss per garum jaltay jaltay paani ki malooni hogi

[68] Phir inn sab ka lotna jahannum ki (aag kay dher ki) taraf hoga

[69] Yaqeen mano! Kay enhon ney apnay baap dadon ko behka hua paya

[70] Aur yeh unhi kay naqsh-e-qadam per dortay rahey

[71] Inn say pehlay bhi boht say aglay behak chukay hain

[72] Jinn mein hum ney daraney walay (rasool) bhejay thay

[73] Abb tu dekh ley jinhen dhamkaya gaya tha unn ka anjam kaisa kuch hua

[74] Siwaye Allah kay bargazeedah bandon kay

[75] Aur humen nooh (alh-e-salam) ney pukara to (dekhlo) hum kaisay achay dua qabool kerney walay hain

[76] Hum ney ussay aur uss kay ghar walon ko uss zabardast museebat say bacha liya

[77] Aur uss ki aulad ko hum ney baqi rehney wali bana di

[78] Aur hum ney uss ka (zikar-e-khair) pichlon mein baqi rakha

[79] Nooh (alh-e-salam) per tamam jahano mein salam ho

[80] Hum neki kerney walon ko issi tarah badlay detay hain

[81] Woh humaray eman daar bandon mein say tha

[82] Phir hum ney doosron ko dobo diya

[83] Aur uss (nooh alh-e-salam ki) tabeydaari kerney walon mein say (hi) ibrahim (alh-e-salam bhi) thay

[84] Jabkay apany rab kay pass bey-aib dil laye

[85] Unhon ney apnay baap aur apni qom say kaha kay tum kiya pooj rahey ho

[86] Kiya tum Allah kay siwa gharay huyey maboob chahtay ho

[87] To yeh (batlao kay) tum ney rab-ul-aalameen ko kiya samjh rakha hai

[88] Abb ibrahim (alh-e-salam) ney aik nigah sitaron ki taraf uthaee

[89] Aur kaha mein to beemar hun

[90] Iss per woh sab uss say mun moray huyey wapis chalay gaye

[91] Aap (chup chupatay) unn kay maboodon kay pass gaye aur farmaney lagay tum khatay kiyon nahi

[92] Tumhen kiya hogaya kay baat tak nahi kertay

[93] Phir to (poori qooat kay sath) dayen hath say unhen maarney per pal paray

[94] Woh (butt parast) doray bhagay aap ki taraf mutawajja huyey

[95] To aap ney farmaya tum enhen poojtay ho jinhen (khud) tum tarashtay ho

[96] Halankay tumhen aur tumhari banaee hui cheezon ko Allah hi ney peda kiya hai

[97] Woh kehney lagay iss kay liye aik makan banao aur iss (dekakti hui) aag mein issay daal do

[98] Unhon ney to iss (ibrahim alh-e-salam) kay sath makar kerna chaha lekin hum ney unhi ko neecha ker diya

[99] Aur uss (ibrahim alh-e-salam) ney kaha mein to hijrat kerkay apnay perwerdigar ki taraf janey wala hun. Woh zaroor meri rehnumaee keray ga

[100] Aey meray rab! Mujhay nek bakht aulad ata farma

[101] To hum ney ussay aik burd-baar bachay ki bisharat di

[102] Phir jab woh (bacha) itni umar ko phoncha kay uss kay sath chalay phiray to uss (ibrahim alh-e-salam) ney kaha meray piyaray bachay! Mein khuwab mein apnay aap ko tujhay zibah kertay huyey dekh raha hun. Abb tu bata kay teri kiya raye hai? Betay ney jawab diya kay abba! Jo hukum hua hai ussay baja layiye inshaAllah aap mujhay sabar kerney walon mein say payen gay

[103] Gharz jab dono mutee hogaye aur uss ney (baap ney) uss ko (betay ko) paishaani kay bal gira diya

[104] To hum ney aawaz di kay aey ibrahim

[105] Yaqeenan tu ney apna khuwab sacha ker dikhaya be-shak hum neki kerney walon ko issi tarah jaza detay hain

[106] Dar-haqeeqat yeh khulla imtehan tha

[107] Aur hum ney aik bara zabeeha iss kay fidyey mein dey diya

[108] Aur hum ney unn ka zikar-e-khair pichlon mein baqi rakha

[109] Ibrahim (alh-e-salam) per salam ho

[110] Hum neko karon ko issi tarah badla detay hain

[111] Be-shak woh humaray eman daar bandon mein say tha

[112] Aur hum ney uss ko ishaq (alh-e-salam) nabi ki bisharat di jo saleh logon mein say hoga

[113] Aur hum ney ibrahim-o-ishaq (al-e-heem-us-salam) per barkaten nazil farmaeen aur inn dono ki aulad mein baazay to nek bakht hain aur baaz apnay nafs per sareeh zulm kerney walay hain

[114] Yaqeenan hum ney musa aur haroon (al-e-heem-us-salam) per bara ehsan kiya

[115] Aur unhen aur unn ki qom ko baray dukh dard say nijat dey di

[116] Aur unn ki madad ki to wohi ghalib rahey

[117] Aur hum ney unhen (wazeh aur) roshan kitab di

[118] Aur unhen seedhay rastay per qaeem rakha

[119] Aur hum ney unn dono kay liye peechay aanay walon mein yeh baat baqi rakhi

[120] Kay musa aur haroon (al-e-heem-us-salam) per salam ho

[121] Be-shak hum nek logon ko issi tarah badlay diya kertay hain

[122] Yaqeenan yeh dono humaray momin bandon mein say thay

[123] Be-shak ilyas (alh-e-salam) bhi payghumbaron mein say thay

[124] Jabkay unhon ney apni qom say farmaya kay tum Allah say dartay nahi ho

[125] Kiya tum ba’al (naami butt) ko pukartay ho? Aur sabb say behtar khaliq ko chor detay ho

[126] Allah jo tumhara aur tumharay aglay tamam baap dadon ka rab hai

[127] Lekin qom ney unhen jhutlaya pus woh zaroor (azab mein) hazir rakhay jayen gay

[128] Siwaye Allah Taalaa kay mukhlis bandon kay

[129] Hum ney (ilyas alh-e-salam) ka zikar-e-khair pichlon mein bhi baqi rakha

[130] Kay ilyas per salam ho

[131] Hum neki kerney walon ko issi tarah badla detay hain

[132] Be-shak woh humaray eman daar bandon mein say tha

[133] Be-shak loot (alh-e-salam bhi) payghumbaron mein say thay

[134] Hum ney unhen aur unn kay ghar walon sab ko nijat di

[135] Ba-juz uss burhiya kay jo peechay reh janey walon mein reh gaee

[136] Phir hum ney auron ko halak ker diya

[137] Aur tum to subha honey per unn ki bastiyon kay pass say guzartay ho

[138] Aur raat ko bhi kiya phir bhi nahi samajhtay

[139] Aur bila-shuba younus (alh-e-salam) nabiyon mein say thay

[140] Jab bhag ker phonchay bhari kashti per

[141] Phir qura-andazi hui to maghloob hogaye

[142] To phir unhen machli ney nigal liya aur woh khud apnay aap ko malamat kerney lag gaye

[143] Pus agar yeh paki biyan kerney walon mein say na hotay

[144] To logon kay uthaye janey kay din tak uss kay pet mein hi rehtay

[145] Pus unhen hum ney chatyal medan mein daal diya aur woh uss waqt beemar thay

[146] Aur unn per saya kerney wala aik bel daar darakht hum ney uga diya

[147] Aur hum ney unhen aik lakh bulkay aur ziyadah aadmiyon ki taraf bheja

[148] Pus woh eman laye aur hum ney unhen aik zamaney tak aish-o-ishrat di

[149] Inn say daryaft kijiye! Kay kiya aap kay rab ki to betiyan hain aur inn kay betay hain

[150] Ya yeh uss waqt mojood thay jabkay hum ney farishton ko moanniss peda kiya

[151] Aagah raho! Kay yeh log sirf apni iftra per-dazi say keh rahey hain

[152] Kay Allah Taalaa ki aulad hai. Yeqeenan yeh mehaz jhootay hain

[153] Kiya Allah Taalaa ney apnay liye betiyon ko beton per tarjeeh di

[154] Tumhen kiya hogaya hai kaisay hukum lagatay phirtay ho

[155] Kiya tum iss qadar bhi nahi samajhtay

[156] Ya tumharay pass iss ki koi saaf daleel hai

[157] To jao agar sachay ho to apni hi kitab ley aao

[158] Aur inn logon ney to Allah kay aur jinnaat kay darmiyan bhi qarabat daari theraee hai aur halankay khud jinnaat ko maloom hai kay woh (iss aqeeday kay log azab kay samney) paish kiyey jayen gay

[159] Jo kuch yeh (Allah kay baray mein) biyan ker rahey hain uss say Allah Taalaa bilkul pak hai

[160] Siwaye Allah kay mukhlis bandon kay

[161] Yaqeen mano kay tum sab aur tumharay maboodaan (baatil)

[162] Kissi aik ko bhi behka nahi saktay

[163] Ba-juz uss kay jo jahannumi hi hai

[164] (farishton ka qol hai kay) hum mein say to her aik ki jagah muqarrar hai

[165] Aur hum to (bandag-e-elahee mein) saff basta kharay hain

[166] Aur uss ki tasbeeh biyan ker rahey hain

[167] Kuffaar to kaha kertay thay

[168] Kay agar humaray samney aglay logon ka zikar hota

[169] To hum bhi Allah kay cheedah banday bann jatay

[170] Lekin phir iss quran kay sath kufur ker gaye pus abb un-qareeb jaan len gay

[171] Aur albata humara wada pehlay hi apnay rasoolon kay liye sadir ho chuka hai

[172] Kay yaqeenan woh hi madad kiyey jayen gay

[173] Aur humara hi lashkar ghalib (aur bartar) rahey ga

[174] Abb aap kuch dino tak inn say mun pher lijiyey

[175] Aur enhen dekhtay rahiyey aur yeh bhi aagay chal ker dekh len gay

[176] Kiya yeh humaray azab ki jaldi macha rahey hain

[177] Suno! Jab humara azab inn kay medan mein utar aaye ga uss waqt unn ki jin ko muta-nabbay ker diya gaya tha bari buri subha hogi

[178] Aap kuch waqt tak inn ka khayal chor dijiyey

[179] Aur dekhtay rahiyey yeh bhi abhi abhi dekh len gay

[180] Pak hai aap ka rab jo bot bari izzat wala hai her uss cheez say (jo mushrik) biyan kertay hain

[181] Payghumbaron per salam hai

[182] Aur sab tarah ki tareef Allah kay liye hai jo saray jahan ka rab hai

ص

Surah 38

[1] Suaad! Iss naseehat walay quran ki qasam

[2] Bulkay kufaar ghooroor-o-mukhalifat mein paray huyey hain

[3] Hum ney iss say pehlay bhi boht si ummaton ko tabah ker dala unhon ney her chand cheek pukaar ki lekin woh waqt chutkaray ka na tha

[4] Aur kafiron ko iss baat per tajjub hua kay unhi mein say aik unhen daraney wala aagaya aur kehney lagay kay yeh to jadoogar aur jhoota hai

[5] Kiya iss ney itnay saray maboodon ka aik hi mabood ker diya waqaee yeh boht hi ajeeb baat hai

[6] Unn kay sardaar yeh kehtay huyey chalay kay chalo ji aur apnay maboodon per jamay raho yaqeenan iss baat mein to koi gharz hai

[7] Hum ney to yeh baat pichlay deen mein bhi nahi suni kuch nahi yeh to sirf gharant hai

[8] Kiya hum sab mein issi per kalam-e-elahee nazil kiya gaya hai?Dar-asal yeh log meri wahee ki taraf say shak mein hain bulkay (sahih yeh hai kay) enhon ney abb tak mera azab chakha hi nahi

[9] Ya kiya inn kay pass teray zabardast fayyaz rab ki rehmat kay khazaney hain

[10] Ya kiya aasman-o-zamin aur inn kay damiyan ki her cheez ki badshaat inn hi ki hai to phir yeh rasiyan taan ker charh jayen

[11] Yeh bhi (baray baray) lashkaron mein say shikast paya hua (chota sa) lashkar hai

[12] Inn say pehlay bhi qom-e-nooh aur aad aur meekhon walay firaon ney jhutlaya tha

[13] Aur samood ney aur qom-e-loot ney aur aeeka kay rehney walon ney bhi yehi (baray) lashkar thay

[14] Inn mein say aik bhi aisa na tha jiss ney rasoolon ki takzeeb na ki ho pus meri saza inn per sabit hogaee

[15] Enhen sirf aik cheekh ka intizar hai jiss mein koi tawaquff (aur dheel) nahi hai

[16] Aur unhon ney kaha aey humaray rab! Humari sir-nawisht tu humen roz-e-hisab say pehlay hi day dey

[17] Aap inn ki baton per sabar keren aur humaray banday dawood (alh-e-salam) ko yaad keren jo bari qooat wala tha yaqeenan woh boht rujoo kerney wala tha

[18] Hum ney paharon ko uss kay tabey ker rakha tha kay uss kay sath shaam ko aur subha tasbeeh khuwani keren

[19] Aur parindon ko bhi jama hoker sab kay sab uss kay zair-e-farman rehtay

[20] Aur hum ney uss ki saltanat ko mazboot ker diya tha aur ussay hikmat di thi aur baat ka faisla kerna

[21] Aur kiya tujhay jhagra kerney walon ki (bhi) khabar mili? Jab kay woh deewar phaand ker mehrab mein aagaye

[22] Jab yeh (hazrat) dawood (alh-e-salam) kay pass phonchay pus yeh unn say darr gaye unhon ney kaha khof na kijiyey! Hum do fareeq muqadma hain hum mein say aik ney ziyadti ki hai pus humaray darmiyan haq kay sath faisla ker dijiyey aur na-insafi na kijiyey aur humen seedhi raah bata dijiyey

[23] (suniyey) yeh mera bhai hai iss kay pass ninnanway dunbiyan hain aur meray pass aik hi dunbi hai lekin yeh mujh say keh raha hai kay apni yeh aik bhi mujh hi ko day dey aur mujh per baat mein bari sakhti baratta hai

[24] Aap ney farmaya! Iss ka apni dunbiyon kay sath teri aik dunbi mila lenay ka sawal be-shak teray upper aik zulm hai aur aksar hissay daar aur shareek (aisay hi hotay hain kay) aik doosray per zulm kertay hain siwaye unn kay jo eman laye aur jinhon ney nek amal kiyey aur aisay log boht hi kum hain aur (hazrat) dawwod (alh-e-salam) samajh gaye kay hum ney unhen aazmaya hai phir to apnay rab say istaghfaar kerney lagay aur aajzi kertay huyey gir paray aur (poori tarah) rujoo kiya

[25] Pus hum ney bhi unn ka woh (kasoor) maaf ker diya yaqeenan woh humaray nazdeek baray martabay walay aur boht achay thikaney walay hain

[26] Aey dawood! Hum ney tumhen zamin mein khalifa bana diya tum logon kay darmiyan haq kay sath faislay kero aur apni nafsani khuwaish ki perwi na kero werna woh tumhen Allah ki raah say bhatka deygi yaqeenan jo log Allah ki raah say bhatak jatay hain unn kay liye sakht azab hai iss liye kay unhon ney hisab kay din ko bhula diya hai

[27] Aur hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki cheezon ko na-haq peda nahi kiya yeh guman to kafiron ka hai so kafiron kay liye kharabi hai aag ki

[28] Kiya hum unn logon ko jo eman laye aur nek amal kiye unn kay barabar ker den gay jo (humesha) zamin mein fasad machatay rahey ya perhezgaron ko badkaron jesa ker den gay

[29] Yeh ba-barkat kitab hai jissay hum ney aap ki taraf iss liye nazil farmaya hai kay log iss ki aayaton per ghor keren aur aqalmand iss say naseehat hasil keren

[30] Aur hum ney dawwod ko suleman (naami farzand) ata farmaya jo bara acha bandah tha aur beyhad rujoo kerney wala tha

[31] Jab unkay samney shaam kay waqt tez-ro khasay ghoray paish kiye gaye

[32] To kehney lagay mein ney apnay perwerdigar ki yaad per inn ghoron ki mohabbat ko tarjeeh di yahan tak kay (aftab) chup gaya

[33] Unn (ghoron) ko doobara meray samney lao! Phir to pindliyon aur gardano per hath pherna shoroo ker diya

[34] Aur hum ney suleman (alh-e-salam) ki aazmaeesh ki aur unn kay takhat per aik jism daal diya phir uss ney rujoo kiya

[35] Kaha kay aey meray rab! Mujhay bakhsh day aur mujhay aisa mulk ata farma jo meray siwa kissi (shaks) kay laeeq na ho tu bara hi denay wala hai

[36] Pus hum ney hawa ko unn kay ma-tehat ker diya woh aap kay hukum say jahan aap chahtay narmi say phoncha diya kerti thi

[37] Aur (taqatwar) jinnat ko bhi (unn ka ma-tehat ker diya) her imarat bananey walay ko aur ghota khor ko

[38] Aur doosray jinnat ko bhi jo zanjeeron mein jakray rehtay

[39] Yeh hai humara atiya abb tu ehsan ker ya rol rakh kuch hisab nahi

[40] Unn kay liye humaray pass bara taqarrub hai aur boht acha thikana hai

[41] Aur humaray banday ayub (alh-e-salam) ka (bhi) zikar ker jabkay uss ney apnay rab ko pukara kay mujhay shetan ney ranj aur dukh phonchaya hai

[42] Apna paaon maaro yeh nahaney ka thanda aur peenay ka paani hai

[43] Aur hum ney ussay uss ka poora kunba ata farmaya bulkay utna hi aur bhi issi kay sath apni (khaas) rehmat say aur aqalmandon ki naseehat kay liye

[44] Aur apnay hath mein tinko ka aik mutha (jhaaro) ley ker maar day aur qasam ka khilaf na ker sach to yeh hai kay hum ney ussay bara sabir banda paya woh bara nek banda tha aur bari hi raghbat rakhney wala

[45] Humaray bandon ibarhim, ishaq aur yaqoob (al-e-heem-us-salam) ka bhi zikar kero jo hathon aur aankhon walay thay

[46] Hum ney unhen aik khaas baat yani aakhirat ki yaad kay sath makhsoos ker diya tha

[47] Yeh sab humaray nazdeek bargazeedah aur behtareen log thay

[48] Ismail, yasa aur zulkifil (al-e-heem-us-salam) ka bhi zikar ker dijiye. Yeh sab behtareen log thay

[49] Yeh naseehat hai aur yaqeen mano kay perhezgaron ki bari achi jagah hai

[50] (yani hameshgi wali) jannaten jin kay darwazay unn kay liye khilay huyey hain

[51] Jin mein ba-faraghat takkiyey lagaye bethay huyey tarah tarah kay meway aur qisam qisam ki sharabon ki farmaeesh ker rahey hain

[52] Aur unn kay pass neechi nazron wali hum umar hooren hongi

[53] Yeh hai jiss ka wada tum say hisab kay din kay liye kiya jata tha

[54] Be-shak roziyan (khaas) humara atiya hain jin ka kabhi khatma hi nahi

[55] Yeh to hui jaza (yad rakho kay) sirkashon kay liye bari buri jagah hai

[56] Dozakh hai jiss mein woh jayen gay (aah) kiya hi bura bichona hai

[57] Yeh hai pus issay chakhen garum paani aur peep

[58] Iss kay ilawa aur tarah tarah kay azab

[59] Yeh aik qom hai jo tumharay sath (aag mein) janey wali hai koi khush aamdeed unn kay liye nahi hai yehi to jahannum mein janey walay hain

[60] Woh kahen gay bulkay tum hi ho jin kay liye koi khush amdeed nahi hai tum hi ney to issay pehlay hi say humaray samney laa rakha tha pus rehney ki bari buri jagah hai

[61] Woh kahen gay aey humaray rab! Jiss ney (kufur ki rasam) humaray liye pehlay say nikali ho uss kay haq mein jahannum ki dugni saza kerday

[62] Aur jahannumi kahen gay kiya baat hai kay woh log humen dikhaee nahi detay jinhen hum buray logon mein shumar kertay thay

[63] Kiya hum ney hi unn ka mazaq bana rakha tha ya humari nigahen unn say hat gaee hain

[64] Yaqeen jano kay dozakhiyon ka yeh jhagra zaroor hi hoga

[65] Keh dijiye! Kay mein to sirf khabaar kerney wala hun aur ba-juz Allah wahid ghalib kay aur koi laeeq ibadat nahi

[66] Jo perwerdigar hai aasmano ka aur zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai woh zabardast aur bara bakhsney wala hai

[67] Aap keh dijiye kay yeh boht bari khabar hai

[68] Jiss say tum be-parwah ho rahey ho

[69] Mujhay unn buland qadar farishton ki (baat cheet ka) koi ilm hi nahi jabkay woh takraar ker rahey thay

[70] Meri taraf faqat yehi wahee ki jati hai kay mein to saaf saaf aagah ker denay wala hun

[71] Jabkay aap kay rab ney farishton say irshad farmaya kay mein mitti say insan ko peda kerney wala hun

[72] So jab mein ussay theek thaak kerlon aur uss mein apni rooh phoonk don to tum sab uss kay samney sajjday mein gir parna

[73] Chunacha tamam farishton ney sajjdah kiya

[74] Magar iblees ney (na kiya) uss ney takabbur kiya aur woh tha kafiron mein say

[75] (Allah Taalaa ney) farmaya aey iblees! Tujhay issay sajjdah kerney say kiss cheez ney roka jissay mein ney apnay hathon say peda kiya kiya tu kuch ghamand mein aagaya hai? Ya tu baray darjay walon mein say hai

[76] Uss ney jawab diya mein iss say behtar hun tu ney mujhay aag say banaya aur iss mitti say banaya hai

[77] Irshad hua kay tu yahan say nikal ja tu mardood hua

[78] Aur tujh per qayamat kay din tak meri lanat-o-phitkaar hai

[79] Kehney laga meray rab mujhay logon kay uth kharay honey kay din tak mohlat day

[80] (Allah Taalaa ney) farmaya tu mohlat walon mein say hai

[81] Mutayyen waqt kay din tak

[82] Kehney laga phir to teri izzat ki qasam! Mein inn sab ko yaqeenan behka doon ga

[83] Ba-juz teray unn bandon kay jo cheedah aur pasndeedah hon

[84] Farmaya sach to yeh hai aur mein sach hi kaha kerta hun

[85] Kay tujh say aur teray tamam mannay walon say mein (bhi) jahannum ko bhar doon ga

[86] Keh dijiye! Kay mein tum say iss per koi badla talab nahi kerta aur na mein takaluf kerney walon mein say hun

[87] Yeh to tamam jahan walon kay liye sarasir naseehat (o-ibrat) hai

[88] Yaqeenan tum iss ki haqeeqat ko kuch hi waqt kay baad (sahih tor per) jaan logay

الزمر

Surah 39

[1] Iss kitab ka utaarna Allah Taalaa ghalib ba-hikmat ki taraf say hai

[2] Yaqeenan hum ney iss kitab ko aap ki taraf haq kay sath nazil farmaya hai pus aap Allah hi ki ibadat keren ussi kay liye deen ko khalis kerti huyey

[3] Khabradaar! Allah Taalaa hi kay liye khalis ibadat kerna hai aur jin logon ney uss kay siwa auliya bana rakhay hain (aur kehtay hain) kay hum inn ki ibadat sirf iss liye kertay hain kay yeh (buzurg) Allah kay nazdeeki kay martabay tak humari rasaee kera den yeh log jiss baray mein ikhtilaf ker rahey hain iss ka (sacha) faisla Allah (khud) keray ga. Jhootay aur na-shukray (logon) ko Allah Taalaa raah nahi dikhata

[4] Agar Allah Taalaa ka iradah aulad hi ka hota to apni makhlooq mein say jissay chahata chun leta. (lekin) woh to pak hai wo wohi Allah Taalaa hai yagana aur qooat wala

[5] Nihayat achi tadbeer say uss ney aasmano aur zamin ko banaya woh raat ko din per aur din ko raat per lapet deta hai aur uss ney sooraj chaand ko kaam per laga rakha hai. Her aik muqarrara muddat tak chal raha hai yaqeen mano kay wohi zabardast aur gunahon ka bakhshney wala hai

[6] Uss ney tum sab ko aik hi jaan say peda kiya hai phir ussi say uss ka jora peda kiya aur tumharay liye chopayon mein say (aath nar-o-madah)utaray woh tumhen tumhari maaon kay peton mein aik banawat kay baad doosri banawat per banata hai teen teen andheron mein yehi Allah Taalaa tumhara rab hai ussi kay liye badshahaat hai uss kay siwa koi mabood nahi phir tum kahan behak rahey ho

[7] Agar tum na-shukri kero to (yaad rakho kay) Allah Taalaa tum (sab say) be-niyaz hai aur woh apnay bando ki na-shukri say khush nahi aur agar tum shukar kero to woh issay tumharay liye pasand keray ga aur koi kissi ka bojh nahi uthata phit tum sab ka lotna tumharay rab hi ki taraf hai. Tumhen woh batla dey ga jo tum kertay thay. Yaqeenan woh dilon tak ki baaton ka waqif hai

[8] Aur insan ko jab kabhi koi takleef phonchti hai to woh khoob rujoo hoker apnay rab ko pukarta hai phir jab Allah Taalaa ussay apnay pass say nemat ata farma deta hai to woh iss say pehlay jo dua kerta tha (ussay) bhool jata hai aur Allah Taalaa kay shareek muqarrar kerney lagta hai jiss say (auron ko bhi) uss ki raah say behkaye aap keh dijiye! Kay apnay kufur ka faeedah kuch din aur utha lo (aakhir) tu dozakhiyon mein honey wala hai

[9] Bhala jo shaks raaton kay auqaat sajjday aur qayaam ki halat mein (ibadat mein) guzaarta ho aakhirat say darta ho aur apnay rab ki rehmat ki umeed rakhta ho(aur jo iss kay bar-aks ho barbar ho saktay hain) batao to ilm walay aur be-ilm kiya barabar kay hain? Yaqeenan naseehat wohi hasil kertay hain jo aqalmand hon. (apnay rab ki taraf say)

[10] Kehdo kay aey meray eman walay bando! Apnay rab say dartay raho jo iss duniya mein neki kertay hain unn kay liye nek badla hai aur Allah Taalaa ki zamin boht kushadah hai sabar kerney walon hi ko unn ka poora poora be-shumaar ajar diya jata hai

[11] Aap keh dijiye! Kay mujhay hukum diya gaya hai kay Allah Taalaa ki iss tarah ibadat keroon kay ussi kay liye ibadat ko khalis ker loon

[12] Aur mujhay hukum diya gaya hai kay mein sab say pehla farmabardaar ban jaon

[13] Keh dijiyey! Kay mujhay to apnay rab ki na-farmani kertay huyey baray din kay azab ka khof aata lagta hai

[14] Keh dijiyey! Kay mein to khalis ker kay sirf apnay rab hi ki ibadat kerta hun

[15] Tum uss kay siwa jiss ki chahao ibadat kertay raho keh dijiyey! Kay haqeeqi ziyan kaar woh hain jo apnay aap ko aur apnay ehal ko qayamat kay din nuksan mein daal den gay yad rekho kay khullam khulla nuksan yehi hai

[16] Unehn neechay uper say aag kay (sholay misil)sayebaan (kay)dhaank rahey hongay. Yehi (azab) hai jin say Allah Taalaa apnay bando ko dara raha hai aey meray bando! Pus mujh say dartay raho

[17] Aur jin logon ney taghoot ki ibadat say perhez kiya aur (hama-tan) Allah Taalaa ki taraf mutawajja rahey woh khushkhabri kay mustahiq hain meray bando ko khushkhabri suna dijiyey

[18] Jo baat ko kaan laga ker suntay hain. Phir jo behtareen baat ho uss ki ittbaa kertay hain. Yehi hain jinhen Allah Taalaa ney hidayat ki hai aur yehi aqalmand bhi hain

[19] Bhala jiss shaks per azab ki baat saabit ho chuki hai to kiya aap ussay jo dozakh mein hai chura saktay hain

[20] Haan woh log jo apnay rab say dartay rahey unn kay liye bala khaney hain jinkay uper bhi banay banaye bala khaney hain (aur) unn kay neechay nehren beh rahi hain. Rab ka wada hai aur woh wada khilafi nahi kerta

[21] Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa aasman say paani utaarta hai aur ussay zamin ki sooton mein phonchata hai phir issi kay zariyey mukhtalif qisam ki khetiyan ugata hai phit woh khushk hojati hain aur aap unhen zard rang dekhtay hain phir unhen reza reza ker deta hai iss mein aqalmando kay liye boht ziyadah naseehat hai

[22] Kiya woh shaks jiss ka seena Allah Taalaa ney islam kay liye khol diya hai pus woh apnay perwerdigar ki taraf say aik noor per hai aur halaki hai unn per jin kay dil yaad-e-elahi say (asar nahi letay bulkay) sakht hogaye hain. Yeh log sareeh gumrahi mein (mubtila) hain

[23] Allah Taalaa ney behtareen kalam nazil farmaya hai jo aisi kitab hai kay aapas mein milti julti aur baar baar dohraee hui aayaton ki hai jiss say unn logon kay rongtay kharay hojatay hain jo apnay rab ka khof rakhtay hain aakhir mein unn kay jisam aur dil Allah Taalaa kay zikar ki taraf naram hojatay hain yeh hai Allah Taalaa ki hidayat jiss kay zariyey jissay chahaye raah-e-raast per laga deta hai. Aur jissay Allah Taalaa hi raah bhula dey uss ka koi hadi nahi

[24] Bhala jo shaks qayamat kay din kay bad-tareen azab ki sapar (dhaal) apnay mun ko banaye ga. (aisay) zalimon say kaha jayega kay apnay kiyey ka (wabal) chakho

[25] Inn say pehlay walon ney bhi jhutlaya phir unn per wahan say azab aa para jahan say unn ko khayal bhi na tha

[26] Aur Allah Taalaa ney unhen zindagan-e-duniya mein ruswaee ka maza chakhaya aur abhi aakhirat ka to bara bhari azab hai kaash kay yeh log samajh len

[27] Aur yaqeenan hum ney iss quran mein logon kay liye her qisam ki misalen biyan ker di hain kiya ajab kay woh naseehat hasil kerlen

[28] Quran hai arabi mein jiss mein koi kuji nahi ho sakta hai kay woh perhezgari ikhtiyar ker len

[29] Allah Taalaa misal biyan farma raha hai aik woh shaks jiss mien boht say bahum zidd rakhney walay saajhi hain aur doosra woh shaks jo sirf aik hi ka (ghulam) hai kiya yeh dono sift mein yaksan hain Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar log samajhtay nahi

[30] Yaqeenan khud aap ko bhi mot aayegi aur yeh sab bhi marney walay hain

[31] Phir tum sab kay sab qayamat kay din apnay rab kay samney jhagro gay

[32] Uss say barh ker zalim kon hai jo Allah Taalaa per jhoot bolay? Aur sacha deen jab uss kay pass aaye to ussay jhoota bataye? Kiya aisay kuffaar kay liye jahannum thikana nahi hai

[33] Aur jo sachay deen ko laye aur jiss ney iss ki tasdeeq ki yehi log paarsa hain

[34] Unn kay liye unn kay rab kay pass (her) woh cheez hai jo yeh chahyen nek logon ka yeh hi badla hai

[35] Takay Allah Taalaa unn say unn kay buray amalon ko door ker dey aur jo nek kaam unhon ney kiyey hain unn ka acha badla ata farmaye

[36] Kiya Allah Taalaa apnay bandon kay liye kafi nahi? Yeh log aap ko Allah kay siwa auron say dara rahey hain aur jissay Allah gumrah ker day uss ki rehnumaee kerney wala koi nahi

[37] Aur jissay woh hidayat day ussay koi gumrah kerney wala nahi kiya Allah Taalaa ghalib aur badla lenay wala nahi hai

[38] Agar aap inn say poochen kay aasman-o-zamin ko kiss ney peda kiya hai? To yaqeenan woh yehi jawab den gay kay Allah ney. Aap inn kahiyey acha yeh to batao jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho agar Allah Taalaa mujhay nuksan phonchana chahye to kiya yeh uss kay nuksan ko hata saktay hain? Ya Allah Taalaa mujh per meharbani ka iradah keray to kiya yeh uss ki meharbani ko rok saktay hain? Aap keh den kay Allah mujhay kafi hai tawakkal kerney walay ussi per tawakkal kertay hain

[39] Keh dijiye kay aey meri qom! Tum apni jagah per amal kiye jao mein bhi amal ker raha hun abhi abhi tum jaan lo gay

[40] Kay kiss per ruswa kerney wala azab aata hai aur kiss per daeemi maar aur hameshgi ki saza hoti hai

[41] Aap per hum ney haq kay sath yeh kitab logon kay liye nazil farmaee hai pus jo shaks rah-e-raast per aajaye uss kay apnay liye nafa hai aur jo gumrah hojaye uss ki gumrahee ka (wabal) ussi per hai aap unn kay zimay daar nahi

[42] Allah hi roohon ko unn ki mot kay waqt aur jin ki mot nahi aai unhen unn ki neend kay waqt qabz ker leta hai phir jin per mot ka hukum lag chuka hai unhen to rok leta hai aur doosri (roohon) ko aik muqarrar waqt kay liye chor deta hai. Ghor kerney walon kay liye iss mein yaqeenan boht si nishaniyan hain

[43] Kiya inn logon ney Allah Taalaa kay siwa (auron ko) sifarshi muqarrar ker rakha hai? Aap keh dijiye! Kay go woh kuch bhi ikhtiyar na raktay hon aur na aqal rakhtay hon

[44] Keh dijiye! Kay tamam sifarish ka mukhtar Allah hi hai. Tamam aasmano aur zamin ka raaj ussi kay liye hai tum sab ussi k taraf pheray jao gay

[45] Jabb Allah akelay ka zikar kiya jaye to inn logon kay dil nafrat kerney lagtay hain jo aakhirat ka yaqeen nahi rakhtay aur jab uss kay siwa (aur ka ) zikar kiya jaye to unn kay dil khul ker khush ho jatay hain

[46] Aap keh dijiye! Kay aey Allah ! Aasmano aur zamin kay peda kerney walay chupay khulay ka jannay walay tu hi apnay bandon mein inn umoor ka faisla farmaye ga jin mein who ulajh rahey thay

[47] Agar zulm kerney walon kay pass woh sab kuch ho jo ruy-e-zamin per hai aur iss kay sath utna hi aur ho to bhi bad-tareen saza kay badlay mein qayamat kay din yeh sab kuch day den aur inn kay samney Allah ki taraf say woh zahir hoga jiss ka gumaan bhi enhen na tha

[48] Jo kuch enhon ney kiya tha uss ki buraiyan inn per khul paren gi aur jiss ka woh mazaq kertay thay woh enhen aa gheray ga

[49] Insan ko jab koi takleef phonchti hai to humen pukarney lagta hai phir jab hum ussay apni taraf say koi nemat ata farma den to kehney lagta hai kay issay to mein mehaz apnay ilm ki waja say diya gaya hun bulkay yeh aazmaeesh hai lekin inn mein say aksar log bey-ilm hain

[50] Inn say aglay bhi yehi baat keh chukay hain pus unn ki kaarawaee unn kay kuch kaam na aaee

[51] Phir unn ki tamam burayian unn per aa paren aur unn mein say bhi jo gunehgaar hain unn ki ki hui burayian bhi unn per aa paren gi yeh (humen) hara denay walay nahi

[52] Kiya enhen yeh maloom nahi kay Allah Taalaa jiss kay liye chahye rozi kushadah ker deta hai aur tang (bhi) eman laney walon kay liye iss mein (bari bari) nishaniyan hain

[53] (meri janib say) keh do kau aey meray bando! Jinhon ney apni jano per ziyadti ki hai tum Allah ki rehmat say na-umeed na hojao bil-yaqeen Allah Taalaa saray gunahon ko bakhash deta hai waqaee woh bari bakhsish bari rehmat wala hai

[54] Tum (sab) apnay perwerdigar ki taraf jhuk paro aur uss ki hukum bardaari kiye jao iss say qabal kay tumharay pass azab aajaye aur phir tumhari madad na ki jaye

[55] Aur pairwee kero uss behtareen cheez ki jo tumhari taraf tumharay perwerdigar ki taraf say nazil ki gaee hai iss say pehlay kay tum per achanak azab aajaye aur tumhen itla bhi na ho

[56] (Aisa na ho kay) koi shaks kahey haaye afsos! Iss baat per kay mein ney Allah Taalaa kay haq mein kotahee ki bulkay mein to mazaq uraney walon mein hi raha

[57] Ya kehey kay agar Allah mujhay hidayat kerta to mein bhi paarsa logon mein hota

[58] Ya azab ko dekh ker kahey kaash! Kay kissi tarah mera lot jana ho jata to mein bhi neko kaaro mein ho jata

[59] Haan (haan) be-shak teray pass meri aayaten phonch chuki thin jinhen tu ney jhutlaya aur ghooroor takabbur kiya aur tu tha hi kafiron mein

[60] Aur jin logon ney Allah per jhoot bandha hai to aap dekhen gay kay qayamat kay din unn kay chehray siyah hogaye hongay kiya takabbur kerney walon ka thikana jahannum mein nahi

[61] Aur jin logon ney perhezgari ki unhen Allah Taalaa unn ki kamyabi kay sath bacha ley ga unhen koi dukh choo bhi na sakay ga aur na woh kissi tarah ghumgeen hongay

[62] Allah her cheez ka peda kerney wala hai aur wohi her cheez per nigehbaan hai

[63] Aasmano aur zamin ki kunjiyon ka malik wohi hai jin jin logon ney Allah ki aayaton ka inkar kiya wohi khasarah paney walay hain

[64] Aap keh dijiye aey jahilo! Kiya tum mujh say Allah ka siwa auron ki ibadat ka kehtay ho

[65] Yaqeenan teri taraf bhi aur tujh say pehlay (kay tamam nabiyon) ki taraf bhi wahee ki gaee hai kay agar tu ney shirk kiya to bila shuba tera amal zaya hojayega aur bil-yaqeen tu ziyan kaaron mein say hojayega

[66] Bulkay tu Allah hi ki ibadat ker aur shukar kerney walon mein say hoja

[67] Aur inn logon ney jaisi qadar Allah Taalaa ki kerni chahyey thi nahi ki sari zami qayamat kay din uss ki muthi mein hogi aur tamam aasman uss kay dahaney hath mein lapetay huyey hongay woh pak aur bartar hai her uss cheez say jissay log uss ka shareek banayen

[68] Aur soor phoonk diya jayega pus aasmano aur zamin walay sab bey-hosh ho ker gir paren gay magar jissay Allah chahyey phit doobara soor phoonka jayega pus woh aik dum kharay hoker dekhney lag jayen gay

[69] Aur zamin apney perwerdigar ka noor say jagmaga uthay gi naam-e-aemaal hazir kiyey jayen gay nabiyon aur gawahon ko ko laya jayega aur logon kay darmiyan haq haq faislay ker diyey jayen gay aur woh zulm na kiyey jayen gay

[70] Aur jiss shaks ney jo kuch kiya hai bharpoor dey diya jayega jo kuch log ker rahey hain woh bakhoobi jannay wala hai

[71] Kafiron kay ghol kay ghol jahannum ki taraf hankaye jayen gay jab woh uss kay pass phonch jayen gay uss kay darwazay unn kay liye khol diye jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say sawal keren gay kay kiya tumharay pass tum mein say rasool nahi aaye thay? Jo tum per tumharay rab ki aayaten parhtay thay aur tumhen uss din ki mulaqat say daratay thay? Yeh jawab den gay kay haan durust hai lekin azab ka hukum kafiron per sabit hogaya

[72] Kaha jayega kay abb jahannum kay darwazon mein dakhil hojao jahan hamesha rahen gay pus sirkashon ka thikana boht hi bura hai

[73] Aur jo log apnay rab say dartay thay unn kay giroh kay giroh jannat ki taraf rawana kiyey jayen gay yahan tak kay jab uss kay pass aajayen gay aur darwazay khol diyey jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say kahen gay tum per salam ho tum khushaal raho tum iss mein hamesha kay liye chalay jao

[74] Yeh kahen gay kay Allah ka shukar hai jiss ney hum say apna wada poora kiya aur hamen iss zamin ka waris bana diya kay jannat mein jahan chahyen muqam ker len pus amal kerney walon ka kiya hi acha badla hai

[75] Aur tu farishton ko Allah kay arash kay ird-gird halqa bandhay huyey apnay rab ki hamd-o-tasbeeh kerta huyey dekhay ga aur inn mein insaf ka faisla kiya jayega aur keh diya jayega kay sari khoobi Allah hi kay liye hai jo tamam jahano ka palanhaar hai

المومن

Surah 40

[1] Haa-meem

[2] Iss kitab ka nazil farmana uss Allah ki taraf say hai jo ghalib aur dana hai

[3] Gunah ka bakhsney wala aur toba ka qabool farmaney wala sakht azab wala inam-o-qudrat wala jiss kay siwa koi mabood nahi. Ussi ki taraf wapis lotna hai

[4] Allah Taalaa ki aayaton mein wohi log jhagartay hain jo kafir hain pus inn logon ka shehron mein chalna phirna aap ko dhokay mein na daal day

[5] Qom-e-nooh ney aur unn kay baad kay girohon ney bhi jhutlaya tha. Aur her ummat ney apnay rasool ko giriftar kerleney ka iradah kiya aur baatil kay zariyey kaj behasiyan kien takay unn say haq ko bigar den pus mein ney unn ko pakar liya so meri taraf say kaisi saza hui

[6] Aur issi tarah aap kay rab ka hukum kafiron per sabit hogaya kay woh dozakhi hain

[7] Arash kay uthaney walay aur uss kay aas pass kay (farishtay) apnay rab ki tasbeeh hamd kay sath sath kertay hain aur uss per eman rakhtay hain aur eman walon kay liye istaghfaar kertay hain kehtay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu ney her cheez ko apni bakhsish aur ilm say gher rakha hai pus tu enhen bakhash day jo toba keren aur teri raah ki perwi keren aur tu enhen dozakh kay azab say bhi bacha lay

[8] Aey humaray rab! Tu enhen hameshgi wali jannaton mein ley ja jin kay tu ney inn say wada kiya hai aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur aulad mein say (bhi) inn (sab) ko jo nek amal hain. Yaqeenan tu to ghalib-o-ba-hikmat hai

[9] Enhen burayion say bhi mehfooz rakh hq to yeh hai kay uss din tu ney jissay burayion say bacha liya uss per tu ney rehmat kerdi aur boht bari kaamyabi to yehi hai

[10] Be-shak jin logon ney kufur kiya unhen yeh awaz di jayegi kay yaqeenan Allah ka tum per gussa hona uss say boht ziyadah hai jo tum gussa hotay thay apnay ji say jab tum eman ki taraf bulaye jatay thay phir kufur kerney lagtay thay

[11] Woh kahengay aey humaray perwerdigar! Tu ney humen doobara maara aur doobara hi jilaya abb hum apnay gunahon kay iqrari hain to kiya abb koi raah nikalney ki bhi hai

[12] Yeh (azab) tumhen iss liye hai kay jabb sirf akelay Allah ka ziker kiya jata to tum inkar ker jatay thay aur agar iss kay sath kissi ko shareek kiya jata tha to tum maan letay thay pus abb faisal Allah buland-o-buzurg hi ka hai

[13] Wohi hai jo tumhen apni nishaniyan dikhalata hai aur tumharay liye aasman say rozi utarta hai naseehat to sirf wohi hasil kertay hain jo (Allah ki taraf rujoo kertay hain)

[14] Tum Allah ko pukartay raho uss kay liye deen ko khalis ker key go kafir bura manen

[15] Buland darjon wala arash ka malik woh apnay bandon mein say jiss per chahata hai wahee nazil kerta farmata hai takay woh mulaqat kay din say daraye

[16] Jiss din sab log zahir hojayen gay unn ki koi cheez Allah say pocheedah na rahey gi. Aaj kiss ki baadshahi hai? Faqat Allah wahid-o-qahar ki

[17] Aaj her nafas ko uss ki kamaee ka badla diya jayega. Aaj (kissi qisam ka) zulm nahi yaqeenan Allah Taalaa boht jald hisab kerney wala hai

[18] Aur enhen boht hi qareeb anay wali (qayamat say) aagah kerdijiye jab kay dil halaq tak phonch jayen gay aur sab khamosh hongay zalimon ka na koi dili dost hoga na sifarshi kay jiss ki baat mani jaye gi

[19] Woh aankhon ki khayanat ko aur seenon ki posheedah baaton ko (khoob) janta hai

[20] Aur Allah Taalaa theek theek failsa ker dey ga uss kay siwa jihen yeh log pukartay hain woh kissi cheez ka bhi faisla nahi ker saktay be-shak Allah Taalaa khoob sunta khoob dekhta hai

[21] Kiya yeh log zamin mein chalay phiray nahi kay dekhtay kay jo log inn say pehlay thay unn ka nateeja kaisa kuch hua? Woh ab-aitbaar qooat-o-taqat kay aur ba-aitbaar zamin mein apni yaadgaron kay inn say boht ziyadah thay pus Allah ney unhen unn kay gunahon per pakar liya aur koi na hua jo unhen Allah kay azab say bacha leta

[22] Yeh iss waja say kay unn kay pass unn kay payghumber mojzzay ley ker aatay thay to woh inkar ker detay thay pus Allah unhen pakar leta tha. Yaqeenan woh taqatwar aur sakht azab wala hai

[23] Aur hum ney musa (alh-e-salam) ko apni aayaton aur khulli daleelon kay sath bheja

[24] Firaon hamaan aur qaroon ki taraf to unhon ney kaha (yeh to) jaddogar aur jhoota hai

[25] Pus jab unn kay pass (musa alh-e-salam) humari taraf say (deen) haq ko ley ker aaye to unhon ney kaha kay iss kay sath jo eman walay hain unn kay larkon ko to maar dalo aur inn ki larkiyon ko zindah rakho aur kafiron ki jo heela saazi hai woh ghalati mein hi hai

[26] Aur firaon ney kaha mujhay choro kay mein musa (alh-e-salam) ko maar dalon aur issay chahyey kay apnay rab ko pukaray mujhay to darr hai kay yeh kahen tumhara deen na badal dalay ya mulk mein koi (boht bara) fasad barpa na ker day

[27] Musa (alh-e-salam) ney kaha mein apnay aur tumharay rab ki panah mein aata hun her uss takabbur kerney walay shaks (ki buraee) say jo roz-e-hisab per eman nahi rakhta

[28] Aur aik momin shaks ney ji firaon kay khandan mein say tha aur apna eman chupaye huyey tha kaha kay kiya tum aik shaks ko mehaz iss baat per qatal kertay ho kay woh kehta hai kay mera rab Allah hai aur tumharay rab ki taraf say daleelen ley ker aaya hai agar woh jhoota ho to uss ka jhoot ussi per hai aur agar woh sacha ho to jiss (azab) ka woh tum say wada ker raha hai uss mein say kuch na kuch to tum per aa paray ga Allah Taalaa uss ki rehbari nahi kerta jo hadd say guzar janey walay aur jhootay hon

[29] Aey meri qom kay logo! Aaj to badshahaat tumhari hai kay iss zamin per tum ghalib ho lekin Allah ka azab hum per aagaya to kon humari madad keray ga? Firaon bola mein to tumhen wohi raye dey raha hun jo khud dekh raha hun aur mein to tumhen bhalaee ki raah hi batla raha hun

[30] Uss momin ney kaha aey meri qom! (kay logo) mujhay to andesha hai kay tum per bhi wesa hi roz (bad azab) na aaye jo aur ummaton per aaya

[31] Jesay ummat-e-nooh aur aad-o-samood aur inn kay baad walon ka (haal hua) Allah apnay bandon per kissi tarah ka zulm kerna nahi chahata

[32] Aur mujhay tum per haank pukar kay din ka bhi darr hai

[33] Jiss din tum peeth pher ker loto gay tumhen Allah say bachaney wala koi na hoga aur jissay Allah gumrah ker day uss ka hadi koi nahi

[34] Aur iss say pehlay tumharay pass (hazrat) yousuf daleelen ley ker aaye phir bhi tum inn ki laaee hui (daleel) mein shak-o-shuba hi kertay rahey yahan tak kay jab unki wafaat hogaee to kehney lagay inn kay baad to Allah kissi rasool ko bhejay ga hi nahi issi tarah Allah gumrah kerta hai her uss shaks ko jo hadd say barh janey wala shak-o-shuba kerney wala ho

[35] Jo baghair kissi sanad kay jo inn kay pass aaee ho Allah ki aayaton mein jhagartay hain Allah kay nazdeek aur momino kay nazdeek yeh to boht bari narazgi ki cheez hai Allah Taalaa issi tarah her aik maghroor sirkash kay dil per mohar ker deta hai

[36] Firaon ney kaha aey haamaan! Meray liye aik bala khana bana shayad kay mein jo aasman kay darwazay hain

[37] (unn) darwazon tak phonch jaon aur musa kay mabood ko jhaank loon aur be-shak mein samjhta hun woh jhoota hai aur issi tarah firaon ki bad-kirdariyan ussay bhali dikhaee gaeen aur raah say rok diya gaya aur firaon ki (her) heela saazi tabahee mein hi rahee

[38] Aur uss momin shaks ney kaha kay aey meri qom! (kay logo) tum (sab) meri perwi kero mein nek raah ki taraf tumhari rehbari keroon ga

[39] Aey meri qom! Yeh hayat-e-duniya matay-e-faani hai (yaqeen mano kay qarar) aur hameshgi ka ghar to aakhirat hi hai

[40] Jiss ney gunah kiya hai ussay to barabar barabar ka badla hi hai aur jiss ney neki ki hai khua woh mard ho ya aurat aur woh eman wala ho to yeh log jannat mein jayen gay aur wahan be-shumar rozi payen gay

[41] Aey meri qom! Yeh kiya baat hai kay mein tumhen nijat ki taraf bula raha hun aur tum mujhay dizakh ki taraf bula rahey ho

[42] Tum mujhay yeh dawat dey rahey ho kay mein Allah kay sath kufur keroon aur uss kay sath shirk keroon jiss ka koi ilm mujhay nahi aur mein tumhen ghalib bakhshney walay (mabood) ki taraf dawat dey raha hun

[43] Yeh yaqeeni amar hai kay tum mujhay jiss ki taraf bula rahey ho woh to na duniya mein pukaray janey kay qabil hai na aakhirat mein aur yeh (bhi yaqeeni baat hai) kay hum sab ka lotna Allah ki taraf hai aur hadd say guzar janey walay hi (yaqeenan) ahl-e-dozakh hain

[44] Pus aagay chal ker tum meri baaton ko yaad kero gay mein apna moamla Allah kay supurd kerta hun yaqeenan Allah Taalaa bandon ka nigran hai

[45] Pus ussay Allah Taalaa ney tamam badiyon say mehfooz rakh liya jo unhon ney soch rakhi thin aur firaon walon per buri tarah ka azab ulat para

[46] Aag hai jiss kay samney yeh her subah shaam laye jatay hain aur jiss din qayamat qaeem hogi (farman hoga kay) firaoniyon ko sakht tareen azab mein daalo

[47] Aur jab kay dozakh mein aik doosray say jhagren gayto kamzor log takabbur walon say (jin kay yeh tabey thay) kahen gay kay hum to tumharay pairo thay to kiya tum hum say iss aag ka koi hissa hata saktay ho

[48] Woh baray log jawab den gay hum to sabhi iss aag mein hain Allah Taalaa apnay bandon kay darmiyan faislay ker chuka hai

[49] Aur (tamam)jahannumi mill ker jahannum kay daroghon say kahen gay kay tum hi apnay perwerdigar say dua kero kay woh kissi din to humaray azab mein kami kerdey

[50] Woh jawab den gay kay kiya tumharay pass tumharay rasool mojzzay ley ker nahi aaye thay? Woh kehen gay kiyon nahi woh kahen gay phir tum hi dua kero aur kafiron ki dua mehaz be-asar aur be-raah hai

[51] Yaqeenan hum apnay rasoolon ki aur eman walon ki madad zindaganiy-e-duniya mein bhi keren gay aur uss din bhi jab gawahee denay walay kharay hongay

[52] Jiss din zalimon ko unn ki (uzar) maazrat kuch nafa na dey gi unn kay liye laanat hi hogi aur unn kay liye bura ghar hoga

[53] Hum ney musa (alh-e-salam) ko hidayat nama ata farmaya aur bano israeel ko iss kitab ka waris banaya

[54] Kay woh hidayat-o-naseehat thi aqal mando kay liye

[55] Pus aey nabi! To sabar ker Allah ka wada bila shak (o-shuba) sacha hi hai tu apnay gunah ki maafi mangta reh aur subah shaam apnay perwerdigar ki tasbeeh aur hamd biyan kerta reh

[56] Jo log bawajood apnay pass kissi sanad kay na honay kay aayat-e-elahee mein jhagra kertay hain unn kay dilon mein ba-juz nirri baraee kay aur kuch nahi woh uss tak phonchney walay hi nahi so tu Allah ki panah mangta reh be-shak woh poora sunnay wala aur sab say ziyadah dekhney wala hai

[57] Aasmano-o-zamin ki pedaeesh yaqeenan insan ki pedaeesh say boht bara kaam hai lekin (yeh aur baat hai kay) aksar log be-ilm hain

[58] Andha aur beena barabar nahi na woh log jo eman laye aur bhalay kaam kiyey bad-kaaron kay (barabar hain) tum (boht) kum naseehat hasil ker rahey ho

[59] Qayamat bil-yaqeen aur be-shuba aaney wali hai lekin (yeh aur baat hai kay) boht say log eman nahi latay

[60] Aur tumharay rab ka farman (sirzad ho chuka) hai kay mujh say dua kero mein tumhari duaon ko qabool keroon ga yaqeen mano kay jo log meri ibadat say khudsari kertay hain woh abhi abhi zaleel hoker jahannum mein phonch jayen gay

[61] Allah Taalaa ney tumharay liye raat bana di kay tum iss mein aaram hasil kero aur din ko dekhney wala bana diya be-shak Allah Taalaa logon per fazal-o-karam wala hai lekin aksat log shukar guzari nahi kertay

[62] Yehi Allah hai tum sab ka rab her cheez ka khaliq iss kay siwa koi mabood nahi phir kahan tum phiray jatay ho

[63] Issi tarah woh log bhi pheray jatay rahey jo Allah ki aayaton ka inkar kertay thay

[64] Allah hi hai jiss ney tumharay liye zami ko therney ki jagah aur aasman ko chat bana diya aur tumhari sooraten banaeen aur boht achi banaeen aur tumehn umdah umdah cheezen khaney ko ata farmaeen yehi Allah tumhara perwerdigar hai pus boht hi barkaton wala Allah hai saray jahaan ka perwerish kerney wala

[65] Woh zindah hai jiss kay siwa koi mabood nahi pus tum khalis ussi ki ibadat kertay huyey ussay pukaro tamam khoobiyen Allah hi kay liye hain jo tamam jahano ka rab hai

[66] Aap keh dijiyey! Kay mujhay unn ki ibadat say rok diya gaya hai jinhen tum Allah kay siwa pukar rahey ho iss bina per kay meray pass meray rab ki daleelen phonch chuki hain mujhay yeh hukum diya gaya hai kay mein tamam jahano kay rab ka tabey farman hojaon

[67] Woh wohi hai jiss ney tumhen mitti say phir nutfay say phir khoon kay lothray say peda kiya phir tumhen bachay ki soorat mein nikalta hai phir (tumhen barhata hai kay) tum apni qooat ko phonch jao phir boorhay hojao. Tum mein say baaz iss say pehlay hi fot hojatay hain (woh tumhen chor deta hai) takay tum muddat moayyen tak phonch jao aur takay tum soch samajh lo

[68] Wohi hai jo jilata hai aur maar dalta hai phir woh jab kissi kaam ka kerna muqarrar kerta hai to ussay sirf yeh kehta hai kay hoja pus woh hojata hai

[69] Kiya tu ney unhen dekha jo Allah ki aayaton mein jhagartay hain woh kahan pher diyey jatay hain

[70] Jinn logon ney kitab ko jhutlaya aur ussay bhi jo hum ney apnay rasoolon kay sath bheja unhen abhi abhi haqeeqat-e-haal maloom hojayegi

[71] Jabakay unki gardano mein toq hongay aur zanjeeren hongi ghaseetay jayen gay

[72] Kholtay huyey paani mein aur phir jahannum ki aag mein jalaye jayen gay

[73] Phir unn say poocha jayega kay jinhen tum shareek kertay thay woh kahan hain

[74] Jo Allah kay siwa thay woh kahen gay kay woh to hum say behak gaye bulkay hum to iss say pehlay kissi ko bhi pukartay hi na thay. Allah Taalaa kafiron ko issi tarah gumrah kerta hai

[75] Yeh badla hai uss cheez ka jo tum zamin mein na-haq phoolay na samatay thay. Aur (be-ja) itratay phirtay thay

[76] (abb aao) jahannum mein hamesha rehney kay liye (iss kay) darwazon mein dakhil hojao kiya hi buri jagah hai takabbur kerney walon ki

[77] Pus aap sabar keren Allah ka wada qata’an sacha hai enhen hum ney jo waday dey rakhay hain inn mein say kuch hum aap ko dikhayen ya (iss say pehlay) hum aap ko wafat dey den inn ka lotaya jana to humari hi taraf hai

[78] Yaqeenan hum aap say pehlay bhi boht say rasool bhej chukay hain jinn mein say baaz kay (waqeyaat) hum aap ko biyan ker chukay hain aur unn mein say baaz kay (qissay) to hum ney aap ko biyan hi nahi kiyey aur kissi rasool ka yeh (maqdoor) na tha kay koi mojzza Allah ki ijazat kay baghair la sakay phir jiss waqt Allah ka hukum aaye ga haq kay sath faisla ker diya jayega aur uss jagah ahl-e-baatil khasaray mein reh jayen gay

[79] Allah woh hai jiss ney tumharay liye chopaye peda kiyey jinn mein say baaz per tum sawar hotay ho aur baaz ko tum khatay ho

[80] Aur bhi tumharay liye inn mein boht say nafay hain aur takay apnay seeno mein chupi hui hajaton ko inhi per sawari kerkay tum hasil kerlo aur inn chopayon per aur kashtiyon per sawar kiyey jatay ho

[81] Allah tumhen apni nishaniyan dikhata jaraha hai pus tum Allah ki kin kin nishaniyon ka munkir bantay raho gay

[82] Kiya enhon ney zamin mein chal phir ker apnay say pehlon ka anjam nahi dekha? Jo inn say tadaad mein ziyadah thay qooat mein sakht aur zamin mein boht sari yaadgaren chori thin unn kay kiyey kaamon ney unhen kuch bhi faeedah na phonchaya

[83] Pus jab kabhi unn kay pass unn kay rasool khulli nishaniyan ley ker aaye to yeh apnay pass kay ilm per itraney lagay bil-aakhir jiss cheez ko mazaq mein ura rahey thay wohi unn per ulat pari

[84] Humara azab dekhtay hi kehney lagay kay Allah wahid per hum eman laye aur jin jin ko hum uss ka shareek bana rahey thay hum ney unn sab say inkar kiya

[85] Lekin humaray azab ko dekh lenay kay baad unn kay eman ney unhen nafa na diya. Allah ney apna mamool yehi muqarrar ker rakha hai jo uss kay bando mein barabar chala aaraha hai aur uss jagah kafir kharab-o-khasta huyey

حم السجدہ

Surah 41

[1] Haa-meem

[2] Utari hui hai baray meharban boht reham walay ki taraf say

[3] (Aisi) kitab hai jiss ki aayaton ki wazeh tafseel ki gaee hai (iss haal mein kay) quran arabi zaban mein hai uss qom kay liye jo janti hai

[4] Khuskhabri sunanay wala aur daraney wala hai phir bhi inn ki aksariyat ney mun pher liya aur woh suntay hi nahi

[5] Aur enhon ney kaha kay tu jiss ki taraf humen bula raha hai humaray dil to iss say parday mein hain aur humaray kaano mein giraani hai aur hum mein aur tujh mein aik hijab hai acha tu abb apna kaam kiyey ja hum bhi yaqeenan kaam kerney walay hain

[6] Aap keh dijiyey! Kay mein to tum hi jaisa insan hun mujh per wahee nazil ki jati hai kay tum sab ka mabood aik Allah hi hai so tum uss ki taraf mutawajja hojaoaur uss say gunhaon ki maafi chahao aur inn mushrikon kay liye (bari hi) kharabi hai

[7] Jo zakat nahi detay aur aakhirat kay bhi munkir hi rehtay hain

[8] Be-shak jo log eman layen aur bhalay kaam keren unn kay liye na khatam honey wala ajar hai

[9] Aap keh dijiye! Kay kiya tum uss (Allah) ka inkar kertay ho aur tum uss kay shareek muqarrar kertay ho jiss ney do din mein zamin peda kerdi saray jahano ka perwardigar wohi hai

[10] Aur uss ney zamin mein aur uss kay uper say pahaar gaar diyey aur iss mein barkat rakh di aur iss mein (rehney walon ki) ghizaon ki tajweez bhi issi mein kerdi (sirf) char din mein zaroorat mandon kay liye yaksan tor per

[11] Phir aasman ki taraf mutawajja hua aur woh dhuwan (sa) tha pus issay aur zamin say farmaya kay tum khushi say aao ya na khushi say. Donon ney araz kiya hum ba-khushi hazir hain

[12] Pus do din mein saat aasman bana diyey aur her aasman mein iss kay munasib ehkaam ki wahee bhej di aur hum ney aasman-e-duniya ko charaghon say zeenat di aur nigheybaani ki yeh tadbeer Allah ghalib-o-dana ki hai

[13] Abb bhi yeh roo-gardan ho to keh dijiyey! Kay mein tumhen uss karak (azab-e-aasmani) say darata hun jo misil aadiyon aur samoodiyon ki karak kay hogi

[14] Unn kay pass jab unkay aagay peechay payghumbar aaye kay tum Allah kay siwa kissi ki ibadat na kero to unhon ney jawab diya kay agar humara perwardigar chahata to farishton ko bhejta. Hum to tumhari risalat kay bilkul munkir hain

[15] Abb aad ney to bey waja zamin mein sirkashi shooro kerdi aur kehney lagay kay hum say zor-aawar kon hai? Kiya unhen yeh nazar na aaya kay jiss ney unhen peda kiya hai woh unn say (boht hi) ziyadah zor-aawar hai woh (aakhir tak) humari aayaton ka inkar hi kertay rahey

[16] Bil-aakhir hum ney unn per aik tez-o-tund aandhi manhoos dino mein bhej di kay unhen dunyawi zindagi mein zillat kay azab ka maza chakha den aur (yaqeen mano) kay aakhirat ka azab iss say boht ziyadah ruswaee wala hai aur woh madad nahi kiyey jayen gay

[17] Rahey samood so hum ney unn ki bhi rehbari ki phir bhi unhon ney hidayat per andhay-pan ko tarjeeh di jiss bina per unhen (sarapa) zillat kay azab ki karak ney unn kay kartooton kay baees pakar liya

[18] Aur (haan) eman daar aur paarsaaon ko hum ney (baal baal) bacha liya

[19] Aur jiss din Allah kay dushman dozakh ki taraf laye jayen gay aur inn (sab) ko jama kerdiya jayega

[20] Yahan tak kay jab bilkul jahannum kay pass aajayen gay unn per unn kay kaan aur unn ki aankhen aur unn ki khaalen unn kay aemaal ki gawahee den gay

[21] Yeh apni khalon say kahen gay kay tum ney humaray khilaf shahdat kiyon di woh jawab den gi kay humen uss Allah ney qoot-e-goyaee ata farmaee jiss ney her cheez ko bolney ki taqat bakhshi hai ussi ney tumhen awwal martaba peda kiya aur ussi ki taraf tum sab lotaye jaogay

[22] Aur tum (apni bad-aemaaliyan) iss waja say pocheedah rakhtay hi na thay kay tum per tumhari kaan aur tumhari aankhen aur tumhari khaalen gawahee den gi han tum yeh samjhtay rahey kay tum jo kuch bhi ker rahey ho iss mein say boht say aemaal say Allah bey-khabar hai

[23] Tumhari issi bad-gumani ney jo tum ney apnay rab say ker rakhi thi tumhen halak ker diya aur bil-aakhir tum ziyan kaaron mein hogaye

[24] Abb agar yeh sabar keren to bhi inn ka thikana jahannum hi hai. Aur agar yeh (uzar-o)-maafi kay khuastgaar hon to bhi (mazoor-o)-maaf nahi rakhay jayen gay

[25] Aur hum ney inn kay kuch hum nashee muqarrar ker rakhay rhay jinhon ney unn kay aglay pichlay aemaal unn ki nighaon mein khoobsurat bana rakhay thay aur inn kay haq mein bhi Allah ka qol unn ummaton kay sath poora hua jo inn say pehlay jinno aur insano ki guzar chuki hain. Yaqeenan woh ziyan kaar sabir huyey

[26] Aur kafiron ney kaha iss quran ko suno hi mat (iss kay parhay janey ka waqt) aur be-huda goee kero kiya ajab kay tum ghalib aajao

[27] Pus yaqeenan hum inn kafiron ko sakht azab chakhayen gay. Aur enhen inn kay bad-tareen aemaal ka badla (zaroor) zaroor den gay

[28] Allah kay dushmano ki saza yehi dozakh ki aag hai jiss mein inn ka hameshgi ka ghar hai (yeh) badla hai humari aayaton say inkar kerney ka

[29] Aur kafir log kahen gay aey humaray rab! Humen jinno insano (kay woh dono fareeq) dikha jinhon ney humen gumrah kiya (takay) hum unehn apnay qadmon talay daal den takay woh jahannum mein sab say neechay (sakht azab mein) hojayen

[30] (Waqaee) jinn logon ney kaha humara perwardigar Allah hai phir iss per waeem rahey unn kay pass farishtay (yeh kehtay huyey) aatay hain kay tum kuch bhi andesha aur ghum na kero (bulkay) iss jannat ki bisharat sunn lo jiss ka tum wada diyey gayey ho

[31] Tumhari dunyawi zindagi mein bhi hum tumharay rafiq thay aur aakhirat mein bhi rahen gay jiss cheez ko tumhara ji chahye aur jo kuch tum mango sab tumharay liye (jannat mein mojood) hai

[32] Ghafoor-o-Raheem (mabood) ki taraf say yeh sab kuch bator mehmani kay hai

[33] Aur uss say ziyadah achi baat wala kon hai jo Allah ki taraf bulaye aur nek kaam keray aur kahey kay mein musalmanon mein say hun

[34] Neki aur badi barabar nahi hoti. Buraee say bhalalee ko dafa kero phir wohi jiss kay aur tumharay darmiyan dushmani hai aisa hojayega jaisay dili dost

[35] Aur yeh baat unhin ko naseeb hoti hai jo sabar keren aur issay siwaye baray naseebay walon kay koi nahi paa sakta

[36] Aur aar shetan ki taraf say koi waswasa aaye to Allah ki panah talab kero. Yaqeenan woh boht hi sunnay wala jannay wala hai

[37] Aur din raat aur sooraj chand bhi (ussi ki) nishaniyon mien say hain tum sooraj ko sajdah na kero na chand ko bulkay sajdah uss Allah kay liye kero jiss ney inn sab ko peda kiya hai agar tumhen ussi ki ibadat kerni hai to

[38] Phir bhi agar yeh kibr-o-ghuroor keren to woh (farishtay) jo aap kay rab kay nazdeek hain woh to raat din uss ki tasbeeh biyan ker rahen hain aur (kissi waqt bhi) nahi uktatay

[39] Uss Allah ki nishaniyon mein say (yeh bhi) hai kay tu zamin ko dabi dabaee dekhta hai phir jab hum iss per meenh barsatay hain to woh tar-o-taza hoker ubharney lagti hai. Jiss ney ussay zindah kiya wohi yaqeeni tor per murdon ko bhi zindah kerney wala hai be-shak woh her (her) cheez per qadir hai

[40] Be-shak jo log humari aayaton mein kaj-rawi kertay hain woh (kuch) hum say makhfi nahi (batlao to) jo aag mein dala jaye woh acha hai ya woh jo aman-o-amaan kay sath qayamat kay din aaye? Tum jo chahao kertay chalay jao woh tumhara sab kiya keraya dekh raha hai

[41] Jinn logon ney apnay pass quran phonch janey kay bawajood uss say kufur kiya (woh bhi hum say posheedah nahi) yeh bari ba-wuqa’at kitab hai

[42] Jiss kay pass baatil phatak bhi nahi sakta na uss kay aagay say na uss kay peechay say yeh hai nazil kerdah hikmaton walay khoobiyon walay (Allah) ki taraf say

[43] Aap say wohi kaha jata hai jo aap say pehlay rasoolon say bhi kaha gaya hai yaqeenan aap ka rab maafi wala aur dard-naak azab wala hai

[44] Aur agar hum issay ajami zaban ka quran banatay to kehtay kay iss ki aayaten saaf saaf biyan kiyon nahi ki gayen? Yeh kiya kay ajami kitab aur aap arabi rasool? Aap keh dijiyey! Kay yeh to eman walon kay liye hidayat-o-shifa hai aur jo eman nahi latay unn kay kaano mein to (behra-pan aur) bojh hai aur yeh unn per andha-pan hai yeh woh log hain jo kissi boht door daraz jagah say pukaray jarahey hain

[45] Yaqeenan hum ney Musa (alh-e-salam) ko kitab di thi so uss mein bhi ikhtilaf kiya gaya aur agar (woh) baat na hoti (jo) aap kay rab ki taraf say pehlay hi muqarrar ho chuki hai to unkay darmiyan (kabhi ka) faisla ho chuka hota yeh log to iss kay baray mein boht sakht bey-shain kerney walay shak mein hain

[46] Jo shaks nek kaam keray ga woh apnay nafay kay liye aur jo bura kaam keray ga uss ka wabal bhi ussi per hai. Aur aap ka rab bandon per zulm kerney wala nahi

[47] Qayamat ka ilm Allah hi ki taraf lotaya jata hai aur jo jo phal apnay shagoofon mein say nikaltay hain aur jo madah hamal say hoti hai aur jo bachay woh janti (peda kerti) hai sab ka ilm ussay hai aur jiss din Allah Taalaa inn (mushrikon) ko bula ker daryaft farmaye ga meray shareek kahan hain woh jawab den gay kay hum ney to tujhay keh sunaya kay hum mein say to koi iss ka gawah nahi

[48] Aur yeh jin (jin) ki parashtish iss say pehlay kertay thay woh inn ki nigah say gum hogaye aur enhon ney samjh liya kay abb inn kay liye koi bachao nahi

[49] Bhalaee kay mangney say insan thakta nahi aur agar issay koi takleef phonch jaye to mayyus aur na umeed hojata hai

[50] Aur jo museebat ussay phonch chuki hai iss kay baad agar hum issay kissi rehmat ka maza chakhayen to woh keh uthta hai kay iss ka to mein haqdaar hi tha aur mein to khayal hi nahi ker sakta kay qayamat qaeem hogi aur agar mein apnay rab kay pass wapis kiya gaya to bhi yaqeenan meray liye uss kay pass bhi behtri hai yaqeenan hum inn kuffaar ko unkay aemaal say khabardaar keren gay aur unhen sakht azab ka maza chakhayen gay

[51] Aur jab hum insan per apna inam kertay hain to woh mun pher leta hai aur kinara kash hojata hai aur jab ussay museebat parti hai to bari lambi chori duyen kerney wala bann jata hai

[52] Aap keh dijiyey! Kay bhala yeh to batao kay agar yeh quran Allah ki taraf say aaya hua ho phir tum ney issay na mana pus uss say barh ker behka hua kon hoga jo mukhalifat mein (haq say) door chala jaye

[53] Un-qareeb hum enhen apni nishaniyan aafaq-e-aalam mein bhi dikhayen gay aur khud inn ki apni zaat mein bhi yahan tak kay inn per khul jaye kay haq yehi hai kiya aap kay rab ka her cheez say waqif-o-aagah hona kafi nahi

[54] Yaqeen jano! Kay yeh log apnay rab kay roobaroo janey say shak mein hain yaad rakho kay Allah Taalaa her cheez ka ehaata kiyey huyey hai

الشوریٰ

Surah 42

[1] Haa-meem

[2] Ain –seen-qaaf

[3] Allah Taalaa jo zabardast hai aur hikmat wala hai issi tarah teri taraf aur tujh say aglon ki taraf wahee bhejta raha

[4] Aasmano ki (tamam) cheezen aur jo kuch zamin mein hai sab ussi ka hai woh bartar aur azeem-us-shan hai

[5] Qareeb hai aasman uper say phat paren aur tamam farishtay apnay rab ki paki tareef kay sath biyan ker rahey hain aur zamin walon kay liye istaghfar ker rahey hain. Khoob samajh rakho kay Allah Taalaa hi maaf farmaney wala rehmat wala hai

[6] Jinn logon ney uss kay siwa doosron ko kaar saaz bana liya hai Allah Taalaa unn per nigran hai aur aap unkay zimaydaar nahi hain

[7] Issi tarah hum ney aap ki taraf arabi quran ki wahee ki hai takay aap makkah walon ko aur uss kay aas pass logon ko khabardar ker den aur jama honey kay din say jiss kay aanay mein koi shak nahi dara den. Aik giroh jannat mein hoga aur aik giroh jahannum mein hoga

[8] Agar Allah Taalaa chahata to inn sab ko aik hi ummat ka bana deta lekin woh jissay chahata hai apni rehmat mein dakhil ker leta hai aur zalimon ka haami aur madadgar koi nahi

[9] Kiya inn logon ney Allah kay siwa aur kaar saaz bana liye hain (haqeeqatan) to Allah Taalaa hi kaar saaz hai wohi murdon ko zindah keray ga aur wohi her cheez per qadir hai

[10] Aur jiss jiss cheez mein tumhara ikhtilaf ho uss ka faisla Allah Taalaa hi ki taraf hai yehi Allah mera rab hai jiss per mein ney bharosa ker rakha hai aur jiss ki taraf mein jhukta hun

[11] Woh aasmano aur zamin ka peda kerney wala hai uss ney tumhray liye tumhari jins kay joray bana diyey hain. Aur chopayon kay joray banaye hain tumhen woh iss mein phela raha hai uss jesi koi cheez nahi woh sunnay aur dekhney wala hai

[12] Aasmano aur zamin ki kunjiyan ussi ki hain jiss ki chahye rozi kushada ker day aur tang ker day yaqeenan woh her cheez jannay wala hai

[13] Allah Taalaa ney tumharay liye wohi deen muqarrar ker diya hai jiss kay qaeem kerney ka uss ney Nooh (alh-e-salam) ko hukum diya tha aur jo (ba-zariya wahee) hum ney teri taraf bhej di hai aur jiss ka takeedi hukum hum ney Ibrahim aur Musa aur Essa (alheem-us-salam) ko diya tha kay iss deen ko qaeem rakhna aur iss mein phoot na dalna jiss cheez ki taraf aap ehen bula rahey hain who to (inn) mushrikon per giran guzarti hai Allah Taalaa jissay chahata hai apna bargazeedah banata hai aur jo bhi uss ki taraf rujoo keray who uss ki sahih rehnumaee kerta hai

[14] Unn logon ney apnay pass ilm aajaney kay baad hi ikhtilaf kiya (aur woh bhi) bahami zidd behas say aur agar aap kay rab ki baat aik waqt-e-muqarrara tak kay liye pehlay hi say qarar paagaee hui na hoti to yaqeenan unn ka faisla ho chuka hota aur jinn logon ko unn kay baad kitab di gaee hai woh bhi uss ki taraf say uljhan walay shak mein paray huye hain

[15] Pus aap logon ko issi tarah bulatay rahen aur jo kuch aap say kaha gaya hai uss per mazbooti say jamm jayen aur inn ki khuwaishon per na chalen aur keh den kay Allah Taalaa ney jitni kitaben nazil farmaee hain mera unn per eman hai aur mujhay humkum diya gaya hai kay tum mein insaf kerta rahon. Humara aur tum sab ka perwerdigar Allah hi hai humaray aemaal humaray liye hain aur tumharay aemaal tumharay liye hain hum tum mein koi cut hujjati nahi Allah Taalaa hum (sab) ko jama keray ga aur ussi ki taraf lotna hai

[16] Aur jo log Allah Taalaa ki baton mein jhagra daltay hain iss kay baad kay (makhlooq) ussay maan chuki unn ki cut hujjati Allah kay nazdeek batil hai aur unn per ghazab hai aur unn kay liye sakht azab hai

[17] Allah Taalaa ney haq kay sath kitab nazil farmaee hai aur tarazoo bhi (utari hai) aur aap ko kiya khabar shayad qayamat qareeb hi ho

[18] Iss ko jaldi unhen pari hai jo issay nahi mantay aur jo iss per yaqeen rakhtay hain woh to iss say darr rahey hain unhen iss kay haq honey ka poora ilm hai. Yad rakho jo log qayamat kay moamlay mein lar jhagar rahey hain woh door ki gumrahee mein paray huyey hain

[19] Allah Taalaa apnay bandon per bara hi lutf kerney wala hai jissay chahata hai kushada rozi deta hai aur woh bari taqat baray ghalbay wala hai

[20] Jiss ka iradah aakhirat ki kheti ka ho hum ussay uss ki kheti mein taraqqi den gay aur jo duniya ki kheti ki talab rakhta ho hum ussay uss mein say ho kuch dey den gay aisay shaks ka aakhirat mein koi hissa nahi

[21] Kiya inn logon ney aisay (Allah kay) shareek (muqarrar ker rakhay) hain jinhon ney aisay ehkaam-e-deen muqarrar ker diyey hain jo Allah kay famaye huye nahi hain. Agar faislay kay din ka wada na hota to (abhi hi) inn mein faisla ker diya jata. Yaqeenan (inn) zalimon kay liye hi dard-naak azab hai

[22] Aap dekhen gay kay yeh zalim apnay aemaal say darr rahey hongay jinn kay wabal inn per waqey honey walay hain aur jo log eman laye aur unhon ney nek aemaal kiyey woh bahishton kay baghaat mein hongay woh jo khuwaish keren apnay rab kay pass mojood payen gay yehi hai bara fazal

[23] Yehi woh hai jiss ki bisharat Allah Taalaa apney bandon ko dey raha hai jo eman laye aur (sunnat kay mutabiq) nek aemaal kiyey to keh dijiyey! Kay mein iss per tum say koi badla nahi chahata magar mohabbat rishtaydaari ki jo shaks koi neki keray hum uss kay liye uss ki neki mein aur neki barha den gay be-shak Allah Taalaa boht bakhshney wala (aur) boht qadardaan hai

[24] Kiya yeh kehtay hain kay (payghumber ney) Allah per khoot bandha hai agar Allah Taalaa chahye to aap kay dil per mohar laga day aur Allah Taalaa apni baton say jhoot ko mita deta hai aur sach ko sabit rakhta hai. Woh seenay ki baton ko jannay wala hai

[25] Wohi hai jo apnay bandon ki toba qabool farmata hai aur gunahon say darguzar farmata hai aur jo kuch tum ker rahey ho (sab) janta hai

[26] eman walon aur neko kaar logon ki sunta hai aur unhen apnay fazal say aur barha ker deta hai aur kuffaar kay liye sakht azab hai

[27] Agar Allah Taalaa apnay (sab) bandon ki rozi faraakh ker deta to woh zamin mein fasad barpa ker detay lekin woh andazay kay sath jo kuch chahata hai nazil farmata hai woh apnay bandon say poora khabardar hai aur khoob dekhney wala hai

[28] Aur wohi hai jo logon kay na-umeed hojaney kay bad barish barsata hai aur apni rehmat phela deta hai. Wohi hai kaar saaz aur qabil-e-hamd-o-sana

[29] Aur uss ki nishaniyon mein say aasmano aur zamin ki pedaeesh hai aur inn mein jandaron ka phelana hai. Woh iss per bhi qadir hai kay jab chahye unhen jama ker day

[30] Tumhen jo kuch museebaten phonchti hai woh tumharay apnay hathon kay kartoot ka badla hai aur woh to boht si baton say darguzar farma deta hai

[31] Aur tum humen zamin mein aajiz kerney walay nahi ho tumharay liye siwaye Allah Taalaa kay na koi kaar saaz hai na madadgar

[32] Aur darya mein chalney wali paharon jaisi kashtiyan uss ki nishaniyon mein say hain

[33] Agar woh chahye to hawa band kerday aur yeh kashtiyan samnadaron per ruki reh jayen. Yaqeenan iss mein jer sabar kerney walay shukar guzar kay liye nishaniyan hain

[34] Ya enhen inn kay kartootton kay baees tabah kerday woh to boht si khataon say darguzar farmaya kerta hai

[35] Aur takay jo log humari nishaniyon mein jhagartay hain woh maloom kerlen kay unn kay liye chutkara nahi

[36] To tumhen jo kuch diya gaya hai woh zindaganiy-e-duniya ka kuch yun hi sa asbab hai aur Allah kay pass jo hai woh iss say ba-darja behtar aur payedaar hai woh unn kay liye hai jo eman laye aur sirf apnay rab hi per bharosa rakhtay hain

[37] Aur kabeerah gunahon say aur be-hayaeeon say bachtay hain aur gussay kay waqt (bhi) maaf ker detay hain

[38] Aur apnay rab kay farman ko qabool kertay hain aur unn ka (her) kaam aapas kay mashwaray say hota hai aur jo hum ney unhen dey rakha hai uss mein say (humaray naam per) detay hain

[39] Aur jab unn per zulm-(o-ziyadti) hoto woh sirf badla ley letay hain

[40] Aur baraee ka badla ussi jaisi buraee hai aur jo maaf ker dayaur islah kerley uss ka ajar Allah kay zimay hai (fil-waqey) Allah Taalaa zalimon say mohabbat nahi kerta

[41] Aur jo shaks apnay mazloom honay kay baad (barabar ka) badla ley ley to aisay logon per (ilzam ka) koi raasta nahi

[42] Yeh raasta sirf unn logon per hai jo khud doosron per zulm keren aur zamin mein na haq fasad kertay phiren yehi log hain jinn kay liye dard-naak azab hai

[43] Aur jo shaks sabar kerley aur maaf kerdey yaqeenan yeh bari himmat kay kaamon mein say (aik kaam) hai

[44] Aur jissay Allah Taalaa behka dey uss ka iss kay baad koi chara saaz nahi aur tu dekhay ga kay zalim log azab ko dekh ker keh rahen hongay kay kiya wapis janey ki koi raah hai

[45] Aur tu enhen dekhay ga kay woh (jahannum kay) samney la-kharay kiyey jayen gay maray zillat kay jhukay jarahen hongay aur kan-ankhiyon say dekh rahey hongay eman walay saaf kahen gay kay haqeeqi ziyan kaar woh hain jinhon ney aaj qayamat kay din apnay aap ko aur apnay ghar walon ko nuksan mein dal diya. Yaad rakho kay yaqeenan zalim log daaeemi azab mein hain

[46] Unn kay koi madadgar nahi jo Allah Taalaa say alag unn ki madad ker saken aur jissay Allah gumrah kerdey uss kay liye koi raasta hi nahi

[47] Apnay rab ka hukum maan lo iss say pehlay kay Allah ki janib say woh din aajaye jiss ka hut jana na-mumkin hai tumhen uss roz na koi panah ki jagah milay gi na chup ker anjan bann janey ki

[48] Agar yeh mun pher len to hum ney aap ko inn per nigheybaan bana ker nahi bheja aap kay zimay to sirf paygham phoncha dena hai hum jab kabhi insan ko apni meharbani ka maza chakhatay hain to woh iss per itra jata hai aur agar unhen unn kay aemaal ki waja say koi museebat phonchti hai to be-shak insan bara hi na shukra hai

[49] Aasmano ki aur zamin ki saltanat Allah Taalaa hi kay liye hai woh jo chahata hai peda kerta hai jiss ko chahata hai betyian deta hai aur jissay chahata hai betay deta hai

[50] Ya enhen jama ker deta hai betay bhi aur betyian bhi aur jissay chahye baanjh ker deta hai woh baray ilm wala aur kamil qudrat wala hai

[51] Na-mumkin hai kay kissi banday say Allah Taalaa kalam keray magar wahee kay zariyey ya parday kay peechay say ya kissi farishtay ko bhejay aur woh Allah ka hukum say jo woh chahaye wahee keray be-shak woh bartar hai hikmat wala hai

[52] Aur iss tarah hum ney aap ki taraf apnay hukum say rooh ko utara hai aap iss say pehlay yeh bhi nahi jantay thay kay kitab aur eman kiya cheez hai? Lekin hum nay issay noor banaya iss kay zariyey say apnay bandon mein say jissay chahatay hain hidayat detay hain be-shak aap raah-e-raast ki rehnumaee ker rahey hain

[53] Uss Allah ki raah ki jiss ki milkiyat mein aasmano aur zamin ki her cheez hai. Aagah raho sab kaam Allah Taalaa hi ki taraf lot-tay hain

الزخرف

Surah 43

[1] Haa-meem

[2] Qasam hai iss wazeh kitab ki

[3] Hum ney iss ko arabi zaban ka quran banaya hai kay tum samjh lo

[4] Yaqeenan yeh loh-e-mehfooz mein hai aur humaray nazdeek buland martba hikmat wali hai

[5] Kiya hum iss naseehat ko tum say iss bina per hata len kay tum hadd say guzar janey walay ho

[6] Aur hum ney aglay logon mein bhi kitney hi nabi bhejay

[7] Jo nabi unn kay pass aaya unhon ney uss ka mazak uraya

[8] Pus hum ney inn say ziyadah zor aawaron ko tabah ker dala aur aglon ki misal guzar chuki hai

[9] Agar aap inn say daryaft keren kay aasmano aur zamin ko kiss ney peda kiya to yaqeenan inn ka jaeab yehi hoga kay unhen ghalib-o-dana (Allah) ney hi peda kiya hai

[10] Wohi hai jiss ney tumharay liye zamin ko farash (bichona) banaya aur iss mein tumharay liye rastay ker diyey takay tum raah paa liya kero

[11] Ussi ney aasman say aik andazay kay mutabiq pani nazil farmaya pus hum ney iss say murah shehar ko zindah ker diya.issi tarah tum nikalay jaogay

[12] Jiss ney tamam cheezon kay joray banaye aur tumharay liye kashtiyan banaeen aur chopaye janwar (peda kiyey) jinn per tum sawar hotay ho

[13] Takay tum inn ki peeth per jamm ker sawar hua kero phir apnay rab ki nemat ko yaad kero jab iss per theek thaak beth jaoaur kaho pak zaat hai uss ki jiss ney issay humaray bus mein ker diya halankay humen issay qaboo kerney ki taqat na thi

[14] Aur bil-yaqeen hum apnay rab ki taraf lot ker janey walay hain

[15] Aur enhon ney Allah kay baaz bando ko uss ka juzz thera diya yaqeenan insan khulla na-shukra hai

[16] Kiya Allah Taalaa ney apni makhlooq mein say betiyan to khud rakh leen aur tumhen beton say nawaza

[17] (Halankay) inn mein say kissi ko jab uss cheez ki khabar di jaye jiss ki misal uss ney (Allah) rehman kay liye biyan ki hai to uss ka chehra siyah parr jata hai aur woh ghumgeen hojata hai

[18] Kiya (Allah ki aulad larkiyan hain) jo zewraat mein palen aur jhagray mein (apni baat) wazeh na ker saken

[19] Aur enhon ney farishton ko jo rehman kay ibadat guzaar hain aurten qarar dey liya. Kiya unn ki pedaeesh kay moqay per yeh mojood thay? Inn ki yeh gawahee likh li jayegi aur inn say (iss cheez ki) baaz purs ki jayegi

[20] Aur kehtay hain Allah chahta to hum inn ki ibadat na kertay. Enhen iss ki kuch khabar nahi yeh to sirf atkal pichoo (jhoot baaten) kehtay hain

[21] Kiya hum ney enhen iss say pehlay koi (aur) kitab di hai jissay yeh mazboot thamay huyey hain

[22] (nahi nahi) bulkay yeh to kehtay hain kay hum ney apnay baad dadon ko aik mazhab per paya aur hum inhi kay naqsh-e-qadam per chal ker raah yaafta hain

[23] Issi tarah aap say pehlay bhi hum ney jiss basti mein koi daraney wala bheja wahan kay aasoodah haal logon ney yehi jawab diya kay hum ney apnay baap dada ko (aik raah per aur) aik deen per paya aur hum ney inhi kay naqsh-e-paa lo perwi kerney walay hain

[24] (nabi ney) kaha bhi kay agar cheh mein tumharay pass uss say boht behtar (maqsood tak phonchaney wala) tareeqa ley ker aaya hun jiss per tum ney apnay baap dadon ko paya to unhon ney kaha hum iss kay munkir hain jissay day ker tumhen bheja gaya hai

[25] Pus hum ney unn say intiqam liya aur dekh ley jhutlaney walon ka kaisa anjam hua

[26] Aur jabkay ibrahim (alh-e-salam) ney apnay walid say aur apni qom say farmaya kay mein inn cheezon say beyzaar hun jinn ki tum ibadat kertay ho

[27] Ba-juzz uss zaat kay jiss ney mujhay peda kiya hai aur wohi mujhay hidayat bhi keray ga

[28] Aur ibrahim (alh-e-salam) issi ko apni aulad mein bhi baqi rehney wali baat qaeem ker gaye takay log (shirk say) baaz aatey rahen

[29] Bulkay mein ney unn logon ko aur inn kay baap dadon ko saman (aur asbab) diya yahan tak kay unn kay pass haq aur saaf saaf sunaney wala rasool aagaya

[30] Aur haq kay phonchtay hi yeh bol paray kay yeh to jadoo hai aur hum iss kay munkir hain

[31] Aur kehney lagay yeh quran inn dono bastiyon mein say kissi baray aadmi per kiyon na nazil kiya gaya

[32] Kiya aap kay rab ki rehmat ko yeh taqseem kertay hain? Hum ney hi inn ki zindagniy-e-duniya ki rozi inn mein taqseem ki hai aur aik ko doosray say buland kiya hai takay aik doosray ko matehat ker ley jissay yeh log samettay phirtay hain iss say aap kay rab ki rehmat boht hi behtar hai

[33] Aur agar yeh baat na hoti kay tamam log aik hi tareeqay per hojayen gay to rehman kay sath kufur kerney walon kay gharon ki chatton ko hum chandi bana detay. Aur zeenon ko (bhi) jinn per charha kertay

[34] Aur inn kay gharon kay darwazay aur takhat bhi jinn per woh takkiyey laga laga ker bethtay

[35] Aur soney kay bhi aur yeh sabb kuch yunhi sa duniya ki zindagi ka faeedah hai aur aakhirat to aap kay rab kay nazdeek (sirf) perhezgaron kay liye (hi) hai

[36] Aur jo shaks rehman ki yaad say ghaflat keray hum uss per aik shetan muqarrar ker detay hain wohi uss ka sathi rehta hai

[37] Aur woh unhen raah say roktay hain aur yeh iss khayal mein rehtay hain kay yeh hidayat yafta hai

[38] Yehan tak kay jabb woh humaray pass aayega kahega kash! Meray aur teray darmiyan mashriq aur maghrib ki doori hoti (to) bara bura sathi hai

[39] Aur jabkay tum zalim thehar chukay to tumhen aaj hergiz tum sabb ka azab mein shareek hona koi nafa na dey ga

[40] Kiya pus tu behray ko suna sakta hai ya andhay ko raah dikha sakta hai aur ussay jo khulli gumrahee mein ho

[41] Pus agar hum tujhay yahan say bhi ley jayen to bhi hum inn say badla lenay walay hain

[42] Ya jo kuch inn say wada kiya hai woh tujhay dikha den hum inn per bhi qudrat rakhtay hain

[43] Pus jo wahee aap ki taraf ki gaee hai ussay mazboot thamay rahen be-shak aap rah-e-raast per hain

[44] Aur yaqeenan yeh (khud) aap kay liye aur aap ki qom kay liye naseehat hai aur unqareeb tum log poochay jaogay

[45] Aur humaray inn nabiyon say poocho! Jinhen hum ney aap say pehlay bheja tha kay kiya hum ney siwaye rehman kay aur mabood muqarrar kiyey thay jinn ki ibadat ki jaye

[46] Aur hum ney musa (alh-e-salam) ko apni nishaniyan dey ker firaon aur usskay umraa kay pass bheja to (Musa alh-e-salam ney jaa ker) kaha kay mein tamam jahano kay rab ka rasool hun

[47] Pus jab woh humari nishaniyan ley ker unn kay pass aaye to be-saakhta unn per hansney lagay

[48] Aur hum unhen jo nishaniyan dikhatay thay woh doosray say barhi chahrhi hoti thi aur hum ney unhen azab mein pakra takay woh baaz aajayen

[49] Aur unhon ney kaha aey jadoogar! Humaray liye apnay rab say uss ki dua ker jiss ka uss ney tujh say wada ker rakha hai yaqeen maan kay hum raah per lag jayen gay

[50] Phir jab hum ney woh azab unn say hata liya unhon ney ussi waqt apna qol-o-qarar tor diya

[51] Aur firaon ney apni qom mein munadi keraee aur kaha aey meri qom! Kiya misir ka mulk mera nahi? Aur meray (mehlon kay) neechay yeh nehren beh rahi hain kiya tum dekhtay nahi

[52] Bulkay mein behtar hun ba-nisbat uss kay jo be-toqeer hai aur saaf bol bhi nahi sakta

[53] Acha iss per soney kay kanggan kiyon nahi aa paray ya iss kay sath per bandh ker farishtay hi aajatay

[54] Uss ney apni qom ko behlaya phuslaya aur unhon ney ussi ki maan li yaqeenan yeh saray hi nafarman log thay

[55] Phir jab unhon ney humen gussa dilaya to hum ney unn say intiqam liya aur sab ko dubo diya

[56] Pus hum ney unhen gaya guzra ker diya aur pichlon kay liye misal bana di

[57] Aur jab ibn-e-mariyam ki misal biyan ki gaee to iss say teri qom (khushi say) cheekhney lagi hai

[58] Aur enhon ney kaha kay humaray mabood achay hain ya woh? Tujh say inn ka yeh kehna mehaz jhagray ki gharaz say hai bulkay yeh log hain hi jhagraloo

[59] Essa (alh-e-salam) bhi sirf banda hi hai jiss per hum ney ehsan kiya aur ussay bani-isareel kay liye nishan-e-qudrat banaya

[60] Agar hum chahtay to tumharay ewaz farishtay kerdetay jo zamin mein ja nasheeni kertay

[61] Aur yaqeenan essa (alh-e-salam) qayamat ki alamat hai pus tum qayamt kay baray mein shak na kero aur meri tabeydaari kero yehi seedhi raah hai

[62] Aur shetan tumhen rok na day yaqeenan woh tumhara sareeh dushman hai

[63] Aur jab essa (alh-e-salam) mojzzay laye to kaha kay mein tumharay pass hikmat laya hun aur iss liye aaya hun kay jinn baaz cheezon mein tum mukhtalif ho unhen wazeh kerdoon pus tum Allah Taalaa say daro aur mera kaha mano

[64] Mera aur tumhara rab faqat Allah Taalaa hi hai. Pus tum sab uss ki ibadat kero. Rah-e-raast (yehi) hai

[65] Phir (bani-israeel ki) jamaton ney aapas mein ikhtilaf kiya pus zalimon kay liye kharabi hai dukh walay din ki aafat say

[66] Yeh log sirf qayamat kay muntazir hain kay woh achnak inn per aa paray aur enhen khabar bhi na ho

[67] Uss din (gehray) dost bhi aik doosray kay dushman ban jayen gay siwaye perhezgaron kay

[68] Meray bando! Aaj to tum per koi khof (o-hiras) hai aur na tum (bad-dil aur) ghumzadah hogay

[69] Aur jo humari aayaton per eman laye aur thay bhi woh (farmabardar) musalman

[70] Tum aur tumhari biwiyan hasshash basshash (razi khushi) jannat mein chalay jao

[71] Inn kay charon taraf say soney ki rakabiyan aur soney kay gilason ka dor chalaya jaye ga inn kay ji jiss cheez ki khuwaish keren aur jiss say inn ki aankhen lazzat payen sab wahan hoga aur tum iss mein hamesha raho gay

[72] Yehi woh bahisht hai kay tum apnay aemaal kay badlay iss kay waris banaye gaye ho

[73] Yahan tumharay liye ba-kasrat meway hain jinhen tum khatay raho gay

[74] Be-shak gunehgar log azab-e-dozakh mein hamesha rahen gay

[75] Yeh azab kabhi bhi unsay halka na kiya jayega aur woh issi mein mayyus paray rahen gay

[76] Aur hum ney inn per zulm nahi kiya bulkay yeh khud hi zalim thay

[77] Aur pukar pukar ker kahen gay kay aey malik! Tera rab humara kaam hi tamam ker day woh kahega kay tumhen to (hamesha) rehna hai

[78] Hum to tumharay pass haq ley aaye lekin tum mein say aksar log haq say nafrat rakhney walay thay

[79] Kiya unhon ney kissi kaam ka pukhta iradah ker liya hai to yaqeen mano kay hum bhi pukhta kaam kerney walay hain

[80] Kiya inn ka yeh khayal hai kay hum inn ki posheedah baaton ko aur inn ki sirgoshiyon ko nahi suntay (yaqeenan hum barabar sunn rahey hain) bulkay humaray bhejay huyey inn kay pass hi likh rahey hain

[81] Aap keh dijiye! Kay agar bil-faraz rehman ki aulad ho to mein sab say pehlay ibadat kerney wala hota

[82] Aasmano aur zamin aur arsh ka rab jo kuch yeh biyan kertay hain iss say (boht) pak hai

[83] Abb aap enhen issi behas mubahisay aur khel kood mein chor dijiye yahan tak kay enhen uss din say sabiqa parr jaye jinn ka yeh wada diyey jatay hain

[84] Wohi aasmano mein mabood hai aur zamin mein bhi wohi qabil-e-ibadat hai aur woh bari hikmat wala aur pooray ilm wala hai

[85] Aur woh boht barkaton wala hai jiss kay pass aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki badshahat hai aur qayamat ka ilm bhi ussi kay pass hai aur ussi ki janib tum sab lotaye jao gay

[86] Jinehn yeh log Allah kay siwa pukartay hain woh shifaat kerney ka ikhtiyar nahi rakhtay haan (mustahiq-e-shifaat woh hain) jo haq baat ka iqrar keren aur unhen ilm bhi ho

[87] Agar aap inn say daryaft keren kay enehn kiss ney peda kiya hai? To yaqeenan yeh jawab den gay kay Allah ney, phir yeh kahan ultay jatay hain

[88] Aur inn ka (payghumbar ka aksar) yeh kehna kay aey meray rab! Yaqeenan yeh woh log hain jo eman nahi latay

[89] Pus aap inn say mun pher len aur keh den. (acha bhai) salam! Enehn unqareeb (khud hi) maloom hojaye ga

الدخان

Surah 44

[1] Haa-meem

[2] Qasam hai iss wazahat wali kitab ki

[3] Yaqeenan hum ney issay ba-barkat raat mein utara hai be-shak hum daraney walay hain

[4] Issi raat mein her aik mazboot kaam ka faisla kiya jata hai

[5] Humaray pass say hukum hoker hum hi hain rasool bana ker bhejney walay

[6] Aap kay rab ki meharbani say. Wohi hai sunnay wala jannay wala

[7] Jo rab hai aasmano ka aur zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai agar tum yaqeen kerney walay ho

[8] Koi mabood nahi iss kay siwa wohi jilata hai aur maarta hai wohi tumhara rab hai aur tumharay aglay baap dadon ka

[9] Bulkay woh shak mein paray khel rahen hain

[10] Aap uss din kay muntazir rahen jabkay aasman zahir dhuwan laye ga

[11] Jo logon ko gher ley ga yeh dard-naak azab hai

[12] Kahen gay kay aey humaray rab! Yeh aafat hum say door ker dey hum eman qabool kertay hain

[13] Inn kay liye naseehat kahan hai? Khol khol ker biyan kerney walay payghumber unn kay pass aa chukay

[14] Phir bhi inhon ney unn say mun phera aur keh diya kay sikhaya parhaya hua baaoola hai

[15] Hum azab ko thora door ker den gay to phir tum apni ussi halat per aajao gay

[16] Jiss din hum bari sakht pakar pakaren gay bilyaqeen hum badla lenay walay hain

[17] Yaqeenan inn say pehlay hum qom-e-firaon ko (bhi) aazma chukay hain jinn kay pass (Allah ka) ba-izzat rasool aaya

[18] Kay Allah Taalaa kay bando ko meray hawalay kerdo yaqeen mano kay mein tumharay liye amanat daar rasool hun

[19] Aur tum Allah Taalaa kay samney sirkashi na kero mein tumharay pass khulli daleel laney wala hun

[20] Aur mein apnay aur tumharay rab ki panah mein aata hun iss say kay tum mujhay sangsaar kerdo

[21] Aur agar tum mujh per eman nahi latey to mujh say alag hi raho

[22] Phir unhon ney apnay rab say dua ki kay yeh sabb gunehgar log hain

[23] (hum ney keh diya) kay raton raat tu meray bando ko ley ker nikal yaqeenan tumhara peecha kiya jayega

[24] Tu darya ko saakin chor ker chala jaa bilashuba yeh lashkar gharq kerdiya jayega

[25] Woh boht say baghaat aur chashmey chor gaye

[26] Aur khetiyan aur rahat buksh thikaney

[27] Aur woh aaram ki cheezen jinn mein aish ker rahey thay

[28] Uss i tarah hogaya aur hum ney inn sabb ka waris doosri qom ko bana diya

[29] So unn per na na to aasman-o-zamin roye aur na unhen mohlat mili

[30] Aur be-shak hum ney (hi) bani isareel ko (sakht) ruswakun saza say nijat di

[31] (Jo) firaon ki taraf say (horahi) thi.fil-waqey woh sirkash aur hadd say guzarney walon mein say tha

[32] Aur hum ney danista tor per bani israeel ko duniya jahan walon per fokiyat di

[33] Aur hum ney unhen aisi nishaniyan din jinn mein sareeh aazmaeesh thi

[34] Yeh log to yehi kehtay hain

[35] Kay (aakhri cheez) yehi humara pehli baar (duniya say) mar jana hai aur hum doobara uthaye nahi jayen gay

[36] Agar tum sachay ho to humaray baap dadon ko ley aao

[37] Kiya yeh log behtar hain ya tubba’a ki qom kay log aur jo unn say bhi pehlay thay. Hum ney unn sabb ko halak ker diya yaqeenan woh gunehgar thay

[38] Hum ney zamin aur aasmano aur inn kay darmiyan ki cheezon ko khel kay tor per peda nahi kiya

[39] Bulkay hum ney unhen durust tadbeer kay sath peda kiya hai lekin inn mein aksar log nahi jantay

[40] Yaqeenan faislay ka din inn sabb ka tey shuda waqt hai

[41] Uss din koi dost kissi dost kay kuch bhi kaam na aayega aur na unki imdad ki jayegi

[42] Magar jiss per Allah ki meharbani hojaye woh zabardast aur reham kerney wala hai

[43] Be-shak zaqoom (thoher) ka darakht

[44] Gunehgar ka khana hai

[45] Jo misil talchat kay hai aur pet mein kholta rehta hai

[46] Misil tez garum pani kay

[47] Issay pakar lo phir ghaseettay huyey beech jahannum tak phonchao

[48] Phir iss kay sir per sakht garum pani ka azab bahao

[49] (iss say kaha jayega) chakhta jaa tu to bara zee-izzat aur baray ikraam wala tha

[50] Yehi woh cheez hai jiss mein tum shak kiya kertay thay

[51] Be-shak (Allah say) darney walay aman chain ki jagah mein hongay

[52] Baghon aur chashmon mein

[53] Bareek aur dabeez resham kay libas pehney huyey aamney samney behtay hongay

[54] Yeh uss tarah hai aur hum bari bari aankhon wali hooron say unka nikah kerden gay

[55] Dil jamaee kay sath wahan her tarah kay mewon ki farmaeeshen kertay hongay

[56] Wahan woh mot chakhney kay nahi haan pehli mot (jo woh marr chukay) enhen Allah Taalaa ney dozakh ki saza say bacha diya

[57] Yeh sirf teray rab ka fazal hai yehi hai bari kamyabi

[58] Hum ney iss (quran) ko teri zaban mein aasan kerdiya takay woh naseehat hasil keren

[59] Abb tu muntazir reh yeh bhi muntazir hain

الجاثیہ

Surah 45

[1] Haa-meem

[2] Yeh kitab Allah ghalib hikmat walay ki taraf say nazil ki hui hai

[3] Aasmano aur zamin mein emaandaron kay liye yaqeenan boht si nishaniyan hain

[4] Aur khud tumhari pedaeesh mein aur inn janwaron ki pedaeesh mein jinehn woh phelata hai yaqeen rakhney wali qom kay liye boht si nishaniyan hain

[5] Aur raat din kay badlaney mein aur jo kuch rozi Allah Taalaa aasman say nazil farma ker zamin ko usski mot kay baad zindah ker deta hai (iss mein aur hawaon kay badlney mein bhi unn logon kay liye jo awal rakhtay hain nishaniyan hain)

[6] Yeh hain Allah ki aayaten jinhen hum aap ko raasti say suna rahey hain pus Allah Taalaa aur uss ki aayaton kay baad yeh kiss baat per eman layen gay

[7] “Well” aur afsos hai her aik jhootay gunehgar per

[8] Jo aayaten Allah ki apnay samney parhi jati hui sunay phir bhi ghuroor kerta hua iss tarah ara rahey kay goya suni hi nahi to aisay logon ko dard-naak azab ki khabar (phoncha) dijiye

[9] Woh jabb humari aayaton mein say kissi aayat ki khabar paa leta hai to uss ki hansi urata hai yehi log hain jinn kay liye ruswaee ki maar hai

[10] Unn kay peechay dozakh hai hai jo kuch unhon ney hasil kiya tha woh unhen kuch bhi nafa na dey ga aur na woh (kuch kaam aayengay) jinn ko unhon ney Allah kay siwa kaar saaz bana rakha tha unn kay liye bohat bara azab hai

[11] Yeh (sirtapa) hidayat hai jinn logon ney apnay rab ki aayaton ko na mana unn kay liye bohat sakht dard-naak azab hai

[12] Alla hi hai jiss ney tumharay liye darya ko taabey bana diya takay uss kay hukum say iss mein kashtiyan chalen aur tum uss ka fazal talash keroaur takay tum shukar baja lao

[13] Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ko bhi uss ney apni taraf say tumharay liye tabey ker diya hai. Jo ghor keren yaqeenan woh iss mein boht si nishaniyan paa len gay

[14] Aap eman walon say keh den kay woh inn logon say dar-guzar keren jo Allah kay dinon ki tawakka nahi rakhtay takay Allah Taalaa aik qom ko unn kay kartooton ka badla day

[15] Jo neki keray ga woh apnay zatti bhalay kay liye aur jo buraee keray ga uss ka wabal ussi per hai phir tum sabb apnay perwerdigar ki taraf lotaye jaogay

[16] Yaqeenan hum ney bani israeel ko kitab hakumat aur nabowat di thi aur hum ney unhen pakeezah (aur nafees) roziyan di thin aur unhen duniya walon per fazilat di thi

[17] Aur hum ney unhen deen ki saaf saaf daleelen dein phir unhon ney apnay pass ilm kay phonch janey kay baad aapas ki zidd behas say hi ikhtilaf barpa ker dala yeh jinn jinn cheezon mein ikhtilaf ker rahey hain unn ka faisla qayamat walay din unn kay darmiyan (khud) tera rab keray ga

[18] Phir hum ney aap ko deen ki (zahir) raah per qaeem ker diya ao aap issi per lagay rahen aur nadano ki khuwaishon ki perwee mein na paren

[19] (Yad rakhen) kay yeh log hergiz Allah kay samney aap kay kuch kaam nahi aasaktay. (Samjh len kay) zalim log aapas mein aik doosray kay rafiq hotay hain aur perhezgaron ka kaar saaz Allah Taalaa hai

[20] Yeh (quran) logon kay liye baseerat ki baaten aur hidayat-o-rehmat hai uss qom kay liye jo yaqeen rakhti hai

[21] Kiya unn logon ka jo bura kaam kertay hain yeh guman hai kay hum unhen unn logon jaisa kerden gay jo eman laye aur nek kaam kiyey kay unn ka marna jeena yaksan hojaye bura hai woh faisla jo woh ker rahey hain

[22] Aur aasmano aur zamin ko Allah ney boht adal kay sath peda kiya hai aur takay her shaks ko uss kay kiyey huye kaam ka poora badla diya jaye aur unn per zulm na kiya jaye

[23] Kiya aap ney ussay bhi dekha? Jiss ney apni khuwaish-e-nafas ko apna mabood bana rakha hai aur bawajood samjh boojh kay Allah ney ussay gumrah ker diya hai aur uss kay kaan aur dil per mohar laga di hai aur uss ki aankh per bhi pardah daal diya hai abb aisay shaks ko Allah kay baad kon hidayat day sakta hai

[24] Kiya abb bhi tum naseehat nahi pakartay. Unhon ney kaha humari zindagi to sirf duniya ki zindagi hi hai. Hum martay aur jeetay hain aur humen sirf zamana hi maar dalta hai (dar-asal) unhen iss ka kuch ilm hi nahi. Yeh to sirf (qayas aur) atkal say hi kaam ley rahey hain

[25] Aur jabb inn kay samney humari wazeh aur roshan aayaton ki tilawat ki jati hai to inn kay pass iss qol kay siwa koi daleel nahi hoti kay agar tum sachay ho to humaray baap dadon ko lao

[26] Aap keh dijiye! Allah hi tumhen zindah kerta hai phir tumhen maar dalta hai phir tumhen qayamat kay din jama keray ga jiss mein koi shak nahi lekin aksar log nahi samajhtay

[27] Aur aasmano aur zamin ki badshahi Allah hi ki hai aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din ehl-e-batil baray nuksan mein paren gay

[28] Aur aap dekhen gay kay her ummat ghutnon kay bal giri hui hogi. Her giroh apnay naam-e-aemaal ki taraf bulaya jayega aaj tumhen apnay kiyey ka badla diya jayega

[29] Yeh hai humari kitab jo tumharay baray mein sach sach bol rahi hai hum tumharay aemaal likhwatay jatay thay

[30] Pus lekin jo log eman layeaur unhon ney nek kaam kiyey to unko unka rab apni rehmat talay ley ley ga yehi sareeh kamyabi hai

[31] Lekin jinn logon ney kufur kiya to (mein unn say kahon ga) kiya meri aayaten tumhen sunaee nahi jati thin? Phir bhi tum takabbur kertay rahey aur tum thay hi gunehgar log

[32] Aur jabb kabhi kaha jata kay Allah ka wada yaqeenan sacha hai aur qayamat kay aaney mein koi shak nahi to tum jawab detay thay kay hum nahi jantay qayamat kiya cheez hai? Humen kuch yun hi sa khayal hojata hai lekin humen yaqeen nahi

[33] Aur unn per apnay aemaal ki burayian khul gaeen aur jiss ka woh mazak ura rahey thay uss ney unhen gher liya

[34] Aur keh diya gaya kay aaj hum tumhen bhula den gay jaisay kay tum ney apnay iss din say milney ko bhula diya tha tumhara thikana jahannum hai aur tumhara madadgar koi nahi

[35] Yeh iss liye hain kay tum ney Allah Taalaa ki aayaton ki hansi uraee thi aur duniya ki zindagi ney tumhen dhokay mein daal rakha tha pus aaj kay din na to yeh (dozakh) say nikalen jayen gay aur na unn say uzar-o-maazrat qabool kiya jayega

[36] Pus Allah ki tareef hai jo aasmano aur zamin aur tamam jahan ka palanhaar hai

[37] Tamam (buzrugi aur) baraee aasmano aur zamin mein ussi ki hai aur wohi ghalib aur hikmat wala hai

الاحقاف

Surah 46

[1] Haa-meem

[2] Iss kitab ka utarna Allah Taalaa ghalib hikmat waly ki taraf say hai

[3] Hum ney aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan ki tamam cheezon ko behtreen tadbeer kay sath hi aik muddat moayyen kay liye peda kiya hai aur kafir log jiss cheez say daraye jatay hain mun mor letay hain

[4] Aap keh dijiye! Bhala dekho to jinhen tum Allah kay siwa pukartay ho mujhay bhi to dikhao kay unho ney zamin ka konsa tukra banaya hai ya aasmano mein unn ka konsa hissa hai? Agar tum sachay ho to iss say pehlay hi ki koi kitab ya koi ilm hi jo naqal kiya jata ho meray pass lao

[5] Aur iss say barh ker gumrah aur kon hoga? Jo Allah kay siwa aison ko pukarta hai jo qayamat tak uss ki dua qabool na ker saken bulkay unn kay pukarney say mehaz baykhabar hon

[6] Aur jab logon ko jama kiya jayega to yeh unn kay dushman hojayen gay aur unn ki parastish say saaf inkaar ker jayen gay

[7] Aur enhen jabb humari aayaten parh ker sunaee jati hain to munkir log sachi baat ko jabkay unkay pass aa chuki keh detay hain kay yeh to sareeh jadoo hai

[8] Kiya woh kehtay hain kay issay to iss ney khud ghar liya hai aap keh dijiye! Kay agar mein hi issay bana laya hun to tum meray liye Allah ki taraf say kissi cheez ka ikhtiyar nahi rakhtay tum iss (quran) kay baray mein jo kuch keh sunn rahey ho ussay Allah khoob janta hai meray aur tumharay darmiyan gawahee kay liye wohi kafi hai aur woh bakhshney wala meharban hai

[9] Aap keh dijiye! Kay mein koi bilkul anokha payghamber to nahi na mujhay yeh maloom hai kay meray satha aur tumharay sath kiya kiya jayega. Mein to sirf ussi ki perwi kerta hun jo meri taraf wahee bheji jati hai aur mein to sirf alal elan aagah ker denay wala hun

[10] Aap keh dijiye! Agar yeh (quran) Allah hi ki taraf say ho aur tum ney issay na mana ho aur bani israeel ka aik gawah iss jaisi ki gawahee bhi dey chuka ho aur woh eman bhi la chuka ho aur tum ney sirkashi ki ho to be-shak Allah Taalaa zalimon ko raah nahi dikhata

[11] Aur kafiron ney emaandaron ki nisbat kaha kay agar yeh (deen) behtar hota to yeh log iss ki taraf hum say sabqat kerney na patay aur chonkay enhon ney iss quran say hidayat nahi paaee pus yeh keh den gay kay qadeemi jhoot hai

[12] Aur iss say pehlay musa ki kitab peshwa aur rehmat thi. Aur yeh kitab hai tasdeeq kernay wali arabi zaban mein takay zalimon ko daraye aur nek karon ko bisharat ho

[13] Be-shak jinn logon ney kaha kay humara rab Allah hai phir iss per jamay rahey to inn per na to koi khof hoga aur na ghumgeen hongay

[14] Yeh to ehl-e-jannat hain jo sada issi mein rahengay unn aemaal kay badlay jo woh kiya kertay thay

[15] Aur hum ney insan ko apnay maa baap kay sath husn-e-salook kerney ka hukum diya hai uss ki maa ney ussay takleef jhel ker pet mein rakha aur takleef bardasht kerkay ussay jana. Uss kay hamal aur uss kay doodh churaney ka zamana tees maheeney ka hai yahan tak kay jab woh apni pukhtagi aur chalees saal ki umer ko phoncha to kehnay laga aey meray perwerdigar! Mujhay tofiq dey kay mein teri iss nemat ka shukar baja laon jo tu ney mujh per aur meray maa baap per inam ki hai aur yeh kay mein aisay nek amal keron jinn say tu khush hojaye aur tu meri aulad bhi saleh bana. Mein teri tarf rujoo kerta hun aur mein musalmano mein say hun

[16] Yehi woh log hain jinn kay nek aemaal to hum qabool farma letay hain aur jinn kay bad aemaal say darguzar ker letay hain (yeh) jannati logon mein hain. Iss sachay waday kay mutabiq jo inn say kiya jata tha

[17] Aur jiss ney apnay maa baap say kaha kay tum say mein tang aagaya tum mujh say yehi kehtay raho gay kay mein marney kay baad phir zindah kiya jaoon ga mujh say pehlay bhi ummaten guzar chuki hain woh dono janab bari mein faryad kertay hain aur kehtay hain tujhay kharabi ho tu eman ley aa be-shak Allah ka wada haq hai woh jawab deta hai kay yeh to sirf aglon kay afsaney hain

[18] Woh log hain jinn per (Allah kay azab ka) wada sadiq aagaya inn jinnaat aur insano kay girohon kay sath jo inn say pehlay guzar chukay hain yaqeenan yeh nuksan panay walay thay

[19] Aur her aik ko apnay apnay aemaal kay mutabiq darjay milen gay takay unhen unn kay aemaal kay pooray badlay day aur unn per zulm na kiya jayega

[20] Aur jiss din kafir jahannum kay siray per layen jayen gay (kaha jayega) tum ney apni nekiyan duniya ki zindagi mein hi barbaad kerdin aur inn say faeedah utha chukay pus aaj tumhen zillat kay azab ki saza di jayegi iss baees kay tum zamin mein na-haq takabbur kiya kertay thay aur iss baees bhi kay tum hukum adooli kiya kertay thay

[21] Aur aad kay bhai ko yaad kero jabb uss ney apni qom ko aahqaaf mein daraya aur yaqeenan iss say pehlay bhi daraney walay guzar chukay hain aur iss kay baad bhi yeh kay tum siwaye Allah Taalaa kay aur ki ibadat na kero. Be-shak mein tum per baray din kay azab say khof khata hun

[22] Qom ney jawab diya kiya aap humaray pass iss liye aaye hain kay humen apnay maboodon (ki parastish) say baaz rakhen? Pus agar aap sachay hain to jiss azab ka aap wada kertay hain ussay hum per la dalen

[23] (hazrat Hood ney) kaha (iss ka) ilm to Allah hi kay pass hai mein to jo paygham dey ker bheja gaya tha woh tumhen phoncha raha hun lekin mein dekhta hun kay tum log nadani ker rahey ho

[24] Phir jabb unhon ney azab ko basoorat badal dekha apni wadiyon ki taraf aatay huye to kehnay lagay yeh abar hum per barasney wala hai (nahi) bulkay dar-asal yeh abar woh (azab) hai jiss ki tum jaldi ker rahey thay hawa hai jiss mein dard-naak azab hai

[25] Jo apnay rab kay hukum say her cheez ko halak ker day gi puz woh aisay hogaye kay bajuz unkay maknaat kay aur kuch dikhaee na deta tha gunahgaron kay girohon ko hum yunhi saza detay hain

[26] Aur bil-yaqeen hum ney (qom aad) ko woh maqdoor diye thay jo tumhen to diye bhi nahi aur hum ney unhen kaan aankhen aur dil bhi dey rakhay thay. Lekin inn kay kano aur dilon ney enhen kuch bhi nafa na phonchaya jabkay woh Allah Taalaa ki aayaton ka inkar kerney lagay aur jiss cheez ka woh mazak uraya kertay thay wohi unn per ulat pari

[27] Aur yaqeenan hum ney tumahray aas pass ki bastiyan tabah ker den aur tarah tarah ki hum ney apni nishaniyan biyan ker den takay woh rujoo ker len

[28] Pus qurb-e-elahi hasil kerney kay liye unhon ney Allah kay siwa jinn jinn ko mabood bana rakha tha unhon ney unn ki madad kiyon na ki? Bulkay woh to unn say kho gaye (bulkay dar-asal) yeh unn ka mehaz jhoot aur (bilkul) bohtan tha

[29] Aur yaad kero! Jabkay hum ney jinno ki aik jammat ko teri taraf mutawajja kiya kay woh quran sunen pus jab (nabi kay) pass phonch gaye to (aik doosray say) kehney lagay khamosh hojao phir jab parh ker khatam hogaya to apni qom ko khabardar kerney kay liye wapis lot gaye

[30] Kehney lagay aey humari qom! Hum ney yaqeenan woh kitab suni hai jo musa (alh-e-salam) kay baad nazil ki gaee hai jo apnay say pehlay kitabon ki tasdeeq kernay wali hai jo sachay deen ki aur rah-e-raast ki taraf reh numaee kerti hai

[31] Aey humari qom! Allah kay bulanay walay ka kaha mano iss per eman lao to Allah Taalaa tumharay gunah bakhsh dey ga aur tumehn alamnaak azab say panah dey ga

[32] Aur jo shaks Allah kay bulanay walay ka kaha na manay ga pus woh zamin mein kahin (bhag ker Allah ko) aajiz nahi ker sakta na Allah kay siwa aur koi uss kay madadgar hongay yeh log khulli gumrahee mein hain

[33] Kiya woh nahi dekhtay kay jiss Allah ney aasmano aur zamin ko peda kiya hai aur inn kay peda kerney say woh na thaka woh yaqeenan murdon ko zindah kerney per qadir hai? Kiyon na ho? Woh yaqeenan her cheez per qadir hai

[34] Woh log jinhon ney kufur kiya jiss din jahannum kay samney layen jayen gay (aur unn say kaha jayega kay) kiya yeh haq nahi hai? To jawab dein gay haan qasam hai humaray rab ki (haq hai) (Allah) farmaye ga abb apnay kufur kay badlay azab ka maza chakho

[35] Pus (aey payghumber!) tum aisa sabar kero jaisa sabar aali himmat rasoolon ney kiya aur inn kay liye (azab talab kerney mein) jaldi na kero yeh jiss din iss azab ko dekh len gay jiss ka wada diye jatay hain to (yeh maloom honay lagay ga kay) din ki aik ghari hi (duniya mein) theray thay yeh hai pahgham phoncha dena pus badkaron kay siwa koi halak na kiya jaye ga

محمد

Surah 47

[1] Jinn logon ney kufur kiya aur Allah ki raah say roka Allah ney unn kay aemaal barbad ker diye

[2] Aur jo log eman laye aur achay kaam kiye aur uss per bhi eman laye jo Muhammad (PBUH) per utari gaee hai aur darasal inn kay rab ki taraf say sacha (deen) bhi wohi hai Allah ney inn kay gunah door ker diye aur inn kay haal ki islaah kerdi

[3] Yeh iss liye kay kafiron ney baatil ki pairwee ki aur momino ney uss din haq ki ittaba ki jo unn kay Allah ki taraf say hai Allah Taalaa logon ko unkay ehwaal issi tarah batata hai

[4] To jabb kafiron say tumhari mud-bher ho to gardano per war maro jabb unko achi tarah kuchal dalo to abb khoob mazboot qaid-o-band say giriftar kero (phir ikhtiyar hai) kay khuwa ehsan rakh ker chor do ya fidya ley ker ta-waqt-e-kay laraee apnay hathyar rakh day. Yehi hukum hai aur agar Allah chahta to (khud) hi inn say badla ley leta lekin (uska mansha yeh hai) kay tum mein say aik ka imtehan doosray kay zariyey say ley ley jo log Allah ki raah mein shaheed ker diye jatay hain Allah Taalaa unkay aemaal hergiz zaya na keray ga

[5] Unhen raah dikhaye ga aur unkay halaat ki islah kerday ga

[6] Aur unhen uss jannat mein ley jaye ga jiss say unhen shanasa ker diya hai

[7] Aey eman walo! Agar tum Allah kay (deen) ki madad kero gay to woh tumhari madad keray ga aur tumhen sabit qadam rakhay ga

[8] Aur jo log kafir huye unhen halaki ho Allah unkay aemaal ghaarat kerday ga

[9] Yeh iss liye kay woh Allah ki nazil kerdah cheez say na khush huye pus Allah Taalaa ney (bhi) unn kay aemaal zaya ker diye

[10] Kiya inn logon nay zamin mein chal phir ker iss ka moaeena nahi kiya kay inn say pehlay kay logon ka nateeja kiya hua? Allah ney unhen halak ker diya aur kafiron kay liye iss tarah ki sazayen hain

[11] Woh iss liye kay eman walon ka kaar saaz khud Allah Taalaa hai aur iss liye kay kafiron ka koi kaar saaz nahi

[12] Jo log eman laye aur unhon ney nek aemaal kiye unhen Allah Taalaa aisay baghon mein dakhil keray ga jinn kay neechay nehren beh jari hain aur jo log kafir huye woh (duniya hi ka) faeedah utha rahey hain aur misil chopayon kay kha rahey hain unn ka asal thikana jahannum hai

[13] Hum ney kitni bastiyon ko jo taqat mein teri iss basti say ziyadah thin jiss say tujhay nikala hum ney unhen halak ker diya jinka madadgar koi na utha

[14] Kiya pus woh shaks jo apnay perwerdigar ki taraf say dalil per ho uss shaks jaisa ho sakta hai? Jiss kay liye uss ka bura kaam muzayyan ker diya gaya ho aur woh apni nafsani khuwaishon ka pero ho

[15] Uss jannat ki sift jiss ka perhezgaron say wada kiya gaya hai yeh hai kay uss mein pani ki nehren hain jo badboo kernay wala nahi aur doodh ki nehren hain jinka maza nahi badla aur sharab ki nehren hain jinn mein peenay walon kay liye bari lazzat hai aur nehren hain shehad ki jo boht saaf hain aur unn kay liye wahan her qisam kay meway hain aur unkay rab ki taraf say maghfirat hai kiya yeh misil iss kay hain jo hamesha aag mein rehnay wala hai? Aur jihen garam kholta hua pani pilaya jaye ga jo inn ki aanton kay tukray tukray ker dey ga

[16] Aur inn mein baaz (aisay bhi hain kay) teri taraf kaan lagatay hain yahan tak kay jabb teray pass say jatay hain to ehl-e-ilm say (ba-waja kund zehni-o-laperwahee kay) poochtay hain kay iss ney abhi kiya kaha tha? Yehi log hain jinn kay dilon per Allah ney mohar ker di hai aur woh apni khuawishon ki perwi kertay hain

[17] Aur jo log hidayat yafta hain Allah ney unhen hidayat mein aur barha diya hai aur unhen unki perhezgari ata farmaee hai

[18] To kiya yeh qayamat ka intezar ker rahe hain kay woh inn kay pass achanak aajaye yaqeenan iss ki alamaten to aa chuki hain phir jabkay inn kay pass qayamat aajaye enhen naseehat kerna kahan hoga

[19] So (aey nabi) aap yaqeen kerlen kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur apnay gunahon ki bakhsish manga keren aur momin mardon aur momin aurton kay haq mein bhi Allah tum logo ki amdoraft ki aur rehnay sehnay ki jagah khoob janta hai

[20] Aur jo log eman laye woh kehtay hain koi soorat kiyon nazil nahi ki gaee? Phir jab koi saaf matlab wali soorat nazil ki jati hai aur iss mein qitaal ka ziker kiya jata hai to aap dekhtay hain jinn logon kay dilon mein beemari hai woh aap ki taraf iss tarah dekhtay hain jaisay uss shaks ki nazar hoti hai jiss per mot ki beyhoshi taari ho pus boht behtar tha unn kay liye

[21] Farman ka baja lana aur achi baat ka kehna. Phir jab kaam muqarrar hojaye to agar Allah kay sath sachay rahen to unn kay liye behtri hai

[22] Aur tum say yeh bhi baeed nahi kay tum ko agar hukumat mill jaye to tum zamin per fasad berpa kerdo aur rishtay natay tor dalo

[23] Yeh wohi log hain jinn per Allah ki phitkaar hai aur jinn ki samaat aur aankhon ki roshni cheen li hai

[24] Kiya yeh quran mein ghor-o-fiker nahi kertay? Ya inn kay dilon per unn kay talay lag gaye hain

[25] Jo log apni peeth kay bal ultay phir gaye iss kay baad kay unn kay liye hidayat wazeh ho chuki yaqeenan shetan ney unn kay liye (unkay fail ko) muzayyen ker diya hai aur unhen dheel day rakhi hai

[26] Yeh iss liye kay unhon ney inn logon say jinhon ney Allah ki nazil kerdah wahee ko bura samjha yeh kaha kay hum bhi unqareeb baaz kamon mein tumhara kaha manen gay aur Allah unki posheedah batein khoob janta hai

[27] Pus unki kaisi (durgat) hogi jabkay farishtay unki rooh qabaz kertay huye unkay chehron aur unki sareeno per maaren gay

[28] Yeh iss bina per kay yeh woh raah chalay jiss say unhon ney Allah ko naraz kerdiya aur unhon ney uss ki raza mandi ko bura jana to Allah ney unkay aemaal ikarat ker diye

[29] Kiya unn logon ney jinkay dilon mein beemari hai yeh samjh rakha hai kay Allah unkay keeno ko zahir hi na keray ga

[30] Aur agar hum chahtay to unn sabb ko tujhay dikha detay pus tu unhen unn kay chehron say hi pehchan leta aur yaqeenan tu unhen unki baat kay dhab say pehchan leyga tumharay sabb kaam Allah ko maloom hain

[31] Yaqeenan hum tumhara imtehan keren gay takay tum mein say jihad kernay walon aur sabar kerney walon ko zahir kerden aur hum tumhari halaton ki bhi jaanch kerlen

[32] Yaqeenan jinn logon ney kufur kiya aur Allah ki raah say logon ko roka aur rasool ki mukhalifat ki iss kay baad kay unn kay liye hidayat zahir ho chuki yeh hergiz hergiz Allah ka kuch nuksan na keren gay. Unqareeb inn kay aemaal woh ghaarat ker dey ga

[33] Aey eman walon! Allah ki ita’at kero aur rasool ka kaha mano aur apnay aemaal ko ghaarat na kero

[34] Jinn logon ney kufur kiya aur Allah ki raah say auron ko ko roka phir kufur ki halat mein hi marr gaye (yaqeen kerlo) kay Allah unhen hergiz na bakhshay ga

[35] Pus tum bodhay bann ker sulah ki darkhuast per na utar aao jabkay tum hi buland-o-ghalib rahop gay aur Allah tumharay sath hai na-mumkin hai kay woh tumharay aemaal zaya ker dey

[36] Waqaee zindagan-e-duniya to sirf khel kood hai aur agar tum eman ley aao gay aur taqwa ikhtiyar kero gay to Allah tumhen tumharay ajar dey ga aur woh tum say tumharay maal nahi mangta

[37] Agar woh tum say tumharay maal mangay aur zor dey ker mangay to tum uss say bakheeli kerney lago gay aur woh tumharay keenay zahir ker dey ga

[38] Khabardar! Tum woh log ho kay Allah ki raah mein kharch kernay kay liye bulaye jatay ho to tum mein say baaz bakheeli kerney lagtay hain aur jo bukhul kerta hai woh to dar-asal apni jaan say bakheeli kerta hai. Allah Taalaa ghani hai aur tum faqeer (aur mohtaj) ho aur agar tum roogardaan hojao to woh tumharay badlay tumharay siwa aur logon ko laye ga jo phir tum jaisay na hongay

الفتح

Surah 48

[1] Be-shak (aey nabi) hum ney aap ko aik khullam khulla fatah di hai

[2] Takay jo kuch teray gunah aagay huye aur jo peechay sab ko Allah Taalaa maaf farmaye, aur tujh per apna ehsan poora ker day aur tujhay seedhi raah chalaye

[3] Aur aap ko aik zabardast madad day

[4] Wohi hai jiss ney musalmano kay dilon mein sukoon (aur itminan) daal diya takay apnay eman kay sath hi sath aur bhi eman mein barh jayen, aur aasmano aur zamin kay (kul) lashkar Allah hi kay hain. Aur Allah Taalaa dana ba-hikmat hai

[5] Takay momin mardon aur aurton ko inn jannaton mein ley jaye jinn kay neechay nehren beh rahi hain jahan woh hamesha rahen gay aur inn say unkay gunah door ker dey aur Allah kay nazdeek yeh boht bari kamyabi hai

[6] Aur takay inn munafiq mardon aur mufiq aurton aur mushrik mardon aur mushrika aurton ko azab day jo Allah Taalaa kay baray mein bad-gumaniyan rakhney walay hain. (dar-asal) enhin per buraee ka phera hai, Allah inn per naraz hua aur enhen lanat ki aur inn kay liye dozakh tayyar ki aur woh (boht) buri lotney ki jagah hai

[7] Aur Allah ji kay liye aasmano aur zamin kay lashkar hain aur Allah ghalib aur hikmat wala hai

[8] Yaqeenan hum ney tujhay gawahee denay wala aur khushkhabri sunanay wala aur daraney wala bana ker bheja hai

[9] Takay (aey musalmano), tum Allah aur uss kay rasool per eman lao aur uss ki madad kero aur uss ka adab kero aur Allah ki paki biyan kero subah-o-shaam

[10] Jo log tujh say bait kertay hain woh yaqeenan Allah say bait kertay hain, unkay hathon per Allah ka hath hai, to jo shaks ehad shikni keray woh apnay nafs per hi ehad shikni kerta hai aur jo shaks iss iqrar ko poora keray jo uss ney Allah kay sath kiya hai to ussay unqareeb Allah boht bara ajar deyga

[11] Dehatiyon mein say jo log peechay chor diyey gaye thay woh abb tujh say kahen gay kay hum apnay maal aur baal bachon mein lagay reh gaye pus aap humaray liye maghfirat talab kijiye. Yeh log apni zabano say woh kehtay hain jo inn kay dilon mein nahi hai. Aap jawab day dijiye kay tumharay liye Allah ki taraf say kissi cheez ka bhi ikhtiyar kon rakhta hai agar woh tumhen nuksan phonchana chahye to ya tumhen koi nafa dena chahye to, bulkay tum jo kuch ker rahey ho uss say Allah khoob ba-khabar hai

[12] (Nahi) bulkay tum ney to yeh guman ker rakha tha kay payghamber aur musalmano ka apnay gharon ki taraf lot aana qat’an na-mumkin hai aur yehi khayal tumharay dilon mein rach bus gaya tha aur tum ney bura guman ker rakha tha. Darasal tum log ho bhi halak honey walay

[13] Aur jo shaks Allah per aur uss kay rasool per eman na laye to hum ney bhi aisay kafiron kay liye dehakti aag tayyar ker rakhi hai

[14] Aur zamin aur aasmano ki badshaat Allah hi kay liye hai jissay chahye bakhshayaur jissay chahye azab keray. Aur Allah bara bakhshney wala meharban hai

[15] Jabb tum ghanimaten lenay janay lago gay to jhat say yeh peechay choray huye log kehney lagen gay kay humen bhi apnay sath chalney ki ijazat dijiye’ woh chahtay hain kay Allah Taalaa kay kalam ko badal dein aap keh dijiye! Kay Allah Taalaa pehaly hi farma chuka hai kay tum hergiz humaray sath nahi chalo gay’ woh iss ka jawab dein gay (nahi nahi) bulkay tum hum say hasad kertay ho’ (asal baat yeh hai) kay woh log boht hi kum samjhtay hain

[16] Aap peechay choray huye badviyon say kehdo kay unqareeb tum aik sakht jangjoo qom ki taraf bulaye jao gay kay tum unn say laro gay ya woh musalman hojayen gay pus agar tum ita’at kero gay to Allah tumhen boht behtar badla dey ga aur agar tum ney mun pher liya jaisa kay iss say pehlay tum mun pher chukay ho to woh tumhen dard-naak azab dey ga

[17] Andhay per koi harj nahi hai aur na langray per koi harj hai aur na beemar per koi harj hai’ jo koi Allah aur uss kay rasool ki farmabardaari keray ussay Allah aisi jannaton mein dakhil keray ga jiss kay (darkhton) talay nehren jaari hain aur jo min pher ley ussay dard-naak azab (ki saza) dey ga

[18] Yaqeenan Allah Taalaa momino say khush hogaya jabkay woh darakht talay tujh say bait ker rahey thay unn kay dilon mein jo tha ussay uss ney maloom kerliya aur unn per itminaan nazil farmaya aur unhen qareeb ki fatah inayat farmaee

[19] Aur boht si ghanimaten jinhen woh hasil keren gay aur Allah ghalib hikmat wala hai

[20] Allah Taalaa ney tum say boht sari ghnimaton ka wada kiya hai jinhen tum hasil kero gay pus yeh to tumhen jaldi hi ata farma di aur logon kay hath tum say rok diye takay momino kay liye yeh aik nishani hojaye aur (takay) woh tumhen seedhi raah chalaye

[21] Aur tumhen aur (ghanimaten) bhi day jinn per abb tak tum ney qaboo nahi paya. Allah Taalaa unhen apnay qaboo mein rakha hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[22] Aur agar tum say kafir jang kertay to yaqeenan peeth dikha ker bhagtay phir na to koi kaarsaaz patay na madadgar

[23] Allah Taalaa kay qaeeday kay mutabiq jo pehlay say chala aaya hai tu kabhi bhi Allah kay qaeeday ko badalta hua na paye ga

[24] Wohi hai jiss ney khaas makkah mein kafiron kay hathon ko tum say aur tumharay hathon ko unn say rok liya iss kay baad kay uss ney tumhen unn per ghalba dey diya tha aur tum jo kuch ker rahey ho Allah Taalaa ussay dekh raha hai

[25] Yehi woh log hain jinhon ney kufur kiya aur tumko masjid-e-haram say roka aur qurbani kay liye moqoof janwar ko uss ki qurban gah mein phonchney say (roka) aur agar aisay (boht say) musalman mard aur (boht si) musalman aurten na hoti jinn ki tum ko khabar na thi yani unn kay piss janey ka ehtimal na hota jiss per unki waja say tum ko bhi bey khabri mein zararr phonchta (to tumhen larney ki ijazat dey di jati lekin aisa nahi kiya gaya) takay Allah Taalaa apni rehmat mein jiss ko chahye dakhil keray aur agar yeh alag alag hotay to inn mein say jo kafir thay hum unn ko dard-naak saza detay

[26] Jabkay inn kafiron ney apnay dilon mein hamiyat ko jagah di aur hamiyat bhi jaheeliyat ki so Allah Taalaa ney apnay rasool per aur momineen per apni taraf say taskeen nazil farmaee aur Allah Taalaa ney musalmano ko takway ki baat per jamaye rakha aur woh iss kay ehal aur ziyadah mustahiq thay aur Allah Taalaa her cheez ko khoob jaanta hai

[27] Yaqeenan Allah Taalaa ney apnay rasool ko khuwab sacha dikhaya kay inshaAllah tum yaqeenan pooray aman-o-aman kay sath masjid-e-haram mein dakhil hogay sir kay baal mundwatay huye aur sir kay baal katarwatay huye (chain kay sath) nidar hoker woh inn umoor ko jaanta hai jinhen tum nahi jantay pus uss ney iss say pehlay aik nazdeek ki fatah tumhen mayassar ki

[28] Wohi hai jiss ney apnay rasool ko hidayat aur deen-e-haq kay sath bheja takay issay her deen per ghalib keray aur Allah Taalaa kafi hai gawahee denay wala

[29] Muhammad (PBUH) Allah kay rasool hain aur jo log unn kay sath hain kafiron per sakht hain aapas mein reham dil hain tu enhen dekhay ga kay rukoo aur sajday ker rahey hain Allah Taalaa kay fazal aur raza mandi ki justujoo mein hain inn ka nishan inn kay chehron per sajdon kay asar say hai inn ki yeh hi misal toraat mein hai aur inn ki misal injeel mein hai misil uss kheti kay jiss ney apna ankhwa nikala phir ussay mazboot kiya aur woh mota hogaya phir apnay tanay per seedha khara hogaya aur kisano ko khush kernay laga takay inn ki waja say kafiron ko chiraye inn eman walon aur nek aemaal walon say Allah ney bakhsish ka aur boht baray sawab ka wada kiya hai

الحجرات

Surah 49

[1] Aey eman walay logo! Allah aur uss kay rasool say aagay na barho aur Allah say dartay raha kero. Yaqeenan Allah Taalaa sunnay wala, jannay wala hai

[2] Aey eman walo! Apni aawazen nabi ki awaz say uper na kero aur na unn say unchi aawaz say baat kero jesay aapas mein aik doosray say kertay ho, kahin (aisa na ho kay) tumharay aemaal ikaarat jayen aur tumhen khabar bhi na ho

[3] Be-shak jo log Rasool Allah (PBUH) kay huzoor mein apni aawazen past rakhtay hain yehi woh log hain jinn kay dilon ko Allah ney perhezgari kay liye jaanch liya hai. Inn kay liye maghfirat hai aur bara sawab hai

[4] Jo log aap ko hujron kay peechay say pukaray hain inn mein say aksar (bilkul) bey aqal hain

[5] Agar yeh log yahan tak sabar kertay kay aap khud say nikal ker inn kay pass ajatay to yehi inn kay liye behtar hota, aur Allah ghafoor-o-raheem hai

[6] Aey musalmano! Agar tumhen koi fasiq khabar dey to tum uss ko achi tarah tehqeeq kerlia kero aisa na ho kay nadaani mein kissi qom ko eza phoncha do phir apnay kiye per pasheymani uthao

[7] Aur jaan rakho kay tum mein Allah kay rasool mojood hain agar woh tumhara kaha kertay rahey boht umoor mein, to tum mushkil mein par jao lekin Allah Taalaa ney eman ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon mein zeenat dey rakhi hai aur kufur ko aur gunah ko aur nafarmaani ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hai, yehi log raah yaafta hain

[8] Allah kay ehsan-o-inam say aur Allah dana aur bahikmat hai

[9] Aur agar musalmanon ki do jamaten aapas mein larr paren to unn mein mail milaap kerwa diya kero. Phir agar unn dono mein say aik jamat doosri jamat per ziyadti keray to tum (sab) uss giroh say jo ziyadti kerta hai laro.yahan tak kay woh Allah kay hukum ki taraf lot aaye, agar lot aaye to phir insaf kay sath sulah kerado aur adal kero be-shak Allah Taalaa insaf kerney walon say mohabbat kerta hai

[10] (Yaad rakho) saray musalman bhai bhai hain pus apnay do bhaiyon mein milap kera diya kero, aur Allah say dartay raho takay tum per reham kiya jaye

[11] Aey eman walo! Mard doosray mardon ka mazak na urayen mumkin hai kay yeh unn say behtar ho aur na orten orton ka mazak urayen mumkin hai kay yeh unn say behtar hon aur aapas mein aik doosray ko aib na lagao aur na kissi ko buray laqab do eman kay baad fisq bura naam hai aur jo toba na keren wohi log zalim hain

[12] Aey eman walo! Boht badgumaaniyon say bacho yaqeen mano kay baaz badgumaniyan gunah hain, aur bhed na tatola kero aur na tum mein say koi kissi ki gheebat keray. Kiya tum mein say koi bhi apnay murdah bhai ka gosht khana pasand kerta ha? Tum ko iss say ghinn aayegi, aur Allah say dartay raho, be-shak Allah toba qabool kernay wala meharbaan hai

[13] Aey logo! Hum ney tum sabb ko aik (hi) mard-o-orat say peda kiya hai aur iss liye kay tum aapas mein aik doosray ko pehchano kunbay aur qabeelay bana diye hain Allah kay nazdeek tum sabb mein say ba-izzat woh hai jo sabb say ziyadah darney wala hai yaqeen mano kay Allah dana aur ba-khabar hai

[14] Dehaati log kehtay hain kay hum eman laye. Aap keh dijiye kay darhaqeeqat tum eman nahi laye lekin tum yun kaho kay hum islam laye (mukhalifat chor ker mutee hogaye) halankay abhi tak tumharay dilon mein eman dakhil hi nahi hua. Tum agar Allah ki aur uss kay rasool ki farmabardaari kerney lago gay to Allah tumharay aemaal mein say kuch bhi kum na keray ga. Be-shak Allah bakhshney wala meharbaan hai

[15] Momin to woh hain jo Allah per aur uss kay rasool per (pakka) eman layen phir shak-o-shuba na keren aur apnay malon say aur apni jano say Allah ki raah mein jihad kertay rahen, (apnay dawaay-e-emaan mein) yehi sachay aur raast go hain

[16] Kehdijiye! Kay kiya tum Allah Taalaa ko apni deen dari say aagah ker rahey ho, Allah her uss cheez say jo aasmano mein aur zamin mein hai bakhoobi aagah hai aur Allah her cheez ka jannay wala hai

[17] Apnay musalman honay ka aap per ehsan jatatay hain. Aap kehdijiye kay apnay musalman honay ka ehsan mujh per na rakho bulkay dar-asal Allah ka tum per ehsan hai kay uss ney tumhen eman ki hidayat ki agar tum raast go ho

[18] Yaqeen mano kay aasmano aur zamin ki posheedah baaten Allah khoob jaanta hai aut jo kuch tum ker rahey ho ussay Allah khoob dekh raha hai

ق

Surah 50

[1] Qaaf bohat bari shan walay iss quran ki qasam

[2] bulkay enhen tajjub maloom hua kay inn kay pass inhi mein say aik aagah kerney wala aaya to kafiron ney kaha kay yeh aik ajeeb cheez hai

[3] kiya jabb hum mar ker mitti hojayen gay phir yeh wapsi door (az aqal) hai

[4] Zamin jo kuch inn mein say ghatati hai who humen maloom hai aur humaray pass sabb yaad rakhnay waali kitab hai

[5] Buklay inhon nay sachi baat ko jhoot kaha hai jabkay who inn kay pass phonch chuki pus who aik uljhao mein par gaye hain

[6] Kiya inhon nay aasman ko apnay uper nahi dekha? Kay hum ney ussay kiss tarah banaya aur zeenat di hai iss mein koi shigaf nahi

[7] Aur zamin ko hum ney bicha diya hai aur iss mein hum ney pahaar daal diye hain aur iss mein hum ney qisam qisam ki khushnuma cheezen uga di hain

[8] Takay her rujoo kernay walay bandey kay liye beenaee aur daanaaee ka zariya ho

[9] Aur hum ney aasman say babarkat pani barsaya aur iss say baghaat aur katney walay khet k ghallay peda kiye

[10] Aur khujuron kay buland-o-bala darakht jinkay khoshay teh ba teh hain

[11] Bandon ki rozi kay liye aur hum ney pani say murda shehar ko zinda ker diya. Issi tarah (qabron say) nikalna hai

[12] Inn say pehlay Nooh ki qom ney aur rass walon ney aur samood ney

[13] Aur aad ney aur firaon ney aur biradran-e-loot ney

[14] Aur aeeka walon ney aur tubba ki qom ney bhi takzeeb ki thi.sab ney payghambron ko jhutlaya pus mera wada-e-azab inn per sadiq aagaya

[15] Kiya hum pehli baar kay peda kerney say thak gaye? Bulkay yeh log naee pedaeesh ki taraf say shak mein hain

[16] Hum ney insan ko peda kiya hai aur iss kay dil mein jo khayalat uthtay hain unn say hum waqif hain aur hum uss ki rag-e-jaan say bhi ziyadah uss say qareeb hain

[17] Jiss din do lenay walay ja letay hain aik dayen taraf aur aik bayen taraf betha hua hai

[18] (Insan) mun say koi lafz nikal nahi pata magar kay usskay pass nigheban tayyar hai

[19] Aur mot ki beyhoshi haq ley ker aa phonchi yehi hai jiss say tu bidakta phirta tha

[20] Aur soor phonk diya jayega.Wada-e-azab ka din yehi hai

[21] Aur her shaks iss tarah aayega kay uss kay sath aik lanay wala hoga aur aik gawahee denay wala

[22] Yaqeenan tu iss say ghaflat mein tha lekin hum ney teray samney say pardah hata diya pus aaj teri nigah bohat tez hai

[23] Uss ka humnasheen (farishta) kahega yeh hazir hai jo kay meray pass tha

[24] Daal do jahannum mein her kafir sirkash ko

[25] Jo nek kaam say rikney wala aur hadd say guzar janay wala aur shak kerney wala tha

[26] Jiss ney Allah k sath doosra mabood bana liye tha pus iss say sakht azab mein daal do

[27] Iss ka humnasheen (shetan) kahega aey humaray rab! Mein ney issay gumrah nahi kiya tha bulkay yeh khud hi door daraz ki gumrahi mein tha

[28] Haq taalaa farmaye ga bus meray samney jhagray ki baat mat kero mein to pehlay hi tumhari taraf waeed (wada-e-azab) bhej chuka tha

[29] Meray haan baat badalti nahi aur na hi mein apnay bandon per zara bhi zulm kerney wala hun

[30] Jiss din hum dozakh say poochen gay kiya tu bhar chuki? Woh jawab dey di kiya kuch aur ziyadah bhi hai

[31] Aur jannat perhezgaron kay liye bilkul qareeb kerdi jayegi zara bhi door na hogi

[32] Yeh hai jiss ka tum say wada kiya jata tha her uss shaks kay liye jo rujoo kerney wala aur pabandi kerney wala ho

[33] Jo rehman ka ghaeebana khof rakhta ho aur tawajja wala dil laya ho

[34] Tum iss jannat mein salamti kay sath dakhil hojao. Yeh hamesha rehney ka din hai

[35] Yeh wahan jo chahyen unhen milay ga (bulkay) humaray pass aur bhi ziyadah hai

[36] Aur inn say pehlay bhi hum boht si ummaton ko halak ker chukay hain jo inn say taqat mein bohat ziyadah thi woh shehron mein dhondtay hi reh gaye, kay koi bhagney ka thikana hai

[37] Iss mein her sahib-e-dil kay liye ibrat hai aur uss kay liye jo dil say mutawajja hoker kaan lagaye aur woh hazir ho

[38] Yaqeenan hum ney aasmanon aur zamin aur jo kuch iss kay darmiyan hai sab ko (sirf) cheh (6) din mein peda kerdiya aur humen thakaan ney chua tak nahi

[39] Pus yeh jo kuch kehtay hain aap iss per sabar keren aur apnay rab ki tasbeeh tareef kay sath biyan keren sooraj nikalney say pehlay bhi aur sooraj ghuroob honey say pehlay bhi

[40] Aur raat kay kissi waqt bhi tasbeeh keren aur namaz kay baad bhi

[41] Aur sunn rakhen kay jiss din aik pukarney wala qareeb hi ki jagah say pukaray ga

[42] Jiss roz uss tund-o-tez cheekh ko yaqeen kay sath sunn len gay, yeh din hoga nikalney ka

[43] Hum hi jilatay hain aur hum hi martay hain aur humari hi taraf lot phir ker aana hai

[44] Jiss din zamin phat jayegi aur yeh dortay huye (nikal paren gay) yeh jama kerlena hum per boht hi aasan hai

[45] Yeh jo kuch keh rahey hain hum bakhoobi jaantay hain aur aap inn per jabar kerney walay nahi to aap quran kay zariyey enhen samjhatay rahen jo meray waeed (daraway kay wadon) say dartay hain

الذاریات

Surah 51

[1] qasam hai bikherney waliyan ki ura ker

[2] Phir uthaney waliyan bojh ko

[3] Phir chalney waliyan narmi say

[4] Phir kaam ko taqseem kerney waliyan

[5] Yaqeen mano kay tum say jo wadey kiye jatay hain (sab) sachay hain

[6] Aur be-shak insaf honey walahai

[7] Qasam hai raahon walay aasman ki

[8] Yaqeenan tum mukhtalif baat mein paray huye ho

[9] Iss say wohi baaz rakha jatahai jo pher diya gaya ho

[10] Bey savad baten kerney walay gharat kerdiye gayr

[11] Jo ghaflat mein hain aur bhoolay huye hain

[12] Poochtey hain kay yom-e-jaza kab hoga

[13] han yeh woh din hai kay yeh aag per tapaye jayen gey

[14] Apni fitna-perdazi ka maza chakho yehi hai jiss ki tum jaldi macha rahey thay

[15] Be-shak taqwa walay log bahishton aur chashmon mein hongey

[16] unn kay rab ney jo kuch unhen ata farmaya hai ussay ley rahey hongey woh to iss say pehlay hi nekokaar thay

[17] Woh raat ko boht kum soya kertay thay

[18] Aur waqt-e-sahar istaghfaar kiya kertay thay

[19] Aur unkay maal mein mangney walon ka aur sawal say bachney walon ka haq tha

[20] Aur yaqeen walon kay liye to zamin mein boht si nishaniyan hain

[21] Aur khud tumhari zaat mein bhi to kiya tum dekhtay ho

[22] Aur tumhari rozi aur jo tum say wada kiya jata hai sab aasman mein hai

[23] Aasman-o-zamin kay perwerdigar ki qasam! kay yeh bilkul barhaq hai aisa hi jaisay kay tum baten kertay ho

[24] Kiya tujhay ibrahim(alh-e-salam)kay moazziz mehmanon ki khabar bhi phonchi hai

[25] Woh jab unkay han aaye to salam kiya ibrahim ney jawab-e-salam diya(aur kaha yeh to) ajnabi log hain

[26] Phir (Chup chaap jaldi jaldi) apney ghar walon ki taraf gaye aur aik farba bachrey (ka gosht) laye

[27] Aur issay unkay passrakha aur kaha aap khatay kiyon nahi

[28] phir to dil hi dil mein unn say khofzada hogaye. unhon ney kaha aap khof na kijiye aur unhon ney uss (hazrat Ibrahim) ko aik ilm walay larkay ki bisharat di

[29] Pus unki biwi aagay barhi aur heyrat mein aaker apney mun per hath maar ker kaha kay mein to burhiya hun aur sath hi banjh

[30] Unhon ney kaha han teray perwerdigar ney issi tarah farmaya hai. be-shakwoh hakeem-o-aleem hai

[31] (Hazrat Ibrahim alh-e-salam) ney kaha kay Allah kay bhejay huye (farishton!)tumhara kiya maqsad hai

[32] Unhon ney jawab diya kay hum gunagar qom ki taraf bhejay gaye hain

[33] Takay hum unn per kitti kay kankar barsayen

[34] Jo teray rab ki taraf say nishan zada hain unn had say guzar janay walon kay liye

[35] Pus jitney eman walay wahan thay hum ney unhen nikal liya

[36] Aur hum ney wahan musalmanon ka sirf aik hi ghar paya

[37] Aur wahan hum ney unkay liye jo dardnaak azab ka darr rakhtey hain aik(kamil) alamat chori

[38] Musa(alh-e-salam kay qissay) mein (bhi humari taraf say tanbeeh hai) kay hum ney ussay firaon ki taraf khuli daleel dey ker bheja

[39] Pus uss ney apney balbootay per mun mora aur kehney laga yeh jadoogar hai ya deewana hai

[40] Bil-aakhir hum ney ussay aur uss kay lashkaron ko apney azab mein pakar ker darya mein daal diya woh tha hi malamat kay qabil

[41] Iss tarah aadiyon mein bhi (humari taraf say tanbeeh hai) jabkay hum ney unn say khali aandhi bheji

[42] Woh jiss jiss cheez per girti thi ussay boseedah hadi ki tarah (choora choora) kerdeti thi

[43] Aur samood (kay qissay) mein bhi (ibrat) hai jab unsay kaha gaya kay tum kuch dino tak faeedah uthalo

[44] Lekin unhon ney apney rab kay hukum say sirtabi ki jiss per unhen unkay dekhtay dekhtay (tez-o-tund) karakay ney halak kerdiya

[45] Pus na woh kharay hosakay aur na badla ley sakay

[46] Aur Nooh(alh-e-salam) ki qom ka bhi iss say pehlay (yehi haal ho chuka tha) woh bhi baray nafarman log thay

[47] Aasman ko hum ney (apney) hathon say banaya hai aur yaqeenan hum kushadgi kernay walay hain

[48] Aur zamin ko hum ney farsh banadiya hai pus hum boht hi achay bichanay walay hain

[49] Aur her cheez ko hum ney jora jora peda kiya hai takay tum naseehat hasil kero

[50] Pus tum Allah ki taraf dor bhag (yani rujoo) kero yaqeenan main tumhen uss ki taraf say saaf saaf tanbeeh kernay wala hun

[51] Aur Allah kay sath kissi aur ko mabood na therao. be-shak mein tumhen uss ki taraf say khula daraney wala hun

[52] Issi tarah jo log inn say pehlay guzray hain unkay pass jo bhi rasool aaya unhon ney keh diya ya to yeh jadoogar hai ya deewana hai

[53] Kiya yeh iss baat ki aik doosray ko wassiyat kertay gaye hain

[54] (Nahi) bulkay yeh sab kay sab sirkash hain to app inn say mun pher len. aap per koi malamat nahi

[55] Aur naseehat kertay rahen yaqeenan yeh naseehat eman walon ko nafa degi

[56] Mein ney jinnat aur insanon ko mehaz issi liye peda kiya hai kay woh sirf meri ibadat keren

[57] Na mein inn say rozi chchta hun na meri yeh chahat hai kay yeh mujhay khilayen

[58] Allah taalaa to khud hi sab ka rozi rasan tawanaee wala aur zor awar hai

[59] Pus jin logon ney zulm kiya hai unhen bhi unkay sathiyon kay hissay kay nuisil hissa mileyga lehaza woh mujh say jaldi talab na keren

[60] Pus kharabi hai munkiron ko unkay uss din ki jiss ka wada diye jatay hain

الطور

Surah 52

[1] Qasam hai toor ki

[2] Aur likhi hui kitab ki

[3] Jo jhilli kay khulay huye warq mein hai

[4] Aur abad ghar ki

[5] Aur unchi chat ki

[6] Aur bharkaye huye samandar ki

[7] Be-shak app kay rab ka azab hoker rehnay wala hai

[8] Ussay koi rokney wala nahi

[9] Jiss din aasman thar tharaney lagay ga

[10] Aur pahaar chalney phirney lagen gey

[11] uss din jhutlaney walon ki (poori) kharabi hai

[12] Jo apni behuda goee mein uchal kood ker rahey hain

[13] Jiss din woh dhakkay dey ker aatish jahannam ki taraf laye jayen gey

[14] Yehi wohi aatish dozakh hai jissay tum jhoot batlatey thay

[15] (Abb batao) kiya yeh jadoo hai? ya tum dekhtay hi nahi ho

[16] Jao dozakh mein abb tumhara sabar kerna aur na kerna tumharay liye yaksan hai tumhein faqat tumharay kiye ka badla diya jayega

[17] Yaqeenan perhezgar log jannaton mein aur nematon mein hain

[18] Jo unhen unkay rab ney dey rakhi hain uss per khush khush hain aur unkay perwerdigar ney unhen jahannam kay azab say bhi bacha liya hai

[19] Tum mazay say khatay peetay raho inn aemaal kay badlay jo tum kertay thay

[20] Baraber bichay huye shandar takhtay per takkiye lagaye huye aur hum ney unkay nikkah bari bari aankhon wali(hooron) say kerdiye hain

[21] Aur jo log eman laye aur unki olad ney bhi eman mein unki perwi ki hum unki olad ko unntak phoncha dengey aur unkay amal say hum kuch kum na keren gey.her shaks apney aemaal ka girwi hai

[22] Hum unkay liye meway aur marghoob gosht ki rail pail kerden gey

[23] (khush tabaee kay sath) aik doosray say jam (sharab) ki cheena jhapta keren gey jiss sharab kay suroor mein to beyhuda goee hogi na gunah

[24] Aur unkay gird unkay no-umer ghulam chal phir rahey hongey goya kay woh moti thay ji dhakay rakhay thay

[25] Aur aapas mein aik doosray ki taraf mutawajja hoker sawal kerengey

[26] kahen gey iss say pehlay hum apney ghar walon kay dar miyan boht dara kertay thay

[27] Pus Allah taalaa ney hum per bara ehsan kiya aur humen tez-o-tund garum hawaon kay azab say bacha liya

[28] Hum iss say pehlay hi uss ki ibadat kiya kertay thay be-shak woh mohsin aur meharban hai

[29] To aap samjhatay rahen kiyoh kay app apney rab kay fazal say na to kaahin hain na deewana

[30] Kiya kafir yun kehtay hain kay yeh shaeer hai hum iss per zamaney kay hawadis (yani mot) ka intezar ker rahey hain

[31] Keh dijiye! tum muntazir raho mein bhi tumharay sath intezar kernay walon mein hun

[32] Kiya inki aqlen enhen yehi sikhati hain? ya yeh log hi sirkash hain

[33] Kiya yeh kehtay hain kay iss nabi ney khud qharh liya hai waqya yeh hai kay woh eman nahi latey

[34] Acha agar yeh sachay hain to bhala iss jaisi aik (hi) baat yeh (bhi) to ley aayen

[35] Kiya yeh baghair kissi(peda kernay walay) kay khud ba khud peda hogaye hain? ya yeh khud peda kernay walay hain

[36] Kiya inhon ney hi aasman aur zamin ko peda kiya hai? bulkay yeh yaqeen na kernay walay log hain

[37] ya kiya inkay pass teray rab kay khazaney hain?ya (in khazanon kay) yeh darogha hain

[38] Ya kiya inkay pass koi seerhi hai jiss per charh ker suntay hain?(agar aisa hai) to inka sunnay wala koi roshan daleel pesh keray

[39] Kiya Allah ki to sab larkiyan hain aur tumharay han larkay hain

[40] Kiya tu inn say koi ujrat talab kerta hai kay yeh uskay tawaan say bojhal ho rahey hain

[41] Kiya inkay pass ilm-e-gheeib hai jissay yeh likh letay hain

[42] Kiya yeh log koi fareb kerna chahtay hain? to yaqeen kerlen kay fareeb khordah kafir hi hain

[43] Kiya Allah kay siwa inka koi mabood hai? (hergiz nahi) Allah taalaa inkay shirk say pak hai

[44] Agar yeh log aasman kay kissi tukray ko girta hua dekhlen tab bhi yeh keh den key yeh teh-ba-teh badal hai

[45] Tu enhen chor dey yahan tak kay enhen uss din say sabiqa paray jiss mein yeh beyhosh kerdiye jayen gey

[46] Jiss din enhen inka makar kuch kaam na dey ga aur na woh madad kiye jayen gey

[47] Be-shak zalimon kay liye iss kay ilawa aur azab bhi hain lekin inn logon mein say aksar bey-ilm hain

[48] Tu apney rab kay hukum kay intezar kein sabar say kaam ley be-shak tu humari aankhon kay samney hai subah ko jab tu uthay apney rab ki paki aur hamd biyan ker

[49] Aur raat ko bhi usski tasbeeh parh aur sitaron kay doobtay waqt bhi

النجم

Surah 53

[1] Qasam hai sitarey ki jab woh girey

[2] Kay tumharey sathi ney na raah gum ki hai na woh terhi raah per hai

[3] Aur na woh apni khuwaish say koi baat kehtay hain

[4] Woh to sirf wahi hai jo utari jaati hai

[5] Issay poori taqat walay farishtey ney sikhaya hai

[6] Jo zor -aawar hai phir woh seedha khara hogaya

[7] Aur woh buland aasmanon kay kinaron per tha

[8] Phir nazdeek hua aur utar aaya

[9] Pus woh do kamanon kay ba-qadar fasla reh gaya bulkay iss say bhi kum

[10] Pus uss ney ALLAH kay bandaey ko wahi phonchaee jo bhi phonchaee

[11] Dil ney jhoot nahi kaha jissay (payghumber ney) dekha

[12] Kiya tum jhagra kertay ho iss per jo (payghumber) dekhtey hain

[13] Issay to aik martaba aur bhi dekha tha

[14] Sidrat-ul-muntaha kay pass

[15] Issi kay pass jannat-ul-maawa hai

[16] Jabkay sidrah ko chupaye leti thi woh cheez jo uss per cha rahi thi

[17] Na to nigah behki na had say barhi

[18] Yaqeenan uss ney apney rab ki bari bari nishaniyon mein say baaz nishaniyan dekha len

[19] Kiya tum ney laat aur uzza ko dekha

[20] Aur manaat teesray pichlay ko

[21] Kiya tumharay liye larkay aur ALLAH kay liye larkiya hain

[22] Yeh to abb bari beyinsafi ki taqseem hai

[23] DAR-asal yeh sirf naam hain jo tum ney aur tumharay baap dadon ney inkay rakh liye hain Allah ney inki koi daleel nahi utaari yeh log to sirf atkal kay aur apni nafsaani khuwaishon kay peechay paray huye hain aur yaqeenan unkay rab ki taraf say unkay pass hidayat aa chuki hai

[24] Kiya her shaks jo aarzoo keray ussay mayassar hai

[25] Allah hi kay hath hai yeh hajaan aur woh jahaan

[26] Aur boht say farishtay aasmanon mein hain jinki sifarish kuch bhi nafa nahi dey sakti magar yeh aur baat hai kay Allah taalaa apni khushi aur apni chahat say jioss kay liye chahye ijazat dey dey

[27] Be-shak jo log aakhirat per eman nahi rakhtay woh farishton ka zanana naam muqarrar kertay hain

[28] Halankay unhen iss ka koi ilm nahi woh sirf apney gumaan kay peechay paray huye hain aur be-shak weham(o-guman) haq kay muqablay mein kuch kaam nahi deta

[29] To app iss say mun mor len jo humari yaad say mun moray aur jinka iradah ba-juz zindagan-e-duniya kay aur kuch na ho

[30] Yehi inn kay ilm ki inteha hai aap ka rab iss say khoob waqif hai jo iss ki raah say bhatak gaya hai aur wohi khoob waqif hai iss say bhi jo raah yafta hai

[31] Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmanon mein hai. aur jo. kuch zamin mein hai takay Allah taalaa buray amal kerney walon ko unkay aemaal ka badla dey aur nek kaam kerney walon ko acha badla inayat farmaye

[32] Inn logon ko jo baray gunahon say bachtay hain aur beyhayaee say bhi siwaye kissi chotay say gunah kay be-shak tera rab boht kushada maghfirat wala hai woh tumhen bakhoobi jaanta hai jabkay uss ney tumhen zamin say peda kiya aur jabkay tum apni maaon kay pet mein bachay thay pus tum apni pakeezgi aap biyan na kero wohi pehezgaron ko khoob janta hai

[33] Kiya app ney ussay dekha jiss ney mun mor liya

[34] Aur boht kuin diya aur hath kio rok liya

[35] Kiya ussay ilm-e-ghaib hai kay woh (sab kuch) dekh raha hai

[36] Kiya ussay iss cheez ki khabar nahi di gaee jo musa (alh-e-salam) kay kay

[37] Aur wafadaar Ibrahim (alh-e-salam) kay saheefon mein tha

[38] Kay koi shaks kissi doosray ka bojh na uthayega

[39] Aur yeh kay her insan kay liye sirf wohi hai jiss ki kosish khud uss ney ki

[40] Aur yeh kay be-shak uss ki kosish unqareeb dekhi jayegi

[41] Phir ussay poora poora badla diya jayega

[42] Aur yeh kay aap kay rab hi ki taraf phonchna hai

[43] Aur yeh kay wohi hansata hai aur wohi rulata hai

[44] Aur yeh kay wohi maarta hai aur jilata hai

[45] Aur yeh kay ussi ney jora yani nar-o-mada peda kiya hai

[46] Nutfay say jabkay woh tapkaya jata hai

[47] Aur yeh kay ussi kay zimmey doobara peda kerna hai

[48] Aur yeh kay wohi maaldar banata hai aur sarmaya deta hai

[49] Aur yeh kay wohi sheyara (sitaray) ka rab hai

[50] Aur yeh kay ussi ney aad awwal ko halak kiya hai

[51] Aur samood ko bhi (jin men say) aik ko bhi baqi na rakha

[52] Aur iss say pehlay Qom-e-nooh ko yaqeenan woh baray zalim aur sirkash thay

[53] Aur motafiqa (shehar ya utti hui bastiyon ko) ussi ney ulat diya

[54] Phir uss per cha diya jo chaya

[55] Pus aey insan tu apney rab ki kiss neimat kay baray mein jhagray ga

[56] Yeh (nabi) daranay walay hain pehlay daramay walon mensay

[57] Aanay wali ghari qareeb aagaee hai

[58] Allah kay siwa iss ka (waqt moayyen per khol) dikhaney wala koi nahi

[59] Pus tum kiya iss baat say tajjub kertay ho

[60] Aur hans rahey ho? rotay nahi

[61] (Bulkay) tum khel rahey ho

[62] Abb Allah kay samney sajday kero aur (ussi ki) ibadat kero

القمر

Surah 54

[1] Qayamat qareeb agaee aur chand phat gaya

[2] Yeh agar koi mojzza dekhtay hain to mun pher letay hain aur kehdetay hain. kay yeh pehlay say chala aata hua jadoo hai

[3] inhon ney jhutlaya aur apni khuwaishon ki pairwi ki aur her kaam theray huye waqt per muqarrar hai

[4] yaqeenan inn kay pass woh khabren aa chuki hain jin mein dant dapat (ki naseehat) hai

[5] Aur kamil aqal ki baat hai lekin in darawni baaton ney bhi kuch faeedah na diya

[6] Pus (aey nabi) tum inn say aeyraaz kero jiss din aik pukarnay wala nagawaar cheez ki taraf pukaray ga

[7] yeh jhuki aankhon qabron say iss tarah nikal kharay hongay kay goya woh phela hua taddi dal hai

[8] Pukarnay walay ki taraf dortay hongay aur kafir kahengey yeh din to boht sakht hai

[9] Inn say pehlay qom-e-nooh ney bhi humaray banday ko jhulaya tha aur deewana batla ker jhirak diya gaya tha

[10] Pus uss ney apney rab say dua ki kay mein beybus hun tu meri madad ker

[11] Pus hum ney aasman kay darwazon ko zor kay menh say khol diya

[12] Aur zamin say chashmon ko jaari kerdiya pus uss kaam kay liye jo muqaddar kiya gaya tha (dono) paani jama hogaye

[13] Aur hum ney issay takhton aur keelon wali (kashti) per sawar kerliya

[14] Jo humari aankhon kay samnay chal rahi thi badla uss ki taraf say jiss ka kufur kiya gaya tha

[15] Aur be-shak hum ney iss waqaey ko nishani bana ker baqi rakha pus koi hai naseehat hasil kerney wala

[16] Batao mera azab aur meri daraney wali baaten kaisi rahen

[17] Aur be-shak hum ney quran ko samajhney kay liye aasan kerdiya hai pus kiya koi naseehat hasil kerney wala hai

[18] Qom-e-aad ney bhi jhutlaya pus kaisa hua mera azab aur meri daraney wali baten

[19] Hum ney unn per tez-o-tund musalsal chalney wali hawa aik peham manhoos din mein bhej di

[20] Jo logon ko utha utha ker dey patakhti thi goya kay woh jarr say katey huye khajoor kay taney hain

[21] Pus kaisi rahi meri saza aur mera darana

[22] Yaqeenan hum ney quran ko naseehat kay liye aasan kerdia hai pus kiya koi hai naseehat hasil kerney wala

[23] Qom-e-samood ney daraney walon ko jhutlaya

[24] Aur kehney lagay kiya humi mein say aik shaks ki hum farmanbardaari kerney lagen? tab to hum yaqeenan ghalati aur deewangi mein paray huye hongey

[25] Kiya humaray sab kay darmiyan sirf issi per wahi utaari gaee nahi bulkay woh jhoota shekhi khor hai

[26] Abb sab jaan lengey kal ko kay kon jhoota aur shekhi khor tha

[27] Be-shak hum unki aazmaeesh kay liye untni bhejen gey pus (aey saleh) tu inka muntazir reh aur sabar ker

[28] Han enhen khabar kerdey kay paani in mein taqseem shuda hai her aik apni baari per hazir hoga

[29] Unhon ney apney sathi ko awaz di jiss ney (untni per) waar kiya aur (uss ki) kochen kaat den

[30] Pus kiyon ker hua mera azab aur mera darana

[31] Hum ney unn per aik cheekh bheji pus aisay hogaye jaisay baar bananay walay ki rondhi hui ghaas

[32] Aur hum ney naseehat kay liye quran ko aasan kerdia hai pus kiya hai koi jo naseehat qabool keray

[33] Qom-e-Loot ney bhi daraney walon ki takzeeb ki

[34] Be-shak hum ney unn per pathar barsaney wali hawa bheji siwaye loot(alh-e-salam) kay ghar walon kay waqt nijat deydi

[35] Apney ehsan say her her shukarguzaar ko hum issi tarah badla detay hain

[36] Yaqeenan loot (alh-e-salam) ney unhen humari pakar say daraya tha lekinunhon ney daraney walon kay baray mein (shak-o-shuba aur) jhagra kiya

[37] Aur inn loot (alh-e-salam) ko unkay mehmanon kay baray mein phuslaya pus hum ney unki aankhen andhi kerden (aur kehdia) mera azab aur mera darana chakho

[38] Aur yaqeeni baat hai kay unhen subah saweray hi aik jagah pakarney walay muqarra azab ney ghaarat kerdia

[39] Pus meray azab aur meray darawey ka maza chakho

[40] Aur yaqeenan hum ney quran ko Pind-o-waaz kay liye aasan kerdia hai pus kiya koi hai naseehat pakarney wala

[41] Aur firaoniyon kay pass bhi daraney walay aaye

[42] Unhon ney humari tamamnishaniyan jhutlayen pus hum ney unhen baray ghalib qavi pakarney walay ki tarah pakar liya

[43] (Aey qureshiyo!) kiya tumharay kafir inn kafiron say kuch behtar hain? ya tumharay liye agli kitabon mein chutkara likha hua hai

[44] Ya yeh kehtay hain kay hum ghalba panay wali janat hain

[45] Unqareeb yeh jamat shikast di jayegi aur peeth deyker bhagey gi

[46] Bulkay qayamat ki ghari unkay waday kay waqt hai aur qayamat bari sakht aur kerwi cheez hai

[47] Be-shak gunehgaar gumrahi mein aur azab mein hain

[48] Jiss din woh apney mun kay bal aag mein ghaseetay jayen gey.(aur unn say kaha jayega) dozakh ki aag lagney kay mazay chakho

[49] Be-shak hum ney her cheez ko aik (muqarra) andazay per peda kia hai

[50] Aur humara hukum sirf aik dafa (ka aik kalma) hi hota hai jaisey aankh ka jhapakna

[51] Aur hum ney tum jaisey bohteron ko halak kerdia hai pus koi hai naseehat lenay wala

[52] Jo kuch enhon ney (aemaal) kiye hain sab naam-e-aemaal mein likhay huye hain

[53] (Issi tarah) her choti bari baat bhi likhi hui hai

[54] Yaqeenan humara darr rakhney walay jannaton aur neharon mein hongay

[55] Raasti aur izzat ki bethak mein qudrat walay badshah kay pass

الرحمٰن

Surah 55

[1] Rehman ney

[2] Quran sikhaya

[3] Ussi ney insan ko peda kiya

[4] Aur ussay bolna sikhaya

[5] Aftab aur mahtab (muqarra) hisab hain

[6] Aur sitaray aur darakht dono sajdah kertay hain

[7] Ussi ney aasman ko buland kiya aur ussi ney tarazoo rakhi

[8] Takay tum tolnay mein tajawuzz na kero

[9] Insaf kay sath wazan ko theek rakho aur tol mein kum na do

[10] Aur ussi ney makhlooq kay liye zameen bichadi

[11] Jiss mein meway hain aur khoshay walay khajoor kay darakht hain

[12] Aur bhuss wala anaj hai aur khushboodar phool hain

[13] Pus (aey insano aur jinno!) tum apney perwerdigaar ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[14] Uss ney insan ko bajney wali mitti say peda kiya jo theekri ki tarah thi

[15] Aur jinnaat ko aag kay sholay say peda kiya

[16] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[17] Woh rab hai dono mashriqon aur dono maghribon ka

[18] To(aey jinno aur insano) tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[19] Uss ney do darya jaari kerdiye jo aik doosray say nil jaatay hain

[20] Inn dono mein aik aar hai kay uss say barh nahi saktay

[21] Pus apney perwerdigaar ki kon kon si nemat ko jhutlao hey

[22] Inn dono mein say miti aur mongey baraamad hotay hain

[23] Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[24] Aur Allah hi ki (milkiyat mein) hain woh jahaaz jo samandaron mein pahaar ki tarah buland (chal phir rahey) hain

[25] Pus (aey insano aur jinno!) tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[26] Zamin per jo hain sab fana honay walay hain

[27] Sirf teray rab ki zaat jo azmat aur izzat wali hai baqi reh jayegi

[28] Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[29] Sab aasman-o-zamin walay ussi say maantay hain her roz woh aik shaan mein hai

[30] Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[31] (Jinno aur insanon kay giroho!) unqareeb hum tumhari taraf poori tarah mutawajja hojayen gey

[32] Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhut ao gey

[33] Aey giroh-e-jinnaat-o-insan! zamin kay kinaron say bahir nikal janay ki taqat hai to nikal bhago! baghair ghalba aur taqat kay tum nahi nikal saktay

[34] Phir apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[35] Tum per aag kay sholay aur dhuwan chora jayega phir tum muqabla na ker sako gey

[36] Phir apney rab ki nematon mein say kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[37] Pus jabkay aasman phat ker surkh hojaye jaisay kay surkh chamra

[38] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[39] Uss din kissi insan aur kissi jinn say uss kay gunahon ki pursish na ki jayegi

[40] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[41] Gunahgaar sirf huliye say hi pehchan liye jayen gey aur unki peshaniyon kay baal aur qadam pakar liye jayen gey

[42] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[43] Yeh hai woh jahannum jissay mujrim jhoota jaantay thay

[44] Uss kay aur kholtay huye garum paani kay darmiyan chakkar khayen gey

[45] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[46] Aur uss shaks kay liye jo apney rab kay samnay khara honay say dara do jannaten hain

[47] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[48] (Dono jannaten) boht si tehniyon aur shakhon wali hain

[49] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[50] Inn dono (jannaton) mein behtay huye chashmay hain

[51] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[52] Inn dono jannaton mein her qisam kay mewon ki do qismen hongi

[53] Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[54] Jannati aisay farashon per takkiya lagaye huye hongay jinkay astar dabeez resham kay hongay aur inn dono jannaton kay meway bilkul qareeb hongay

[55] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlaogey

[56] Wahan (sharmeeli) neechi nigah wali hooren hain jinhen unn say pehlay kissi jinn-o-ins ney hath nahi lagaya

[57] Pus apney paalnay walay ki kiss kiss nemat ko jhtlao gey

[58] Woh hooren misil yaqoot aur mongay kay hongi

[59] Pus tum apney perwerdigaar ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[60] Ehsan ka badla ehsan kay siwa kiya hai

[61] Pus apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[62] Aur inn kay siwa do jannaten aur hain

[63] Pus tum apney perwerish kernay walay ki kiss nemat ko jhutlao gey

[64] Jo dono gehri sabz siyahi maeel hain

[65] Batao abb apney perwerdigaar ki kiss kiss nemat ko jhtlao gey

[66] Inn mein do(josh say) ubalnay walay chashmay hain

[67] Phir tum apney rab ki kon konsi nemat ko jhutlao gey

[68] Inn dono mein meway aur khajoor aur anaar hongay

[69] Kiya abb bhi rab ki kissi nemat ki takzeeb tum kerogay

[70] Inn mein nek seerat khoobsurat orten hain

[71] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[72] (gori rangat ki) hooren jannati khemon mein rehnay waaliyah hain

[73] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[74] Unnko hath nahi lagaya kissi insan ya jinn ney iss say qabal

[75] Pus apney perwerdigaar ki kon konsi nemat ko jhtlao gey

[76] Sabz masnadon aur undah farshon per takkiya lagaye huye hongay

[77] Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey

[78] Teray perwerdigar ka naam ba barkat hai jo izzat-o-jalal wala hai

الواقعہ

Surah 56

[1] Jab Qayamat qaeem hojaye gi

[2] Jiss kay waqaye honay mein koi jhoot nahi

[3] Woh pust kernay wali aur buland kernay wali hogi

[4] Jab kay zameen zalzala kay sath hila di jayegi

[5] Aur pahar bilkul reza reza kerdiye jayen gey

[6] phir woh misil paragandah ghubaar kay hojayen gey

[7] Aur tum teen jamaton mein hojaogey

[8] pus dahanay hath walay kaisay achay hain dahanay hath walay

[9] Aur bayen hath walay kiya haal hai bayen hath walon ka

[10] Aur jo aagey walay hain woh to aagay walay hi hain

[11] Woh bilkul nazdeeki haasil kiye hain

[12] Nematon wali jannaton mein hain

[13] (Boht bara) giroh to aglay logon mein say hoga

[14] Aur thoray say pechlay. logon mein say

[15] yeh log sonay kay taaron say banay huye takhton per

[16] aik doosray kay samnay takiya lagaye bethay hongay

[17] Inn kay pass aisay larkay jo humesha(larkay hi) rahen gey aamdoraft keren gey

[18] Aabkhoray aur jug ley ker aur aisa jaam ley ker jo behti hui sharab say pur ho

[19] jiss say na sir mein dard ho na aqal mein fatoor aaye

[20] Aur aisay meway liye huye jo inki pasand kay hon

[21] Aur parindon kay gosht joenhein marghoob hon

[22] Aur bari bari aankhon wali hoorien

[23] Jo chupay huye motiyon ki tarah hain

[24] Yeh sila hai unkay aemaal kal

[25] Na wahan bakwas sunein gey aur na gunnah ki baat

[26] Sirf salam hi salam ki awaz hogi

[27] Aur dahanay hath walay kiya hi achay hain dahanay hath walay

[28] Woh baghair kanton ki bairiyon

[29] Aur teh ba teh keelon

[30] Aur lambay lambay sayon

[31] Aur behtay huye paaniyon

[32] Aur ba-kasrat phalon main

[33] Jo na khatam hon na rok liye jayen

[34] Aur unchay unchay farshon mein hongay

[35] Hum ney unn(Ki biwiyon ko) khaas tor per banaya hai

[36] Aur hum ney unhen kanwariyan banadiya hai

[37] Mohabbat waliyan aur hum umar hain

[38] Dayen hath walon kay liye hain

[39] jamm-e-ghafeer aglon main say

[40] Aur boht bari jamat hai pichlon main say

[41] Aur bayen hath walay kiya hai bayen hath walay

[42] Garum hawa aur garum paani mein (hongey)

[43] Aur siyah dhuyen kay saye mein

[44] Jo na thanda hai na farhat buksh

[45] Be-shak yeh log iss say pehlay boht nazon mein palay huye thay

[46] Aur baray baray gunahon per israr kertay thay

[47] Aur kehtay thay kay kiya jab hum mar jayengey aur mithi aur haddi hojayengey to kiya hum phir doobara utha kharay kiye jayeugey

[48] Aur kiya humaray aglay baap dada bhi

[49] Aap keydijiye kay yaqeenan sab aglay aur pichlay

[50] zaroor jama kiye jayegey aik muqarra din kay waqt

[51] Phir tum aey gumraho jhutlanay walon

[52] Albatta khanay walay ho thoher ka darakht

[53] Aur ussi say pet bharnay walay ho

[54] Phir uss per garum kholta paani peenay walay ho

[55] Phir peenay walay bhi piyasay unton ki tarah

[56] Qayamat kay din unki mehmaain yeh hai

[57] Hum hi ney tum sab ko peda kiya hai phir tum bawer nahi kertay

[58] Acha phir yeh to batlao kay jo mani tum tapkatay ho

[59] kiya uss ka (insane) tum banatay ho ya peda kernay walay hum hi hain

[60] Hum hi ney tum mein mot ko mutaeyen kerdiya hai.aur iss say haray huye nahi hain

[61] Kay tumhari jagah tum jaisay aur peda kerden. aur tumhen naye siray say uss aalam mein peda keren jiss say tum (bilkul) beykhabar ho

[62] Tumhen yaqeeni tor per pehli dafa ki pedaaeesh maloom hi hai phir kiyon ibrat hasil nahi kertay

[63] Acha phir yeh bhi batlao kay tum jo kuch botay ho

[64] Ussay tum hi ugatay ho ya hum uganay walay hain

[65] Agar hum chahyen to ussay reza reza ker dalen aur tum heyrat kay sath baten banatay hi reh jao

[66] Kay hum per to tawaan hi par gaya

[67] Bulkay hum bilkul mehroom hi reh gaye

[68] Acha yeh batao kay jiss pani ko tum peetay ho

[69] Ussay baadlon say bhi tum hi utartay ho ya hum barsatay hain

[70] Agar humari mansha hoto hum issay kerwa zehar kerden phir tum humari shukar guzari kiyon nahi kertay

[71] Acha zara yeh bhi batao kay jo aag tum sulgatay ho

[72] Iss kay darakht ko tum ney peda kiya hai ya hum uss kay peda kernay walay hain

[73] Hum ney issay sabab-e-naseehat aur musafiron kay faeeday ki cheez banaya hai

[74] Pus apney boht baray rab kay naam ki tasbeeh kiya kero

[75] Pus mein qasam khata hun sitaron kay girnay ki

[76] Aur agar tumhen ilm hoto yeh boht bari qasam hai

[77] Kay be-shak yeh quran boht bari izzat wala hai

[78] Jo aik mehfooz kitab mein darj hai

[79] Jissay sirf pak log hi chu saktay hain

[80] Yeh rabul aalameen ki taraf say utra hua hai

[81] Pus kiya tum aisa baat ko sirsari (aur mamooli) samajh rahe ho

[82] Aur apney hissay mein yehi letay ho kay jhutlatey phiro

[83] Pus jabkay rooh narkharay tak phonch jaye

[84] Aur tum uss waqt aankhon say dekhtay raho

[85] Hum uss shaks say banisbat tumharay boht ziyadah qareeb hotay hain lekin tum nahi dekh saktey

[86] Pus agar tum kissi kay zair-e-farman nahi

[87] Aur iss qol mein sachay hoto (zara) iss rooh ko to lotao

[88] Pus jo koi barah-e-elaahi say qareeb kiya hua hoga

[89] Ussay to rahat hai aur ghizayen hain aur aaram wali jannat hai

[90] Aur jo shaks dahanay walon mein say hai

[91] To bhi salamti hai teray liye kay tu dahanay walon mein say hai

[92] Lekin agar koi jhut lanay walon gumrahaon mein say hai

[93] To kholtay huye garum pani ki mehmaani hai

[94] Aur dozakh mein jana hai

[95] Yeh khabar sirasir haq aur qaton yaqeeni hai

[96] Pus tu apney azeem-ul-shaan perwerdigar ki tasbeeh ker

الحدید

Surah 57

[1] Aasmanon aur zamin mein jo hai (Sub) Allah ki tasbeeh ker rahey hain woh zabardast ba-hikmat hai

[2] Aasmanon aur zamin ki badshahat ussi ki hai.woh hi zindagi deta hai aur mot bhi aur woh her cheez per qadir hai

[3] Wohi pehlay hai aur wohi peechay wohi zahir hai aur wohi makhfi aur woh her cheez ko bakhoobi janney wala hai

[4] Wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh (6) din mein peda kiya phir arsh per mustawi hogaya Woh (Khoob) jaanta hai uss cheez ko zamin mein jaye aur jo uss say niklay aur jo aasmanoon say neechay aaye. aur jo kuch Charh ker uss mein jaye aur jahan kahin tum ho woh tumharay sath hai aur jo tum kerahey ho Allah dekh raha hai

[5] Aasmanoon ki aur zamin ki baadshahi ussi ki hai aur tamam kaam ussi ki taraf lotaye jatay hain

[6] Wohi raat ko din mein lejata hai aur wohi din ko raat mein dakhil kerdeta hai aur seenoon kay bhedon ka woh poora aalim hai

[7] Allah per aur uss kay raool per eman ley aao aur uss maal mein say kharch kero jiss mein Allah ney tumhen doosron ka janasheen banaya hai pus jo tum mein say eman leyen aur kheraat keren unhen boht bara sawab milay ga

[8] Tum ALLAH per eman kiyon nahi latay ? Halankay khud rasool tumhen apney rab per eman lanay ki dawat dey raha hai agar tum momin ho to who to tum say mazboot ehad-o-paymaan bhi ley chukka hai

[9] Woh (ALLAH) hi hai jo apney banday per wazeh aayaten utaarta hai takay who tumhen andheron say noor ki taraf ley jaye yaqeenan ALLAH taalaa tum per narmi kernay wala reham kernay wala hai

[10] kertay' darasal aasmanon our zamin ke meeress ka malik (tanha) Allah hi hai tum main say jin logo ney fatah say pehlay fi subilillah diya hai our qitaal kiya hai woh (doosron kay) barabar nahi bulkay unn say boht baray darjay kay hain jinhon nay fatah kay baad kheyraaten den our jahad kiyey haan bhalaee ka wada to Allah taalaaka unn sab say hai jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah khabardaarhai

[11] Kon hai jo Allah taalaa ko achi tarah qarz dey phir Allah Taalaa issay uss kay liye barhata chala jaye our uss kay liye pasandeedah ajar sabit hojaye

[12] (Qayamat Kay) din tu dekhay ga kay momin mardo our orton ka noor unn kay aagay aagay our unkay dayen dor raha hoga aaj tumhen inn jannaton ki khushkhabri hai jinkay neechay nehren jaari hain jin main humesha ki rehaeesh hai yeh hai bari kaamyabi

[13] Uss din munafiq mard-o-orat eman walon say kahan gay kay humara intizar to kero kay hum bhi tumharay noor say kuch roshni hasil kerlen jawab diya jayega kay tum apney peechay lot jao our roshni talash kero phir inkay our unkay darmiyan aik deewar haaeel kerdi jayegi jiss main darwaaza bhi hoga uss kay androoni hissay main to rehmathogi our bahir ki taraf azab hoga

[14] Yeh chilla chilla ker unn say kahen gey kay kiya hum tumharay sath na thay woh kahengay kay haan thay to sahi lekin tum ney apney app ko fitnay mein phansa rakha tha our intizar mein hi rahey our shak-o-shuba kertay raheyour tumhen tumhari fazool tamannao ney dhokay mein hi rakha yahan tak kay Allah ka hukum aa phoncha our tumhen Allah kay baray mein dhoka denay walay ney dhokay mein hi rakha

[15] Algharz aaj tum say na fidya (aur na badla) qabool kiya jayega our na kafiron say tum (sab) ka thikana dozakh hai wohi tumhari rafiq hai our woh bura thikana hai

[16] Kiya abb tak eman walon kay liye waqt nahi aaya kay unkay dil zikar-e-elaahi say our our jo haqutar chuka hai uss say narum hojayen our unki tarah na hojayen jinhen unn say pehlay kitab di gaee thi phir job inn per aik zamana dorazguzer gaya to unkay dil sakht hogaye our inn mein boht say faasiq hain

[17] Yaqeen mano Allah hi zamin ko uss ki mot kay baad zinda kerdeta hai hum ney to tumharay liye apni aayaten biyan kerdin takay tum samjho

[18] Be-shak sadqa denay walay mard our sadqa denay wali orten our jo Allah ko khuloos kay sath qarz dey rahey hain unkay liye yeh barhaya jayega our unn kay liye pasandeedah ajar-o-sawab hai

[19] Allah our uskay rasool per jo eman rakhtay hain wohi log apney rab kay nazdeek siddiq our shaheed hain unkay liye unka ajar our unka noor hai our jo log kufur kertay hain our humari aayaton ko jhutlatay hain woh jahannomi hain

[20] Khoob jaan rakho kay duniya ki zindagi sirf khel tamasha zeenat aor aapas main fakhar (o-ghuroor) our maal-o-olad main aik ka doosary say apney aap ko ziyadah batlana jaisay barish aur iss ki padawaar kisanon ko achi maloom hota hai phir job woh khushk hojati hai to zard rang main iss ko tum dejhtey ho phir woh bilkul choora choora hojatai hai our aakhirat main sakht azab aur Allah ke maghfirat our razamandi hai our duniya ki zundagi ba-juz dhokay kay saman kay our kuch bhi to nahi

[21] (Aao) doro apney rab ki maghfirat ki taraf our uss jannat ki taraf jiss ki wussat kay barabar hai yeh unkay liye banaee gaee hai jo Allah per aur uskay rasoolon per eman rakhtay hain yeh Allah ka fazal hai jissay chahye dey aur Allah bara fazl wala hai

[22] Na koi museebat duniya main aati hai na (Khaas) tumhari jaanon main magar iss say pehlay kay hum usko peda keran woh aik khaas kitab main likhi hui hai yeh (kaam) Allah taalaa per (bilkul)aasan hai

[23] Takay tum apney say fol shuda kissi cheez per ranjeedah na hojoya kero our na attakerdah cheez per itra jao.our itranay walay shekhi khoron ko Allah pasand nhifarmata

[24] Jo (khud bhi) bulkul keren aur doosron ko (bhi) bulkhul ki taleem dea Suno! jo bhi main pheray Allah beyniaz aur sazawaar hamd-o-sana hai

[25] yaqeenan hum ney apney payghambaron ko khuli doleelen dey ker bheja our unkay sath kitab our meean nazilfarmaya. takay log adal per qaeem rahein aur hum ney lohey ko utara jiss mein sakht hebat-o-qooat hai aur logon kay liye aur bhi (boht say) faeeday hain aur iss liye bhi kay ALLAH jaan ley kay uski aur uss kay rasoolon ki madad bey dekhay kon kerta hai be-shak ALLAH qooat wala aur zabardast hai

[26] Be-shak hum ney nooh aur ibrahim (aleh-e-salam) ko (payghumber banaker) bheja aur hum ney inn dono ki olad mein payghumbari aur kitab jari rakhi to inn mein say kuch to raah yafta huye aur inn mein say aksar boht nafarman rahey

[27] Inn kay baad phir bhi hum apney rasoolon ko pay-dar-pay bhejtay rahey aur inn kay baad Essa bin mariyum(aleh-e-salam) ko bheja aur unhen injeel ata farmaee aur unn kay mannay walon kay dilon mein shafqat aur reham peda kerdiahaan rehbaniyat (tark-e-duniya) to un logon ney unn per issay wajib na kiya tha siwaye ALLAH ki raza joee kay so so unhon ney iss ki poori riyat na ki phir bhi hum ney unn mein say jo eman laye thay unhen unka ajar diya aur unn mein ziyadaah tar log nafarman hain

[28] Aey woh logon jo eman laye ho ALLAH say dartay raha kero aur uss kay rasool per eman lao ALLAH tumhen apni rehmat ka dohra hissa dey ga aur tumhen noor dey ga jiss ki roshni mein tum chalo gey phiro gey aur tumharay gunah bhi moaaf farma dey ga ALLAH bakshnay wala meharbaan hai

[29] yeh iss liye kay ehl-e-kitab jaan lein kay ALLAH kay fazal kay kissi hissay per bhi unhen ikhtiyar nahi aur yeh kay (sara) fazal ALLAH hi kay hath hai woh jissay chahye dey aur ALLAH hai hi bara fazal wala

المجادلہ

Surah 58

[1] Yaqeenan Allah Taalaa ney uss aurat ki baat suni jo tujh say apney shoher kay baray mein takraar ker rahi thi aur Allah kay aagay shikayat ker rahi thi Allah Taalaa tum dono kay sawal-o-jawab sunn raha tha be-shak Allah Taalaa sunnay dekhney wala hai

[2] Tum mein say jo log apni biwiyon say zahaar kertay hain (yani unhen maa keh bethtay hain) woh dar asal unn ki maayen nahi bann jatin unn ki maayen to wohi hain jin kay batan say woh peda huye yaqeenan yeh log aik na maqool aur jhooti baat kehtay hain be-shak Allah Taalaa moaf kerney wala aur bakshney wala hai

[3] Jo log apni biwiyon say zahaar keren phir apni kahi hui baat say rujoo ker len to unn kay zimmay aapas mein aik doosray ko haath laganey say pehlay aik ghulam aazad kerna hai iss kay zariye tum naseehat kiye jatay ho aur Allah Taalaa tumharay tamam aemaal say ba khabar hai

[4] Haan jo shaks na paye uss kay zimmay do maheenon kay laga taar rozay hain iss say pehlay kay aik doosray ko haath lagayen aur jiss shaks ko yeh taqat bhi na ho uss per saathh (60) miskeenon ka khana khilana hai. Yeh iss liye kay tum Allah ki aur uss kay rasool ki hukum bardari kero yeh Allah Taalaa ki muqarrar kerda hadden hain aur kuffaar hi kay liye dard naak azab hai

[5] Be-shak jo log Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat kertay hain woh zaleel kiye jayen gay jaisay unn say pehlay kay log zaleel kiye gaye thay aur be-shak hum wazeh aayaten utaar chuken hain aur kafiron kay liye to zillat wala azab hai

[6] Jiss din Allah Taalaa inn sab ko uthaye ga phir enhen unn kay kiye huye aemaal say aagah keray ga jissay Allah ney shumar ker rakha hai aur jissay yeh bhool gaye thay aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai

[7] Kiya tu ney nahi dekha kay Allah aasmanon ki aur zamin ki her cheez say waqif hai. Teen aadmiyon ki sirgoshi nahi hoti magar Allah unn ka chotha hota hai na paanch ki magar unn ka chatha (6th) woh hota hai aur na iss say kum ki aur na ziyada ki magar woh sath hi hota hai jahan bhi woh hon phir qayamat kay din unhen unn ka aemaal say aagah keray ga be-shak Allah Taalaa her cheez say waqif hai

[8] Kiya tu ney unn logon ko nahi dekha? Jinhen kaana phoosi say rok diya gaya tha woh phir bhi iss rokay huye kaam ko doobara kertay hain aur aapas mein gunah ki aur zulm-o-ziyadti ki aur na farmaniy-e-payghumbar ki sirgoshiyan kertay hain aur jab teray pass aatay hain to tujhay inn lafzon mein salam kertay hain jin lafzon mein Allah Taalaa ney nahi kaha aur apney dil mein kehtay hain kay Allah Taalaa humen iss per jo hum kehtay hain saza kiyon nahi deta inn kay liye jahannum kafi (saza) hai jiss mein yeh jayen gay so woh bura thikana hai

[9] Aey eman walo! Tum jab sirgoshi kero to yeh sirgoshiyan gunah aur zulm (ziyadti) aur na farmaniy-e-payghumbar ki na hon bulkay neki aur perhezgari ki baaton per sirgoshi kero aur uss Allah say dartay raho jiss kay pass tum jama kiye jao gay

[10] (buri) sirgoshiyan pus shetani kaam hai jiss say eman daaron ko ranj phonchay. Go Allah Taalaa ki ijazat kay baghair woh enehn koi nuksan nahi phoncha sakta aur eman walon ko chahaiye kay woh Allah per bharosa rakhen

[11] Aey musalmano! Jab tum say kaha jaye kay majlison mein zara kushagi peda kero to tum jagah kushada kerdo Allah tumhen kushadgi dey ga aur jab kaha jaye kay uth kharay hojao to tum uth kharay hojao Allah Taalaa tum mein say unn logon kay jo eman laye hain aur jo ilm diye gaye hain darjay buland ker dey ga aur Allah Taalaa (her uss kaam say) jo tum ker rahey ho (khoob) khabardaar hai

[12] Aey musalmano! Jab tum rasool (PBUH) sau sirgoshi kerna chahao to apni sirgoshi say pehlay kuch sadqa dey diya kero yeh tumharay haq mein behtar hai haan agar na pao to be-shak Allah Taalaa bakshney wala meharban hai

[13] Kiya tum apni sirgoshi say pehlay sadqa nikalney say darr gaye? Pus jab tum ney na kiya aur Allah Taalaa ney bhi tumhen moaf farma diya to abb (ba khoobi) namazon ko qaeem rakho zakat detay raha kero aur Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki tabey daari kertay raho iss (sab) say Allah (khoob) khabardaar hai

[14] Kiya tu ney unn logon ko nahi dekha? Jinhon ney uss qom say dosti ki jin per Allah ghazab naak ho chuka hai na yeh (munafiq) tumharay hi hain na unn kay hain ba wajood ilm kay phir bhi jhoot per qasmen kha rahey hain

[15] Allah Taalaa ney inn kay liye sakht azab tayyar ker rakha hai tehqeeq yeh jo kuch ker rahey hain bura ker rahey hain

[16] Inn logon ney to apni qasmon ko dhaal bana rakha hai aur logon ko Allah ki raah say roktay hain inn kay liye ruswa kerney wala azab hai

[17] Inn kay maal aur inn ki aulad Allah kay haan inn kay kuch kaam na aayen gi. Yeh to jahannumi hain hamesha hi iss mein rahen gay

[18] Jiss din Allah Taalaa inn sab ko utha khara keray ga to yeh jiss tarah tumharay samney qasmen khatay hain (Allah Taalaa) kay samney bhi qasmen khaney lagen gay aur samjhen gay kay woh bhi kissi (daleel) per hain yaqeen mano kay be-shak wohi jhootay hain

[19] Inn per shetan ney ghalba hasil ker liya hai aur enhen Allah ka zikar bhula diya hai yeh shetani lashkar hai koi shak nahi kay shetani lashkar hi khasaray wala hai

[20] Be-shak Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki jo log mukhalifat kertay hain wohi log sab say ziyada zaleelon main hain

[21] Allah Taalaa likh chuka hai kay be-shak mein aur meray payghumbar rahen gay. Yaqeenan Allah Taalaa zor aawar aur ghalib hai

[22] Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhney walon ko aap Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat kerney walon say mohabbat rakhtay huye hergiz na payen gay go woh unn kay baap ya unn kay betay ya unn kay bhai ya unn kay kunbay (qabeelay) kay (aziz) hi kiyon na hon. Yehi log hain jin kay dilon mein Allah Taalaa ney eman likh diya hai aur jin ki taeed apni rooh say ki hai aur jinhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jahan yeh hamesha rahen gay Allah inn say razi hai aur yeh Allah say khush hain yeh khudaee lashkar hai aagah raho be-shak Allah kay giroh walay hi kaamyaab log hain

الحشر

Surah 59

[1] Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur woh ghalib ba hikmat hai

[2] Wohi hai jiss ney ehal-e-kitab mein say kafiron ko unn kay gharon say pehlay hashar kay waqt nikala tumhara gumaan (bhi) na tha kay woh niklen gay aur woh khud (bhi) samajh rahey thay kay unn kay (sangeen) qilay unhen Allah (kay azab) say bacha len gay pus unn per Allah (ka azab) aisi jagah say aa para kay unhen gumaan bhi na tha aur unn kay dilon mein Allah ney rob daal diya aur apney gharon ko apney hi haathon ujaar rahey thay aur musalmanon kay haathon (barbad kerwa rahey thay) pus aey aankhon walo! Ibrat hasil kero

[3] Aur agar Allah Taalaa ney inn per jila watni ko muqaddar na ker diya hota to yaqeenan enhen duniya mein azab deta aur aakhirat mein (to) inn kay liye aag ka azab hai hi

[4] Yeh iss liye kay enhon ney Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki mukhalifat ki aur jo bhi Allah ki mukhalifat keray ga to Allah Taalaa bhi sakht azab kerney wala hai

[5] Tum ney khujooron kay jo darakht kaat dalay ya jinhen tum ney unn ki jaron mein baqi rehney diya. Yeh sab Allah Taalaa kay farmaan say tha aur iss liye bhi kay fasiqon ko Allah Taalaa ruswa keray

[6] Aur inn ka jo maal Allah Taalaa ney apney rasool kay haath lagaya hai jiss per na to tum ney ghoray doraye hain aur na oont bulkay Allah Taalaa apney rasool ko jiss per chahaye ghalib ker deta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai

[7] Bastiyon walon ka jo (maal) Allah Taalaa tumharay laray bhiray baghair apney rasool kay haath lagaye woh Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat walon ka aur yateemon miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay dolat mandon kay haath mein hi yeh maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen jo kuch rasool dey ley lo aur jiss say rokay ruk jao aur Allah Taalaa say dartay raha kero yaqeenan Allah Taalaa sakht azab wala hai

[8] (fey kaa maal) unn mohajir miskeenon kay liye hai jo apney gharon say aur apney maalon say nikal diye gaye hain woh Allah kay fazal aur uss ki raza mandi kay talabgaar hain aur Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki madad kertay hain yehi raast baaz log hain

[9] Aur (unn kay liye) jinhon ney iss ghar mein (yani madina) aur eman mein inn say pehlay jagah bana li hai aur apni taraf hijrat ker kay aaney walon say mohabbat kertay hain aur mohajireen ko jo kuch dey diya jaye iss say woh apney dilon mein koi tangi nahi rakhtay bulkay khud apney upper enhen tarjeeh detay hain go khud ko kitni hi sakht haajat ho (baat yeh hai) kay jo bhi apney nafs kay bukhul say bachaya gaya wohi kaamyaab (aur baa murad) hai

[10] Aur (unn kay liye) jo inn kay baad aayen jo kahen gay kay aey huamray perwerdigar humen baksh dey aur humaray unn bhaiyon ko bhi jo hum say pehlay eman laa chukay hain aur eman daaron ki taraf say humaray dil mein keena (aur dushmani) naa daal aey humaray rab be-shak tu shafqat aur meharbani kerney wala hai

[11] Kiya tu ney munfiqon ko na dekha? Kay apney ehal-e-kitab kafir bhaiyon say kehtay hain kay agar tum jila watan kiye gaye to zaroor bil zaroor hum bhi tumharay sath nikal kharay hongay aur tumharay baray mein hum kabhi bhi kissi ki baat na maanen gay aur agar tum say jang ki jaye gi to ba khuda hum tumhari madad keren gay lekin Allah Taalaa gawahi deta hai kay yeh qata’an jhootay hain

[12] Agar woh jila watan kiye gaye to yeh unn kay sath na jayen gay aur agar inn say jang ki gaee yeh inn ki madad (bhi) na keren gay aur agar (bil farz) madad per aa bhi gaye to peeth pher ker (bhaag kharay) hon gay phir madad na kiye jayen gay

[13] (musalmano! Yaqeen mano) kay tumhari heybat inn kay dilon mein ba nisbat Allah ki heybat kay boht ziyada hai yeh iss liye kay yeh bey samajh log hain

[14] Yeh sab mill ker bhi tum say larr nahi saktay haan yeh aur baat hai kay qila band muqamaat mein hon ya deewaron ki aarh mein hon inn ki laraeeto inn mein aapas mein hi boht sakht hai go aap enhen mutahid samajh rahey hain lekin inn kay dil dar asal aik doosray say juda hain iss lie kay yeh bey aqal log hain

[15] Unn logon ki tarah jo inn say kuch hi pehlay guzray hain jinhon ney apney kaam ka wabal chakh liya aur jin kay liye alam naak azab (tayyar) hai

[16] Shetan ki tarah kay uss ney insan say kaha kufur ker jab woh kufur ker chuka to kehney laga mein to tujh say bari hun mein to Allah rab-ul-aalameen say darta hun

[17] Pus dono ka anjam yeh hua kay aatish (dozakh) mein hamesha kay liye gaye aur zalimon ki yehi saza hai

[18] Aey eman walon! Allah say dartay raho aur her shaks dekh (bhaal) ley kay kal (qayamat) kay wastay uss ney (aemaal ka) kiya (zakheera) bheja hai. Aur (her waqt) Allah say dartay raho Allah tumharay sab aemaal say ba khabar hai

[19] Aur tum unn logon ki tarah mat ho jana jinhon ney Allah (kay ehkaam) ko bhula diya to Allah ney bhi unhen apni jano say ghafil ker diya aur aisay hi log na farmaan (faasiq) hotay hain

[20] Ehal-e-naar aur ehal-e-jannat (ba hum) barabar nahi. Jo ehal-e-jannat hain wohi kaamyaab hain (aur jo ehal-e-naar hain woh na kaam hain)

[21] Agar hum iss quran ko kissi pahar per utartay to tu dekhta kay khof-e-elahee say woh pust ho ker tukray tukray ho jata hum inn misalon ko logon kay samney biyan kertay hain takay woh ghor-o-fiker keren

[22] Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi chupay khulay ka jannay wala meharban aur reham kerney wala

[23] Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi badshah nihayat pak sab aeybon say saaf aman denay wala nighehbaan ghalib zor aawar aur baraee wala pak hai Allah unn cheezon say jinhen yeh uss ka shareek banatay hain

[24] Wohi Allah hai peda kerney wala wujood bakshney wala soorat bananey wala ussi kay liye (nihayat) achay naam hain her cheez khuwa woh aasman mein ho khuwa zamin mein ho uss ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai

الممتحنہ

Surah 60

[1] Aey woh logo jo eman laye ho! Meray aur (khud) apney dushmanon ko apna dost na banao tum to dosti say unn ki taraf payghaam bhejtay ho aur woh iss haq kay sath jo tumharay pass aa chuka hai kufur kertay hain payghumbar ko aur khud tumhen bhi mehaz iss waja say jila watan kertay hain kay tum apney rab per eman rakhtay ho agar tum meri raah mein jihad kay liye aur meri raza mandi ki talab mein nikaltay ho ( to inn say dostiyan na kero) tum inn kay pass mohabbat ka paygham posheeda posheeda bhejtay ho aur mujhay khoob maloom hai jo tum ney chupaya aur woh bhi jo tum ney zahir kiya tum mein say jo bhi iss kaam ko keray ga woh yaqeenan raah-e-raast say behak jaye ga

[2] Agar woh tum per kahin qaboo paa len to woh tumharay (khulay) dushman ho jayen aur buraee kay sath tum per dast darazi aur zaban darazi kerney lagen aur (dil say) chahaney lagen kay tum bhi kufur kerney lagg jao

[3] Tumhari qarabaten rishtay dariyan aur aulad tumhen qayamat kay din kaam na aayen gi Allah Taalaa tumharay darmiyan faisla ker dey ga aur jo kuch tum ker rahey ho ussay Allah khoob dekh raha hai

[4] (musalmano!) tumharay liye hazrat ibrahim mein aur unn kay sathiyon mein behtareen namoona hai jabkay unn sab ney apni qom say bar mala keh diya kay hum tum say aur jin jin ki tum Allah kay siwa ibadat kertay ho unn sab say bilkul bey zaar hain. Hum tumharay (aqaeed kay) munkir hain jab tak tum Allah ki wahadaniyat per eman na lao hum mein tum mein hamesha kay liye bughz-o-adawat zahir hogaee lekin ibrahim ki itni baat apney baap say hui thi kay mein tumharay liye istaghfaar zaroor keroon ga aur tumharay liye mujhay Allah kay samney kissi cheez ka ikhtiyar kuch bhi nahi. Aey humaray perwerdigar tujhi per hum ney bharosa kiya hai aur teri hi taraf rujoo kertay hain aur teri hi tarf lotna hai

[5] Aey humaray rab! Tu humen kafiron ki aazmaeesh mein na daal aur aey humaray paalney walay humari khataon ko bakhsh dey be-shak tu hi ghalib hikmat wala hai

[6] Yaqeenan tumharay liye inn mein acha namoona (aur umdah pairwi hai khaas ker) her uss shaks kay liye jo Allah ki aur qayamat kay din ki mulaqat ki umeed rakhta ho aur agar koi roo gardani keray to Allah Taalaa bilkul bey niaz hai aur saza waar hamd-o-sana hai

[7] Kiya ajab hai kay un qarib hi Allah Taalaa tum mein aur tumharay dushmanon mein mohabbat peda ker dey. Allah ko sab qudraten hain aur Allah (bara) ghafoor raheem hai

[8] Jin logon ney tum say deen kay baray mein laraee nahi lari aur tumhen jila watan nahi kiya unn kay sath salook-o-ehsan kerney aur munsifana bhalay bartao kerney say Allah Taalaa tumhen nahi rokta bulkay Allah Taalaa to insaf kerney walon say mohabbat kerta hai

[9] Allah Taalaa tumhen sirf unn logon ki mohabbat say rokta hai jinhon ney tum say deen kay baray mein laraiyan laren aur tumhen des nikalay diye aur des nikala denay walon ki madad ki jo log aisay kuffaar say mohabbat keren woh (qata’an) zalim hain

[10] Aey eman walo! Jab tumharay pass momin aurten hijrat ker kay aayen to tum unn ka imtehan lo. Dar asal unn kay eman ko ba khoobi janney wala to Allah hi hai lekin agar woh tumhen eman waliyan maloom hon to abb tum enhen kafiron ki taraf wapis na kero yeh unn kay liye halal nahi na woh inn kay liye halal hain aur jo kharach inn kafiron ka hua ho woh unhen ada kerdo inn aurton ko unn kay mehar dey ker inn say nikkah ker lenay mein tum per koi gunah nahi aur kafir aurton ki namoos apney qabzay mein na rakho aur jo kuch tum ney kharach kiya ho maang lo aur jo kuch inn kafiron ney kharach kiya ho woh bhi maang len yeh Allah ka faisla hai jo tumharay darmiyan ker raha hai Allah Taalaa baray ilm (aur) hikmat wala hai

[11] Aur agar tumhari koi biwi tumharay haath say nikal jaye aur kafiron kay pass chali jaye phir tumhen iss kay badlay ka waqt mill jaye to jin ki biwiyan chali gaeen hain unhen unn kay ikhrajaat kay barabar ada kerdo aur uss Allah Taalaa say dartay rahi jiss per tum eman rakhtay ho

[12] Aey payghumbar! Jab musalman aurten aap say inn baaton per bait kerney aayen kay woh Allah kay sath kissi ko shareek na keren gi chori na keren gi zina kaari na keren gi apni aulad ko naa maar dalen gi aur koi aisa bohtaan na bandhay gi jo khud apney haathon pairon kay sath gharr len aur kissi nek kaam mein teri bey hukmi na keren gi to aap inn say bait ker liya keren aur inn kay liye Allah say maghfirat talab keren be-shak Allah bakshney aur moaf kerney wala hai

[13] Aey musalmano! Tum uss qom say dosti na rakho jin per Allah ka ghazab nazil ho chuka hai jo aakhirat say iss tarah mayyus ho chukay hain jaisay kay murda ehal-e-qabar say kafir na umeed hain

الصّف

Surah 61

[1] Zamin-o-aasman ki her her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai

[2] Aey eman walo! Tum woh baat kiyon kehtay ho jo kertay nahi

[3] Tum jo kertay nahi uss ka kehna Allah Taalaa ko sakht na pasand hai

[4] Be-shak Allah Taalaa unn logon say mohabbat kerta hai jo uss ki raah mein saff basta jihad kertay hain goya woh seesa pilaee hui emaarat hain

[5] Aur (yaad kero) jabkay musa ney apni qom say kaha aey meri qom kay logo! Tum mujhay kiyon sata rahey ho halankay tumhen (ba khoobi) maloom hai kay mein tumhari janib Allah ka rasool hun pus jab woh log tairhay hi rahey to Allah ney unn kay dilon ko (aur) tairhaa ker diya aur Allah Taalaa na farman qom ko hidayat nahi deta

[6] Aur jab marium kay betay essa ney kaha aey (meri qom) bani israeel! Mein tum sab ki taraf Allah ka rasool hun mujh say pehlay ki kitab toraat ki mein tasdeeq kerney wala hun aur apney baad aaney walay aik rasool ki mein tumhen khushkhabri sunaney wala hun jin ka naam ahmed hai phir jab woh unn kay pass khuli daleelen laye to yeh kehney lagay yeh to khula jadoo hai

[7] Uss shaks say ziyada zalim aur kaun hoga jo Allah per jhoot (iftra) bandhay halankay woh islam ki taraf bulaya jata hai aur Allah aisay zalimon ko hidayat nahi kerta

[8] Woh chahtay hain kay Allah kay noor ko apney mun say bujha den aur Allah apney noor ko kamal tak phonchaney wala hai go kafir bura manen

[9] Wohi hai jiss ney apney rasool ko hidayat aur sacha deen dey ker bheja takay ussay aur tamam mazaahib per ghalib ker dey agar cheh mushrikeen na khush hon

[10] Aey eman walo! Kiya mein tumhen woh tijarat batla doon jo tumhen dard naak azab say bacha ley

[11] Allah Taalaa per aur uss kay rasool per eman lao aur Allah ki raah mein apney maal aur apni jaanon say jihad kero. Yeh tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho

[12] Allah Taalaa tumharay gunah moaf farma dey ga aur tumhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren jari hongi aur saaf suthray gharon mein jo jannat adan mein hon gay yeh boht bari kaamyabi hai

[13] Aur tumhen aik doosri (nemat) bhi dey ga jisay tum chahtay ho woh Allah ki madad aur jald fatah yaabi hai eman walon ko khushkhabri dey do

[14] Aey eman walo! Tum Allah key madadgar bann jao. Jiss tarah hazrat marium kay betay hazrat essa ney hawariyon say farmaya kay kaun hai jo Allah ki raah mein mera madadgar baney? Hawariyon ney kaha hum Allah ki raah mein madadgar hain pus bani israeel mein say aik jamat to eman laee aur aik jamat ney kufur kiya tum hum ney mominon ki unn kay dushman kay muqabley mein madad ki pus woh ghalib aagaye

الجمعہ

Surah 62

[1] (saari cheezen) jo aasmanon aur zamin mein hain Allah Taalaa ki paki biyan kerti hain (jo) badshah nihayat pak (hai) ghalib-o-ba hikmat

[2] Wohi hai jiss ney na khuanda logon mein inn hi mein say aik rasool bheja jo enhen uss ki aayaten parh ker sunata hai aur inn ko pak kerta hai aur enhen kitab-o-hikmat sikhata hai. Yaqeenan yeh iss say pehlay khuli gumrahi mein thay

[3] Aur doosron kay liye bhi unhi mein say jo abb tak inn say nahi milay aur wohi ghalib ba hikmat hai

[4] Yeh Allah ka fazal hai jissay chahaye apna fazal dey aur Allah Taalaa boht baray fazal ka maalik hai

[5] Jin logon ko toraat per amal kerney ka hukum diya gaya phir unhon ney uss per amal nahi kiya unn ki misal uss gadhay ki say hai jo boht si kitaben laaday ho. Allah ki baaton ko jhutlaney walon ki bari buri misal hai aur Allah (aisay) zalim qom ko hidayat nahi deta

[6] Keh dijiye kay aey yahudiyo! Agar tumhara daawa hai kay tum Allah kay dost ho doosray logon kay siwa to tum maut ki tamanna kero agar tum sachay ho

[7] Yeh kabhi bhi maut ki tamanna na keren gay ba waja unn aemaal kay jo apney aagay apney haathon bhej rakhay hain aur Allah zalimon ko khoob janta hai

[8] Keh dijiye kay jiss maut say tum bhagtay phirtay ho woh to tumhen phonch ker rahey gi pohir tum sab chupay khulay kay jannay walay (Allah) ki taraf lotaye jao gay aur woh tumhen tumharay kiye huye tamam kaam batla dey ga

[9] Aey woh logo jo eman laye ho! Jummay kay din namaz ki azan di jaye to tum Allah kay ziker kay taraf dor paro aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumharay haq mein boht hi behtar hai agar tum jantay ho

[10] Phir jab namaz ho chukay to zamin mein phel jao aur Allah ka fazal talash kero takay tum falah paa lo

[11] Aur jab koi soda biktay dekhen ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf dortay jatay hain aur aap ko khara hi chor detay hain aap keh dijiye kay Allah kay pass jo hai woh khel aur tijarat say behtar hai. Aur Allah Taalaa behtareen rozi rasan hai

المنافقون

Surah 63

[1] Tumharay pass jab munafiq aatay hain to kehtay hain kay hum iss baat kay gawah hain kay be-shak aap Allah kay rasool hain aur Allah janta hai yaqeenan aap uss kay rasool hain aur Allah gawahi deta hai kay yeh munafiq qata’an jhootay hain

[2] Enhon ney apni qasmon ko dhaal bana rakha hai pus Allah ki raah say ruk gaye be-shak bura hai woh kaam jo yeh ker rahey hain

[3] Yeh iss sabab say hai kay yeh eman laa ker phir kafir hogaye pus inn kay dilon per mohar ker di gaee abb yeh nahi samajhtay

[4] Jab aap enhen dekh len to inn kay jism aap ko khushnuma maloom hon yeh jab baaten kerney lagen to aap inn ki baaton per (apna) kaan lagayen goya kay yeh lakriyan hain deewar kay shaharay lagee huin her (sakht) aawaz ko apney khilaf samajhtay hain yehi haqeeqi dushman hain inn say bacho Allah enhen ghaarat keray kahan say phiray jatay hain

[5] Aur jab inn say kaha jata hai aao tumharay liye Allah kay rasool istaghfaar keren to apney sir matkatay hain aur aap dekhen gay kay woh takabbur kertay huye ruk jatay hain

[6] Inn kay haq mein aap ka istaghfaar kerna aur na kerna dono barabar hai Allah Taalaa enhen hergiz na bakshay ga be-shak Allah Taalaa (aisay) na farmaan logon ko hidayat nahi deta

[7] Yehi woh log hain jo kehtay hain kay jo log rasool-lullah kay pass hain unn per kuch kharach na kero yahan tak kay woh idhar udhar ho jayen aur aasman-o-zamin kay kul khazaney Allah Taalaa ki milkiyat hain lekin yeh munfiq bey samajh hain

[8] Yeh kehtay hain kay agar hum abb lot ker madina jayen gay to izzat wala wahan say zillat walay ko nikal dey ga. Suno! Izzat to sirf Allah Taalaa kay liye aur uss kay rasool kay liye aur eman daaron kay liye hai lekin yeh munafiq jantay nahi

[9] Aey musalmano! Tumharay maal aur tumhari auladen tumhen Allah kay ziker say ghafil na ker den aur jo aisa keren woh baray hi ziyan kaar log hain

[10] Aur jo kuch hum ney tumhen dey rakha hai uss mein say (humari raah mein) iss say pehaly kharach kero kay tum mein say kissi ko maut aajaye to kehney lagay aey meray perwerdigar! Mujhay to thori dare ki mohlat kiyon nahi deta? Kay mein sadqa keroon aur nek logon mein say ho jaon

[11] Aur jab kissi ka muqarrar waqt aajata hai phir ussay Allah Taalaa hergiz mohlat nahi deta aur jo kuch tum kertay ho uss say Allah Taalaa bakhoobi ba khabar hai

التغابن

Surah 64

[1] Tamam cheez jo aasmanon aur zamin mein hain Allah ki paki biyan kerti hain ussi ki saltanat hai aur ussi ki tareef hai aur woh her her cheez per qadir hai

[2] Ussi ney tumhen peda kiya hai so tum mein say baazay to kafir hain aur baaz eman walay hain aur jo kuch tum ker rahey ho Allah Taalaa khoob dekh raha hai

[3] Ussi ney aasmanon ko aur zamin ko adal-o-himat say peda kiya ussi ney tumhari sooraten banaeen aur boht achi banaeen aur ussi ki taraf lotna hai

[4] Woh aasman-o-zamin ki her her cheez ka ilm rakhta hai aur jo kuch tum chupao aur jo zahir kero woh (sab ko) janta hai. Allah to seenon ki baaton tak ko jannay wala hai

[5] Kiya tumharay pass iss say pehlay kay kafiron ki khabar nahi phonchi? Jinhon ney apney aemaal ka wabaal chakh liya aur jin kay liye dard naak azab hai

[6] Yeh iss liey kay unn kay pass unn kay rasool wazeh dalaeel ley ker aaye to unhon ney keh diya kay kiya insan humari rehnumaee keray ga? Pus inkar ker diya aur mun pher liya aur Allah ney bhi bey niazi ki aur Allah to hi boht bey niaz sab khoobiyon wala

[7] Inn kafiron ney khayal kiya hai kay doobara zinda na kiye jayen gay aap key dijiye kay kiyon nahi Allah ki qasam! Tum zaroor doobara uthaye jao gay phir jo tum ney kiya hai uss ki khabar diye jaogay aur Allah per yeh bilkul aasan hai

[8] So tum Allah per aur uss kay rasool per aur uss noor per jissay hum ney nazil farmaya hai eman laao aur Allah Taalaa tumharay her amal per ba-khabar hai

[9] Jiss din tum sab ko uss jama honey kay din jama keray ga wohi din hai haar jeet ka aur jo shaks Allah per eman laa ker nek amal keray Allah uss say uss ki buraiyan door ker dey ga aur ussay jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay. Yehi boht bari kaamyabi hai

[10] Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton ko jhutlaya wohi (sab) jahannumi hain (jo) jahannum mein hamesha rahen gay woh boht bura thikana hai

[11] Koi museebat Allah ki ijazat kay baghair nahi phonch sakti jo Allah per eman laye Allah uss kay dil ko hidayat deta hai aur Allah her cheez ko khoob jannay wala hai

[12] (logo) Allah ka kehna mano aur rasool ka kehna mano. Pus agar tum aeyraaz kero to humaray rasool kay zimmay sirf saaf saaf phoncha dena hai

[13] Allah kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi aur mominon ko Allah hi per tawakkal rakhna chahaiye

[14] Aey eman walo! Tumhari baaz biwiyan aur baaz bachay tumharay dushman hain pus inn say hoshiyaar rehna aur agar tum moaf kerdo aur dar-guzar ker jao aur bakhsh do to Allah Taalaa baskshney wala meharban hai

[15] Tumharay maal aur aulad to sirasir tumahri aazmaeesh hain aur boht bara ajar Allah kay pass hai

[16] Pus jahan tak tum say ho sakay Allah say dartay raho aur suntay aur maantay chalay jao aur Allah ki raah mein kheyraat kertay raho jo tumhara liye behtar hai aur jo shaks apney nafs ki hirss say mehfooz rakha jaye wohi kaamyab hai

[17] Agar tum Allah ko acha qarz do gay (yani uss ki raah mein kharach kero gay) to woh ussay tumharay liye barhata jaye ga aur tumharay gunah bhi moaf farma dey ga Allah bara qadar daan bara burd baar hai

[18] Woh posheeda aur zahir ka jannay wala hai zabardast hikmat wala (hai)

الطلاق

Surah 65

[1] Aey nabi! (apni ummat say kaho kay) jab tum apni biwiyon ko tallaq dena chahao to unn ki iddat (kay dino kay aaghaaz) mein unhen tallaq do aur iddat ka hisab rakho aur Allah say jo tumhara perwerdigar hai dartay raho na tum enhen inn kay gharon say nikalo aur na woh (khud) niklen haan yeh aur baat hai kay woh khuli buraee ker bethen yeh Allah ki muqarrar kerda hadden hain jo shaks Allah ki haddon say aagay barh jaye uss ney yaqeenan apney upper zulm kiya tum nahi jantay shayad iss kay baad Allah Taalaa koi naee baat peda ker dey

[2] Pus jab yen aurten apni iddat poori kerney kay qarib phonch jayen to unhen ya to qaeeday kay mutabiq apney nikkah mein rehney do ya dastoor kay mutabiq enhen alag kerdo aur aapas mein do aadil shakson ko gawah kerlo aur Allah ki raza mandi kay liye theek theek gawahi do. Yehi hai woh jiss ki naseehat ussay ki jati hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhta ho aur jo shaks Allah say darta hai Allah uss kay liye chutkaray ki shakal nikal deta hai

[3] Aur ussay aisi jagah say rozi deta hai jiss ka ussay guman bhi na ho aur jo shaks Allah per tawakkal keray ga Allah ussay kafi hoga. Allah Taalaa apna kaam poora ker kay hi rahey ga. Allah Taalaa ney her cheez ka aik andaza muqarrar ker rakha hai

[4] Tumhari aurton mein say jo aurten hez say na umeed ho gaee hon agar tumhen shuba ho to unn ki muddat teen maheeney hai aur unn ki bhi jinhen hez aana shuroo hi na hua ho aur hamila aurton ki iddat unn kay waza-e-hamal hai aur jo shaks Allah Taalaa say daray ga Allah uss kay (her) kaam mein aasani ker dey ga

[5] Yeh Allah ka hukum hai jo uss ney tumhari taraf utara hai aur jo shaks Allah say daray ga Allah uss kay gunah mita dey ga aur ussay bara bhari ajar dey ga

[6] Tum apni taqat kay mutabiq jahan tum rehtay ho wahan inn (tallaq wali) aurton ko rakho aur enhen tang kerney kay liye takleef na phonchao aur agar woh hamal say hon to jab tak bacha peda ho lay enhen kharach detay raha kero phir agar tumharay kehney say wohi doodh pilayen to tum enehn inn ki ujrat dey do aur ba-hum munasib tor per mashwara ker liya kero aur agar tum aapas mein kash-ma-kash kero to iss kay kehney say koi aur doodh pilaye gi

[7] Kushadgi walay ko apni kushadgi say kharach kerna chahaiye aur jiss per uss kay rizq ki tangi ki gaee ho ussay chahaiye kay jo kuch Allah ney ussay dey rakha hai ussi mein say (apni hasb-e-heysiyat) dey kissi shaks ko Allah takleef nahi deta magar utni hi jitni taqat ussay dey rakhi hai Allah tangi kay baad aasani aur faraghat bhi ker dey ga

[8] Aur boht si basti walon ney apney rab kay hukum say aur uss kay rasoolon say sir taabi ki aur hum ney bhi unn say sakht hisab kiya aur unhen azab diya unn dekha (sakht) azab

[9] Pus unhon ney apney kartoot ka maza chakh liya aur anjam kaar unn ka khasara hi hua

[10] Unn kay liye Allah Taalaa ney sakht azab tayyar ker rakha hai pus Allah say daro aey aqal mand eman walo. Yaqeenan Allah ney tumhari taraf naseehar utaar di hai

[11] (yani) rasool jo tumhen Allah kay saaf saaf ehkaam parh ker sunata hai takay unn logon ko jo eman layen aur nek amal keren woh tareekiyon say roshni ki taraf ley aaye aur jo shaks Allah per eman laye aur nek amal keray Allah ussay aisi jannaton mein dakhil keray ga jiss kay neechay nehren jari hain jin mein yeh hamesha hamesha rahen gay. Be-shak Allah ney ussay behtareen rozi dey rakhi hai

[12] Allah woh hai jiss ney saat aasaman banaye aur issi kay misil zaminen bhi. Iss ka hukum inn kay darmiyan utarta hai takay tum jaan lo kay Allah her cheez per qadir hai aur Allah Taalaa ney her cheez ko ba-aetbaar ilm gher rakha hai

التحریم

Surah 66

[1] Aey nabi! Ji ss cheez ko Allah ney aap kay liye halal ker diya hai ussay aap kiyon haram kertay hain? (Kiya) aap apni biwiyon ki raza mandi hasil kerna chahatay hain aur Allah bakhshney wala reham kerney wala hai

[2] Tehqeeq kay Allah Taalaa ney tumharay liye qasmon ka khol daalna muqarrar ker diya hai aur Allah Taalaa tumhara kaar saaz hai aur wohi (pooray) ilm wala hikmat wala hai

[3] Aur yaad ker jab nabi ney apni baaz aurton say aik posheeda baat kahi pus jab uss ney uss baat ki khabar ker di aur Allah ney apney nabi ko iss per aagah ker diya to nabi ney thori si baat to bata di aur thori si taal gaye phir jab nabi ney apni biwi ko yeh baat bataee to woh kehnay lagi iss ki khabar aap ko kiss ney di. Kaha sab jannay walay poori khabar rakhney walay Allah ney mujhay yeh batlaya hai

[4] (aey nabi ki dono biwiyo!) agar tum dono Allah kay samney tauba kerlo (to boht behtar hai) yaqeenan tumharay dil jhuk paren hain aur agar tum nabi kay khilaf aik doosray ki madad kero gi pus yaqeenan uss ka kaar saaz Allah hai aur jibraeel hain aur nek ehal-e-eman aur inn kay ilawa farishtay bhi madad kerney walay hain

[5] Agar (woh) payghumbar tumhen tallaq dey den to boht jald enhen inn ka rab! Tumharay badlay tum say behtar biwiyan inayat farmaye ga jo islam waliyan eman waliyan tauba kerney waliyan ibadat baja laaney waliyan rozay rakhney waliyan hongi baiwa aur kanwariyan

[6] Aey eman walo! Tum apney aap ko aur apney ghar walon ko uss aag say bachao jiss ka endhan insan hain aur pathar jiss per sakht dil mazboot farishtay muqarrar hain jinhen jo hukum Allah Taalaa deta hai uss ki na farmani nahi kertay bulkay jo hukum diya jaye baja laatay hain

[7] Aey kafiro! Aaj tum uzur aur bahana mat kero. Tumhen sirf tumharay kartoot ka badla diya jaraha hai

[8] Aey eman walo! Tum Allah kay samney sachi khalis tauba kero. Qareeb hai kay tumhara rab tumharay gunah door kerday aur tumhen aisi jannaton mein dakhil keray jin kay neechay nehren jari hain. Jiss din Allah Taalaa nabi ko aur eman daron ko jo inn kay sath hain ruswa na keray ga. Inn ka noor inn kay samney aur inn kay dayen dor raha hoga. Yeh duayen kertay hongay aey humaray rab humen kaamil noor ata farma aur humen bakhsh dey yaqeenan tu her cheez per qadir hai

[9] Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad kero aur inn per sakhti kero inn kay thikana jahannum hai aur woh boht buri jagah hai

[10] Allah Taalaa ney kafiron kay liye nooh ki aur loot ki biwi ki misal biyan farmaee yeh dono humaray bandon mein say do (shaista aur) nek bandon kay ghar mein thin phir unn ki enhon ney khayanat ki pus woh dono (nek banday) inn say Allah kay (kissi azab ko) na rok sakay aur hukum dey diya gaya (aey aurton) dozakh mein janey walon kay sath tum dono bhi chali jao

[11] Aur Allah Taalaa ney eman walon kay liye firaon ki biwi ki misal biyan farmaee jabkay uss ney dua ki aey meray rab! Meray liye apney pass jannat mein muqam bana aur mujhay firaon say aur uss kay amal say bacha aur mujhay zalim logon say khulasi dey

[12] Aur (misal biyan farmaee) marium bint-e-imran ki jiss ney apney namoos ki hifazat ki phir hum ney apni taraf say uss mein jaan phook di aur (marium) uss ney apney rab ki baaton aur uss ki kitabon ki tasdeeq ki aur ibadat guzaron mein say thi

الملک

Surah 67

[1] Boht babarkat hai woh (Allah) jiss kay hath mein badshaee hai aur jo her cheez per qudrat rakhnay wala hai

[2] Jiss nay mot aur hayat ko iss liye peda kiya kay tumhen aazmaye kay tum mein say achay kaam kon kerta hai aur woh ghalib (aur) bakhshnay wala hai

[3] Jiss ney saat aasman uper talay banaye (to aey dekhnay walay) Allah Rehman ki pedaish mein koi bey-zaabtagi na dekhay ga

[4] Doobara (nazren daal ker) dekhley kiya koi shigaaf bhi nazar aaraha hai

[5] Phir dohra ker do do baar dekhley teri nigah teri taraf zalil(o-aajiz) hoker thaki hui lot aayegi.Be-shak hum ney aasman duniya ko chiraghon (sitaron) say aarasta kiya aur enehn shetanon kay maarnay ka zariya banadiya aur shetanon kay liye hum ney (dozakh ka jalanay wala) azab tayyar kerdiya

[6] Aur apnay rab kay sath kafur kernay walon kay liye jahannum ka azab hai aur woh kiya hi buri jagah hai

[7] Jab iss mein yeh daaley jayengey to iss ki baray zor ki aawazen sunen gey aur woh josh maar rahi hogi

[8] Qareeb hai kay (abhi) gussay kay maaray phat jaye jab kabhi iss mein koi giroh dala jayega uss say jahannum kay daroghay poochen gey kay kiya tumharay pass daranay wala koi nahi aaya tha

[9] Woh jawab dengey kay be-shak aaya tha lekin hum ney ussay jhutlaya aur hum ney kaha kay Allah taalaa ney kuch bhi naazil nahi farmaya tum boht bari gumrahi mein hi ho

[10] Aur kahen gey kay agar hum suntay hotay ya aqal rakhtay hotay to dozakhiyon mein (shareek) na hotay

[11] Pus unho ney apney jurum ka iqbal kerlia abb yeh dozakhi dafa hon (door hon)

[12] Be-shak jo log apnay perwerdigaar say ghaeebana tor per dartay rehtay hain unkay liye bakhhsish hai aur bara sawab hai

[13] Tum apni baton ko chupao ya zahir kero woh to seenon ki posheedgiyon ko bhi bakhoobi jaanta hai

[14] Kiya wohi na janay jiss nay peda kiya? phir woh bareek been aur bakhabar bhi ho

[15] Woh zaat jiss ney tumharay liye zamin ko past-o-mutee kerdia takay tum uss ki raahon mein chaltay phirtay raho aur Allah ki roziyan khao (piyo) ussi ki taraf (tumhen) ji ker uth khara hona hai

[16] Kiya tum iss baat say bey khof hogaye ho kay aasmanon wala tumhen zamin mein dhansa dey aur achanak zamin laraznay lagay

[17] Ya kiya tum iss baat say nadar hogaye ho kay aasmanon wala tum per pathar barsa dey? Phir to tumhen maloom ho hi jayega kay mera darna kaisa tha

[18] Aur inn say pehlay logon ney bhi jhutlaya tha to dekho inn per mera azab kaisa kuch hua

[19] Kiya yeh apnay uper per kholay huye aur (kabhi kabhi) sametay huye(urnay walay) parindon ko nahi dekhtay enhen (Allah) Rehman hi (hawa-o-faza mein) thaamay huye hai. be-shak her cheez uski nigah mein hai

[20] Siwaye Allah kay tumhara woh konsa lashkar hai jo tumhari madad kersakay kafir to sarasar dhokay hi mein hain

[21] Agar Allah taalaa apni rozi rok ley to batao kon hai jo phir tumhen rozi dey ga? bulkay (kafir) to sirkashi aur bidaknay per arr gaye hain

[22] Acha woh shaks zada hidayat wala hai jo apnay mun kay bal ondha hoker chalay ya woh jo seedha (peron kay bal) raah-e-raast per chala ho

[23] kehdijiye kay wohi (Allah) ahi jiss ney tumhen peda aur tumharay kaan aackhen aur dil banaye tum boht hi kum shukerguzari kertay ho

[24] Kehdijiye! kay wohi hai jiss ney tumhen zamin mein pehla diya aur usski taraf tum ikhattay kiye jaogey

[25] (Kafir) poochtay hain kay woh wada kab zahir hoga agar tum sachay ho (to batao)

[26] Aap kehdijiye kay iss ka ilm to Allah hi ko hai mein to sirf khulay tor per aagah kerdenay wala hon

[27] Jab yeh log iss waday ko qareeb tar paalen gey uss waqt unn kafiron kay chehray bigar jayen gey aur kehdia jayega kay yehi hai jissay tum talab kiya kertay thay

[28] Aap kehdijiye acha agar mujhay aur meray saathiyonko Allah taalaa halak kerdey ya hum per reham keray (bahar sooratyeh to batao) kay kafirron ko dardnaak azab say kon bachaye ga

[29] Aap kehdijiye! kay wohi Rehman hai hum to iss per eman la chukay aur issi per humara bharosa hai tumhenunqareeb maloom hojayega kay sareeh gumrahee mein kon hai

[30] Aap keh dijiye !kay acha yeh to batao kay agar tumharay (peenay ka) paani zamin mein utar jaye to kon hai jo tumharay liye nithra hua paani laye

القلم

Surah 68

[1] Noon qasam hai qalam ki aur uss ki jo kuch kay who (farishtay) likhtay hain

[2] Tu apany rab kay fazal say deewana nhai hai

[3] Aur be-shak teray liye bey inteha ajar hai

[4] Aur be-shak tu both baray (umda) ikhlaq per hai

[5] Pus abb tub hi dekhlega aur yeh bhi dekh len gay

[6] Kay tum main say kon fitnay mein pera hua hai

[7] Be-shak tera rab apni raah say behaknay walon ko khoob jaanta hai aur wohraah yafta logon ko tu bakhoobi jaanta hai

[8] Pus to jhutlanay walon kin a maan

[9] who to chahtay hain kay tu zara dheela ho to yeh bhi dheelay par jayen

[10] Aur tu kissi aisay shaks ka bhi kaha na manna jo ziyada qasmen khanay wala

[11] Beywaqar’ qammena aibgo chughalkhor

[12] Bhalaee say roknay wala had say barh janay wala gunehgaar

[13] Gardan kash phir sath hi beynasab ho

[14] Us ski sirkashi sirf iss liye hai kay who maal wala aur beton wala hai

[15] Jab uss kay samnay humari aayaten parhi jaati hain to keh deta hai kay yeh to aglon kay qissay hain

[16] Hum bhi us ski soond (naak) per daagh dengay

[17] Be-shak hum ney unhen issi tarah aazmaliya jiss tarah hum ney baagh walon ko aazmaya tha job unho ney qasman khayen kay subha hotay hi iss baagh kay phal utar lengay

[18] Aur inshaAllah na kaha

[19] Pus iss per teray rab ki janib say aik bala chaaron taraf ghoom gaee aur yeh so hi rahey thay

[20] Pus who baagh aisa hogaya jesay kati hui kheti

[21] Abb subha hotay hi unho ney aik doosray ko aawazen dea

[22] Kay agar tumhen phal utarnay hain to apni kheti per saweray hi saweray chal paro

[23] phir yeh sab chupkay chupkay yeh baten kertay huye chalay

[24] Kay aaj kay din koi miskeen tumharay pass na aanay paye

[25] Aur lapkay huye subha subha gaye (Samajh rahey thay) kay hum qaaboo paagaye

[26] job unho ney boogh dekha to kehnay logay yaqeenan hum raasta photo gaee

[27] Nahi nahi bulkay humari qismat phoot gaee

[28] Inn sab main jo behtar tha uss nay kaha kay mein tumsay na kehta tha kay tum Allah ki pakeezgi q iyon nahi biyan kertay

[29] To sab kehnay lagay humara rab pak hai be-shak hum hi zaalim thay

[30] Phir who aik doosray ki taraf rukh kerkay aapas mein malamat kernay lagay

[31] kehnay lagay haaye afsos! Yaqeenan hum sirkash thay

[32] Kiya ajab hai kay humara rab humen iss say behtar badla dey dey hum to abb apnay rab say hi aarzoo rakhtay hain

[33] Yun hi aafat aati hai aur aakhirat ki aafat both bari hai kaash! Unhen samajh hoti

[34] Perhezgaaron kay liye unkay rab kay pass nematon waali jannaten hain

[35] Kiya hum musalmanon ko misil gunehgaaron kay kerdengay

[36] Tumhen kiya hogaya kaisay foislay ker rahey ho

[37] Kiya tumharay pass koi kitab hai jiss mein tum parhtay ho

[38] Kay iss mein tumhari manmaani baten hon

[39] Yea tum nay hum say kuch qasman li hain ?jo qzayamat tak baaqi rahen kay tumharay liye who sab hai jot um apni taraf say muqarrar kerlo

[40] Inn say poochao to kay inn mein say kon iss baat ka zimeydaar (aur daaweydaar) hai

[41] Kiya inn kay koi shareek hain? To chahiye kay apnay apnay shareekor ko ley aayen agar yeh sachey hain

[42] Jiss din pindali khol di jayegi aur sajday kay liye bulaye jayengay to (sajdah) na ker saken gay

[43] Nigahen neechi hongi aur unn per zillat-o-khhuaari cha rahi hogi halankay yeh sajday kay liye (uss waqt bhi) bulaye jaatay thay jabkay sahih saalim thay

[44] Pus mujhay aur iss kalaam ko jhutlanay walay ko chor dey hum unhen iss tarah aahista aahista bhi na hoga

[45] Aur mein unhen dheel doonga be-shak meri tadbeer bari mazboot hai

[46] Kiya tu inn say koi ujrat chahta hai jiss kay tawaan say yeh dabay jatay hon

[47] Ya kiya inn kay pass ilm-e-ghaib hai jissay who likhtay hon

[48] Pus tu apnay rab kay hokum ka sabar say (intezar ker) aur machli walay ki tarah na ho jo jab kay uss nay ghum ki holat main dua ki

[49] Agar uss kay rab ki nemat na paaleti to yaqeenan who buray haalon main chatiyal medaan mein daal diya jata

[50] ussay uss kay rab nay phir nawaza aur ussay nak-kaaron main kerdiya

[51] Aur qareeb hai kay kafir apni tez nigahon say aap ko phusla den jab kabhi quran suntay hain aur keh detay hain yeh to zaroor deewana hai

[52] Darhaqeeqat yeh (quran) to tamam jahan walon kay liye sarasir naseehat hi hai

الحاقہ

Surah 69

[1] Sabit honey wali

[2] Sabit honay wali kiya hay

[3] Aur tujhay kiya maloom kay wo sabit shuda kiya hay

[4] Is khrka deney wali ko samood aur aad ney jhutla dia tha

[5] (jis kay nateejay mein)samood to behad khufnak (aur onchi)awaz say halak ker diey gay

[6] Aur aad behad tez o tund hawa say gharat ker diey gaey

[7] Jis say in per lagatar sath rat aur aath din tak (Allah ney)musalat rakha.pus tum dekhtay kay yeh log zameen per istrah gir gaey jaisay kay khjoor kay khokhly tanay hon

[8] Kiya in mein say koi bhi tujhay baqi nazar araha hy

[9] Firoon aur iss say pehlay kay log aur jin ki bastiyan ulat di gaein unhon ney bhi khataein kiein

[10] Aur apney rab kay rasool ki nafarmani ki(bilakhir)Allah ney unhein(bhi)zaberdast girift mein ly lia

[11] jab pani mein tughyani agai to us waqat hum ney tumhein kashti mein charha liya

[12] Takay is say tumharay liey nasehat aur yad gar banadein aur(taky)yad rakhaney waly kan issy yad rakhein

[13] Pus jab kay soor mein ik phonk phonki jaey gi

[14] Aur zameen aur pahar utha liey jaein gay aur ik hi chot mein reza reza ker dey jaein gay

[15] Us din ho parnay wali(qiyamat)ho paray gi

[16] aur asman phat jaey ga aur us din bilkol boda ho jaey ga

[17] Is kay kinaron per farishtay hon gay aur tery perwardigar ka arsh us din aath(farishtay)apney opper uthaey hon gay

[18] Us din tum sab samney pesh kiey jao gay tumhara koi bhed poshida na rahy ga

[19] So jissay uska nama e amal us kay daein hath mein diya jaey ga to wo kehnay lagay ga kay lo mera nama e amal parh lo

[20] Mujhy to kamil yaqeen tha kay mujhy apna hisab milna hay

[21] Pus wo ik dil pasand zindagi mein ho ga

[22] Bulan o bala jant mein

[23] Jiss kay meway jhokay paray hon gay

[24] (in say kaha jaey ga) kay mazay say khao piyo apney in amal kay badlay jo tum ney guzishta zamanay mein kiy

[25] Lakin jissay uss(kay amal)ki kitab us kay baein hath mein di jaey gi wo to kahy ga kay kash kay mujhy meri kitab di hi na jati

[26] Aur mein janta hi na kay hisab kiya hay

[27] Kash ! kay moot (mera)kam hi tamam kerdyti

[28] Mery maal ney bhi mujhy kuch nafa na diya

[29] Mera ghalba bhi mujhsy jata raha

[30] (hokum hoga)issay pakar lo phir issy toq phyna do

[31] Phir isay dozakh mein dal do

[32] Phir issy asi zanjeer mein jiss ki paymaish satter hath ki hay jaker do

[33] Beshak yeh Allah azmat walay per iman na rakhta tha

[34] Aur miskeen kay khilanay per raghbat na dilata tha

[35] Pus aj iska na koi dost hay

[36] Aur na siway peep kay is ki koi ghiza hay

[37] Jissay ghunahgaron kay siwa koi nai kahey ga

[38] Pus mujhy qasam hay un chezon ki jinhein tum dekhtay ho

[39] Aur on chezon ki jinhein tum nahi dekhtay

[40] Kay be sahk yeh(quran)buzurgh rasool ka qool hay

[41] Yeh kisi shair ka qool nahi(afsos)tumhein bohat kam yaqeen hay

[42] Aur na kisi kahin ka qool hay(afsos)bohat kam nasehat lay rahay ho

[43] (ye to)rab ul alameen ka utara howa hay

[44] Aur ager yeh hum per koi bhi bat bana lyta

[45] To albata hum iska dahana hath paker letay

[46] Phir is ki sheyrag kaat detay

[47] Phir tum mein say koi bhi mujhy issy roknay wala na hota

[48] Yaqeenan yeh quran perhezgaron kay liye nasehat hay

[49] Humein pori tarah maloom hay kay tum mein say baaz iskay jhotlanay waly hein

[50] beshak (yeh jhutlan)kafiron per hasrat hay

[51] Aur beshak (o shuba)yeh yaqeni haq hay

[52] Pus to apney rab e azeem ki paki biyan ker

المعارج

Surah 70

[1] Aik sawal kernay walay ney uss azab ka swal kiya jo wazeh honay wala hay

[2] Kafiron per jissay koi hatanay wala nahi

[3] Uss Allah ki taraf say jo seerhiyon wala hay

[4] Jiss ki taraf farishtay aur rooh charhtay hein aik din mein jiss ki miqdaar pachas hazar saal ki hay

[5] Pus to achi tarah sabar ker

[6] Beshak yeh uss (azab) ko door samajh rahe hein

[7] Hum issay qareeb hi dekhatay hein

[8] Jiss din aasman misil tel ki talchat kay hojayega

[9] Aur pohaar misil rangeen oon kay hojey gay

[10] Aur koi dost kissi dost ko na poochay ga

[11] (Halankay) aik doosray ko dikha diye jaeyen gay gunehgar uss din kay azab kay badlay fidye mein apney beton ko

[12] Apni biwi ko aur apney bhai ko

[13] Aur apney kunbay ko jo issay panah deta tha

[14] Aur roy e zameen kay sab logon ko dena chahyega takay yeh ussay nijat dilaye

[15] Mager hergiz yeh na hoga yaqeenan wo shoal wali (aag)hai

[16] Jo mun aur sar ki khal khench lynay wali hay

[17] Wo her us shaks ko pukaray gi jo pechay hata aur mun morta hay

[18] Aur jama ker kay samnbhal rakhta hay

[19] Beshak insan baray kachy dil wala banaya gaya hay

[20] Jab is say musibat puhanchti hay to har bara uthta hay

[21] aur jab rahat milti hay to bukhul kernay lagta hay

[22] Mager wo namazi

[23] J apnai namaz per hameshagi kernay walay hein

[24] Aur jin kay maalon mein mukarra hisa hay

[25] Mangnay walon ka bhi aur sawal say bachnay walon ka bhi

[26] Aur jo insaf kay din per yaqeen rakhtay hein

[27] Aur jo apney rab kay azab say dertay rehtay hein

[28] Beshak un kay rab ka azab bekhof honay ki chez nahi

[29] Aur jo log apni sharm gahon ki (haram say)hifazat kertay hein

[30] Han unki biwion aur londion kay bary mein jin kay wo malik hein.unhein koi malamat nahi

[31] Ab jo koi is kay ilawa(rah)dhonday ga to asay log had say guzar janay walay hongay

[32] Aur jo apni amanton ka aur apney qol o qarar ka pass rakhtay hein

[33] Aur jo apni gawahion per sidhay aur qaim rehtay hein

[34] Aur jo apni namazon ki hifazat kertay hein

[35] Yehi log janton mein izat walay hongay

[36] Pus kafoiron ko kia hogaya hay kay wo teri taraf dortay atay hein

[37] Daein aur baein say giroh kay giroh

[38] Kia in mein say her ik ki tawaqa yeh hay kay wo nematon wali janat mein dakhil kia jaey ga

[39] (aisa) hergiz nahi ho ga hum ney unhein is(chez) say paida kia hay jiss say wo jantay hein

[40] Pus mujhy qasam hay mashrikon aur maghribon kay rab ki (kay)hum yaqeenan qadir hein

[41] Is per kay in kay ewaz in say achay log lay ayein aur hum aajiz nahi hein

[42] Pus to inhein jagherta khelata chor day yahan ytak kay yeh apney us din say jamilein jis ka un say wada kia jata hay

[43] Jis din yeh qabron say dortay hoy niklein gay goya kay wo kisi jaga ki taraf tez tez jarahy hein

[44] In ki ankhein jhoki hoi hongi in per zilat charahi hon gi yeh hay wo din jis ka un say wada kia jata tha

نوح

Surah 71

[1] Yaqeenan hum ney Nooh(alh e salam)ko inki qom ki taraf bheja kay apni qom ko darado (aur khabaerdar kerdo) isss say pehlay kay inkay pass dardnak azab ajaye

[2] (Nooh alh e salam ney)kaha aey meri qom mein tumhein saaf saaf daranay wala hun

[3] Kay tum Allah ki ibadat kero aur issi say daro aur mera kaha maano

[4] To wo tumhary gunha bukhsh day ga aur tumhein aik waqat mukarrera tak chor dega YaqeenanAllah ka wada jab aajata hay to moakhir nahi hota kaash kay tumhien samjh hoti

[5] (nooh alh e salam ney) kaha aey mery perwardigar!mein ney apni qom ko raat din teri taraf bulaya hai

[6] Mager meray bulanay say yeh log aur ziyada bhagnay lagay

[7] Mein ney jab khabi unhein teri bakhsish kay liye bulaya unhon ney apni ungliyan apney kaano mein daal lein aur apney kapron ko orh liya aur urh gaye aur bara takabur kiya

[8] Phir mein ney unhein ba-awaz buland bulaya

[9] Aur beshak mein ney insay elaaniya bhi kaha aur chupkay chupkay bhi

[10] Aur mein ney kaha kay apney rab say apney gunha bakhswao(aur maafi mango)wo yaqeenan bara bakhsnay wala hay

[11] Wo tum per aasman ko khob barsata hua chor dega

[12] Aur tumhein khob pay dar pay maal aur olaad mein taraqi dega Aur tumhein baaghat dega aur tumharay liye nikaal dega

[13] Tumhein kiya hogaya hay kay tum Allah ki bartari ki aqeedah nahi rakhtay

[14] Halankay uss ney tumhein tarah tarah say paida kiya hay

[15] Kiya tum nahi dekhtay kay Allah Talah ney kiss tarah opper talay sath asman paida ker diey hein

[16] Aur in mien chand ko khob jagmata banaya hai aur sooraj ko roshan chiragh banaya hay

[17] Aur tum ko zameen say aik (khass ehtimam say)ugaya hai(aur paida kiya hai)

[18] Phir tumhein issi mein lota leya jaeyga aur(aik khass tareeqay)say phir nikalay ga

[19] Aur tumharay liye zameen ko Allah Taalaa ney farsh banadiya hay

[20] Takay tum uski kushada raahon mein chalo phiro

[21] Nooh(alh e salam) ney kaha aey meray perwardigar!in logon ney meri to nafarmani ki aur aison ki farmanbardari ki jinkay maal o olaad ney inko(yaqeenan)nuksan hi mein barhaya hai

[22] Aur in logon ney bara sakht fareeb kiya

[23] Aur kaha unhon ney kay hergiz apney maaboodon ko na chorna aur na wad aur suwaa aur yaghoos aur yaooq aur nasar ko(chorna)

[24] Aur unhon ney bohat say logon ko gumrah kiya (elaahi)tu in zaalimon ki gumrahi aur barha

[25] Yeh log ba sabab apney gunaahon kay dabo deygay aur jahanum mein phuncha diey gaye aur Allah kay siwa apna koi madadgar unhonay na paya

[26] Aur Nooh(alh e salam)ney kaha kay aey mery paalnay walay! To roy e zameen per kissi kafir ko rehnay sehnay wala na chor

[27] Ager to enhen chor dega to (yaqeenan)yeh tery (aur)bandon ko(bhi)gumrah kardeingay aur yeh faajiron aur dheet kafiron hi ko janum deingay

[28] Aey meray perwardigar!to mujhay aur meray maa baap aur jo eman ki halat mein meray ghar +mein aye aur tamam momin mardon aur auraton ko bakhsh dey aur kafiron ko siwaey barbadi key aur kissi baat mein na barha

الجن

Surah 72

[1] Aey Muhammad (P.B.U.H)) aap keh dein kay mujhy wahi ki gai hay kay jinno ki ik jamat ney (quran)suna or kaha kay hum ney ajeeb quarn suna hay

[2] Jo rah e rast ki tarf rahnumai kerta hay hum is per iman la chukay (ab)hum her giz kisi ko bhi apney rab ka sharek na banein gay

[3] Aur beshak hamary rab ki shan bari buland hay aur na us ney kisi ko (apni) biwi banaya hay aur na beta

[4] Aur yeh kay kehtay rahein hein hamary nadan logAllah kay bary mein bhat khilaf e haq batein

[5] Aur hum to yehi samjhtay rahy kay namumkin hay kay insan aur jinnat Allah per jhoti batein lagaein

[6] Baat yeh hay kay chand insan baaz jinnat say panah talab kertay thy jiss say jinnat apnai serkashi mein aur barh gay

[7] Aur (insano)ney bhi tum jino ki tarah guman ker liya tha kay Allah kisi ko na bhyjay ga(ye kisi ko dobara zinda an kery ga)

[8] Aur hum ney asman ko tatool ker dekha to ussy sakht chokidaron aur sakht sholon say pur paya

[9] Iss say pehlay hum baatein suneinkay liye asman mein jagah jagah beth jaya kertay thy .jo bhi kan lagata hay wo ik sholay ko apni taak mein pata hay

[10] Hum nahi jantay kay zameen walon kay sath kisi burai ka irada kiya gaya hay ya in kay rab ka irada in kay sath bhalai ka hay

[11] Aur yeh kay(beshak)baaz to hum mein nekokar hein aur baaz iskay barakas bhi hein hum mukhtalif tareeqon say batay hoy hein

[12] Aur hum ney samajh liya hay kay hum Allah Talah ko zameen mein hergiz aajiz nahi ker saktay aur na hum bhag ker issy hara saktay hein

[13] Hum to hidayat ki bat suntay hi is per eman la chukay aur jo bhi apney rab per eman laye ga us say na kisi nuksan ka andesha hay na zulm-o-sitam ka

[14] Han hum mein baaz to musalman hein baaz be-insaf hein pus jo farmaberdar hogay unhon ney to raah-e-raast ka qasad kiya

[15] Aur jo zalim hein wo jahanum ka endhen bangay

[16] Aur (aey Nabi yeh bhi khay do )kay log raaah e rast per seedhay rehtay to yaqeenan hum enhein both waffir pani pilatay

[17] Takay hum iss munhein azmalein aur jo sahks apney perwedigar kay zikar say mun pherlay ga to Allah Talah ussay sakht azab mein mubtila kerdayga

[18] Aur yeh kay mesjidein sirf Allah hi kay liye khass hein pus Allah Talah kay sath kissi aur ko na pukaro

[19] Aur jab Allah ka banda uss ki ibadat kay liye khara hoa to qareeb tha kay wo bheer ki bheer ban ker uss per pal paren

[20] Aap keh dijey kay mein to sirf apney rab hi ko pukarta hon aur iss kay sath kissi ko shareek nahi banata

[21] Keh dijey kay mujhy tumhary kissi nuksan nafa ka ikhtiyar nahi

[22] Kehdijey kay mujhy hergiz koi Allah say bacha nahi sakta aur mein hergiz uss kay siwa koi jay e panah bhi paa nahi sakta

[23] Albata (mera kam) Allah ki baat aur iss kay peghamaat(logon ko)phuncha dena hia(abb)jo bhi Allah aur uss kay rasool kin a maanay ga uss kay liye jahanum ki aag hai jiss mein aisay log hamesha rahengay

[24] (unki aankh na khulaygi)Yahan tak kay ussay dekhlen jiss ka unko wada diya jata hia pus unqareeb jaan lengay kay kiss ki jamat kum hai

[25] Kehdijey kay mujhy maloom nahi kay jiss ka wada tum say kiya jata hai wo qareeb hia ya mera rab uss kay liye door ki muddat mukarrer keryga

[26] Wo ghaib ka jannay wala hai aur apney ghaib per kisi ko mutlaa nahi kerta

[27] Siwaey uss peyghamber kay jissay wo pasand kerley lekin usskay bhi aagay pechay pehraydar muqarrer kerdyta hai

[28] Takay unkay apney rab kay paygham phoncha denay ka ilm hojaey.Allah talah ney unkay aas pass (ki tamam cheezon )ka ehaata ker rakha hai aur her cheez ki gintee ka shumaar ker rakha hai

المزمل

Surah 73

[1] Aey kapray mein lipatnay walay

[2] Rat (kay waqat namaz) mein khary hojao mager kam

[3] Adhi rat ya is say bhi kuch kam kerly

[4] Ya is per barha dy aur quran ko thehar thehar kar (saf )parha ker

[5] Yaqeenan hum tuj per bohat bhari bat anqareeb nazil kerein gay

[6] Beshak rat ka uthna dil jamai kay liye intehai munasib hay aur bat ko bohat durust ker daynay wala hay

[7] Yaqeena tujhay din mein bohat shughal rahta hay

[8] To apney rab kay nam ka ziakr kiya ker aur tamam khalaiq say kat ker us ki taraf mutawajha ho ja

[9] Mashriq o maghrib ka perwardigar jis ka koi maabood nahi to usko apna karsaz bana lay

[10] Aur jo kuch wo kahy to sehta rah aur wazedari kay sath un say alag thalag rah

[11] Aur mujhy aur in jhotlanay waly asoda hal logon ko chor day aur inhein zara si muhlat dy

[12] Yaqeenan hamary han sakht biriyan hein aur sulagti haoi jahanum hay

[13] Aur halq mein atakney wala khana hay aur dard deney wal azb

[14] Jiss din zamen aur pahar thar thara jaein gzy aur phaar missal bhor bhori rait kay telon kay hojaein gay

[15] Beshak hum ney tumhari taraf bhi tum per gawahi dynay wala rasool bhyj diya hay jaisa kay hum ney firoon kay pass rasol bhyja tha

[16] To firoon ney us rasol kin a frmani ki to hum ney usy sakht (wabal ki)pakar mein paker liya

[17] Tum ager kafir rahy to usdin kaisy panah pao gay jo din bachon ko burha ker day ga

[18] Jiss dion asman phat jaey ga Allh Talah ka yeh wada ho ker hi rahnay wala hay

[19] Beshak yeh nasehat hay pus jo chahey apney rab ki taraf rah ikhtiyar keray

[20] Apka rab bakhobi janta hay ka yap aur aap kay sath kay logon ki ik jamat qareeb do tahai rat kay aur adhi rat kay aur ik tahai rat kay tahajud parhti hay aur rat din ka pora andaza Allah Talaa ko hi hay.wo (khob) janta hay kay tum is say hergiz na nibha sako gay pus isnay tum per meharbani ki lyhaza jitna qyran parhna tumhary liye asan ho itna hi parho wo janta hay kay tum mein baaz bimar bhi hongay baaz dosray zameen mein chal phir ker Allah Talah ka fazal (yani rozi bhi)talash kerein gay aur kuch log Allah talah ki rah mein jahad bhi kerein gay so tum basani jitna quran parh sako parho aur namaz ki pabandi rakho. Aur zakat dytay raha kero aur Allah Talah ko acha qarz do aur jo neki tum apney liye agay bhyjo gay ussy Allah talah kay han bhyter say bhyter aur sawab mein bohat ziyada pao gay ALLAH TALAH say moafi mangtay raho yaqeenan AllahTalah bakhshney wala meharban hy

المدثر

Surah 74

[1] Aey kapra orhnay waly

[2] Khara ho ja aur agah ker day

[3] Aur apney rab hi ki baraiyan biyan ker

[4] Apney kapron ko pak rakha ker

[5] Na paki ko chor day

[6] Aur ahsan ker kay ziyada lynay ki khuwaish na ker

[7] Aur apney rab ki rah mein sabar ker

[8] Pus jab kay sor mein phonk mari jaey gi

[9] To wo din bara sakht din hoga

[10] (jo) Kafiron per asan na hoga

[11] Mujhy aur usay chor day jissy mein ney akela paida kiya hay

[12] Aur issy bohat sa maal dy rakha hay

[13] Aur hazir bash ferzand bhi

[14] Aur mein ney ussy bohat kushadigi dy rakhi hay

[15] Phir bhi uski chahat hay kay mein usy or ziyada don

[16] Nahi nahi wo hamari ayaton ka mukhalif hy

[17] an qareeb mein usy ik sakht charhai charhaon ga

[18] Us ney ghor ker kay tajweez ki

[19] Usy halakat ho kaisi(tajweez)sochi

[20] Wo phir gharat ho kis tarah andaza kiya

[21] Us ney phir dekha

[22] Phir teweri char hai or mun banaya

[23] Phir pechay hat gaya aur ghoroor kiya

[24] Aur khynay laga yeh to sirf jado hay jo naqal kiya jata hay

[25] Siwaey insani kalam kay kuch bhi nahi

[26] Mein anqareeb usy dfozakh mein dalon ga

[27] aur tujhay kiya khaber kay dozakh kiya chez hay

[28] Na wo baqi rakhti hay aur na chorti hay

[29] Khal ko jholsa dyti hay

[30] Aur is mein unnees(19)(farshtay mukarrar) hein

[31] Hum ney dozakh kay daroghy say farishtay rakhein hein aur hum ney unki tadad sirf kafiron ki azmaish kay liye mukarrar ki hay takay ahl e kitab yaqeen ker lein.aur ahl e eman kay eman mein asafa ho jay aur ahl e kitab aur ahl e eman shak na kerien aur jin kay dilon mein bimari hay wo aur kafir kahein kay is biyan say Allah Talah jissy chata hay ghumrah kerta hay aur jissy chata hay hidayat dyta hay tery rab kay lashkaron ko us kay siwa koi nahi janta yeh to kul bani adam kay liye sar a sar pind o nasehat hay

[32] Sach khyta hon qasam hay chand ki

[33] Aur rat ki jab wo pechay hatay

[34] Aur subha ki jab kay roshan hojaey

[35] Kay (yaqeenan wo jahanum)bari chezon mein say ik hay

[36] Bani adam ko daraney wali

[37] (yani)ussayn jo tum mein say agay barhna chaey ya pechay hanta chaey

[38] Her shaks apney amal kay badlay mein girwi hay

[39] Magar daein hath walay

[40] Kay wo baheshton mein (bethay hoy)gunehgaron say

[41] Sawal kertay hongay

[42] Tumhein dozakh mein kis chez ney dala

[43] Wo jawab deingay kay hum namazi na thy

[44] Na miskeeno ko khana khilatay thy

[45] Aur hum bhas kernay waly(inkarion )ka sath dy ker bhas mubahisa mein mashghol raha kertay thy

[46] Aur roz e jaza ko jhutlatay thy

[47] Yahan tak kay humein mot agai

[48] Pus inhein sifarish kernay walon ki sifarish nafa na dy gi

[49] Inhein kiya hogaya hay?kay nasehat say mun mor rahy hein

[50] Goya kay wo bidkay hoy gadhay hein

[51] Jo sher say bhagaein hon

[52] Balkay in mein say her shaks chata hay kay usay kholi hoi kitabein di jaein

[53] Hergiz asa nahi (hosakta balkay)yeh qiyamat say bay khof hein

[54] sachi bat to yeh hay kay yeh(quran)ik nasehat hay

[55] Ab jo chahey issy nasehat hasil kery

[56] Aur wo us waqat nasehat hasil kerein gay jab Allah Talah chahein wo issi laiq hein kay issy darein aur iss laiq bhi kay wo bakhshy

القیامہ

Surah 75

[1] Mein qasam khata hun qayamat kay din ki

[2] Aur qasam khata hun uss nafas ki jo malamat kernay wala ho

[3] Kiya insan yeh khayal kert hai kay hum uss ki hadiyan jama kerengay hi nahi

[4] Han zaror kerengay hum to qadir hain kay usski por por tak durust kerdein

[5] Bulkay insan to chahta hai kay aagay aagay na farmaniyan kerta jaey

[6] Poochata hai kay qayamat ka din kab aaye ga

[7] Pus jiss waqat kay nigha pathra jaeygi

[8] Aur chand benoor hojaey ga

[9] Aur soraj aur chand jama kerdiye jaeingay

[10] Uss din insan kahega kay aaj bhegnay ki jagah kahan hai

[11] Nahi nahi koi panahgah nahi

[12] Aaj to teray perwardigar ki tarf hi qarar gah hai

[13] Aaj insan ko uss kay aagay bhejay huye aur peechay choray hoye say aagah kiya jaeyga

[14] Bulkay insan khud apney upper aap hujjat hai

[15] Agercha kitnay hi bahanay pesh keryga

[16] (ay nabi) aap quran ko jadi (yaad kernay)kay liey apni zabaan ko herkat na den

[17] Iss ka jama kerna aur (aap ki zaba say)perhna humaray zimmay hai

[18] Hum jab issay parhlen to aap iss kay parhnay ki perwi kerein

[19] Phir is ka wazeh ker dyna hamary zimy hay

[20] Nahi nahi tum jaldi milnay wali(duniya) ki mohabat rakhtay ho

[21] Aur akhrat ko chor bethy ho

[22] Uss roz bohat say chehery ter o taza aur ba runaq hongay

[23] Apney rab ki taraf dekhtay hongay

[24] Aur kitnay chehry us din (bad ronaq aur) udas hongay

[25] Samjhtay hongay kay in kay sath kamar toor dynay wala mamla ki jaey ga

[26] Nahi nahi jab roz hansli tak phunchay gi

[27] Aur kaha jaeyga koi char phonk kernay wala hay

[28] Aur jan liya unsay kay yeh waqat judai hay

[29] Aur pindli say pindli lipat jaey gi

[30] Aj tery perwardigar ki taraf chalna hay

[31] Us ney na to tasdeeq ki aur na namaz ada ki

[32] Bulkay jhutlaya aur roh gatdani ki

[33] Phir apney gher walon kay pass itrata hoya gaya

[34] Afsos hay tujhay per hasrat hay tujh per

[35] Waaye hai aur kharabi hay tery liye

[36] Kiya insan yeh samjhta hay kay usy be kaar chor diay jaey ga

[37] Kiya wo iki ghary pani ka katra na tha jo tapkaya gaya tha

[38] Phir wo laho ka lothra hogay phir Allah ney usy paida kia aur durasat bana diya

[39] Phir us say joray yani nar o mada banay

[40] kiya (Allah Talah) iss (amar)per qadir nahi kay murday ko zinda kerday

الدھر

Surah 76

[1] Yaqeenan guzra hai insan per ik waqat zamanay mein jab kay yeh koi qabe e zikar chez na tha

[2] Besahak hum ney insan ko milay julay nutfay say imtehan kay liye paida kiya aur uss ko sunta dekhta banaya

[3] Hum ney ussay raah dikhai abb khua wo shukar guzar banay khua na shukra

[4] Yaqeenaa hum ney kafiron kay liye zanjeeron aur toq aur sholon wali aag tayar ker rakhi hay

[5] Besahk neek log wo jam piyein gay jiss ki azmaish kafiron ki hay

[6] Jo aik chesma hai jiss say Allah kay banday piyen gay uss ki nehrein nikaal ley jaengay (jidher chahen)

[7] Jo nazar poori kertay hein aur uss din say dartay hein jiss ki buraee charon taraf phel jaanay wali hia

[8] Aur Allah Taalaa ki mohabat mein khana khilatay hein miskeen yateem aur qediyon ko

[9] Hum to tumhein sirf Allah Taalaa ki raza mandi kay liye khilatay hein na tum say badla chatay hein na shuker guzari

[10] Beshak hum apney perwardigar say uss din ka khof kertay hein jo udaasi aur sakhti wala hoga

[11] Pus inhen Allah Taala ney uss din ki buraee say bacha liya aur inhen taazgi aur khushi phonchaee

[12] Aut inhen inkay sabar kay badlay jannat aur reshmi libass ata farmaye

[13] Yeh wahan takhton per takiey lagaey huye bethen gay na wahan aftab ki garmi dfekhein gay ja jaray ki sakhti

[14] In jannaton kay saaye un per jhukey huye hongay aur inkay (meway aur)gunchay neechay latkaaey huye hongay

[15] Aur in per chandi kay bartano aur in jaamon ka dor keraya jayega jo sheeshay kay hongay

[16] Sheeshy bhi chandi kay jinko(saqi ney)andazay say nap rakha hoga

[17] Aur inhein wahan wo jam pilaya jaey ga jin ki amezish zanjabeel ki hogi

[18] Jaanat ki ik nehar say jiss ka nam salsabeel hay

[19] Aur inkay ird gird ghoomtey phirtay hongay wo kumsin bachay jo hamesha rehnay walay hein jab tu unhein dekhay to samjhay key wo bikhray hoey sachay moti hein

[20] Tu wahan jahan kahin bhi nazar daley ga saraser nematein aur azeem-ul-shan saltanat hi dekhay ga

[21] In kay jismoon per sabz bareek aur motay reshmi kapray hongay aur enhen chandi kay kangan ka zewar pehnaya jaeyga aur inhein unka rab pak saaf sharab pilaey ga

[22] (kaha jaeyga)kay yeh hai teray aemal ka badla aur tumhari koshish kiqadar ki gaee

[23] Beshak hum ney tujh per ba tedreej quran nazil kiya hai

[24] Pus to apney rab kay hokum per qaim rah aur in mein say kissi gunhagar ya na shukray ka kaha na maan

[25] Aur apney rab kay naam ka subha o sham zikar kiya ker

[26] Aur raat kay waqat uss kay saamnay sajday ker aur bohat raat tak uss ki tasbeeh kiya ker

[27] Behak yeh log jaldi milnay wali(duniya) ko chahtay hein aur apney peechay aik baray bhari din ko choray detay hein

[28] Hum ney inhein peda kiya aur hum ney hi in key jor aur bandhan mazboot kiey aur hum jab chahen in kay ewaz in jesay auron ko badal layen

[29] Yaqeenan yeh to aik naseehat hai pus jo chahey apney rab ki raah lelay

[30] Aur tum na chahogay magar yeh kay Allah Taalaa hi chahey beshak Allah Talah ilm wala ba hikmat hai

[31] Jissay chahey apni rehmat mein daakhil kerley aur zaalimon kay liye uss ney dard naak azab tayyar ker rakha hai

المرسلات

Surah 77

[1] Dil khush kun chalti hawaon ki qasam

[2] Phir zor say jhonka denay walion ki qasam

[3] Phir(abar ko) ubhaar ker peraganda kernay waliyon ki qasam

[4] Phir haq o batil ko joda joda kerdenay walay

[5] Aur wahee laanay walay farishton ki qasam

[6] Jo (wahee) ilzaam utarnay ya aggah kerdenay kay liey hoti hai

[7] Jiss cheez ka tum saywada kiya jata hai wo yaqeenan honay wali hai

[8] Pus jab sitary be nor kerdiey jaeingay

[9] Aur jab aasman tor phor diya jaey ga

[10] Aur jab pahar tukray tukray kerdkay ura diya jaeyga

[11] Aur jab rasoolon ko waqat muqarrara per laya jaeyga

[12] Kiss din kay liey (in sab ko)mo akkhir kiya gaya hai

[13] Faislay kay din kay liey

[14] Aur tujhay kiya maloom kay faislay ka din kiya hai

[15] Uss din jhutlanay walon ki kharabi hai

[16] Kiya hum ney aglon ko halak nahi kiya

[17] Phir hum inkay baad peechlon ko laey

[18] Hum gunehgaron kay sath issi tarah kertay hein

[19] Uss din jhutlanay walon kay liey wail(afsos) hai

[20] Kiya hum ney tumhein haqeer paani say(money say) peda nahi kiya

[21] Phir hum ney ussay mazboot o mehfooz jaga mein rakha

[22] Aik muqarrara waqat tak

[23] Phir hum ney andaza kiya aur hum kiya khoob andaza kernay walay hein

[24] Uss din takzeeb kernay walon ki kharabi hai

[25] KIya hum ney zameen ko sametnay wali nahi banaya

[26] Zindon ko bhi aur murdon ko bhi

[27] Aur hum ney iss mein buland o bhar pahar bana diey aur tum hein seraab kernay wala meetha paani pilaya

[28] Uss din jhoot jannay walon kay liey waaye aur afsos hai

[29] Uss dozakh ki taraf jao jissay tum jhutlatay rahey thay

[30] Chalo teen shakhon waly saaye ki taraf

[31] Jo dar asel na saaye denay wala hai aur na sholay say bacha sakhta hai

[32] yaqeenan dozakh chingariyan phenkti hai jo misil mehal kay hein

[33] Goya kay who zard unt hain

[34] Aaj in jhot jannay walon ki durgat hai

[35] Aaj (ka din)wo din hai yeh bol bhi na sakein gay

[36] Na unhen maazrat ki ijazat di jaeygi

[37] Uss din jhutlanay walon ki kharabi hai

[38] Yeh hai faislay ka din hum ney tumhein aur aglon ko sab ko jama kerliya hai

[39] Pus agar tum mujh say koi chaal chal saktay hoto chal lo

[40] Waaye hai uss din jhutlanay walon kay liey

[41] Beshak perhezgar log sayon mein hein aur meethay chashmon mein

[42] Aur unn mewon mein jin ki wo khawaish kerein

[43] (aey jannatiyon!)khao piyo mazay say apney kiey huey aamal kay badley

[44] Yaqeenan hum neki kernay walon o iss tarah jaza detay hein

[45] Uss din sacha na jannay walon kay liye wail(afsos) hai

[46] (aey jhutlanay walon tum duniya mein)thora sa khaloo aur faeeda uthalo beshak tum gunehgar ho

[47] Uss din jhutlanay walon kay liye sakht halakat hai

[48] In say jab kaha jata hai kay rukoo kerlo to nahi kertay

[49] Uss din jhutlanay walon ki tabbahi hai

[50] Abb iss quran kay baad kiss baat per eman layengay

النبا

Surah 78

[1] Yeh log kis chez kay bary mein poch gach ker rahy hein

[2] Us bari khabar kay mutaliq

[3] Jiss kay bary mein yeh ikhtylaf ker rahay hein

[4] Yaqenan yeh abhi jan lein gay

[5] Phir bil yaqeen inhein buhat jald maloom hojaey ga

[6] kiya hum nay zameen ko farsh nahi banaya

[7] Aur paharon ko mikhein(nahi banaya)

[8] Aur hum nay tumhein jora jora paida kiya

[9] Aur hum nay tumhari nend ko aram ka sabab banaya

[10] Aur rat ko hum nay parda banaya hay

[11] Aur din ko hum nay waqat e rozgar banaya

[12] Aur tumhary opper hum nay 7 masboot asman banaey

[13] Aur ik chamkta howa roshan chiragh(soraj)paida kiya

[14] Aur badlon say hum nay bakasrat bhyta hoa pani barsaya

[15] Atky us say anaj or sabza ugaein

[16] Aur ghanay bagh(bhi ugay)

[17] be-shak faislay kay din ka waqat mukarer hay

[18] Jiss din kay sor mein phonka jaey ga phir tum foj der foj chaly ao gay

[19] Aur asman khol diaya jaey ga to is mein darwazy darwazy hojaein gay

[20] Aur pahar chaly jaein gay pus wo sarab hojaein gay

[21] Be-shak dozakh ghat mein hay

[22] sarkashon ka thikana wohi hay

[23] Is mein wo mudaton tak pary rahein gay

[24] Na kabhi is mein khunki ka maza chakein gay na pani ka

[25] Siwaey garm pani aur(beyti)peep kay

[26] (Unko)pora pora badla milay ga

[27] Unhein to hisab ki tawaqa hi na thi

[28] Aur bebaki say hamari ayton ki takzeb kerty thy

[29] Hum nay her ik chez ko likh ker shumar ker rakah hay

[30] Ab tum(apnay kiey ka )maza chako hum tumhara azab bhi barhaty rahein gay

[31] Yaqeenan perhezgar logon kay liey kamyabi hay

[32] Baghat hein or angoor hay

[33] Aur nojawan kunwari hum omer auratein hein

[34] Aur chalkty hoy jam sharab hein

[35] Wahan na to who byhoda batein sunein gay aur na jhoti batein sunein gay

[36] (Unko) tery rab ki taraf say (unkay nek amal ka)yeh badla milay ga jo kafi inam hoga

[37] (Is rab ki taraf say milay ga jo kay)asmano ka aur zameen ka aur jo kuch in kay dermiyan hay inka perwardigar hay aur bari bakhsish kernay wala hay kisi ko is say bat chet kerney ka ikhtyar nahi hoga

[38] Jiss din roh or faristy safein bandh ker khary hongay to koi kalam na kersakay ga magar jis say rehman ijazat dayday aur wo thek bat zaban say nikalay

[39] Yeh din haq hay ab jo chaeiy apnay rab kay pass (nek amal kerkay) thikana banalein

[40] Hum nay tumhein unqareeb anay walay azab say dara diya(aur chokanna ker diya) hai. jis din insan apnay haton ki kamai ko dekh ly gaur kafir kahy ga kay kash!mein mitti hojata

النازعات

Surah 79

[1] Doob ker sakhti say khenchnay walon ki qasam

[2] Band khol ker chora dyney walon ki qasam

[3] Aur terney phirnay walon ki qasam

[4] Phir dor ker agy barhnay walon ki qasam

[5] Phir kam ki tadbeer kernay walon ki qasam

[6] Jis din kanpney wali kanpe gi

[7] Us ky bad ik peechy aney wali (peechy peechy) aye gi

[8] (buhat se)dil us din dharakty hongy

[9] Gin ki nigahen nichi hongien

[10] kehty hein ke kiya hum pehli ki si halat ki taraf phir lot aye jaein gay

[11] Kiya us waqt jab ke hum bosida hadiyaan hojaein gay

[12] Kehty hein ke phir to ye lotna nuksandeh hay

[13] (maloom hona chaiey)wo to sirf ik (khufnak)dant hay

[14] Kay (jis kay zihar hoty hi )wo ik dam medan mein jama hojaein gay

[15] Kiya Musa (aleh e salam)ki khabar tumhein phunchi hay

[16] Jabkay unhein unkay rab nay pak medan TUA mein pukara

[17] (kay)tum firoon kay pass jao unsay sirkashi ikhtyar kerli hay

[18] ussy kaho kay kiya to apnai durstagi or islah chata hy

[19] Aur yeh ky mein tujhhy terey Rab ki rah dikhata takay tu (uss say) darnay lagy

[20] Pus ussay bari nishani dikhai

[21] To us ney jhutlaya aur na fermani ki

[22] Phir palta dor dhoop kertay huye

[23] Phir sabb ko jama kerty pukaara

[24] Tum sab ka rab mein hi hun

[25] To(sab say buland o baala)) Allah ney bhi usay aakhrat ky aur duneya ky azab mein giriftaar kerliya

[26] Be-shak is mein is shaks kay liye ibrat hy jo daray

[27] Kiya tumhara peda kerna zadadushwar hy ya aasman ka

[28] Iss ki bulandi unchi ki phir issay theek thak kerdia

[29] Is ski raat ko tareek banaya aur iss kay din ko nikala

[30] Aur is kay baad zameen ko (humwaar)bicha diya

[31] Iss mein say paani aur chaara nikala

[32] Aur paharon ko (mazboot) ghar diya

[33] Yeh sab tumhary aur tumhary janwaron kay fiady kat liey (hein)

[34] Aur jab wo bari afat(qiyamat) ayegi

[35] Jiss din kay insan apnay kiey hoy kamon ko yad kery ga

[36] Aur (her)dekhney waly kay samaney jahanum zahir ki jaey gi

[37] To jiss(shaks) nay sarkashi ki (hogi)

[38] Aur duneyawi zindagi ko tarjeeh di(hogi)

[39] (uska)thikana jahanum hi hay

[40] Han jo shaks apnay rab kay samaney khara honay say darta raha hogaaur apnay nafas ko khuwahish say roka hoga

[41] To uska thikana janat hi hay

[42] Log ap say qiyamat kay waqay honay ka waqat daryafat kerty hein

[43] Ap ko is kay biyan kernay say kiaya taaluq

[44] Isskay ilam ki inteha to Allah ki janib hay

[45] Ap to sirf issy derty rahney walon ko agha kernay walay hein

[46] Jis roz ye ussay dekh lein gay to asa malom hoga kay sirf din ka akhiri hisa ya awal hisa hi(duniya mein)rahy hein

عبس

Surah 80

[1] Wo turush ro howa aur mon mor lia

[2] (sirf isliey)kay uskay pass ik nabina aya

[3] Tujhy kia khabar shayad wo sanwar jata

[4] Ya nasehat sunta or usy nesehat fiada phunchati

[5] Jo be parwaii kerta hay

[6] Uski taraf to pori twaja kerta hy

[7] halankay us kay na sanwarney say tujh per koi ilzam nahi

[8] Aur jo shaks tery pass dorta hoywa ata hay

[9] Aur wo der (bhi) raha hay

[10] To us say byrukhi barta hay

[11] Yeh thek nahi quran is nasehat (ki chez) hay

[12] jo chahy ussy nasehat ly

[13] (ye to)purazmat sahifon mein hay

[14] Jo buland o bala or pak saf hein

[15] Asy likhney walon kay haton mein hy

[16] Jo buzurgh or pakbaz hein

[17] Allah ki mar insan per kaisa nashukra hay

[18] Ussy Allah nay kis chez say paida kiya

[19] Ussy ik nutfay say phir andazy per rakha ussko

[20] Phir us kay liey rasta asan kiya

[21] Phir usy mot di aur phir qabar mein dafan kiya

[22] Phir jab chaey ga zinda ker day ga

[23] Hergiz nahi unsay ab tak Allah kay hokum ki byja awari nahi ki

[24] Insan ko chahye kay apnay khaney ko dekhy

[25] Kay hum nay khob pani barsaya

[26] Phir phara zamen ko achi tarah

[27] Phir is mein anaj ugaey

[28] Or angoor or tarkari

[29] Aur zeitoon or khajoor

[30] Aur gunjan baghat

[31] Aur mywa(aur ghass)chara(bhi ugaya)

[32] Tumhary istamal o faidy kay liey or tumhary chopayon kay liey

[33] Pus jab kay kan bhyray ker dyney wali (qiyamat)ajaey gi

[34] Us din admi apnay bhai say

[35] Aur apni maa or bap say

[36] Aur apni biwi or apni ulad say bhagy ga

[37] in mein say her ik ko us din asi fikar(damengeer)hogi jo uskay liey kafi hogi

[38] Us din bohat say chehry roshan hongy

[39] Jo hansty hoy aur hashshash bashshash hongay

[40] Aur baht say chehry usdin ghubar alod hon gay

[41] Jis per siyahi charhi hoi hogi

[42] wo yehi kafir badkirdar log hon gay

التکویر

Surah 81

[1] Jab sooraj lappet liya jaey ga

[2] Aur jab sitary by noor hojaein gay

[3] Aur jab pahar chalaye jaein gya

[4] Aur jab das mah ki hamla oontniyan chor di jaein gi

[5] Aur jab wehshi janwar ikhattay kiey jaein gay

[6] Aur jab samander bharka diey jaien gay

[7] Aur jab janein (jimson say) mila dein jaein gein

[8] Aur jab zinda gari hoi larki say sawal kiya jaey ga

[9] Kay kis gunha ki waja say wo qatal ki gae

[10] Aur jab nama amal khol diey jaein gay

[11] Aur jab asman ki khal utar li jaey gai

[12] Aur jab jahanum bharkai jaei gi

[13] Aur jab jant nazdek kerdi jaey gi

[14] To us din her shaks jan lyga jo kuch yeh ker aya hoga

[15] Mein qasam khata hon pechay hatnay waly

[16] Chalnay phirney waly chupney waly sitaron ki

[17] Aur rat ki jab janey lagy

[18] Aur subha ki jab chamek ney lagy

[19] Yaqenan yeh ik buzrug rasool ka kaha howa hay

[20] Jo qooat wala hay arsh waly (Allah) kay nazdek buland martaba hay

[21] Jis ki (asmanon mein)ita-at ki jati hay amen hy

[22] Aur tumhara sathi dewana nahi hay

[23] isnay us(farishty)ko asman kay kholy kinary per dekha bhi hay

[24] Aur yeh ghaib ki baton ko batlaney mein bakhil bhi nahi

[25] Aur yeh quran shytan mardod ka kalam nahi

[26] Phir tum kahan jarahy ho

[27] Yeh to tamam jahan walon kay liey nasehat nama hay

[28] (bilkhosos)us kay liey jo tum mein say sedhi rah per chalna chahy

[29] Aur tum baghair parwardigar e alam kay chahaye kuch nahi chah saktay

الانفطار

Surah 82

[1] jab asman phat jaey ga

[2] Aur jab sitary jhar jaein gay

[3] Aur jab samander bhy niklein gay

[4] Aur jab qabreen (shak kerky) ukhar di jaey gi

[5] (us waqat)her shaks apnay agy bhyjy hoy aur pechay chory hoy(yani agly pechly amal)ko maloom ker lyga

[6] Ay insan tujhy apnay rab e karim say kis chez nay bhykaya

[7] Jis(rab nay)tujhy paida kiya phir thek thak kiya phir (durust)baraber banaya

[8] Jis sorat mein chaha tujhy jor diya

[9] Hergiz nahi balky tum to jaza o saza kay din ko jhotlaty ho

[10] Yaqenan tum per nigheban izat waly

[11] Likhney waly muqerer hein

[12] Jo kuch tum kerty ho wo janty hein

[13] Yaqenan nek log(jant kay assh o aram aur)nematon mein hongay

[14] Aur yaqenan bad kar log dozakh mein hongy

[15] Badly waly din is mein jaein agy

[16] Wo is say kabhi ghaib na honey paein gay

[17] Tujhy kuch khabar bhi hay kay badlay ka din kiya hay

[18] Mein tujhy phir (khyta hun kay )tujhay kiya maloom kay jaza (aur saza) ka din kiya hay

[19] Wo hay jis din koi shaks kisi shaks kay liye kissi cheez ka mukhtar na hoga aur (tamam ter) ehkaam us roz Allah kay hi hongay

المطففین

Surah 83

[1] Bari kharabi hay nap tool mein kami kerney walon ki

[2] kay jab logon say nap kerlyty hein to pora pora lyty hein

[3] Aur jab inhein nap ker ya tool ker dyty hein to kam dyty hein

[4] kiya inhen apney marney kay bad ji uthney ka khayal nahi

[5] us azeem din kay liey

[6] Jis din sab log rab ul alameen kay samnay khary hongy

[7] yaqenan badkaron ka nama e amal sijeen mein hay

[8] Tujhy kiya maloom sijeen kiya hay

[9] (yeh to)LIkhi hoi kitab hay

[10] Us din jhotlaney walon ki bari khrabi hay

[11] Jo jaza o saza kay din ko jhotlaty hein

[12] Issy sirf wohi jhotlata hay jo had say agy nikal janey wala(aur) ghunaghar hota hay

[13] Jab iskay samnay hamari ayatein parhi jati hein to keh dyta hay kay yeh aglon kay afsaney hein

[14] Yun nahi balky in kay dilon per in kay amal ki waja say zang (charh gaya)hai

[15] Hergiz nahi yeh log us din apnay rab say oat mein rakhy jaein gay

[16] Phir yeh log bil yaqen jahanum mein jhonky jaein gay

[17] Phir keh diya jaey ga kay yehi hay wo jissy tum jhotlaty rahy

[18] Yaqenan yaqenan nekokaron ka nam e amal illieen mein hay

[19] Tujhy kiya pata kay illieen kiya hay

[20] (wo to) likhi hoi kitab hay

[21] Muqarab (farishty)iska mushahida kerty hein

[22] Yaqeena nek log (bari)nematon mein hongy

[23] Mesherion per bethy dekh rahy hongy

[24] To in kay chehron say hi nematon ki taro tazgi phychan lay ga

[25] Yeh log sir ba mehar khalis sharab pilaey jaeingy

[26] Jiss per mushk ki muhar hogi sabqat lay jeney walon ko isi mein sabqat kerni chahiey

[27] Aur isi ki amyzish tasneem ki hogi

[28] (Yani) wo chashma jis ka pani muqarab log piyein gay

[29] Gunha gar log iman walon ki hansi uraya kerty thy

[30] Aur in kay pass say guzarty hoy apas mein ankh kay isahry kerty thy

[31] Aur jab apnay walon ki taraf lot ty to dil lageyan kerty thy

[32] Aur jab inhein dekhty to kehty yaqeenan yeh log ghumrah(berah) hein

[33] Yeh in per pasban bana ker to nahi bhyjy gay

[34] Pus aj iman waly in kafiron per hansein gay

[35] Takhaton per bethy dekh rahy hongy

[36] Kay abb in munkiron nay jaisa yeh kerty thay poora poora badla pa liya

الانشقاق

Surah 84

[1] Jab asman phat jaey ga

[2] Aur apney rab kay hokum per kan lagaey ga aur issi kay laiq wo hay

[3] Aur jab zameen (khench ker)phela di jaey gi

[4] Aur iss mein jo hai ussay wo ugal degi aur khali hojaigi

[5] Aur apney rab ky hokoom per kaan lagaye gi aur isi kay laeeq wo hy

[6] Aey insaan! Tu apney rab say milney tak yeh koshish aur tamam kaam aur mehnatein kerky ussymulaqatkerney wala hy

[7] To(us waqt) jis shaks kydahaney hath mein aamaal naama diya jaiyga

[8] Us ka hisab to bari aasani say liya jaey ga

[9] Aur wo apney ehal ki taraf hansi khushi lot ayega

[10] Han jis shaks ka aamaal nama us ki peeth ky peechy say diya jaey ga

[11] To wo maut ko bulaney lagyga

[12] Aur bharakti hui jahanum meindakhil hoga

[13] Yeh sahks apnay mutalqeen mein(duniya mein)khush tah

[14] Isska khayal tah kay Allah ki taraf loot ker hi na jaey ga

[15] Que nahi hanlankay iska rab usy bakhobi dekh raha tha

[16] mujhy shafaq ki qasam!aur rat ki

[17] Aur iski jama kerda chezon ki qasam

[18] Aur chand ki jab kay wo kamil hojata hay

[19] Yaqenan tum ik halat say dosri halat per phuncho gay

[20] Inhein ki hogaya kay iman nahi laty

[21] Aur jab in kay pass quran parha jata hay to sajda nahi kerty

[22] balky jinhon nay kufur kiya wo jhotla rahy hein

[23] aur Allah khob janta hay jo kuch yah dilon mein rakhty hein

[24] Inhen alamnak azabon ki khush khabri suna do

[25] Han eman walon aur nek amal walon be shumar aur na khtam honey wala ajar hay

البروج

Surah 85

[1] Burjoon waly asman ki qasam

[2] Wada kiey hoy din ki qasam

[3] Hazir honey waly aur hazir kiey hoy ki qasam

[4] (kay) kahndaqon waly halak kiey gay

[5] Wo ik aag thi endhan wali

[6] jab kay wo log uskay ass pass bethy thy

[7] Aur musalmano kay sath jo ker rahy thy us ko apney samney dekh rahy thy

[8] Yeh log in musalmano(kay kisi aur gunha ka)badla nahi lay rahy thy siway iskay wo Allah galib laeeq e hamd ki zat per iman laey thy

[9] jis kay liey asman o zameen ka mulk hay aur Allah Taalaa kay samney hy her chez

[10] Be-shak jin logon na musalman mardon aur auraton ko sataya phir tooba (bhi)na ki to unkay liey jahanum ka azab hay aur jalney ka azab hay

[11] Be-shak iman qabool kerney walo aur nek kam kerney walon kay liey wo baghat hein jin kay nechay nehrein beh rahi hein yehi bari kamyabi hay

[12] Yaqennan tery rab ki pukar bari sakht hay

[13] Wohi phyli martaba paida kerta hay aur wohi dobara paida kery ga

[14] Wo bara bakhsish kerney wala aur bohat mohabat kernay wala hay

[15] Arsh ka malik azmat wala hay

[16] jo chahy usy ker guzarney wala hay

[17] Tujhy lashkaron ki khabar bhi mili hay

[18] (Yani)firon aur samood ki

[19] (kuch nahi)balky kafir to jhotlaney mein pary hoy hein

[20] Aur Allah bhi unhein her taraf say ghery hoy hy

[21] Balkay yeh quran hay bari shan wala

[22] loh e mahfooz mein (likha hua) hay

الطارق

Surah 86

[1] Qasam hay asman ki aur andhery mein roshan honay waly ki

[2] Tujhy maloom bhi hay ky wo raat ko namodar honey wali chez kiya hay

[3] Wo roshan sitara hay

[4] Koi asa nahi jis per nigheban farishta na ho

[5] Insan ko dekhna chaeiy kay kis chez say paida kiya gaya hay

[6] Wo ik uchalty pani say paida kiya hay

[7] Jo pait aur seney kay dirmiyan say nikalta hay

[8] Be sahk wo usy pher lyney per yaqeenan qudrat rakhney wala hay

[9] Jis din poshida bhedon ki janch partal hogi

[10] To na hoga uskay pass kuch zor na madadgar

[11] Barish waly asman ki qasam

[12] Aur pahtney wali zameen ki qasam

[13] Be-shak yeh (quran)albatta do tok faisla kerney wala kalam hai

[14] Yeh hansi ki(aur be faeeda) baat nahi

[15] Albatta kafir dao ghaat main nahi

[16] Aur mein bhi aik chaal chalraha hun

[17] Tu kafiron ko mohlat dey unhen thory dino chor dy

الاعلیٰ

Surah 87

[1] Apney buhat hi buland Allah kay nam ki pakizgi biyan ker

[2] Jissney paida kiya aur sahi salim banaya

[3] Aur jiss na(thek thak)andaza kiya aur phir rah dekhai

[4] Aur jis nay taza ghass paida ki

[5] Phir ussney is ko (sukha ker )siyah kora ker diya

[6] Hum tujhy parhaein gay phir tu na bhoolay ga

[7] Magar jo kuch Allah chahey wo zahir aur poshida ko janta hay

[8] Hum apky liey asani paida kerdein gay

[9] To ap nasehat kerty rahein ager nasehat kuch faida dy

[10] Derney wala to nasehat lyga

[11] (han)badbakht is say gurez karey ga

[12] Jo bari aag mein jaey ga

[13] Jahan phir won a mary ga jnajeiy ga(balky halat e nazah mein para rahy ga)

[14] Besahk usney falah pali jo pak hogaya

[15] Aur jis nay apney rab ka nam yad rakha aur namaz parhta raha

[16] Lakin tum to duniya ki zindagi ko tarjeeh dyty ho

[17] Aur akhrat buhat bhyter aur baqa wali hay

[18] Yeh batein phyli kitabon mein bhi hein

[19] (yani) Ibrahim aur Musa ki kitabon mein

الغاشیہ

Surah 88

[1] Kiya tujhy bhi chopa lyney wali(qiyamat) ki khabar phunchi hay

[2] Us din bohat say chehry zalil hongy

[3] (aur) mehnat kerney walay thakay huye hongay

[4] Woh dehakti hoi aag mein jaein gy

[5] Aur nihayat garm chasmy ka pani unko pilaya jaey ga

[6] in kay liey siway-e-kanty dar darkhton kay aur kuch khana na hoga

[7] Jo na mota karey ga na bhook mitaey ga

[8] Buhat say chehry usdin tar o taza aur(asoda hall) hongy

[9] Apni koshish per khush hongy

[10] Buland o bala janaton mein hongay

[11] Jahan koi byhoda bat nahi sunein gaein

[12] Jahan bhyta hoa chashma hoga

[13] (Aur) us mein onchy onchy takht hongy

[14] Aur aabkhory rakhy hoy(hongy)

[15] Aur ik qatar mein lagy hoy takiey hongy

[16] Aur makhmali masnadein pheli pari hongi

[17] Kiya yeh onton ko nahi dekhty kay wok is tarah paida kiey gay hein

[18] Aur asmano ko kay kis tarah oncha kiya gaya hay

[19] Aur paharon ki tarf kay kis tarah gar dey gay hein

[20] Aur zameen ki tarf kay kis tarah bechaei gai hay

[21] Pus ap nasehat ker dia kerein (qk)ap sirf nasehat kerney waly hein

[22] Ap kuch in per darogha nahi hein

[23] Han jo shakhs rogardani kerty aur kufur kery

[24] usy Allah Taalaa buhat bara azab dyga

[25] be-shak hamari taraf inko lotna hay

[26] Phir be-shak hamaray zimmay hay inn say hisab lena

الفجر

Surah 89

[1] Qasam hay fajar ki

[2] Aur das raton ki

[3] Aur juft aur taaq ki

[4] Aur raat ki jab wo chalney lagy

[5] Kiya inmein aqalmand kay wasty kafi qisam hay

[6] Kiya ap ney nahi dekha ka yap kay rab nay Qom aad kay sath kiya kiya

[7] Satoonon waly erum kay sath

[8] Jis ki manind (koi qum) mulko mein paida nahi ki gai

[9] Aur qum-e-samood kay sath jinho nay wadi mein bary bary pather trashy thy

[10] Aur firoon kay sath jo meekhon wala tha

[11] In sabhon nay shiron mein sir utha rakha tha

[12] Aur bohat fasad macha rakha tha

[13] Akhir tery rab nay in sab py azab ka kora barsaya

[14] Yaqeenan tera rab ghat mein hay

[15] Insan (ka yeh hal hay kay) jab ussy us ka rab azmata hay aur izat o neymat dyta hay to wo khyney lagta hay kay mery rab nay mujhy izat dar banadiya

[16] aur jab wo usko azmata hay aur uski rozi tang kerdyta hay to wo kehney lagta hay kay mera rab nay meri ahanat ki hy(aur zalil kiya)

[17] Aiaa herghiz nahi balkay (bat yeh hy) kay tum (hi)log yateemo ki izat nahi kerty

[18] Aur miskino kay khilaney ki ik dosry ko targheeb nahi kerty

[19] Aur (mardon ki)miras sameth sameth ker khaty ho

[20] Aur maal ko ji bhar ker aziz rakhty ho

[21] Yaqeenan jis waqat zameen koot koot ker baraber kerdi jaey gi

[22] Aur tera rab(khud )ajaey ga aur farishty safen bandh ker(ajaey gay)

[23] Aur jis din jhanum bhi lai jaey gi oss din insan ko samjh ayegi magar aj osky samjhney ka faida kahan

[24] Wo kahy ga kay kash kay mein nay apni is zindagi kay liey kuch peshgi saman kiya hota

[25] Pus aj Allah kay azab jaisa azab kisi ka na hoga

[26] Na uski qaid o band jaisi kisi ki qaid o band hogi

[27] Ay itmynan wali rooh

[28] To apney rab ki taraf loot chal is tarah kay to issy razi wo tujh say khush

[29] Pus mery khas bandon mein dakhil hoja

[30] Aur meri jannat mein chali ja

البلد

Surah 90

[1] Mein iss sher ki qasam khata hun

[2] aur ap is sher mein muqeem hein

[3] aur (qasam hy)insani bap aur olad ki

[4] Yaqeenan hum ney insan ko(bari)mushaqat mein paida kia hy

[5] kiya yeh guman kerta hy kay yeh kisis kay bas mein hi nai

[6] khyta (phirta )hy ky mein ney to bohat kuch maal khrch ker dala

[7] kiya(yun) samjhta hy ky kisi nay ussy dekha(hi ) nahi

[8] kiya hum nay uski do ankhein nahi banain

[9] aur zaban aur hunt(nahi banaey)

[10] hum nay dekha diy usko dono rasty

[11] So issy na hosakha kay ghatti mein dakhil hota

[12] Aur kiya samjha ky ghatti hy kiya

[13] Kisi garden(gulam londi)ko azad kerna

[14] ya bhok waly din khana khilana

[15] Kisi reshtydar yateem ko

[16] Ya khahsaar miskeen ko

[17] Phir unlogon mein say hojata jo iman laey aur ik dosry ko sabar ki aurreham kerney ki wasiyat kerty hein

[18] Yehi log hein daein bazo waly(khushbakhti waly)

[19] Aur jin logon nay humari aayaton kay sath kufur kiya yeh kam-bakhti waly hain

[20] Inn hi per aag hogi jo charo taraf say gheri hoi hogi

الشمس

Surah 91

[1] Qasam hai sooraj ki aur uski dhoop ki

[2] Qasam hai chand ki jab uskay peechay ay

[3] Qasam hai din ki jab soraj ko numaya keray

[4] Qasam hai raat ki jab ussay dhanp lay

[5] Qasam hai aasman ki aur uskay bananey ki

[6] Qasam hai zamen ki or ussy hamwar kernay ki

[7] Qasam hai nafs ki or ussy durust bananey ki

[8] phir samjh di usko badkari ki aur bach ker chalnay ki

[9] Jiss nay ussay pak kiya wo kamyab hua

[10] Aur jiss nay ussay khak mein mila diya wo nakam hoa

[11] (Qom)samood nay apni sarkashi kay baees jhutlaya

[12] Jab unka bara badbakht uth khara hoa

[13] Unhein Allah kay rassol nay farmadiya tha kay Allah Taalaa ki ontni aur uss kay peeenay ki bari ki (hifazat karo)

[14] Un logon nay apnay pyghamber ko jhota samjh ker uss ontni ki kochein kaat dein pus unkay rab nay unkay gunahon kay baees un per halakat dali aur phir halakat ko aam kerdiya aur uss basti ko barabar ker diya

[15] Wo nahi darta uskay tabahkun anjam say

اللّیل

Surah 92

[1] Qasam hai raat ki jab cha jaey

[2] Aur qasam hai din ki jab roshan ho

[3] Aur qasam hai uss zaat ki jiss nay nar-o-mada ko peda kiya

[4] Yaqeenan tumhari koshish mukhtalif qisim ki hai

[5] Jiss nay diya (Allah ki rah mein)aur dara (apnay rab say)

[6] Aur nek baat ki tasdeq kerta rahega

[7] To hum bhi usko aasan rasty ki saholat dein gay

[8] Lekin jiss nay bakheel ki aur beparwai barti

[9] Aur nek baat ki takzeeb ki

[10] To hum bhi uski tangi-o-mushkil kay saman mayuser kerdein gay

[11] Uska maal ussy(ondha)giraney kay waqat kuch kam na ay ga

[12] Be-shak raah dikha dena himaray zimmay hai

[13] Aur humary hi hath akhrat aurduniya hai

[14] Mein nay to tumhein sholay marti hui aag say dara diya hai

[15] Jiss mein sirf wo hi badbakht dakhil hoga

[16] Jiss nay jhutlaya aur(uski perwi say)mun pher liya

[17] Aur iss say assa shaks dor rakha jaey ga jo bara perhezgar hoga

[18] Jo paaki hasil kernay kay liey apna maal deta hai

[19] Kissi ka uss per koi ehsan nahi kay jiss ka badla diya jaraha ho

[20] bulkay sirf apnay perwardigar buzruk-o-buland ki raza chahnay kay liey

[21] Yaqeenan wo (Allah bhi) un qareeb raza mand hojaeyga

الضحیٰ

Surah 93

[1] Qasam hai chasht kay waqt ki

[2] Aur qasam hai raat ki jab cha jaey

[3] Naa to tery rab nay tujhy chora hai aur na woh bezar hogaya hai

[4] Yaqenan tery liey injam aghaz say behter hoga

[5] Tujhy tere rab baht jald (inam )dyga aur to razi (o khush )hojaey ga

[6] Kiya us nay tujhy yateem paker jagah nahi di

[7] Aur tujhay raah bhola paker hidayat nahi di

[8] Aur tujhy na-daar paaker to-nagar nahi banadiya

[9] Pus yateem per to bhi sakhti na kiya ker

[10] Aur na sawal kernay waly ko dant dapat

[11] Aur apnay rab ki nematon ko biyan kerta reh

الم نشرح

Surah 94

[1] Kiya hum nay tera seena nahi khol diya

[2] Aur tujh per say tera bojh hum ney utar diya

[3] Jiss nay teri peth tordi thi

[4] Aur hum nay tera zikar buland kerdiya

[5] Pus yaqenan mushkil kay sath asani hai

[6] By-shak mushkil kay sath asani hai

[7] Pus jab to farigh ho to ibadat mein mehnat ker

[8] Aur apney parwardigar hi ki tareef mein dil laga

التین

Surah 95

[1] Qasm hai enjeer ki aur zetoon ki

[2] Aur toor seeneen ki

[3] Aur iss aman walay sher ki

[4] Yaqenan hum nay insan ko behtren soorat mein paida kia

[5] Phir isssay neechon say necha kerdiye

[6] lekin jo log eman laey aur (phir)nek amal kiey to inkay liey aisa ajar hai jo kabhi khatam na hoga

[7] Pus tujhay abb roz jaza kay jhutlanay per konsi cheez amaadah kerti hai

[8] Kiya Allah Taalaa (sabb) haakemon ka hakim nahi hai

العلق

Surah 96

[1] Parh apnay rab kay naam say jiss nay peda kiya

[2] Jiss nay insan ko khoon kay lothray say peda kiya

[3] tu parhta reh tera rab baray karam wala hai

[4] Jiss nay qalam kay zariye(ilm)sikhaya

[5] Jiss nay insan ko who sikhaya jissay who nai janta tha

[6] Such much insan to apnay say bahir hojata hy

[7] isliey kay who apnay apko beparwah(ya tu nagar)samjhta hy hai

[8] Yaqeenan lotna teray rab ki taraf hai

[9] (Bhala)issay bhi tumnay dekha jo bandy ko rokta hai

[10] Jabkay who banda salat ada kerta hai

[11] Bahala batla to ager who hidayat per ho

[12] Ya parhezgari ka hokum deta ho

[13] Bhala dekho to agar yeh jhutlata ho aur mun perhta ho to

[14] Kiya uss nay nahi jana kay Allah Taalaa ussay khob dekh raha hai

[15] Yaqeenan ager yeh baaz na raha to hum iski peshani kay baal paker ker ghaseetein gay

[16] Aisi peshani jo jhooti katakar hai

[17] yeh apni majlis walon ko bulalay

[18] hum bhi (dozakh kay)piyadon ko bula lein gy

[19] Khabardar! isska kehna hergiz na manna aur sajda ker aur qareeb hoja

القدر

Surah 97

[1] Yaqeenan hum nay issay shab qadar mein nazil farmaya

[2] To kiaya janey kay shab qadar kiya hy

[3] Shab qadar aik hazar maheeno say behter hai

[4] Iss (mein her kaam) kay siranjam denay ko apney rab kay hukum say farishty aur rooh(jibrael)utertay hain

[5] Yeh raat sir-a-sir slamti ki hoti hai aur fajar kay tuloo honay tak(rehti hai)

البیّنہ

Surah 98

[1] Ehl-e-kitab kay kafir aur mushrik log jabb tak kay unkay pass zahir daleel na ajaye baz rehnay waly na thay(who daleel yeh thi kay)

[2] Allah Taalaa ka aik rasol jo pak saheefay parhay

[3] jin mein sahi aur durust ehkam hon

[4] Ehl-e-kitab apnay pass zahir daleel ajanay kay baad hi (ikhtilaaf mein par ker) mutafarriq hogaey

[5] Unhein isskay siwa koi hokum nahi diya gaya kay sirf Allah ki ibadat kerein ussi kay liey deen ko khalis rakhein.ibraheem hanif kay deen per aur salat ko qaem rakhein aur zakat dety rahen yehi hai deen sedhi millat ka

[6] Be-shak jo log ehl-e-kitab mein say kafir huye aur mushrikeen sab dozakh ki aag mein(jaeigy)jahan who hamesha(hamesha)reheingy.yeh log bad tareen khalaeeq hain

[7] Be-shak jo log eman laey aur nek amal kiey yeh log behtreen khalaeeq hain

[8] Inn ka badla unkay rab kay pass hameshgi wohi jannaten hein jinkay neechy nehrein beh rahi hein jin mein who hamesha hamesha rahein gay.Allah Taalaa unsy razi hua aur yeh uss say razi huye.yeh hai uskay liey jo apnay perwardigar say daray

الزلزال

Surah 99

[1] Jabb zameen pori tarah jhanjor di jaeygi

[2] Aur apney bojh bahar nikal phenkay gi

[3] Insan kehnay lagay ga kay issay kiya hogaya

[4] Uss din zameen apni sabb khabrein biyan kerdegi

[5] Issliye kay tery rab nay ussy hukam diya hoga

[6] Uss rozlog mukhtalif jamatein hoker(wapis)lotein gay takey unhein unkay aiymaal dikha diey jaein

[7] pus jiss nay zara baraber neki ki hogi who issay dekhlega

[8] Aur jiss nay zara baraber burai ki hogi who ussy dekhlega

العادیات

Surah 100

[1] Hanpety hoye dorney waly ghoron ki qasam

[2] Phir taap maar ker aag jharnay walon ki qasam

[3] Phir subha kay waqat dhawa bolney walon ki qasam

[4] Pus uss waqat gard-o-ghubar uraty hein

[5] Phir ussi kay sath fojon kay darmiyan ghos jaty hein

[6] Yaqeenan insan apnay rab ka bara nashukra hy

[7] Aur yaqeenan who khud bhi issi per gawah hai

[8] Yeh maal ki muhabbat mein bhi bara sakht hai

[9] Kiya issay who waqat maloom nahi jabb qabron mein jo kuch hy nikal liya jaey ga

[10] Aur seenon ki poshida batein zahir kerdi jaeingi

[11] Be-shak inka rab uss din unkay haal say poora ba-khabar hoga

القارعہ

Surah 101

[1] Kharkhara deney wali

[2] Kiaya hy who kharkhara deney wali

[3] Tujhay kiya maloom kay who kharkhara deney wali kia hy

[4] Jiss din insan bikhray huye perwanon ki tarah hojaeyen gy

[5] Aur pahar dhunay huye rangeen oon ki tarah hojaein gay

[6] phir jiss kay palry bhari hongy

[7] Who to dilpasand aram ki zindagi mein hoga

[8] Aur jiss kay palry halky hongy

[9] uss ka thikana Laaviya hai

[10] Tujhy kia maloom kay yeh kiya hai

[11] woh Tand-o-tez aag (hai)

التکاثر

Surah 102

[1] Zeyadti ki chahat nay tumhein ghafil kerdia

[2] Yahan tak kay tum qabastan ja phunchy

[3] Hergiz nahi tum unqareeb maloom kerlogay

[4] Hergiz nahi phir tumhein jald ilm hojaey ga

[5] Hergiz nahi ager tum yaqeeni tor per jan lo

[6] To be-shak tum jahanum dekhlogay

[7] Aur tum ussy yaqeen ki aankh say dekhlogy

[8] Phir uss din tum say zarror bil-zaroor nematon ka sawal hoga

العصر

Surah 103

[1] Zamaney ki qasam

[2] Beyshak (bil-yaqeen)insane sir ta sir nuqsan mein hay

[3] Siwaey un logon kay jo eman laey aur nek amal kiey aur(jinhon nay)apas mein haq ki waseeyat ki aur aik doosry ko sabar ki naseehat ki

الھمزہ

Surah 104

[1] Bari kharabi hai her aisy shaks ki jo aib tatolney wala geebat kerney wala ho

[2] Jo maal ko jama kerta jaey or ginta jaey

[3] Woh samjhta hy kay uska maal usky pass sada rahay ga

[4] Hergiz nahi yeh to zaroor tor phor denay wali aag mein phenk diya jaeyga

[5] Aur tujhey kia maloom kay asi aag kiya hogi

[6] Woh Allah Taalaa ki sulgai hoi aag hogi

[7] Jo dilon per charhti chali jaey gi

[8] Who unn per her taraf say band ki hui hogi

[9] Bary bary satoonon mein

الفیل

Surah 105

[1] Kia tu nay na dekha kay tery rab nay hathi walon kay sath kia kiya

[2] Kia unkay maker ko beykar nai kerdia

[3] Aur unper parindon kay jhond kay jhond bhej diey

[4] Jo unhein mitti or pather ki kankariyan mar rahy thy

[5] Pus unhein khaye huye bhoosy ki tarah kerdiya

قریش

Surah 106

[1] Quresh kay manoos kerney kay liye

[2] (yanni) unhen jary aur garmi kay safar say manoos kerney kay liey.(uskay shukriey main)

[3] Pus unhen chahey kay issi gher kay rab ki ibadat kerty rahen

[4] Jiss nay inhen bhook mein khana diya aur darr (aur khof) mein aman (o-aman) diya

الماعون

Surah 107

[1] Kiya tu nay(ussay bhi)dekha jo (roz) jaza ko jhutlata hai

[2] yehi who hai jo yateem ko dhakkay deta hai

[3] Aur miskeen ko khilaney ki targeeb nahi deta

[4] Un namazion kay liey afsos(aur well nami jahanum ki jagah)hai

[5] Jo apni namaz say ghafil hain

[6] Jo riya kari kerty hein

[7] Aur baratnay ki chez roktay hain

الکوثر

Surah 108

[1] Yaqeenan hum nay tujhay (hoz)kusar (aur bhat kuch) diya hay

[2] Pus tu apney rab kay liey namz parh aur qurbani karo

[3] Yaqeenan tera dushman hi la-waris aur benam-o-nishan hai

الکافرون

Surah 109

[1] Aap khydijey kay aey kafiro

[2] Na mein ibadat kerta hun usski jiss kit um ibadat kerty ho

[3] Na tum ibadat kerney waly ho usski jisski mein ibadat kerta hon

[4] Aur na mein ibadat karon ga uski jisski tum ibadat kerty ho

[5] Aur na tum usski ibadat kerney waly hojisski mein ibadat ker raha hon

[6] Tumhary liey tumhara deen hai aur mery liey mera deen hai

النصر

Surah 110

[1] Jab Allah ji madad aur fatah ajaye

[2] Aur tu logon ko ALLAH kay deen mein jok dar jok aata dekh lay

[3] To apnay rabb ki tasbeeh karney lag hamd kay sath aur uss say maghfirat ki dua maang bey shak woh bara hi tauba qabool karney wala hai

اللهب

Surah 111

[1] Abu Lahab ky dono hath toot gaye aur who (khud) halk ho gaya

[2] Na to uska maal usky kaam aya aur na uski kamai

[3] Who unqareeb bharkney waali aag mein jaey ga

[4] Aur uski biwi bhi(jaeygi)jo lakriyan dhonay waali hai

[5] usski gardan mein post khajoor ki bati hui rassi hogi

الاخلاص

Surah 112

[1] Aap kehydijiye kay Woh ALLAH TaALA aik(hi)hai

[2] Allah bey niaz hai

[3] Na uss say koi paida hoa na who kisi say paida hoa

[4] Aur na koi uska humser hai

الفلق

Surah 113

[1] Aap kehdijiye! Kay mein subha ky Rab ki panah mein aata hun

[2] Her uss cheez ky shar say jo uss nay paida ki hai

[3] Aur andheri raat ki tareki kay shar say jab uska andhera phel jaye

[4] Aur girah(laga ker inn)mein phonknay walon kay sher say(bhi)

[5] Aur hasad kerney waly ki burai say bhi jab wo hasad karey

الناس

Surah 114

[1] Aap kehdijiey!kay mein logo kay parwardigar ki panah mein ata hun

[2] Logon ky malik ki(aur)

[3] Logon ky maabood ki(Panah mein)

[4] Waswasa dalney waly pechy hut janey waly kay shar say

[5] Jo logon kay seenon mein waswasa daalta hai

[6] (Khua) woh jinn mein say ho ya insaan mein say