paak hai wo Allah ta’ala jo apne bandHe ko raath hee raath mein masjide haraam se masjide aqsa tak le gaya jis ke aas paas hum ne barkath de rakhi hai, is liye ke hum ose apni khudrath ke baaz namone dikhaaye, yaqinan Allah ta’ala hee qoob sunne dekhne wala hai
hum ne bani israel ke liye unki kitaab mein saaf faisla kar diya tha ke tum zameen mein dobaara fasaad barpa karoge aur tum badi zabardast ziyadatiya karoge
un duno waado mein se pehle ke aate hee hum ne tumhare muqaable par apne bandhe bhej diye jo bade hee ladaake thein, pas wo tumhaare gharo ke andar tak phail gaye aur Allah ka ye waada pura hona hee tha
agar tum ne acche kaam kiye to khud apne hee fayde ke liye aur agar tum ne buraiyya ki, to bhi apne hee liye, phir jab dosre waade ka waqt aaya (to hum ne dosre bandho ko bhej diya ta ke) wo tumhaare chehre bigaad de, aur pehli dafa ki tarah phir osi masjid mein ghus jaaye aur jis jis cheez par qaabo paaye tood phood kar jad se uqaad de
ummid hai ke tumhaara rub tum par rahem kare, haan agar tum phir bhi wahi karne lage to hum bhi dobara aisa hee karenge aur hum ne munkiro ka khaid khaana jahannam ko bana rakha hai
yaqinan ye Qur’an wo raasta dikhata hai jo bahuth hee sidha hai aur imaan walo ko jo nek amaal karte hai us baat ki khush qabri deta hai ke un ke liye bahuth bada ajr hai
hum ne raath aur din ko apni khudrath ki nishaaniya banaayi hai, raath ki nishaani ko to hum ne be-noor kar diya hai aur din ki nishaani ko roushan banaya hai ta ke tum apne rub ka fazl talaash kar sako aur is liye bhi ke barso ka shumaar aur hisaab maaloom kar sako aur har har cheez ko hum ne qoob tafseel se bayaan farma diya hai
hum ne har insaan ki buraayi bhalaayi ko us ke gale laga diya hai aur ba-roze qayamath hum us ke saamne us ka naame amaal nikaalenge jise wo apne upar khula hoa paa lega
jo raahe raasth haasil karle wo khud apne hee bhale ke liye raah yaafta hota hai aur jo bhatak jaaye us ka boojh osi ke upar hai, koyi boojh waala kisi aur ka boojh apne upar na laadega aur hamaari sunnath nahi ke rasool bhejne se pehle hee azaab karne lage
aur jab hum kisi basti ki halaakat ka iraada kar lete hai to wahaan ke khush haal logo ko (kuch) hukm dete hai aur wo us basti mein khuli na farmaani karne lagte hai, to un par (azaab ki) baath saabith ho jaati hai, phir hum ose tabaah wa barbaadh kar dete hai
jis ka iraada sirf us jaldi wali dunya (fauri fayeda) ka hee ho, ose hum yahaan jis qadar jis ke liye chaahe sare-dasth1 dete hai, bil aaqir us liye ke hum jahannam muqarrar kar dete hai jahaan wo bure haalo, dhutkaara hoa daakhil hoga
aur jis ka iraada aaqirath ka ho aur jaisi koshish us ke liye honi chaahiye wo karta bhi ho aur wo ba imaan bhi ho, pas yahi log hai jin ki koshish ki Allah ke haan puri qadardaani ki jayegi
har ek ko hum bahum2 pahonchaaye jaate hai, inhe bhi aur unhe bhi, tere parvardigaar ke inamaath mein se tere parvardigaar ki baqshish ruki hoyi nahi hai
dekh le ke un mein ek ko ek par hum ne kis tarah fazilath de rakhi hai aur aaqirath to darjo mein aur bhi bad kar hai aur fazilath ke etebaar se bhi bahuth badi hai
aur tera parvardigaar saaf saaf hukm de chuka hai ke tum us ke siva kisi aur ki ibaadath na karna aur maa baap ke saath ehsaan karna, agar teri maujoodgi mein un mein se ek ya, ye duno bhudaape ko pahonch jaaye to un ke aage uff tak na kehna, na unhe daant dapat karna, balke un ke saath adab wa ehteraam se baath cheeth karna
aur aajizi aur muhabbath ke saath un ke saamne tawaaze ka baazo pasth rakhe rakhna, aur dua karte rehna ke aye mere parvardigaar! un par waisa hee rahem kar jaisa unhone mere bachpan mein meri parvarish ki hai
aur agar tujhe un se mu pher lena pade, apni rub ki us rehmath ki justajo mein jis ki tu ummid rakhta hai to bhi tujhe chaahiye ke umdagi aur narmi se unhe samjhaade
yaqinan tera rub jis ke liye chaahe rozi kushaada kar deta hai aur jis ke liye chaahe tang, yaqinan wo apne bandho se ba-qabar aur qoob dekhne wala hai
aur kisi jaan ko jis ka maarna Allah ne haraam kar diya hai hargiz na-haq qatal na karna aur jo shaqs mazloom hone ki surath mein maar daala jaaye, hum ne us ke waaris ko taaqath de rakhi hai, pas ose chaahiye ke maar daalne mein zyaadati na kare, beshak wo madad kiya gaya hai
aur yateem ke maal ke qareeb bhi na jaao, bajuz us tariqe ke jo bahuth hee behtar hai yaha tak ke wo apni bulooghath ko pahonch jaaye aur waade pure karo, kyo ke qaul wa qaraar ki baaz purs hone waali hai
ye bhi min-jumla us wahi ke hai jo teri jaanib tere rub ne hikmath se utaari hai, tu Allah ke saath kisi aur ko maaboodh na banana, ke malaamath khorda aur raandaye dargah ho kar dozakh mein daal diya jaaye
saatho aasmaan aur zameen aur jo bhi un mein hai osi ki tasbih kar rahe hai, aisi koi cheez nahi jo ose paakizgi aur tareef ke saath yaad na karti ho, haan ye sahih hai ke tum us ki tasbih samajh nahi sakte, wo bada burdubaar aur baqshne wala hai
aur un ke dilo par hum ne parde daal diye hai ke wo ose samjhe aur un ke kaano mein boojh aur jab tu sirf Allah hee ka zikr us ki tauheed ke saath is Qur’an mein karta hai to wo ru gardaani karte peet pher kar bhaag khade hote hai
jis gharz se wo log ose sunte hai, un (ki niyyato) se hum qoob agaah hai, jab ye aap ki taraf kaan lagaaye hote hai tabh bhi aur jab ye mashwera karte hai tab bhi jab ke ye zaalim kehte hai ke tum us ki taabedaari mein lage hoye ho jin par jaadu kar diya gaya hai
unhone kaha ke kya jab hum haddiya aur (mitthi ho kar) reza reza ho jayenge to kya hum assare nau paida kar ke phir dobara utha kar khade kar diye jayenge
ya koi aisi qalqath jo tumhaare dilo mein bahuth hee saqt maloom ho phir wo ye poche ke kaun hai jo dobaara hamaari zindagi lautaye? aap jawaab de de, ke wahi Allah hai jis ne tumhe awwal baar paida kiya, us par wo apne sar hala hala kar aap se daryaaft karenge ke accha ye hai kab? to aap jawaab de de, ke kya ajab ke wo (saa’ath) qareeb hee aan lagi ho
aur mere bandho se keh dijiye ke wo bahuth hee acchi baath mu se nikala kare kyo ke shaitaan aapas mein fasaad dalwaata hai, beshak shaitaan insaan ka khula dushman hai
tumhaara rub tum se ba-nisbat tumhaare bahuth zyaada jaanne wala hai, wo agar chaahe to tum par rahem karde ya agar wo chaahe tumhe azaab de, hum ne aap ko un ka zimmedaar tehra kar nahi bheja
aasmaano wa zameen mein jo bhi hai aap ka rub sub ko ba-qoobi jaanta hai, hum ne baaz paighambaro ko, baaz par behetri aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ne ata farmayi hai
keh dijiye ke Allah ke siva jinhe tum maboodh samajh rahe ho unhe pukaaro lekin na to wo tum se kisi takleef ko door kar sakte hai aur na badal sakte hai
jinhe ye log pukaarte hai khud wo apne rub ke taqarrub ki justaju mein rehte hai ke un mein se kaun zyaada nazdik ho jaaye, wo khud us ki rehmath ki ummid rakhte aur us ke azaab se khauf zada rehte hai (baath bhi yahi hai) ke tere rub ka azaab darne ki cheez hee hai
jitni bhi bastiya hai hum qayaamath ke din se pehle pehle ya to unhe halaak kar dene wale hai ya saqt tar saza dene wale hai, ye to kitaab mein likha ja chuka hai
hamein nishanaath (maujizaath) ke naazil karne se rook sirf isi ki hai, ke agle log unhe jhutla chuke hai, hum ne samoodiyo ko ba-taure baseerath ke oontni di lekin unhone us par zulm kiya, hum to logo ko dhamkaane ke liye hee nishaaniya bhejte hai
aur yaad karo jab ke hum ne aap se farma diya ke aap ke rub ne logo ko gher liya hai, jo ruya(aini ruiyyath3) hum ne aap ko dikhaai thi wo logo ke liye saaf aazmaayish hee thi, aur isi tarah wo daraqth bhi jis se Qur’aan mein iz’haare nafrath kiya gaya hai hum unhe dara rahe hai, lekin ye unhe aur badi sarkashi mein bada raha hai
jab hum ne farishto ko hukm diya ke aadam ko sajda karo to iblees ke siva sab ne kiya, us ne kaha ke kya main ose sajda karo jise tu ne mitthi se paida kiya hai
accha dekh le ise tu ne mujh par buzrugi to di hai, lekin agar mujhe bhi qayaamath tak tu ne dheel di to main us ki aulaad ko bajuz bahuth thode logo ke apne bas mein kar longa
un mein se tu jise bhi apni awaaz se behka sake behkale, aur un par apne sawaar aur payaade chada la4, aur un ke maal aur aulaad mein se apna bhi sa-jha laga5 aur unhe (jhoote) waade dele, un se jitne bhi waade shaitaan ke hote hai sab ke sab saraasar fareb hai
tumhara parvardigaar wo hai jo tumhaare liye darya mein kashtiya chalata hai ta ke tum us ka fazl talaash karo, wo tumhaare upar bahuth hee meherbaan hai
aur samandaro mein musibath pahonchte hee jinhe tum pukaarte thein sab gum ho jaate hai, sirf wahi Allah baaqi reh jata hai, phir jab wo tumhe khushki ki taraf bacha laata hai to tum mu pher lete ho aur insaan bada hee na shukra hai
to kya tum us se be khauf ho gaye ho ke tumhe khushki ki taraf (le ja kar zameen) mein dhasa de ya tum par pattharo ki aandhi bhejde, phir tum apne liye kisi nigehbaan ko na pa sako
kya tum is baath se be khauf ho gaye ho ke Allah ta’ala phir tumhe dubara darya ke safar mein le aaye aur tum par tez wa tundh hawaao ke jhonke bhej de aur tumhaare kufr ke baayes tumhe dubo de, phir tum apne liye hum par us ka dawa (peecha) karne wala kisi ko na paoge
yaqinan hum ne aulad aadam ko badi izzath di aur unhe khushki aur tari ki sawaariya di aur unhe paakiza cheezo ki roziya di aur apni bahuth si maqlooq par unhe fazilath ataa farmaayi
jis din hum har jamaath ko us ke peshwa sameth bulayenge, phir jin ka bhi amaal nama daaye haath mein de diya gaya wo to shauq se apna naame amaal padne lagenge aur dhaage ke baraabar (zarra baraabar) bhi zulm na kiye jayenge
ye log aap ko is wahi se jo hum ne aap par utaari hai behkaana chaahte, ke aap us ke siva kuch aur hee hamaare naam se ghad ghadaale, tabh to aap ko ye log apna wali dosth bana lete
namaaz ko qaayam kare aftaab ke dhalne se le kar raath ki taariki tak aur fajr ka Qur’an padna bhi, yaqinan fajr ke waqt ka Qur’an padna haazir kiya gaya hai
raath ke kuch hisse mein tahaajjud ki namaaz mein Qur’an ki tilaawath kare, ye zyaadati aap ke liye hai, an-qareeb aap ka rub aap ko muqaam e mehmood mein khada karega
aur dua kiya kare ke aye mere parvardigaar mujhe jaha le ja, acchi tarah le ja aur jaha se nikaal acchi tarah nikaal aur mere liye apne paas se ghalba aur imdaad muqarrar farma de
aur insaan par jab hum apna in’aam karte hai to wo mu mod leta hai aur karwat badal leta hai aur jab ose koyi takleef pahonchti hai to wo mayoos ho jaata hai
aur agar hum chaahe to jo wahi hum ne aap ki taraf utaari hai sab salb6 karle, phir aap ko us ke liye hamaare muqaable mein koyi himaayati mayassar na aa sa ke
keh dijiye ke agar tamaam insaan aur kul jinnaath mil kar is Qur’an ke misl laana chaahe to un sub se us ke misl lana na mumkin hai go wo (aapas mein) ek dosre ke madadgaar bhi ban jaaye
ya aap aasmaan ko hum par tukde tukde kar ke giraade jaisa ke aap ka gumaan hai ya aap khud Allah ta’ala ko aur farishto ko hamaare saamne la khada kare
ya aap ke apne liye koyi sone ka ghar ho jaaye ya aap aasmaan par chad jaaye aur hum to aap ke chad jaane ka bhi us waqt tak har giz yaqeen nahi karenge jab tak ke aap hum par koyi kitaab na utaar laaye jise hum khud padle, aap jawaab de de ke mera parvardigaar paak hai, main to sirf ek insaan hee ho jo rasool banaya gaya hoon
logo ke paas hidaayath pahonch chukne ke baadh imaan se rokne waali sirf yahi cheez rahi ke unhone kaha kya Allah ek insaan hee ko rasool bana kar bheja
Allah jis ki rehnumaai kare wo to hidaayath yaafta hai aur jise wo raah se bhatkaade na mumkin hai ke tu us ka madadgaar us ke siva kisi aur ko paaye, aise logo ka hum baroz qayaamath aundhe mu hashr karenge, dara haal ye ke wo andhe, gonge aur behre honge, un ka thikaana jahannam hoga, jab kabhi wo bujne lagegi hum un par ose aur bhadkaa denge
ye sab hamaari aayato se kufr karne aur us kehne ka badhla hai ke kya jab hum haddiya aur reze reze ho jayenge phir hum nayi paidaayish mein utha khade kiye jayenge
kya unhone is baath par nazar nahi ki, ke jis Allah ne aasmaan wa zameen ko paida kiya hai wo in jaiso ki paidaayish par pura qaadir hai, osi ne un ke liye ek aisa waqt muqarrar kar rakha hai jo shak shuba se yaksar qaali hai, lekin zaalim log inkaar kiye baghair rehte hee nahi
keh dijiye ke agar bil farz tum mere rub ki rehmato ke khazaano ke maalik ban jaate to tum us waqt bhi us ke qarch ho jaane ke khauf se us ko roke rakhte aur insaan hai hee tang dil
hum ne moosa ko nau maujeze bilkul saaf saaf ata farmaaye, tu khud hee bani israel se pooch le, ke jab wo un ke paas pahonche to feraun bola ke aye Moosa! mere qayaal mein to tujh par jaado kar diya gaya hai
Moosa ne jawaab diya ke ye to tujhe ilm ho chuka hai ke aasmaan wa zameen ke parvardigaar hee ne ye maujeze dikhaane samjhaane ko naazil farmaye hai, aye feraun! main to samajh raha hoon ke tu yaqinan barbaadh wa halaak kiya gaya hai
us ke baadh hum ne bani israel se farma diya ke us sar zameen par tum raho saho, haan jab aaqirath ka waada ayega, hum tum sab ko samet aur lapet kar le ayenge
aur hum ne is Qur’an ko haq ke saath utaara aur ye bhi haq ke saath utra, hum ne aap ko sirf khush qabri sunaane wala aur daraane waala bana kar bheja hai
keh dijiye! tum is par imaan lao ya na lao, jinhe is se pehle ilm diya gaya hai un ke paas to jab bhi is ki tilaawath ki jaati hai to wo thudiyo ke bal sajde mein gir padte hai
keh dijiye ke Allah ko Allah keh kar pukaro ya rehmaan keh kar, jis naam se bhi pukaaro, tamaam acche naam osi ke hai, na to tu apni namaaz bahuth bulandh awaaz se pad aur na bilkul poshida, balke is ke darmiyaan ka raasta talaash karle
aur ye keh dijiye ke tamaam tareef Allah hee ke liye hai jo na, aulaad rakhta hai aur na apni baadshaa-hath mein kisi ko shareek wa saajhi rakhta hai aur na wo kamzoor hai ke ose kisi himaayati ki zarurath ho aur tu us ki puri puri badaayi bayaan karta reh