Back to Languages

Urdu - Chapter 17 - Al-Isra

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Isra 17:1

paak hai wo Allah ta’ala jo apne bandHe ko raath hee raath mein masjide haraam se masjide aqsa tak le gaya jis ke aas paas hum ne barkath de rakhi hai, is liye ke hum ose apni khudrath ke baaz namone dikhaaye, yaqinan Allah ta’ala hee qoob sunne dekhne wala hai

Verse 2 — Surah Al-Isra 17:2

hum ne moosa ko kitaab di aur ose bani israel ke liye hidaayat bana diya ke tum mere siva kisi ko apna kaar-saaz na banana

Verse 3 — Surah Al-Isra 17:3

aye un logo ki aulaad! jinhe hum ne nuh ke saath sawaar kar diya tha, wo hamara bada hee shukr guzaar bandha tha

Verse 4 — Surah Al-Isra 17:4

hum ne bani israel ke liye unki kitaab mein saaf faisla kar diya tha ke tum zameen mein dobaara fasaad barpa karoge aur tum badi zabardast ziyadatiya karoge

Verse 5 — Surah Al-Isra 17:5

un duno waado mein se pehle ke aate hee hum ne tumhare muqaable par apne bandhe bhej diye jo bade hee ladaake thein, pas wo tumhaare gharo ke andar tak phail gaye aur Allah ka ye waada pura hona hee tha

Verse 6 — Surah Al-Isra 17:6

phir hum ne un par tumhaara ghalba de kar tumhaare din phere aur maal aur aulaad se tumhaari madad ki aur tumhe bade jatthe wala bana diya

Verse 7 — Surah Al-Isra 17:7

agar tum ne acche kaam kiye to khud apne hee fayde ke liye aur agar tum ne buraiyya ki, to bhi apne hee liye, phir jab dosre waade ka waqt aaya (to hum ne dosre bandho ko bhej diya ta ke) wo tumhaare chehre bigaad de, aur pehli dafa ki tarah phir osi masjid mein ghus jaaye aur jis jis cheez par qaabo paaye tood phood kar jad se uqaad de

Verse 8 — Surah Al-Isra 17:8

ummid hai ke tumhaara rub tum par rahem kare, haan agar tum phir bhi wahi karne lage to hum bhi dobara aisa hee karenge aur hum ne munkiro ka khaid khaana jahannam ko bana rakha hai

Verse 9 — Surah Al-Isra 17:9

yaqinan ye Qur’an wo raasta dikhata hai jo bahuth hee sidha hai aur imaan walo ko jo nek amaal karte hai us baat ki khush qabri deta hai ke un ke liye bahuth bada ajr hai

Verse 10 — Surah Al-Isra 17:10

aur ye ke jo log aqirath par yaqeen nahi rakhte un ke liye hum ne dardnaak azaab tayyaar kar rakha hai

Verse 11 — Surah Al-Isra 17:11

aur insaan burayi ki duaein maangne lagta hai bilkul us ki apni bhalaayi ki dua ki tarah, insaan hai hee bada jald baaz

Verse 12 — Surah Al-Isra 17:12

hum ne raath aur din ko apni khudrath ki nishaaniya banaayi hai, raath ki nishaani ko to hum ne be-noor kar diya hai aur din ki nishaani ko roushan banaya hai ta ke tum apne rub ka fazl talaash kar sako aur is liye bhi ke barso ka shumaar aur hisaab maaloom kar sako aur har har cheez ko hum ne qoob tafseel se bayaan farma diya hai

Verse 13 — Surah Al-Isra 17:13

hum ne har insaan ki buraayi bhalaayi ko us ke gale laga diya hai aur ba-roze qayamath hum us ke saamne us ka naame amaal nikaalenge jise wo apne upar khula hoa paa lega

Verse 14 — Surah Al-Isra 17:14

le! khud hee apni kitaab aap pad le, aaj to, tu aap hee apna khud hisaab lene ko kaafi hai

Verse 15 — Surah Al-Isra 17:15

jo raahe raasth haasil karle wo khud apne hee bhale ke liye raah yaafta hota hai aur jo bhatak jaaye us ka boojh osi ke upar hai, koyi boojh waala kisi aur ka boojh apne upar na laadega aur hamaari sunnath nahi ke rasool bhejne se pehle hee azaab karne lage

Verse 16 — Surah Al-Isra 17:16

aur jab hum kisi basti ki halaakat ka iraada kar lete hai to wahaan ke khush haal logo ko (kuch) hukm dete hai aur wo us basti mein khuli na farmaani karne lagte hai, to un par (azaab ki) baath saabith ho jaati hai, phir hum ose tabaah wa barbaadh kar dete hai

Verse 17 — Surah Al-Isra 17:17

hum ne nuh ke baadh bhi bahuth si khaume halaak ki aur tera rub apne bandho ke gunaaho se kaafi qabardaar aur qoob dekhne bhaalne wala hai

Verse 18 — Surah Al-Isra 17:18

jis ka iraada sirf us jaldi wali dunya (fauri fayeda) ka hee ho, ose hum yahaan jis qadar jis ke liye chaahe sare-dasth1 dete hai, bil aaqir us liye ke hum jahannam muqarrar kar dete hai jahaan wo bure haalo, dhutkaara hoa daakhil hoga

Verse 19 — Surah Al-Isra 17:19

aur jis ka iraada aaqirath ka ho aur jaisi koshish us ke liye honi chaahiye wo karta bhi ho aur wo ba imaan bhi ho, pas yahi log hai jin ki koshish ki Allah ke haan puri qadardaani ki jayegi

Verse 20 — Surah Al-Isra 17:20

har ek ko hum bahum2 pahonchaaye jaate hai, inhe bhi aur unhe bhi, tere parvardigaar ke inamaath mein se tere parvardigaar ki baqshish ruki hoyi nahi hai

Verse 21 — Surah Al-Isra 17:21

dekh le ke un mein ek ko ek par hum ne kis tarah fazilath de rakhi hai aur aaqirath to darjo mein aur bhi bad kar hai aur fazilath ke etebaar se bhi bahuth badi hai

Verse 22 — Surah Al-Isra 17:22

Allah ke saath kisi aur ko maboodh na tehra, ke aaqirash tu, bure haalo be kas ho kar baith rahega

Verse 23 — Surah Al-Isra 17:23

aur tera parvardigaar saaf saaf hukm de chuka hai ke tum us ke siva kisi aur ki ibaadath na karna aur maa baap ke saath ehsaan karna, agar teri maujoodgi mein un mein se ek ya, ye duno bhudaape ko pahonch jaaye to un ke aage uff tak na kehna, na unhe daant dapat karna, balke un ke saath adab wa ehteraam se baath cheeth karna

Verse 24 — Surah Al-Isra 17:24

aur aajizi aur muhabbath ke saath un ke saamne tawaaze ka baazo pasth rakhe rakhna, aur dua karte rehna ke aye mere parvardigaar! un par waisa hee rahem kar jaisa unhone mere bachpan mein meri parvarish ki hai

Verse 25 — Surah Al-Isra 17:25

jo kuch tumhaare dilo mein hai ose tumhara rub ba-qoobi jaanta hai, agar tum nek ho to wo to rujo karne walo ko baqshne wala hai

Verse 26 — Surah Al-Isra 17:26

aur rishtedaaro ka aur miskino aur musaafiro ka haq adaa karte raho, aur israaf aur beja qarch se bacho

Verse 27 — Surah Al-Isra 17:27

beja qarch karne waale shaitaano ke bhai hai aur shaitaan apne parvardigaar ka bada hee na shukra hai

Verse 28 — Surah Al-Isra 17:28

aur agar tujhe un se mu pher lena pade, apni rub ki us rehmath ki justajo mein jis ki tu ummid rakhta hai to bhi tujhe chaahiye ke umdagi aur narmi se unhe samjhaade

Verse 29 — Surah Al-Isra 17:29

apna haath apni gardan se bandha hoa na rakh aur na ose bikul hee qool de ke phir malaamath kiya hoa darmaanda baith jaaye

Verse 30 — Surah Al-Isra 17:30

yaqinan tera rub jis ke liye chaahe rozi kushaada kar deta hai aur jis ke liye chaahe tang, yaqinan wo apne bandho se ba-qabar aur qoob dekhne wala hai

Verse 31 — Surah Al-Isra 17:31

aur muflisi ke khauf se apni aulaado ko na maar daalo, un ko aur tum ko hum hee rozi dete hai, yaqinan un ka qatl karna kabira gunah hai

Verse 32 — Surah Al-Isra 17:32

qabardaar zeena ke qareeb bhi na phatakna, kyo ke wo badi be-hayaayi hai aur bahuth hee buri raah hai

Verse 33 — Surah Al-Isra 17:33

aur kisi jaan ko jis ka maarna Allah ne haraam kar diya hai hargiz na-haq qatal na karna aur jo shaqs mazloom hone ki surath mein maar daala jaaye, hum ne us ke waaris ko taaqath de rakhi hai, pas ose chaahiye ke maar daalne mein zyaadati na kare, beshak wo madad kiya gaya hai

Verse 34 — Surah Al-Isra 17:34

aur yateem ke maal ke qareeb bhi na jaao, bajuz us tariqe ke jo bahuth hee behtar hai yaha tak ke wo apni bulooghath ko pahonch jaaye aur waade pure karo, kyo ke qaul wa qaraar ki baaz purs hone waali hai

Verse 35 — Surah Al-Isra 17:35

aur jab naapne lago to bharpoor paimaane se naapo aur sidhi taraazo se tola karo, yahi behtar hai, aur anjaam ke lehaaz se bhi bahuth accha hai

Verse 36 — Surah Al-Isra 17:36

jis baath ki tujhe qabar hee na ho, us ke peeche math pad, kyo ke kaan aur aankh aur dil un mein se har ek se pooch gaj ki jaane wali hai

Verse 37 — Surah Al-Isra 17:37

aur zameen mein akad kar na chal, ke na tu zameen ko phaad sakta hai aur na lambaayi mein pahaado ko pahonch sakta hai

Verse 38 — Surah Al-Isra 17:38

un sab kaamo ki buraayi tere rub ke nazdeek (saqt) na pasand hai

Verse 39 — Surah Al-Isra 17:39

ye bhi min-jumla us wahi ke hai jo teri jaanib tere rub ne hikmath se utaari hai, tu Allah ke saath kisi aur ko maaboodh na banana, ke malaamath khorda aur raandaye dargah ho kar dozakh mein daal diya jaaye

Verse 40 — Surah Al-Isra 17:40

kya beto ke liye to Allah ne tumhe chaant liya aur khud apne liye farishto ko ladkiya baanali? beshak tum bahuth bada bool, bol rahe ho

Verse 41 — Surah Al-Isra 17:41

hum ne to is Qur’an mein har har tarah bayaan farma diya ke log samajh jaaye lekin us se unhe to nafrath hee badti hai

Verse 42 — Surah Al-Isra 17:42

keh di jiye ke agar Allah ke saath aur maboodh bhi hote jaise ke ye log kehte hai to zaroor wo ab tak maalike arsh ki jaanib raah dhoond nikaalte

Verse 43 — Surah Al-Isra 17:43

jo kuch ye kehte hai us se wo paak aur baalatar bahuth door aur bahuth buland hai

Verse 44 — Surah Al-Isra 17:44

saatho aasmaan aur zameen aur jo bhi un mein hai osi ki tasbih kar rahe hai, aisi koi cheez nahi jo ose paakizgi aur tareef ke saath yaad na karti ho, haan ye sahih hai ke tum us ki tasbih samajh nahi sakte, wo bada burdubaar aur baqshne wala hai

Verse 45 — Surah Al-Isra 17:45

tu jab Qur’an padta hai hum tere aur un logo ke darmiyaan jo aaqirath par yaqeen nahi rakhte ek poshida hijaab daal dete hai

Verse 46 — Surah Al-Isra 17:46

aur un ke dilo par hum ne parde daal diye hai ke wo ose samjhe aur un ke kaano mein boojh aur jab tu sirf Allah hee ka zikr us ki tauheed ke saath is Qur’an mein karta hai to wo ru gardaani karte peet pher kar bhaag khade hote hai

Verse 47 — Surah Al-Isra 17:47

jis gharz se wo log ose sunte hai, un (ki niyyato) se hum qoob agaah hai, jab ye aap ki taraf kaan lagaaye hote hai tabh bhi aur jab ye mashwera karte hai tab bhi jab ke ye zaalim kehte hai ke tum us ki taabedaari mein lage hoye ho jin par jaadu kar diya gaya hai

Verse 48 — Surah Al-Isra 17:48

dekhe to sahih aap ke liye kya kya misaale bayaan karte hai, pas wo bahek rahe hai, ab to raah paana un ke bas mein nahi raha

Verse 49 — Surah Al-Isra 17:49

unhone kaha ke kya jab hum haddiya aur (mitthi ho kar) reza reza ho jayenge to kya hum assare nau paida kar ke phir dobara utha kar khade kar diye jayenge

Verse 50 — Surah Al-Isra 17:50

jawaab di jiye, ke tum patthar ban jao ya loha

Verse 51 — Surah Al-Isra 17:51

ya koi aisi qalqath jo tumhaare dilo mein bahuth hee saqt maloom ho phir wo ye poche ke kaun hai jo dobaara hamaari zindagi lautaye? aap jawaab de de, ke wahi Allah hai jis ne tumhe awwal baar paida kiya, us par wo apne sar hala hala kar aap se daryaaft karenge ke accha ye hai kab? to aap jawaab de de, ke kya ajab ke wo (saa’ath) qareeb hee aan lagi ho

Verse 52 — Surah Al-Isra 17:52

jis din wo tumhe bulayega tum us ki taareef karte hoye taameel irshaad karoge aur gumaan karoge ke tumhaara rehna bahuth hee thoda hai

Verse 53 — Surah Al-Isra 17:53

aur mere bandho se keh dijiye ke wo bahuth hee acchi baath mu se nikala kare kyo ke shaitaan aapas mein fasaad dalwaata hai, beshak shaitaan insaan ka khula dushman hai

Verse 54 — Surah Al-Isra 17:54

tumhaara rub tum se ba-nisbat tumhaare bahuth zyaada jaanne wala hai, wo agar chaahe to tum par rahem karde ya agar wo chaahe tumhe azaab de, hum ne aap ko un ka zimmedaar tehra kar nahi bheja

Verse 55 — Surah Al-Isra 17:55

aasmaano wa zameen mein jo bhi hai aap ka rub sub ko ba-qoobi jaanta hai, hum ne baaz paighambaro ko, baaz par behetri aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ne ata farmayi hai

Verse 56 — Surah Al-Isra 17:56

keh dijiye ke Allah ke siva jinhe tum maboodh samajh rahe ho unhe pukaaro lekin na to wo tum se kisi takleef ko door kar sakte hai aur na badal sakte hai

Verse 57 — Surah Al-Isra 17:57

jinhe ye log pukaarte hai khud wo apne rub ke taqarrub ki justaju mein rehte hai ke un mein se kaun zyaada nazdik ho jaaye, wo khud us ki rehmath ki ummid rakhte aur us ke azaab se khauf zada rehte hai (baath bhi yahi hai) ke tere rub ka azaab darne ki cheez hee hai

Verse 58 — Surah Al-Isra 17:58

jitni bhi bastiya hai hum qayaamath ke din se pehle pehle ya to unhe halaak kar dene wale hai ya saqt tar saza dene wale hai, ye to kitaab mein likha ja chuka hai

Verse 59 — Surah Al-Isra 17:59

hamein nishanaath (maujizaath) ke naazil karne se rook sirf isi ki hai, ke agle log unhe jhutla chuke hai, hum ne samoodiyo ko ba-taure baseerath ke oontni di lekin unhone us par zulm kiya, hum to logo ko dhamkaane ke liye hee nishaaniya bhejte hai

Verse 60 — Surah Al-Isra 17:60

aur yaad karo jab ke hum ne aap se farma diya ke aap ke rub ne logo ko gher liya hai, jo ruya(aini ruiyyath3) hum ne aap ko dikhaai thi wo logo ke liye saaf aazmaayish hee thi, aur isi tarah wo daraqth bhi jis se Qur’aan mein iz’haare nafrath kiya gaya hai hum unhe dara rahe hai, lekin ye unhe aur badi sarkashi mein bada raha hai

Verse 61 — Surah Al-Isra 17:61

jab hum ne farishto ko hukm diya ke aadam ko sajda karo to iblees ke siva sab ne kiya, us ne kaha ke kya main ose sajda karo jise tu ne mitthi se paida kiya hai

Verse 62 — Surah Al-Isra 17:62

accha dekh le ise tu ne mujh par buzrugi to di hai, lekin agar mujhe bhi qayaamath tak tu ne dheel di to main us ki aulaad ko bajuz bahuth thode logo ke apne bas mein kar longa

Verse 63 — Surah Al-Isra 17:63

irshaad hoa ke ja un mein se jo bhi tera taabedaar ho jayega to tum sab ki saza jahannam hai, jo pura pura badhla hai

Verse 64 — Surah Al-Isra 17:64

un mein se tu jise bhi apni awaaz se behka sake behkale, aur un par apne sawaar aur payaade chada la4, aur un ke maal aur aulaad mein se apna bhi sa-jha laga5 aur unhe (jhoote) waade dele, un se jitne bhi waade shaitaan ke hote hai sab ke sab saraasar fareb hai

Verse 65 — Surah Al-Isra 17:65

mere sacche bandho par tera koyi qaabo aur bas nahi, tera rub kaar-saazi karne wala kaafi hai

Verse 66 — Surah Al-Isra 17:66

tumhara parvardigaar wo hai jo tumhaare liye darya mein kashtiya chalata hai ta ke tum us ka fazl talaash karo, wo tumhaare upar bahuth hee meherbaan hai

Verse 67 — Surah Al-Isra 17:67

aur samandaro mein musibath pahonchte hee jinhe tum pukaarte thein sab gum ho jaate hai, sirf wahi Allah baaqi reh jata hai, phir jab wo tumhe khushki ki taraf bacha laata hai to tum mu pher lete ho aur insaan bada hee na shukra hai

Verse 68 — Surah Al-Isra 17:68

to kya tum us se be khauf ho gaye ho ke tumhe khushki ki taraf (le ja kar zameen) mein dhasa de ya tum par pattharo ki aandhi bhejde, phir tum apne liye kisi nigehbaan ko na pa sako

Verse 69 — Surah Al-Isra 17:69

kya tum is baath se be khauf ho gaye ho ke Allah ta’ala phir tumhe dubara darya ke safar mein le aaye aur tum par tez wa tundh hawaao ke jhonke bhej de aur tumhaare kufr ke baayes tumhe dubo de, phir tum apne liye hum par us ka dawa (peecha) karne wala kisi ko na paoge

Verse 70 — Surah Al-Isra 17:70

yaqinan hum ne aulad aadam ko badi izzath di aur unhe khushki aur tari ki sawaariya di aur unhe paakiza cheezo ki roziya di aur apni bahuth si maqlooq par unhe fazilath ataa farmaayi

Verse 71 — Surah Al-Isra 17:71

jis din hum har jamaath ko us ke peshwa sameth bulayenge, phir jin ka bhi amaal nama daaye haath mein de diya gaya wo to shauq se apna naame amaal padne lagenge aur dhaage ke baraabar (zarra baraabar) bhi zulm na kiye jayenge

Verse 72 — Surah Al-Isra 17:72

aur jo koyi is jahaan mein andha raha wo aaqirath mein bhi andha aur raaste se bahuth hee bhatka hoa rahega

Verse 73 — Surah Al-Isra 17:73

ye log aap ko is wahi se jo hum ne aap par utaari hai behkaana chaahte, ke aap us ke siva kuch aur hee hamaare naam se ghad ghadaale, tabh to aap ko ye log apna wali dosth bana lete

Verse 74 — Surah Al-Isra 17:74

agar hum aap ko saabith qadam na rakhte to bahuth mumkin tha ke un ki taraf qadre khlaeel maayel ho hee jaate

Verse 75 — Surah Al-Isra 17:75

phir to hum bhi aap ko duhra azaab dunya ka karte aur dohra hee mauth ka, phir aap to apne liye hamaare muqaable mein kisi ko madadgaar bhi na paate

Verse 76 — Surah Al-Isra 17:76

ye to aap ke qadam us sar zameen se uqaadne hee lage thein ke aap ko us se nikaal de, phir ye bhi aap ke baadh bahuth hee kam teher paate

Verse 77 — Surah Al-Isra 17:77

aisa hee dastoor un ka tha jo aap se pehle rasool hum ne bheje aur aap hamaare dastoor mein kabhi raddu badal na payenge

Verse 78 — Surah Al-Isra 17:78

namaaz ko qaayam kare aftaab ke dhalne se le kar raath ki taariki tak aur fajr ka Qur’an padna bhi, yaqinan fajr ke waqt ka Qur’an padna haazir kiya gaya hai

Verse 79 — Surah Al-Isra 17:79

raath ke kuch hisse mein tahaajjud ki namaaz mein Qur’an ki tilaawath kare, ye zyaadati aap ke liye hai, an-qareeb aap ka rub aap ko muqaam e mehmood mein khada karega

Verse 80 — Surah Al-Isra 17:80

aur dua kiya kare ke aye mere parvardigaar mujhe jaha le ja, acchi tarah le ja aur jaha se nikaal acchi tarah nikaal aur mere liye apne paas se ghalba aur imdaad muqarrar farma de

Verse 81 — Surah Al-Isra 17:81

aur elaan karde ke haq aa chuka aur na haq na boodh ho gaya, yaqinan baatil tha bhi na boodh hone wala

Verse 82 — Surah Al-Isra 17:82

ye Qur’an jo hum naazil kar rahe hai momino ke liye to saraasar shifa aur rehmath hai, haan zaalimo ko bajuz nuqsaan ke aur koyi zyaadati nahi hoti

Verse 83 — Surah Al-Isra 17:83

aur insaan par jab hum apna in’aam karte hai to wo mu mod leta hai aur karwat badal leta hai aur jab ose koyi takleef pahonchti hai to wo mayoos ho jaata hai

Verse 84 — Surah Al-Isra 17:84

keh dijiye ke har shaqs apne tareeqe par aamil hai, jo puri hidaayath ke raaste par hai, unhe tumhaara rub hee ba-qoobi jaanne wala hai

Verse 85 — Surah Al-Isra 17:85

aur ye log aap se ruh ki baabath sawaal karte hai, aap jawaab de dijiye ke ruh mere rub ke hukm se hai aur tumhe bahuth hee kam ilm diya gaya hai

Verse 86 — Surah Al-Isra 17:86

aur agar hum chaahe to jo wahi hum ne aap ki taraf utaari hai sab salb6 karle, phir aap ko us ke liye hamaare muqaable mein koyi himaayati mayassar na aa sa ke

Verse 87 — Surah Al-Isra 17:87

sivaaye aap ke rub ki rehmath ke, yaqinan aap par us ka bada hee fazl hai

Verse 88 — Surah Al-Isra 17:88

keh dijiye ke agar tamaam insaan aur kul jinnaath mil kar is Qur’an ke misl laana chaahe to un sub se us ke misl lana na mumkin hai go wo (aapas mein) ek dosre ke madadgaar bhi ban jaaye

Verse 89 — Surah Al-Isra 17:89

hum ne to is Qur’an mein logo ke samajhne ke liye har tarah se tamaam misaale bayaan kardi hai, magar aksar log inkaar se baaz nahi aate

Verse 90 — Surah Al-Isra 17:90

unhone kaha ke hum aap par hargiz imaan laane ke nahi, ta waqt ye ke aap hamaare liye zameen se koyi chashma jaari na karde

Verse 91 — Surah Al-Isra 17:91

ya khud aap ke liye hee koyi baagh ho khajuro aur anguro ka aur us ke darmiyaan aap bahuth si nehre jaari kar dikhaye

Verse 92 — Surah Al-Isra 17:92

ya aap aasmaan ko hum par tukde tukde kar ke giraade jaisa ke aap ka gumaan hai ya aap khud Allah ta’ala ko aur farishto ko hamaare saamne la khada kare

Verse 93 — Surah Al-Isra 17:93

ya aap ke apne liye koyi sone ka ghar ho jaaye ya aap aasmaan par chad jaaye aur hum to aap ke chad jaane ka bhi us waqt tak har giz yaqeen nahi karenge jab tak ke aap hum par koyi kitaab na utaar laaye jise hum khud padle, aap jawaab de de ke mera parvardigaar paak hai, main to sirf ek insaan hee ho jo rasool banaya gaya hoon

Verse 94 — Surah Al-Isra 17:94

logo ke paas hidaayath pahonch chukne ke baadh imaan se rokne waali sirf yahi cheez rahi ke unhone kaha kya Allah ek insaan hee ko rasool bana kar bheja

Verse 95 — Surah Al-Isra 17:95

aap kehde ke agar zameen mein farishte chalte phirte aur rehte baste hote to hum bhi un ke paas kisi aasmaani farishte hee ko rasool bana kar bhejte

Verse 96 — Surah Al-Isra 17:96

keh dijiye ke mere aur tumhaare darmiyaan Allah ta’ala ka gawaah hona kaafi hai, wo apne bandho se qoob agaah aur ba qoobi dekhne wala hai

Verse 97 — Surah Al-Isra 17:97

Allah jis ki rehnumaai kare wo to hidaayath yaafta hai aur jise wo raah se bhatkaade na mumkin hai ke tu us ka madadgaar us ke siva kisi aur ko paaye, aise logo ka hum baroz qayaamath aundhe mu hashr karenge, dara haal ye ke wo andhe, gonge aur behre honge, un ka thikaana jahannam hoga, jab kabhi wo bujne lagegi hum un par ose aur bhadkaa denge

Verse 98 — Surah Al-Isra 17:98

ye sab hamaari aayato se kufr karne aur us kehne ka badhla hai ke kya jab hum haddiya aur reze reze ho jayenge phir hum nayi paidaayish mein utha khade kiye jayenge

Verse 99 — Surah Al-Isra 17:99

kya unhone is baath par nazar nahi ki, ke jis Allah ne aasmaan wa zameen ko paida kiya hai wo in jaiso ki paidaayish par pura qaadir hai, osi ne un ke liye ek aisa waqt muqarrar kar rakha hai jo shak shuba se yaksar qaali hai, lekin zaalim log inkaar kiye baghair rehte hee nahi

Verse 100 — Surah Al-Isra 17:100

keh dijiye ke agar bil farz tum mere rub ki rehmato ke khazaano ke maalik ban jaate to tum us waqt bhi us ke qarch ho jaane ke khauf se us ko roke rakhte aur insaan hai hee tang dil

Verse 101 — Surah Al-Isra 17:101

hum ne moosa ko nau maujeze bilkul saaf saaf ata farmaaye, tu khud hee bani israel se pooch le, ke jab wo un ke paas pahonche to feraun bola ke aye Moosa! mere qayaal mein to tujh par jaado kar diya gaya hai

Verse 102 — Surah Al-Isra 17:102

Moosa ne jawaab diya ke ye to tujhe ilm ho chuka hai ke aasmaan wa zameen ke parvardigaar hee ne ye maujeze dikhaane samjhaane ko naazil farmaye hai, aye feraun! main to samajh raha hoon ke tu yaqinan barbaadh wa halaak kiya gaya hai

Verse 103 — Surah Al-Isra 17:103

aaqir feraun ne poqta iraada kar liya ke unhe zameen se hee uqed de, to hum ne khud ose aur us ke tamaam saathiyo ko gharq kar diya

Verse 104 — Surah Al-Isra 17:104

us ke baadh hum ne bani israel se farma diya ke us sar zameen par tum raho saho, haan jab aaqirath ka waada ayega, hum tum sab ko samet aur lapet kar le ayenge

Verse 105 — Surah Al-Isra 17:105

aur hum ne is Qur’an ko haq ke saath utaara aur ye bhi haq ke saath utra, hum ne aap ko sirf khush qabri sunaane wala aur daraane waala bana kar bheja hai

Verse 106 — Surah Al-Isra 17:106

Qur’an ko hum ne thoda thoda kar ke is liye utaara hai ke aap ise ba muhullath logo ko sunaaye aur hum ne khud bhi ise ba-tadhreej naazil faramaya

Verse 107 — Surah Al-Isra 17:107

keh dijiye! tum is par imaan lao ya na lao, jinhe is se pehle ilm diya gaya hai un ke paas to jab bhi is ki tilaawath ki jaati hai to wo thudiyo ke bal sajde mein gir padte hai

Verse 108 — Surah Al-Isra 17:108

aur kehte hai ke hamaara rub paak hai, hamaare rub ka waada bila shak wa shuba pura ho kar rehne wala hee hai

Verse 109 — Surah Al-Isra 17:109

wo apni thudiyo ke bal rote hoye sajde mein gir padte hai aur ye Qur’an un ki aajizi aur khushu aur khuzo bada deta hai

Verse 110 — Surah Al-Isra 17:110

keh dijiye ke Allah ko Allah keh kar pukaro ya rehmaan keh kar, jis naam se bhi pukaaro, tamaam acche naam osi ke hai, na to tu apni namaaz bahuth bulandh awaaz se pad aur na bilkul poshida, balke is ke darmiyaan ka raasta talaash karle

Verse 111 — Surah Al-Isra 17:111

aur ye keh dijiye ke tamaam tareef Allah hee ke liye hai jo na, aulaad rakhta hai aur na apni baadshaa-hath mein kisi ko shareek wa saajhi rakhta hai aur na wo kamzoor hai ke ose kisi himaayati ki zarurath ho aur tu us ki puri puri badaayi bayaan karta reh