Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 44 - Ad-Dukhan
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink
Verse 1 — Surah Ad-Dukhan 44:1
haa meeem
Verse 2 — Surah Ad-Dukhan 44:2
qasam hai is wazaahath waali kitaab ki
Verse 3 — Surah Ad-Dukhan 44:3
yaqinan hum ne ise ba-barkath raath mein utaara hai, beshak hum daraane waale hai
Verse 4 — Surah Ad-Dukhan 44:4
osi raath mein har ek mazbooth kaam ka faisla kiya jaata hai
Verse 5 — Surah Ad-Dukhan 44:5
hamaare paas se hukm ho kar hum hee hai rasool bana kar bhejne waale
Verse 6 — Surah Ad-Dukhan 44:6
aap ke rab ki meherbaani se, wo hee hai sunne waala jaanne waala
Verse 7 — Surah Ad-Dukhan 44:7
jo rab hai asmaano ka aur zameen ka aur jo kuch un ke darmiyaan hai agar tum yaqeen karne waale ho
Verse 8 — Surah Ad-Dukhan 44:8
koyi maboodh nahi us ke siva, wahi jilaata hai aur maarta hai wahi tumhaara rab hai aur tumhaare agle baap dadaao ka
Verse 9 — Surah Ad-Dukhan 44:9
balke wo shak mein pade khel rahe hai
Verse 10 — Surah Ad-Dukhan 44:10
aap us din ke muntazir rahe jab ke asmaan zaaher dhua layega
Verse 11 — Surah Ad-Dukhan 44:11
jo logo ko gher lega, ye dardnaak azaab hai
Verse 12 — Surah Ad-Dukhan 44:12
kahenge ke aye hamaare rab! ye aafath hum se door kar, hum imaan qubool karte hai
Verse 13 — Surah Ad-Dukhan 44:13
un ke liye nasihath kahaa hai? khol khol kar bayaan karne waale paighambar un ke paas aa chuke
Verse 14 — Surah Ad-Dukhan 44:14
phir bhi unhone un se mu phera aur keh diya ke sikhaaya padaaya hoa bawla hai
Verse 15 — Surah Ad-Dukhan 44:15
hum azaab ko thoda door kar denge to tum phir apni osi haalath par aa jaoge
Verse 16 — Surah Ad-Dukhan 44:16
jis din hum badi saqth pakad pakdenge bil yaqeen hum badhla lene waale hai
Verse 17 — Surah Ad-Dukhan 44:17
yaqinan un se pehle hum khaum feraun ko (bhi) aazma chuke hai jin ke paas (Allah ka) ba-izzath rasool aaya
Verse 18 — Surah Ad-Dukhan 44:18
ke Allah ta’ala ke bandho ko mere hawaale kardo, yaqeen maano ke main tuhaare liye amaanat-daar rasool hoon
Verse 19 — Surah Ad-Dukhan 44:19
aur tum Allah ta’ala ke saamne sarkashi na karo, main tumhaare paas kholi daleel laane waala hoon
Verse 20 — Surah Ad-Dukhan 44:20
aur main apne aur tumhaare rab ki panaah mein aata hoon, us se ke tum mujhe sangsaar kardo
Verse 21 — Surah Ad-Dukhan 44:21
aur agar tum mujh par imaan nahi laate to mujh se alag hee raho
Verse 22 — Surah Ad-Dukhan 44:22
phir unhone apne rab se dua ki, ke ye sab gunehgaar log hai
Verse 23 — Surah Ad-Dukhan 44:23
(hum ne keh diya) ke raatho raath tu mere bandho ko le kar nikal, yaqinan tumhara picha kiya jayega
Verse 24 — Surah Ad-Dukhan 44:24
to tu darya ko saakin1 chohd kar chala ja, bila shuba ye lashkar gharq kar diya jayega
Verse 25 — Surah Ad-Dukhan 44:25
wo bahuth se baghaath aur chashme chohd gaye
Verse 26 — Surah Ad-Dukhan 44:26
aur khetiyaa aur raahath baqsh thikaane
Verse 27 — Surah Ad-Dukhan 44:27
aur wo araam ki chize jin mein aysh kar rahe thein
Verse 28 — Surah Ad-Dukhan 44:28
osi tarah ho gaya aur hum ne un sab ka waaris dosri khaum ko bana diya
Verse 29 — Surah Ad-Dukhan 44:29
so un par na to asmaan wa zameen roye aur na unhe mahullat mili
Verse 30 — Surah Ad-Dukhan 44:30
aur beshak hum ne (hee) bani israel ko (saqth) ruswa kun saza se najaath di
Verse 31 — Surah Ad-Dukhan 44:31
(jo) feraun ki taraf se (ho rahi) thi, fil waaqe wo sarkash aur hadh se guzar jaane waalo mein se tha
Verse 32 — Surah Ad-Dukhan 44:32
aur hum ne daanista taur par bani israel ko dunya jahaan waalo par fauqiyath di
Verse 33 — Surah Ad-Dukhan 44:33
aur hum ne unhe aisi nishaaniya di jin mein sarih azmaayesh thi
Verse 34 — Surah Ad-Dukhan 44:34
ye log to yahi kehte hai
Verse 35 — Surah Ad-Dukhan 44:35
ke (aaqri cheez) yahi hamaara pehli baar (dunya se) mar jaana hai aur hum dobaara uthaaye nahi jayenge
Verse 36 — Surah Ad-Dukhan 44:36
agar tum sacche ho to hamaare baap dadaao ko le aao
Verse 37 — Surah Ad-Dukhan 44:37
kya ye log behtar hai ya tubbah ki khaum aur jo in se bhi pehle thein, hum ne un sab ko halaak kar diya, yaqinan wo gunehgaar thein
Verse 38 — Surah Ad-Dukhan 44:38
hum ne zameen aur asmaano aur un ke darmiyaan ki cheezo ko khel ke taur par payda nahi kiya
Verse 39 — Surah Ad-Dukhan 44:39
balke hum ne unhe durusth tadhbeer ke saath hee payda kiya hai, lekin un mein se aksar log nahi jaante
Verse 40 — Surah Ad-Dukhan 44:40
yaqinan faysle ka din un sab ka tay shuda waqth hai
Verse 41 — Surah Ad-Dukhan 44:41
us din koyi dosth kisi dosth ke kuch bhi kaam na ayega aur na un ki imdaad ki jayegi
Verse 42 — Surah Ad-Dukhan 44:42
magar jis par Allah ki meherbaani ho jaaye, wo zabardasth aur rahem karne waala hai
Verse 43 — Surah Ad-Dukhan 44:43
beshak zaqqoom (tohar) ka daraqth
Verse 44 — Surah Ad-Dukhan 44:44
gunehgaar ka khaana hai
Verse 45 — Surah Ad-Dukhan 44:45
jo misl til-chat ke hai, pet mein khaulta rehta hai
Verse 46 — Surah Ad-Dukhan 44:46
misl tez garam paani ke
Verse 47 — Surah Ad-Dukhan 44:47
ose pakad lo phir ghasithte hoye beech jahannam tak pahonchaao
Verse 48 — Surah Ad-Dukhan 44:48
phir us ke sar par saqth garam paani ka azaab bahaao
Verse 49 — Surah Ad-Dukhan 44:49
(us se kaha jayega) chakta ja, tu to bada zi izzath aur bade ekraam waala tha
Verse 50 — Surah Ad-Dukhan 44:50
yahi wo cheez hai jis mein tum shak kiya karte thein
Verse 51 — Surah Ad-Dukhan 44:51
beshak (Allah se) darne waale aman chayn ki jageh mein honge
Verse 52 — Surah Ad-Dukhan 44:52
baagh aur chashmo mein
Verse 53 — Surah Ad-Dukhan 44:53
baarik aur dabeez resham ke libaas pehne hoye aamne saamne baithe honge
Verse 54 — Surah Ad-Dukhan 44:54
ye isi tara hai aur hum badi badi aankho waali huro se un ka nikaah kar denge
Verse 55 — Surah Ad-Dukhan 44:55
dil jamyi ke saath wahaa har tarah ke mewo ki farmaayeshe karte honge
Verse 56 — Surah Ad-Dukhan 44:56
wahaa wo mauth chakne ke nahi hai, haan pehli mauth (jo wo mar chuke) unhe Allah ta’ala ne dozakh ki saza se bacha diya
Verse 57 — Surah Ad-Dukhan 44:57
ye sirf tere rab ka fazl hai, yahi hai badi kamyaabi
Verse 58 — Surah Ad-Dukhan 44:58
hum ne is Qur’aan ko teri zabaan mein asaan kar diya ta ke wo nasihath haasil kare
Verse 59 — Surah Ad-Dukhan 44:59
ab tu muntzir reh, ye bhi muntazir hai