Back to Languages

Urdu - Chapter 62 - Al-Jumuah

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Jumuah 62:1

(saari cheeze) jo asmaano aur zameen mein hai Allah ta’ala ki paaki bayaan karti hai (jo) baadshaah nihaayath paak (hai) ghaalib wa ba-hikmath hai

Verse 2 — Surah Al-Jumuah 62:2

wahi hai jis ne na-qaandah logo mein unhee mein se ek rasool bheja jo unhe us ki aayate pad kar sunaata hai aur un ko paak karta hai aur unhe kitaab wa hikmath sikhaata hai, yaqinan ye is se pehle khuli gumraahi mein thein

Verse 3 — Surah Al-Jumuah 62:3

aur dosro ke liye bhi unhee mein se jo ab tak un se nahi mile aur wahi ghaalib ba hikmath hai

Verse 4 — Surah Al-Jumuah 62:4

ye Allah ka fazl hai, jise chaahe apna fazl de aur Allah ta’ala bahuth bade fazl ka maalik hai

Verse 5 — Surah Al-Jumuah 62:5

jin logo ko tauraath par amal karne ka hukm diya gaya, phir unhone us par amal nahi kiya, un ki misaal us ghadhe ki si hai jo bahuth si kitaabe laadhe ho, Allah ki baatho ko jhutlaane waalo ki badi buri misaal hai aur Allah (aise) zaalim khaum ko hidaayath nahi deta

Verse 6 — Surah Al-Jumuah 62:6

keh dijiye ke aye yahodiyo! agar tumhaara dawa hai ke tum Allah ke dosth ho, dosre logo ke siva, to tum mauth ki tamanna karo agar tum sacche ho

Verse 7 — Surah Al-Jumuah 62:7

ye kabi bhi muth ki tamanna na karenge, ba wajeh un amaal ke jo apne aage apne haatho bhej rakhe hai aur Allah zaalimo ko qoob jaanta hai

Verse 8 — Surah Al-Jumuah 62:8

keh dijiye! ke jis mauth se tum bhaagte phirte ho, wo to tumhe pahonch kar rahegi, phir tum sab chupe khule ke jaanne waale (Allah) ki taraf lautaaye jaoge aur wo tumhe tumhaari kiye hoye tamaam kaam bathla dega

Verse 9 — Surah Al-Jumuah 62:9

aye wo logo jo imaan laaye ho! jume ke din namaaz ki azaan di jaaye to tum Allah ke zikr ki taraf daud pado aur qareed wa farooqth chohd do, ye tumhaare haq mein bahuth hee behtar hai agar tum jaante ho

Verse 10 — Surah Al-Jumuah 62:10

phir jab namaaz ho chuke to zameen mein phail jaao aur Allah ka fazl talaash karo aur ba kasrath Allah ka zikr kiya karo ta ke tum falaah pa lo

Verse 11 — Surah Al-Jumuah 62:11

aur jab koyi sauda bikta dekhe ya koyi tamaasha nazar aa jaaye to us ki taraf daud jaate hai aur aap ko khada hee chohd dete hai, aap keh dijiye ke Allah ke paas jo hai wo khel aur tijaarath se behtar hai aur Allah ta’ala behetreen rozi rasa hai