Back to Languages

Urdu - Chapter 70 - Al-Maarij

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Maarij 70:1

Aik sawal kernay walay ney uss azab ka swal kiya jo wazeh honay wala hay

Verse 2 — Surah Al-Maarij 70:2

Kafiron per jissay koi hatanay wala nahi

Verse 3 — Surah Al-Maarij 70:3

Uss Allah ki taraf say jo seerhiyon wala hay

Verse 4 — Surah Al-Maarij 70:4

Jiss ki taraf farishtay aur rooh charhtay hein aik din mein jiss ki miqdaar pachas hazar saal ki hay

Verse 5 — Surah Al-Maarij 70:5

Pus to achi tarah sabar ker

Verse 6 — Surah Al-Maarij 70:6

Beshak yeh uss (azab) ko door samajh rahe hein

Verse 7 — Surah Al-Maarij 70:7

Hum issay qareeb hi dekhatay hein

Verse 8 — Surah Al-Maarij 70:8

Jiss din aasman misil tel ki talchat kay hojayega

Verse 9 — Surah Al-Maarij 70:9

Aur pohaar misil rangeen oon kay hojey gay

Verse 10 — Surah Al-Maarij 70:10

Aur koi dost kissi dost ko na poochay ga

Verse 11 — Surah Al-Maarij 70:11

(Halankay) aik doosray ko dikha diye jaeyen gay gunehgar uss din kay azab kay badlay fidye mein apney beton ko

Verse 12 — Surah Al-Maarij 70:12

Apni biwi ko aur apney bhai ko

Verse 13 — Surah Al-Maarij 70:13

Aur apney kunbay ko jo issay panah deta tha

Verse 14 — Surah Al-Maarij 70:14

Aur roy e zameen kay sab logon ko dena chahyega takay yeh ussay nijat dilaye

Verse 15 — Surah Al-Maarij 70:15

Mager hergiz yeh na hoga yaqeenan wo shoal wali (aag)hai

Verse 16 — Surah Al-Maarij 70:16

Jo mun aur sar ki khal khench lynay wali hay

Verse 17 — Surah Al-Maarij 70:17

Wo her us shaks ko pukaray gi jo pechay hata aur mun morta hay

Verse 18 — Surah Al-Maarij 70:18

Aur jama ker kay samnbhal rakhta hay

Verse 19 — Surah Al-Maarij 70:19

Beshak insan baray kachy dil wala banaya gaya hay

Verse 20 — Surah Al-Maarij 70:20

Jab is say musibat puhanchti hay to har bara uthta hay

Verse 21 — Surah Al-Maarij 70:21

aur jab rahat milti hay to bukhul kernay lagta hay

Verse 22 — Surah Al-Maarij 70:22

Verse 23 — Surah Al-Maarij 70:23

J apnai namaz per hameshagi kernay walay hein

Verse 24 — Surah Al-Maarij 70:24

Aur jin kay maalon mein mukarra hisa hay

Verse 25 — Surah Al-Maarij 70:25

Mangnay walon ka bhi aur sawal say bachnay walon ka bhi

Verse 26 — Surah Al-Maarij 70:26

Aur jo insaf kay din per yaqeen rakhtay hein

Verse 27 — Surah Al-Maarij 70:27

Aur jo apney rab kay azab say dertay rehtay hein

Verse 28 — Surah Al-Maarij 70:28

Beshak un kay rab ka azab bekhof honay ki chez nahi

Verse 29 — Surah Al-Maarij 70:29

Aur jo log apni sharm gahon ki (haram say)hifazat kertay hein

Verse 30 — Surah Al-Maarij 70:30

Han unki biwion aur londion kay bary mein jin kay wo malik hein.unhein koi malamat nahi

Verse 31 — Surah Al-Maarij 70:31

Ab jo koi is kay ilawa(rah)dhonday ga to asay log had say guzar janay walay hongay

Verse 32 — Surah Al-Maarij 70:32

Aur jo apni amanton ka aur apney qol o qarar ka pass rakhtay hein

Verse 33 — Surah Al-Maarij 70:33

Aur jo apni gawahion per sidhay aur qaim rehtay hein

Verse 34 — Surah Al-Maarij 70:34

Aur jo apni namazon ki hifazat kertay hein

Verse 35 — Surah Al-Maarij 70:35

Yehi log janton mein izat walay hongay

Verse 36 — Surah Al-Maarij 70:36

Pus kafoiron ko kia hogaya hay kay wo teri taraf dortay atay hein

Verse 37 — Surah Al-Maarij 70:37

Daein aur baein say giroh kay giroh

Verse 38 — Surah Al-Maarij 70:38

Kia in mein say her ik ki tawaqa yeh hay kay wo nematon wali janat mein dakhil kia jaey ga

Verse 39 — Surah Al-Maarij 70:39

(aisa) hergiz nahi ho ga hum ney unhein is(chez) say paida kia hay jiss say wo jantay hein

Verse 40 — Surah Al-Maarij 70:40

Pus mujhy qasam hay mashrikon aur maghribon kay rab ki (kay)hum yaqeenan qadir hein

Verse 41 — Surah Al-Maarij 70:41

Is per kay in kay ewaz in say achay log lay ayein aur hum aajiz nahi hein

Verse 42 — Surah Al-Maarij 70:42

Pus to inhein jagherta khelata chor day yahan ytak kay yeh apney us din say jamilein jis ka un say wada kia jata hay

Verse 43 — Surah Al-Maarij 70:43

Jis din yeh qabron say dortay hoy niklein gay goya kay wo kisi jaga ki taraf tez tez jarahy hein

Verse 44 — Surah Al-Maarij 70:44

In ki ankhein jhoki hoi hongi in per zilat charahi hon gi yeh hay wo din jis ka un say wada kia jata tha